• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Incest Baadshah ~ The Tales of Debauchery

Kya Veer apni life behtar kar paega ya sab kuch kho baithega?

  • Veer Baadshah banega

    Votes: 1,289 83.2%
  • Sab kuch kho baithega

    Votes: 26 1.7%
  • Kuch paega toh kuch khoega

    Votes: 201 13.0%
  • Kuch nahi bann paega

    Votes: 34 2.2%

  • Total voters
    1,550

Rajesh

Well-Known Member
3,486
7,933
158
Update - 25 ~ Misfortune on its way.
[Master...]

'Hmm!'

[Kya wo sahi tha!?]

'Kya!?'

[Aapka Nidhi ke ghar se nikal aana!? I mean... Aap bhule toh nahi ho na? You have a mission. Solve Nidhi's problem.]

'I know! But mein aise unke saath nahi reh sakta. Unhone boht kar diya hai mere liye. Ab meri baari hai.'

[But aise me yadi uspe koi musibat aati hai ya wo kisi pareshani me padti hai then...!?]

'I'll protect her from the shadows.'

[Oh!]

'Hmm! Unka saaya banke rahunga mein. Koi pareshani nahi aane dunga unpe.'

[That's... That's such a romantic way to express your love, master.]

'Huh? Well! She means a lot to me, Pari! She's not just my teacher.'

[I can see that. Toh aapne isliye Shreya ke phone me wo message bheja? Ki jab bhi koi pareshani hoye wo aapko call kar de?]

'Hmm!'

Veer Nidhi ke ghar se nikle abhi raaste me hi Pari se baatein karte hue chala jaa raha tha. Subah hi wo 8 baje kareeb nikal gaya tha ghar se aur Nidhi kyuki aaj late uthi thi usse keval ek kaagaz me likha patr hi mila tha Veer ka...

Veer nahi...

Abhi Veer chal hi raha tha ki uska pait achanak hi gudgud kiya aur uske kadam wahi rukk gaye.

[You are hungry.]

'Yeah!'

[Kal raat me bhi aapne bhar pait khaana nahi khaaya tha. I can feel it. You are really hungry. Tension me bhi ho aap kaafi. Dherr saari cheeze chal rahi hai aapke mann me.]

'Haha~ Tum toh meri personal doctor hi bann gayi.'

[That I am.]

'Hmm!'

[Fir!? Kya plan hai master!? You don't have money. No home. No place to stay. What now!?]

'I don't know. Khaane ke liye paise chaahiye. And paise ke liye kuch kaam karna padega. Aise free me toh koi dega nahi khaana.'

Wo sochte sochte ek jagah baith gaya jaha bagal se lage thelo aur dukaano me subah naashta bik raha tha aur kaafi bheed jama ho gayi thi logo ki.

'Pari!'

[Hmm?]

'Pata bachpan me mere paas paisa nahi tha, par sukoon kaafi tha zindagi me.'

[....]

'Paisa toh aaj bhi nahi hai, Par wo sukoon bhi jese chhin gaya hai.'

Veer ki baat sunn Pari thodi derr maun reh gayi. Wo uske andar chal rahi tension ko feel kar paa rahi thi. Thodi derr baad usne apni chuppi todi,

[Sometimes life can be hard master.]

'Life is always hard Pari.'

[Don't worry master! I'll support you! I'm here for you!]

Pari ki baat sunn Veer muskura utha.
Abhi wo baitha hi hua tha ki tabhi uska phone baj utha.

Screen pe dekha toh kisi unknown number se call aa raha tha. Usne call utha ke apne kaano me lagaaya toh ek jaani pehchaani sii awaaz uske kaano me padi,

"Veer!? Mein bol rahi hu. Ragini! Tumhari... Tumhari Bhabhi!"

Ragini ki awaaz sunte hi Veer kuch derr tak shaant reh gaya.

'Why is she calling me now!? Kavya bataayi thi ki Bhabhi ne uss se mera number liya hai. Mein hi direct puch leta hu.'

Veer : Jii!? Kahiye!

Ragini : Veer! Kya... Kya tum mujhse mil sakte ho?

Veer : Kya isliye aapne mujhe call kiya hai?

Ragini : H... Haa!

Veer (sighs) : Mujhe kuch nahi sunn na hai Bhabhi! Uss din jo bhi hua, uss sthiti se mene aapko nikaala, baat wahi khatam ho gayi. Ab uss baare me mujhe koi bhi baat nahi karni hai.

Ragini : Veer... Nahi! Suno! Please! Baat uss baare me nahi hai. In fact, Thank you so much Veer. Yadi... Yadi tum nahi hote toh pata nahi kya hota uss din. Mene tumse maafi maangne ya apne aap ko dudh ka dhula bataane ke liye nahi kiya hai call Veer. It's really urgent. Tumse kuch baatein karni hai. Waqai! Wo boht zaroori baatein hai Veer. Isliye, Kya... Kya tum aa sakte ho?

Veer (frowns) : Kesi baatein?

Ragini : Wo baatein phone pe nahi ho sakti Veer. Aamne saamne baith kar hi ho sakti hai.

Veer : I don't think ki mein waapas se uss ghar me kadam rakhun...

Ragini : Nahi! Tumhe uss ghar me jaane ki koi zaroorat nahi hai Veer. I'm... I'm somewhere else.

Veer : Hmm? Aap kaha ho!?

Ragini : Mein... Mein apne Personal home me hu Veer iss waqt.

Veer : Personal home?

Ragini : Hmm! Mein tumhe tumhare phone par message kar ke address bhej rahi hu. Please, aa jaana Veer. I'm waiting... It's really urgent. Tumhare liye hi hai wo sab.

Veer (sighs) : Fine!

Na chaahte hue bhi Veer ne haami bhar hi dii. Kaaran tha ki Ragini ne kaha tha baat urgent hai. Aur uss se related hai.

[So? Aapne apni Bhabhi ko maaf kar diya!?]

'Hmm!? Maaf kar diya? Kisliye!?'

[I mean jesa unhone ab tak aapke saath behave kiya hai uske liye?]

'No! I don't like her... But... I don't hate her either. Unhone wesa kuch bhi nahi kiya jiske chalte mein unse ekdum nafrat karne lagu. Haa behsaq wo mujhse baat nahi karti thi, aur koi madad nahi karti thi na hi kabhi mere liye kuch kiya unhone. Toh uske liye, I don't like her. Lekin ye kehna ki mein ekdum unse nafrat karta hu, unhe dekhte hi mera khoon khaul uthata hai, ye thoda zyaada hoga.'

[I see!]

'Yeah... Let's go!'

***

Kuch derr ka safar tay karne ke baad hi Veer Ragini ke bheje gaye address par pohuch chuka tha. Aur wo ghar dekh ke hairaan tha. Ghar bunglow toh nahi tha par kaafi hadd tak bada tha.

'Bhabhi ka apna personal ghar bhi hai? When did she...!?'

Abhi wo soch hi raha tha ki tabhi upar ghar ki balcony me Ragini aayi aur usse neeche khade dekhte hi uske chehre par muskaan aa gayi.

Ragini : Veeeer!! Tum aa gaye... Ruko! Mein aati hu neeche.

Wo forun tezz kadmo ke saath bhaagte hue neeche aayi aur kuch hi palo me wo Veer ke saamne thi.

Usne darwaaza khola toh Veer ka chehra paas se uski nazro ke saamne aaya. Uss din usne raat ke andhere me dekha tha Veer ko. Aur wo bhi jab wo chotil tha.

Aaj usse firse ekdum fresh haalat me dekh, Ragini ashcharyachakit thi. Kya ye wahi Veer hai?? Uske mann me ye sawaal mandra raha tha. Par wo ekdum chuppi baandhe bas aise hi usse tak-taki lagaaye dekhe jaa rahi thi.

Veer : Ahem...

Ragini (hosh me aate hue) : Huh? Ohh! Haan! Veer... Mujhe... Mujhe nahi laga tha tum itni jaldi aa jaoge.

Veer : Hmm? Then!? Should I...!?

Uska ishaara samajhte hue Ragini ne forun hi apna haath aage badha ke uske haath ko pakad liya aur usse andar kheechte hue laane lagi. Veer ki nazar ek baar uske apne haath par gayi jo ki Ragini ki giraft me tha par wo bola kuch nahi.

Ragini : Ohh No No... Mein toh khush hu ki tum jaldi aa gaye. Aao na Veer...

'She seems happy about it...'

[Hmm! Master! Do you think ki ye ab waqai badal gayi hai!?]

'I cannot tell Pari.'

[Even I can't tell.]

'Check!'

[Name - Ragini.
Age - 27
Bio - Ragini ek boht hi passionate

young lady hai. Apne Mata pita se behad prem karti hai. Filhaal abhi emotional trauma aur guilt se guzar rahi hai aur iss waqt usse apne jeevan ka koi bhi lakshya dikhaayi nahi de raha hai. Usse ab kya karna hai, kya nahi kuch nahi pata.

Favourability : 47
Relationship : Sister-in-law.]

Veer ne jese hi Ragini ka status dekha sabse pehle wo favourability dekh ke chaunka. 47 ki favourability. Veer jaanta tha ki 47 ank ka matlab kya hota hai. Nidhi ki favourability uske prati 45 ke aas paas thi aaj ki tareekh me. Aur yaha Ragini ki already 47 pohuch chuki thi.

Hairaani toh usse boht ho rahi thi iss waqt. Bhala uski bhabhi jisne aaj tak uss se baat karne ka prayaas tak nahi kiya uske andar bhala uske prati itni feelings kese jaag gayi!?

Veer ko fatafat andar laate hue Ragini ne usse sofe par hi baitha diya. Ghar kaafi bada tha. Keval neeche hi nahi balki upar bhi ek floor tha aur sab kuch furnished tha. 6 toh beds hi the. Neeche teen aur upar teen. 4 bathrooms aur na jaane kya kya.

Apni nazro ko idhar udhar ghumaate hue Veer andar se hi ghar ki khubsoorati ko nihaar raha tha.

Usse aise dekh Ragini ek baar fir muskuraayi aur kitchen se ek tray me wo kaach ke glass me uske liye paani laayi.

Usne kal raat ki hi iss waqt lavender colour ki nighty pehni hui thi. Sundar toh wo thi hi shuru se. Uski sundarta pe aakhir kese koi madhosh hone se khud ko rok sakta tha!?

Jhukte hue jaise hi usne tray me paani serve kiya, Veer ko jo nahi dekhna chahiye tha wo dikh hi gaya aakhir. Uss lavendar nighty ke peeche chhipe ekdum makhmali gori twacha ke wo do raseele aam jo jhukne ke kaaran apna aadha darshan de rahe the. Uss drishya ki jhalak Veer ki nazro ne pal bhar ke liye apne zehan me qaid kar lii.

