- 15,478
- 105,264
- 259
Last edited:
What wonderful revenge awesomeUpdate - 15 ~ An eye for an eye
Ab tak...
'Should I call?? No... What am I even thinking?'
Wo sarr na me hilaate hue apni neend me chali gayi.
Par usse nahi pata tha...
Ki aane waala samay...
Uske liye kya kya laane waala tha.
Ab aage...
Ghar me apni Maa ki awaaz sunn neend ke aghosh se ek ladka subah subah utha. Aise hi uske dincharya ki shuruaat hoti thi.
Apni dhun me magan wo naha dho ke college jaane ke liye taiyaar tha.
Jaldbaazi me naashta karte hue wo apne phone par busy tha aur uski yahi gandi aadat par uski Maa usse sunaane lagi,
"Kitni baar kaha hai ki naashte ke waqt phone mat chalaaya karo par tum ho ki sunte hi nahi? Aur itni kya jaldi hai beta ki naashta karne ke liye bhi time nahi hai? Arre, 2-4 minute late bhi pohuchoge toh teacher bhaga nahi denge tumhe beta."
Wo aurat apni bauhe sikode apne bete ki harqat se naakhush hote hue boli.
Par uske bete ko toh jese koi farq hi nahi pad raha tha. Iss kaan se sunn uss ladke ne apni maa ki baatein apne dusre kaan se nikaal dii.
Aur bas, muh me naashta bhare, chabaate hue uski nazre ek taq phone me lagi hui thi.
Aurat : Padhaayi ka kya hua? Exams aane waale hai na? Kuch padhte ho raat me room me? Ya poore time woi pubg khelte rehte ho??
Ladka : Arre ho jaegi na yaar Mom. Kyu tension leti ho?
Aurat : Pata nahi kab sudhroge tum...
Wo udaas hote hue uth ke andar kitchen me gayi aur ek water bottle laate hue apne bete ke bag me rakh dii jo wahi sofe par pada hua tha.
Agle pal hi wo ladka naashta khatam kar khada hua apna bag uthaaya aur bottle side me fassi dekh usse nikaala aur baahar chal diya,
"Arre bottle kyu roz roz nikaal deta hai? Paani nahi piyoge kya?"
Wo chillaate hue baahar aayi jaha uska beta apni duke bike nikaalne me busy tha.
Ladka : Arre Mom! Kitni baar batau, dost log rehte hai na... Sab ke sab bottle laate hai. Ye faaltu me rakh ke kyu apne bag ka bojh badhau? Tum tension na lo yaar... Ab jao andar.
Aurat : Ajayyyy... Kuch bhul toh nahi raha na??
Par apni Maa ki awaaz ko ansuna kar wo bas apni hi dhun me khoya hua tha aur ghar se yu hawa ke jhoke ki tarah nikal gaya.
Ye aur koi nahi, Veer ki pitaayi karne waala wahi ladka tha ~ Ajay.
Ajay ki Maa Sushma wahi darwaaze par khadi khadi apne hi khyaalo me ghum ho gayi. Chinta, shikan uske chehre par saaf nazar aa rahi thi.
Apne beta ka aisa ravaiyaa usse hamesha soch me daalne par majboor kar deta tha aur uska apne aap se bas ek hi sawaal rehta tha.
Ki akhir kab uske bete ki ye aadatein chuutengi? Aur kab wo uski baato par dhyaan dena shuru karega?
Chaahe Ajay jesa bhi tha, tha toh uska beta. Uska apna kaleja... Usme Sushma ki jaan basti thi.
Aur shayad yahi ek kaaran bhi tha ki wo zyaada zorr se usse daant bhi nahi paati thi kyuki wo ekmaatr aulaad jo thi uski aur uske pati ki.
Ek gambheer aah chorr wo waapas darwaaza lagaate hue andar chali gayi.
***
Idhar Ajay bina apne Maa ke prati ravaiyye par dhyaan diye apne hi vichaaro me leen tha.
Kaafi khush sa bhi lag raha tha woh. Na jaane aisa kya kaaran tha?
Bade hi josh se bharpoor aur excited hote hue wo college me pravesh kiya.
Apne apne pantaro se uski mulaqaat hui. Sabhi ko high five dete hue wo apni class me ghusa.
Akhir wo dada tha apni class ka. 3rd year tha ye uska college me aur poori class me uska raub tha. Ek image thi uski. Ek badboy ki image.
Jiski peeche aksar ladkiya bhaagti thi. Par keval wahi ladkiya jinhe pataana behad asaan hota tha aur unme zyaada koi khubiyaa nahi hoti thi.
Ek aisi ladki jo samajhdaar ho aur saath hi saath teekshn boojh waali ho wo kabhi bhi aise ladko par apna time waste nahi karegi.
Shayad yahi kaaran tha jo Pragya ko unn sab ladkiyo me se alag banaata tha. Ajay ke kayi baar propose karne ke baad bhi, Pragya ne usse sirf as a friend hi banaaye rakha tha.
Aur isliye Ajay usse aur bhi zyaada paana chaahta tha. Jitna koi cheez aapse dur bhaagti hai, usse paane ki laalsa aapki aur bhi badh jaati hai. Yahi haal tha Ajay ka.
Pragya ki adaa, uski wo carefree personality aur easy going attitude jese usse baaki saari ladkiyo se alag kar deta tha Ajay ki nazro me.
Usse aur koi ladki bhaati hi nahi thi. Bas Pragya hi uske dimaag me ghumti rehti thi.
Aaj bhi aisa hi kuch tha. Aaj Pragya college nahi aayi hui thi par uske bawajood Ajay ka dhyaan toh jese uspe hi laga hua tha.
Uski harr ek image Ajay ke mann me aa rahi thi. Uska hassna, baatein karna, advices dena, sab kuch usse bada yaad aa raha tha.
Par Ajay jaanta tha. Aaj kuch kaam tha usse. Jiske chalte wo aaj college nahi aayi thi.
Uske baare me soch Ajay ne apni seat par baithe apna phone nikaala aur wo Pragya ko call karne hi wala tha ki tabhi uske phone pe ek unknown number se message aaya,
'Aaj bore ho rahe ho na?'
Message padh Ajay soch me pad gaya. Ye bhala unknown number se uske phone pe message kaha se aa gaya? Aur bhala aisa message kyu aaya usse? Kahi wrong number pe toh message nahi bhej diya sender ne?
Usne confused hote hue reply bheja,
'Kaun??'
Aur agle hi pal usse firse message aaya,
'Oh hooo!! Tumne really mujhse ye sawaal kiya? You deserve a punishment.'
Message padh bhale hi Ajay confused tha par iss unknown sender se baatein karte hue jese ab usse interest sa aane laga tha.
Usne firse ek message bheja...
'Mein nahi jaanta aap kaun ho. Shaayad wrong number lag gaya hai aapka. Apna naam bataaiye!'
Usne aisa likhte hue message bheja par kuch derr tak koi reply na aaya aur wo lagataar apni mobile ki screen par teacher se bach bach ke dekhta jaa raha tha.
Kuch minute ke baad hi usse reply aaya,
'Mujhse puch rahe ho kaun hu mein? Beta itna maarungi na...'
Aur usse padhte hi pata nahi kyu par Ajay ke chehre par ek muskaan aa gayi. Ab usse itna toh pata chal gaya tha ki ye jo bhi hai ek ladki hai.
Usne fatafat ek message type kiya aur bhej diya,
Ajay : Accha chalo nahi puchta. Par ab ye toh bata do ki mujhe message kyu kiya hai?
Unknown : Accha bacchu? Upar padho na kya likh ke bheji thi mein.
Ajay ne sabse pehla message padha jisme likha tha,
'Aaj bore ho rahe ho na?'
Aur usse padhne ke baad usne reply diya,
Ajay : Haa! Padha mene. Aur aapko kese pata mein bore ho raha hu?
Unknown : Obviously I know... Tumhari rag rag se waaqif hu mein.
Ek baar fir Ajay message padh bada hi confuse ho gaya. Akhir kaun thi ye bandi jo usse aise messages bhej rahi thi?
Kaun thi aisi wo ladki jo uski rag rag se waaqif thi?
Usne sochne ka prayaas kiya ki akhir kaun ho sakti hai ye ladki par itna sochne ke baad bhi usse koi jawaab na mila.
Bas ek hi jan tha jo uski rag rag se waaqif tha college me aur wo ladki thi Pragya.
Pragya ke baare me sochte hi uske dimaag me ek ghanti sii baji. Pragya hi toh ek ladki thi jo uski bestt friend thi ekdum.
Wahi toh usse bakhubi jaanti thi. Aur wahi toh aise baat karti thi uss se?
Jese hi Ajay ne upar ke saare messages padhe, usse 70% lagne laga ki ye bandi Pragya hi thi.
Par uske paas Pragya ka number toh pehle se hi tha fir woh bhala unknown number se usse message kyu bhejegi?
Aur yahi soch usne ek aur message bheja...
Ajay : Tum Pragya? Tell me! I know mene sahi kaha hai. Ab jhooth mat bolna...
Unknown : Arre yaar! Sahi me... I thought ki thoda toh maze lu tumhaare. Itni jaldi guess karne ki kya zaroorat thi paagal.
Aur agle hi pal Ajay ke chehre pe muskaan aa gayi.
Uski muskaan alag hi baya kar rahi thi ki wo poori tarah se iss shaks ko pehchaan gaya hai.
Ajay : Ye unknown number se message kyu kar rahi ho?
Pragya : Arre yaar... Mene tumhe kya bataya tha kal?
Ajay : Yahi ki tumhe kal chacha ke ghar jaana hai?
Pragya : Haa! Toh wahi hu. Wo chacha aaj new SIM laaye the toh mene socha kyu na tumhaare saath masti ki jaaye new SIM se haha~
Ajay : Tu bhi na yaar!
Pragya : Mujhe pata tha tum bore ho rahe hoge. Mein toh gayi nahi aaj. Tumhaare wai do chaar friends tumhe paka rahe honge aur tum mujhe miss kar rahe hoge.
Ajay : Ye baat toh hai. Miss toh bada kar raha hu tumhe. Aur ye baat tum bhi jaanti hi ho ☺
Pragya : Flirt kar rahe ho? Paagal kahi ke...
Ajay : Haha~ Tumhara plan fail ho gaya but...
Pragya : I know!!! Tum aur tumhari aadat... Accha suno...
Ajay : ??
Pragya : Uss din mene tumse uss ladke ke baare me baat ki thi na?
Ajay : Kaun?
Pragya : Arre paagal jisse tum maarne waale the...
Ajay : Ohh! Hahaha~ Wo chuza? Uske baare me kya?
Pragya : Wo mere paas aaya tha.
Ajay : What?
Pragya : Yes! Aur wai baatein tumse karni hai aur ek aur surprise hai tumhare liye.
Ajay : Surprise? Surprise chorro aur uss chutiye ki himmat kese hui tumhaare paas aane ki?
Pragya : What the hell? Usse kya appointment lena padega mere paas aane ke liye? He just came...
Ajay : But kyuuuu?????
Pragya : Tumse related hi baat thi...
Ajay : Kyaaa??
Pragya : Wo baad me bataungi na... Abhi suno! Iss number pe call mat karna okay? Ye chacha ka number hai.
Ajay : Okay! But... Bataogi kab?
Pragya : Kaha na! Surprise bhi dena hai. Jab mein khud iss number se message karungi bas padhte jaana aur bilkul wesa hi karna okay? No sawaal! Warna punishment milegi.
Ajay : Accha jii! Jesa aap kahogi bilkul wesa hi hoga.
Pragya : Good! Shaam me baat karti hu. Abhi chacha ko phone chaahiye hai. Tab tak college bhi chooth jaega.
Aur itna bol Pragya ne dubaara koi message na bheja.
Ajay muskuraate hue college ke lectures toh kahi apne dosto ke saath bakchodi me vyast ho gaya.
Aaj bhale hi Pragya nahi aayi thi college par uske saath yu iss tarah se baatein kar ke wo khushi se fula nahi sama raha tha.
Aaj ye pehli baar tha jab Pragya ne aisa kuch uske saath kiya tha. Aaj toh wo jese saatve aasmaan par tha.
Aaj uska dil garden garden ho chala tha. Aur bas andar ek hi gaane ki panktiyaa goonj rahi thi,
Udta hi firu... Inn hawaaon me kahi...
Ya mein jhool jau... Inn ghataaon me kahi...
Pehla nasha... Pehla khumaar...
Naya pyaar hai... Naya intezaar...
Ajay yu panktiyo ko gungunaate hue apne pantaro ke sarr par tapli bhi maar raha tha, mazaakiya dhang me. Wo jese bilkul kho sa gaya tha aaj.
College ka departure ho chuka tha aur wo parking me se apni bike nikaal raha tha. Shuru se ant tak uske chehre par muskaan thi. Yaha tak ki aaj uske dost bhi usse 'Pyaar me paagal ho gaya hai' keh keh ke usse cherr rahe the aur na chaahte hue bhi Ajay bas sharm ke maare sharmaata jaa raha tha.
Na jaane kya hi surprise plan kiya hua tha uski Pragya ne. Usse sochte sochte wo Bike parking se baahar laaya aur side me gaadi rokte hue usne ek baar apna phone check kiya kyuki ek pal ke liye wo vibrate hua tha.
Aur screen par notification dekhte hi uske chehre par firse ek muskaan aa gayi.
Pragya ka message aaya hua tha...
