• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Incest Baadshah ~ The Tales of Debauchery

Kya Veer apni life behtar kar paega ya sab kuch kho baithega?

  • Veer Baadshah banega

    Votes: 1,303 83.2%
  • Sab kuch kho baithega

    Votes: 26 1.7%
  • Kuch paega toh kuch khoega

    Votes: 202 12.9%
  • Kuch nahi bann paega

    Votes: 35 2.2%

  • Total voters
    1,566

Werewolf

ʀᴏɢᴜᴇ ɴɪɴᴊᴀ
Supreme
13,846
98,518
259

ayush01111

Active Member
561
641
93
😜Sabhi se shadi Ho jaye to Mera ❤️ khush jayega jaise ki
Nidhi
Kaira
Tej
Suhana
Kavya
Arohi
Ragni
Divya
Soniya
Bhumika
Pragya
💗Baaki 6 System holder se ho jaye to me apna Exam hi nikal leta 😁😁lekin werewolf bhai aise karenge🤔 ki nahi pta werewolf bhai ko hi pata hoga !😴
Ava grofer or vo chaines wali ladki uska kya vo kyu choode
 
  • Like
Reactions: ashiq_bhai

drx prince

Active Member
1,562
1,544
143
Very Nice
Update - 181 ~ The Interrogation (2)

Ab tak...

Woh dining table ki ek kursi par baitha hua tha jab Tej haatho me kuch shopping bags liye andar hall me ghusi. Uske theek peeche Arohi aur Bhavna bhi thi.

Unke andar aate hi Sonali aur Bhumika bhi andar aayi. Woh bhi apne apne kaamo se fursat ho chuki thi. Aur, ant me Shweta samet Ragini aur Suman bhi andar aa dhamki.

Sab ki nazre ek jhatke me dining table par baithe uss shaks par padi aur sabhi ke muh se yahi nikla.

"Veer-!!!?"


Ab aage...

Hall me maujood dining table ki kursi par Veer chinta-janak bhaav liye baitha hua tha. Raat ke 8:30 baj rahe the aur jagmagati lights se poora hall raushan tha. Uska dimag pehle se hi nayi-nayi tarqeebe banaane ke liye daud raha tha.

Lekin, dil ye jaan kar tezi se dhadakne laga ki use unn mahilaon se sawaalo ki bauchhaar ka saamna karna tha jo uske liye sabse zyada maayne rakhti thi.

Chand pal hi hue the ye sochte hue ki darwaze ki charmarahat ne use apne vicharo se baahar aane par majboor kar diya aur sabhi ke aagman ka vishesh sanket bhi de diya.

Tej apne tez qadmo ke saath dakhil hui. Toh, wahi theek uske peeche Arohi thi jo bareeki se ahista-ahista andar aayi. Aur, ant me thi Bhavna, ek shaant chehre ke saath, jise dekh Veer jaan gaya ki kinn bhavnao ka toofaan chhipa hua tha.

Teeno ke andar aate hi unki nazre baayi orr dur rakhi dining table par apne aap hi padi aur waha baithe shaks ko dekh unke muh khule ke khule reh gaye.

Sukh, krodh, bebasi, dard, peeda, inn tamaam anubhutiyo se woh teeno ek pal me hi guzar gayi.

Maa aur bete ki nazre aapas me takrayi aur hazaar shabd binn bole hi bayaa ho gaye. Bhavna ka chehra dekhne layak tha. Apne jigar ke tukde ko itne dino baad achanak se dekh... Aur, woh bhi sahi salamat dekh... Woh iss waqt kya mehsoos kar rahi thi ye keval ek maa ka dil hi samajh sakta tha.

Tej aur Arohi ke jazbaat bhi sirf aur sirf ek behan hi samajh sakti thi. Jis Bhai se itna lagaav ho, woh agar binn bataaye ghar se kahi chala jaaye, toh kya beetegi uss behan par? Ye anubhuti inn beetein dino unn dono ne mehsoos ki thi.

Kintu, parivar ka aagman yahi samapt nahi hua tha. Unke andar aane ke baad Bhumika aur Sonali bhi andar aayi. Dono hi hotel aur food truck se fursat ho chuki thi.

Aur, iss aagman ko virham dete hue aayi Ragini, Shweta aur Suman ki tigdi. Suman ne bheetar aake darwaza band kiya aur sabki tarah uski nigaahein bhi apne maalik ke upar tiki toh hontho par apne aap ek muskan bikhar gayi.

Ragini ki laalsa Veer ko dekhte hi jaag uthi. Itne dino se jinn armaano ko woh dabaane ki koshish kar rahi thi woh punah umadne lage. Aur, unn komal thar-tharate hontho se bas yahi nikla-

"V...Vee...r..."

Magar,

"Veeeeerrrr!!!!!!"

Tej ke zorr se pukaarne par Ragini ke ahista se bole gaye bol kahi dabb ke reh gaye.

Tej ki pukaar raahat, thoda gussa aur hatasha se mishrit thi. Woh tez qadmo se kamre ko paar karte hue aayi aur Veer ke charo orr apni baahein fekne hi waali thi ki tabhi-

"TEJ!!!"

Bhavna ki awaaz ne uske qadam wahi rok diye. Jaise use bhi kuch yaad aaya. Woh iss tarah se Veer ke prati harr waqt narmi nahi dikha sakti thi. Jin halato se woh sab guzre the uska zimmedar sirf Veer tha. Unke beech ye tay hua tha ki unme se koi bhi Veer ke prati narmi nahi dikhayega. Fir, woh bhala kaise apni baahein uske gale me daal sakti thi? Ye dhyaan aate hi Tej majboori me apne hontho ko kutarte hue do qadam peeche ho gayi.

Veer apni jagah se utha. Tej vivash thi. Iss baar woh sakhti se pesh aane waali thi. Magar, Veer ke mukhde ko dekh uska dil paseejne laga.

'N-Nahi! Tej!! Iss baar nahi! Iss baar tum narmi se pesh nahi aa sakti. L-Lekin, woh mera chhota bhai hai. Nahi!!! Sorry, Veer! Tumhari dii iss baar tumhe itni jaldi maaf nahi karegi. Y-You must console me!!'

Woh mann hi mann khud ko sakht karte hue aage kuch kehne hi waali thi ki itne me peeche se Shweta bhaagti hui chali aayi.

"Veeeeerr!!! Mere bacche-!!!"

Woh achanak se aayi aur Veer ke gale se lagte hue uske sarr ko pakad apne seene me chhipa li. Baal ko sehlaate, sarr ko choomte hue woh baakiyo ke ekdum hi vipreet harqat kar gayi.

Jab Tej ne ye dekha toh uska maatha thanak utha. Yaha woh sab Veer ke prati iss baar sakhti se pesh aane waale the taaki uske muh se jawab nikalwa sake aur yaha ye aurat saare kiye karaaye par paani fer ke chali gayi. Woh yaha khud ko accha dikha gayi, aur baakiyo ko bura.

Tej (frowns) : Aap-!!! Side hatiye aap! Hum sabko Veer se baat karni hai!!!

Shweta : Kya baat karni hai? Koi baat-vaat nahi karni tum logo ko! Mein sab jaanti hu! Mere bete ko dara dhamka ke uss se sawal jawab karne ka irada hai tum logo ka-!!

Tej (growls) : You-!!!

Bhumika (steps closer) : Mom!!

Shweta : Sahi hi toh kaha! Mera beta abhi aaya hai. Thak gaya hoga. Arre, tum logo ne ye tak na pucha ki usne theek se kuch khaaya ya nahi aur tum log uske peeche pad gayi? Hmph! Veer! Beta! Kab aaye tum?

Veer : J-Jii! Bas, thodi derr pehle!

Shweta ke liye iss se behtar mauka aur koi na tha. Woh jaanti thi ki sab ke sab Veer ke khilaf the aur iss baar uss se narmi se pesh nahi aane waale the. Aise me agar woh ekmaatra aurat bann jaaye jo uske prati suhanubhuti rakhe toh kya hoga? Zahir hai ki Veer ki bhavnaye uske prati aur bhi mazboot ho jayengi. Yahi soch ke usne apni chaal chal di.

Bhavna jo chup chaap peeche khadi thi. Usne apna purse sofe par rakha aur aage badhi.

Bhavna (glances) : Kavya!

Kavya : H-Huh? Jii Tai ji?

