- 17,044
- 112,104
- 259
Last edited:
Bhai 150 jaghah 190 ho geya...... Update kidhar haiUpdate - 160 ~ Big Bash (1)
Ab tak...
Nidhi ka haath kuch kehne ke liye aage badha magar woh kuch keh na paayi. Bas Veer ki peeth hj nazar aa rahi thi use. Kaise ek haath ko peeche le jaate hue woh Juhi ke sarr par rakha hua tha. Jaise maano ek pita apni beti ko apne kandho par se girne se bacha raha ho.
Veer : I want to reveal something. It's basically a method. Jise hum sabko apni life me follow karna chahiye.
Aur aage badhte hue usne uss board se woh laal kapda hata diya.
"Presenting you~ The Hourglass Method!!!"
Ab aage...
"Y-Ye kya hai?"
"Huh?"
*Chitter* *Chatter*
"Haan haan kuch samajh nahi aa raha."
"What is this?"
"Kuch hourglass sa bana hai. Andar kya hai ye sab?"
"Hmm! Samjhayega woh abhi."
"Akhir hai kya ye?"
"Andar kuch food sa bana hai."
Veer ke board se laal kapda hataate hi ek chitr sabhi ki aankhon ke saamne ujaagar hua. Chhota sa white board tha ek jis par yeh chitr bana hua tha.
Aur logo ki khusur pusur waha shuru ho gayi. Aapas ke log ek dusre se baat kar uss chitr ko samajhne ki koshish karne lage.
Kavya confusion me uss chitr ko dekh rahi thi toh wahi Arohi ki bauhe kasi hui thi. Magar, agle hi shan uske chehre par aashcharya ke bhaav umde.
'Th-This is-!'
Use jaise kuch kuch samajh aa chuka tha. Fir bhi woh shaant rahi aur bas Veer ke samjhaane ka intezaar karne lagi.
Nidhi se leke Shreya, Ragini athwa baaki sab bhi isi tarah confused the. Bhumika hi thi jo sab kuch samajh chuki thi. Food industry se uska purana naata tha. Veer kya pesh karne jaa raha tha woh pehle hi jaan gayi thi.
'Y-Ye toh-!! Veer!! You made this-!?'
Woh mann me sochi. Aur bas bekaraar thi Veer ke explanation ke liye.
Food bloggers, vloggers se leke food content creators tak jo bhi waha maujood the, woh photos kheechne athwa video banaane me lag gaye. Zaahir hai ye aaj social media me viral hone waala tha.
Unme se tabhi ek ne sawaal kar hi diya,
Blogger 1 : Ye kya hai Sir? Iske baare me aap kuch batayenge?
Veer muskuraya aur usne chitr ko dekha.
Veer : This is the Hourglass Method! Ek method jo poore nation ki diet ke liye hai.
Vlogger 1 : Kya aap ise thoda detail me samjha sakte hai?
Veer : Kyu nahi? Par pehle mere kuch sawaalo ka jawaab dena hoga aap sabko. Are you guys ready?
Sabhi ne pehle ek dusre ko dekha aur fir haami bhari. Kuch aur bhi log the jo insta par ye sab live chala rahe the. Chef on wheels koi chhota mota naam nahi tha ab. Mumbai me usne apni acchi khaasi popularity bana li thi.
Chef on wheels ko aur bhi zyada khyaati tab praapt hui jab Veer Paris se lauta aur uska interview liya gaya tha. Jaha se logo ko ye pata chala tha ki chef on wheels isi Veer ka hi ek start-up hai. Bas! Fir kya tha!? Uske baad se hi uska business charcha ka vishay bana hua tha.
Alag alag accounts me chal rahi Insta ki ye live telecast, bhala Aadesh tak kaise nahi pahuchti?
Usne toh 'Chef on Wheels' ke upar kadi nigraani rakhne ke liye aadmi lagaye hue the. Yaha live telecast shuru hue abhi kuch hi pal hue the ki waha Aadesh ko apne office me iski khabar bhi lag gayi.
'Hmm!? Y-Ye ladka-!!! Kahi dekha dekha sa kyu lag raha hai?'
Veer ki shaqal use apne mobile ki screen par saaf saaf dikh paa rahi thi. Usne zyada na sochte hue apna agla plan gear pe lagaya aur turant hi Tamanna ko call kiya.
Tamanna : Hello?
Aadesh : Dushman yaha nayi nayi chaale chal raha hai, aur tum waha so rahi ho?
Tamanna : K-Kya hua?
Aadesh : Ye Chef on wheels waale fir kuch naya kar rahe hai. Jaa ke dekho zara waha ki kya chal raha hai. Aur chaahe jo kuch bhi ho, dhyaan rahe ki tumhe uss par ulta waar karna hai. Samajh gayi?
Tamanna : A-Abhi jaana hai?
Aadesh : Toh kab? Jab woh apna plan kamyaab kar lenge tab jaane ka iraada hai?
Tamanna : N-Nahi! J-Jaati hu!
Aadesh : Aur agar na maane, toh fir mujhe pata hai ki kya karna hai. *smiles*
Idhar Veer sabhi ko ekatr kar unse sawaal puchne me laga hua tha.
Veer : Aap sab ke according, ek ideal diet kaisi honi chahiye?
Blogger 1 : Ek ideal diet aisi honi chahiye jisme food se hume nutrients, vitamins ye sab sahi maatra me mil sake.
Veer : Hmm! Aur-!?
Vlogger 2 : Protein!! Shareer ke liye protein bohut zaroori hai.
Veer : Aur?
Blogger 2 : Mein food ke baare me apne blog me likhta rehta hu. Mere hisaab se, sahi hygiene aur sahi proportion me sahi nutrients ki diet lena hi ek ideal diet hai.
Veer : Aur?
Blogger 1 : Actually, agar dekha jaaye toh ye aur bhi deep jaa sakta hai. Like, ayurved aapko pyaaj lehsun khaana recommend nahi karta.
Veer : Hmm! Well, let me explain-
Veer abhi yaha unhe upar upar ke basics samjha raha tha aur jaise hi woh main mudde pe aaya ki tabhi ek car waha aake ruki. Unki nazre car par gayi. Aur, jaise hi car ka darwaza khula usme se Tamanna baahar nikal ke aayi.
[She's here~ hooo~]
Use dekhte hi Veer ki bauhe uss par kass gayi. Tamanna ghabrayi hui thi. Uski pichli kartoot zaahir si baat hai ki Veer ne pakad hi li thi.
Kintu, kya Veer ke paas saboot tha koi ki woh Aadesh ke saath mili bhagat kar kaam kar rahi hai? Shayad nahi!
Isi aatm-vishvaas ko odhe woh chalte chalte aage badhi. Jaise hi usne Veer ko dekha,
'Huh-!!!!?'
Uske qadam shan bhar ke liye wahi tham gaye.
Veer ke hontho par haiwaano waali muskurahat thi. Uski aankhein baaj ki tarah apne shikaar par jami hui thi. Thand zara bhi nahi thi, fir bhi Tamanna ke badan par ruye khade ho chuke the.
Uski aankhein bhay aur aashcharya ke maare fel gayi jab use kuch akasmat hi nazar aaya.
Veer ki aankhein pal bhar ke liye ekdum laal rang ki hoke raat ke andhere me chamki.
'Wh-What-!!?'
Ye kya tha? Usne apni aankhein mali aur dobaara dekha par ab woh laal rang kahi nahi tha. Kya ye uska vehem tha?
'Was it-!? The reflection of light-!? I think so!'
Ise Light ka reflection samajh woh ek gehri saans chhorr aage aayi. Uske aate hi tamaam food bloggers aur creators jaise paagal hi ho uthe.
Tamanna jaani maani ek celebrity ki tarah hi thi food industry me. Uske sang photo khichwana hi bohut badi baat thi. Creators ye baat jaante the ki Tamanna unke followers badhaane me kitni faayde-mand saabit ho sakti thi.
Aur isliye woh sabhi use gher ke khade ho gaye.
"T-Tamanna!?? Tamanna Joshi, one of the most popular food blogger yaha pe!??? Oh myyyy goddddd!!!"
"It's- It's her!!! Tamanna Joshi!!! The best food blogger from India!!!"
"Woooowww~ Ma'am!! Ma'am autograph please!!!"
*Click* *Click*
"Ma'am! 2 minute please! E-Ek photo! Only one selfie please!"
"Guys, I hope aap sabhi dekh paa rahe honge. Tamanna Joshi! Hamare India ki best-! Matlab best food blogger aur critic hai yeh. Hum waqai lucky hai jo aaj saamne se unhe dekha. Baaki, dekhte hai kya hota hai abhi."
"Behanchod! Aaj ma'am ka ek autograph aur unke saath selfie toh leke hi jaana hai."
"Ma'am! Ma'am!"
Magar Tamanna akeli nahi thi. Do bodyguards bhi the uske saath. Janta ko niyantran me rakhne ke liye woh dono jann logo ko dhakelne lage aur Tamanna ke paas aane se unhe rokne lage.
Tamanna : I'm sorry! I'm not here to have any interview. No photos and autographs please!!
Usne saaf mana kar diya. Woh ahista ahista chalte hue uss white board ke sameep aayi. Aur aake uss chitr ko dekhne lagi.
Aadesh ki kuch derr pehle batayi gayi baat uske dimaag me goonji,
'Chaahe jo kuch bhi ho, dhyaan rahe ki tumhe uss par ulta waar karna hai. Samajh gayi?'
Usne ek gehri saans li. Woh jaanti thi ki Veer ne jo kuch bhi yeh banaya hai woh poore desh ke hit ke liye hi tha. Fir bhi, aaj woh majboor thi. Use iske viruddh jaana hi tha.
Tamanna : What is this? Is this a joke?
Veer muskurate hue uske qareeb chalte hue aaya.
Veer : It's an Hourglass Method!
Tamanna : For what??
Veer : Ek ideal diet ke liye. Aaj kal ki bhaag daud bhari life me, logo ke paas time nahi rehta ki woh apni diet par dhyaan de. Aur isliye woh bina kisi control ke bas kuch bhi khaate jaate hai. There must be an official diet method for the nation. Right?
Tamanna : Diet method? Hahahahaha! What a joke! Who do you think you are Sir? Bhala tum saare nation ko kaise represent kar sakte ho? Aur kaise ye diet method saamne rakh sakte ho? Aur kaise ye expect kar sakte ho ki desh ka harr naagrik ise follow kare?
Tamanna ka kroor aur karaara jawaab sunte hi Tej ka paara chadh utha. Iss ladki ki himmat kaise hui ki uske Bhai ke saath aise baat kare?
Kintu, iske pehle ki woh aage badhti peeche se Arohi ne uska haath thaam liya.
Tej : Arohi!?
Arohi : Rukiye di! Just wait and watch!
Daant meeste hue woh khud ko jaise taise roki. Idhar Veer bas muskura raha tha. Woh toh jaanta tha ki Tamanna bhala yaha kis iraade se aayi hui thi.
Wese ek baat acchi bhi thi isme. Woh yeh ki Tamanna ke aane se, Veer jo ye method logo tak pahuchana chaahta tha woh ab aur bhi asaan ho gaya tha.
Veer : Mein kaun hota hu saare nation ko represent karne waale? *smiles* Well! Woh mein hi tha jisne abhi haal hi me France me India ko represent kiya tha.
Tamanna : That's-
Uske iss jawaab se Tamanna ki bolti band hoke reh gayi. Toh wahi, Aadesh jo insta par sab live dekh raha tha. Use bhi jaise ab realisation hua.
'T-Toh ye ladka aur woh ladka-!!! Ek hi hai!!! Hmm! Samjha!!! Iska matlab hotel Prestige me yeh-'
Aur woh apni soch ko aur dur le jaane laga.
Yaha, Tamanna pressure me thi. Lekin, kaise bhi kar ke use ye sab kuch aaj thapp karna tha.
Tamanna : Woh baat aur yaha aaj ki baat alag hai mister Veer!
Veer : Ohh!? Kya duniya me pehla smartphone banane waala aadmi kisi ki permission leke aaya tha use banaane ke liye? Kya duniya ka pehla TV kisi ki permission se banaya gaya tha? Then, why do I need permission to make this method?
Tamanna : That's because-
Veer : Haan haan!? Kahiye? I'm all ears!
Tamanna (growls) : Y-You-!
Veer : Hmmm?
Tamanna : Tumhe kya lagta hai? Ye ghatiya si method tum yaha do chaar bloggers ko bula ke saamne rakh doge toh yeh official ho jayegi? Health department aake tumhe shabashi dega? Kin sapno me jee rahe ho tum?
Ek baar fir Tej uski kathor baatein sunn bhadak uthi.
"This bitch-!!!"
Woh dhadalle se aage badhi ki ek baar fir Arohi ne uski aasteen pakad use rok liya.
Tej : Arohhhiiii!! Chhorro mujhe!
Arohi : Tejal dii!! Samajhiye! Aap baat ko aur bigaad dogi! Gussa mujhe bhi aa raha hai.
Bhumika (steps-in) : Aur ye samay gusse me aake kuch karne ka nahi hai!
Arohi (glances) : Exactly!
Tej (glances) : Huhh!?
Bhumika uske bagal se aake khadi hui aur use dekhte hue boli,
Bhumika : Leave it to me!
Kuch derr tak Tej shaant rahi aur fir halke se haami bharte hue woh peeche ho gayi. Bhumika ki khud ki hotel thi. Shayad iss sthiti ko woh hi acche se sambhaal sakti thi.
Woh aage Veer aur Tamanna ki orr badhi,
Bhumika : Mera Bhai ek food business ka owner hone ke naate, kisi method ko saamne kyu nahi rakh sakta? 'Three satisfactory elements of any dish.' Ye book aapne hi likhi hai na?
Tamanna (frowns) : Y-Yes! So what-!?
Bhumika : Uss book ke according aapne ye bataya hai ki kisi bhi dish me sabse aham 3 hi elements hote hai. Toh ab mein aapse puchti hu. Aap kaun hoti hai saari dishes me se sirf inn 3 elements ko represent karne waali? Aap kaise inn 3 elements ko saamne rakh sakti hai? Aap ye kaise expect kar sakti hai ki desh ka harr nagrik aapki baat se sehmat hoga?