Pragya : Oye! Suno! Ab surprise ki baat karle? Haa toh wo xxxxxxxx chauraahe par gift shop dekhi hai na? Kaafi famous hai yaar wo toh... Ab naa mat keh dena.
Message padhte hi na chaahte hue bhi Ajay ki hassi chooth gayi. Apne sarr ke peeche par baalo me haath ferrte hue usne bike me baithe baithe hi reply kiya,
Ajay : Jii! Teacher jii! Jii! Mujhe pata hai.
Pragya : Thank god! Okay! Ab jao waha pe...
Ajay : Waha pe? But kyu?
Pragya : Kaha na jao! Mene kaha tha na baba... No sawaal and all...
Ajay : Jii! Jii! Jo hukum aapka devi!!
Aur muskuraate hue Ajay apne khyaalo me doobe gaane gaate hue bike se chal diya Pragya ki bataayi hui destination ki orr.
Sawaal toh kayi saare the uske mann me par ab usse bhi jese ye khel khelne me maza sa aane laga tha. Aur toh aur wo kaafi excited bhi tha ye surprise leke...
Kuch hi minute baad wo pohuch chuka tha uss gift shop par jo Pragya ne bataayi thi.
Tabhi uska phone firse vibrate hua...
Pragya : Pohuch gaye???
Ajay : Yes!!! Agla hukum dijiye devi jii!
Pragya : Hmm! Ab agla hukum hai ki... Buy a rose flower from there...
Ye padhte hi Ajay ke dil ki dhadkane tezz ho gayi...
Ajay (mann me) : Kya wo mujhe...!?
Usne puchna chaaha ki ye kisliye par dusri side se bas ek hi jawaab aaya~
'Jesa bol rahi hu wesa karo'
Aur bas! Fir kya tha. Fir toh jesa jesa Pragya ne bola Ajay ne theek wesa hi kiya.
Ek pyaara sa rose ka phool lete hue wo baahar aaya aur uske Pragya ko message bheja ki usne flower le liya hai.
Aur agle hi pal usse ek aur message aaya,
Pragya : Le liya na... Ab jao xxxxxxxx shop pe. Waha se xxxxxx chocolate khareedo.
Aur Pragya ka agla hukum paake Ajay chal diya dusri dukaan ki orr. Par jese jese kaam Pragya uss se karwa rahi thi, wese wese hi uski dil ki dhadkane badhti jaa rahi thi.
Kahi ye wahi pal toh nahi tha? Jiska usse besabri se intezaar tha? Kahi Pragya uske proposal ko accept toh nahi karne waali thi? Kahi isliye toh nahi wo uss se ye sab karwa rahi thi? Kya wo firse chaahti thi ki Ajay usse propose kare aur iss baar wo uska proposal accept kaare?
Na jaane kitne sawaalo se Ajay ka dimaag ghira hua tha par inn sab ka jawaab toh keval Pragya hi de sakti thi.
Dusri dukaan me pohuch kar, Ajay ne bataayi gayi chocolate khareedi aur itna khareedte hi usse ek aur message aa gaya,
Pragya : Ab xxxxxxxx toy shop jao aur waha se ek pink teddy khareedo...
Uski baat padh ab toh jese Ajay ko poora confirm sa ho gaya tha ki jo wo soch raha tha shayad wahi hone waala tha aur ye sochte hi uski khushi ka koi thikaana nahi tha.
Teesri dukaan jaake usne waha se nirdesh anusaar ek pink teddy liya aur sab kuch leke wo apni bike pe sawaar ho gaya.
Pragya : Le liya na?
Ajay : Ab aur kitna samaan kharidwaogi yaar? Teeno dukaane itni dur dur thi. But tumhaare liye inn duriyo ki parvaah nahi kii mene...
Pragya : Aww! So sweet! Ab suno... Forun hi mujhe college ki peeche waali road par milo. I have a surprise for you... Mein idhar hi hu...
Ajay : What? Tum waha? But waha kyu milna hai? Paagal! Tumhaare gifts ke chakkar me 6:30 baj gaya. Aur tum waha kya kar rahi ho? Wo road safe nahi Pragya!
Pragya : Itni hi parvaah hai meri toh fir aao na jaldi.
Ajay : Fine! Mein aata hu!
Message bhej Ajay tezz raftaar me apni bike bhagaate hue college ke peeche ki sadak par jaane laga. Excitement toh koot koot kar bharta jaa raha tha usme...
Aur kuch hi samay baad wo saara samaan leke waha pohucha toh fir se usse ek message aaya,
Pragya : Wo board laga hai na... Direction waala. Uske paas aao.
Aur message padh Ajay thoda aage lage uss board ke paas pohuch gaya. Usne gaadi roki aur wo bike se utra. Samaan ki thaili uski bike ke handle par hi tangi hui thi.
Tabhi ek baar fir uska mobile vibrate hua aur usne message padha,
Pragya : You see the tree? Tumhaare left waala? I'm just behind it.
Aur itna bol Pragya ne fir koi message na bheja.
Apne dil ki tezz dhadkane liye Ajay uss ped ki taraf badhne laga. Aur agle hi pal uski aankho me ek chamak aa gayi...
Usse ped ke peeche se...
Ek pink colour ki chunri ka hissa hawa me lehraata hua dikhaayi diya. Bhale hi shaam ke 6:45 baj rahe the par iske bawajood itna sab kuch araam se dekha jaa sakta tha.
Halka halka andhera bas chhaaya hua tha. Ek aasha liye wo aage badha...
Aur usne ped ke bagal se apna sar aage badhaate hue ped ke peeche dekhne ka prayaas kiya...
Ki tabhi...
"Surprise motherfucka..."
*POW*
Ek tezz zorrdaar ghusaa uske jabde pe kisi train ki raftaar jitni tezzi me aate hue pada aur agle hi pal wo thoda uchakte hue peeche ki orr road par dhadaam se jaa gira.
Kuch seconds tak toh usse kuch samajh hi naa aaya. Fir jese usse bhayaanak dard utha apne jabde me aur gaal pe...
Aur fir usne aankhein khol upar nazre karte hue dekha toh pehle toh sahi se nazar na aaya. Taare jo chhaa gaye the aankho ke saamne wo zordaar ghusaa khaane ke baad.
Jab finally usse sahi se nazar aaya toh usne dekha ki ek jaana pehchaana chehra uske saamne khada hua tha.
Ye koi aur nahi Veer hi tha.
Uske gale me ek pink colour ki chunri kisi muffler ki tarah bandhi hui thi.
Jese hi Ajay ne Veer ko dekha uska gussa saatve aasmaan par pohuch gaya. Wo utha...
Ajay : Chuze tu? Teri ye majaal?
Aur gurraaaya...
Par koi fayda nahi...
*POW*
Ek laat theek uske seene par aakar padi jisse khaate hi wo hawa me uchal peeche ki orr jaa gira.
Dard me karaahte hue Ajay jese tese khada hua par iss baar toh jese laat aur ghuso ki jhadi lag chuki thi...
Ajay ne hamlo ko counter toh kiya par koi fayda nahi...
*POW*
"Ye ghusa... Meri pitwaayi karwaane ke liye."
*POW*
"Ye laat... Meri beizzati karne ke liye."
*POW*
"Ye ghusa... Mera mazaak banaane ke liye."
Veer ke harr prahaar par uski awaaz tezz hoti jaa rahi thi. Gussa uski awaaz me saaf jhalak raha tha.
Aur harr ek vaar uska poori taaqat se bharpoor tha.
Ajay ki haalat pitate pitate battar hoti jaa rahi thi.
Aur agle hi pal wo zameen par gir pada.
Tabhi uske girte hi...
Veer ne apna perr uthaaya aur uske sarr par zorr se dabaav banaate hue rakha,
"Aaaaaaarrrrrggghhhhhhh!!!"
Ek tezz karaah Ajay ke muh se nikli.
Joota uske sarr par tikaaye hue Veer bola,
"Aulelelele bacche ko dard ho raha hai? Ruko abhi dard dur kar deta hu."
Ye wahi bol the jab Ajay ne theek issi tarah issi jagah par issi waqt Veer ke sarr par aise laat rakh ke bole the. Aur aaj wo khud Veer ke apne jooto ke neeche tha.
Abhi dard se Ajay cheenkh hi raha tha ki tabhi uske muh me kuch zabardasti thoos diya gaya...
Aur jese agle hi pal usse andaaza lag gaya ki wo kya cheez thi...
Ek lollipop!!!!
Veer : Tujhe pata hai mein ye lollipop leke kyu ghumta hu hamesha? Taaki tujh jese bacche jab udham karne lagte hai na toh unki aqal thikaane laga saku.
Ye wahi bol the...
Ajay ke khud ke bol...
Jinhe Veer ne apne zehan me ab tak baithaaye hue the theek issi waqt par unhe chukaane ke liye.
Aur agle hi pal na chaahte hue bhi, dard ke maare aur apni iss haalat ki anbhooti hone ke chalte, Ajay ke aasu nikalne lage.
*Thuuu*
Aur fir achaanak hi uske upar Veer ka thook gira.
Aise hi usne Veer ke upar thooka tha.
Ye toh badla tha.
Veer ka badla.
Shayad ab usse samajh aa raha tha ki kabhi maar khaate hue kaisa lagta hai.
"K... Kese!?"
Ajay ne Veer ke perr pakad apni adhkhuli ankhoo se usse dekha. Uske honth kaanp rahe the...
Veer : Kese? It was me all along you Idiot! Wo Pragya nahi... Mein hi tha. I made you a fool...
Ajay ko iss baat ka bodh hote hi aur gussa aane laga. Kitna galat tha woh.
Itna bewakoof koi akhir kese bann sakta tha?
Par wo bana tha...
Aur wo bhi Veer ke haatho, jo uski nazro me bas ek chuza tha.
*POW*
Aur achaanak hi Veer ne kuch aur hamle kiye, jiske chalte Ajay poori tarah behosh ho gaya.
Usse ghaseet kar Veer uski bike ke paas laaya aur uski bike bhi giraate hue wahi uske qareeb daal dii. Taaki logo ko lage ki wo bhidne ke chalte behosh ho gaya.
Veer ne saara samaan uski bike se uthaaya aur jaate jaate usne ek akhiri baar behosh huye Ajay par daali...
"I promised someone... Ki ab se yadi jiyunga toh ek Raja ki tarah... Aur yadi marunga bhi... Toh bhi ek Raja ki hi tarah..."
[]
Dheemi awaaz me wo khud se itna bol waha se chal diya...
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!
Dhanyavaad!
BrilliantUpdate - 16 ~ Bad Timing
Ab tak...
Veer ne saara samaan uski bike se uthaaya aur jaate jaate usne ek akhiri baar behosh huye Ajay par daali...
"I promised someone... Ki ab se yadi jiyunga toh ek Raja ki tarah... Aur yadi marunga bhi... Toh bhi ek Raja ki hi tarah..."
[]
Dheemi awaaz me wo khud se itna bol waha se chal diya...
Ab aage...
"Aaarghhhhh!!!!" Achanak hi uski ek karaah nikli. Shareer me jagah jagah dard ka ehsaas ho raha tha. Usse apne chehre par kuch geela geela mehsoos hua.
Palke jhapki, aur dheere dheere usse saamne ka nazaara aaya. Do anjaan aadmi jhuk ke usse hi dekh rahe the aur ek haath se bottle leke paani ke chheete uske chehre par maar raha tha.
"Haa haa uth gaya... Uth gaya."
"Utha? Aur daalo thoda..."
Unki baatein sunn wo ladka kuch keh paata ki tabhi ek aur baar paani ka chheeta uske chehre par pada aur agle hi pal usne zorr se sarr daaye baaye hilaaya aur unhe rokne ke liye apne haath aage badhaaye.
Dono hi aadmi uska ishaara dekh rukk gaye.
"Arre bhai! Theek ho?"
Uss ladke na haa me gardan hilaayi aur dono ne usse pakad ke uthaaya.
"Kya naam hai bhai?"
Unme se ek aadmi ne pucha toh ladke ne apna naam bataya, "Ajay!"
Aadmi : Aise raste me dale the bhaiya tum. Nashe me the kya?
Ajay : Nahi! Wo mein... Kuch nahi balance bigad gaya tha isliye gir gaya.
Aadmi : Kamaal hai bhai! Itni khaali sadak pe balance bigad gaya? Tum toh bade heavy driver nikle bhai. Konu kartab artab kar rahe the kya beech raaste me?
Ajay : Nahi! Wo samaan tha zyaada isliye...
Itna bol jese hi Ajay ne apni bike par nazar daali usse ek aur jhatka laga. Uska saara samaan gayab tha. Wo mehngi chocolate ka dabba, wo pink teddy, wo rose, sab kuch gaayab tha.
Aur usse jese hi ye dhyaan me aaya ki ye harqat kiski hogi, uska paara chadh gaya. Apni mutthi kasste hue wo Veer ko yaad karte hi apne daant peesne laga.
Aadmi : Samaan? Kon sa samaan? Yaha koi samaan nahi mila hai hume tumhara. Lagta hai koi leke bhaag gaya. Batao...
Aadmi 2 : Aaj ka jamaana aisa hi hai bhai. Wo toh hum log the jo tumhe dekh ke forun aaye.
Ajay : Jii! Thank you! Meri madad karne ke liye.
Aadmi : Koi baat nahi! Sambhal ke chalaaya karo.
Ajay : Jii!
Aur itna bol wo dono aadmi apni bike par baith nikal gaye.