Bhavna : Veer ko tumne-

Kavya : Haan Tai ji! Bhaiya fresh up ho chuke hai. Maine chai bhi bana ke di thi unhe.

Bhavna (nods) : Hmm!

Maa aur bete ki nazre fir aapas me takrayi aur bina kuch kahe hi Veer ko aabhaas ho gaya ki uski maa uss se naraaz thi. Peeche khadi Ragini aur Arohi bhi Veer ko asahaay nazro se dekh rahi thi.

Veer : Maa, mein-

Bhavna : Sawaal jawaab baad me! Tumne khaana khaaya?

Veer : J-Ji nahi! Aap sab ka wait kar raha tha.

Shweta : Dekha?? Khamakha mere bete ko bura banaane par tule ho tum log. Bechare ne abhi khana bhi nahi khaaya. Sirf hamare liye ruka tha. Aao, beta!

Bhavna : Tej!! Suman! Ragini!!!

Suman : Ji didi?

Tej : Hmm?

Ragini : ???

Bhavna : Sab ke liye dinner ki taiyaari karo. Pehle khaana khayenge. Baaki baatein uske baad...

Tej (nods) : Mmm!

Ragini : Ji!

Suman : Theek hai didi!

Suman ke sang Tej aur Ragini apne apne kapde badalne andar chali gayi. Lekin, jaane se pehle ek nazar uss par ferna na bhooli. Kehna toh woh bahut kuch chahti thi magar, tang mahaul hone ke chalte unhone apna muh na khola. Aur, unke theek baad Bhumika, Arohi, Shweta aur Bhavna bhi andar chali gayi.

Sonali jaate jaate Veer ke bagal se aayi aur rukte hue bas dheemi si awaaz me boli.

Sonali : Tumhari aaj shaamat aane waali hai.

Veer (sighs) : Lag raha hai dekh ke.

Sonali : Sab bahut gusse me hai aur naraz bhi hai.

Veer : Hmm! Jaanta hu!

Sonali : Dekhti hu tum kaise bachte ho aaj. *smiles*

Uske liye jaise aaj mazey ka din tha. Aaj pehli baar woh sabhi ko Veer ki class lete hue dekhne waali thi. Aise mauke baar-baar thodi aate the bhala.

Dekhte hi dekhte aakhir dinner bhi samapt ho gaya. Uss dauran kisi ke muh se ek shabd bhi nahi nikla siwaye Shweta ke, jo bade hi pyaar se apni mamta dikhate hue Veer ko khaana paros-paros ke khila rahi thi. Aur, ye dekh ke Tej ka gussa ubaal maarne laga.

Jald hi bhojan ke pashchat, sabhi punah dining table par virajman the. Veer ke theek saamne uski maa baithi hui thi aur unke bagal se Tej aur Arohi. Aur, akhir Bhavna ne bolna shuru kiya.

Bhavna : Ab jo jo mein, Arohi aur Tej puchengi, tum unka seedhe-seedhe jawab doge. Samajh gaye tum?

Veer : J-Ji!

Bhavna : Kidhar the tum!??

Veer : Mein...

Bhavna : Mein kuch puch rahi hu, Veer!

Veer (sighs) : China...!

Tej : China? Waha kya kar rahe the tum??

Veer : Mein... Mera udhar jaana zaroori tha dii.

Arohi (frowns) : Kyu??? Aise kaun se reasons the Veer jinke liye tumhara waha jaana zaroori tha?

Veer : Arohi di... Actually, do important reasons the. Mera jaana sach me zaroori tha.

Bhavna : Kya aap inn do kaarno ke baare me kuch bataane ka kasht karenge mere suputra ji???

Veer : Mom- I...

Bhavna : Jawab do!!!

Veer : Fine! Pehla... Pehla reason toh business se related hi tha. Aur, dusra...

Tej : Dusra?

Veer (sighs) : Dusra... Koi tha... Jise meri madad ki zaroorat thi.

Arohi (raises brows) : Kisey???

Veer : Hai ek vyakti!!!

Bhavna : Jo ki be-naam hai. Hai na?

Kavya : Pfft~ Ah-!! S-Sorry!

Veer (glances) : Mom...

Bhavna (sternly) : Uss vyakti ka naam!??

Veer (sighs) : Li Renshu!!

Tej : Li Renshu??? Ye kaun hai?

Veer : Ye... China ke 'Order' group ka Supreme Lord hai.

Arohi : Order??? Ye order kya hai!?? Aur, tumhara uss se kya lena dena?

Veer : Order China ka ek group hai jise Li Renshu naam ka aadmi run karta hai, dii. Ye group China ke welfare ke liye hi kaam karta hai.

Tej : Wo sab theek hai. Woh samajh aa gaya hume. Par, jaisa ki Arohi ne pucha... Tumhara uss group se kya lena dena!?

Veer : ...

Bhavna (frowns) : Jawab do!!! Tej kuch puch rahi hai.

Veer : Hmm! Usne... Usne mujhpe ek favor kiya tha. France me jab mein musibat me tha toh Li Renshu ne meri madad ki thi.

Arohi : How???

Veer : Woh tab wahi par tha aur... Mujhe mushqil me fasa dekh usne meri kaafi madad ki thi. Warna, mujhe France se wapas India aane me hi saalo lag jaate. Mein salakho ke peeche bhej diya jaata. So, he's like my benefactor.

Arohi : Aisi kya madad kardi usne jiske liye tumhe China jaana pad gaya?

Veer : Jab mein misunderstanding ka shikar hua tha toh... Police se dur rakhne me usne hi meri madad ki thi, dii. Usne mujhe apne personal helicopter tak ka... Access diya tha.

Veer ko yaha jhooth bolna hi pada. Woh helicopter toh Suhana ka tha. Na ki Renshu ka. Magar, kisi na kisi bahaane se Renshu ko picture me laana hi tha. Suhana, ek accha replacement thi uske liye.

Arohi : Toh tumhara kehna hai ki usne tumhari madad ki, tumpe favor kiya aur fir baad me tum uss favor ko repay karne ke liye China gaye?

Veer (nods) : Exactly!

Ek khamoshi chhaa gayi. Sab Veer ki baato ko pachaane me lage hue the ki itne me Sonali ke muh se kuch aisa nikla jo iss shaanti ko bhang kar gaya.

Sonali : Kahi tum kahaniyaan toh nahi bana rahe? Heh~

Veer (growls) : You freakin-!!!!

Arohi : Veer????

Tej : What??? Veer??? Tum humse jhooth bol rahe ho???

Veer : Noooo!!!! I'm not!!! Teju dii! Aap jaanti ho! Mein aapse jhooth nahi bol paata.

Tej ko fauran hi kuch dino pehle ki baatein yaad aa gayi. Veer ne uss se ye pehle bhi kaha tha. Woh uss se jhooth nahi bol paata. Kahi na kahi firse ek garm sa ehsaas uske andar janm liya.

Tej : Ahh! P-Par... Wait! T-Tum waqai sach keh rahe ho?

Veer : Believe me! Teju dii!!

Tej : Ahhh!! M-Mom-!!!

Bhavna : Meethi meethi baato me mat aao, Tej!!!

Tej : Huh?? P-Par... Par, mujhe lagta hai woh sach keh raha hai mom.

Arohi : It's his tactic Tejal didi. Uski aankhon ko dekh uski baato me mat bahiye. Be strict!

Tej : Right! Right!

Veer : Nahiii! Trust me! Aap sab... Mein waqai sach keh raha hu.

Bhavna : Hmm! Theek hai! Maan liya! Toh? Kya business deal thi aur iss Li Renshu ka kaun sa kaam karne gaye the tum?

Veer ne jaise hi dekha ki prashn aur bhi gehre hote jaa rahe hai toh woh duwidha me pad gaya.

'Agar, isi tarah ye sab sawal karti gayi toh-!!! No! I need to calm them down.'

Veer : Maa... Business me maine ek deal kari hai Li Renshu se. Imports ki deal hai. Abhi nahi bata sakta. Jab materials ek baar import ho jayenge toh aap sab khud dekh lena. Mein kuch bada karne ki soch raha hu. Rahi baat, woh kis pareshani me tha. Toh... Actually, ye radioactive mine se related tha.

Tej : Radioactive mine??? Ab ye kaha se beech me aa gayi?