Ek aur karaara jawaab! Bhumika ka brutal retort dekh Tej ki aankhon me ek chamak aa gayi. Usne Tamanna ko uski hi bhaasha me jawab diya tha. Ye sahi nirnay tha jo Tej ne Bhumika ko waha jaane diya.
Blogger, vloggers aur content creators ke liye toh jaise aaj chaandi ho gayi thi. Woh iss debate ko live jo capture kar rahe the. Iska viral hona toh tay tha.
Tamanna ne kuch saal pehle hi apni ek book publish ki thi. Jiska naam tha ~ 'Three satisfactory elements of any dish.'
Yeh food industry me kaafi charcha me rahi thi jab launch hui thi. Aur iski sahayta se harr nau-seekhiya bhi food ka gyaan dene laga tha.
Kisi bhi dish me 3 mehatvpoorn cheezein hoti hai jiske chalte woh dish uttam se bhi uttam saabit ho sake. Agar kisi dish me ye teen baatein hai, iska matlab woh dish avval darje ki hai.
Pehla ~ Taste!
Yaani ki swaad. Insaan kisi bhi dish ka lutf swaad ke kaaran hi utha paata hai. Swaad kisi dish ka hi nahi, balki hamare khaane ka sabse mehatvpoorn hissa hota hai.
Dusra ~ Nutrition!
Khaana bhale hi swaadisht ho, lekin agar woh swaasth ko haani pahuchaye toh bhala woh kis kaam ka? Khaana na sirf swadisht hona chahiye balki saath hi saath shareer ko atirikt poshan de sake aisa bhi hona chahiye. Jo ki aaj kal aksar food industry me maujood tamaam business waale iss aham cheez ko bhool jaate hai.
Aur teesra ~ Presentation!
Ye teeno me utna aham nahi hai, magar ek accha business waala vyakti aur ek accha chef iss baat ko bhali bhaati samjhega ki kisi bhi dish ko acche se prastut karna kitna aavashyak hota hai aur uska business me kya prabhaav padta hai.
Tamanna ne apni iss kitaab me inhi teeno baato ka zikr bade hi sanchhipt roop me kiya tha. Par sawaal wahi utha diya Bhumika ne. Akhir, woh kaun hoti hai inn sab cheezo ko likhne waali?
Aur agar use anumati hai, toh bhala Veer kyu nahi kuch represent kar sakta?
Bhumika : Kahiye! Ab khamosh kyu ho gayi aap?
Tamanna (smirks) : Am I not qualified enough? Mene jo book likhi hai, woh managements, departments, foreign fields se awards milne ke baad hi likhi hai. So? Kya mein qualified nahi hu use likhne ke liye? But what about him? Mister Veer ne aisa kya kiya hai food industry ke liye jo woh iss method ko publicize karne ke liye qualified ho gaye hai?
Bhumika : Kisi me jab kisi field ke liye passion ho toh zaroori nahi hai ki jab woh apna naam kama le tabhi apne ideas ko public me rakh paaye.
Veer ne Bhumika ko dekha. Woh behan jisne kabhi Bhai maanane se inkaar kar diya tha. Aaj wahi use bhai pukaar ke uske liye uske saath khadi thi. Uske hontho par ek muskaan saj gayi. Bhumika ne bhi jaise Veer ko apni orr dekhte hue mehsoos kar liya.
Woh use dekhi aur halki si muskaan dete hue haami bhari. Jaise batana chaah rahi ho ki 'Mein hu tumhare saath yaha pe. Chinta karne ki zaroorat nahi.'
Tamanna : Chalo maan lete hai ki koi bhi kuch bhi present kar sakta hai. Par ye kaise maan le ki mister Veer ka diya gaya yeh method sahi hai? Hmm?
Bhumika : W-Woh-
Veer (smiles) : Aap khud kyu nahi khaamiya nikaalti? Logo ko samajh aa jayega ki yeh sahi hai bhi ya nahi!
Tamanna : Very well then. I won't hesitate.
Woh aage aayi aur usne apni ungli board par rakhte hue pehle khud diagram ko samjha. Aur fir boli,
Tamanna (grins) : Ye bakwaas hai actually. Mister Veer! Mene lagbhag poori duniya ghoomi hai. Aur, mein ye dekh ke bata sakti hu ki ye diagram aur ye method Japanese inverted triangle method se inspired hai. Kya mein sahi hu?
Veer ne use ghoora. Woh sahi thi.
Japanese Inverted Triangle bhi diet ke liye ek method thi.
Iss chitr ke anusaar, ye bataya gaya hai ki subah se raat tak insaan ko kis maatra me kya kya khaana chahiye. Subah se raat hote hote, khaane ki maatra bhi kam hoti gayi hai.
Yaani ki insaan ko raat me kam se kam khaana chahiye. Magar, Veer ke diagram me aisa nahi tha. Uska chitr hourglass ke akaar me tha.
Iska matlab kya hua bhala?
Veer kuch pal toh shaant raha. Fir bola,
Veer : Yes! You are right! I won't deny it.
Tamanna (smirks) : Haah~ Mein jaanti thi. Yeh Japanese inverted triangle ki sasti copy hai aur kuch nahi. Upar se yeh galat hai. Mein khud Japanese inverted triangle ko follow karti hu.
Veer : Ye galat kaise hai bhala?
Tamanna : Are you really asking me about that? Don't you see? Ye figure hourglass me hai. Iska matlab ye hua ki shaam aur raat me insaan ko utna hi khana chahiye jitna ki subah aur dopahar ko woh khaa raha hai. This is illogical.
Veer (smiles) : Aur ye illogical kyu hai?
Tamanna : Tumhare figure se hi samjhati hu tumhe. Hmm! Ye dekho! Ye morning aur lunch ka diya hai tumne. Right?
Veer : Yes!
Tamanna : Morning me ek insaan heavy breakfast kare. Ye mein maanti hu. But what about lunch? Tumne lunch ke liye toh minimal food select kar ke rakha hai. Bas ye fruits, juices, milk, etc. Kya inn sab se lunch ho payega logo ka? Mein aap sab se puchti hu! Kya ye kahi se bhi logical hai? Ki vyakti din me khaana hi na khaaye?
*Chitter* *Chatter*
Uske sawaal par log aapas me khusur pusur me lag gaye.
"Baat toh sahi hai yaar-!"
"Haan yaar! Matlab din me toh khaana maangta hai."
"Are do waqt ki din ki roti kamaane ke liye hi toh itni mehnat karte hai. Ab kya woh bhi nahi khaaye? Toh bhala khaaye kya?"
"Bilkul! Ek gareeb vyakti sirf do time hi khaata hai. Din me aur raat me. Ab ye tarah tarah ka khaane ke liye uske paas paise honge kya?"
"Barabar hai! Ye method sirf raees logo ke liye hi hai."
"Haan! Ab mein toh kar sakta hu ye follow. Lekin, mujhe nahi lagta ye kaam aayegi bhi kuch. Kyuki insaan sabse zyada khaana toh din me hi khaata hai na yaar."
"Aur nahi toh kya. Din me pait na bhare toh bhala kaam kaise hoga? Raat ko toh fir bhi theek hai, chala lenge."
"Ye poori method hi galat hai. Tamanna madam ekdum sateek baat keh rahi hai."
"Galat hai! Galat hai!!!"
Logo ki awaazein waha sunaayi dene lagi. Tamanna ek kapti muskaan hontho par sajaate hue Veer ko dekhi.
Tamanna : Hmph~ You thought it's over? Abhi toh aur bhi bacha hai. Everyone!!! Listen to me please!! Ye toh sirf lunch tak ka tha. Abhi poori picture toh dekhiye.
Woh board par ishaara kar apni ungli ko aur neeche leke aayi.
Tamanna : Aur ye hai evening aur dinner ka time table. Aap sab dekh rahe hai? Dinner me jaha vyakti ko kam se kam khaana chahiye. Waha ye mahashay lunch jaisa khaane ki salaah de rahe hai. Kya yeh method kahi se bhi sahi hai?
"Ye toh pagalpanti hai bhai. Haha!"
"Saala mein iske liye yaha aaya tha? Bas ek acchi baat hui aaj ki Tamanna madam jo aa gayi yaha. Hahaha!"
"Aise hi nahi best blogger hai desh ki yaar. Dekha nahi! Ek nazar me pehchaan liya ki kis diagram se inspired hai yeh."
"Tch! Mujhe toh laga tha kuch bada niklega. Saala hauaa bana diya iss method ko."
"Bhaad me jaaye saali method wethod. Hum toh apne hisaab se hi khayenge. Bau ki choot!!!"
"Hahahahaha!"
Log method ko poore tareeqe se bhool ke Tamanna se sehmati rakhne lage. Tamanna ki chaal qamyaab ho rahi thi. Tej apni mutthi kass apne andar ubal rahe gusse ko baahar aane se rokne ka prayatn karti rahi.
Aaj uska bas chalta toh woh iss kutiya ka jaa ke muh hi noch leti. Uski itni majaal ki uske Bhai ko neeche dikhaaye? Aur woh bhi uske saamne?
Tej (grits) : I'm gonna slap that bitttcchhh!!
Arohi, Kavya, Nidhi, Shreya, Ragini, Shweta, Manorath sab ke sab chintit the.
Magar unhe iss field ka koi knowledge nahi tha. Shweta se zyada iss baare me Bhumika jaanti thi. Parantu, woh bhi Tamanna ke saamne muh band rakhne par majboor ho gayi thi.
Tamanna (grins) : It's over! Hence proved! Ye method wahiyaat thi shuru se hi. Mein request karungi Mister Veer se ki aapne inn sab ko jo yaha bulaaya hai aur inka time waste kiya hai. Aap inn sab se maafi maange aur toh aur inhe aaj zero cost me khaana khila ke hi ghar bheje. Bodyguards! Lead the way!
Bodyguards logo ko dur karte hue raasta banaane lage aur aage nikal ke jaane lage, peeche peeche Tamanna bhi jaati gayi.
Udhar phone me Aadesh sab kuch live dekh ke bohut hi khush tha. Tamanna ne iss case ko behad khubsoorti se handle kiya tha. Woh thahaake lagaate hue hass raha tha.
Par tabhi, Tamanna ke peeche se ek awaaz aayi.
"Don't you want to hear my explanation?"
Uske qadam wahi tham gaye. Woh palti,
Tamanna : Huh? Explanation ke liye ab hai hi kya?
Veer : What do you think? Japanese Inverted Triangle method kis liye banayi gayi thi?
Tamanna : Huh? Kis liye banayi gayi thi ka kya matlab hai? Obviously, unke desh ke sabhi logo ki sehat ko dhyaan me rakh ke unki proper diet ke liye banayi gayi thi.
Veer (smiles) : Aur kis ke liye banayi gayi thi?
Tamanna : Are you dumb? Obviously, woh Japanese logo ke liye- huhhhh!!!??
Tamanna ki aankhein akasmaat hi jamm ke fel gayi. Use abhaas hua. Inverted Triangle method toh japanese logo ke liye banayi gayi thi.
Veer (grins) : Japanese logo ko dhyaan me rakh ke uss method ko unke nation ke liye pesh kiya gaya tha.
"Ohh! Toh aisa hai?"
"H-Haan! Yaar ye toh socha hi nahi apan ne."
Veer : Japan ke log India ke log se physically kam strong hote hai. It's a fact.
Tamanna : Huhhh! H-How can you-
Veer : Hamari cities ki life alag hai, hamara culture alag hai. Toh kya aap sab jaanana chaahenge ki mene lunch me kam khaana kyu rakha hai method me?
"Haan! Haan!"
"Bilkul! Batao bhai aisa kyu hai?"
"Zaroor Sir! Bataiye bataiye! Hum sab sunn rahe hai."
Veer (smiles) : Aap sab jaante hai na ki din me agar insaan bhar pait khaana kha le toh kya hota hai fir?
"Huh!? Kya hota hai?"
"Bhai bhar pait khana toh accha hai na. Koi bhi bhooka nahi rahega akhir."
"Haan! Isme buraayi kya hai?"
"Wait wait! Mein samajh gaya!! Shit!! Ye mene pehle kyu nahi socha. Bhai log bhar pait khaana kabhi bhi nahi khaana chahiye. Din me bhar pait khaana khaate hi seedha neend aati hai."
"Arre haan!!! Ye toh socha hi nahi!"
"Toh neend se kya dikkat hai?"
Veer : Neend se kya dikkat hai? *smiles* Work efficiency ki dikkat hai! Insaan din me itna kha leta hai ki neend aur aalas ke chalte 2 ke baad uss se dhang se kaam bhi nahi ho paata. Efficiency ghat ke kam ho jaati hai.
Tamanna : That's-
Veer : Inverted Triangle method unke apne logo ko dhyaan me rakh ke banayi gayi thi. Mene jo banaya hai, woh hamare desh ke logo ko dhyaan me rakh ke banaya hai. Ek heavy breakfast kaafi hota hai aapko din bhar ke liye energy provide karne ke liye.
Tamanna : Bullshit! Toh night ka kya-
Veer : Hamara desh alag hai. Logo ko yaha dinner me bhi mein unse unki freedom nahi chheen sakta. Aksar log apni families ke saath dinner par nikalte hai. Agar mene unhe iss se bhi rok diya, then this method won't get executed.
Tamanna : Toh fir lunch me kyu rakha hai aisa-!?
Veer : Didn't I tell you? Work efficiency! Dinner ke baad insaan kaam nahi karta. Vyakti ko sona hi rehta hai. And that's why, I have designed it in such a way.
Tamanna : Y-You-!!!
Veer (smiles) : Ab zara imagine kariye aap sab. Agar, ye method desh ka harr naagrik follow karne lage. Apne upar dhyaan dene lage. Toh kya hoga?
*Chitter* *Chatter*
Dur khadi Kavya Veer ko jeetate dekh khush ho uthi aur woh apni jagah se hi chillaa uthi,
"East or west!!! Bhaiya is the best!!! Yaaaayyy!!"
Veer ne dekha toh paaya ki woh Juhi ke saath khadi hui thi. Unn dono ko dekh woh muskura utha. Toh wahi Nidhi aur Shreya bhi use khushi khushi dekh rahi thi.