Ragini ek aurat hone ke naate, turant hi Veer ki nazro ko pakad lii. Par iske pehle ki wo Veer ki aankho me dekh usse pakad paati, Veer ne apni nazre forun hi hata lii.

Paani lete hue usne do sip piya aur side rakh wo chup chaap baitha raha.

Ragini bhi uske bagal se baith gayi aur fir usne khaamoshi todi.

Ragini : Tum... Tumne naashta kiya Veer!?

Veer : Jii nahi!

Ragini : Toh... Toh kyu na hum pehle naashta kar le? Baatein lambi hone waali hai...!?

Usne apni aashabhari nazro se dekhte hue Veer se kaha.

Veer : Jii nahi! Iski koi zaroora...

Par iske pehle ki wo apni baat rakh paata,

*Gudgud*

Uske pait ne apni baat rakh dii.

'Fucccckkkk!!'

[:laughing: I told you ki aap ko bhookh lagi hai.]

Ek ajeeb sii shaanti fel gayi kamre me.

Par Agle pal hi Ragini kilkaari lete hue hassi. Wo apne haath ke pichle hisse se apna muh dhaake Veer ko dekh khilkhila ke hass rahi thi.

Aur na chaahte hue bhi Veer usse keval dekhta raha, thoda sharminda bhi ho gaya.

Uthate hue Ragini ne uske kandhe par haath rakh thoda dabaav diya aur boli,
"Toh tay raha. Pehle pait pooja, fir baatein. Mein abhi garma garam poha bana ke laati hu Veer. Okay!?"

Veer (frowns) : Aapne toh kaha tha ki baat urgent hai!? Yadi baatein zaroori hai toh fir ye...!?

Ragini : Baat urgent hi hai Veer. Par, naashta toh kar hi sakte hai na hum? Yadi tumhe abhi koi kaam nahi hai toh...!?

Veer (sighs) : Fine!

Ragini (smiles) : Bas abhi laati hu... Okay!?

Wo kehte hue andar kitchen me chali gayi aur kuch derr me hi bartano ki khat pat awaazein aana shuru ho gayi Veer ko.

Kitchen bagal se hi tha, toh Ragini andar se Veer ko dekh paa rahi thi. Wo beech beech me usse dekhti aur apni soch me pad jaati. Na jaane kya chal raha tha uske mann me.

Thode samay me hi wo garma garam apne haatho se poha bana ke laayi aur Veer ko serve karte hue wo bhi uske bagal se ek plate leke baith gayi.

Poha dekhte hi Veer ke muh me paani aa gaya. Usne spoon utha ke jese hi poha taste kiya toh uski aankhein band ho gayi aur wo uss swaad me doob sa gaya.

Ragini : Kesa hai Veer!? Kuch gadbad toh nahi hui na mujhse banaane me...

Veer : It's... It's perfect.

Bina Ragini ki taraf dekhe wo khaane me magn ho gaya. Ye swaad wahi tha. Jab se Ragini unke ghar me aayi thi. Subah naashta wo hi banaati thi. Aur Veer bhali bhaati iss swaad se parichit tha. Wo kayi baar tareef bhi karta tha par tab Ragini uski baat sunn usse ignore kar diya karti thi.

Par aaj scene kuch aisa tha ki Ragini khud uske liye poha bana ke uss se khud puch rahi thi ki uske haatho ka bana khaana kesa hai. Samay badalte derr nahi lagti.

Veer sabhi baato se anjaan bas khaane me laga hua tha. Usse nahi pata tha ki Ragini iss waqt usse bade hi pyaar se muskuraate hue dekh rahi thi.

Kherr! Inki pait pooja jese hi samaapt hui, Veer waapas se apne wahi ravaiyye me aa gaya.

Veer : Ab bataaiye!

Ragini (shifts closer) : Veer! Jo mein bataane jaa rahi hu, wo ekdum sach baatein hai. Toh dhyaan se sunn'na aur fir act karna. Okay!?

Veer : Hmm!

Ragini : Sabse pehli baat. Tumne jab uss din mujhe aur baaki sabhi ko bachaaya tha. Uss din ke baad se hi mein ghar nahi gayi hu. Apne waale ghar!?

Veer (surprised) : Huh!?

Ragini : Hmm! Uss din ke baad se hi mere aur tumhare bade bhai Vivek ki beech ann bann hone lagi hai. Mujhe bhi kuch samay akele bitaana tha, isliye mene Dad se kehke iss ghar ki key leli. Ye mera hi ghar hai Veer.

Veer : Par...!?

Ragini : Bataati hu. Tumhe nahi pata shayad Veer. Par uss din... Uss din wo jo gang ka boss tha. Usne Vivek ke sarr par gun taante hue ek sawaal pucha tha. Ki batao... Kise bachau!? Tumhe ya tumhari biwi ko!? Aur tum jaante ho usne kya jawaab diya tha?

Veer : ??

Ragini : Usne... Usne apni jaan bachaane ki bheekh maangi thi. Yadi wahi sawaal uss aadmi ne uss waqt mujhse pucha hota toh mera jawaab yahi rehta ki mere pati ko kuch mat karna chaahe meri jaan lelo. Par... Par Vivek ne...

Bolte bolte Ragini ki awaaz thar-tharaane lagi aur uski aankho se aasu behne lage. Wo aage badhi aur Veer ke haath ke upar apna haath rakh uski hatheli ko zorr se bheench lii. Veer, uncomfortable zaroor feel kar raha tha Ragini ke itne close hone ke kaaran par wo chup baitha raha.

Ragini : Uss din mujhe pata chala tha Veer... Ki... Mein kitne bade andhkaar me jee rahi thi. Mein jis aadmi ko pyaar karti aayi wo toh mujhe uss hadd tak bhi pyaar nahi karta. Tab mujhe samajh aaya Veer... Mene kitna galat kiya tha tumhaare saath.

Veer : .....

Ragini : Mein tumhe ignore kar diya karti thi. Kitni badi bewakoof thi na mein!? Tabse hi... Tab se hi mein ghar nahi gayi hu. Ghar ka mahaul bhi boht bigda hua hai. Sabhi ko baat pata chal chuki hai. Aur wo sabhi Vivek ko ab kos rahe hai, jiske chalte Vivek apna gussa mere sarr nikaal raha hai. Ek aur naya rang dekhne ko mila mujhe uska. Shuru me toh wo maafi maang maang ke mujhe behlaata raha, par jab mein na maani toh ab gusse me mujhe ghar lautne ko keh raha hai. Kese...!? Aise vyakti se mein pyaar kar baithi bhala!? Haan? Veer??

[She's telling the truth master.]

'It seems so.'

Ragini : Ab tumhe bataati hu dusra sach. Tumhe ghar se baahar nikaalne ke peeche uss Pranjal aur mere pati yaani ki tumhaare apne bade bhai Vivek ka haath hai.

Ragini ke ye bol muh se nikalte hi maano ek bomb sa gira Veer ke sarr pe. Pranjal ke baare me toh wo jaanta hi tha ki wo kis kism ka vyakti tha. Par Veer ko iss baat se jhatka laga tha ki uska bada bhai Vivek bhi iss hadd tak mila hua tha.

Ragini : Haa Veer! Ye sach hai. Uss din... Jab tum floor par gire the. Wo saara kiya dhara Pranjal ka tha. Oil ki madad se usne floor ko slippery bana diya tha jis kaaran tum gire aur wo vase toota...

Veer : Huh...!?

Ragini : Haa! Sach sach kahungi Veer! Mein bhi iss me baad me shaamil hui thi... Par jab tumhari wo haalat dekhi thi toh andar se mujhe wo sahi nahi laga tha. Par haa... Mein bhi doshi hu Veer. Isliye tum mujhse naraaz reh sakte ho. Mein jaanti hu mein galat hu. Isliye mein apni mistakes ko sudhaarne ki poori koshish kar rahi hu. Aur mein koshish karti rahungi... Ki ek din tum mujhe maaf kar doge...

Veer : Kya yahi hai saari sacchaayi!?

Ragini : Hmm!

Aur agle hi pal Veer apna bag utha ke uthne lagta hai. Iss bag me Kavya dwaara diye gaye uske kapde the jisse wo le aaya tha. Baaki sab kuch wo Nidhi ke ghar hi chorr aaya tha.

Usse yu uthata dekh Ragini khud bhi forun uth jaati hai.

Ragini : Kaha!? Kaha jaa rahe ho!?

Veer : Hmm? Aapne baat bata dii. Baat khatam ho gayi. Uske liye thanks. Ab mera kaam yaha khatam hai so, I'm going now.

Ragini : Wahi puch rahi hu... Kaha jaa rahe ho? Tum aaye kese the? Paidal? Aur ye bag!?

Veer : I don't have any vehicle. Paidal aaya tha toh paidal hi jaunga na!? Aur rahi baat kaha jaa raha hu!? Toh wo toh mujhe khud nahi pata.

Bolte hue wo baahar nikalna lagta hai toh Ragini ek baar fir uska haath thaam usse rok leti hai.

Ragini : Kya matlab? Paidal aaye the!? You don't have money!? Aur kya matlab ki nahi pata kaha jaa raha hu...

Veer : I don't think ki... mujhe ye sab baatein aapko bataane ki zaroorat hai!?

Ragini (leans forward) : Veer! Past me jo kuch bhi hua wo hua. But... Abhi iss waqt... There's no way ki mein tumhara kabhi bhi bura chaahungi... Isliye... Please! Mujhe batao.

Wo ek aas liye usse dekhte hue boli. Uski pakad Veer ke biceps ko zorr se jakde hue thi. Iss baar Veer dekh sakta tha, unn aankho me ek chinta tha, darr bhi aur bechaini bhi. Wo aise usse dekh rahi thi jese maano abhi ro degi.

Veer (sighs) : I don't have a place to stay. Isliye wahi dekh raha hu... So...

Par iske pehle ki wo aage baat rakh paata, Ragini uske hontho pe apna haath rakh usse chup karwa deti hai,

Ragini : Then you are staying with me. No questions. Tumhe meri kasam Veer. Please! Mein nahi puchungi ki tum kaha the, kese reh rahe the abhi tum iss haal me kyu ho. But... Please! Ab yaha se... Mere saath rehna... Mujhe bhi support rahega. Kya tum apni Bhabhi ko itne bade ghar me akele aise chorr ke jaaoge Veer!? Yadi uss din ki tarah wo gang waale aa gaye toh kya hoga? Kya tumhe meri zara bhi fiqr nahi hai Veer!? Mein jaanti hu... Tumhare andar mere liye ghrina nahi hai. Aakhir isliye toh tum mujhe bachaane aaye the na? Kyuu? Bolo... Jawaab do.

Uss se puchte hue Ragini uske hontho se apne haath ko hata leti hai. Par Veer kuch nahi kehta. Keval dekhta raha.

[Damn! You got lucky again master. It's a good choice actually master. Say yes to her.]

Ragini : Tumhari chuppi bata rahi hai ki mein sahi hu Veer. Toh ab chalo mere saath andar.