Idhar Ajay apni bike ki taraf aaya. Usne phone nikaal ke dekha, toh paaya ki 7:30 ho raha tha. Aur uska phone silent me hone ke kaaran na jaane kitne missed calls uski Maa, Sushma ke dale hue the.
Usne apni bike uthaayi, aur ek baar fir karaahte hue seat pe baitha.
'Yaad rakhunga mein ye chuze. Yaad rakhunga. Harr ek hisaab chukaunga.'
Apne aap se mann me sankalp baandhe wo bike utha ke waha se nikal gaya.
***
Idhar jab Veer Ajay ko sootne ke baad, haatho me samaan liye, raaste me chalte hue jaa raha tha tabhi usse mission complete karne ke liye system ki taraf 30 points mile the.
Jo abhi tak usne add nahi kiye the kisi bhi stat me.
Abhi wo raaste me chalte hue hi jaa raha tha. Paise toh the nahi uske paas, aur Nidhi se usne paise liye nahi the. Nidhi ne kuch paise dene ka prayaas kiya tha usse par usne ye keh ke mana kar diya, ki abhi zaroorat nahi hai, jab boht zaroori hoga toh wo khud maang lega.
Veer jaanta tha Nidhi ke ghar ki sthiti. Wo itna jaanta tha ki Nidhi paisa ikhatta kar rahi hai. Kis kaaranvash? Ye usse nahi pata tha. Par itna zaroor pata tha usse ki koi kaaran hai jiske chalte Nidhi jald se jald paisa ikhatta karna chaahti hai.
Aur shayad isliye wo apni job kese bhi karke nahi chorrna chaahti. Isliye, wo Vikaas ki harqato ko bardaasht karti rehti hai.
Aur yahi kaaran tha ki Veer ne abhi tak Nidhi se paise nahi liye the. Wo yaha tak aaya bhi tha toh lift le le ke. Aur abhi bhi wo lift ka hi intezaar kar raha tha chalte chalte.
Bhale hi Veer ne Nidhi ki baat kaat dii thi, par Nidhi ne zabardasti usse apna ek puraana phone pakda hi diya tha. Issi phone ki madad se toh Veer ne Ajay ko chomu banaaya tha.
Apni wahi puraani SIM daal ke wo isse use kar raha tha. Ab uski baat Kavya se bhi whtsapp par hone lagi thi.
Abhi wo chalte chalte jaa raha tha aur akhir kaar usse lift maangne par ek bhale vyakti ne usse lift dii aur usne Veer ko Nidhi ke ghar se bas kuch dur mod par chorr diya.
Yaha se ghar thoda sa hi dur tha, toh Veer ko ab koi tension nahi thi paidal jaane me. Wo Nidhi ki gaadi lekar nahi aaya tha, infact wo ghar me kuch bata ke bhi nahi aaya tha. Aur isliye Nidhi ke 3-4 missed calls pade hue the uske phone me.
'Ma'am aaj fir gussa karengi lagta.'
[Zaahir sii baat hai master. Wo aapki fiqr karti hai. Wo aapko hospital se apne ghar laayi thi. Aur, wo aapko khud ki ek zimmedaari ke roop me dekhti hai shayad. Isliye, aapki tension unhe lagi rehti hai. Upar se wo ek maa bhi hai toh wo aapki maa ka dard bhi samajh sakti hongi.]
'Meri Maa? Haha~ Wo Maa jo meri ghar me aisi ho rahi durdasha dekhti rahi? Par kuch na bolti thi? Wo Maa, jisne kabhi mujhse pyaar se baat tak naa ki? Wo Maa, jo mujhe ghar se nikaale jaane par bhi chup rahi? Wo Maa nahi hai Pari. Wo ek anjaan aurat hai mere liye.'
Veer ki baat sunn, Pari uske dil me ho rahe fluctuations ko mehsoos kar paa rahi thi.
[Mera matlab aapki sauteli Maa se nahi tha master. Mera matlab aapki asli Maa se tha.]
Pari ki baat sunn, Veer ka haath apne aap hi apne gale me tange uss locket par chala gaya jo uski asli Maa ki ek akhiri nishaani thi.
'Kya pata wo zinda bhi hai ya nahi!?'
[Aisa bhi toh ho sakta hai na master, ki wo zinda hai aur issi duniya me kahi par maujood hai. Aapke lakshyo me se ek lakshya aapka ye bhi hona chaahiye master. Apni asli Maa ke baare me jaan'na. Akhir unhone hi toh aapko janm diya hai.]
'Tum theek kehti ho Pari. Mein unke baare me jaan'ne ki koshish zaroor karunga.'
[Hmm! Wese, aap points invest kar rahe ho!?]
'Raat ko karunga.'
[Okay master!]
Veer abhi chal hi raha tha ki thodi derr baad achanak hi wo chalte chalte zorr zorr se hassne laga.
"Hahahahahaha~"
[Master?]
"Hahahahaha~"
[Master kya hua? Aise kyu hass rahe ho? Raat ho rahi hai, colony ke aas paas ke log sab aapko hi dekh rahe hai.]
Pari ki baat sunn, Veer ne thodi derr baad apna hassna band kiya aur fir bola,
'Pari!! Hahaha~ Mujhe darasal ye yaad aa gaya ki kese humne Ajay ko chutiya banaaya. Hahaha~'
[Ohhh!!]
'Thanks to you! Wo ladkiyo waale dialogues mujhe suggest karne ke liye. Wo chutiya mujhe sach me ladki samajh raha tha hahaha~ Kya kya khwaab saja raha hoga mann me haha~ Soch raha hoga aaj maal milega par mila kya? Pitaayi! Hehe!'
[Isme thanks kesa? Ye toh mere liye baaye haath ka khel tha.]
'Wese! Tumne kaha tha tum genderless ho. Fir itni acchi tarah ladkiyo ke dialogues kese suggest kiye tumne mujhe?'
[I'm not genderless. I'm a girl master.]
'Whaaaattttttt?? Par... Par tumne toh...'
[I lied to you.]
'What the fuck????'
[]
'Kyu?????'
[Aise hi... Tab mera mann ni tha sach bataane ka.]
'The hell????? But tum toh ek system ho aur fir... System ka gender kese ho sakta hai? I mean....'
[Aap iss se adhik jaan'ne ke kiye abhi qualified nahi ho master.]
'Jitna mene socha tha, ye system uss se bhi zyaada pechida nikla.' Usne mann me khud se socha.
[Yes! Mein samajhne me complicated hu...]
'Shit! I forgot ki tum meri mann ki harr ek baat sunn sakti ho.'
[Hmm! Isliye, mere baare me koi buri baat nahi bolne ka master.]
'Jaisa aap kaho meri pyaari Pari! Meri cutie Pari! Meri...'
[Bas bas master! Itni makkhan bhi nahi lagaana hai.]
'Pari!!!'
[Hmm?]
'Thank you!' Veer ne iss baar badi hi soft sii awaaz me muskuraate hue kaha. Aur uske yu bolne par Pari ekdum shaant sii pad gayi.
Kuch derr baad fir uski awaaz Veer ke mann me aayi,
[Kisliye master!?]
'For helping me out, Pari! Kal club me jaake tumhaare kehne par mene wo kisses kari thi unn drunk ladkiyo ke saath, entry bhi tumne karwaayi thi badi hi chaaplusi se. Mujhe shuru me wo sab bilkul accha toh nahi laga tha but ussi ke kaaran mujhe points mile the. Aur mein apni strength badha paaya. Warna mein ye mission kabhi nahi kar paata, and I would have lost you.'
[It's okay master! You don't have to be so emotional.]
Veer muskuraaya aur yu baato hi baato me wo ghar pohuch chuka tha.
Upar floor par aate hi jese hi usne ghar ke baahar se door bell bajaayi, gate Nidhi ne hi khola.
Aur Veer ko dekhte hi uski aankhe phati ki phati reh gayi.
Aur kyu na phati reh jaengi?
Veer ke gale me uski chunri jo bandhi hui thi.
Nidhi : Veer?
Veer : I'm sorry Ma'am! Mein bata ke nahi gaya aapse. Darasal, kaam hi aisa tha.
Uski baat sunn ek baar firse Nidhi ne uske gale me bandhi apni chunri ko dekha aur soch me padd gayi. Ye kis type ka kaam karne gaya tha Veer?
[Master! You are fucked!]
'Huh? Kya hua?'
[Apne gale par haath ferro...]
Pari ki baat sunn jese hi Veer ne apne gale par haath ferra ek mulaayam sa kapda uske haatho se sparsh hua. Aur uss sparsh ka ehsaas hote hi agle hi pal uski ankhein phati ki phati reh gayi.
'Fuuuuccckkkkkkkkkk!!!!'
Nidhi aur Veer dono aankhein faade bas ek dusre ko ghoor rahe the. Mahaul itna awkward tha ki na toh Nidhi me ye puchne ki himmat thi ki uski chunri Veer ke gale me kya kar rahi thi. Aur, na hi Veer me jawaab dene ki koi himmat thi.
Darasal, College se lautane ke baad jab Nidhi fresh hone gayi thi, tab hi Veer ghar se nikal liya tha.
Uske jaane ke baad Nidhi pink color ka apna suit pehn kar baahar nikli thi. Na jaane kab se wo iss chunri ko dhund rahi thi par usse mil nahi rahi thi. Aur ab jab mili toh kaha?
Veer ke gale me...
Bina kuch kahe usne Veer ko andar aane ke liye raasta diya. Awkwardly, Veer andar aaya aur badi hi bekaar si smile dii usne jiske badle me Nidhi keval sarr jhuka lii aur darwaaza band karne lagi.
'Fuckkkkkk! Ye mat kehna wo kuch galat soch rahi hai. I'm not gay! Pari! I'm not gay...'
[I know master!]
'Mere aise koi bhi shauk nahi hai...'
Sochte hue usne forun hi wo chunri utaari aur aage badh Nidhi ke saamne apne haath badhaate hue usse dene laga,
Veer : Wo ye... Ma'am!
Aur Nidhi ne wo chunri lete hue apne upar daal lii.
Nidhi : Mene pehle bhi kaha hai Veer. Kam se kam bata ke jaaya karo... Aur ye...
Veer : I know Ma'am! Uske liye sorry... Aur ye... Ye mein galti se le gaya tha.
Nidhi : Galti se?
Veer : Haan Ma'am! Jaate waqt ye meri jeans me kahi fass gayi thi.
Nidhi : Par kese? Mein toh kab se isse dhund rahi thi...
Veer : Wo...
'Fuccccckkkk me!!!! Mere sath hi aisa kyu hota hai? Itni gaandu timing kyu hai meri?'
[]
Veer : Wo... Shayad bed par rakhi thi ye aapke. Mein aapko bataane aaya tha ki mein jaa raha hu. Par aap washroom me thi aur Shreya jii bhi tab washroom me thi. Isliye, mein nikal aaya tha. Aur shayad nikalte waqt hi ye mere jeans me fassi aur mein jab baahar lift tak pohucha tab mujhe dhyaan aaya. Fir waapas aane ki bajaaye mein isse leke hi chala gaya tha. Sorry!
'Fuck this! Kon believe karega ye chutiya story par? Mein khud na karu.'
Par agle hi pal Veer ko ek jhatka laga jab usne Nidhi ke shabd sune,
Nidhi : O... Okay! I believe you!
Wo halka sa muskuraate hue boli aur turant hi Veer ka chehra garmaane laga.
Uske gaal laal ho gaye aur muh thoda khula ka khula reh gaya.
'Damn it! She's too pure Pari! She's too pure. Mujhe yakeen nahi hota ki Ma'am jesi aurat ki zindagi bhi itni dukhdaayi hai.'
Abhi doni ke beech kuch aur baatein hoti ki tabhi andar se Juhi daudti hui aayi aur Veer ke perro ko zorr se pakad lii.
Apna sarr upar kar wo Veer ko dekhi aur boli, "Veer Mama... Kya laaye mere liye?"
[]
'Ye Shreya ke kaaran... Mama Mama sunn'na pad raha hai.'
Veer : Aapke liye boht badhiya cheez laaya hu mein. Par pehle ek promise karo.
Juhi : Bolo...
Veer : Ki Shreya Jii ko aap Shreya mausi kehke bulaogi.
Juhi : Okaaaaaaayyyyy!
Veer (laughs) : Hahaha~ Ye lo fir.
Aur itna bol Veer ne ussi thaili me se chocolate aur Teddy nikaal ke Juhi ko pakda diya.
Chocolate aur teddy dekh ke Juhi ki aankho me chamak aa gayi. Wo apne haatho me lete hue ucchalne lagi, usne Veer ko neeche jhukaaya aur agle hi pal uske gaal pe ek pyaari sii pappi jad dii.
Juhi : Thank you Veer Mama!
Bol ke wo andar ki orr bhaag gayi.
Idhar Veer apna gaal sehlaata hua uss nanhi sii cute sii bacchi ko jaata dekhta raha. Fir, jese hi usne Nidhi par nazar daali...
Usne dekha...
Ki Nidhi muskuraate hue Juhi ko jaata hua dekh rahi thi. Uske chehre par ek sacchi muskuraahat thi.
Koi dard ya koi jhoothapan nahi tha uss muskaan me. Wo ek maa ki muskaan thi apni bacchi ki khushi ke prati.
Jab Nidhi ne palat ke dekha toh paaya ki Veer usse hi ek taq dekh raha tha.
Aur uski nazre apne upar paate hi usne chaunkte hue ek saans bhari.
Veer : Aapke upar yahi smile acchi lagti hai Ma'am!