Kintu, Ragini hi thi jiske maathe par shikan chhaayi hui thi. Woh dekh rahi thi ki Veer ki behne kaise uski madad ke liye aage aa rahi thi. Kaise woh sab uske liye kaam aana chaah rahi thi.
'Kya isliye tum mujhse dur bhaag rahe ho? Ki mein tumhare liye kuch nahi kar paati? Agar aisa hai-! Toh ye bhi karti hu. Dekhti hu! Kya tum baad me mujhe accept kar paate ho?'
Kuch yahi haal Purvi ka bhi tha. Veer ko safalta ki seedhiyaan chadhte dekh woh behad khush thi. Magar, uss din ki vardaat se thoda gambheer bhi thi.
'Hamata beta-! Bhavna! Aaj dekho! Kaise tarakki kar raha hai! Kitna accha hai na? L-Lekin-! Uss din woh sab nahi hona chahiye tha. Ohh Bhavna! Kya tumhe woh sab batau ya nahi? Kuch samajh nahi aa raha!'
Ek gehri saans chhor usne iss baare me sochna band kar diya. Toh yaha Veer abhi bhi samjha raha tha logo ko,
Veer : Na sirf logo ki sehat acchi hogi, balki tandurust rehne se insaan khush bhi rahega. Desh ka happiness index badhega. Stress kam hoga, ekta badhegi, aur obesity jaisi cheezo ka nam-o-nishan nahi bachega. And all of this will happen only because of this simple change ~ The Hourglass Method.
*Clap* *Clap* *Clap*
"Bohut khoob Sir! Pehle mujhe laga tha ki aapki ye method kisi kaam ki nahi hai. Par ab jab aapne ye bataya na ki ye hamare logo ke baare me soch ke banayi gayi hai. Tab se mera doubt khatam ho gaya."
"Same! Mujhe bhi yahi laga tha. Lekin, ab lagta hai ye waqai zaroori hai."
"Haan haan! Dekha jaaye toh khaane ke maamle me kabhi kuch bhi aisa desh ke liye nahi nikala gaya hai. Agar iss tarah ki koi cheez aati hai toh ye pehli baar hoga."
"Bilkul! Aur aadmi interest bhi lega. Celebrities agar social media me ise promote karne lage toh aadhe log toh wese hi follow karne lagenge."
"Sahi kaha. Upar se sabse badi baat iske koi nuksaan nahi hai. Balki, faayde hi faayde hai."
Veer ka palda bhaari ho raha tha.
Tamanna : Y-You are crazy!!! Tumhe kya lagta hai? Bhala ye method aise hi publicize ho jayegi? Jab tak ye govt. ke Health department tak nahi pahuchegi tab tak iss par koi bhi official faisla nahi ho payega. Hmph~ Aaj nahi toh kal ye ek dustbin me hi bann ke reh jayegi.
Uske virodh karte hi log fir aapas ki baat cheet me lag gaye.
"Tumhe nahi lagta ki Tamanna ma'am kuch zyada hi bhadak rahi hai?"
"Haan! Mujhe bhi kuch off sa lag raha hai. Arre agar method me koi problem rehti bhi hai toh health department iski aur jaanch karega na."
"Haan! Ho sakta hai kuch changes ho isme aur fir ye public me officially announce kiya jaaye."
"Sahi kaha! Iska koi toh nuksaan nahi hai. Fir ye Tamanna madam itni hyper kyu ho rahi hai."
"Ma'am ko aisa virodh karte pehli baar dekh raha hu."
"Pata nahi kya chal raha. Kuch gadbad hai kya?"
"Ho sakta hai bhai!"
Tamanna ne jab logo ke beech apne liye aisi baatein suni toh woh ghabra uthi. Kahi uska pardafaash na ho jaaye. Agar aisa hua toh woh muh dikhaane layak bhi nahi bachegi.
Yaha se nikal jaana hi behtar tha.
Tamanna : W-Well then! Dekhenge hum! Kya karti hai tumhari so called hourglass method. G-Good luck!
Woh turant hi mudi aur tezz qadmo ke saath logo se nazre churaate hue bhaagne lagi. Log uske peeche peeche uske sang selfie lene ke liye jaane lage. Magar, Tamanna ek jhatke me apni gaadi me ghus gayi. Aur palak jhapakte hi woh waha se rafu-chakkar ho gayi.
Apne office me baithe Aadesh ne jab ye dekha toh uska gussa charam par pahuch utha.
"Maa ki choot!! Behanchod!!! Dimaag kharaab-!!!"
Usne apni personal assistant ki orr nazre daudaayi aur bola,
Aadesh : Big Bash ki taiyaari karo! Kal hi sab kuch ho raha hai.
Assistant : Yes sir~
Kehte hue woh turant hi kaam me lag gayi.
'Veer!!! Samjha! Sab samjha mein! Tujhe bhidne ka itna hi shauk hai na? Toh ab ruk jaa tu! Kal! Batata hu sab kuch tujhe!'
Woh baahar nikal apni gaadi me baith ke chal diya. Ek ghar ke baahar rukte hi woh gaadi se utar uss ghar me pravesh kiya.
*Ding* *Dong*
Usne door bell bajayi toh kuch hi pal baad darwaza andar se khula.
"Ahhh! Arre? Aadesh Uncle aap?"
Aadesh : Hahahaha! Kritika beti! Kaisi ho?
Saamne khadi ladki Kritika thi. Kavya ki best friend.
Kritika : Arre! Uncle? Aaiya na!
Aadesh andar aaya aur sofe par virajman hua.
Aadesh : Papa kaha hai?
Kritika : Bas aa hi rahe hai. Andar washroom me hai.
Aadesh : Hmm!
Andar se jaise hi Kritika ke pita, Kamal Maurya sahab baahar aaye toh Aadesh ko dekh unka chehra chamak utha.
Baat yu thi ki Aadesh ke pita Kamal ko jaante the. Aur uss wajah se Aadesh ka bhi kabhi kabhi iss ghar me aana jaana bana rehta tha.
Kamal ki khud ki travel agency thi aur woh buses athwa cars chalwata tha. Yaha tak ki security me bhi uski kaafi pehchaan thi.
Aadesh : Kamal Sahab! Aaiye! Vyast toh nahi the na? Haha!
Kamal : Arre nahi nahi! Boliye na! Aaj kaise aana hua? Kya seva kar sakta hu mein?
Aadesh : Hmm! Seedha mudde pe hi aata hu toh fir! Kal mene apni hotel me ek vishal party ka ayojan kiya hai.
Kamal : Ohh!
Kritika : Hoo~ Kya wahi Casa Belle me Uncle?
Aadesh (smiles) : Haan haan! Wahi!
Kritika : Ohh wowww! Kya hum bhi aa sakte hai?
Aadesh : Nahi!
Kritika (droops) : O-Ohh!
Uska maayus chehra dekh Aadesh hass pada,
Aadesh : Hahahaha! Arre Bhai, tumhe ab invitation dena padega kya? Poore parivar ke saath aana hai tumlog ko.
Kritika : S-Sach!!?
Aadesh (nods) : Hmm!
Kritika : Oh my gooodddd!!! Kya mein apne friends ko bula sakti hu? Meri do friends hai.
Kritika ko tabhi Veer aur Karan ka bhi dhyaan aaya. Woh firse boli,
Kritika : N-Nahi! 2 nahi! Sirf 4 log! 4 log ko bula sakti hu mein?
Aadesh : Umm! *frowns*
Kamal : Kritika!!! Ye kya harqat hai? Koi hume aamantran de raha hai aur tum aise pesh aa rahi ho!? Kya ye accha lagta hai?
Kritika : S-Sorry!!! Mein toh bas-
Aadesh (sighs) : Darasal, baat ye hai ki mein sirf chuninda bade bade logo ko hi invite kar raha hu. Casa Belle ka naam aur logo tak pahuch sake. Bas isi aim se ye big bash rakha gaya hai. Tumhe chooth deta hu mein. Tum apne koi bhi 2 friends ko laa sakti ho.
Kritika : 2?? O-Ohh Okay! Thank you Uncle!
Sirf 2 friends ko laana Kritika ke liye kaafi nahi tha. Fir bhi woh apni maayusi jhalakne nahi de sakti thi.
Kamal : Hmm! Chalo jao ab! Aur Uncle ke liye chai paani lagwao. Bolna padega kya mujhe?
Kritika : H-Haan jaati hu! Abhi laayi!
Aadesh : Arre iski koi zaroorat nahi Kamal Sahab! Aap bas mudde ki baat suniye. Mein nikal hi raha hu. Mujhe kaafi kaam hai abhi.
Kamal : Kahiye na!
Idhar, Kritika hall se nikal apne kamre me gayi aur seedhe usne Kavya ko call lagaya aur apne ghar par bula liya. Kavya aur Arohi iss waqt Veer ke food truck se nikal hi rahi thi. Isliye woh dono hi ek saath Kritika ke ghar ke liye chal di.
Aadesh : Kal, wese toh log apni apni gaadiyo se hi aayenge. Lekin, fir bhi mujhe aapki gaadiya chaahiye. In case agar unki zaroorat padi toh woh kaam aa jayengi. Balki, Casa Belle ke workers bhi car me hi aayenge.
Kamal : A-Accha!
Aadesh : Aur mujhe security bhi chahiye. Aap keh dijiyega ki jitne bouncers bhej sakte hai bhej de.
Kamal : Kyu nahi! Ho jayega kaam!
Aadesh (smiles) : Good! Aur aap sab bhi raat 8 baje tak kaise bhi karke pahuch jaana. Theek hai na?
Kamal : Haan haan! Kyu nahi!
Aadesh : Toh mein chalta hu fir!
Kamal (nods) : Hmm!
Aadesh waha se ravana ho gaya. Aur uske jaane ke kuch derr baad hi yaha Kavya athwa Arohi Kritika ke ghar pahuch gayi. Woh dono hi Kritika ke hi room me baithi hui thi.
Kavya : Oye! Kya hua? Kyu bulaya?
Kritika : Pagal! Tum sunogi na toh khushi se jhoom uthogi!!
Kavya : Accha? Aisi kya baat hai?
Kritika : Arre mere Uncle hai ek. Tumne Casa Belle hotel ka naam suna hai na?
Kavya : Casa Belle? You mean woh newly opened hotel na? Sabse luxury waali?? Haan suna hai mene.
Kritika : Kal usme bohut badi party hai ek. Sab bade bade log aayenge. Aur mere uncle usi hotel ke owner hai. Aur unhone mujhe apni 2 friends ko bulaane ke liye allow bhi kar diya hai. Hehehe~
Kavya : Ohhh wowwww~
Casa Belle ka naam sunte hi Arohi ke kaan khade ho gaye. Woh jaanti thi ki Hotel Prestige me Chef Narang ne kya hadkamp machaya tha. Aur ye bhi jaanti thi ki uske peeche kis hotel ka haath tha.
Ye jaante hi ki Casa Belle ka owner Kritika se sambandhit hai, woh ek gehre chintan me doob gayi. Kintu, Kavya inn sab baato se anibhigya thi.
Kavya : Di!!! Hum kal chal rahe hai. Hai na???
Choti behan ki masoom si soorat dekh Arohi vichaar me kho gayi,
'What should I do? H-How can I go there? Woh hamare rivals hai. But then again-! Agar mein waha jaati hu...! Then, I might find something. Yes! I must go!'
Arohi (nods) : Okay!!!
Kavya : Yaaaaaayyyyy!!!
Kritika : Hahahaha!! Dii!!
Arohi : Mm?
Kritika : Aaj aap Kavya ko yahi chhor dijiye. Mein subah ghar drop kar jaungi.
Kavya : Haan dii!! Mein yahi ruk jaati hu na raat me.
Arohi (nods) : Okay! Subah time se aa jana lekin!
Kritika : Aap chinta mat kariye. Mein ise subah chhor jaungi.
Samay rehte, kaafi raatri me Arohi bhi waha se apne ghar ki orr chal di. Ab bas Kritika aur Kavya hi uske room me maujood the. Kavya ne Kritika ke hi ghar ke kapde pehen liye the aur woh dono hi bed par laite laite apni baato me lagi hui thi.
Kavya : Kaash Veer bhaiya ko bhi hum invite kar sakte. Kritika! Kya ye possible nahi?
Kritika : Yaar mene unse pucha tha. Lekin, unhone bataya ki ye party wesi hai hi nahi. In fact kal celebrities bhi honge waha. Mein toh abhi se pagal ho rahi hu. Mujhe itni badi party me invite kiya gaya hai. Ohh my goooddd!! Kitne handsome handsome actors honge waha~ ahhhh!!!!
Kavya : Handsome actors?
Kritika : Aur nahi toh kya paagal~ Ahh! Unke saath selfie lene ka mauka mil raha hai mujhe. Ohh goddd! Tumhe nahi click karwani kya?
Kavya : N-No!
Kritika : Huh? Kyu??
Kavya : Accha ek question puchu?
Kritika : Kaisa question? Puch na!!
Kavya (blushes) : K-Kabhi tumhe aisa nahi lagta?
Kritika : Kaisa?
Kavya (blushes) : Umm! Like..! Tumhara mann sirf ek hi ladke ko dekhne ka karta hai. Uski harr baat acchi lagti ho. Wo galat bhi kuch kar raha ho toh tumhe uska hosh na ho. Tumhe wo bhi sahe lage. In fact, tum iss baare me socho hi na ki woh kabhi kuch galat kar bhi sakta hai. Aisa nahi lagta tumhe kabhi kisi ko dekh ke?
Kavya ki baat sunn, Kritika ke mann me seedha Karan ki chhavi bann ke aayi.
Kritika : S-Sach kahu toh-! Haan mujhe bhi aisa lagta hai kabhi kabhi! Par ye kya? Oye! *chataak* Tujhe pyaar ho gaya kya kisi se?
Kavya : Ahhn! Maara kyu? Aaj meri bum dukh rahi hai. Maar mat!
Kritika (smirks) : Kisi se kuch karwa liya kya? Hmm? Hmm? ಡ ͜ ʖ ಡ
Kavya (blushes) : Dhatt! Ashleel ladki!!
Kritika : Ye mein kya sunn rahi hu? Oye! Tujhe sach me pyaar ho gaya kya? Baap re! Aur mujhe pata bhi nahi chala? Bata jaldi! Kaun hai woh?