Wo Veer ko ghumaate hue usse peeth par dhakka dete hue ghar ke andar kar deti hai.

Ragini : Jo bhi room tumhe lena ho... Veer!

Wo usse pyaar se dhakelte hue andar jaane ko kehti hai, par Veer ke chehre par koi bhaav nahi tha.

Ant me wo upar ki orr jaane lagta hai par akhiri seedhi par perr rakhte hi wo rukta hai aur keval kuch hi shabd nikalte hai uske muh se.
"I'm not promising anything."

Aur itna bol wo upar chala jaata hai.

Idhar neeche ek raahat bhari saas lete hue Ragini muskuraane lagti hai aur forun hi apne pita, Dinesh ko call lagaati hai.

Baat karne ke baad wo phone cut karti hai par uske hontho pe boht hi pyaari si muskaan saji hui thi iss waqt. Aur yu hi mand mand muskuraate hue wo andar apne kamre me chali jaati hai.

***

Sheher me hi ek behad hi badi sii jewellery shop ke andar iss waqt do ladkiya baithi hui thi aur kisi se baat kar rahi thi. Ye aur koi nahi, Sonia aur Suhana hi thi.

Sonia : Toh kab tak aane waala hai!?

Sonia ne wahi baithe jewellery shop ke owner se pucha. Sabhi iss waqt uske cabin ke andar baithe hue the.

Owner : Madam! Sir se toh date pata chali hi hogi na aapko? Do din baad unhone mangwaaya hai. Kal tak aa jaega.

Sonia : Matlab aapki shop me kal aa raha hai na?

Owner : Ji Madam!

Sonia : Toh... Toh aap Dad ko mat bataana. Mujhe de dena. Mein surprise dungi unhe.

Owner : Umm... Ye... Par Sir ne toh kaha hai ki unko do din baad chaahiye aur aise me mein aapki baat...

Sonia : Mein toh unki hi beti hu na. Toh fir aapko kya dikkat hai isme!?

Owner : Baat wo nahi hai Madam! Sir se humaare puraane sambandh hai. Aapko bhala kaun nahi jaanta? Bas... Dikkat ye hai ki... Baad me yadi kuch hua toh blame mujhpe na aaye. Mein Sir ki daant nahi sunn'na chaahta.

Sonia : Aap uski chinta mat kariye. Yaha se wo le jaane ke baad saari zimmedari meri rahegi. Okay!? Ab toh theek hai na?

Owner : Umm....

Sonia : Ghabraaiye mat. Mein apne vaade ki ekdum pakki hu. Aur mein paltungi nahi. Meri zimmedari yaani ki meri zimmedari. Aapko Dad kuch nahi kahenge. Ab toh bataaiye...!?

Owner (sighs) : Jii thik hai. Par aap apna vaada zaroor rakhna Madam. Warna meri shaamat aa jaegi.

Sonia (smiles) : Thank you! And aap bilkul bhi tension mat lijiye.

Aur Sonia aur Suhana dono hi baahar aake apni car me baith jaati hai. Aur baithate hi Suhana aage badh ke Sonia ko zorr se apne gale se laga leti hai.

Suhana : Oh my god Sonu!! I can't believe tum uss bet ka reward dene ke liye raazi ho gayi even though mein wo bet haar chuki thi.

Sonia (sighs) : Itna lightly mat lijiye Dii. Mein aapki bet ka reward aapko de rahi hu but aapko yaad hai na? No mistakes... And...

Suhana : Yeah Yeah! No mistakes and no regrets. I know Sonu. Tum khaamakha itni tension le rahi ho.

Sonia : Baat ko samjha kariye Dii!

Suhana : Duh! Fine! Fine!

Aur wo Car me baithe waha se ravaana ho jaate hai.

***

Wahi dusri orr Desh se koso dur ek dusre desh me kisi jagah par ek boht hi badi company ke maalik ke bete ki shaadi thi jiske chalte usne kayi important guests ko bulaaya hua tha.

Venue itna bhavya aur bada tha ki log dekhte reh jaaye. Ekdum phulo aur sajaawat ki cheezo se saja hua tha.

Baahar entrance me laal carpet bicha hua tha aur dherr saare photographers the jo andar aate hue guests ki photos le rahe the.

Yahi photographers iss waqt ek behad hi khubsoorat ladki ki photos nikalne me lage hue the jo abhi abhi venue me aayi thi.

"Dekh! Kaise sab bhediyo type line laga ke Miss ki photo le rahe hai."

Ek aadmi ne bagal me khade aadmi se kaha.

"Abe tujhe isme bhi dikkat hai Raghu!? Wo apna kaam kar rahe hai. Aur kyu na le photo!? Miss hai hi itni khubsoorat."

Raghu : Hmm! Ye toh sahi kaha tune Jassi.

Raghu aur Jassi wahi do bodyguard the jo Veer ko uss club waali ladki ke saath dikhe the. Aur beshaq, saamne carpet ke paas khadi jo ladki apni photos click karwa rahi thi wo aur koi nahi balki club waali ladki hi thi.

Jassi : Saala ye bow tie mere se nahi pehni jaati.

Raghu : Hahaha~ Aadat daal lo bhai! Meri shaadi me toh yahi pehnwaunga tujhe.

Jassi : Teri shaadi!? Kis ladki ne tujhe pasand kar liya bhala!?

Raghu (khoye hue) : Miss karengi na...!

Jassi : Hahahaha~ Saale! Khayaali pulaav pakaega ab!? Miss aur tujhe pasand karegi!? Abe joke toh dhang ka maar...

Raghu : Hmph!.... Tu kya jaane... Dekh! Miss kitni khubsoorat hai... Haaye... Kitni khush lag rahi hai woh.

Jassi : Khubsoorat toh wo boht hai. Par yadi tune unhe aise dekhna band na kiya na toh teri aankhein phod dunga.

Raghu : Jassi tu bhi be... Bilkul bhi maza nahi aata tere saath.

Inn dono ki baatein toh chal rahi thi. Par ye dono nahi jaante the ki jin miss ke baare me soch rahe the wo andar hi andar kya soch rahi thi iss waqt.

Kya wo khush bhi thi?



d6da78c1d5b9e6bf37d842bf307935ad

Yu pose dete hue wo pics toh khichwa rahi thi. Flash baar baar chamak ke uske husn ko aur bhi chamka raha tha.

Par uske andar ke bhaavo ko bhala uske alaawa aur kaun jaan sakta tha!? Unhe nahi pata tha ki iss waqt wo andar se kesa mehsoos kar rahi thi.

'It's again just as I expected. I feel nothing.'
.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!
Dhanyavaad!
Don't forget to like.
Bahut hI MAST update haI bhaI
Update - 26 ~ A Lesson to be Taught (1)
Ab tak...

Yu pose dete hue wo pics toh khichwa rahi thi. Flash baar baar chamak ke uske husn ko aur bhi chamka raha tha.

Par uske andar ke bhaavo ko bhala uske alaawa aur kaun jaan sakta tha!? Unhe nahi pata tha ki iss waqt wo andar se kesa mehsoos kar rahi thi.

'It's again just as I expected. I feel nothing.'


Ab aage...

"Tumhe pata hai tumhari galti kya thi!?"

Saamne baithe chair pe ek aadmi ne apne saamne maujood kayi ladko me se ek se kaha.

Table pe dono perr rakhe hue wo bade hi gusse me sabhi ko dekh raha tha. Aur uske khauf ke chalte, uski aankho me gussa dekh wo sabhi ladke apna sarr jhukaaye khade hue the.

"Bhau... Aage se aisi galti nahi hogi."

Saamne khade ladke ne kaha. Ye aur koi nahi balki Ranga tha jo Veer ke haatho uss din dherr ho gaya tha aur Veer Ragini samet baaki sabhi ko uske changul se churraane me kaamyaab tha.

Uss din ki vardaat jab Aatish ko pata chali thi toh wo itna aag baboola tha ki yadi Ranga wahi uski aankho ke saamne hota toh pakke se Aatish uske haath perr tod deta.

Par shayad Ranga ki kismat acchi thi, Veer ne jo pocket knife uski pasli me maari thi uske chalte uske saathi forun hi hospital me le jaake uska ilaaz karwaaye the jis kaaran wo Aatish ke gusse se bach gaya tha.

Par aaj Aatish uske saamne tha. Iss waqt bhi Ranga ki pasliyo me pattiya bandhi hui thi. Aur ab usse apne bhau ko jawaab dena tha.

Aatish : Tumne yahi baat pehle bhi kahi thi Ranga. Jab wo club se ladki hamaare changul se nikal kar chali gayi thi.

Ranga : Mein jaanta hu Bhau. Mein...

Aatish : Mujhe toh ab bhi vishwaash nahi ho raha ki ek ladka... Ek ladka tum teen logo ko chakma deke waha se sabhi ko churra ke le gaya.

Ranga : Bhau... Mein...

Aatish : Kya tumne uske baare me pata kiya ya abhi bhi gumnaami me chal rahe ho!? Bataana padega mujhe...!?

Ranga : Nahi Bhau! Mene... Sab pata laga liya hai. Veer naam hai uska. Aur wo ussi parivaar ka hissa hai jiski company hum hathiyaane waale the. Uss Vivek ka hi chota bhai hai wo. xxxxxxxx college me padhta hai. Saath hi uski do behne jinka naam Arohi aur Kavya hai wo bhi jaati hai. Ek Pranjal naam ka bhai bhi hai jo unke saath ussi college me jaata hai. Sab pata laga liya hai.

Aatish : Veer haa!? Hmmm! Toh!? Kya karoge ab tum!?

Ranga : Aapki sikhaayi hui harr ek baat yaad hai Bhau. Yadi koi chuuha beech raaste me aaye toh usse kese raundna hai ye mene aapse boht acche se seekha hua hai. Uss Veer se toh badla lunga hi mein... Taaki usse pata chal sake ki galat logo se kabhi kyu panga nahi lena chahiye.

Aatish : Chalo kuch toh aqal hai tum me. Aur!? Kya khabar laaye ho!?

Ranga : Bhau! Khabar kuch khaas toh nahi hai. Bas do hi khabar hai.

Aatish : Bolo!

Ranga : Pehli ye ki wo club waali ladki desh se baahar hai iss waqt. Aur dusri...

Aatish : Hmm!?

Ranga : Dusri kuch khaas nahi hai Bhau...

Aatish : Khaas hai ya nahi wo mein decide karunga. Tum khabar batao.

Ranga : Dusri ye ki... Wo Sonia ki badi behan Suhana...

Aur dheere dheere Ranga poori khabar Aatish ko sunaata hai jisse sunn Aatish ke chehre pe muskuraahat aane lagti hai aur aankho me chamak.

Ranga : Hahahaha~ Ranga, yahi toh asli khabar hai. Tumne soch bhi kese liya ki ye khabar faaltu hai. Mujhe pata hai ab kya karna hai... Suno...