Veer : Haan di! Order aur Legion do groups hai jo iss mine ke peeche lad rahe the. Mine par haq govt. ka tha magar, legion ke logo ne uss par qabza kar liya tha. Toh Order ki zimmedari thi ki Legion ke qabze se woh mine wapas le aur govt. ko saupe.

Bhavna : Isme tumhara kya kaam? Ye toh kisi yuddh jaisa sunayi pad raha hai. Maamla agar sarkar tak gaya hai toh vishay toh bahut gambheer tha. Bharat ke nagrik hone ke naate tumhara bhala kya role??

'Shit-!!! Did I go too much into the details? Shayad mujhe… Divya ko bhi include karna padega.’

Par, Divya ka khayal aate hi Veer ke badan me ek sihran daud gayi. Divya! Akhir, kya hua uske saath? Kaha thi woh? China me toh Garofano ne use saantvna de ke sambhal liya tha ki Divya sahi salamat hogi. Magar, itne dino se Divya ka koi ata-pata nahi tha. Zahir hai ki woh shaant nahi baith sakta tha.

Veer : Shit!!!

Ek chinta uske andar janm li aur woh apni jagah se uth khada hua. Ye dekh sabhi aashcharya ho uthe.

Bhavna : Veer???

Tej : K-Kya hua??

Kintu, jaise use turant hi apni paristhiti ka bodh hua. Woh apne emotions ko takeover karne nahi de sakta tha.

Veer : Ahh! Nothing!

Tej : Nothing?? You think we’ll believe that??

Veer : Nahi! Trust me! Bas… Kuch yaad aa gaya.

Arohi : Kya??

Veer : Pata chal jayega jald hi…!

Bhavna : Tumne abhi bhi mere sawaal ka jawaab nahi diya.

Veer : Right! *nods* Aapka kehna ekdum sahi hai, Maa! Ek bharteeya nagrik hone ke naate mujhe sach me waha koi permission nahi thi. Par, kya aap bhool gayi?

Bhavna : Hmm?

Veer : France me mein kaafi involved tha police aur baaki departments se. Also, aap Miss Divya se familiar nahi ho, right?

‘This is the right way… I cannot run anymore now.’

Tej : Miss Divya??? Who is she??

Veer : FBCC ki ek special agent. Also, former detective of the crime department in Las Vegas.

Bhavna (frowns) : Arohi!!!

Arohi (nods) : Jii Tai ji!

Na jaane Bhavna ne aisa kya ishara kiya par Bhavna ke uska naam pukaarte hi Arohi ne turant apna phone nikala aur internet par woh sab kuch dhundhne lag gayi. Ye dekhte hi Veer ke maathe par paseene ki boondein chhaa gayi. Aur, kuch derr baad woh haami bharte hue boli.

Arohi : Veer sahi keh raha hai, Tai ji! Las Vegas me crime department bhi hai aur ye FBCC bhi waqai me hai. New York me iska headquarter hai. Strange! Maine iska kabhi naam kyu nahi suna pehle? Ohhh! I see now! Ye abhi kuch saalo pehle hi khuli hai Tai ji!

Bhavna : Hmm!

Ragini : Umm… Mere… Mere khayal se ye sawal jawab bahut ho gaye hai. Veer sach keh raha hai. Woh humse bhala jhooth kyu bolega? Toh, kyu na hum ye sab yahi rok de?

Shweta (aage badhte hue) : Ekdum sahi kaha. Bahut hua ye natak. Tum log toh mere bete se aise pesh aa rahi ho jaise maano woh koi karodo ki chori kar ke aaya ho, ya maano kisi ka khoon kar diya ho.

‘Khoon’ ka zikr aate hi Veer apni jagah par halka sa thitur gaya aur uski ye harqat Arohi ki aankhon se bach ke na jaa saki.

Arohi (scrutinizes) : Why are you getting so uncomfortable?

Veer : Huh??? Nahi toh-?

Tej : Theek hai! Maan liya! Ab aage? Kaun hai woh Divya?

Veer : Miss Divya… Hmm! Las Vegas ki trip ke dauran meri mulaqat unse hui thi aur woh Miss Suhana ki bachpan ki dost hai. Miss Suhana ko aap sab jaante hi ho. Ye tab ki baat hai jab humara reunion nahi hua tha, dii!

Tej (murmurs) : This Suhana again…! Tsk!!

Arohi : So?

Veer : Wahi Miss Divya FBCC ke dwara bheji gayi thi China. Choonki, mein unse familiar tha aur Li Renshu se bhi toh mein iss ‘Order’ vs ‘Legion’ ke beech fass baitha. Mujhe Li Renshu ka favor chukana tha aur Miss Divya ne mera involvement asaan kar diya.

Arohi : Ye Miss Divya… Kya kisi tarah ka case solve kar rahi thi? Judging from her special agent profession she might-


Veer (nods) : That’s right! Woh ‘Order’ vs ‘Legion’ ke case ko solve karne ke liye FBCC dwara bheji gayi thi.

Tej : Aur, ye case kaise solve hua? Tumne kya kiya? Bhala tumhari kya-

Veer : I’m good at deducing things.

Bhavna : Hmm??

Veer : Maa iss baat ko acche se jaanti hongi. Aapko yaad hai Maa? Jab aap aur mein Egypt me mile the? Gaza ke pyramids ke inspection ke waqt? Aap artifact ki brushing kar usme se dhool saaf kar rahi thi aur maine aapko bataya tha ki asal me woh khopesh hathyar ka handle tha. Yaad aaya?

Bhavna Veer ke iss daav ki apeksha bilkul bhi nahi kar rahi thi. Ye sunte hi use wahi pal yaad aa gaya. Aur, na chaahte hue bhi woh stabdh hone par majboor ho gayi.

Bhavna (shocked) : H-Haan! M-Mujhe yaad hai. Par, ek minute… Mein aaj bhi ye hazam nahi kar paa rahi hu ki tumne wo kaise khoj nikaala? Ek archaeologist hone ke naate mein ye baat acche se jaanti hu ki kayi saalo ka tajurba aur paarkhi nazar rakhne waala insaan hi ye sab bata sakta hai. Bhala tumne kaise-? Arrey haan!! Yaad aaya. Tumne kaha tha ki tumhara koi master hai.

'Fuckkkk-!!!! Fass gaya!!!'

Veer : Ahaha! Maine aisa kaha tha?

Bhavna : Bilkul! Mujhe acche se yaad hai. Uske baad se toh mein jaise puchna hi bhool gayi. Batao! Akhir, kaun hai woh master?

Tej : Veer ka master???

Veer : D-Darasal, maa... Mera koi Master nahi. Mein bas... Mujhe bas pyramids ka deep knowledge hai. That's it. I'm sorry. Maine aapse waha par jhooth bola tha.

Bhavna (gasps) : Tum...!

Veer : I'm really sorry!!!

Tej : Meri toh ab kuch samajh hi nahi aa raha hai.

Arohi : Tumhare pass pyramids ka knowledge kaise aaya?

Veer : Mein bachpan se hi inke baare me padha karta tha.

Arohi (frowns) : Maine toh kabhi nahi dekha tumhe pyramids ke baare me padhte hue???

Kavya : Umm… Dekha toh maine bhi nahi hai… A-Ahh! S-Sorry bhaiya!

Bhavna (sternly) : Do largest pyramids kaun se hai?

‘Ohh Fuckkk!!! Pari??? Pari??? Hey-!!!! Pari???’

Bhavna ka sawal aate hi Veer hadbada utha. System ke dwara duniya ka gyaan praapt karne ke liye use Pari ki aavashyakta thi. Bina Pari ke woh ye sab jankari apne aap praapt nahi kar sakta tha.

Magar, jaise uski vinti sunn li gayi. Kyuki, turant hi uske mann me saari jankari haazir ho gayi. Aur, ye dekh Veer mann hi mann khush ho gaya. Iska matlab Pari sleep mode se baahar aa chuki thi. Woh bas kuch bol nahi rahi thi. Use Pari se maafi bhi maangni thi. Magar, abhi iss sthiti se baahar aana zyada zaroori tha filhal.

Veer : Do largest pyramids Giza ke hai - The Great Pyramid aur The Pyramid of Khafre.

Tej : That is indeed… correct!

Bhavna : Khufu ka pyramid complex… Nazletel-Samman village ke neeche jo dafan hai. Abhi tak uska poori tarah se excavation nahi hua hai. Lekin, deewaro ki jaanch hui hai. Woh kinn pattharo se bani hai??