Kavya (blushes) : H-Hattt!!
Kritika : Tu batati hai ya mein teri bum pe aur maaru?
Kavya : Ahn!! P-Pagal! *blushes* A-Aisa kuch nahi hai!
Kritika : Safed jhooth!!! Seedhe seedhe bata! Bata kaun hai woh! Meri naak ke neeche itna sab ho gaya aur mujhe khabar bhi nahi hai? Bol! Accha, ye bata kaisa dikhta hai woh?
Kavya (blushes) : Dikhne me...! Uska koi jawaab nahi! Bohut handsome! Bohut zyada! I-I cannot explain.
Kritika : Hmm? Toh thoda reference toh de. Like? Kartik Aryan jaisa?
Kavya : Noooo!
Kritika : Ah! Toh? Umm~ Shahid Kapoor jaisa?
Kavya : Nooo pagal! Actors ko kaha beech me ghused rahi ho. Use inn actors ki tarah make-up artists ki koi zaroorat nahi.
Kritika : Umm! Th-Then!! Karan jaisa?
Kavya : Karan se toh tu pyaar karti hai na. Noo! Not like him!
Kritika (blushes) : Wh-What?? K-Kisne kaha mein uss duffer se pyaar karti hu?
Kavya : Blah blah blah! Sabko pata hai ki tum dono ke beech kya chalta hai. Hmph~
Kritika (blushes) : E-Ehhh!? I-Itna k-kaise- ahhh!! Ohhh goddd!
Kavya : Hmm! Everyone knows it.
Kritika : That's- Okay! Leave that aside. Ahem!! Toh?? Veer bhaiya jaisa???
Iss baar Kritika ke itna kehte hi Kavya ke chehre ke haav bhaav hi badal gaye. Uske gaalo par laali ab saaf jhalak rahi thi. Kritika ne jaise sab bhaanp liya.
Kritika (smirks) : Hooo~ Toh ye baat hai.
Kavya (panics) : N-Nooo! A-Aisa kuch nahi hai! T-Trust me!
Kritika (smiles) : Toh woh ladka Veer bhaiya ki tarah handsome hai. Right?
Kavya : Ehhh?
Bechari Kavya ko laga tha ki Kritika ne use pakad liya. Magar, uska agla jawab sunte hi woh nishchint ho gayi. Kritika ko kuch nahi pata chala tha.
Kavya : H-Haan! *blushes* Tum yahi samajh lo.
Kritika : Veer bhaiya jaisa ladka tujhe kaha mil gaya? Aur woh bhi meri nazar se bach ke tune ye sab kab kar liya? Chaalu ho rahi hai tu bohut. Hmm? Kherr woh chodh! Aur ye bata ki tune approach kiya?
Kavya (droops) : I-I wish I could do that.
Kritika : Hmm! Matlab abhi kuch nahi hua?
Kavya (blushes) : I- I kissed him!
Kritika (bed se uchhalte hue) : Whaaaaaatttttttt?????
Kavya (blushes) : L-Lekin woh so raha tha. And-
Kritika : Oh! Pagal jab so raha tha toh kiss kyu kiya?
Kavya : It's impossible between us! *sighs*
Kritika : Aisa kyu?
Kavya : Kya tujhe Karan ko dekh ke kabhi aisi feeling aati hai ki uska aur tumhara kabhi kuch hona impossible hai.
Kritika : Kayi baar! Kyuki woh financially bohut strong hai aur meri uske saamne bhala kya aukaat.
Kavya : Mein financially baat nahi kar rahi.
Kritika : Hmm? Then? Fir kya problem hai?
Kavya : I- It's just-!! Woh aur mein ek nahi ho sakte.
Kritika : Haan lekin kyu? Ek minute! Tune married bande se pyaar toh nahi kar liya?
Kavya (blushes) : Paagal!!! Mein maar dungi tujhe~ Aisa nahi hai! He's not married... *mutters* Yet...!
Kritika : Yaar! Tu mujhe paagal kar degi. Batana bhi nahi hai. Par puchna bhi hai. Aisi kya baat hai jo tu aur woh ek nahi ho sakte?
Kavya (gloomily) : Bas aisa samajh lo ki... ek barrier hai. Hamare beech!
Kritika (sighs) : Jab tera mann kare toh bata dena. Kyuki, mujhe teri baatein na samajh aa rahi. *yawns* Chal so jaa!! Good night~
Kavya (nods) : Good night!
Kritika toh chaadar odh ke aankhein band kar lait gayi. Par bechari Kavya, apni taangein sikode wahi baithi na jaane kya sochti reh gayi.
***
Next day
Kaera's home
Evening ~ 6:38 PM
Kaera ke bhavya aleeshaan ghar me iss waqt Julia ek bathing robe liye waha khadi hui thi.
Ye bathing chamber tha, jo sirf aur sirf Kaera ke personal use ke liye hi tha.
*Splutter*
Paani me tairte hue woh Julia ke nazdeek aayi.
Julia : You have to get ready, Miss!
Kaera : I know Julia! Agar main nahi bhi jaana chaahu toh bhi mujhe jaana hi hai.
Julia : Then, what's the problem in it?
Kaera : Problem is that- Huhhh!???
Kaera ke bol akasmaat hi muh me hi dabb ke reh gaye. Woh jhatse Julia ki orr palti, jo use dekh muskura rahi thi.
Kaera : Y-You-!? You can understand Hindi?
Julia (smiles) : Mm-hmm! I have been learning Hindi for the last two years Miss.
Kaera (surprised) : You-!!? But you didn't even tell me!
Julia (winks) : I told you. Just now!
Kaera (smiles) : Can you speak as well?
Julia : I'm learning Miss! Although I can't speak for now. However, I'm able to understand it now.
Kaera (sighs) : That's a relief. It's good now.
Julia : So? Don't you want to get ready?
Kaera : Y-Yes!
Woh pool se nikal ke aayi aur bathing robe pehen apne room ki orr chal di aur theek peeche peeche Julia bhi chal padi.
***
Night ~ 7:40 PM
Veer's home
"Kuch rakhna toh nahi hai na?"
"Nahi nahi! Hum jald hi laut aayenge."
"Wese bhi hotel hi jaa rahe hai, right?"
"Yeah!"
Awaaz thi Tej aur Veer ki jo ghar se baahar nikal car me baithne jaa rahe the.
Veer : Ek minute! Ghost kaha gayi?
Tej : Ghost?
Veer : Arre hamari Rolls Royce. Kaha gayi woh?
Tej : Ahnn! That's- W-Woh-
Veer : Hmm?
Tej : Actually! Tum gussa toh nahi karoge na?
Veer : Kya hua? Bataiye na!
Tej : Actually, mein Arohi and Kavya ko driving sikha rahi thi. Mene unse promise kiya tha.
Veer : Toh thukwa di?
Tej : N-Nahi! Woh- Woh bas halka sa scratch laga hai aur side ka mirror thoda sa ukhda hai. Mene repair ke liye use bheja hai. Uska kharcha mein hi uthaungi. So- So please-
Veer ne aage aate hue uske sarr par pyaar se haath rakha,
Veer : Baat uski nahi hai dii. Paiso ki koi baat hi nahi hai. I don't care about that. Aur, mein gussa kyu karunga?
Tej : Nahi lekin galti meri hai na. Mujhe dusri waali car me unhe sikhani chahiye thi. Ye Scorpio me. Mein unhe jaan boojh ke usme le gayi. Kyuki mein bhi flaunt karna chahti thi.
Veer (smiles) : It's okay! Don't worry! Bas, mujhe turant hi bata diya kariye. Chhipaya mat kariye.
Tej (nods) : M-Mein dhyaan rakhungi. Ab chale?
Veer (nods) : Hmm!
Ghost repairing ke liye gayi hui thi, toh Veer ne Scorpio hi nikaal li. Andar se Bhumika bhi taiyaar hoke aa hi rahi thi.
Aur inn sabhi ko nyota aaya tha ~ Casa Belle ki orr se.
Veer jaanta tha aisa kuch Aadesh zaroor karega aur isliye woh taiyaar baitha tha.
Jaan boojh ke Veer waha jaa raha tha. Woh jaanta tha Aadesh ne use kuch neecha dikhaane ke liye hi ye plan kiya hoga. Ya woh pehle se hi ye karna chaah raha hoga aur Veer bas uss time uske aade me aa gaya.
Jo bhi tha, aaj raat Veer ko saari situation apne control me leni thi. Aaj harr vyakti ko use apne favour me lena tha.
Bhumika jaise hi ready hoke aayi toh Veer ko dekh puchi,
Bhumika : H-How do I look Veer?
Veer (glances) : Hmm? *smiles* Amazing dii!
Tej ne bas Veer ko dekha. Boli kuch nahi. Woh sabhi jab porch se bahar nikal baahar car me baithne ke liye hue, toh Bhumika toh andar chali gayi baithne. Magar, Veer ke andar jaane se pehle Tej ne uska haath thaam use rok liya.
Veer : ???
Tej : Aur mein? Mere baare me kuch nahi kehna hai?
Veer (smiles) : Do I really have to tell you ki aap kitni sundar lag rahi ho? Hmm?
Tej (blushes) : Thank you! Aur haan, tumhe bolna padega. You are looking great too~ Come! Jaldi chalo! Waha pakke se kuch hoga. Aur iss baar mein control nahi karungi khud ko.
Veer : Don't worry! I'll handle it well!
Woh sabhi apne ghar se ravana ho gaye.
***
Casa Belle~
Night ~ 8:12 PM
*Chitter* *Chatter*
Logo ki chehel pehel thi, gaadiyo ka shor parking area me ho raha tha. Tamaam bade se bade log ek ke baad ek aa rahe the. Red carpet unke swagat ke liye bicchaya gaya tha.
Kehna galat nahi tha ki Casa Belle sirf Mumbai ki hi nahi, balki poore Maharashtra ki sabse mehngi aur luxury hotel thi.
Ye kehna bhi galat nahi tha ki Casa Belle interior, luxury aur services ke maamle me kisi 7 star hotel se kam nahi thi.
Aadesh Jaisinghani kaafi raees tha. Aur usne apna adhiktar paisa iss hotel me jhok diya tha.
Veer, Tej aur Bhumika jaise hi hotel ke baahar pahuche, alishaan hotel ko dekh unke muh band the.
[Be careful ~]
Pari ki awaaz achanak hi mann me goonji.
'Kyu? Kya kuch gadbad mehsoos ho rahi hai tumhe?'
[I'm getting some vibes. Just be alert!]
'Alright!'
Bhumika : No wonder, he dared to hire our chefs.
Tej : Kehna toh nahi chahiye lekin ye hotel waqai 5 star se bhi upar ki lag rahi hai.
Bhumika : I agree!
Veer ne dono ko car se utarwaya aur woh car park karne laga.
Abhi woh utar ke aaya hi tha ki, uski nazar kisi pe padi.
Veer : Huh?? Arohi di??
Saamne Arohi khadi hui thi.
Arohi : Huhh!!? Veeerrrrr????
Woh turant hi tezz qadmo ke saath uske paas aayi.
Veer : Aap yaha?
Arohi : Hmm! Mujhe aur Kavya ko toh Kritika ne bulaaya tha. Casa Belle ka owner Kritika ke uncle lagte hai. Aur mein aayi thi iss aim se ki kuch pata lag sake.
Veer : I see! But mujhe usne directly invitation bheja hai.
Arohi (frowns) : Something is wrong!
Veer : Yeah!! He might be framing something.
Arohi : Thoda chaukanna rehna.
Veer (nods) : Hmm!! Kavya kaha hai?
Arohi : Woh Kritika ke saath upar balcony me hai. Look! There~
Veer ne dekha toh paaya ki Kavya Kritika ki balcony me upar kuch pictures click karne me lagi hui thi.
Tab tak Arohi aur Bhumika bhi use dhoondhte hue peeche aa gayi. Dono vi Arohi se bhi mili aur unhe pata chala ki woh kyu invited thi.
Veer aage badha hi tha aur hotel me pravesh karne hi wala tha jab peeche se kaafi shorgul hua aur photos click hone ki awaazein aane lagi.
Nazar padte hi use ek nahi do do baar aashcharya hua.
Pehla toh ye ki-
Sonia!!!!
Apni yellow coloured beautiful dress me cameramans ke aakarshan ka kendr bani hui thi.
'Shit!!! Miss Sonia? Yaha?'
Woh kisi ke saath chalte hue aa rahi thi.
Aur dusra jhatka use tab laga jab-
Kaera!!!
*Click* *Click*
Jiske ird gird tamaam photographers, uske bodyguards aur toh aur uski family se leke uski personal maid Julia aur secretary Ruchika bhi maujood thi.
'Goddamn it!!!'
Aur agar kahi Suhana bhi rahi, toh na jaane Veer inn sab ke saath saath Aadesh ko kaise jhel payega bhala?
Pari uski sthiti samajh sakti thi. Aur iss baar harr waqt seducing tone rakhne waali Pari bhi bas yahi boli,
[I wish you good luck!]
.
.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys.
1 ya do din late hai ye update. Mein ujjain me hu. Kyu hu, kya kar raha hu woh mein batana zaroori nahi samajhta ab. Bas, rakhi me yaha aa gaya hu. The artwork is done by again our man Diplomatic GladiatorA big thanks to him. Update consists of 8.1k words. Target apna wahi hai guys. 150. Like thokne ka aur revos rakhne ka.
Dhanyavaad!![]()
190 ho gaya toh usme kya?Bhai 150 jaghah 190 ho geya...... Update kidhar hai
Bahot jabardast update bhaiUpdate - 159 ~ The Hourglass Method (2)
Ab tak...
A little summary :
Update - 151 ~ Veer Paris se laut ke India aata hai jaha uss par sawaalo ki jhadi lagayi jaati hai. Ghar pe bhi aur media se bhi. Exams shuru hote hi woh College bhi jaata hai jaha woh Nidhi se apne dil ki baat keh deta hai.
Update - 152 ~ College ke dauraan Ajay Jacky Bhai ko leke aata hai Veer ko sabak sikhaane ke liye par uska waar ulta pad jaata hai. Jacky Veer ki seva me lag jaata hai aur Veer Nidhi ma'am ke sang stay karne jaata hai.