***

Na jaane kya planning hui Aatish aur uski gang ke beech uss raat par agli subah ho chuki thi. Veer kal se Ragini ke saath hi uske ghar ruka hua tha. Ek ladke ka apni Bhabhi ke saath yu akele rehna, society me kayi sawaal uthaata hai.

Par Ragini ke liye ye baat acchi thi ki uska ghar kisi society me nahi tha. Alag se usne zameen leke ye ghar banwaaya tha jiske chalte logo ki prashn bhari nazro se aur unke sawaalo se bachi hui thi. Jo log the bhi aas paas toh unse Ragini ki koi pehchaan nahi thi kyuki wese hi uska ye ghar aksar khaali rehta tha aur hafte me ek naukar aake safayi karke chala jaata tha.

Veer ke gharwaalo ko keval yahi pata tha ki Ragini akele apne ghar me reh rahi hai aur Veer apni Ma'am ke ghar. Wo sabhi Vivek ko waapas se Ragini ko ghar laane ke liye usse force karte jaa rahe the jiske chalte Vivek ab kisi bhi din Ragini ke ghar aa sakta tha. Aur yadi Ragini ne tab bhi usse mana kiya toh zaahir si baat hai ki Sumitra aur Karunesh dono ko hi beech me aana padega aur maamla suljhaana padega. Par filhaal ke liye Vivek ne unse samay maanga hua tha ki wo ye maamla jald hi khud solve kar lega.

Par sawaal tha ki kya ab Ragini ke mann me Vivek ke liye wahi puraani feelings maujood hai!? Ya...!?

Kherr! Raat toh badi hi shaanti se uske ghar me guzri par agli subah yahi baat Nidhi ke ghar ke liye nahi kahi jaa sakti thi.

Iss waqt Nidhi sofe pe baithi hui thi, bauhe chinta ke maare sikudi hui thi. Aur uske saamne Juhi muh fulaaye khadi usse ghoor rahi thi.

Nidhi : Beta! Tang mat karo mumma ko. School ke liye late ho rahi ho aap. Van aane waali hai beta...

Juhi (muh fulaaye) : Veeeer maaamu kaha haiiiii!??? Aapne bola tha Maaaaamu kal aaengee...

Wo zorr zorr se chillaate hue Nidhi ki jaangh pe apne haath patakne lagi aur Nidhi bechaari usse samjha samjha ke thak chuki thi. Wo khud hairaan thi ki uski bacchi Juhi, Veer se kitna attached ho chuki thi.

Par uss se bhi zyaada hairaani usse iss baat se hui thi ki wo khud Veer se kitna attached thi. Veer ke jaane ke baad, uska wo letter padhne ke baad wo itna royi thi ki kal wo college tak nahi gayi thi. Shreya harr thodi derr me uske saath baith uss se baat karti, usse samjhaati aur usse chup karwaati.

Bhala itna kese jud gayi wo apne ek student ke saath!? Kuch hi hafte toh Veer raha tha uske saath. Fir ye ajeeb sii peeda kyu ho rahi thi usse subah uska chehra na dekhne par!? Harr roz wo uska chehra dekhti thi, aur usse mehsoos hota tha ki Veer apni puraani zindagi se ubhar raha hai. Aur ye dekh ke wo behad khush ho jaati thi.

Usse proud mehsoos hota tha ki wo Veer ke itna kaam aayi. Wo ek toote hue dil ko jese jod rahi thi aur Veer ko panapta dekh usse apne aap me hi boht khushi hoti thi. Kisi jeet se kam nahi rehti thi wo harr subah jis din Veer ka khila hua chehra wo dekhti thi. Juhi aur uske beech ka wo atoot rishta wo apni ankho se bhali bhaati dekh paati thi.

Kese uski bacchi ke hontho pe wo pyaari si muskaan fel jaati thi jab bhi wo Veer ke aas paas hoti thi. Shreya ka khud ka attitude badalne laga tha Veer ke saath reh reh ke. Wo ab utni haughty nahi thi. Wo mature ho rahi thi aur bhi zyada. Unki nok jhok bhi alag hi maze ki hoti thi jisse dekh Nidhi ko behad pyaar aata tha unn dono pe hi.

Par ab...

Ab jese sab kuch khatam ho chuka tha. Wo shaks ab jaa chuka tha. Veer ab unke beech nahi tha. Jo ladka uske ghar ke vataavaran ko poori tarah se badal ke itni khushiya aur positivity uske ghar me laaya tha, uske jaane se jese saari cheeze jaa chuki thi. Aur ye sab baatein...

Nidhi ko andar se itna tod rahi thi ki uss se kabhi kabhi bola bhi nahi jaa raha tha.

Abhi wo Veer ke hi baare me soch rahi thi ki kya jawaab de apni nanhi sii bacchi ko!? Kal toh usne bahana bana ke keh diya tha ki uske Veer maamu kal aa jaenge. Par aakhir ye jhooth kab tak chalta rahega!?

Abhi wo khoyi hui hi thi ki tabhi uske bagal se Shreya ki awaaz uske kaano me padi,

"Juhi! Tunhare Veer maamu kaam se baahar gaye hue hai. Unko aane me thoda time lagega. Aur wo tumhaare liye gift leke aaenge! Chalo, ab jaldi se taiyaar ho jao."

Juhi (cries) : Niiiiiiiii... Veer maamu chaahiye...
Gift niiiii...

Apni bacchi ko aise dekh, Nidhi ke aasu uske gaalo se fisal girne lage. Unhe jaldi se pochte hue wo kuch soch ke bolti hai,

Nidhi : Veer maamu tumhaare gande hai. Wo bina bataye kahi chale gaye hai. Abhi dekhna, mummy unke kaan pakad ke kheench ke ghar me laegi! Abhi college me aaenge na Veer maamu. Toh dekhna kese mummy pakad ke laati hai. Ab khush!? Ab toh ready ho jao, warna mummy nahi laegi fir.

Juhi : Hmmm!

Jese tese Nidhi ne usko manaaya aur usse school bheja aur khud bhi ready ho gayi college jaane ke liye.

Nidhi : Mein nikal rahi hu Shreya.

Shreya : Hmm! And...

Nidhi : !??

Shreya : What if he doesn't wants to come!?

Nidhi : I.... Kese nahi aaega. I'll bring him back.

Shreya (smiles) : Goodluck.

Nidhi (smiles) : Mmm!

Aur Nidhi Shreya ko chorr college ki orr nikal jaati hai. Pehla lecture class me uska hi rehta tha toh wo ekdum time ke pehle hi aa gayi aaj.

Na jaane kitne messages aur calls kiye honge usne Veer ko jinka ek bhi reply Veer ne nahi diya tha usse ab tak aur yahi baat usse andar se khaaye jaa rahi thi. Usse bechain kar rahi thi.

Wo badi hi aas liye andar aate students ko permit kar rahi thi baithne ke liye. Kayi saare late students aaye aur lecture shuru hue 15 minute ho bhi chuke the par ab tak...

Veer ka koi ata pata nahi tha.

Jis baat ka usse darr tha kahi wahi na ho jaaye. Wo aas liye baar baar darwaaze ki taraf dekhti ki kaash kahi se Veer usse coridorr me dikh jaaye aur wo aake apni seat par baithe. Wo usse padhaaye, usse dekhe waapas se questions solve karte hue, waapas se Veer uske saath gaadi me baith ke uske saath ghar jaaye, firse wo dono pehle ki tarah shopping par jaaye...

Par...

Par jese kuch hi palo baad jese Nidhi ki saari umeedein toot chuki thi jab Veer lecture ke ant tak kahi nazar nahi aaya. Iss waqt andar se wo itna bechain thi ki uske gale se uska thook tha nahi utar raha tha.

'Whyyyy!??? Why didn't he came!??? Kaha hai wo!?? Kuch bata ke nahi gaya... Wo mujhe apna maanta bhi hai ya nahi!? Kya ek baar bhi usne mujhe batana sahi na samjha ki wo kaha par hai!? Usse ye dhyaan kyu nahi aa raha ki mein kitni tension me rahi hungi. Whyyyyy!? Mene toh kaha tha na uss se... Ki padhaayi mat chorrna... Then... Then whyyy!??'

Wo apni saree ke bhaag ko nichode gehre chintan me doob gayi. Kisi bhi waqt uski rulaayi chooth sakti thi.

Par wo iss waqt kuch nahi kar sakti thi. Na hi uske paas Veer ka koi pata tha aur na hi uski Veer se koi baat ho paa rahi thi. Aur itna wo jaanti thi ki Veer apne ghar par toh bilkul bhi nahi hoga.

***

Neend se derr se jaagte hue Veer jab uth ke fresh hoke neeche aaya toh usne dekha ki uski Bhabhi Ragini kitchen me vyast thi aur gunguna rahi thi.

Iss waqt bhi wo nighty me hi maujood thi. Ek red colour ki aakarshak nighty.

'Unhe aise kapdo me mere saamne nahi hona chaahiye. Right Pari!? I mean... Wese hi unka relationship sahi nahi chal raha aur upar se mein unka dewar unke saath akele yu reh raha hu...'

[She trust you that is why she's wearing that. Par aapke iraade kya hai master!? Hehe~]

'What the fuck Pari!? I mean to say ki unhe kuch decency rakhni chaahiye mere saamne. Also, She's too touchy.'

[You don't like being touched by her!?]

'Mene aisa toh nahi kaha.'

[Hehe~ toh aapko pasand hai jab wo aapko touch karti hai!?]

'What the...!? Pari!!? Subah subah meri taang kheechne ka mood banaya hai kya aaj!?'

[Haha~ I was just joking. But yeah, it's a fact master. Wo aapke saamne itna open hai because she trusts you completely. Aur kyu nahi hoga trust!? Jis bande se usne aaj tak baat nahi kii, sahi se pesh nahi aayi wo banda uski jaan bachaane aaya, na ki uska apna pati jo uski jaan ki baazi laga diya tha wahi. Toh aise me toh obviously wo aankh band kar ke aap pe bharosa karegi.]

'But...'

[Don't think too much. She's good now. Usse apni galti ka realization ho chuka hai aur she wants to do things for you. Toh karne do usse aur thoda cooperative bhi rehna. She's rich master. Don't forget...]

'Mujhe samajh jaana chahiye tha ki tumhari nazar unke paise par hai...'

[Hehehe~ Money is important master.]

Veer ke kadmo ki aahat paate hi Ragini ne usse spot kiya aur muskuraate hue usse dekhi.

Ragini : Good Morning Veer!

Veer : Good... Morning!?

Ragini : Kya neend theek se aayi!?

Veer : Jii!

Ragini : Koi dikkat toh nahi gayi na!?

Veer : Jii.. nahi...