Veer : Limestone!

Tej (surprised) : Huh!!!

Bhavna : Kaun tha jisne pyramid of Menkaure ko tabaah karne ki koshish ki thi?

Veer : Al-Aziz-Uthman!

Tej : W-Wow~

Kahi na kahi, jaise-jaise Veer sahi uttar de raha tha, Tej ka utsaah utna hi badhta jaa raha tha.

‘Another proof ki tum mere sage bhai ho Veer… Our interests are the same.’

Bhavna (flabbergasted) : Mujhe… Mujhe yakeen nahi hota.

Arohi (stunned) : I’m so confused… I… I just don’t know whether I should feel proud of you or just smack your head for hiding this from all of us for so long.

Kavya (nods) : Right! Right! Bhaiya! Agar, aapke paas itna knowledge hai toh aapke marks pehle itne gande kyu aate the???

Veer : Urgh-!!! Kavya-!!?

Kavya : Oops! S-Sorry! But, I'm proud of you!!! Always! Hehe!

Shweta : Bahut hua ye sab… Ab sab band karo!!! Veer, chalo-

Woh aage badhte hue aayi ki itne me Bhavna ne apna haath uthaate hue use wahi rukne ka ishara kar diya. Ye pehli baar tha jab Bhavna ne seedhe taur par kuch kehna chaaha tha.

Bhavna : Mere aur mere bete ke beech zaroori baat chal rahi hai. Jab tak poori baat khatam nahi ho jaati, tab tak koi bhi beech me dakhal-andazi nahi dega.

Na chaahte hue bhi Shweta ko apne qadam wahi thaamne pade. Uska nichla honth daanto tale gusse aur asahaay mehsoos karne ke kaaran dabb gaya. Jaise use yaad dilaya gaya ho ki ek asli maa aur sauteli maa me kitna antar hota hai.

Bhavna : Maan liya ki tum sach keh rahe ho. Par, beetein dino me ye ravaiyya kya tha? Tej, Arohi tumhe baar-baar message bhejti rahi. Maine bhi bheje, par tumhe 5 minute ka waqt nahi mila hume reply karne ka?

Veer : Maa... Jidhar mein tha. Udhar... Network issues the.

Bhavna : Aur, pichhle do din toh tumne call tak recieve nahi kiya.

Veer : I... I'm really sorry!!!

Bhavna ki nigahein uss par hi tiki hui thi. Jaise parakh rahi ho ki kya woh sach keh raha tha ya jhooth.

Arohi : Tumhare phone me photos toh hongi na? Uss jagah ki? Jaha tum ruke the?

Veer : Haan di! Zyada nahi... Par, kuch hai!

Usne jab apne phone me kuch tasveere Renshu ke ghar ki dikhayi toh Arohi ka sandeh thoda kam hua.

Arohi : Tai ji! Dekhiye! Kisi Chinese ghar jaisa hi lag raha hai. Ye photos kuch din purani hai. Iska matlab ye baat Veer sach keh raha hai. Ye clicked photos hi hai.

Photos ki pushti karne ke baad, iske pehle ki woh Veer ka phone use wapas kar paati Tej ne uske haath se phone chhina liya.

Tej : Zara, ek minute Arohi-!!!

Veer : Teju dii???

Tej fatafat uske contacts me gayi aur use kayi saare naam dikhayi diye. Jinme se do naam bahut pramukh the uski nazro me.

Tej (mutters) : Here it is... Suhana... Aur... Divya!!!

Veer : Umm... Dii?

Tej ne apne phone me woh numbers feed kiye aur wapas se uska phone use thama diya.

Tej (smiles) : Here, take it!!

Veer : Ugh-!! What did you do?

Tej (smiles) : Nothing!

Bhavna : Akhiri do sawal!

Veer : J-Jii!?

Bhavna : Agar tumhe waqai jaana tha toh tum hume sab kuch bata ke bhi toh jaa sakte the na? Kya yahi baatein tum hume pehle nahi bata sakte the? Kya hum paraaye hai?

Ragini (steps in) : Iss baat se mein bhi sehmat hu, Veer! Hum sab parivar hai. Tum hume agar sab kuch bata ke jaate toh itna bada bakheda khada hota hi nahi. Sab nishchint rehte tumhe lekar.

Suman : Na chaahte hue bhi... Mein sehmat hu iss baat se, Veer ji! Beetein dino sab kitna pareshan the aapko lekar ye baat yaha harr koi jaanta hai.

Bhumika (nods) : Sach me!!! Mujhe toh hotel me bhi tension hoti thi. Na tum mere messages ka jawab de rahe the aur na hi calls pick kar rahe the. Upar se Tejal ki haalat toh dekhne layak thi.

Tej (fumbles) : Wh-What do you mean???

Bhumika : Huh? Tumne apna huiya nahi dekha tha parso? Poore gaal aasuon se bheege hue the, kajal poora dhul ke gaalo se beh raha tha, baal ekdum bikhre, aur make-up-

Tej : Stop it!!!! Stooopppp!!!

Bhumika : Huhhh??

Arohi (nods) : It's true! Sab bahut zyada pareshan the. Mein bhi!!!

Veer : Arohi di...! Maa...! Teju dii! Mein bas isliye aap sab se kuch na kaha kyuki, mein aap sabko kisi bhi pareshani ya musibat me nahi-

Kintu, uska vaakya adhoora hi reh gaya jab Bhavna achanak hi uthi aur uska haath hawa ko cheerte hue uske gaal ki orr aaya. Akasmat hi Veer ki aankhein band ho gayi aur Tej samet sabhi ki saansein atak gayi.

Magar...

Kuch na hua. Veer ne jab aankhein khol dekha toh paaya ki uski maa ka haath theek uske gaal se chand inch dur hi ruka hua tha. Haath kaanp raha tha. Apni maa ko jaise hi usne dekha toh ek ajeeb sa bhaar use apne upar mehsoos hua. Bhavna ke honth thar-thara rahe the. Woh krodhit thi. Atyant hi... Aur, aaj pehli baar Veer ne apni maa ko oonchi awaaz me bolte hue suna.

Bhavna (yells) : Hum tumhare apne hai ya paraaye??

Veer : Apne...

Bhavna : Toh baatein apno se saajha ki jaati hai ya paraayo se???

Veer (looks down) : Apno se...

Bhavna : Kal ko mein ya Tej tumhe bina bataye kahi chale jaaye toh tumhe kaisa lagega???

Veer (glances) : Maa...

Bhavna (yells) : Kaisa lagega tumhe???

Bhavna ki oonchi awaaz iska pramaan tha ki woh kitni zyada gusse me thi. Use zyada taqleef Veer ke jaane se nahi thi, use chot pahuchi thi ki Veer ne use sach isliye na bataya kyuki woh bas unhe pareshani me nahi daalna chaahta tha. Kal ko agar Veer ke saath kuch anhoni ho jaati toh woh sab toh hamesha-hamesha ke liye andhere me hi reh jaate. Bhavna iss baat se krodhit thi.

Bhavna : Bolo-!!! Kaisa lagega tumhe???

Veer : Bura lagega-!!

Bhavna : TOH FIR!!???

Tej (concerned) : M-Mom-!! Shaant ho jaiye! It's... It's okay!!!

Bhavna : Ye jhooth bol raha hai, Tej!!!

Arohi : ???

Tej : Huh???

Ragini sahit Shweta sabhi aashcharya me Veer ki orr dekhi.

Veer : Maa!??

Bhavna : Kaho iss se ki khaaye meri kasam aur keh de ki ye mujhse kuch nahi chhipa raha.

Baat sunte hi Veer ki aankhein bhay ke maare fel gayi. Nahi! Kaise keh de? Kaise kha le jhoothi kasam? Aaj se pehle woh aisi duwidha me kabhi nahi fasa tha. Tej ne kuch na kaha. Woh bas apeksha bhari aankhein liye use dekhti rahi. Aur, sirf wahi nahi, baaki sab bhi use kisi tarah ki aas liye dekh rahe the. Jaise intezar kar rahe ho ki woh kasam khaaye.

Veer : Mein... Mein aapki kasam kha ke kehta hu, maa... Mein China me tha. Mein business aur Li Renshu ki madad karne hi gaya tha.