Update - 153 ~ Nidhi ke ghar pe Pari ki nayi personality jaagti hai. Tej Veer ko leke Bhavna se apni baat rakhti hai. Veer Nidhi se nazdeekiya banaane ke chakkar me thappad kha jaata hai. Shreya ko Veer offer deta hai magar Nidhi Shreya aur Veer ko ek saath dekh leti hai.
Update - 154 ~ Bhumika Hotel Prestige ki samasya bataati hai. Toh wahi Sonali Veer ko chidhaane ke liye Kaushik ke sang ghoomne nikal jaati hai. Veer hotel Prestige me Narang ki hekdi nikaalta hai aur Bhumika se uski nazdeekiya badh jaati hai. Mauka dekh ke Kaushik Sonali ko sunsaan jagah le jaata hai.
Update - 155 ~ Kaushik Sonali ke saath zabardasti karne ki koshish karta hai magar samay par Veer pahuch jaata hai. Veer use kachre ke dher me daal deta hai. Rookha rookha sa vyavhaar Veer Sonali ke prati rakhne lagta hai. Jis se Sonali ka dil chhalni hone lagta hai. Aur Veer ko manaane ke liye woh food truck se bhaag jaati hai.
Update - 156 ~ Veer Sonali ko dhoondhne ke liye nikalta hai. Use wapas chalne ko kehta hai parantu Sonali mana kar deti hai. Iss ladayi ki galat fehmi me janta Veer ko gher leti hai, jis se ghabra ke Sonali use bachaane aati hai. Pait dard ka bahana kar wo use hotel ke room me le jaati hai jaha dono ke beech sangam hota hai.
Update - 157 ~ Ghar laut Veer Sonali ko leke aata hai. Tej ke sang woh Shyaam ji ke bheje gaye kisaan bhaiyo ka kaam dekhne jaata hai jaha lautate waqt wo Tej ko bike chalana bhi sikhata hai. Waha se Veer Purvi maasi ke ghar jaata hai jaha woh Purvi ko nagn awastha me dekh leta hai. Mystic Touch ke chalte Purvi madhosh ho jaati hai aur Veer ko ghar se bhaga deti hai.
Update - 158 ~ Subah subah Veer Suman aur Aabha ke sang oral sex karta hai. Saath hi Aabha ko traveling ki khushkhabri bhi deta hai jiske chalte Aabha bhavuk hoke uss se lipat jaati hai. Veer apni maa Bhavna ko station chhorne jaata hai jaha woh unke jaate jaate unhe chocolates thama deta hai. Tamanna aur crew show ke season 2 ki starting Mumbai Street foods se karte hai jaha Veer ka food truck bhi aa jaata hai surkhiyo me. Tamanna use walk par le jaati hai magar usi beech Veer ke dono food trucks ko tabaah kar diya jaata hai.
Ab aage...
*Thump*
"Ye rahi tumhari raqam!!"
Ek chota sa briefcase ek aadmi ne table par rakhte hue saamne baithi aurat se kaha.
Aurat thodi vichlit si nazar aa rahi thi. Usne briefcase ko apne haatho se thaama. Aisi raqam yeh aadmi iss aurat ko aksar de diya karta tha.
Aurat ko inn paiso ki koi zaroorat nahi thi. Woh pehle se hi aaj ki tareekh me moti raqam kamaane waali mahila thi. Kintu, woh toh bas jaise abhi yaha se jald se jald jaana chaahti thi. Woh briefcase leke uthne hi waali thi ki,
Aadmi : Theher jao! Itni bhi kya jaldi hai?
Aadmi ne apne muh se jalti hui cigarette nikali aur usko saamne rakhi ash tray me rakh bujhaya. Fir apni office chair par baithate hue use dekh bola,
Aadmi : Maanana padega. Tumhara kaam ekdum solid rehta hai.
Saamne baithi aurat koi aur nahi, balki Tamanna hi thi. Woh ahista se boli,
Tamanna : Agar koi aur kaam nahi hai toh kya mein jaa sakti hu? Mujhe thoda urgent hai.
Woh thoda darrte hue boli. Kyuki, saamne baitha ye aadmi koi aera gaira vyakti nahi tha. Ye tha Casa Belle ka iklauta owner ~ Aadesh Jaisinghani!
Kareeban 32-33 ki umr ka yeh aadmi market me kayi saari hotels ka maalik tha. Parantu, unme se ek hi thi jo ek sabse badi brand bann ke saamne aayi thi.
Aur woh thi ~ Casa Belle!!!
Baaki, hotels bhi aalishaan thi magar Casa Belle ki funding alag starr ki thi. Iss ek hotel me Aadesh ne itna paisa invest kiya tha, ki aaye din yeh foreigners aur vloggers ke liye aakarshan ka kendr rehti thi.
Aadesh ne Tamanna ki ghabrahat ko uske chehre se hi pakad liya. Aur sach kaha jaaye toh woh iss baat ka lutf uthata tha.
Aadesh : Chali jaana! Itni bhi kya jaldi hai? Tum bhala kab se meri baatein taalne lagi?
Tamanna : A-Aisa toh kuch bhi nahi hai. Mein bhala kyu-
Woh hich-kichayi. Aadesh ka aadesh woh kabhi na maane, aisa ho hi nahi sakta tha.
Aadesh : Tum bhool gayi kya ki jab tum kuch bhi nahi thi, tab mene hi tumhari madad ki thi.
Tamanna : M-Mein kyu bhulungi bhala-
Aadesh (smiles) : Jab tum idhar se udhar struggle kar rahi thi. Do waqt ki roti ka ata pata nahi tha! Koi tumhari sunta nahi tha, hotels aur restaurants jab tumhe dekh kisi bhi interview ya visit ke liye nakaar dete the. Tab mene hi woh sab paane me tumhari madad ki thi. Right?
Tamanna : R-Right!
Aadesh : Toh badle me tumhe nahi lagta ki tumhe uss aadmi ka harr woh kaam khushi khushi karna chahiye jisne tumhe aaj iss qaabil banaya? Iss muqaam pe pahuchaya!? Hmm?
Tamanna : M-Mene kaam kar toh diya hai. Ab aur kya baaki-
Aadesh (smiles) : Kaam abhi kaha khatam hua hai Tamanna! Abhi kaha!!! Abhi toh bahut kuch baaki hai.
Tamanna (frowns) : A-Aur kya-!? K-Kisi ko chot pahuchana aise- y-ye sahi nahi-
Aadesh : Tumne duniya dekhi hi kaha hai abhi Tamanna. *smiles* Food industry bhi ek underworld jaisi hi hoti hai. Jiske paas paisa aur taaqat hoti hai, naam usi ka chalta hai.
Tamanna (frowns) : Ek hotel taaqat se nahi, waha ke chefs ke haatho ke swaad, owner ki imandari aur acche swabhaav se chalti hai.
Aadesh : Tum kuch nahi jaanti. Chefs ke haatho ka swaad bhi paiso se hi khareeda jaata hai Tamanna! Mere paas aaj ek se ek chefs hai. Jinhe mein acchi khaasi pagaar de raha hu.
Tamanna : That's-
Aadesh : Abhi toh sirf humne unn namune chef on wheels waalo ko ek warning di hai. Unhe ye pata hona chahiye ki uss jagah par sirf ab Casa Belle ke hi stalls lagenge. Dur dur tak koi competitor nahi hona chahiye meri hotel ka. Aur agar hote bhi hai toh hamara maqsad ek hi hona chahiye.
Tamanna : !!?
Aadesh (smiles) : Unhe tabaah karna!
Tamanna : Magar-
Aadesh : Ab tum mujhe sikhaogi ki kya karna hai?
Tamanna : N-Nahi!
Woh sehem ke reh gayi. Tamanna apne career ke shuruati daur me behad struggle kar rahi thi.
Woh aaye din yaha se waha bhatakti rehti thi. Kabhi kisi hotel me use kitchen me ghusne ke liye mana kar diya jaata toh kahi behes baazi ke chalte use seedhe baahar hi nikal diya jaata.
Parantu, khaana pakaane se leke khaane ka lutf lena aur recipes ki teh tak jaake uska aaklan karna, yahi Tamanna ka junoon tha.
Aur yeh khoobi, Aadesh ne kaafi pehle hi apni paarkhi nazro se gaur kar li thi. Woh jaan chuka tha ki ye ladki ek chalta firta acchi aamdani ka source bann sakti hai.
Aadesh ne kiya bhi wahi. Uske dimag me do hi cheezein ghooma karti thi.
Paisa aur Taaqat!
Na sirf usne Tamanna ki aarthik roop se madad kar use ek nayi hasti me tabdeel kiya. Balki, apni taaqat ke darr se use apne kaamo ko karwane ke liye bhi vivash kar diya.
Darr ke chalte Tamanna harr woh kaam karti jo Aadesh chaahta. Tamanna ke paas kitna hi paisa kyu na ho. Aadesh se zyada nahi tha.
Aur na hi itni taaqat ki woh uske khilaaf awaaz utha sake.
Aaj jo kuch bhi usne kiya, wo ek majboori thi. Woh jaanti thi yeh galat tha. Iss waqt andar se woh bas unn peete gaye bechare workers ke baare me soch rahi thi jinka koi kasoor bhi nahi tha, par fir bhi woh inn sab ki chapet me aa gaye.
Aur unhi workers ke saamne hospital ke ek ward me Veer Prachi ke sang khada hua tha.
Night ~ 9 : 14 PM
Uski aankhein bas alag alag bistar par laite apne ghayal workers ko dekh rahi thi.
Yeh sabhi, din raat mehnat karke use paisa kama ke de rahe the. Magar, aaj unn sab ka yeh haal ho rakha tha.
[Look! Kya haalat kari hai unn sabne tumhare workers ki. Even after your presence, they got hurt. You couldn't protect them. What are you gonna do now?]
Pari ek kapti muskaan ke saath boli. Woh excited thi. Jaise woh jaanti thi ki ab kuch bada ghatit hone waala hai. Aur bilkul tabhi,
*Ding*
[Mission : Teach a lesson to Casa Belle's owner.
Time Limit : 1 week
Rewards : ???
Mission Failure Penalty : 5000 Points.]
Mission mil chuka tha.
Pari ki iss personality ne Veer ka raudr roop nahi dekha tha. Jaise woh apni aankhon se Veer ko tabahi machaate dekhna chaahti thi. Yahi kaaran tha jo woh itni zyada utsuk ho rahi thi.
Veer khamosh bas khada raha. Ab jab mission mil chuka tha toh khud ko rokne ki koi wajah nahi bachi thi uske paas. Prachi bechari ne jab hospital ka nazara dekha toh woh glaani aur hamdardi ke chalte Veer ki baah kass ke pakad, uss se chipak ke khadi ho gayi.
Workers dard se karaah rahe the. Kisi ki chot par se khoon ko saaf kiya jaa raha tha toh kisi ko X-ray ke baad plaster bandhwane ke liye bheja jaa raha tha.
Veer aage badha, aur ek worker ke paas pahucha jo bed par laita hua tha. Uske haath par plaster baandha jaa raha tha.
Aise andar kisi ko allow nahi kiya jaata tha magar, anumati leke Veer aur Prachi andar aa gaye the.
Veer ko dekhte hi woh worker apne aasu rok na saka. Ek naujavan tha, jo padhaayi ke saath saath part time naukri ke liye food truck par kaam karna shuru kiya tha.
Aaj uski ye dasha ho rakhi thi.
Worker : S-Sir-!!
Veer : Utho nahi! Laite raho!
Worker : J-Jii!
Prachi : Kitna maara hai unn sab ne! Ssss~ Dekh ke hi mujhe toh-
Veer bina kuch kahe uss worker ke kaan ki orr jhuka aur pucha,
"Kitne log the!?"
Uski awaaz ka bharipann worker ne turant hi mehsoos kar liya. Ek sihran uske poore shareer me daud gayi.
Worker : S-Sir-!!
Veer : Ghabrao nahi! Bas batao! Kitne log the?
Worker : K-Kareeb 15-16 log rahe honge.
Veer : Kya pehne hue the?
Worker : Sab alag alag kapdo me the Sir.
Veer : Unhe pehchaan'ne ke liye koi clue hai?
Worker : H-Haan! Unme se ek tha. Unka leader. S-Sab use Surya keh ke bula rahe the.
Veer : Kya pehna hua tha?
Worker : G-Gale me ek sone ki chain thi moti. Daadhi moochh badi thi. Baal medium size. Dikhne me zyada hatta katta nahi tha par dubla bhi nahi tha. W-Wahi tha jo sabko lead kar raha tha. Hum sab ne kitna samjhaya aur sab kuch rokne ki koshish ki par-
Veer : Don't worry!
Worker : S-Sab Tod diya Sir- 2 trucks! Poore ke poore *sniff* 2 trucks ko unn logo ne barbaad kar diya. H-Hume maaf kar do Sir. Hum log kuch nahi kar paaye-
Veer na keval iss worker ki loyalty se khush tha balki woh yeh jaan ke aur bhi khush tha ki uske worker ko truck barbaad hone ka zyada gam tha. Na ki apne haath tootne ka. Ye baat ye darshati thi ki aadmi apne kaam ke prati kitni lagan rakhta tha. Aur Veer ko aise hi workers chahiye the.
Woh food trucks kho sakta tha. Aise loyal workers nahi.
Veer : Food trucks ki chinta mat karo. Unhe hum wapas taiyaar kar lenge. Tum araam karo. Jab tak theek nahi ho jaate, kaam pe aane ki zaroorat nahi hai.
Worker : P-Par-
Veer : Don't worry! Tum sab ki mahine ki poori pagaar tumhe milegi. Aur tum sab ka medical bill bhi mein hi pay karunga. It's my responsibility.
Worker : S-Sir-!
Bechara worker bhavuk ho utha. Aur bas haami bhar aankh band karte hue lait gaya.
Peeche khadi Prachi ki aankhon me Veer ka sthaan aur upar uth gaya. Veer ek leader ki sahi paribhasha tha uski nazro me.
Veer : Let's go!
Prachi : Huh!? Kaha?
Woh bina kuch kahe bahar nikla aur Prachi uske peeche peeche daudati hui aayi.