Ragini : Aise... Aise itna formal mat pesh aao Veer. Mein tumhari Bhabhi hu na!? Khul ke baate karo. Aur ye ghar bhi tumhara hi hai. Beeti baatein jo bhi thi, unn galtiyo ka paschataap toh mein karungi hi. Par... Aise pesh na aao Veer... Please! Mujhe... Mujhe accha nahi lagta hai.

Veer : As I said... I'll try and... No promises.

Uski baat sunn Ragini apna nichla honth daato tale dabaaye usse dekhti hai. Veer ka usse maaf kar dena shayad abhi boht dur tha. Par wo apna prayaas karti rahegi. Ek na ek din Veer usse maaf zaroor karega.

Yahi aas liye wo apne chehre se chinta ke bhaavo ko hataate hue uss se boli,

"Accha chalo! Baitho! Mene aaj Breakfast me Sandwiches banaaye hai."

Naashta banaane me toh Ragini ka koi jawaab nahi tha. Khaana bhi wo behad accha banaati thi par Veer ko yaad hai, sabse accha khana uske ghar me uski Chachi Sumitra aur uski sauteli Maa, Shweta hi banaati thi. Shweta toh hotel ki maalkin thi. Na jaane kitni dishes wo jaanti thi.

Uski behan Bhumika bhi khaana banaane ki race me shaamil thi par yadi Shweta aur Sumitra se compare kiya jaaye toh Bhumika kaafi peeche thi abhi. Na chaahte hue bhi Veer ko ghar ke khaane ka swaad yaad aa gaya.

Par wo jaanta tha. Uss ghar me uski ab koi jagah nahi hai aur na hi wo khud ab jaana chaahta tha waapas.

Wo iss waqt din guzarne ke baad dinner karte hue apne room me aa chuka tha aur lait ke apne future ke baare me soch raha tha ki achanak hi uska phone vibrate hua aur usne message check kiya.

Usne dekha ki kisi unknown number se message aaya hua hai. Jese hi chat kholi usme kuch messages dale hue the.

Hi Veer!
I know tumhare andar dheer saare questions hai.
But please, mein tumse ek baar aur milna chaahti hu.
I hope tum aaoge!
Kal xxxxxxxx hotel me. Please!

Message karne waali aur koi nahi balki jaani maani ladies me se ek thi, Sonia.

Sonia ne upat ke usse message kiya tha. Ye baat chaunka dene waali thi.

'Just... Why does she wants to meet me again!? Unke paas itna paisa hai uske baad mujh jese aam se ladke ke peeche kyu padi hui hai woh!? I don't get it. And that hotel... Shit!'

[You cannot turn her down master like that. Wo ek badi hasti hai. Abhi tak jitne bhi logo ko aap jaante ho unme se. So aapko jaana padega.]

'Damn it!'

Aur majbooran Veer ko milne ke liye raazi hona pada.

Aaj ka din bas yuhi guzra. Veer college nahi gaya tha. Usne jese ab decide kar liya tha ki kya karna hai.

***

Agli subah jab wo neeche aaya toh usse Ragini kahi dikhaayi nahi dii. Wo kitchen me aaya tab bhi Ragini ki koi jhalak na mili usse.

Par abhi jese hi wo palatne waala tha ki tabhi...

Achanak se uski aankho ke saamne andhera chha gaya. Do makhmal se komal haatho ka sparsh uski aankho par hua. Aur agle hi pal do badi hi soft sii cheeze uski peeth par aake dabb gayi.

Aur Veer ko samajhne me derr na lagi ki wo kya thi.
Aur ye parakhne me bhi derr nahi lagi ki uski aankhein band kare uske peeche kaun khada hua tha.

Ragini uske peeche uski aankhein apne haatho se band kiye uss se ekdum chipak ke khadi hui thi. Jiske chalte uske stan ekdum Veer ki peeth me jaake dhass chuke the.

Unn nipples ka ehsaas Veer ko bhali bhaati uski peeth par ho raha tha. Aur na chaahte hue bhi uske lund ne ek jhatka maar hi diya.

Aur kyu na maarta!? Veer ab virgin nahi tha. Ek baar ladki ke youvan ka swaad chakh lene ke baad toh ab usme jese aur bhi aag jaag chuki thi. Na jaane kab se usne sex nahi kiya tha. Aur aise me ye chote chote hamle na chaahte hue bhi usse apni hi Bhabhi ke prati aisa reaction dene par majboor kar rahe the.

"Good Morning Veer! I have a surprise for you!"

Ragini ki manmohak awaaz uske kaano me padi, uske haath ekdum garm the ya yu kahe ki wo khud hi aag ka shola thi. Abhi abhi kuch derr pehle hi wo naha ke baahar aayi thi jiske chalte uske geele baalo aur uske badan se aati wo uttejit kar dene waali sugandh Veer ki naak me pad rahi thi.

Veer ko iss waqt khud pe sharmindagi ho rahi thi kyuki wo aroused feel kar raha tha. Isme uski koi galti nahi thi. Galti toh Ragini ki bhi nahi thi. Bas situation ki thi.

"Bh... Bhabhi!?"

Thoda awkwardly usne jawaab diya. Wo ekdum stiff khada hua tha. Ragini ke haatho ka aur peeche uske do aamo ka sparsh usse paagal kar raha tha.

Wo dhakelte hue usse baahar le jaane lagi,

Veer : Bh... Bhabhi!? Kaha le jaa rahi ho!?

Wo chaahta toh tha ki issi waqt uske haatho ko hata de par aisa karne ke liye usse Ragini ke haatho ko thaamna padta aur shayad abhi usme itni himmat nahi thi aur ye shayad sahi bhi nahi tha.

Kuch hi palo me Veer Ragini ke dwaara baahar aa chuka tha aur thodi derr me hi Ragini ne apne uski aankho se apne haath hataaye aur Veer ko saamne ka nazaara nazar aaya.

Saamne dekhte hi uski aankhein dheere dheere ascharya ke maare felti gayi.

Uske saamne porch me ek behad hi nayi Apache RTR khadi hui thi. Ekdum nayi.

Veer : Ye!??

Ragini : Mene mangwaayi hai. Tumhare liye. Meri taraf se tumhare liye gift hai Veer. Kal tumne kaha tha na!? Tumhare paas koi vehicle nahi hai. Aur kesi hoti!? Ghar se tum... Kuch bhi leke nahi gaye the. Isliye, parso mene dad se keh ke unke showroom se... Ye mangwai hai. Kai... Kaisi hai Veer!? Tumhe pasand toh aayi na!?

Veer ki bolti band ho chuki thi. Itna bada tohfa aaj tak usse kisi ne nahi diya tha. Par abhi wo khush nahi tha. Balki duwidha me tha. Ki bhala Ragini uske liye itna kyu kar rahi hai aur dusri baat ki bhala usse ye gift accept karni chahiye ya nahi!?

Ragini (chinta me) : Kya tumhe pasand nahi aayi Veer!?

Veer : I... I don't think ki... Mujhe ye rakhna chahiye.

Abhi shabd uske muh se nikle hi the ki Ragini ne zorr se uska haath thaam liya.

Veer (surprised) : Huh!?

Ragini : Please don't say that Veer. Please! Aaj tak ghar me tumhara b'day celebrate nahi kiya gaya tha. Aaj bhale hi tumhara b'day na ho. Par aane hi waala hai right!? So, as an advance gift hi samajh lo!? Aaj tak mene tumhe tumhare b'day par koi gift na diya. In fact tumhare b'day me maujood tak nahi rehti thi tumhaare aas paas. Unn sab baato ko yaad karke hi... I feel so... So bad... Veer! Rona aata hai mujhe. Please! Accept this. Ye mere Dad ki taraf se bhi hai. Uss din tumne unki jaan bhi bachaayi thi Veer. Yadi meri nahi sunn'na toh kam se kam unki toh sunn lo.

Veer : I...

[Accept it master.]

'Accept it!? Petrol kya tumhare chacha aake dalwaenge Pari!?'

Ragini : And petrol ki chinta mat karna Veer. Tumhaare liye, Tank will always be full. Mein servant se kehke bharwa dungi. Use it according to your need. Tumhe kaam aaegi Veer. Please accept it.

[Hahaha~ Ye lo. Ho gaya kaam.]

'Damnnn!!'

Ragini ka chehra aur wo aankhein jo kisi bhi waqt aasu bahaane ke liye ready thi, wo dekhte hue finally Veer ne ek aah bhari aur bola,

"Fine! Mujhe wese hi aaj kahi jaana tha. And... Thank you! Aapko bhi aur... Aapke Dad ko bhi."

Ragini ko pata nahi kya hua par agle hi pal wo itni khush ho gayi ki wo Veer ki chaathi me kood padi aur uske zorr se gale lag gayi.

Ekdum stabdh Veer wahi khada raha, na kuch kar saka aur na kuch bol saka. Par Ragini bina kuch realize kiye ki abhi abhi usne kya kiya, wo naashta banaane ka bol andar chali gayi.

Din ka samay hua aur Veer ready tha hotel jaane ke liye. Sonia se usne milne ka keh ke jo rakha tha. Ab jaana toh padega hi.

Apni nayi bike uthaaye Veer nikal pada hotel ki taraf.

Aaj kitne dino baad usse koi bike chalaane ka mauka mil raha tha. Khush toh tha wo andar se par aur bhi khushi hoti yadi ye bike uske apne paiso ki hoti.

Koi baat nahi, jald hi wo apni bike bhi lega.

Aisa soch wo kuch hi derr me pohuch chuka tha hotel ke saamne.

Bike ko parking me laga kar wo andar jaane ke liye ready tha par abhi bhi uske kadam ruke hue the.

Andar jaane se wo katra raha tha.

Ek gehri saas lete hue wo finally andar gaya.

Hotel behad hi shandaar thi. Aur andar ghuste hi usse side waale area me Sonia baithi hui nazar aa gayi.

Wo area thoda mehnga area tha. Jaha baithne ke liye zyada paise dene padte the.

Abhi wo andar jaane hi wala tha ki door pe hi khadi ek lady ne usse rok diya.

Lady : Sir! Your reservation!?

Veer : Reservation!?

Lady : Yes! Sir! This is a special area. You must have a reservation to enter here. Do you have it!?

Veer : I...

Lady : Sorry Sir! If you don't have it. We can't allow you to enter.

Wo lady muskuraate hue usse dekhi. Par uski muskaan jese bayaa kar rahi thi ki saale aukaat me aaya karo. Jab aukaat nahi hai toh kyu ghus rahe ho!?

Kuch aise hi shabd uski muskaan bayaa karna chaah rahi thi jisse Veer bhaamp chuka tha.

Wo abhi palat ke jaane hi wala tha ki kismat se Sonia ki nazar uss pe padi aur wo forun hi uth ke door ki taraf aayi,

Lady : Sir! Please leave...

Veer : Fine!

Veer palat chuka tha jab achanak uske kaano me awaaz padi,

"Veeeeeeerrr!"

Aur palat ke dekha, toh Sonia uske saamne thi.