Nidhi (blushes) : Huh!?
Veer (smiles) : Aap aise hi smile karti raha karo.
Nidhi (blushes) : Ye tum... Wo sab chorro! Aur ye batao...
Veer : Hmm?
Nidhi : Wo... Wo... Ye sab teddy bear, chocolates? I mean... Tumhari date thi kya? Acchi nahi gayi kya date? Kyuki... I can guess ye tum apni date ke liye hi le gaye hoge.
Veer : Ehh? Date? Pffftttt~ Hahaha~
Nidhi : K... Kya hua? Aise kyu hass rahe ho? Kuch galat kaha kya mene?
Veer : Aapko kisne kaha ki mein date pe gaya tha?
Nidhi (surprised) : You didn't?
Veer : No!!! Not at all! Bas, ye samajh lijiye ki... Mein ye lena chaahta tha toh le liya. Aur ye Juhi ke liye hi tha.
Nidhi : But tumhare paas paise...!?
Veer : Wo... Meri cousin ne diye.
Aur usse jhooth bolna hi pada.
Nidhi : Cousin? Toh... Iska matlab...
Veer : Yes! Bhale hi mujhe uss ghar se nikaal diya gaya hai. Par, meri ek chhoti behan hai Kavya. Wo mujhe waqai apna bhai maanti hai aur bhai jese pyaar bhi karti hai.
Nidhi (smiles) : Ye toh... Ye toh behad hi khushi ki baat hai Veer. Atleast, ab tumhe akelapan mehsoos nahi hoega. Atleast koi toh hai apna jis se ab tum baatein kar sakte ho.
Veer : Yes! By the way... Kya aap kabhi date pe gayi ho?
Nidhi : Huh? Mein?
Veer : Hmm!
Nidhi (giggles) : Haha~ Date kya hoti hai. Ye mein nahi jaanti. Mein kabhi nahi gayi.
Veer (surprised) : I don't believe it. Aapke jesi khubsoorat lady ko toh na jaane kitne proposal aaye honge dates ke.
Nidhi (blushes) : Huh? I mean... Well, thank you but... Even though proposals aaye the toh... I never actually went. Samay beet gaya aur fir gharwaalo ne shaadi karwa dii. Bas!
Veer : Toh? Aap kabhi apne husband ke saath...!?
Nidhi : No... Mein kabhi nahi gayi.
Veer : Aap... Aap kehti ho toh maan leta hu. Wese... Wo...
Nidhi : Hmm??
Veer ne thaili khol, usme rakhe rose ka phool nikaala aur Nidhi ko haath aage badhaate hue usse dene laga,
Veer (blushes) : Ye wo... Juhi ke liye mein wo laaya tha... So... Aapke liye ye...
Nidhi (blushes) : Ahh?? Ye...
Nidhi iske liye taiyaar na thi. Na jaane kab usse gulaab ka phool mila tha. Teacher's day me toh sabhi launde lapaade usse phool diya karte the par aise yu achaanak se shayad hi pehle usse kisi ne phool diya tha. Aur ye toh Veer tha. Uska apna student.
Veer : Ye... As a gratitude meri taraf se... Meri itni help karne ke liye... Ek beautiful lady ke liye... Ek beautiful flower...
Nidhi (blushes) : I... I...
Nidhi ke muh se lafz hi na nikle. Wo bas Veer ko dekhti aur fir uske haath me uss gulaab ke phool ko. Kya ye sahi tha? Kya Veer ke haath se phool lena sahi tha?
Wo thodi si duwidha me thi. Par abhi toh Veer ne kaha tha ki wo ye gratitude vyakt karne ke liye de raha hai aur toh aur Veer uss type ka insaan bilkul bhi nahi hai. Veer ki nazro se bhali bhaati waaqif thi Nidhi.
Apna haath aage badhaate hue usne finally, Veer ke haatho se wo gulaab ka phool le liya.
Veer : Bhale hi hum dono ne apni life me date experience na kari ho, par mein aapko ye phool toh de hi sakta hu na?
Nidhi (blushes) : Hmm! I never got to experience it. But jo bhi hota hai, acche ke liye hi hota hai. Maybe God has planned something else for me!? Accha wo sab chorro... Fresh ho lo, mein khaana lagaati hu. Aur, iss flower ke liye Thank you Veer.
Wo bol ke uthi aur apne dono haatho me phool ko pakad andar jaane lagi ki tabhi,
*Ding*
[Mission : Go on a Date with Nidhi.
Rewards : ??
Time limit - 1 month]
Aur mission padhte hi Veer ki gaand phatt ke chaar ho gayi.
'Pari keh do ki ye mazaak hai.'
[It's not master!]
'Pari! Dekho... Chaahe meri gaand maar lo, par keh do ki ye jhooth hai.'
[No master! Ye mission hai.]
'Kyuuuuuu? Kyu meri kismat itni gaandu hai? Kyuuu? Haan? Nidhi Ma'am ke saath date? Mere laude lag jaenge Pari... Mein unke saath bilkul baat nahi bigaadna chaahta. Kitni favourability hai unki?'
[Nidhi ki favourability 40 hai aapke prati master.]
'Dekha! Kitni badh gayi hai. Ye chutiya se mission ke kaaran zero pe na gir jaaye. Unki naraazgi mein sehan nahi kar paunga Pari.'
[I can't help it master!]
'Fucccccckkkkkkkk!!'
Veer bas apni kismat ko kos hi sakta tha. Uski kismat waqai gaandu thi. Yadi koi accha kaam kismat ne kiya tha toh wo tha Pari ka uske shareer me pravesh hona.
'Pari!!!'
[Yes! Master!]
'Show me my stats'
[Abhi lo master.]
[ Stats :
Strength - 37/100
Intelligence -11/100
Agility - 3/100
Endurance - 7/100
Appearance - 9/100]
Kal Pari ki baat maan'ne ke baad Veer bemann club me gaya tha aur waha jo jo harqate usne nashe me padi ladkiyo ke saath kii thi uske kaaran usse 17 points mile the jo usne apni poori strength me daal diye the. Koi aisi zabardasti waali harqate nahi kii thi usne. Keval kisses aur thode upar se hi boob press jo ki waha club me aam baat thi.
Bhale hi Veer ko wo tareeqa pasand nahi aaya tha par ussi tareeqe ke chalte usse points mile the aur wo Ajay ko dho paaya tha. Yaani ki Ajay ki strength 37 se kam thi.
'Pari!'
[Yes master!]
'8 points meri strength me daalo. 9 points mere intelligence me, 7 meri agility me, aur 3-3 mere appearance aur endurance me.'
[Okay master!]
*Ding*
[ Stats :
Strength - 45/100
Intelligence -20/100
Agility - 10/100
Endurance - 10/100
Appearance - 12/100]
'Good! Good!'
Veer muskuraaya aur andar fresh hone ke liye chal diya.
***
*Thud*
Ek table par ek aadmi ne file patki aur saamne khade ladke ko dekhte hue wo bola,
"Badhiya! Mene jin jin pe gola lagaaya hai, unke baare me pata karo. Aur dhyaan rahe, puraani takneek ke saath hi hume chalna hai. Samjhe?"
"Jii... Jii Bhau!" Uss ladke ne kaha.
Aadmi : Shabaash! Kaam karo toh itna bada karo, ki apne aap naam ho jaaye hahaha~
Wo aadmi cigarette ka dhua apne muh se nikaal ke hassne laga.
Uske saamne hi ek aur aadmi baitha hua tha jo usse dekh ke nakli hassi me hassne laga.
Aadmi : Aap kyu hass rahe ho Prasaad laal?
Prasaad laal : Wo... Wo... Jii... Jiii.. Aap hasse isliye mein hassa haha~
Aadmi : Accha!? Kuch samajh me aaya mene kya kaha?
Prasaad Laal : Jii ki kaam itna bada karo ki naam apne aap ho jaaye...
Aadmi : Hmm! Hmm! Par tumne abhi jo kaam kiya na!? Uske kaaran mera mood kharaab ho gaya.
Prasaad Laal : Huh???
Aur tabhi uss aadmi ne do baar taali bajaayi aur agle hi pal uske peeche khade do hatte katte aadmi ne Prasaad Laal ko uthaaya aur andar room me le jaane lage.
"Nahi! Bhau... Bhau... Isme meri kya galti!? Mujhe maaf kardo... Mujhe maaf kardo bhau... Please! Mujhe bachao..."
Prasaad Laal gidgidaata raha par uski ek na suni gayi. Aur usse ghaseet ke andar ek kamre me le gaye.
Wo aadmi apni chair se utha, sar par safed hat daali, apni hockey uthaayi aur apna mouth organ pant ki jeb me daalte hue wo kamre ki khidki ki taraf aage badha.
Aadmi : Jaan se nahi maarna. Prasaad Laal se hume abhi kaafi kaam hai...
Aur agle hi pal wo kamre ka darwaza band hua aur andar se Prasaad Laal ki raungte khade kar dene waali cheenkhe sunaayi dene lagi.
Na jaane kya suluk ho raha tha uske saath andar.
Aadmi : Ranga!
Ranga : Jii... Jii... Bhau!
Aadmi : File uthao! Mene pehle hi gola laga diya hai. Keval unpe hi dhyaan do. 6 companies hi hai. Mujhe do din ke andar sab kuch chahiye.
Ranga : Jii bhau! Ho jaega!
Aadmi : Good! Tumhe toh pata hi hai ki kya karna hai?
Ranga : Jii Bhau!
Aadmi : Kamzor kadi ko dhundo, raasta apne aap mil jaata hai.
Ranga : Jii Bhau!
Aadmi : Prasaad laal ko ab samajh aa jaega ki kin logo ke saath mazaak bilkul bhi nahi karna chaahiye.
Kehte hue wo kamre se baahar jaane laga.
Aadmi : Yadi fir bhi na maane, toh do chaar dose aur dena usko... Tab samajh aa jaega usse ki Aatish Bhau kon hai.
Ranga : Jii Bhau!
Aur Aatish Ranga ko itna bol kamre se baahar neeche ki orr chala gaya.
Idhar Ranga ne uske jaate hi apne maathe oar se paseena pocha aur file utha ke laal marker se banaaye gaye gole par dhyaan diya jo ki kul 6 naamo ke upar lagaaye gaye the.
Usse toh jese pata tha ki aage usse apne Bhau ke liye karna hai. Aur yahi soch wo forun hi apne kaam me lag gaya.
***
Issi raat Veer ke ghar yaani Nidhi ke ghar se kayi kilometres ki duri par ek behtareen hotel me ek sundar sii mahila kisi se phone pe baat kar rahi thi.
Kuch derr baat karne ke baad usne phone kaata aur wo apni jagah se uth khadi hui.
Wo apne cabin se nikli aur apne bagal ke cabin me gayi. Andar jaate hi usse ek behad hi khubsoorat sii ladki ke darshan huye. Usse dekhte hi uss aurat ke chehre par ek muskaan aa gayi.
"Ho gaya kaam?" Usne pucha toh cabin me baithi wo ladki usse dekhi aur usse dekhte hi wo bhi muskuraayi,
Ladki : Haa Mom!
Andar aate hue uss mahila ne saamne chair kheechi aur uspe baith gayi,
Aurat : Bas! Kuch samay aur fir uske baad dekhna, hamaare paas bhi humaara hissa hoga. Hum nishchint hoke reh paenge.
Ladki : I know Mom! Par...
Aurat : Par kya Bhumi!??
Jii haa! Ye aurat aur ye ladki Veer ki sauteli maa aur uski step sister thi. Yaani ko Shweta aur Bhumika.
Aur iss waqt wo apni hi hotel me baithe hue baate kar rahi thi.
Bhumika : Mom! Kya hum jo kar rahe hai wo sahi hai?
Aurat : Sahi!? Kyu nahi!?
Bhumika : Unka... Unka apna beta ghar se nikaal diya gaya. Aur...
Aurat (surprised) : Bhumiiii!?? Kya tum uske baare me soch rahi ho ab? Kahi hamdardi toh nahi hone lagi tumhe uss se?
Bhumika (bauhe sikodte hue) : Mom! Pehle nahi hoti thi. Par aajkal pata nahi kyu, jese jese samay beet raha hai. Mujhe andar se kuch sahi nahi lag raha.
Shweta : Par aisa kyu Bhumi beta? Hum itna aage aa chuke hai. Aur pehle kabhi toh tumhaare mann me uske liye aisa kuch nahi aaya na? Fir ye achanak se kyu?
Bhumika : Shayad isliye Mom, kyuki kabhi bhi usne hamaare saath galat vyavhaar nahi kiya. Wo jesa bhi tha, kam se kam usne hamaare beech me kabhi khalal nahi daali. Na hi hum uss se baat karte the aur na hi usse kabhi apna maante the. Par inn sab ke bawajood, usne kabhi inn baato ka virodh nahi kiya. Aur isliye, ab jab usse ghar se nikaal diya gaya hai, wo mere sapno me aata hai Mom. Uska chehra mere sapno me dikhta hai. Aur mujhe aisa lagta hai jese mene hi usse ghar se nikalwaaya hai.
Shweta : Tu bhul jaa beti inn sab baato ko. Wo toh jaa chuka hai ab. Ab jaha bhi wo ho, apna jeevan jese usse jeena hai jee lega. Par hume hamaare baare me sochna hoga. Kyuki tum aur mein, bas hum dono hi hai ek dusre ke liye.
Bhumika : I know Mom... It's just!
Shweta : Apne aap ko kaam me vyast rakha karo. Okay?