Bhavna : Maine kaha ki kasam khao aur kaho ki tum mujhse kuch nahi chhipa rahe. Ye nahi batao ki tum kaha the aur kya karne gaye the.

Veer hairat me apni maa ko dekha. Mahaul ekdum se tang ho chuka tha. Woh ye kasam hargiz nahi kha sakta tha. Woh jitna bata sakta tha usne ujagar kar diya tha. Iske aage... Kuch bhi batana unhe khatre me daalne jaisa tha.

Bhavna : Khao kasam-!!!!

Kintu, Veer ke muh se kuch na nikla. Aur, Tej, Arohi ki aankhein bhauchakki hone ke chalte fel ke reh gayi. Uski khamoshi par Bhavna ki aankhon se ek aasu ki boond uske gaal se behte hue neeche giri. Veer kasam nahi kha raha tha. Iska matlab-

Tej : T-Tum jhooth keh rahe the? Veer?

Veer : Dii, nahi!!!! Maine jo kaha hai sach kaha hai.

Maa ki aankhon me aasu dekhte hi Veer ka dil andar hi andar chot khaa ke reh gaya. Jee michlane laga, aur bebasi use andar se khaane lagi.

Bhavna : Bhool jao use!!! Aur, sirf ye batao na ki tum kuch chhipa nahi rahe ho!!!

Arohi : Veer???

Veer : Mein... *looks down*

Arohi : I... I can't believe it!!!

Tej (frowns) : Iska matlab tum humse abhi bhi kuch chhipa rahe the???

Ragini : Veer!!! Veer jo kuch bhi hai sab bata do. Hum sab ek parivar hai. Agar, koi pareshani wali baat bhi hogi toh bhi hum sab milke uska hal dhundh hi lenge. Lekin, agar tum isi tarah khamosh rahe toh... Sab ko aur bura mehsoos hoga.

Arohi : Veer-!!! Say something!!

Shweta : Bol de mere bacche! Warna ye aise hi tujhe tang karti rahengi. Jo kuch bhi hai, sab saamne bol de. Mein hu na... Kuch nahi hoga. Tum bolo khaali. Baaki, mein dekh lungi.

Veer ne apni nazre upar kar apni maa ko dekha. Aur, fir baari-baari baaki sabhi ko. Lekin, woh jaanta tha ki uska nirnay kya tha.

Veer : I'm sorry-!! I... I can't....!!!

Aur, uske jawab ne uske iraade spasht kar diye. Bhavna ne ahista se apne gaal pe haath mal aasu pochhe aur fir sakht awaaz me boli.

Bhavna : Toh theek hai! Agar, tum nahi batana chaahte... Theek hai! Koi bhi tumhe force nahi karega. Par, humse jhooth bolne ki saza toh tumhe zaroor milegi. Mein bahut narmi se pesh aati thi ab tak. Lekin, shayad ab tum meri uss narmi ke layak nahi.

Veer : Maa...

Bhavna : Tej!!! Iss se keh do ki ye aaj se ek hafte ke liye apne kamre me nahi, upar chhat par soyega!!!

Arohi : Tai jii???

Kavya (gasps) : Ahh???

Tej (stunned) : M-Mom-!!???

Shweta : Tum... Tumhara dimag toh theek hai??? Ye kya keh rahi ho tum?

Bhumika : U-Upar terrace pe??? P-Par-

Suman (frowns) : Didi! December ka mahina hai. Raat me thand badh jaati hai. Upar chhat pe Veer ji kaise so sakte hai?

Bhavna : Agar ye humse baat chhipane me samarth hai. Toh, upar sona uske liye kuch nahi, Suman!

Suman : Didi! Aap kathor rahiye... Lekin, patthar dil nahi. Thand se agar Veer ji ki tabiyat kharab ho gayi toh?

Sonali : H-Haan! Upar... Upar thand toh rehti hai. Mein kal kapde uthaane gayi thi raat me toh mujhe lagi thi.

Bhavna : Hum Mumbai me hai, Suman! Manali me nahi!

Tej : M-Mom-!! Fir bhi, y-ye kuch zyada nahi ho gaya? Mein bhi gussa hu uss se par-

Arohi : Exactly! Tai ji! Koi aur saza de dijiye!

Bhavna : Bilkul nahi! Ye sirf aur sirf ek chaadar leke jayega. Aur, kuch nahi!

Tej (with concern) : Mom!!!

Bhumika : Sirf ek chaadar??

Kavya : Ah! Cushion bhi nahi??

Shweta : Tum kya kar rahi ho ye? Mere bete ko...

Bhavna : Bete ke saath kab sakhti se pesh aana chahiye, ye bhi ek maa ko aana chahiye.

Shweta (glares) : Tum...!

Arohi : Tai ji, ek baar fir soch lijiye.

Kavya : Haan, chhoti tai! Bhaiya, upar nahi reh payenge. Agar, aisa hi hai toh mein bhi unke saath upar jaungi. Mein bhi unke saath soungi.

Tej : Haan! M-Mein bhi-

Arohi : Me too!

Ragini : Itna.. itna sakht hone ki zaroorat nahi hai.

Bhavna : Tum me se koi bhi upar nahi jayega. Veer!!! Khade rahoge ya mein hi upar jaa ke sou?

Veer : Nahi, maa...! Mein... mein jaata hu!

Tej : Veer-!!!!

Kavya : Par, bhaiya-

Shweta : Tumhara dimag toh thikaane par hai na? Tum use ek chaadar de ke upar sone ko bhej rahi ho?

Bhavna : Kyu? Kya galat hai isme? Kya kabhi bachpan me hum zameen par nahi soye? Hasht-pusht hai Veer toh...! Koi dikkat nahi honi chahiye use.

Shweta : Tumhara dimag sathiya gaya hai kya? Ye kaisi betuki baat kar rahi ho?

Bhavna : Mera nirnay spasht hai. Veer???

Veer : Ji!!!

Veer apni jagah se utha aur upar chup-chaap apne kamre ki orr chal diya. Idhar neeche sab use pukaarte rahe kintu, woh na ruka. Sab Bhavna ko samjhaate rahe magar, jaise Bhavna apne nirnay par atal thi.

Veer jaise hi sirf ek chaadar leke neeche aaya toh Tej aur bhi bhavuk ho uthi. Arohi aur Kavya ka bhi yahi haal tha. Yaha tak ki Bhumika aur kuch derr pehle uski taang kheechne waali Sonali ke chehre par bhi chinta saaf nazar aa rahi thi.

Ragini aur Suman bhi laakh koshisho ke baad bhi Bhavna ko manaane me asamarth rahi.

Bhavna ne dekha ki Veer ke haath me ek hi chaadar thi. Woh kuch na boli. Veer aage badha aur darwaze ki orr jab woh badhne laga toh Tej aur Kavya dono aur bhi bechain ho uthi.

Tej : Mom, rok lijiye use. Ek chaadar ke saath kaise soyega woh? Terrace ki zameen kitni hard hai... Kaise laitega woh? Peeth dard karne lagegi uski... Aur, upar se thand...!

Kavya : Tai ji!!! Bhaiya upar soyenge toh... Raat me unhe agar koi keeda kaat liya toh?? Agar, soojan aa gayi toh?? Ahhh! Bhaiya ko agar honth ya unki naak me kaat liya toh??? Bhaiya kitne gande lagenge...

Arohi : Hum... Hum Veer ko zameen pe hi sula denge, Tai ji. Magar, use upar mat bhejiye. Yahi hall me neeche soya karega woh.

Tej : H-Haan! Ye saza theek rahegi. M-Mom-!!

Bhavna : Maine keh diya na ek baar? Dobara mujhe bolna na pade!!!

Tej : Mom aap...

Idhar Veer ne darwaza khola aur woh upar jaane laga toh uski behne vyakul ho uthi. Sab baari-baari guhaar lagaati rahi lekin, Bhavna ne toh jaise aaj thaan liya tha. Shweta ki bhi ek na chali. Janm dene waali Maa ke aage woh fir haar gayi.

Kavya bechari toh rone hi lagi. Kuch derr pehle sab kitna accha tha. Uske bhaiya laut aaye the. Uske liye tohfe bhi laaye the. Aur, ab uske saath aisa vyavhar ho raha tha. Use bhavuk hone me derr na lagi.

Kavya : Aap... *sniff* Aap bahut gandi ho, Tai ji!!

Bhavna : ???