Sonia : Andar kyu nahi aa rahe hai!?

Veer : Well! She told me I can't... And told me to leave so...

Sonia (surprised) : She told you what!??

Ab bechaari uss lady ki phat rahi thi. Usse pata tha ki aage kya hone wala tha.

Sonia : Mene tumse kuch derr hi pehle kaha tha na!? A gentleman may come anytime and you have to recieve him. Kya aise hi orders follow karti ho? Should I complain or what!?

Lady : I'm so sorry! Ma'am! I'm so sorry! Mujhe laga tha koi...

Kehte hue Wo Veer ke kapdo ki taraf dekhi jo keval ek simple white shirt aur blue jeans me tha.

Aur usne jese hi Sonia ko dekha toh darr ke maare uski nazre neeche ho gayi.

Sonia bhaamp chuki thi ki wo lady kya kehna chaah rahi thi. Usse abhi itna tezz gussa aa raha tha per jese tese usne khud ko control kiya.

Sonia : Remember! Kapdo se aadmi ki pehchaan nahi hoti samjhi!? You don't even know who he is. He's my benefactor. Aur ahinda se... Yaha ke staff me se kisi ne bhi mere guest ke saath iss tarah behave kiya na... I'll sue them.

Lady : I'm sorry! Ma'am! I'm really sorry!

Sonia : Hmph! Veer! Aao...

Wo Veer ko apni table ke paas le gayi. Baithate hue usne apna coffee ka mug uthaaya aur Veer ko order karne ke liye kaha.

Par Veer ne kuch bhi order na kiya.

Sonia : Yaha ki coffee acchi hai Veer. Isliye yaha aksar aati rehti hu.

Kehte hue usne ek jhalak waapas se uss lady ko dekha aur apni coffee peene lagi.



3a742b20515d719b88b3bc8178115860

Veer : I... I see! Toh!? Kis liye bulaaya hai aapne!? Yadi firse wahi paise...

Sonia : Noooo Veeeer!! Aisa kuch bhi nahi hai..
Asal me...

Par abhi wo apni baat keh paati uske peeche se ek awaaz aayi,

"Sorry! Ma'am! Mein aapko personally recieve karne nahi aa paayi. Welcome to our hotel again."

Ek jaani maani awaaz Veer ke kaano me padi. Aur jis baat se wo andar aane ke liye katra raha tha akhir wo ho hi gayi.

Peeche ek behad hi khubsoorat ladki khadi hui thi. Usne Sonia ko dekh muskuraate hue uska swaagat kiya. Par jese hi uski nazre Sonia ke saath baithe shaks par gayi pehle toh wo kuch pal usse dekhi aur fir uski aankhein asycharya ke maare fel gayi.

Veer (mann me) : Bhumika... Dii...

Bhumika (mann me) : V... Veeeeer!!!???

Dono ek dusre ko dekh rahe the. Veer ke chehre pe jaha koi bhaav nahi the toh wahi Bhumika ekdum stabdh sii khadi usse hi dekh rahi thi. Sabse pehla sawaal mann me yahi tha. Kya ye wahi Veer hai!?
.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!
Dhanyavaad!

Don't forget to like.
Beautiful Update Bro
 

Rajesh

Well-Known Member
3,486
7,933
158
Update- 27 ~ A Lesson to be Taught (2)
Ab tak....

Veer (mann me) : Bhumika... Dii...


Bhumika (mann me) : V... Veeeeer!!!???

Dono ek dusre ko dekh rahe the. Veer ke chehre pe jaha koi bhaav nahi the toh wahi Bhumika ekdum stabdh sii khadi usse hi dekh rahi thi. Sabse pehla sawaal mann me yahi tha. Kya ye wahi Veer hai!?

Ab aage...

Bhumika ek professional attire me waha bhauchakki sii khadi saamne baithe Veer ko dekhe jaa rahi thi.

Kya ye wahi Veer tha!?

Kese!?

Jis Veer ko usne ghar se nikalta hua dekha tha, ye Veer...

Ye Veer uss Veer se kahi zyaada smart, aakarshak, aur kuch alag sa prateet ho raha tha.

Par uss se bhi bada sawaal tha ki Veer yaha kya kar raha tha!? Aur wo bhi Sonia jesi ameer lady ke saath!? Wo bhi uske bagal me baith kar!?

Usse subah hi pata laga tha ki aaj Sonia Miss uski hotel me firse aane waali hai. Aur wo Sonia ko jaanti thi. Kyuki aksar Sonia uski hotel me coffee peene aaya karti thi. Toh thodi boht pehchaan uski uss se ho chuki thi. Aaj wo kisi kaam ke chalte late ho gayi thi hotel aane me aur isliye wo hotel me aate hi seedha sabse pehle Sonia ke hi paas aayi usse welcome karne.

Kyuki wahi hamesha uska welcome karti thi. Par aaj...

Aaj usse ek jhatka sa laga jab usne apne uss sautele bhai ko dekha jisse kuch hafte pehle ghar se nikaal diya gaya tha. Aur usse ab aur bhi ajeeb sii feelings aa rahi thi.

Ghar me Veer uske sapno me kayi baar aa chuka tha aur harr baar uska antarmann uss se ye sawaal puchta tha ki kya jo bhi kuch Veer ke saath wo sabhi kar rahe hai, kya wo sahi hai!?

Ye baat usne apni Maa, Shweta ko bhi bataayi thi. Par uski Maa ne keval ye keh ke baat taal dii thi, ki wo jo bhi kar rahe hai apne liye kar rahe hai aur usme kuch bhi bura nahi hai. Jab Veer se aaj tak usne baat hi naa ki toh fir uske liye hamdardi kyu feel karna!?

Ye Shweta ke bol the par kahi na kahi, Bhumika ko darr zaroor rehta tha.

Wo abhi ekdum stabdh sii khadi hui Veer ko dekh rahi thi ki uske bagal me baithi Sonia ne dono ki hi nazro ko bhaampa aur pucha,

"You... You both know each other!?"

Usne khade hote hue kaha. Uski achanak aayi awaaz jese Bhumika ko hosh me laayi aur Veer aur usne dono ne hi saath me jawaab diya.

Veer : She's my sis...

Bhumika : No I don't...

Aur agle hi pal ek khamoshi sii chhaa gayi.

Par Bhumika ko jese next second hi realize hua ki usne kya keh diya. Wo kehna toh yahi chaahti thi par usne ye tab kaha jab Veer ne just usse uski behan kehke introduce kiya.

Ek prakaar se jaha Veer ye accept kar raha tha ki wo uski behan thi toh wahi dusri taraf Bhumika khud iss baat ko jhutla rahi thi.

Sharmindagi!

Ab uske mann me wo vichaar aane firse shuru ho gaye the jinhe wo kabse dabaayi hui thi. Bechaini ke maare uska seena upar neeche hone laga.

Wo apna muh khol khud ko correct karti par uske pehle hi Veer bol utha.

"Ah! Right!! Right! We... We don't know each other..." Kehte hue usne ek muskaan ke saath apni nazre ferr li.

Jis awkward mahaul se Bhumika bachna chaah rahi thi wo toh Veer ne hi yu dur kar diya tha uske liye ye agree kar ke. Ki wo dono hi ek dusre ko nahi jaante. Ab Bhumika ko toh yaha raahat ki saas le leni chaahiye thi.

Par...

Aisa hua nahi.

Ulta Bhumika aur bhi zyaada ajeeb feel karne lagi. Uski bechaini aur bhi badh chuki thi. Veer ko yu muskuraate hue uski baat par agree karte pata nahi kyu par...

Bhumika ko zara bhi accha nahi lag raha tha. Wo uss waqt kya feel kar rahi thi wo khud nahi bayaa kar sakti thi. Aisi feeling usse iske pehle kabhi nahi hui thi. Aur ye feeling boht hi zyaada dard de rahi thi usse andar se. Veer ki muskaan jese cheenkh cheenkh ke uss se keh rahi thi ki tum logo ne boht galat kiya hai mere saath. Bhumika andar hi andar behad darr rahi thi...

Bhumika : I...

Uske honth khule par dimaag jese kaam karna band kar diya tha. Usse soojh hi nahi raha tha ki kya kaha jaaye.

Bagal me khadi Sonia chup chaap saamne ho rahe scene ko badi hi hairaani se dekh rahi thi. Par boli kuch nahi.

Ant me Bhumika ne jab dekha ki Veer bina uski taraf dekhe, uss se nazre ferre waapas apni seat par baith chuka hai toh usne jese tese apni himmat jutaayi aur Sonia ko dekha.

Bhumika : I... I have some urgent work Miss. Please! Please Enjoy! If you need anything, you can just ask the manager. Now, Please... Excuse me!

Kehte hue wo Veer ko ek antim baar dekhi, par Veer ne uski taraf ek baar bhi palat ke nahi dekha. Apna nichla honth daato se bechaini me dabaaye wo waha se tezz kadmo ke saath nikal gayi.

Uske palatate hi Veer ne apni nazre tedhi kar usse dekha. Badi hi ghabraayi aur bechain sii lag rahi thi woh. Aur kuch hi palo me wo Veer ki nazro se ojhal ho chuki thi.

Par Veer ne ek kaam zaroor kiya tha jab wo idhar khadi hui thi. Aur wo tha..

'Check!'

[ Name - Bhumika
Age - 25 years.
Bio - Bhumika ek behad hi savendansheel ladki hai. Wo apni hotel ko apni Mom ke saath aage badha ke poore sheher me apni hotel ka naam karna chaahti hai. Uske kayi saare sapne hai jo keval uske career yani ki uski apni hotel se hi jude hue hai. Maa ki kahi gayi baato par chalti hai kyuki uski Maa hi uski sabse badi idol hai. Mann me kayi sawaal hai uske aur ek gehri chinta, saath hi saath ek ajeeb sa darr bhi jisse wo samajh nahi paa rahi hai.

Favourability - 14
Relationship - Step Sister.]

'14 favourability?? I never thought ki unki favourability itni hogi mere liye!? Mujhe toh laga tha zero hogi.'

[Still, ye bhi kam hi hai master. Wo aapki behan hai Sauteli. Aisa kese ho sakta hai!? Aap log ek hi ghar me rehte the.]

'Well! Kabhi baat hi nahi hoti thi. Uss hisaab se toh ye 14 bhi zyaada hai mere liye.'

[Baat nahi hoti thi!? Hmm... I searched your memories. Waqai! Aapki toh baat hi nahi hoti thi. Just how ridiculous this is... Aap Hi, Hello bolte the and she just used to see you and ignore!? How can she!?]

'Well! She doesn't have any interest in me so...'

[And she'll pay for that!!]

'Huh!?''

Pata nahi kyu par pal bhar ke liye Veer ko Pari ki awaaz me naraazgi aur gussa dono hi feel hua.