Bhumika : Jii!
Shweta (smiles) : Hmm! Chalo! Ab chalte hai.
Ye raat toh sabhi ke liye jese tese guzar gayi. Par aane waala samay na jaane sabki zindagi me kya laane waala tha. Jo bhi hone waala tha, itna toh tay tha ki Veer ke liye aane waala samay sangharsh se bharpoor hone waala tha.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!
Dhanyavaad!
सुपर awesome fantasticUpdate - 17 ~ Captured
Ab tak...
Shweta : Apne aap ko kaam me vyast rakha karo. Okay?
Bhumika : Jii!
Shweta (smiles) : Hmm! Chalo! Ab chalte hai.
Ye raat toh sabhi ke liye jese tese guzar gayi. Par aane waala samay na jaane sabki zindagi me kya laane waala tha. Jo bhi hone waala tha, itna toh tay tha ki Veer ke liye aane waala samay sangharsh se bharpoor hone waala tha.
Ab aage...
Do din guzar chuke the. Aur inn do dino me Veer ki life me jo bhi badlaav aaya tha wo tha points badhaane ke baad uska shareerik badlaav.
Nidhi ke saath bhi ab uski acchi jamne lagi thi. Nidhi bhi Veer ko jese ab apne hi parivaar ka sadasya maan'ne lagi thi. Wo uske saath shopping par jaati, kabhi koi bhi samaan lena hota wo aur Veer saath saath jaate aur ek dusre ki madad karte.
Veer ke aane se bhale hi uske khane peene ka kharcha badh gaya tha par Veer uski boht madad bhi kar deta tha. Ye baat Nidhi ko khud bhi mehsoos ho rahi thi. Uske upar se jese kaam ka load kam sa ho gaya tha.
Juhi ke saath bhi Veer ki acchi dosti ho chuki thi. Veer time to time Juhi ke saath khelta toh kabhi usse padhaata, uske aane ke baad se hi Nidhi ke ghar ka mahaul ekdum khushnuma sa ho gaya tha.
Chahal pahal badh gayi thi. Ghar me ab baat cheet hua karti thi. Boriyat naam ki toh jese koi cheez hi nahi thi ab Nidhi ke ghar me. Na hi usse ab utna akelapan mehsoos hota tha.
Bas yadi kuch bacha tha toh wo tha Veer aur Shreya ka ek dusre ko jawaab dena chorrna.
Dono hi bas ek dusre ke peeche pade rehte the. Kahi Shreya Veer ki taang kheechti toh kahi Veer Shreya ki. Aur unn dono ka yu jhagadna bhi kahi na kahi Nidhi ko accha lagne laga tha. Usse aisa lagta tha jese wo dono ziddi bhai behan hai jo bas ek dusre se ladte jhagadte rehte hai.
Nidhi ne apne ghar me bhi ye baat bata ke rakhi hui thi ki uske saath uska ek student bhi reh raha hai. Halaki, shuruaati samay me uske gharwaalo ne iska virodh zaroor kiya tha ki ek naujavaan ladke ko apne saath rakhna sahi nahi hai par jese jese kuch din beete aur Nidhi ne roz ki daily report apne gharwalo ko dii, toh unka darr bhi andar se kam ho gaya aur Veer pe unka vishwaash bhi kayi hadd tak badh gaya tha.
Bhale hi Veer ki zindagi yaha pehle se kaafi behtar ho chuki thi par yahi baat Veer ke ghar ke liye kehna thoda mushqil tha.
Veer ke bangle me iss waqt ek behad hi khubsoorat aurat saamne sheeshe me dekh apne baal bana rahi thi. Uska saundarya alag hi starr pe the. Apni ghani zulfo me wo iss tarah apne haath chala rahi thi jese maano wo zulfe nahi, pani ki lehre ho. Uske teekhe nain aise prateet ho rahe the ki kisi ko bhi nasheela bana de. Uski ek jhalak acche se acche sanyaasi ko madhosh kar de.
Aur ye koi aur nahi, Veer ke bade bhai ki patni, yaani ki uski Bhabhi~ Ragini thi.
Ragini apne aap ko sajaate hue dressing table se uthi aur wo baahar nikalne hi waali thi ki tabhi uska bed par rakha phone baja.
*Ring* *Ring*
Aage badhte hue, Ragini ne apna phone uthaaya aur screen pe Papa likha dekhte hi uske chehre pe muskaan aa gayi.
Usne phone utha ke apne kaano me lagaya par kuch second baad hi uski wo muskaan uske chehre se gaayab ho gayi. Aur chehre pe bas shikan, tension aur darr chhaa gaya.
Jese hi usne phone utha ke hello bola tabhi dusri taraf se awaaz aayi,
"Beta!!! Sab kuch lutt gaya, barbaad ho gaya... Lutt gaya beta mein..."
Apne Papa ki aisi awaaz sunn Ragini ki rooh kaanp gayi. Uske Papa Dinesh ki aisi awaaz shayad hi pehle Ragini ne kabhi suni hogi.
Ragini (ghabraate hue) : Papa!!! Kya keh rahe ho aap? Kya hua? Bataaiye!!
Dinesh : Beti!!! Sab kuch barbaad ho gaya meri bacchi!! Sab kuch barbaad ho gaya.
Aur Dinesh ki achanak rone ki awaaz Ragini ko sunaayi dene lagi.
Bechaini me wo uthi aur room me ird gird ghumne lagi,
Ragini : Papa! Aap daraaiye mat mujhe. Please bataiye mujhe! Sab kuch theek toh hai na!?
Uske baad Dinesh apni aapbeeti apni bacchi Ragini ko sunaata hai jisse sunn ke Ragini ke khud ke hosh udd jaate hai. Wo bhauchakki sii bas khadi apne Papa ki baat sunti rehti hai par jese uska dhyaan kahi aur hi tha. Jese maano sadma sa lag gaya ho usse.
Ragini : Nahi!! Ye nahi ho sakta... Aisa kese bhala!? Aapne police me...!?
Dinesh : Beta! Kya kahunga police me!? Police saboot maangti hai. Aur kuch nahi dekhti. Mene unhe sach bataaya hai par wo toh jese meri baat sunn'ne taiyaar hi nahi hai beti. Sab kuch chala gaya beta sab kuch...
Ragini : Aise kese Papa... Aise thodi... Mein... Aap aap... Haa! Hum sheher ke sarvashreshth lawyer ko hire karenge... Bhala aise kese Police hamaari baat nahi maanegi? Hum F.I.R karenge Papa... Jaach padtaal me sab kuch baahar nikal aaega dekhna... Aur akhir himmat kese hui police ki hume ignore karne ki?
Dinesh : Nahi beta! Kuch nahi ho sakta ab. Mene thodi derr pehle hi na jaane kitne sheher ke jaane maane lawyer logo se baat kari. Sabhi peeche hatt gaye beti. Jese maano wo jaante ho ki unka jeetna naamumkin hai. Wo log bade hi khatarnak prateet hote hai beta. Ab toh yadi koi kuch kar sakta hai toh woh Vivek hi hai. Zara bolo beti... Uski acchi pakad hai aur pehchaan bhi.
Ragini : Itna sab kuch ho gaya Papa aur ye baat aap mujhe ab bata rahe ho??
Dinesh : Beta! Sab kuch achanak hua beta... Sab kuch achanak. Pehle jo kaam sabse zaroori tha wahi kiya. Mujhe laga tha police hamaari madad karegi par yaha toh wo sunn'ne taiyaar nahi hai. Vivek hi ab kuch kar sakta hai beta... Zara baat karna ho sake toh uss se...
Ragini : Ye bhi koi kehne ki baat hai Papa? Bilkul! Mein... Mein abhi jaa ke unse bolti. Mein khud jaati hu company me aur inse baat karti hu. Theek? Aap... Aap bilkul tension mat lena Papa. Kuch nahi hoga okay? Sab sahi ho jaega. Ye hai na... Dekhna! Abhi sab sulajh jaega... Mein... Mein abhi jaati hu...
Aur itna bol Ragini call cut karke fataafat unhi kapdo me baahar nikal, Vivek ki company ki orr car nikaal ke akele chal deti hai.
Kuch minute ki duri tay karne ke baad, jese hi wo company pohuchti hai toh uski mulaaqaat receptionist se hoti hai.
Aur kuch hi palo ke intezaar ke baad wo finally apne pati Vivek se milti hai. Jesi jesi baatein usse pata chali Dinesh se wo sab kuch wese hi Vivek ko bata deti hai, jisse sunn Vivek bhi kaafi tension me aa jaata hai.
Vivek : Ye toh boht hi serious maamla hai. Itna sab kuch ho gaya aur ye baat ab bata rahe hai wo?
Ragini : Mene unse yahi baat boli thi Dear... But tab shayad halaat hi kuch aise the... Maybe wo hume tension me nahi daalna chaahte the. Mein jaanti hu Papa ko acche se...
Vivek : Theek hai! Tum tension mat lo. Mein baat karta hu.
Ragini : Thank you dear!
Ragini apni aankho me aasu laate hue boli. Aur usne phone laga ke apne Papa ko aasvashan diya ki jald hi Vivek kuch na kuch hal zaroor nikaal lega unki pareshani ka.
Ab aisa kya ho gaya tha achanak ki Dinesh ke kaaran Ragini sang Vivek bhi bhaari tension me aa pade.
Toh aaiye nazar daalte hai,..
Pichli raat...
Mausam halka thanda tha. Thandi mand mand hawaein vatavaaran me faili hui thi aur raat ke 11:30 baj rahe the.
Dinesh, Ragini ke pita iss waqt apne T.V.S ke ek showroom se baahar nikal rahe the.
Aaj kaagzi kaam aur deals wagarah kuch zyaada hi hui thi jis kaaran se unhe aaj rukna pad gaya. Guards toh the hi showroom ke liye aur saath hi kuch workers bhi, jinko wo showroom band karne ka bol ke Showroom se baahar nikal aaya.
Apni car me baithane ke baad Dinesh apne ghar ki orr prasthaan kiya.
Aaj wo behad khush tha. Kayi saare logo ne aaj gaadiya khareedi thi saath hi saath uski aaj kayi logo se acchi khaasi deals bhi hui. Aaj ke acche din ke baare me soch ke wo mann hi mann prafullit ho utha.
Aisi acchi khaasi kamaayi waale din keval warna tyohaaro me hi aksar aate rahe.
Dinesh khush hote hue gaadi chala raha tha. Uska ghar thoda door padta tha aur wo driver prefer nahi karta tha. Wo khud hi drive karna prefer karta tha hamesha. Uska maan'na tha ki driving ke maamle me aap keval apni khud ko driving skills par bharosa kar sakte ho, kisi dusre ki nahi.
Ghar ki orr aane jaane waala raasta thoda sa sunsaan jagah se hoke bhi guzarta tha. Sunsaan toh nahi kahenge par haa ye kehna ki wo area thoda outer area lagta tha ye galat nahi hoga.
Aadhi raat hone ko aa rahi thi aur Dinesh ne tabhi gaadi roki, apne jeb se phone nikaala aur caller ka naam dekh wo sar hilaate hue muskuraaya. Uski patni Rohini ka call tha. Shaadi ke itne saal guzar gaye fir bhi Rohini ko hamesha Dinesh ki boht chinta lagi rehti thi. 11 baje nahi ki call aana shuru.
Muskuraate hue Dinesh ne wahi side me gaadi rok phone uthaaya,
"Kahiye madam jii! Kya hua?"
Rohini : Kya hua? Arre kitna baj raha hai? Samay bhi toh dekhna chaahiye! Na jaane kab se raah dekh rahi hu aapki. Par aap ho ki koi phone hi nahi uthaate. Ek baar call karke bata toh dena chaahiye na ki aane me derr ho jaegi.
Dinesh : Arre! Ho jaata hai kabhi kabhi late. Aaj kamaayi acchi hui na, aur deals bhi hui kayi. Thoda samay lag gaya.
Rohini : Hmm! Chalo accha aa jao abhi. Fir baat karte hai.
Dinesh : Haa haa! Bas aa raha hu.
Aur call cut karke wo abhi gaadi chaalu hi karne waala tha ki tabhi driver seat ki window se ek haath aaya aur seedha uska gala daboch liya.
Sakpakate hue Dinesh apne gale par haath ki pakad ko hataane ka prayaas karne laga. Darr ke bhaav uske chehre par saaf jhalak rahe the. Usne toh bas kuch pal ke liye window kholi thi jab wo Rohini se baat kar raha tha. Usse kya pata tha ki aisa kuch ho jaega.
Par agle hi pal uska virodh poora ka poora samaapt hp gaya. Kyu??
Kaaran tha uski kanpati par rakha revolver. Isse dekhne ke baad toh acche accho ke paseene choothne lagte hai aur fir Dinesh toh ek sadhaaran sa showroom ka maalik tha. Ladaayi jhagde se koso door.
Uss par tana revolver uske virodh ko choor choor kar diya. Bolti band aur kaapte hue haatho se wo bas aankh tedi karke aadmi ko dekh raha tha jo dikhne me ek normal 28 29 saal ka ladka lag raha tha.
"Boht acche! Yadi zyaada aur hilta na, toh tera ye bheja ko mene kahi aur bhej diya hota. Samjha!?"
Uss ladke ki attitude se bharpoor awaaz Dinesh ke kaano me padi. Aur usne apni mundi haa me hilaayi,
Ladka ne agle hi pal gate khola, usse baahar nikaala, uska mobile zabt karke, usse band karke apne jeb me daala aur waapas se Dinesh ko driving seat par baitha diya.