Kavya : Aapko pata bhi hai? *sniff* Bhaiya aap sab ke liye waha se kitne saare gifts laaye hai?? Sab ke liye woh kuch na kuch leke aaye hai. *sniff* Woh aap sab ko dinner ke baad gifts dene waale the. *sniff* Par, aapne unke poore surprise par pani fer diya. *sniff*

Aur, ye baat pata lagte hi jaise sabhi ke andar glani paida ho gayi. Khaas kar Tej ke andar. Woh bahut gussa thi Veer se, beshaq. Magar, uski kalpana toh ye thi ki Veer ko woh do chaar baatein sunayegi, use thodi saza degi, uss se jawaab nikalwayegi, aur baad me use maaf kar degi.

Parantu, aisa kuch na hua. Ab woh khud ko galat samajh rahi thi. Uska chhota bhai uske liye tohfe laaya tha? Kitna excited raha hoga woh bhi sabhi ko gifts dene ke liye!? Par-

Tej : Aapne... Aapne ye theek nahi kiya, Mom!!!

Ek aasu ki boond uski aankhon se giri. Aur, woh tezz qadmo ke saath jhatpat waha se bhaagte hue apne kamre ki orr chali gayi.

Bhumika : Tejal-!!!

Arohi : Tejal didi-!!!

Arohi theek uske peeche use sambhalne ko bhaagi aur Kavya bhi unke peeche-peeche apni roti hui soorat liye chali gayi.

Shweta : Mil gaya chenn tumhe? Kaisi maa ho tum?? Agar, Veer meri kokh se paida hua hota toh mein-

Bhavna : *glances*

Shweta (mutters) : Par, badnaseeb mera-!! Hmph!

Badbadate hue woh bhi waha se andar chali gayi. Aur, uske peeche Bhumika bhi chal di. Magar, jaate-jaate Bhavna par ek sarsari nigah daalna nahi bhuli woh.

Suman bhi Sonali ke sang aage badhte hue aayi aur Bhavna ke bagal se khadi hoke boli.

Suman : Shayad iss baar... Aap galat thi, didi!

Bhavna : ???

Suman : Mamta me sakhti rakhna jayaz hai... Par, itni sakhti rakhna ki mamta ka hi naam-o-nishaan mit jaaye? Aaj mujhe aapka ye roop samajh nahi aaya.

Bhavna : Sakhti zaroori hai, Suman!

Suman : Maanti hu! Mein bhi daasi hone ke naate, daasi ke auhde ko lekar Sonali ke prati kabhi-kabhi bahut sakht ho jaati hu. Sonali bhi mere ravaiyye se nakhush rehti hogi. Isme koi sanshay nahi.

Apni Maa ki baat sunn Sonali ne apna sarr neeche jhuka liya.

Suman : Magar, mein jo karti hu, usme hamesha uska hit hi chhupa hota hai. Uska hit, hamare parivar ka hit...! Lekin, aaj aapne jo kiya... Mujhe usme kahi par bhi kisi ka bhi hit nazar nahi aaya.

Bhavna bas Suman ko dekhti reh gayi. Kuch keh na saki.

Suman : Baaki... Mein toh daasi hu. Aapke parivar ki seva karna hi mera dharam hai. Iss vishay me chaah ke bhi beech me nahi aa sakti. Meri haisiyat mujhe anumati nahi deti. Par, agar mein vachan baddh na hoti. Agar, seva karne ke liye baadhya na hoti, toh aaj maalik ko upar jaane nahi deti. Unhe haath se pakad ke yahi rakhti. Aur, koi bhi mujhe rok nahi paata. Aap bhi nahi-!! Ek baar shaant dimag se sochiyega ki kya aapne aaj jo kiya.... Woh sahi tha??? Khair... Shubh raatri, didi!

Aur, woh Sonali ko lete hue chali gayi. Reh gayi toh sirf Bhavna. Na jaane kya chal raha tha uske mann me.

***

Raat ke 11:30 baj rahe the jab Veer upar aaya. Terrace me waqai thand thi. Paara 18° tha. Thand toh thi magar, Veer ke liye ye koi zyada pareshani waali baat nahi thi. Usne apni ek chaadar zameen par bichhayi. Aur, lait gaya. Magar, sakth zameen uski peeth par gadne lagi. Ek system holder hone ke naate uske liye toh ye kuch nahi tha. Par, aam insaan yaha aise nahi lait sakta tha.

Aaj bade dino baad use itna akelapann sa mehsoos ho raha tha. Ava ke sang majboori me kara gaya woh vyavhar, Pari ki narazgi, parivar se behes aur uski behno aur maa ka uss se roothna. Kul milake uska din hi aaj kharab tha.

Apne andar woh bhi kitna dard liye hue tha, ye jaise kisi ne mehsoos kar liya. Aur, tabhi-

[H-Hey-!!]

'Huh? P-Pari-!!???'

Pari ki awaaz sunte hi woh uth ke baith gaya.

'P-Pari!!!'

[Master!!!]

'Huh???'

[???]

'Kaho, Pari!'

[Nahi! Aap kuch keh rahe the. Say it!]

'Nahi, pehle tum-!'

[Pehle aap!]

'Okay! Fine! *sighs* Pari!!! Mein... Mujhe maaf kar do, Pari!!'

[...]

'Mujhe maaf kar do! Mein khamakha tum pe bhadak utha. Mein overreact kar gaya. Jabki, mujhe aisa nahi karna chahiye tha.'

[No!]

'???'

[I'm... I'm sorry, Master!]

'???'

[Mein aapko theek se samjha nahi paayi. Mujhe aapko pehle hi sab kuch bata dena chahiye tha. Mein aapke emotions ke saath kheli aur aapse sach chhipa ke rakhi. It was my fault.]

'Nahi! Tumne wahi kiya jo uss waqt tumhe sahi laga, Pari! Mein hi tha jo chhoti si baat ka batangad bana baitha.'

[Ye chhoti si baat nahi thi, Master. Aap hurt hue the. And, it was... It was because of me.]

'H-Haan, kyuki... Kyuki mujhe tum par poora bharosa tha, Pari.'

[Bharosa tha?]

'Bharosa hai! Mujhe ab bhi tum pe poora vishvas hai. Maaf karna, Pari! I... Mein jo nahi kehna chaahna tha woh bhi mere muh se nikal gaya. Shayad... Shayad jis se aap sach me lagaav rakhte ho uss se hi zyada ladayi karte ho. Shayad ye sach hai.'

[Aap ab bhi mujhpe vishvas rakhte ho?]

'Haan!'

[Iske baad bhi-!?]

'Haan!'

[You-]

'Kya???'

[Kuch nahi! I'm just... happy.]

'Sorry... Pari-!!!'

[No! I'm sorry!! Master!!!]

Veer mann hi mann muskuraya. Uske upar se ek bhaari bojh jaise kam ho gaya Pari se maafi maangte hi.

'You mean a lot to me, Pari! Isliye, jab mujhe pata chala ki tumne mujhe andhere me rakha, toh mein apne jazbato ko qaabu me nahi rakh paaya. Mera gussa apne aap foot pada. Mujhe maaf kardo-!!!'

[Mmm! It's okay, Master! Meri bhi galti thi. Trust dono side se banta hai. Mujhe bhi aapko pehle hi sab bata dena chahiye tha. Agar, bata deti toh ye sab hota hi nahi.]

'Hmm! It's okay! Leave it! Toh... Tumne mujhe maaf kar diya?'

[Kabka...]

Veer ke honth muskan me fel gaye.

[Aur, aapne?]

'Mein tumse naraaz hi nahi tha, Pari. Mein bas gussa tha. I can never hate you.'

[M-Master-!!!!]

Akhir kaar, dono me sulah ho hi gayi. Aur, ye toh hona hi tha. Dono ek dusre ko poora karte the. Na hi Pari ke bina Veer, Veer tha aur na hi uske bina Pari.

Pari se baatein karte hi raat ke kab 2 baj gaye use pata bhi na chala. Pari jaise aise samay me uski hamdard bann ke uske saath samay vyateet kar rahi thi. Aur, tabhi use chhat ke darwaze ki charmarahat sunayi di. Veer ke kaan awaaz sunte hi khade ho gaye.

Dekha toh paaya ki-

"Veer-!!!"

Veer : Huh???

Tej apne komal se shareer ke upar gadda aur razayi laade hue aa rahi thi.

Veer : Teju dii???