***

Idhar Bhumika tezz kadmo ke saath chalte hue seedhe apne cabin me aayi aur darwaaza andar se hi lock karke wo darwaaze se satt ke khadi ho gayi.

'Why!? Why is he here? Just why? I... Why is he with Miss Sonia? Wo unhe kese jaanta hai? He... He said I was his sis... And I... I denied it. Kya mene sahi kiya tha!?'

Usne khud se sawaal kiya aur pal bhar ke liye apni Maa, Shweta ko imagine kiya ki yadi wo yaha hoti toh kya jawaab deti?

Meri bacchi! Tumne ekdum sahi kiya. Bhul jao usse. Wo ab hamaare ghar ka sadsya nahi hai meri bacchi. Hume bas apne upar dhyaan dena hai beti. Humne waada kiya tha na? Ki hum humesha ek dusre ka saath denge? Aur keval apne liye hi sochenge? Toh bhul jao sab kuch meri bacchi.

Bhumika ko jese apni Maa ke bol mann me hi sunaayi de rahe the. Yadi wo yaha hoti toh aisa hi kuch kehti.

Par iske bawajood, uska antarmann cheenkh cheenkh ke keh raha tha ki...

Jo kuch bhi usne Veer ke saath kiya, wo nahi karna chaahiye tha. Baahar bhi usne jo abhi kaha, uske chalte usse ab glaani ke bhaav aa rahe the. Saath hi saath ek ajeeb sii bechaini jo uske dil ko andar se hi nichodti jaa rahi thi.

***

Idhar Veer apni sauteli behan Bhumika ke hi baare me soch raha tha toh Pari ki awaaz usse hosh me laayi,

[Master! Sonia is looking at you... You have to explain it to her.]

'Huh? Ah! Yeah... Right!'

Sonia hairat me Bhumika ko jaate dekhi aur fir Veer ko. Wo baithi aur Veer se puchne hi waali thi ki Veer khud hi bol pada.

Veer : You seem surprised!?

Sonia : Of course I am... Wo...

Veer (smiles) : Mujhe laga tha jese aapne meri saari details nikalwa li, including my phone number toh ye bhi aapko pata hi hoga...

Sonia : ?? Huh? No... I'm sorry Veer but...

Veer : She's my sister!

Sonia : ???

Veer : ...

Sonia : No waaaayyyy!!!

Veer : *smiles*

Sonia : Ohh god! Oh nooo! Mene ye... Trust me Veer! Mera bilkul bhi aisa koi iraada nahi tha. Ki tumhe... Tumhe yaha mene jaan boojh ke bulaaya ho. I really... I really didn't know about this at all.

Veer : Don't worry! Mene aisa kabhi nahi samjha. So, you don't have to...

Sonia : Oh Thank god! Right! Mene Prakash uncle se keh ke tumhare baare me information nikalwaayi thi but... I only know ki tumhari kuch behne hai aur bhai and tumhare Dad kya kaam karte hai and all. But itna details me mujhe info nahi thi. Mujhe bilkul bhi nahi pata tha..

Veer : As I said... It's okay!

Sonia : Yeah! Thanks! So!?? Umm... I mean... She's your sister. Toh wo aise kyu...!?

Veer : She's my step sister. And rahi baat wo aisa kyu behave kar rahi hai then... I think it's personal!?

Sonia : Ahh! Right! Sorry! If it's personal then...

Sonia Veer se nazre churaate hue idhar udhar dekhne lagi aur mann me apne hi vichaaro me leen ho gayi.

'Itne dino se mein Bhumika se yaha milti aayi. Aur wo Veer ki step sis hai!? Thank god ki Veer ne mujhe galat nahi samjha. Warna wo yadi ye soch leta ki mene uska mazaak banaane ke liye yaha jaan boojh ke uski behan ki hotel me usse bulaaya hai toh gadbad ho jaati. Wese hi wo pehle ki misunderstanding mene dur nahi ki hai, aur ussi ke liye toh mene usse bulaaya hai yaha. Par... Veer ki behan... Wo aise kyu react kar rahi thi!? Like I know ki Veer ke Dad ne usse ghar se nikaala tha. But... Kya uski behan bhi... wesi hi hai!? Mujhe Bhumika se baat karte hue toh aisa kabhi mehsoos nahi hua.'

Veer : Ahem!!!

Sonia : Huh!? Ah! Yeah... Wo...

Veer : Why did you call me!?

Sonia : Ah! Right! Veer... Mene tumhe isliye bulaaya tha... Wo pichhli mulaqaat me humaare beech jo bhi baatein hui thi paiso ko lekar wo ek misunderstanding thi. Trust me, mera aisa koi bhi iraada nahi tha jesa Suhana dii ne tumhe bataaya tha. Like... Paise se tumhara ehsaan chukaana and all... Mein wo sab isliye karna chaahti thi because... Mere paas tumhe dene ke liye kuch aur nahi hai Veer. And I thought... ki you are definitely in need of money. It will help you... Trust me... Mera uske peeche koi bhi galat intention nahi tha. I just...

Wo bina chup hue bas bolti hi jaa rahi thi. Aur Veer ka yu usse bina koi bhaav ke dekhna jese usse aur apne aap ko begunaah saabit karne me majboor karta jaa raha tha. Wo Veer ki khaamoshi dekhti aur apne nichle honth ko dabaate hue firse apne bol chaalu kar deti. Wo koi bhi kasar nahi chorr rahi thi usse convince karne me.

Aur ant me Veer finally uski baatein sunte sunte muskuraaya jiske chalte Sonia chup ho gayi.

Sonia : ???

Veer (smiles) : I get it. It's alright! Aapka koi galat intention nahi tha. Then, I don't blame you.

Sonia (sighs) : Ohhh God! Thank you so much... Thank you! Finally!

Wo abhi baithe hi hue the ki achanak se aa rahi chahal pahal ki awaaz sunn dono ke chehre entrance ki orr mud gaye aur unhone dekha ki...

Suhana 5 se 6 ladies ke saath hassti hui andar aa rahi hai.

'Fuck! Why her!?'

[Even I don't like her master.]

Wo hasste hasste Sonia ke paas aayi aur uske gale se lag gayi.

Suhana : My Sonu! Le aayi na!?

Sonia : Hmm!

Suhana ne fir bagal me baithe Veer ko dekha aur usse dekhti hi uski bauhe chadh gayi.

Suhana (shocked) : Tummm!?? What are you doing here?

Sonia : Diiiiiiii!!!! Mene bulaaya hai usse. Mein aapke liye le aayi hu na, ab aap jaaiye na baatein kariye apni friends ke saath.

Suhana : Wo toh mein karungi hi. Par isse kyu bulaaya hai tumne yaha par!?

Sonia : I have my reasons. Ab aap jaaiye please.

Suhana : Of course I'll go. Pehle wo do toh...

Sonia : Hmm ye lijiye aur boht sambhal ke haa!?

Suhana : I know baba...

Sonia ne fir ek packet ke andar se ek box nikaala air Suhana ko thama diya.

Suhana ne wo chota box apne haath me lete hi Veer ko dekha aur pata nahi kya soojha par wo muskuraayi.

Wo wahi muskaan liye Veer ke paas aayi aur uske bagal se khadi ho gayi.

Suhana : Girls! Come here!!!

Peeche khadi ek se ek sundar mahilaaye jo uski hi umr yaani ki 29-30 saal ki jo prateet ho rahi thi aur newly married thi wo aage badh khushi ke maare uske peeche se aake saath me khadi ho gayi.

Sabhi ladies Veer ke ekdum paas khadi hui thi. Aur sabki nazro se Veer ke nain takraaye. Na chaahte hue bhi Veer yaha sharma gaya. Itni saari ek saath aurato ko aise apne kareeb kabhi nahi paaya tha usne akhir.

Ek kutil muskaan dete hue Suhana ne box khola aur uske andar ek aur behad hi chota sa box nikla. Ek ring ka box.

Jese hi Suhana ne usse khola...

Sabhi ki nazro me ek behad hi khubsoorat sii ring dikhaayi di.

Ek Diamond Ring.

Kareeb 5 se 10 carat ke beech ki thi wo diamond ring.

Itni sundar ki saari ladies waha muh khole ekdum shaant pad gayi.

Suhana khud ring dekh ke maano kho sii gayi thi usme. Itni aakarshak, itni khubsoorat ring usne shayad hi pehle kabhi dekhi thi.

Suhana : It's beautiful right!?

Veer : ...

Suhana (smiles) : Do you know how much it costs?

Veer : ....

Suhana (smiles) : Fucking 1.57 crores...

Maano ek bomb sa giraaya tha Suhana ne price disclose karte hi. Saath me khadi sabhi ladkiyo ki price sunn ke hi haalat khasta ho gayi thi.

1.57 Crore ki anguthi!?

Suhana (smiles) : With a brilliant cut... Batao! Kabhi dekhi hai aisi anguthi!?

Usne box aage karte hue Veer ke chehre ke saamne kiya jese maano uske muh me hi ghused degi. Haalat toh Veer ki bhi sahi nahi thi andar se price sunn'ne ke baad. Par unn sab ke bawajood uske apne chehre par koi bhi bhaav nahi vyakt kiya.

Wo bas expressionless Suhana ko dekh raha tha, jese maano anguthi thi hi nahi uske saamne.

Suhana : Bolo!? Kabhi dekhi hai aisi ring? Ring chorro kabhi zindagi me 1.57 crores rupaye sune hai kisi ke muh se? Kabhi itna mehnga samaan dekha hai?

Sonia (frowns) : Diiii! What are you...!?

Suhana : Shaant Sonu! Let me teach him something.

Veer : ...

Suhana : Bolo!? Kabhi dekha hai? I guess ye ring tumse bhi mehngi hogi hahahaha~

Uski baatein sunn uske saath aayi ladies bhi hassne lagti hai. Wahi sophisticated way me, ek haath se apna muh dhakte hue halka halka khil khila ke hassna, jese maano boht hi pyaara sa joke maara tha Suhana ne. Paisa bolta hai. Suhana ke paas paisa tha jiske chalte uske saath aayi uski saheliya bhi uski baat par hass rahi thi ye jaante hue bhi ki kisi ki beizzati karna sahi baat nahi thi.

Itna sense unn sabhi me tha. Par paisa jese sab ko jhuka deta hai.

Veer abhi bhi bina koi reaction diye keval Suhana ko dekh raha tha. Suhana bhi jese jaanti thi ki akhir kab tak aise dekhega. Wo jese Veer ko bataana chaahti thi ki paisa hi sab kuch hai aur Veer se qubool karwaana chaahti thi ki paisa hi sab kuch hai. Badi badi deenge maari thi uss din Veer ne usse ye keh ke ki paisa ek din usse le doobega. Uss baat ko bhuli nahi thi Suhana. Aaj wo yahi saabit karna chaahti thi ki issi paise se wo Veer ko iss baar sharmindagi ke saagar me duboegi.

Suhana : You know girls!?

Girls : Hmm?