Yaha kya ho raha tha koi dur dur tak dekhne wala nahi tha. Pehla kaaran tha itni raat ka samay aur dusra kaaran ki wo ek outer area tha.
Uss ladke ne Dinesh ko baitha ke bagal ka door khola aur uski bagal ki seat se baith gaya.
Dinesh ne dekha ki ye ladka akela hi tha, yadi jese tese karke wo uska revolver chhina le toh baazi palat sakti thi.
Par agle hi pal usne apna ye khayaal mann se nikaal diya. Kyuki agle hi second ek scorpio uske bagal se aake khadi hui jisme 4 se 5 launde aur aadmi ghuse pade the. Aur sabke haatho me ek ek revolver tha.
Aur yaha Dinesh uss aadmi se revolver chhinaane ke baare me soch raha tha. Usne apna thook nigla aur upar waale ko dhanyavaad diya ki hey bhagwaan tumne mujhe antim pal me kuch galat karne se bacha liya. Warna ab tak toh uska bheja udd chuka hota.
Dinesh : De... Dekho! Dekho! Tumhe jo bhi chaahiye wo mein dunga. Mujhe chorr do. Jo bhi chaahiye wo batao, mein sab de dunga... Bas... Bas mujhe chorr do.
Apni jaan kisko pyaari nahi hoti bhala?
Aur jab apni jaan pe aati hai toh bade sa bada aadmi keval guhaar hi laga sakta hai aisi sthiti me.
Yahi kaam Dinesh ne bhi kiya.
Ladka : Bilkul bilkul! Wo bhi lenge... Ussi ke liye toh hum hai yaha. Chal! Fataafat! Gaadi badha aage. Aur ghar chal apne.
Dinesh : Gh... ghar!? Ghar kyu jaana hai?? Mein... Jo... Jo bologe wo de dunga... Par ghar...
Ladka : Saale! Jitna mein bol raha hu utna kar samjha?
Dinesh : Beta! Dekho! Kya milega tumhe mujh jaise budhe aadmi ko loot ke? Mein koi hasti nahi hu. Keval showroom ka maalik hu. Aur...
Ladka : Ayyyeee chuupp!!
Uss ladke ne itni zorr se chillaaaya ki Dinesh ki shareer sihar utha.
Ladka : Ab baat ko dhyaan se sunn! Samjha? Chup chaap jesa jesa mein kahu, wesa wesa kar. Warna tu toh jaega hi, par shayad tere saath teri patni ka ticket bhi katega lagta hai...
Dinesh : Nahi!! Nahi!!! Meri patni nahi... Usse kuch mat karna... Mein... Mein... Jesa jesa kahoge wesa hi karunga.
Ladka : Hmm! Ab chup chaap apne ghar ki orr gaadi le. Aur haa!!! Zyaada smart nahi bann'na thik? Ghar bola hai toh ghar ki taraf hi lena. Yadi tune ek bhi mod galat liya, toh tera game bajj jaega samjha!?
Dinesh : haaa haaaa!!
Kaapte hue Dinesh ne apna sar hilaaya. Ab usse ye baat sataaye jaa rahi thi ki kahi... Kahi... Rohini ko kuch na ho jaaye.
Rohini uska besabri se ghar par intezaar kar rahi thi. Aur na jaane aage kya hone waala tha. Ye sochte hi Dinesh ki haalat bigadti jaa rahi thi.
Gaadi start hui, aur Dinesh ne theek wesa hi kiya jesa usse bataaya gaya tha.
Kuch minute ki duri tay karne ke baad hi wo apne ghar ke baahar pohuch chuka tha aur uska dil zorro se dhadak raha tha.
Halaat hi aise the ki wo chaah ke bhi kuch nahi kar paa raha tha.
Ladka : Badhiya! Ab sunn! Mein aur tu andar jaenge yere ghar me... Samjha!? Tu apni patni ko ye bolega ki mein kuch kaagzi kaam ke chalte tere ghar aaya hu. Aur usse zara bhi shak na hone paaye ki kya chal raha hai. Samjha? Yadi zara si bhi mujhe bhanak hui ki tu police ko call kar raha hai ya koi ishaara kar raha hai. Toh tu toh jaega hi, tere saath teri patni bhi maregi...
Dinesh : Nahi! Nahi! Mein... Mein aisa kuch bhi nahi karunga.
Ladka : Badhiya! Chal, ab gaadi andar le ghar ke. Tere ghar ke baahar guard ko bhi nahi pata chalna chaahiye samjha!?
Dinesh : Haa! Haa!
Dheere dheere gaadi ko andar karne ke baad jese hi Ladka aur Dinesh gaadi se utre, toh guard bhi thoda hairaan tha. Itni raat gaye, Dinesh kisi aadmi ke saath car me!? Sawaal toh zaroor aaya tha uske mann me par wo jaanta tha ki ye pehli baar nahi tha, aur iske pehle bhi kuch kaam ki wajah se kayi baar Dinesh logo ke saath raat me aay chuka hai. Toh guard ne apne mann se wo sawaal agle hi pal nikaal diya.
Dono Dinesh aur wo ladka andar aaye aur jese hi Rohini ne darwaaza khola wo Dinesh ko dekh ke muskuraayi par fir bagal me khade ladke ko dekh ke wo thoda hairaan reh gayi.
Rohini (ishaara karte hue) : Ye... Kaun!??
Dinesh : Arre! Hahahaha~ Ye...!? Ye... hai...
Ladka : Namaste jii! Jii hamaari tyres ki company new abhi. Aaj boss ne deal kari thi Sir ke saath. Ussi ke kuch kaagaz chaahiye the, jo shayad Sir laana bhul gaye the. Isliye, mein lene aaya hu unke saath hi.
Rohini : Ohhh! Par... Itni raat... me...
Rohini kabhi uss ladke ko dekhti toh kabhi apne pati ko... Uski samajh nahi aa raha tha ki bhala itni raat gaye kaagaz lene kyu aaya hai ye banda? Kaagaz toh kal bhi le sakta tha!?
Iss se pehle ki Dinesh jawaab de paata, uss ladke ne forun bol daala,
Ladka : Aunty jii! Aisa hai ki... Kal boss London jaa rahe hai. Aur unke saath unki team bhi. Zaroori kaam se. Mein toh keval ek worker hu waha pe. Unhone kaha ki mujhe jald se jald kaagaz chaahiye kyuki mein yaha fir next month aaunga. Aur isliye unhone mujhe bejha hai... Ab isme mein kya hi karu aunty? Aap hi bataaiye!
Rohini : Ohh! Accha! Ni ni... Sahi baat hai. Suniye! Aap jo bhi kaagaz hai, inhe dedo...
Dinesh : Haa! Haa! Mein wo...
Aur Rohini ne hatt'te hue andar aane ke liye raasta diya. Wo ladka andar aake sofe par baith gaya, aur Dinesh theek uske saamne khada ho gaya. Uski samajh nahi aa raha tha ki kya kare. Baar baar wo apni shirt ki aasteen se bas apna paseena pochhhe jaa raha tha.
Ek galat kadam aur uske saath saath uski biwi bhi maut ke ghaat utaar dii jaegi.
Ladka : Aunty Paani milega kya?
Rohini : Huh? Haa beta! Mein laati hu...
Jese hi Rohini andar gayi, wo ladka sofe se kood ke utha aur apna revolver shirt ke neeche se nikaal seedhe Dinesh ke maathe par tika diya,
Ladka : Sunn be! Andar jaa, aur apne dono showrooms ke kaagzaat leke baahar aa samjha? Ek accha panna le aur usme acche se likh ki tu apne hosho hawaas me ye dono showroom Aatish Khanna ke naam kar raha hai! Samjha!? Usme likh... Ki mere saath koi zabardasti nahi kii gayi hai, ye mein apni icchaa se unhe saup raha hu. Samjha? Jitne bhi paper hai sab laa aur jaha jaha sign lagne hai, sab me sign kar samjha!? Yadi ek bhi galti mujhe baad me mili toh teri biwi gayi...
Dinesh : Nahi! Nahi! Rohini... Rohini ko kuch mat karna... Mein... Mein laata hu...
Dinesh tezz kadmo ke saath jese hi andar gaya, Rohini paani leke kitchen se baahar nikli,
Rohini : Arre!? Ye kaha gaye?
Ladka : Aunty jii! Wo papers lene gaye hai.
Rohini : Accha! Ye lo beta paani!
Ladka : Haa aunty!
Rohini : Wese kya naam likhte ho beta?
Ladka : Mein!? Jii mera naam Ranga hai...
Uska naam sunn Rohini thoda soch me pad jaati hai. Ye naam toh bada hi atpata sa tha. Khaaskar uss aadmi ke liye jo ek company me kaam kar raha ho...
Ranga : Hahaha~ Darasal, baat ye hai ki mujhe Bachpan se hi rango ka khub shauk tha, toh maa baap ne naam Ranga rakh diya, fir toh gali mohalle me yahi naam se mein famous ho gaya.
Rohini : Ohh! Accha!?
Ranga : Haa aunty! Mere boss aksar kehte hai ki... Kaam karo toh itna bada karo ki naam apne aap ho jaaye.
Rohini : Ohh! Boht hi uche vichaar hai beta aapke Boss ke toh... Tab toh koi jaani maani hasti hi honge...
Ranga : Hahaha~ bilkul bilkul... Boht bade aadmi hai wo aunty, boht strict hai. Zyaada gussa aata hai toh seedha udaa daalte hai...
Rohini : Huh?
Ranga : Naukri se... Naukri se udaa dete hai.
Rohini : Accha! Kaafi hi strict hai beta. Aur thoda strict hona zaroori bhi hai wese... Mene inko bhi bola hai ki inke staff me bhi kayi log aise hi jo kaamchor hai. Ye meri baat sunte hi nahi...
Ranga : Ab sab sunenge aunty. Aur wese bhi... Ab Sir ke bas me nahi hoga kuch...
Rohini : Hmm?
Ranga : Kuch log sudharte nahi hai na aunty! Toh ab Sir ke bas me nahi hai unhe sudhaarna. Bas, aise logo ko seedha udaa do... Mera matlab hai naukri se hata do...
Rohini : Hmm! Sahi kaha beta tumne.
Inki baatein chal hi rahi thi ki Dinesh kaagaz lete hue baahar aaya. Wo chaahta toh andar se police ko call kar sakta tha par usne risk na liya. Kyuki baahar wo ladka uski patni ke saath baitha hua tha. Anjaam kya hota, iska wo anumaan bhi nahi lagaana chaahta tha.
Sofe par baithate hue Brijesh apne kaapte hue haantho se showroom ki saari ownership kisi anjaan aadmi ke haath dene jaa raha tha.
Jis aadmi ko wo jaanta bhi nahi tha, na kabhi usne uss aadmi ko dekha na uske baare me suna, wo aadmi raato raat uske dono showrooms ka maalik bann'ne jaa raha tha.
Rohini : Aapke haath kyu kaap rahe hai?
Ranga : Aunty inhe thand lag gayi hai. Car chalaate waqt window khol ke rakhe the. Mene samjhaaya bhi tha par Sir hai ki sune hi nahi...
Rohini : Kyaaaaa?? Thand lag gayi? Mene kitni baar kaha hai ki window hamesha band rakha karo. Kya pata kis type ka aadmi kab aake kya kar de...
Ranga : Hahahaha~ Aunty aapki baat se poori tarah mein sehmat hu.
Rohini : Dekha na aapne!? Ab ye kaam kar lijiye fir seedha araam karna ab. Aur kal jaane ki koi zaroorat nahi hai. Swaasth pehle hai...
Ranga : Bilkul! Ab toh inhe wese bhi ghar me rehna padega...
Rohini : Hmm?
Ranga : Matlab jab tak Sir ki tabiyat theek na ho jaaye, aunty aap bilkul bhi nikalne mat dena...
Rohini : Haa! Tum sahi kehte ho...
Idhar Dinesh ko uss ladke ki chaaplusi par itna tezz gussa aa raha tha par halaat ke maare wo majboor tha. Rohini ko wo chaah ke bhi kos nahi sakta tha. Wo toh saari baato se anjaan thi. Wo toh keval uski chinta hi kar rahi thi. Kaash...
Kaash usne window ka glass band kiya rehta toh ye sab na hota.
Par ab beeti galti ke baare me sochne se kya fayda? Ab toh jo ho gaya wo ho gaya. Ab iss situation se baahar safely kese aaya jaaye, yahi Dinesh ki top priority thi.
Kuch hi minute ke andar saara important kaam khatam hua aur Ranga muskuraate hue baahar jaane laga.
Ranga : Chaliye aunty! Yadi mauka mila toh dubaara mulaqaat zaroor hogi.
Rohini : Thik beta! Aate rehna... Ab toh hamaare se deal ho gayi hai aapki.
Ranga : Hahahaha~ Bilkul! Aap badi hi acchi ho aunty! Aapse baat karke mujhe boht accha laga.
Rohini : Bilkul beta! Mujhe bhi tumse baat karke accha laga.
Ranga : Chaliye chalta hu....
Par jese hi wo jaane laga, usse kuch yaad aaya...
Aur usne jeb se ek mobile nikaala aur Dinesh ko pakda diya,
Ranga : Sir! Aap mobile car me hi bhul gaye the. Ye raha aapka phone. Chalta hu.
Aur wo muskuraate hue ghar se baahar nikal gaya.