Veer ne call bhidaya aur seedhe Balhar ko phone lagaya. Balhaar ne kuch hi rings me phone utha liya,
Balhaar : Hello?
Veer : Surya naam ka koi gang ka banda hai jo daadhi moochh rakhta hai, gale me sone ki chain daalta hai aur sarr par medium length ke baal hai. Aise kisi aadmi ko tum jaante ho?
Balhaar : Hmm?? Surya?? Nahi! Agar koi bada aadmi hota toh zaroor mere dhyaan me hota. Filhaal, mujhe iss baare me kuch nahi pata. Par agar woh waqai me gang ka member hai, toh mere aadmiyo ko iss baare me zaroor kuch pata hoga. 2 minute rukna. Mein abhi puch ke batata hu.
Veer (nods) : Hmm!
Veer ne call cut kiya aur chalte chalte hi usne agla phone Karan ko lagaya. Peeche se aa rahi Prachi sab kuch sunn rahi thi aur bas soch rahi thi ki bhala kaun hoga woh insaan jisko Veer ne ek aadmi ka pata karne ke liye kaha. Zaroor koi bada aadmi hi hoga.
Woh khush thi ki uske food truck ka owner iss samsya ki teh tak jaane ki koshish kar raha tha. Magar, chintit bhi thi ki kahi unhe kuch ho na jaaye.
Idhar Karan ne jab Veer ka phone uthaya toh woh aaj apna saara kaam jaldi khatam kar ke bas sone hi jaa raha tha.
Karan : Veer?? What the hell? Ab yaad aa rahi hai tumhe? You nuts or what? And what the hell was that?
Veer : Kya hua?
Karan : Kya hua???? I'm talking about Paris, France incident. Karne kya gaye the tum waha?
Veer (sighs) : Iss baare me hum fir kabhi baat kare? I really have some important work here.
Karan : Haan haan! Sure sure! Why not? Ab kaam aaya toh mein yaad aa gaya tumhe?
Veer : Yes! Now listen to me! Tamanna naam ki food blogger hai ek. I need to know-
Karan : Tamanna? Oh! Are you talking about that Tamanna? Jo worldwide famous hai? Recently abhi Mumbai aayi hui hai aur apne show ke second season ki shuruaat bhi kari hai? She's so good right? Shit man! Mein naya season abhi start hi nahi kar paaya dekhna. Too much work!
Veer : You fucker-!!! Mujhe uske baare me harr ek details chahiye.
Karan jo happy mood me bistar par bas peeche dhunangne hi jaa raha tha woh Veer ki baat sunn achanak se hadbadi me uth gaya.
Karan : Wh-What the fuck!!? Tumhe uski details kyu chahiye.
Veer : Lambi kahani hai. Just do as I say.
Karan : Hey hey hey! Mein naukar nahi hu koi okay?
Veer (sighs) : Yeah Yeah! It's a request. Now send me the details.
Karan : Who the hell requests like that? Anyways, hold par rakho call. Mere paas ek number toh tha- Shit!!! Kaha gaya?? Woh card!! She gave me one I remember!!! Fuckkkk! Kahi kisi ne dekh to nahi liya? N-Noo! Mene to yahi chhipaya tha. Julia? Nahi! Wo mere kamre me aati hai to bata deti hai. Gaya kaha?? Damn ittt!!
Karan apna samaan sab idhar udhar kar jaise kuch dhundh raha tha. Aur Veer idhar uski bakwas sunte jaa raha tha.
Karan : Yesssss! Mil gaya!!! This girl-! She's an information seller. Haha! Tumhe kya laga? Kya bas mere dad aur meri behan ka hi network strong hai? Even I have various contacts you know. Now just wait a minute.
Karan ne itni derr me uss card se number ko dial kiya aur uss information bechne waali ladki ko Tamanna ke baare me saari details nikaalne ka keh diya.
Karan : Mene use keh diya hai. Ye kaam woh mere liye free me kar deti. Lekin, tumhe saari details abhi chahiye. So she charged a little. Anyways, mein kuch derr me tumhe report send karta hu jaise hi mujhe milti hai toh.
Veer : Hmm! Thanks!
Veer ne call rakha aur car ka darwaza khol Prachi ko baithne ke liye kaha. Prachi aage driver ke bagal waali seat par virajman ho gayi.
Veer driver seat par aake baitha tabhi Balhaar ka bhi call waapas aa gaya.
Veer : Hello!?
Balhaar : Hmm! Surya ek gang ka hi member hai. Akkhe Mumbai par meri nazar rehti hai. Pichle 2 mahino se ek Sarabhai gang hai jo kaafi active chal rahi hai. Mere aadmiyo ki bhi bhidant unse ek baar hui hai aur unn ko kaafi acche se dhoya tha mere aadmiyo ne.
Veer : Sarabhai gang! Huh!!?
Balhaar : Hmm! Sarabhai kar ke ek aadmi hai jo iss gang ka leader hai. Aur Surya isi gang ka sadasya hai.
Veer : Samjha!
Balhaar : Kuch hua hai kya?
Veer (smiles) : Mere 2 food trucks tabaah kar diye gaye hai. Aur wo bhi meri gerr-maujoodgi ke waqt. Saath hi mere employees ko bhi maara peeta gaya hai jiske chalte woh hospitalized hai. Casa Belle naam ki hotel hai aur uske hi owner ne gang members ko hire kar ke ye sab karwaya hai taaki uski hotel ka koi competitor na rahe aas paas.
Balhaar : Agar aisa hai toh mujhe keh do. Mein turant hi saale ki-
Veer : Nahi nahi! Mein iss se khud deal karunga. Thodi tabahi mein bhi toh dikha du unhe.
Veer ki baat sunn Balhaar ke maathe pe paseena jhalak utha. Use sab kuch yaad tha. Kaise Slogan ko maara gaya tha. Ye Veer naam ka ladka kitna khatarnak tha iss baat ka poora andaaza tha use.
Veer : Jab mujhe kuch lagega toh mein bata dunga. Haan ek baat aur-! Mujhe inn gangs ka address bhejo. Kaha inka hideout hai, kaha ye chhipte hai aur iss waqt kaha honge.
Balhaar : Abhi bhejta hu.
Veer : Hmmm!
*Call ends*
Veer ne ek gehri saans li. Bagal se baithi Prachi apni badi badi aankho se use bas utsukta se dekh rahi thi.
Soch rahi thi ki akhir uske owner ke itne saare bade logo se contacts kaise the?
Veer : Kya hua?
Prachi : N-Nahi! Kuch nahi!
Veer kuch aage kehta ki tabhi Karan ne waha se Tamanna ki saari reports bhej daali. Uska poora parcha- chittha hi khol ke rakh diya.
Veer ne fatafat report ko skim kiya aur use sab kuch samajh aa chuka tha. Bas ek baat adhuri thi report me. Woh yeh ki report me ye mentioned nahi tha ki Tamanna ne akhir safalta kaise praapt ki?
Kintu, Veer ne yaha saare dots ko connect kar liya tha. Agar Tamanna Casa Belle ki taraf se aayi thi uske saath chhal karne. Toh zaahir tha ki Tamanna ko safalta ki seedhiyaan chadhwaane ke peeche kiska haath tha.
Casa Belle ke owner ka!!!
'Toh yeh chakkar hai!'
[What now? Am I up for a show? (◠‿◕)]
'Sure! Why not?'
[I'm excited! Fufu~]
Prachi : U-Ummm-!
Veer : Hmm?
Prachi : A-Abhi hum kaha chal rahe hai?
Veer : Abhi hum unn namuno ki khatir-dari karne jaa rahe hai jinn logo ne hamare workers ka yeh haal kiya.
Prachi : K-Kyaaaaaaa!!????
Veer : Daro nahi! Pehle tumhe ghar chhorunga uske baad hi mein waha jaunga.
Prachi : Kyaaaaa?? Nahhiiiiiii!!!
Prachi ne ekdum se uska haath thaam liya. Unn gunde log se ladne ke liye woh apne owner ko akele jaane de? Hargiz nahi!
Prachi : H-Hum bhala unn sab se kaise lad sakte hai? P-Police ko complaint karni chahiye hume.
Veer : I don't think that will help us.
Prachi : Kyuuuu???
Veer : Ek gang ka haath hai iske peeche. Agar, police help karti bhi hai toh unhe paisa deke maamla rafa dafa kar diya jayega.
Prachi : Hamari Police aisi nahi haiii!!!! W-Woh hamari madad zaroor karegi.
Veer : I know! Lekin, gangs se deal karna itna asaan nahi hota. Police members ki bhi apni families hoti hai. Aur ye gangs pehle se sab kuch pata karne ke baad fir apna kaam karti hai.
Prachi : I-Iska matlab-!
Veer : Hmm! Police iss matter ko solve nahi kar payegi. Ye gang members unki family ko nuksaan pahucha sakte hai. Agar woh kuch karna bhi chaahe toh unhe aage chalke rukna hi padega.
Prachi : T-Toh fir?
Veer : Toh fir bataya toh. Mujhe hi jaana hoga.
Prachi : Nahhhhiiiiiiii!!!!
Usne fir Veer ka haath kass ke thaam liya.
Veer : Kya hua?
Prachi : Aap pagal ho kya? Aap kaise jaa sakte ho? Ye toh khud ke perr par kulhadi maarne jaisa hai. Mein aapko akele jaane nahi dungi.
Veer (smiles) : Toh fir tum bhi chalo!
Prachi : Ahhh!!!? M-Meinn? P-Par!! Th-Theek hai! Mein chalti hu aapke saath. Lekin, aap kuch karna mat. Aap unse ladoge nahi.
Veer : Toh kya karenge?
Prachi : B-Bas dekh lenge. A-Aur police-
Veer (sighs) : Mene kaha na police help nahi kar payegi.
Prachi : Lekin police ko batana hamara farz banta hai.
Veer : Tum chalo pehle.
Iske pehle ki Veer gaadi start karta utne me hi uska mobile vibrate hua. Dekha toh paaya ki Balhaar dwaara use Sarabhai ki ek gang ka address mil chuka tha jisme Surya involved tha.
Veer : Let's go-!!!
Prachi : Th-Thoda sambhal ke!!!
*Vrrrooooooooommmm*
Aur, Veer ne gaadi aage badha di.
Raaste bhar ek shaanti si chhayi hui thi. Raat me Veer use kaha le jaa raha tha woh nahi jaanti thi. Lekin, use vishvaas zaroor tha ki Veer kuch bhi aisa wesa nahi karega.
Prachi : Ch-Chef!?
Veer : Hmm?
Prachi : A-Aur kitni dur hai?
Veer : Bas pahuch hi gaye!
Kuch hi shan baad Veer ne gaadi ek sunsaan si jagah par rok di. Prachi apna sarr chaaro orr ghuma ke dekhne lagi aur sochne lagi ki bhala gaadi yaha kyu ruki?
Aur use fir thodi hi dur ek warehouse sa kuch nazar aaya. Veer ne darwaza khola aur band kar woh ghoom ke Prachi ke darwaze ki orr aaya. Uska door khol Veer uski orr jhuka aur bola,
"Mein waha andar jaa raha hu. Aur tum!! Yaha andar hi rahogi! Samajh gayi?"
Prachi : K-Kyaaaa? Nahiiii!
Veer : Chaahe kuch bhi ho jaaye, tum car se baahar nahi niklogi. Theek hai?
Prachi : Nahiiii! Aap akele kaise jaa sakte ho?
Veer : Don't worry about me! Mujhe kuch nahi hoga.
Prachi : Nahhhhiiiiiii!!
Veer : Mene kaha na!!! Jitna kaha hai utna karo!!!
Veer ki awaaz iss baar sunn, Prachi firse uska virodh karna chaahti thi par uske muh se kuch na nikla. Intimidating Presence ne jaise Prachi ko apni baat manwaane par majboor kar diya.
Woh bas haule se sarr haan me hilaayi aur darr ke baith gayi. Veer ne darwaza band kiya aur woh warehouse ki taraf chal diya. Andar baithi Prachi ki dhadkane behad tezz ho rakhi thi.
Baahar ye khaali padi building, sunsaan aur viraan si prateet ho rahi thi. Lag raha tha ki kaafi samay se band pada hua tha yeh warehouse.
Veer bina kisi bhay ke andar gaya aur uski aankhon par laal rang ki parat chadh gayi. Idhar udhar satarkta se dekhte hue usne andar ke area ka jayza liya.
Use samajh aa gaya tha ki jitne bhi log yaha thehre hue the woh sabhi andar maujood the.
Andar se ek peele rang ke bulb ki roshni bhi aa rahi thi aur kuch dabi dabi awaazein bhi.
Woh ahista ahista uss area ki taraf badhne laga. Apne chaaro orr traps ke liye bhi woh khud ko satark rakhe hue tha.
Parantu, use aisa koi bhi trap nahi mila. Shayad yeh bas ek temporary hideout tha iss gang ka.
Veer ne jhaank ke andar dekha toh beshaq 10-12 log daaru peete hue taash ke patte khel rahe the. Bulb wire se latak raha tha aur neeche gol si table ke ird gird sabhi baithe hue the.
Table par patto ke saath saath chakhna aur paise bhi bikhre pade the.
"Ye rahi meri flash!!! Hahaha! Aur akhiri ye color!!"
"Akhiri mera run hai! Lao Bhai!! Hahaha!"
"Surya Bhai fir baazi maar gaye. Do baar tirel haath lagi."
"Haan haan! Mera ek bach gaya. Kitne lage mere?"
"100 ki baazi thi na. Tu 20 de be. Baaki jinke ek bhi nahi bach paaye sab 100-100 denge."
"Surya Bhai toh aaj kamaal hi kar rahe hai. Aaj kya khaas baat hai bhai?"
"Aaj tumhara Bhai khush hai bhosdiwalo! Hahaha!"
Surya naam sunte hi Veer ke kaan khade ho gaye. Usne dekha toh paaya ki jaisa uske worker ne bataya tha, theek wesa hi Surya vastav me dikhayi de raha tha.
Veer ne aas paas nazre ferr neeche se ek mazboot sa patthar uthaya aur usne andar latak rahe bulb ki orr dekha.
Fir seedha zorr se uss bulb ki taraf patthar feka,
*Ding*
HAWKEYE!