Suhana : This guy... Fufu~ My dearest Sister Sonu offered him money... And this guy... You know what he did???

Wo sabhi prashn bhari aankho se usse dekhi...

Suhana : This guy fucking rejected it... Hahahaha~

"Whaaaat!?"
"No wayyyyy!"
"Really!?"
"Who the hell rejects Money?"
"I'm sorry to say! But are you nuts boy?"
"Like seriously!?"

Wo khadi sabhi Veer pe ek ek karke apne prashno se taane maarne lagi. Uspe tanj kassne lagi.

Par Veer fir bhi nahi dagmagaaya...

Uski aankho me jese ek sankalp tha. Dridhta thi. Ki wo chaahe kuch bhi ho jaaye inn fizool ki baato se nahi dagmagaega.

Aur kahi na kahi uska ye attitude Suhana ko aur bhi zyaada gussa dila raha tha. Itna sab kuch keh dene ki baad bhi Veer ne koi reaction nahi diya tha jiske chalte ab Suhana ka paara chadh raha tha. Usse toh laga tha jald hi Veer uss se maafi maang ke kahega ki aap sahi ho aur mein galat.

Par aisa kuch bhi nahi hua. Ulta Veer ki wo stare usse aur bhi zyaada piss off kar rahi thi.

"Youuuuu" Apne daanto ko meeste hue usne ghur ke Veer ko dekha.

Aur fir apne ek haath uski table par patakte hue chillaayi,

Suhana : Don't think I don't understand. I know tum andar hi andar seham gaye ho right? You don't have any answer now. Kaha gayi tumhari wo aadarsh wali baatein? Wo badi badi jo tum philosophy ki baatein fek rahe the uss din? Kya kaha tha tumne? Mujh me ghamand hai paiso ko lekar? Toh haa hai mujh me ghamad paiso ka kyuki mera paas paisa hai. Samjhe you idiot!? I have fucking money.

Veer : .....

Suhana : Youuuu.... Youuuu... I know you are scared now. Mene bolti jo band kar dii ab tumhari. Money can buy everything idiot. Everything! Even happiness. Bewakoof hote hai wo log jo kehte hai money can't buy happiness. Sab kuch toh paisa hi hai. Ye wahi log kehte hai jinke paas paisa nahi hota. Money brings you happiness. Khushiyaa deta hai paisa. Paise se kabhi koi udaas reh hi nahi sakta. Sab kuch possible hai paise se. Samjhe!? And you fucking keep that in your mind now.

[What the helllll!? What is up with her?? I'll kill this fucking bitch. How dare she!?? How dare she insult my master!? You don't know fucking bitch who my master is... You have no idea you moron. He'll become a King. A fucking King. You're not even worthy to become my master's servant bitch... You... Master! Teach her a fucking lesson. Make her your bitch. Show her who you are... Master... Master!?? Masterrrr????]

Pari ko na jaane ekdum se kya ho gaya tha ki wo nonstop itni gaaliya dii Suhana ko ki Veer khud stabdh reh gaya tha. Uski bolti band ho gayi thi Pari ka aisa bartaav dekh. Par Veer fir bhi kuch nahi bola. Na hi Suhana ko aur na hi Pari ko.

[Ahh... Ahem! *Cough* I'm... I'm sorry Master! I got carried away.]

Suhana : Let's go girls! Aao! Let's move to our table. He doesn't know anything about money.

Wo kehte hue Veer ke bagal se kisi hawa ke jhoke ki tarah nikal gayi. Aur saath hi saath uske sang aayi saheliya bhi.

Unke peeche waali hi Table par wo sabhi jaake baithi aur baari baari ring dekhne lagi.

Idhar Veer ki nazar jese hi Sonia par padi usne dekha ki wo....

Apna nichla honth zorr se bheenche Veer ko badi hi hamdardi aur udaasi se dekh rahi thi. Maano bas ro hi degi.

Uske honth khule par fir band ho gaye. Kya jawaab de wo Veer ko kuch soch nahi paa rahi thi.

"I'm sorry!"

Kuch derr baad finally uske muh se ye do shabd nikle.

"I'm sorry!"

Firse...

Uske baad jese usne kayi baar ye shabd keh daale.

Sonia : Dii... Wo aisi hi hai. I cannot control her. I shouldn't have called you here. Mene... Mene tumhe yaha apni misunderstanding dur karne ke liye bulaaya tha. And look... Kya hua!? Ek aur nayi misunderstanding khadi ho gayi... I'm so sorry! Dii ki taraf se bhi... Please! Veer! Don't take it to your heart.

Veer : ....

[Master!!! 🥺 Atleast... Talk to me.]

Veer iss waqt na hi mann me kuch soch raha tha aur na hi koi jawaab de raha tha. Uski nazar ekdum ekdum sthir thi. Wo khud maun tha, par uska ye maun jese sab pe bhaari pad raha tha. Yaha tak ki Suhana bhi piss off hoke chali gayi thi uske iss maun ke kaaran.

Sonia : Darasal, wo Ring... Wo Ring Dad ne banwa ke mangwayi hai baahar se. And it's diamond. Around 8 to 9 carats. Kal Mom ka b'day hai isliye, Dad wanted to surprise her. Ye ab tak ki sabse mehngi ring hai jo Dad Mom ko dene jaa rahe hai. And, Dii wanted to flaunt... Unhe ye sab accha lagta hai... Apni friends ko ye sab dikhaana. Wo shuru se hi aise rahi hai. Isliye...

Veer : .....

Sonia : Please! Don't be like that Veer... You are making me nervous... At least kuch toh bol do. I know tum behad naraaz ho mujhse. Please! At least say something.

Veer aur uski baat chal rahe 15 minutes guzar chuke the jisme Veer ne ab tak kuch nahi kaha tha. Wo bas Sonia ki hi baatein sunta jaa raha tha. Aur Sonia bechari ko ye aur bhi zyada nervous kar raha tha.

Wo abhi kuch aur baatein rakhti ki tabhi ekdum se lights saari band ho gayi.

Sonia : Lights!??

Wese toh din ka samay tha par andar se hotel poori lights pe hi dependent rehti thi kyuki baahar ki roshni nahi aati thi special reservation area me. Log dim lights me hi baatein karna pasand karte the isliye wo area hi wesa banaya gaya tha.

Kareeb 5 minute lag gaye jab lights waapas se aayi.

Suhana : What the hell? Ye lights kyu chali gayi thi achanak se!?

Girl : Hmm!? Oyye Suhana!? Ring kaha hai??

Suhana : Huh!??

Maano ye baat sunte hi Suhana ka dil zorr se dhadak utha.

Usne apne sofe ke bagal me dekha jaha pehle ring ka box rakha hua tha. Par wo chota box ab gaayab tha.

Aur ye bhaampte hue uski aankhein felti chali gayi.

"Nooooooooo!!!"

Wo hadbada ke khadi hui aur shor machaate hue idhar udhar samaan karte hue dekhne lagi. Aur kuch hi palo me waha ka mahual shaant se ekdum ast vyast ho gaya.

Shor sharaaba sunte hi Sonia bhi uthi aur bhaagte hue Suhana ke paas aayi.

Sonia : K.. kya hua?

Suhana (ghabraate hue) : S...Sonu! Sonu! Meri behan... Sonu ring... Wo ring... Ring kahi nahi mil rahi...

Sonia (shocked) : Whaaaaaaaatttt!???

Aur agle hi pal Suhana jo kuch derr pehle hi itna hass rahi thi wo mote mote aasu bahaate hue rone lagi.

[That's what you get bitch!! Hahahaha~ Master! Look at her... She totally deserved it. Fuck you bitch.]

Sonia se liaptate hue wo zorr zorr se rone lagi. Aur waha ka mahual khush-haal se ekdum tensed ho gaya.

Suhana (cries) : Mene yahi rakhi thi. Trust me! Mene just yahi rakhi thi Sonu... But achanak se light gayi and uske baad... Uske baad jese hi light aayi box yaha nahi tha... I... Dad boht gussa hoenge Sonu... Mom ke liye... It... It was surprise gift... Sonu... Sonuuuuuuu.... *Sniff* Sonuuuu...

Wo lipte hue zorr zorr se ro rahi thi. Sonia ne khud ko sambhaalte hue seedha hotel ke manager ko bulaaya. Usse saari baat bataayi aur sabhi staff ki talaashi lene ko kaha. Yaha tak ki sabhi cameras ke cctv bhi check karne ko keh diya.

Bhumika ko jab ye baat pata chali toh woh bhaagti hui reservation area me aayi aur waha ka mahaul dekhte hi uski haalat patli ho gayi.

1.57 Crore ki ring... Uske hotel se chori ho gayi!??
Maano jese saare hotel se jude sapne usko apni aankho ke saamne bikharte dikh rahe the.

Usne Sonia ki baat rakhte hue sab kuch uske saamne prastut kar diya. Cctv footages se lekar staff ki talaashi tak.

Par jo result mila...

Wo hila dene wala tha.

Na toh staff ke paas se kuch mila, na hi waha ke poore area se.

Sabse chaunka dene wala sach tha cctv ka sach. Jab light gayi toh cctv kaam karna hi band kar diya tha. Aur jese hi light aayi, waapas se chaalu ho chuka tha.

Maano jese kisi ne plan ke saath chori ki ho.

Aur jese hi ye baat sabko samajh aayi...

Suhana (cries) : Noooooo!!! This can't be... Noooo...

Wo rone lagi... Par tabhi uske kaano me awaaz padi...

"Money can buy happiness!"

Usne dekha...

Saamne Veer apne jeb me haath daale khada hua tha.

Veer : Didn't you said that few minutes ago!? Money can buy happiness. Paisa sab kuch hai. Paisa hi khushiya laata hai. Paise se hi aap khush rehte ho? Paise se kabhi koi udaas reh hi nahi sakta. Didn't you said that!? Then why do you look sad now? Mujhe toh abhi keval yahi dikhaayi de raha hai ki... Paise se... You are not even happy... Look! How distressed you are. Look at yourself. Kaha gaye ab wo shabd??? Hmm?? I can't hear them...

Veer ki baat se iss baar Suhana ki baari thi bolti band ho jaane ki. Wo aankhein faade Veer ko dekh rahi thi. Uske honth thar-thara rahe the, par ek bhi shabd virodh ka baahar nahi aa raha tha.

Veer : Remember! Paiso ka ghamand hamesha le doobta hai.

Wo itna bola aur palat ke waha se jaane laga, Bhumika samet sabhi logo ko ascharya bhaav me chorr...

Par tabhi...

*Ding*

[Mission : The Chase

Info - Chase down the unknown guy and bring back the diamond ring.

Rewards - 1) ?? Points.
2) Life time favour from Suhana.

Time Limit - 6 days.]

'Fuuuuccckkkkkkk!!!'
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!
Dhanyavaad!N

Don't forget to like.
NICE UpaDATe
 
Top