Baahar nikalte hi wahi scorpio aayi, usme wo baitha aur waha se rafu chakkar ho gaye sabhi.
Idhar uske jaane ke baad Rohini ne gate band kiya,
Rohini : Kitna imaandaar bhi tha hai na?? Chaahta toh wo phone rakh sakta tha... Par usne lauta diya.
Par Dinesh ki jaisi bolti hi band thi. Usse jese sadma sa lag gaya tha.
Rohini : Aap sunn rahe ho? Kaha kho gaye aap?
Aur Rohini ke usse hilaate hi Dinesh foot foot kar rone laga. Bechaari Rohini ki kuch samajh me nahi aa raha tha ki achanak se Dinesh ko kya ho gaya.
Wo tension me aa gayi, par Dinesh toh bas rota jaa raha tha.
Fir Achanak hi uth ke usne Rohini ko uske kandho se pakda aur sab kuch bataaya, jisse sunn bechaari Rohini ki aankhein phati ki phati reh gayi. Uske aasu bhi behana shuru ho gaye.
Jis ladke ko wo itna accha samajh rahi thi abhi kuch derr pehle, wahi unki barbaadi ka kaaran tha. Upar se wo khud nyota de rahi thi usse...
Ye jaante hi Rohini ke perro tale jese zameen khisak gayi. Na jaane kitni baatein kar lii hongi usne uss ladke se...
Wo kehte hai na, ki insaan ki shaqal pe kabhi nahi jaana chaahiye.
Rohini ne rote hue police ko call karne ke liye kaha, jo Dinesh ne kiya.
Dinesh ne saari baat Police ko jesi ki tesi bata dii.
Kuch derr me hi police aayi, saari baatein unhone suni aur apni raay bhi dii.
Ab chuki ye kidnapping ya life at stake case nahi tha isliye Dinesh ko police ne subah apni F.I.R darj karne ko kaha.
Filhaal ke liye toh Dinesh safe tha. Uspe koi bhi hamla nahi hua tha.
Aur agle hi din Dinesh ne bilkul wesa hi kiya. Par koi fayda nahi. Uski umeed jese ab marr chuki thi.
Aur aaj yahi din tha jab usne Ragini ko phone karke bataaya tha. Na jaane aage kya hone waala tha. Uski aakhiri umeed ab bas uska damaad hi tha.
***
Issi din Nidhi ke ghar me alag scene chal raha tha...
"Kya Veer Mama! Aapse ittu sa bhi nahi aata hehe~"
Juhi Veer ki goad me baith iss waqt TV me game khel rahi thi. Aur wo Veer ko baar baar haraaye jaa rahi thi, ya yu kahe ki Veer baar baar khud hi haare jaa raha tha.
Raat ho chuki thi aur abhi sab ka dinner ready ho raha tha, jo ki Nidhi aur Shreya dono milke kitchen me taiyaar kar rahi thi. Aur idhar Veer ki zimmedaari thi Juhi ko entertain karna jo ki wo bakhubi kar raha tha.
Wo hassi mazaak me laga hi hua tha ki tabhi andar uske mann me ek ghanti baji,
*Ding*
[Mission : Save Ragini!
Rewards : ?? Points
Time limit : 4 hours
Location : xxxxxxxx basement, near xxxxxxx road.]
'Huh?????'
.
.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!
Dhanyavaad!
Too brilliantUpdate - 18 ~ Trouble
Ab tak...
Wo hassi mazaak me laga hi hua tha ki tabhi andar uske mann me ek ghanti baji,
*Ding*
[Mission : Save Ragini!
Rewards : ?? Points
Time limit : 4 hours
Location : xxxxxxxx basement, near xxxxxxx road.]
'Huh?????'
Ab aage...
*Tuck*
*Tuck*
*Tuck*
Ek aadmi ke qadmo ke chalne ki awaaz uss jagah par goonj rahi thi. Perro me D and G ke wo kaale genuine leather waale formal shoes jinki keemat lakh ke bhi upar hogi. Wo aise chamak rahe the jaise bas kuch seconds pehle hi polish hokar aaye ho. Floor par unn jooto ke chalne ki awaaz saaf saaf ekdum crisp aur fresh sunaayi de rahi thi. Aur wo awaaz pehle se hi waha ke bhayanak mauhaul ko aur bhi teevr bana rahi thi.
Usne ek safed coat aur safed pant pehna hua tha. Andar ek blue shirt, coat ki breast pocket me ek gulaab ka phool aur sarr par safed hat.
Wo daaye se baaye aur baaye se daaye yu chalta jaa raha tha ki achanak hi wo ruka aur...
*Thud*
Ek zordaar awaaz uss floor par ek stick ke patakne se aayi jo uske haatho ne jakad rakhi thi.
Aur sab kuch ekdum se shaant ho gaya.
Usne apni hockey stick uthaayi aur saamne vyakti ki orr apni stick taante hue uss se bola,
"Ab samajh aaya na!? Kese kaam karte hai?"
"J... Jii bhau!" Saamne khade ek ladke ne darrte hue kaha.
"Kitni baar mene tumse kaha hai Ranga!? Ye kaam aise nahi hote. Hamaare desh me itne chochle hai ki ek baar me koi kaam hota hi nahi hai."
Ranga ne apna sarr hilaaya aur apne bhau ki baat me haa me haa milaayi,
Aatish : Tumhe kya laga tha? Ki tum Dinesh ka showroom bas uss se aise likhwa ke le aaoge, sign karwa loge aur showroom mera ho gaya? Arre aise nahi hota mere chele... Aise kaam hone laga apne desh me toh na jaane kaha pohuch jau mein.
Apne boss ki daant sunn Ranga ne apna sarr jhuka liya.
Aatish : Aatish hai mera naam... Kya? Aatish! Aur tum toh jaante hi ho mere naam ka matlab...!?
Usne apna sarr thodi niraasha me hilaaya aur ek gehri lambi saas lii.
Fir aankhein band kar, saas chorr usne dobaara aankhein kholte hue Ranga ko dekha jo abhi bhi sarr jhukae khada hua tha.
Aatish : Ranga tum bhale hi Dinesh se paavti banwaakar, uss se likhwa ke sign karwa ke le aaye par inn sab ke bawajood Dinesh abhi bhi chaahta toh boht kuch kar sakta tha. Wo mere khilaaf F.I.R kar sakta tha, lawyers dhund sakta tha, muqadma darz kar sakta tha, kya kuch nahi kar sakta tha agar...
Kehte hue wo rukk gaya.
Ranga : Agar?
Aur uska sawaal sunn Aatish muskuraaya. Uski muskaan kisi shaitaan ke jaisi prateet ho rahi thi.
Wo muskaan aisi thi jo saaf saaf apni jeet ko bayaa kar rahi thi.
Aatish : Agar uski aukaat hoti toh... Aur yadi uska paala mujhse na pada hota toh.
Uske itna bol, Ranga keval shaant raha. Na kuch bola, na kuch kiya.
Aatish : Police ho chaahe vakeel ho chaahe neta ho ya chaahe koi bhi ho. Yadi wo Mumbai ke ilaaqo se bhali bhaati waaqif hai toh wo jaanta hi hoga ki Aatish kaun hai aur uss se kyu nahi bhidna chaahiye.
Usne bolte hue dobaara tehelna shuru kiya aur ek baar fir uske jooto ki awaaz uss jagah me goonjne lagi, par iss baar saath hi saath uske bol bhi goonj rahe the.
Prateet ho raha tha ki Aatish aur uske saathi kisi abandoned building ki basement me the jo kuch safed LED lights se jagmag hua pada tha.
Ranga : Par Bhau... Ye Dinesh toh aapki F.I.R karne gaya tha.
Aatish : Hmm! Gaya toh tha. Kyu hai na? Mister Dinesh? Gaye the na?
Aatish ne agle hi pal muskuraate hue apna sarr side me karte hue dekha jaha par ek vyakti pehle se hi kursi par rassiyo se bandhe hue baitha tha.
"Mmmmphhhh.... Mmmmmmmmmm"
Wo aadmi aur koi nahi balki Dinesh hi tha jiske muh par iss waqt patti bandhi hui thi aur wo bas chhatpataate hue rassi se chhutne ki nakaam koshishe kar raha tha.
Aatish : Arre re... Dekho uncle bechaare darr gaye.
Dheere dheere Aatish Dinesh ki orr badha aur qareeb aate hi uska jabda apne ek haath me pakadte hue bola,
"Mujhe tumse koi niji dushmani nahi thi pata. Par kya hai na jo raasta mein dhund raha tha wo mujhe mila nahi. Aur, jo mila wo tumhaare se hote hue jaa raha tha. Isliye, tumhaare saath ye sab ho raha hai."
"Mmmmmmphhhhhhhhhh..."
Par Dinesh ye sab sunke keval hilne dulne ka prayatn hi kar sakta tha.
Aatish : Na na na na... Tum gaye the na police me? Meri F.I.R karne? Kya hua? Kuch nahi na? Lawyer? Wo bhi nahi mile?? Arre re...
Usne Dinesh ke sarr par haath ferrte hue usse bade hi pyaar se puchkaara jese maano wo koi baccha ho,
"Pata kyu nahi hua kuch? Kyuki wo sab na mujhe jaante hai.... Haan! Wo mujhe jaante hai... Wo jaante hai ki Aatish bhau se panga nahi lena hai chaahe kuch bhi ho jaaye. Kyu??? Pucho pucho..."
"Mmmmmmmmmppphhhh..."
Aatish : Arre re... Kaise puchoge? Muh me patti jo bandhi hui hai. Par chalo mein hi bata deta hu. Mujh se na ye police ke chote mote log, ye chote mote vakeel ye sab panga nahi lete. Kyuki wo jaante hai ki jis din mere khilaaf gaye, uss din unke ghar me unki photo tang jaegi. Samjhe ab?
"Mmmmmmpphhhhhh...."
Aatish : Arre yaar... Ye baar baar bilbilaana band kardo samjhe? Warna bas trigger dabaana hai mujhe... Fir tumhaara ye kikiyaana bhi koi na sunn paega...
Kehte hue Aatish Dinesh ko chorr peeche hata par fir dobaara kuch sochte hue palta aur usse dekha,
Aatish : Arre! Hahaha~ Mein ye kaise bhul gaya? Aao tumhe ek tohfa deta hu.
*Clap*
*Clap*
Aur agle hi pal usne do baar taali bajaayi jiski awaaz sunte hi basement me ek gate khula aur ek aadmi ek chair ko dhakka dete hue aage laa raha tha.
Chair ke neeche pahiye lage hue the, jis se asaani se wo chair ko aage badha paa raha tha. Par uss chair me kuch alag baat thi...
Wo ye ki usme ek aurat bilkul Dinesh ki hi tarah rassiyo se lipti hui thi aur uske bhi muh me patti bandhi hui thi.
Aur jese hi Dinesh ki nazar uss aurat par gayi, uske perro tale zameen khisak gayi. Wo dekh paa raha tha uss aurat ki aankho me aasu the, aankhein ro ro kar laal ho chuki thi. Unn aankho me majboori, darr, aasha-heenta saaf jhalak rahi thi.
Aur wo aurat koi aur nahi uski apni beti, Ragini thi.
Aatish : Pasand aaya tohfa? Hahaha~
Hasste hue Aatish ne wahi rakhi ek kursi lii aur uspe baith gaya.
Aatish : Ranga!???
Ranga : Jii bhau!
Aatish : Ab samajh aaya tumhe ki kaam hamesha poora kyu karna chaahiye!?
Ranga : Jii... Jii bhau!
Aatish : Uss din tumne boht badi galti kari thi Ranga. Yadi tum uss din wo do naye navele ladke seedhiyo pe khade nahi karte toh wo ladki bhaag hi nahi paati. Aur mein ye daawe ke saath keh sakta hu ki wo wahi se bhaagi thi tumhare naye ladke ko chakma dete hue.
Ranga : Sorry! Sorry Bhau! Aage se aisa nahi hoga...
Aatish : Hmm!! Isliye kehta hu ki kaam poora karo. Aadha adhura nahi...
Ranga : Jii Bhau!
Aatish : Idhar Dinesh subah meri F.I.R karne jaa raha tha bechaara, jo mene usse karne dii. Bhai taaki usse bhi toh tasalli rahe ki usne police me apni taraf se bol diya hai... Hahaha~ Aur uske baad mene usse dabochwa liya...
Ranga : Bhau? Ab aage ka kya plan hai!?
Aatish : Wahi bata raha hu Ranga. Uske baad uski beti jiski hum talaash me the wo phassi aur fir finally...
*Clap*
*Clap*
Ek baar fir usne do baar apni taali bajaayi aur fir ek baar basement ka door khula aur dusra aadmi ek chair dhakelte hue aage laaya.
Iss chair par bhi ek shaks tha jo iss waqt ussi haal me tha jis haal me Dinesh aur Ragini the.
Jese hi Ragini aur Dinesh ki nazre uss shaks par padi, dono ki aankhein phati ki phati reh gayi. Ragini chhatpataayi par koi fayda nahi. Rassiya itni tight bandhi hui thi ki uski harr ek koshish nakaam thi.
Saamne laaya gaya shaks uska apna pati, Vivek tha.
Aatish (smiles) : Iski umeed nahi thi hai na? Par hume toh issi macchli ki talaash thi, ya yu kahe ki issi macchli ke zariye hume badi macchli haasil hoegi.
Ranga : Bhau!? Iske zariye... Ke... Kese?