*Craaaaaaasssshhhhhhh*
Agle hi pal andhkaar ne warehouse ko gher liya.
"K-Kaaaaauuunnnnn???"
"Kaun hai bey!!!??"
"Light jalao jaldiii!!!"
"Ye madarchod kisne kiyaaa???"
Bulb ke phootate hi andar ki shaanti shor me tabdeel ho gayi. Veer ye pehle kar chuka tha. Ushant Island ki building me usne yahi tarqeeb apnaayi thi. Toh use dobara apnaane me koi dikkat nahi hone wali thi.
[Hooo~ Nice idea!!!]
Woh mauke ka fayda uthaate hi seedha andar unn 12-13 logo ki orr akele lapka.
Sab aadmi jab afra tafri me the tabhi unme se ek aadmi ka haath kisi ne andhere me jakad liya.
"Huhhhh!!? Kaunnnn?"
Par woh jawaab jaan paata uske pehle hi uska haath,
*Crack*
"Aaaaaaaaaaaaaaaaaaahhhh~"
Ek dardnaak cheekh waha goonj uthi.
Aur uski cheekh ne baaki aadmiyo ko bhi satark kar diya. Unme se kuch mobile ki torch jala ke idhar udhar dekhne lage. Toh wahi Surya zorr se chillaaya,
"Behanchodo wo emergency light jalao!!! Jaldi!!! Koi ghusa hai idhar!!! Sab chaukanne ho jao!!!"
Sabki aankhein chaaro taraf daud rahi thi par unhe kahi koi nazar nahi aa raha tha. Unka dushman jaise andhere me ghul ke mil chuka tha.
"Aaaaaaarrrrgghhhh!!!!"
Peeche se ek aur aadmi cheekha, baaki log palat ke use dekhe toh unhe kuch andhere me nazar nahi aaya. Sabhi ne mobile ki torch jalaayi aur firse use dekha toh paaya ki uss aadmi ka haath ajeebo gareeb disha me muda hua tha. Woh bhayanak cheekh maar ke dard se karaah raha tha aur neeche bin paani ki macchli ki tarah machal raha tha.
Surya ke chehre par chinta saaf jhalakne lagi. Koi toh ghusa tha andar. Par kaun? Uska dimaag tezi se daud raha tha. Kaun ho sakta tha? Aur use turant hi samajh bhi aa gaya. Kahi Chef on Wheels waalo ne kisi ko toh nahi bheja?
Woh muskuraya aur zorr se bola,
"Mein jaanta hu tum kaun ho!!!! Tumhe Chef on Wheels waalo ne bheja hai na? Hahahaha! Bhala kitni raqam dedi unn logo ne tujhe? Tum ek ho ya ek se zyada?"
Par jawaab kuch na aaya. Ye baat zaroor thi ki maara maari ruk chuki thi. Usne fir se bolna jaari rakha,
"Dekho!! Mein Sarabhai se bol ke tumhara jugaad lagwa sakta hu. Woh Aadesh Bhai se kahenge aur tumhe double paise dilwa sakte hai. Jitna tumhe chef on wheels se mil raha hoga uska do guna!!! Kya kehte ho?"
Kuch derr shaanti bani rahi par fir agle hi shan,
"Aaaaarrrghhh!!!"
*Baaaammmmmm*
Do chaar log jab idhar udhar girne lage toh Surya ke andar ka aatm-vishvaas dhadalle se gir gaya. Use laga tha ki uska ye offer koi bhi aadmi nahi thukra payega. Magar, yaha baat kuch aur hi thi.
Surya (screams) : Bewakoof!! Tum jaante nahi ho tum kya kar rahe ho! Issi waqt saamne aao. Mein abhi bhi tumhe maaf kar dunga. Paiso ki chinta mat karo. Aadesh Bhai bohut raees hai. Tumhari muh maangi raqam denge. Bas-! Meri baat maano! Aur humaare saath aa jao! Aa jao!
Usne apna haath aage badhaate hue andhere me kaha. Iss aas me ki jo bhi vyakti log honge woh uske offer ko ab nahi thukrayenge.
Magar,
*Baaaaaammmmmmmmm*
*Baaaammmmmm*
"Aaarrrrggghhhhhhh!!!"
"Ugggghhhhhhhhhh"
2 log aur waar ka shikaar hue aur apni pasliya tudwa ke neeche ko baith gaye. Ab Surya ke chehre par khauf nazar aa raha tha. Ab woh darr raha tha. Woh zorr se chillaaya,
"Maaaadarchooooooddd!!!"
Usne apni jeans me khusi handgun nikaali aur seedha upar ki orr kar,
*BANG*
Fire kar di.
Gun fire ka flash kuch fraction of seconds ke liye warehouse me chamka, aur ird gird ka nazara nazar aaya. Uss flash me Surya ko tabhi apne se thodi dur khade ek ladka dikhayi diya.
Surya uska chehra nahi dekh paaya. Magar koi tha, jiske baal bikhre hue the, ankhein ekdum khoon ki tarah laal thi. Aur uske ek haath ne ek aadmi ka gala jakda hua tha.
Par flash toh bas chand pal ke liye hi tha. Gun fire ke baad fir se andhera chha gaya. Surya darr ke maare chillaaya,
"Waha par-!! Waha!!!"
Uske aadmiyo ne turant hi torch udhar maari. Kintu, tab waha par sirf wahi aadmi pada hua tha jo behosh tha.
Surya ki aankhein bhay ke maare fel gayi. Uske badan me ruye khade ho gaye. Abhi abhi jo usne manzar dekha tha, use dekhne ke baad acche accho ki halat kharab ho sakti thi.
Woh ladka!? Uski aankhein laal kyu thi? Woh atyant hi ghabra gaya. Kaun daanav aa gaya tha bhala? Darr ke maare usne 2-3 shots usi disha me fire kar diye.
"Nikal!!! Nikal madarchoooddd!!! Nikal!!!"
Woh ghabrahat me garja.
Bahar sunsaan sadak par car ke andar baithi Prachi ko bhi gun shots ki awaaz sunaayi de gayi. Aur, awaaz sunn woh poori tarah hil ke reh gayi.
'Ch-Chef!!??'
Woh bechari itna zyada darr gayi ki uska poora shareer kampan se hilne laga. Aur, uske mann me yahi aaya ki Veer maara jaa chuka tha.
'N-Nahi!! Ch-Chef!!'
Apne naukhuno ko chabaate hue, perro ko zorr se patakte hue woh khud ko shaant karne ki koshish karti rahi magar koi fayda na hua. Usne agle hi shan car ka darwaza khola aur ahista ahista warehouse ki orr chal di.
Woh awaaz nahi lagana chahti thi. Andar se use dherr saari awaazein sunayi de rahi thi. Jinme se kuch gunshots ki bhi thi. Use nahi pata tha woh andar kyu jaa rahi hai lekin apne owner ko woh iss haalat me akela nahi chhor sakti thi.
Mann me bas Veer ki salamati ki dua karti jaa rahi thi.
Woh ahista ahista andar ki orr badhi.
Idhar andar Veer ne sab kuch tehes nehes kar ke rakh diya tha. Jitne bhi aadmi the sab ke sab ya toh dard se karaah rahe the ya fir behosh ho chuke the. Ekmaatr Surya hi bacha hua tha.
Jab woh akela bacha toh uski saari hekdi nikal gayi.
Surya : D-Dekho! Ye tum sahi nahi kar rahe. Baad me tum pachtaoge. T-Tum hamare Sarabhai ko jaante nahi ho. Aur Aadesh Bhai ko bhi. Bade bade logo se unka contact hai. Y-Ye tumhe mehnga padega. E-Ek baar fir soch lo!
Tabhi uske peeche se ek awaaz aayi,
"Soch liya hai!"
Woh ghabrate hue peeche muda aur usne apne mobile ki torch uss disha me ghumayi. Ek ladka laal aankhein liye use ghoor raha tha. Baalo ke kaaran ladke ka chehra saaf nazar nahi aa raha tha.
Surya : K-Kaun ho tum?
Woh aage uttar sunn paata ki uske pashchaat hi uski aankhon ke saamne andhera chha gaya.
Prachi idhar himmat kar ke jaise taise uss area ki orr pahuchi. Aur jaise hi woh waha aayi,
Use andhere me pehle toh kuch nazar nahi aaya. Tabhi andhere me se ek ladka chalte hue uske sameep aane laga. Woh darr ke do qadam peeche hui.
Kintu, jaise hi woh chehra halki roshni me uske saamne aaya toh usne ek raahat ki saans li.
"Ch-Chef!!!"
Woh bhaagte hue aage aayi. Usne Veer ka haath thaama aur fir mobile ki torch jala ke jaise hi dekha, uski saans atak ke reh gayi.
Neeche aadmi aise bikhre pade the jaise kachra bikhra ho. Woh murti ki tarah jamm ke reh gayi.
Veer ne kuch na kaha. Woh bas aage ki orr nikal bahar chala gaya.
Aur bechari Prachi bas kaanp ke reh gayi. Bodh hote hi woh waha se sarpat bhaagi.
Uska dimaag tamaam sawaal khade kar raha tha. Andar ka haal. Iska zimmedar kya Veer tha? Kya Veer ne ye kiya tha? Woh gunshots. Agar Veer zinda tha toh woh gunshots kiske the? Aur kiske liye?
Kya hua tha yaha kuch seconds pehle? Wo bhaag ke baahar aayi aur chup chaap bas Veer ke sang baith gayi. Dono ke beech koi vartalap nahi hua magar Prachi itni derr me sab samajh chuki thi ki andar kya hua tha.
Ek baar fir, uski nazro me Veer aur bhi rehesyamayi bann ke reh gaya.
Veer ne use uske ghar drop kiya aur fir apne ghar chala gaya. Tab tak social media ke zariye Veer ke food trucks ki tabahi ka video viral ho chuka tha.
Jab Veer ghar pohucha tab Bhumika samet Tej sabhi yahi dekh rahi thi.
Bhumika : V-Veer! Ye sab-!?
Veer : I know! Chinta mat kariye! Jald hi sab settle ho jayega. Mene identify kar liya hai sab kuch.
Bhumika : If you need anything then you can come to me. Okay?
Veer (smiles) : Mmm~
Tej : K-Kal mein tumhare saath rahungi. Mein kuch nahi jaanti.
Veer : Okay di!
Uske chehre par chinta woh sabhi saaf dekh paa rahi thi. Woh apne kamre me jab gaya toh uske kuch derr baad hi Shweta waha aa pahuchi.
Shweta : Veer!!
Veer : Aap yaha?
Shweta : Ye lo! Doodh pee lo!
Veer : Night me?
Shweta : Haan! Night me peete hai doodh! Kyu? Nahi peena hai?
Veer : Mera mood nahi hai.
Shweta : Thoda sa hi hai. Piyo betu!
Wo zidd karte hue use doodh pilaane lagi toh Veer ko akhir peena hi pada.
Glass ko uske haath se lete hue wapas se tray par rakh wo boli,
Shweta : Dekho! Jo bhi hua, ye utaar chadhaav business me lage rehte hai. Hotel ki shuruaat jab mene kari thi tab mujhe bhi bohut kuch jhelna pada tha.
Veer : I know!
Shweta : Aur jo nuksaan jhelna jaanta hai na, wahi business kar paata hai Veer.
Veer : Hmm!
Shweta : Kitne ka nuksaan hua hai?
Veer : Dono trucks me tod fod hui hai. Lakh ke upar ka nuksaan araam se hua hoga.
Shweta : Lakh rupaye hi hai na. Koi baat nahi.
Woh turant hi uth ke baahar ko gayi aur kuch derr me wapas haath me kuch lete hue aayi.
Shweta : Ye pakdo!!
Kehte hue Shweta ne ek card Veer ko thama diya.
Veer : Ye kya hai?
Shweta : Debit card! Aur kya?
Veer : Kis liye?
Shweta : Mere bete ko nuksaan hua hai business me. Mein madad nahi karungi toh aur kaun karega?
Veer : Arre!! Iski koi zaroorat nahi hai. Rakhiye aap ise.
Shweta : Shhh! Mujhe kuch nahi sunana. Iska pin tumhara birth year hai. Theek hai?
Veer : Mene keh diya na! Mujhe zaroorat nahi hai. Agar hogi, toh haq se le lunga aap se.
Itna bol Veer ne debit card Shweta ke haatho me wapas thama diya.
Shweta : P-Par-!
Veer : Par var kuch nahi. Agar beta maanti ho toh ise rakhiye. Aur abhi mein itna kamzor nahi. Kal dekhiyega kaise zoro shorro se ek nayi shuruat hoti hai.
Shweta : Aisa kya karne waale ho?
Veer (smiles) : Kal aap khud aake dekh lijiyega.
Shweta uske kamre se abhi baat kar ke gayi hi thi ki tabhi Ragini bhi pahuch gayi.
Ragini : Mein andar aa sakti hu?
Veer : Kyu nahi!
Woh andar aake uske nazdeek baithi,
Ragini : Sab theek toh hai na?
Veer : Haan kyu?
Ragini : Kuch nahi! Tum badle badle se nazar aate ho.
Veer : Mein badla badla!? Nahi toh? Mein toh wesa hi hu.
Ragini : I mean- Tum mujhse baat bhi kam karte ho aaj kal. Mein hi bas apni taraf se harr baar koshish karti rehti hu. Kabhi kabhi aisa lagta hai ki mein bhatakti hui chalti jaa rahi hu bas. Bina kisi raah ke.
Veer (sighs) : Aisa nahi hai! Bas uljha hua hu kayi cheezo me jo mere ird gird ho rahi hai.
Ragini : Aur kab iss uljhan se baahar nikloge?
Woh aage aate hue Veer ke haath ke upar apna haath ahista se sarkaate hue boli.
Uske honth dheere dheere Veer ke honth ke nazdeek aa rahe the. Aur dekhte hi dekhte dono ke lab aapas me jud gaye. Veer ne koi virodh nahi kiya.
Dono itminaan se ek dusre ke honth choomte rahe. Kuch derr ki chumban ke baad woh dono alag hue. Ek meetha ehsaas dono ke hontho par reh gaya.
Ragini : Mujhe bas uttar dedo Veer. Ekdum clear! Haa ya naa??