Tej : Urghhh! Baithe mat raho, meri madad karo!

Veer : Wait-!!!

Woh utha aur usne Tej ki peeth se gadda uthwa ke neeche rakha. Gadde ke neeche hote hi Tej haafte hue uss par baith gayi.

Veer : Aap yaha kya kar rahi ho??

Tej : Kya kar rahi ho se tumhara kya matlab hai? Can't you see? Mein tumhare liye gadda aur razayi laayi hu.

Veer : Par... Maa ne kaha tha na ki mere alawa aur koi nahi upar jayega!?

Tej : Mom ko mein dekh lungi! Par, tumhe mein iss tarah aise sone nahi de sakti. Pata nahi aaj kya ho gaya unhe achanak se. Anyways, mein unke faisle se agree nahi karti. Aur, mere rehte toh koi bhi tumhare saath badsalooki se pesh nahi aa sakta. Mom bhi nahi-!!!

Veer : Teju dii-!!!

Tej : Ab baithe kya ho? Chalo laito!

Veer : Aap bhi yahi so rahi hai?

Tej : Haan toh? Ye itna bada gadda kis liye leke aayi hu?

Veer : Teju di!

Tej : Hmm?

Veer (smiles) : Thank you!!

Woh akasmat aage badha aur Tej ke gale se lag gaya. Tej jo ab tak beparvah si chhavi banayi hui thi, Veer ke gale lagte hi uska saara natak dhara ka dhara reh gaya aur haya ki parat uske gaalo par chadh gayi.

Tej : Ahn~ K-Kya hua?

Veer : Aap bahut acchi ho!!

Tej (blushes) : R-Really? You mean it?

Veer : Of course!!!

Tej (blushes) : O-Okay! Par, iska matlab ye nahi hai ki maine tumhe poori tarah se maaf kar diya. Y-You must console me, later.

Veer (smiles) : Mmm~

Tej (blushes) : Thand hai... You know... Y-You... You can come closer.

Veer : Hmm? Aapko dikkat toh nahi?

Tej : N-No-! It's okay! *blushes* Come closer!

Veer : O-Okay!

Veer bhi thoda sa sharmata hua Tej ki orr sarka aur jaise hi woh uske qareeb aaya, Tej ne use apne seene se laga liya. Veer ka muh Tej ke urojo me jaa dhansa aur dono hi ek dusre ki garam saansein apne upar mehsoos kar paa rahe the.

Tej : Ab... *blushes* Thand nahi lagegi.

Razayi ke andar Veer ka haath jaise hi Tej ki kamar par gaya toh Tej thitur ke reh gayi. Lekin, sirf thand iska kaaran nahi thi.

Tej : Come closer... Mmm-!! It's okay!! *blushes* Mein hu na...! Koi ab kuch nahi kahega. It's okay... Baby...

Woh use pyaar se puchkarne lagi, jaise maano woh ek baccha ho. Shayad ye karna uski barso se khwaish thi. Aur, ahista-ahista uske honth Veer ke hontho ki orr apne aap hi badhne lage. Aur, qareeb aate hi-

*Chu*

Usne haule se Veer ke hontho ko chooma. Sharm ke maare uske gaalo ka tapmaan badhne laga. Magar, aaj woh yahi tak seemit thi. Kyuki, woh jaanti thi ki agar woh iske aage badhi toh neeche uske perro ke beech ek sailab aa jaane waala tha.

Aur, yuhi uss se lage hue woh kab neend ki waadiyo me chali gayi use pata hi na laga. Abhi ek ghanta hi hua tha mushqil se ki punah chhat ke darwaze ne aahat kari. Aur, iss baar koi aur nahi, swayam Bhavna hi thi.

Jaise hi usne dekha ki chhat par Veer ke sang Tej uss se lipat ke so rahi thi, uske hontho par muskaan apne aap bikhar gayi. Woh dheere se chalte hue unn dono ke nazdeek aayi. Jhukte hue baithi aur dono ko dekhne lagi. Pyaar se usne unn dono ke sarr par haath fera.

Bhavna (smiles) : Agar, jaag rahe ho toh ye sone ka naatak kyu kar rahe ho?

Veer ne apni palke upar kar apni maa ko dekha.

Veer : Agar, saza deni hi thi toh de deti, ye natak kyu kar rahi thi?

Bhavna bina muskuraye na reh saki.

Bhavna (smiles) : Tumhe pata chal gaya?

Veer (smiles) : Kisey pata nahi chalta?

Bhavna : Baaki kisi ko toh pata nahi chala ki mein natak kar rahi thi tumhe saza dete waqt.

Veer (smiles) : Aapki acting acchi thi.

Bhavna (smiles) : Ohh accha? Fir, tumhe kab pata chala?

Veer : Usi waqt jab aapne mujhe ye saza di. Ye saza... Aap asal me mujhe de hi nahi sakti.

Bhavna : Oh!?? Toh? Asal me kya de sakti hu?

Veer : Aap agar sach me mujhe saza de rahi hoti toh woh saza bhi aapki hoti. Na ki meri...

Bhavna : Woh kaise?

Veer : Aap mujhse kuch na kehti. Aap khaana khaana band kar deti. Mujhse baat karna band kar deti. Kuch aisa karti jo mujhe directly nahi, indirectly affect karta. Aur, sach me... Mere liye woh saza bahut badi hoti.

Bhavna : Itne acche se jaante ho apni maa ko???

Veer (smiles) : Agar, mein nahi jaanunga toh aur kaun jaanega?

Bhavna haule se muskurayi. Lekin, iss baar uski aankhon se ashru ki boond beh ke seedhe Veer ke gaal par giri. Aur, ye koi naatak nahi tha. Uski hatheli Veer ke gaal par aayi aur aasu ko pochhte hue uske gaal ko pyaar se sehlayi.

Bhavna : Bees saal baad tumhe paaya hai....! Mein tumhe dobaara nahi khona chaahti!!! Tum aur Tej... Meri duniya ho. Tum me se kisi ko bhi mere jeete jee kuch hua... Toh mein usi din marr jaungi.

Veer : M-Maa-!!!

Bhavna : Shhh!

Bhavna ne uske honth par ungli rakh use chup kara diya magar, Veer ne uske haath ko hataya.

Veer : Jab tak mein yaha hu... Mein aap pe... Teju dii pe... In fact iss ghar ke kisi bhi jann pe... Koi bhi aanch nahi aane dunga.

Bhavna (smiles) : Aur, khud pe?

Veer : !!???

Bhavna : Mujhe iski fiqr nahi hai ki mujhe kya hoga. Mujhe fiqr hai ki tumhe kya hoga? Maine abhi toh kaha.... Meri duniya... Tum dono ho... Mein khud nahi!

Veer : I...

Bhavna : Isliye, vaada karo... Kabhi bhi mujhe chorr ke nahi jaoge. Kabhi bhi nahi! Mere jeete jee toh bilkul bhi nahi!!!

Veer : ...

Bhavna : Vaada karo-!!!!

Veer (smiles) : Mein aapse vaada karta hu.

Bhavna (smiles) : Mmm!!!

Veer : Ab zara ek sawal ka jawab dijiye!

Bhavna : Hmm?

Veer : Aapka thappad mere gaal par lagne se pehle kyu rukk gaya tha??

Bhavna : ...

Veer : Bataiye!

Bhavna : Tumhe thappado ka shauq hai?

Veer : Baat palatiye mat. Jawab dijiye!

Bhavna : Mein...

Veer : Aap hichkicha gayi. Hai na?

Bhavna ne dheere se haami bhar sarr hilaya.

Veer (frowns) : Kyu???

Bhavna : Bas... Aise hi...

Veer : Ab khud kyu jhooth bol rahi ho???

Bhavna : Huh? Nahi toh-!?

Veer : Jaise aap mujhe dekh ke padh sakti hai, waise hi mein bhi aapko dekh ke padh sakta hu. Bataiye ab!

Bhavna : Mein...

Punah uski aankhein bheeg uthi.

Bhavna : Maine abhi bataya tumhe... Tumhe bees saal baad paaya hai...

Veer : Aur, iss wajah se aapko ye laga ki aap ka mujhpe poori tarah se haq nahi hai. Hai na?

Bhavna : *nods*

Veer : Kyu laga aisa?