Veer : I-
Ragini : Haa ya naa?
Veer : Kya mene pehle spasht nahi kiya hai?
Ragini : Nahi kiya! Aur agar kiya bhi hai toh mujhe firse sunana hai. Kaho!
Veer (sighs) : Mein aapke liye hamesha khada rahunga. Aapko pyaar bhi dunga. Lekin-
Ragini : Lekin?
Veer : Mein aap se shaadi nahi kar sakta!
Ragini ka dil jaise kayi tukdo me bikhar ke reh gaya ye sunte hi. Fir bhi woh sunti rahi,
Veer : Kyuki hamara rishta ek aisa rishta hai jo logo se chhipa ke rakhna hota hai. Ye ghar me ya kisi se bhi saajha nahi kar sakte. Right?
Uske aasu behne lage. Rote hue usne haami bhari,
Veer : Mein aapse shadi nahi kar sakta bhabhi. Lekin, aapko harr wo pyaar de sakta hu, harr wo support de sakta hu jo ek pati apni patni ko deta hai.
Ragini (cries) : Patni ka auhda de sakte ho? *sniff*
Veer : Aap jaanti hai ki yahi mein nahi de sakta.
Aur iss baar aur bhi mote mote aasu uski aankhon se jharrne lage.
Ragini (cries) : Mein jaanti thi. *sniff* Jaanti thi fir bhi mein murkh iss aas me baithi thi ki tum haan kahoge. Lekin mein kaise jeet sakti thi? *sniff* Ek talak-shuda aurat jo thehri. *sniff* K-Kaise mein tumhe pasand aa sakti hu? Kuwari sundar anchhuyi ladkiyo ke saamne bhala mere jaisi ek used material ki kya aukaat!!???
Veer (zorr se) : Bhaaaabhhhiiiiii!!!!
Ragini (shouts) : Sach hi toh kaha. *sniff* K-Kya galat kaha mene? Isliye toh tum peeche hatt rahe ho!
Veer : Aisa nahi hai!!! Bewakoofi waali baatein mat karo. Pagal ho gayi ho kya?
Ragini (shouts) : Haan ho gayi hu pagal! *sniff* Tumhare pyaar me!!!
Veer : Huhhh!??
Ragini : Roz wait karti hu ki ab toh baat karoge- *sniff* ab toh baat karoge. Par ni! Tumhe koi matlab hi nahi rehta. Mein hi aa aa ke tumse baat karti hu. *sniff* Jaise meri koi value hi nahi hai. *sniff*
Veer (frowns) : Ragini!!!
Ragini : Naam leke ye mat socho ki mein pighal jaungi. *sniff* M-Meri bhi kuch khwaishe hoti hai. M-Mein bhi chaahti hu ki mujhe koi pyaar kare. V-Veer-!!
Veer : !!?
Ragini : Mein tumhe saaf saaf kuch batati hu. *sniff* L-Look! I have money! I have friends. I have family. I got a husband- b-but he was nothing but a stupid man. I only need one thing!!! One thing! *sniff* And that's love!!! Mein tumhare liye harr woh cheez kar sakti hu jo ek patni karti hai. Harr ek cheez. All I want is... love~ A-Aur abhi toh mene tumhare liye kuch kiya hai nahi hai.
Veer : ???
Ragini : Kabhi biwi maan ke dekho. F-Fir dekho mein kya karti hu. Nahi tumko pyaar hua mujhse toh kehna. *sniff* I only need love Veer! Only need love!
Veer : ...
Ragini : J-Jo mein aaj jaan gayi ki tumse nahi mil payega. *sniff*
Veer : That's not it Ragini-
Ragini (screams) : What is it then????
Veer : *frowns*
Ragini : M-Mujhe pehle hi khud ko samjha lena chahiye tha. *sniff* Sach kehte hai. Saccha pyaar jaisa kuch nahi hota. *sniff* S-Sab dikhawa hota hai. Sab dhakosla hai. K-Kuch bhi real nahi hai. *sniff* Y-Ye sab fake hai. T-Tum bhi wese hi ho. Jaisa harr ladka hota hai.
Veer : ...
Ragini : I was expecting too much. Bhool gayi thi. *sniff* Baar baar tumse ye aas rakhne lagti thi. F-Fir khud ko samjha bhi leti thi. *sniff* Koi baat nahi Ragini. Jhuk jao. Jhuk jao aur bas jaisa ho raha hai, jitna mil raha hai utne me khush raho. *sniff* P-Par nahi-!!! Mein hu laalchiii!!! N-Nahi reh paa rahi hu aise-!!! *sniff*
Veer : Ragini-
Ragini : Don't talk to me-!!!
Woh uthi aur apna muh chhipaate hue baahar ko bhaagi.
Veer : Raaaaaginiiiiii!!!
Veer apni jagah se uth zorr se chillaaya parantu, Ragini jaa chuki thi.
'Damn it!!!!!'
[Oh my~ You messed up!]
'I messed up??? Really? I messed up? Tumne dekha nahi woh baat sunane tak ko taiyaar nahi thi.'
[Hmm! She would have listened to you if you would have listened to me.]
'Huh!?'
[Don't worry! I can fix her for you. But in exchange- *grins*]
'???'
[Call me Mommy~]
'Fuck off!!!!'
[Fufu~ Don't worry! Sooner or later you'll submit.]
'As if I will! Hmph~'
Ye raat Veer ke liye kaafi nuksan-dayak saabit hui thi. Na jaane aage kya hone waala tha.
***
Sarabhai ki gang ki pitayi ke baad na sirf ye baat Sarabhai ko khud ko pata lag chuki thi balki, Aadesh Jaisinghani, Casa Belle ke owner tak bhi pahuch chuki thi.
Upar se ye sab theek uske baad hua jab chef on wheels ke do trucks ko tehes nehes karwaya gaya tha. Iska matlab chef on wheels waalo ne kisi ko gang ko maarne bheja tha?
Aadesh apna khuarafati dimaag lagana shuru kar chuka tha. Usne Chef on wheels aur Hotel Prestige dono ke upar hi nigrani rakhne ke liye apne aadmi laga diye the.
Aur unn aadmiyo se use yahi khabar mili thi ki aaj chef on wheels food trucks me kuch special hone waala tha.
'Saala ye kutte ki dum aise seedhi nahi hogi. Ab aaj kya karnama kar rahe hai ye?'
Woh nahi jaanta tha kya ho raha tha waha lekin kuch bada zaroor ho raha tha.
Idhar sheher me hi apne kamre me Nidhi ek saree pehne khud ko sheeshe me dekh rahi thi. Kintu, dhyaan kahi aur hi tha.
Kal ki baat par-
Kal raatri me hi use Veer ka phone aaya tha. Aur, Veer ke bol uske dimaag me abhi bhi mandra rahe the.
"Kal food truck pe shaam ko Shreya ji aur Juhi ko leke aa jaiyega. Kuch special hone waala hai."
Nidhi nahi jaanti thi ki Veer kya special karne jaa raha tha. Woh use mana karna chaahti thi. Pichli baar usne use thappad maar diya tha. Shreya ke sang usko gale lagte aur choomte hue bhi dekh liya tha.
Aise me woh bhala kaha se uss se milne jaa sakti thi? Woh use face nahi karna chaahti thi.
Kintu, ye prem!!!
Mana bhi nahi kar paayi. Jab mana karne ki baari aayi, toh muh se kuch nikla hi nahi.
Isliye, iss tarah taiyaar hoke woh sheeshe ke saamne baithi hui thi. Soch rahi thi ki sach me jaaye ya nahi?
Toh wahi Shreya khud acchi tarah se taiyaar hoke Juhi ko bhi sajne sawarne me madad kar rahi thi. Maamu se milne ke liye toh Juhi hamesha hi taiyaar rehti thi.
Aur jab woh apni maa ka haath pakad ke kheechte hue chalne ke liye kehne lagi.
Toh Nidhi ka saara sanshay khatam ho gaya. Use jaana tha. Bhale hi uska mann nahi tha lekin apni beti ke liye uska jaana zaroori tha.
Aur isliye woh bataye gaye samay par theek shaam 7 baje food truck ke paas pahuch gayi.
Bheed kaafi lagi hui thi. Ye Prime location thi jaha Veer ne permission leke apne food trucks ke liye ek jagah set up ki thi.
Nidhi Juhi ka haath pakde alag alag food trucks ar food stalls se guzarte hue aage badh rahi thi.
Juhi : Maaamuu kaha hai?? Maamu!!?
Shreya : Maamu ke paas hum pahuch hi gaye Juhi. Thoda ruko!
Nidhi saree me behad hi sundar prateet ho rahi thi.
Toh wahi Shreya bhi kuch kam sitam nahi dhaa rahi thi.
White aur golden suit me woh bhi behad hi khubsoorat lag rahi thi.
Jaise hi woh dono Veer ke food truck ke paas pahuchi. Unhone dekha ki sab pehle se hi maujood the.
Veer ke parivaar ke sabhi log. Arohi se leke Kavya, uske Dada ji sab ke sab maujood the.
Yaha tak ki sabhi food trucks bhi uske line se lage hue the. Aur toh aur media ke bhi log maujood the.
'Y-Ye sab? Akhir kya chal raha hai?'
Woh mann me sochne par vivash ho gayi. Uske idhar aate hi dur se hi Kavya ne unko dekh liya tha.
Aur woh badi hi excited si daudati hui bhaag kar aayi aur Juhi ko apni goad me utha li,
Kavya : Juhhhiiiiiii!!!!!~
Juhi : Kaabu didiiii~
Kavya : *Muah* *Muah* Kaabu di ki yaad nahi aayi? Hmm? Kaha thi?
Juhi : Mmm~ Ghar pe!
Kavya : Hehe~ Chalo chalo! Aao kya khaogi?
Aur wo Juhi ko pakad ke le gayi. Nidhi bas muskurayi. Aage badh wo bhi sabhi se mili, Manorath ke perr chhoote hue usne ashirvaad liya. Sabhi uske aane se khush the aur use bhi apna hi maante the.
Kintu, 2 logo ke swabhav me use aaj kuch antar nazar aaya. Pehli toh thi Ragini, jo aaj badi hi shaant shaant si prateet ho rahi thi. Aur dusri thi Veer ki maasi Purvi jo alag hi unn sab se thoda dur baithi hui thi. Woh iss baare me zyada sochti ki tabhi Arohi ne use approach kiya,
Arohi (smiles) : Good evening! Ma'am!
Nidhi : A-Arohi!? Good evening beta!
Arohi : Kuch baat hai? You seem stressed!
Nidhi : N-Nahi toh-!!?? A-Aisa kuch nahi hai.
Arohi (nods) : Okay!
Nidhi : Kya tumhe pata hai aaj kya special hai?
Arohi : Even Teju di don't know anything. How would I know? Lekin aap woh dekh rahi ho?
Usne ishara karte hue ek lakdi ka board dikhaya jiske upar ek laal rang ka bada sa kapda dhaka hua tha.
Nidhi : Kya hai usme?
Arohi : Kuch toh hai. Veer reveal karega jald hi.
Nidhi : Aur ye media kis liye? Ye sab kaun hai?
Arohi : They are food bloggers. Aur woh food industry ki media hai. Not the news ones.
Nidhi : Ohh! Sh-Shayad hume wait hi karna padega.
Arohi (nods) : Mmm-hmm~
Nidhi : Wese-! Veer kaha hai?
Arohi : Food truck me hi. Sonali ke saath andar uss waale me.
Nidhi : O-Ohh!
Media aur bloggers idhar jaise kisi cheez ka wait kar rahe the. Lag raha tha jaise unhe kuch aur hi instructions mile hue the.
Tabhi, Veer food truck se utar ke neeche aaya. Nidhi, Ragini aur Purvi teeno ki hi nazre uss par gayi.
Aur teeno ke hi mann me vichlit kar dene waale vichaar utpann ho uthe.
Nidhi ke mann me jaha ek bechaini thi, na saamne aane ki iccha toh wahi Ragini ke mann me bhi wahi tha. Saath hi dukh aur peeda bhi.
Purvi glaani me bhi thi, thoda krodhit aur thoda lajjit bhi. Balki baaki sabhi khush the. Kintu, ye teen hi thi jo asmanjas ki sthiti me thi.
Veer jaise hi neeche aaya media ne apna kaam shuru kar diya. Woh record karne lage. Aur, Veer bas unhe samjhane laga.
"Folks! Aaj sabhi ke liye food sirf aur sirf at 10 rupees cost hai. Order any dish. Only at 10 rupees cost! Uske baad mein ek cheez reveal karna chaahunga. Till then, enjoy the food."
Veer khud Sonali ke saath aaj chef bana hua tha toh uske haatho ka swaad aaj sabhi chakhne waale the.
Crew ke kuch log dishes ko bante hue record kar rahe the aur parivar ke sabhi jann khaane ka lutf utha rahe the.
Juhi apne Maamu ke free hote hi uski taraf lapki.
Veer ne use goad me uthaya aur peeche le jaake apne kandho par baitha liya. Peeche khadi Nidhi sab kuch dekh rahi thi. Khush bhi thi, magar kayi aur bhi vichaar chal rahe the.
Nidhi ka haath kuch kehne ke liye aage badha magar woh kuch keh na paayi. Bas Veer ki peeth hi nazar aa rahi thi use. Kaise ek haath ko peeche le jaate hue woh Juhi ke sarr par rakha hua tha. Jaise maano ek pita apni beti ko apne kandho par se girne se bacha raha ho.
Veer : I want to reveal something. It's basically a method. Jise hum sabko apni life me follow karna chahiye.
Aur aage badhte hue usne uss board se woh laal kapda hata diya.
"Presenting you~ The Hourglass Method!!!"
.
.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys.
We are back again. Yes! It took time. Lekin, finally ab mein settle ho chuka hu naye sheher me. Kuch choti moti cheezein abhi bhi baaki hai but mein woh dheere dheere sort out kar lunga. Anyways, yeh update 8k words ke upar ka hai. Thanks for being patient guys. Aur aise hi support karte rehne ka. Baaki, ju logo ko pata hi hai kya karna hai. Likes thok ke jaane ka. Aur revos rakhne ka. Target apna wahi hai same. 150.
Dhanyavaad!![]()