Bhavna : Bees saal se tumhari parvarish maine nahi ki hai. Aaj bhi ye ghar mera nahi hai. Kehne ko maanti hu ki ye hum sabka ghar hai. Par, tum mere ghar ki chhaav me nahi. Ragini ne tumhe panah di thi. Aur, tab se sab iss ghar se judte gaye. Kya unn sab ka haq tumpe nahi jo meri gerr-haziri me tumhari dekh-bhaal kar rahi thi?? F-Fir kaise...? Kaise tum par haath utha du?? Kis haq se tum par haath uthau, ye jaante hue ki tum par baakiyo ka bhi haq hai?? Kaise??

Veer : Ek maa hone ke naate...

Bhavna : !!??

Veer : Aapne mujhe apni kokh se janm diya hai. *smiles* Uss se purana rishta koi ho sakta hai??? Sabse pehle toh aapka hi haq hai.

Bhavna : Par, mein bees saal se tumse dur bhi toh thi.

Veer : Aap majboori me dur thi. Jaan ke nahi.

Bhavna : Tum...

Veer : Aapka poora poora haq hai mujhpe. Aur, ahinda se maine agar aap me hich-kichihat dekhi. Toh, mein apna vaada bhool jaunga.

Bhavna : Nahiiii-!!!!

Veer : Toh???

Bhavna haule se muskurayi aur halke haath se usne Veer ke gaal par ek thappad maarte hue kaha.

Bhavna : Tum... Tum nahi sudhroge...! Nalayak ekdum...!

Veer : Mein aapka beta hu. *smiles*

Bhavna : Hmm! Hmm!

Aur, usne jhukte hue Veer ke maathe ko choom liya.

Bhavna : Ab ye batao ki kya jaadu kar diya hai apni Purvi maasi par?

Veer : Purvi maasi? Kyu? Kya hua unhe?

Bhavna : Do baar ghar se lauti hai woh. Keh rahi thi ki na hi Veer mera message dekh raha hai aur na hi phone utha raha hai. Kaha gayab ho gaya? Ghar kyu nahi aaya mere? Jab se use pata chala hai ki tum gayab ho tab se roz phone aata hai uska.

Veer : Umm... Wo bhi pareshan hongi shayad mere baare me?

Bhavna : Zaahir hai!!! Ab tum kisi din apni maasi se mil aana.

Veer : Sunday ko unhe yahi par bulaiyega. Mujhe unke haath ka khaana pasand hai. Din bhar yahi rahengi woh.

Bhavna (smiles) : Theek hai-!!!

Aur, dono maa bete chandni raat me yuhi baat karte rahe. Lekin, darwaaze ke theek peeche woh nahi jaante the ki kaun kaun unhe dekh raha tha.

Ragini se leke, Arohi, Kavya, Shweta sab ki sab aurtein chhat ki seedhiyo par khadi jhaak ke maa bete ko dekh rahi thi. Aur, sabhi ke hontho par muskan thi. Siwaye, Shweta ke.

Kavya : Mein jaanti thi... Chhoti tai itni buri nahi ho sakti.

Arohi : At the end... It went well-!

Bhumika : All's well that ends well.

Arohi (smiles) : Right!

Suman (smiles) : Pehli baar... Mein didi ko samajh na saki. Mujhe bhi chauka diya unhone.

Ragini : Ghar me khushiyaan hi acchi lagti hai. *smiles* Hai na?

Suman : Jii!

Woh sabhi yaha Veer ke liye hi chori chhipe aayi thi. Jaise Tej aayi thi. Magar, unhe yaha aake ye nazara dekhne ko milega ye kisi ne nahi socha tha.

Shweta hi ekmaatra thi jo khud ko dosh de rahi thi. Bhavna uss se kitne qadam aage thi ye use samajh aa gaya tha.

***

Subah hui, aur roz ki tarah Veer ke ghar me shor sharaba shuru ho gaya. Choonki, Veer laut chuka tha toh aurton me pehle se kahi zyada josh bhara hua tha.

Chhat se neeche aane ke baad, Veer aur Tej ek saath hi uske kamre me so gaye the. Jab woh neend se jaaga toh dekha ki Tej uske bagal se nahi thi.

Woh achanak hi kamre me aayi uska haath thaami aur use pakad ke neeche hall me le gayi.

Veer : K-Kya hua???

Tej : Arrey sote nahi raho pagal-!!! News check karo!!!

Veer : Hmm??

Veer ne jab TV par chal rahi khabar dekhi toh woh hairat me reh gaya. Desh ke news channel par saaf-saaf khabar chhapi thi.

"Mumbai- Thane me hua murder!! Mujrim lapata!"

Veer : Murder???

Tej (nods) : Aur, ye dusra hai!

Veer : Dusra???

Tej : Hmm! Thane ke pehle uss se thoda dur ek murder kuch din pehle hua tha.

Arohi jiske haath me remote tha woh peeche mud unhe dekh boli,

Arohi : Sirf itna hi nahi didi, ye news dekhiye.

Usne international news par jump kiya aur Veer ne jaise hi woh khabar padhi. Pata nahi kyu, par woh khabar use murder se bhi zyada khaufnak lagi.

"The unidentified missiles which destroyed the Royal Oaisis in Morocco have been identified."

"The missiles are believed to belong to - Spain!!!"

Arohi : Another world war???

Tej : Ye chal kya raha hai aaj kal???

Veer ka dimag kahi aur hi joojh raha tha.

'What the hell is going on...!?? Kahi... Rebecca-!!??'

***


Yesterday...
Mumbai...
Shopping mart, night - 9:36 PM


Bade se mart me ek cashier baitha hua tha aur entries kar raha tha jab ek naujavan ladka Mart ke andar pravesh kiya.

Cashier intezar kar raha tha uske samaan dene ka par jab ladke ne kuch bhi nahi diya toh usne upar sarr utha ke dekha.

Cashier : ????

Ladka (smiles) : I just want to have a chat with you.

Cashier ne dekha ki woh ladka muh par mask baandhe hue tha.

Cashier (frowns) : Who are you???

Ladka : Don't you know?? When two people have the same enemy... They are considered as friends. I'm your friend.

Cashier : Get out!!! I don't have time for this-

Ladka : Veer-!!!!

Naam sunte hi Cashier ki aankhein chaudi ho gayi.

Ladka : Don't you have some business with him? *grins* Take this.

Usne ek envelope use thamaya. Na jaane andar kya tha.

Cashier : Get the fuck outta here... I don't need anything... I...

Par, jaate-jaate ladke ne jo kaha use sunn cashier chuppi saadhne par majboor ho gaya.

Ladka : I hope you will comply... Mister... Dexter-!!!!!
.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys.
This update consists of more than 9.1k words. Hope ju logo ko ye interaction pasand aaya hoga. Mujhe ye dhang sahi laga dikhane ke liye. Comments me batana ki kaisa laga ye. Baaki, Target apna wahi hai, 200. Likes thokne ka aur revos rakhne ka.

Dhanyavad.
Very Nice Update Bhai
 
  • Like
Reactions: Werewolf

Rexd

Member
353
743
93
Waiting eagerly for the next update!

There is so much build up going on in last few chapters, I’m excited to see where this all leads. With festival season approaching and end of year tasks - I assume the writer will get busy too. Werewolf - are you focusing more on bite size chapters or mega updates? Btw, I see your DPs changed to a ghost face. Do we expect a lot of deaths?

The wait is tantalizing! Looking forward to see what you’ve cooked!
 

Werewolf

ʀᴏɢᴜᴇ ɴɪɴᴊᴀ
Supreme
13,846
98,518
259
Waiting eagerly for the next update!

There is so much build up going on in last few chapters, I’m excited to see where this all leads. With festival season approaching and end of year tasks - I assume the writer will get busy too. Werewolf - are you focusing more on bite size chapters or mega updates? Btw, I see your DPs changed to a ghost face. Do we expect a lot of deaths?

The wait is tantalizing! Looking forward to see what you’ve cooked!
Update is being prepared. And, yes... With all the festivals approaching I'm a little too busy with everything. Update would be around 7-8k words. Not more than 9k. But I'm hardly getting any time to focus on the update. Let's see! I'll inform again today at night as to when the next update will come. Hopefully, it won't take much long. My aim is to provide the update tomorrow at night. But let's see how far I'll be able to write today. Because this is just my assumption and an expected time. I don't know what sort of work is awaiting for me to disturb me at any moment. I'll catch up with you guys in the night. ✨
 
Top