Ranga ne thoda confused hote hue pucha. Kayi baar toh woh asaani se apne Bhau ke plans samajh jaata tha par kayi baar toh jese baatein uske sarr ke upar se nikal jaati thi.
Aatish : Mene tumse kaha hai na Ranga. Kamzor kadi ko pakdo, raasta apne aap milta hai...
Ranga : ??????
Aatish : Mujhe uss ladki ki talaash hai jo uss din club se bhaag gayi thi. Aur uske paas hum yadi asaani se pohuch sakte hai toh wo raasta hai uss dusri ladki ke paas pohuchna...
Ranga : Fir?
Aatish : Fir kya? Yahi par toh dikkat aa rahi thi Ranga. Ki hum wo dusri ladki ke paas nahi pohuch paa rahe the. Tum security tod nahi paaye isliye mujhe ye raasta dhundna pada.
Ranga : Huh???
Aatish (smiles) : Dusri ladki... Wo Companies se deals karne me busy hai kayi dino se. Mene tumse companies ke naam maange the na? Aur unki saari details bhi?
Ranga : Jii... Jii bhau!
Aatish : Bas! Udhar se hi toh raasta mila hai Ranga. Unn 6 ki 6 companies me se sabse easy target... Iss chutiye ki company....
Aatish ne kehte hue Vivek ki taraf ishaara kiya aur muskuraaya. Vivek keval gurraate hue hil hi sakta tha. Muh pe tape jo chipka hua tha aur haath perro me rassi bandhi hui thi.
Aatish : Aur yahi mera plan tha Ranga. Ki, iski company iske haath se lunga, fir iss company ke zariye uss dusri ladki ke paas deal leke jaunga. Aur jese hi security se guzarte hue wo haath me aaegi, fir usse dabochunga... Aur ant me... Uss ke zariye wo club waali ladki ko...
Ranga ne apna thook nigla aur bola, "Bhau! Itna solid plan?? Par meri ye samajh nahi aaya ki hume dusri ladki ki zaroorat kyu hai uss club wali ko dhundne ke liye?"
Aatish : Bas itna jaan lo, ki dono ke beech ek connection hai. Yadi ye mil gayi toh club waali araam se mil jaegi...
Ranga : Ohhhhhh!
Aatish : Par... Iss Vivek ki company paane ke liye mujhe iski kamzor kadi ko pakadna tha... Jo ki thi iski patni... Aur iski patni ki kamzor kadi???
Ranga : Iske maa baap!??
Aatish : Hahaha~ Bilkul sahi! Seekh rahe ho ab tum... Good! Good!
Uski baatein sunn, Ragini zorr zorr se hilne ka prayatn karne lagi, khud ko jhanjhorte hue wo kursi me baithe hue rassiyo se chhutne ka prayaas karne lagi toh uski ye harqat dekh ek baar fir Aatish muskuraaya,
Aatish : Madam ke muh se zara tape hatao, lagta hai kuch kehna chaahti hai.
Ranga ne baat sunn, forun hi Ragini ke muh se tape nikaala aur tape nikaalte hi Ragini shuru ho gayi,
Ragini (chillaate hue) : Kuttteeeee.... Kameeeneee... Tujhe phooti kaudi tak nahi milegi... Tu kya soch raha hai ki aise hume baandh kar tujhe sab kuch mil jaega? Ek rupaya nahi milega tujhe dekhna, abhi police aaegi aur tujhe salaakho ke peeche daal degi...
"Hahahahahahaha~"
Uski baat abhi khatam hi nahi hui thi ki Aatish zorr zorr se thahaake lagaate hue hassne laga. Poore basement me uski hassi goonjne lagi. Aur uske aadmi keval khade hue usse dekhte rahe.
Aatish : Ye ladki badi mazaakiya hai yaar. Kaha se seekhi re tu? Haan? Comedy karna? Hehehe~
Wo apni aankhe malte hue pait pakad ke hassne laga, jisse dekh uske aadmi bhi dheere dheere daat niporne lage.
Par agle hi pal...
*Chataaaaaaaaaakkkkk*
Ek zordaar thappad ki goonj poore basement me fel gayi aur sabhi hass rahe aadmi ekdum shaant ho gaye. Unke raungte khade ho gaye.
Ek zordaar tamaacha aake seedhe Ragini ko pada, jo Aatish ne apne ulte haath se uske gaalo par maara.
Darr!
Shayad ab Ragini ko samajh aa raha tha ki wo kisi aerre gerre aadmi ke saamne nahi baithi hui thi.
Achaanak hi Aatish ne uski gardan ke peeche ek haath le jaake uski gardan pakdi aur uske kaano ki taraf badhte hue bola,
"Mujhe na... Mujhe na logo ka vishwaash todne me boht maza aata hai. Matlab boht zyaada... Jab... Jab unki wo shaqal banti hai na, baad me jab unka vishwaash toot'ta hai, aur fir wo bina koi aasha waala chehra banaate hai na... Wo... Usse dekh ke na... Usse dekh ke na... Pata nahi kyu par... Par mujhe boht zyaada sukoon milta hai. Mujhe mazaa aata hai..."
Ek ek shabd Aatish ke muh se Ragini ke kaano me ghuss raha tha aur bechaari Ragini darr ke maare aasu bahaate jaa rahi thi. Siski lete hue wo bas khud ke shareer ko kaapne se rokne ki koshish kar rahi thi. Par koi fayda nahi. Uske shareer ki thar-tharaahat jese band hone ke naam hi nahi le rahi thi.
Agle hi pal Aatish utha aur apne coat ke andar ki jeb se usne apna revolver nikaala. Usne Ragini ko dekha aur bola,
"Abhi dikhaata hu tumhe ki mein logo ka vishwaash kese todta hu."
Bolte hue wo seedha Vivek ke paas aaya aur uske muh se tape nikaal diya.
Aatish : Do option hai tumhaare paas. Ya toh tumhaari jaan ya toh tumhaari biwi ki jaan... Bolo kisse bachau? Tumhe ya tumhari biwi ko?
Vivek ye sunte hi ek Chakravyuh me phass gaya. Uski biwi aur uske sasur uske bagal se hi baithe huye the. Jese hi usne Ragini par nazar daali wo chillaa uthi,
Ragini : Noooooooo!!! Leave him alone... Chorro usse...
Uski cheenkhe sunte hi Aatish ne ek ishaara kiya aur Ranga ne aage badh forun hi dobaara se wahi tape Ragini ke muh pe chipka diya.
"Mmmmmmpphhhhhh"
Ab keval uski halki halki vidroh ki awaaz hi aa rahi thi.
Aatish : Bol jaldi ladke... Teri jaan ya teri biwi ki? Kisse bachau?
Par Vivek kuch na bola aur agle hi pal,
*Bang*
"Aaaaaaaarrrrrrrgggghhhhh"
Ek teevr awaaz goli chalne ki aayi aur peeche kayi aadmiyo me se ek aadmi apna perr pakad wahi neeche gir pada. Wo idhar udhar machalte hue zameen me dard se cheenkhne laga par na hi usse kisi ne uthaaya aur na hi uski kisi ne madad kii.
Aur kuch hi palo me uska perr lahu lahaan ho gaya.
Goli Aatish ke revolver se nikli thi jiski muzzle se abhi halka halka dhuaa baahar nikal raha tha.
Aatish : Ab bologe??? Nahi toh agla perr tumhara hoga.
Usne firse Vivek ko dekhte hue pucha. Par iss baar asar alag tha. Vivek kaanp raha tha. Uss aadmi ki dard se bilbilaate hui cheenkhe uske kaano me padd rahi thi, toh Vivek ke shareer ka thar-tharaana toh laazmi tha.
Vivek ne ek baar fir Ragini ko dekha jiski aankho me aasu the aur saath hi saath khauf bhi, uski poori aankhein laal pad chuki thi...
Revolver ka muzzle Vivek ke maathe par tika hua tha. Usne ye dekh apna sarr jhukaate hue nichla honth zorr se daato tale dabaaya aur ek awaaz me zorr se bola,
"Mujhe mat maaro... Mujhe chorr do!!!"
*Silence*
Jaha ye sunte hi Aatish ke chehre par muskaan aa gayi, wahi dusri taraf Ragini ki aankhein ye sunte hi phati ki phati reh gayi.
"Aaaaahhhhhh! Yessssss!!! This is the feeling!!!!!"
Apne dono haath hawa me felaate hue aur sarr upar kar Aatish wahi gol gol ghumne laga jese maano baarish ki bundo ka ehsaas kar raha ho jo aasmaan se tapak rahi ho.
Agle hi pal wo ek baar fir Ragini ke paas aaya aur uske kaano ki taraf jhukte hue uss se bola,
"Mene kaha tha na? Mujhe vishwaash todne me boht zyaada maza aata hai. Aur tumhaara chehra... Ssssss.... Uffff! Yahi... Yahi chehra toh mein dekhna chaahta tha... Poori tarah se toota hua... Jisme aasha ki ek kiran tak na ho.... Yessssss! This is it. Dil ko itna sukoon mil raha hai na ki pucho mat. Toota na? Tumhara vishwaash toota na? Dekho kese bikhar gaya toot ke... Hai na? Mazaa aaya na? Haan?"
Uski baat Ragini ke kaano me pad toh rahi thi par jese usse kuch sunaayi hi nahi de raha tha. Wo bas bhauchakki si apni aankhein faade Vivek ko ghur rahi thi, jo sarr jhukae waha baitha hua tha.
Aatish peeche hata aur Ranga ko dekhte hue bola,
"Inn dono baap beto ki video banwao jisme ye qubool kare ki ye apni company aur showrooms mere hawaale kar rahe hai aur inn sab me koi zabardasti nahi hai. Rahi baat vakeel aur police ki aur kaagzi kaamo ki toh wo sab mein dekh lunga. 2 din me sab ho jaega. Fir hume inki koi zaroorat nahi hai, inhe jaane dena... Kuch nahi bigaad paenge ye..."
Aur itna bol wo waha se jaane laga.
Par jaate jaate...
Uske mouth organ ki wahi dhunn poore basement me goonj gayi...
***
Kuch derr pehle...
Ragini ne jab Vivek ko apni pareshani uski company me jaake bataayi thi uske baad se hi Vivek kahi police toh kahi apne source lagaa ke koi jugaad lagaane ki koshish kar raha tha. Par jese hi usse ye pata chala ki inn sab ke peeche Aatish ka haath tha toh usne apne haath khade kar diye.
Usne Ragini ko ye kehte hue samjhaaya ki Showroom toh baad me bhi banwa sakte hai, jisse sunn Ragini bhadak uthi aur usse khari khoti sunaane lagi.
Bas! Issi waqt Ragini ko ek unknown number se call aaya tha jo kisi aur ka nahi Aatish ka hi tha.
Jab Dinesh F.I.R karke laut raha tha toh usko uthwa ke wo apne basement me le gaya tha.
Call uthaate hi Ragini ko jab pata chala ki uske Dad ko agwa kar liya gaya hai toh bechaari itna darr gayi ki wo seedha seedha Aatish ke plan me jaa fassi.
Aatish toh chaah hi raha tha ki Ragini akeli basement me aaye aur isliye usne Ragini ko phone pe darraaya ki yadi akeli nahi aayi toh uske pita ko goli maar dii jaegi.
Itni tension me acche accho ka dimag nahi chalta aur Ragini ka bhi yahi scene tha. Wo Vivek se ladd jhagad ke basement ki orr nikal padi par usse aise yu jaate dekh Vivek khud apni gaadi nikal ke uska peecha karne laga.
Aur nateeja?
Dono ke dono basement me pakde gaye aur dono ko hi bandhi bana liya gaya.
Vivek toh buy 1 get 1 free offer ki tarah Aatish ki jholi me aake gir pada. Aatish ne khud ye nahi socha tha ki Ragini ke saath hi usse Vivek bhi mil jaega. Ye toh sone pe suhaaga tha uske liye.
Ab uska kaam aur asaan ho chuka tha...
***
Idhar Veer shaam ko Juhi ke saath khel raha tha jab uske dimaag me achaanak hi ghanti baji thi aur usse mission mila tha.
'Huh??'
[Master!!! Lagta hai aapki Bhabhi kisi musibat me hai.]
'Meri Bhabhi!? Hmph! Unhone toh mujhse aaj tak baat nahi ki. Wo bhi unhi logo me se hai Pari.'
[Wo jaisi bhi ho, but abhi aapko usse bachaana hai.]
'Huh?! Mein kyu bachau unhe bhala? Aur aisi kon si musibat aa gayi unpe bhala?'
[Arre master!!! Nahi bachaaya toh aap mujhe kho doge na?? It's a mission.]
'Shit! Mein toh bhool hi gaya tha. Mission nahi kiya toh tum hamesha hamesha ke liye chali jaogi.'
[Yes!]
'Par mujhe ek baat samajh nahi aayi. Tumhe location kese pata chali? Tum toh mere andar ho.'
[Master! Abhi aap ye jaan'ne ke liye qualified nahi ho. Level 3 pe pohuchaiye mujhe, uske baad hi kuch sawaal ke uttar milenge.]
'Fuck this! Harr baar mein qualified hi nahi rehta...'
[Hurry master!]
Iss se pehle ki Veer Pari ko jawaab de paata andar se Shreya ek katori lete hue baahar nikli aur Juhi aur uske saamne aake khadi ho gayi,
Shreya : Oye!!! Zara taste kar aur bata kese bane hai chhole?
Veer ne Shreya se katori haath me lete hue ek spoon se taste kiya aur fir usse dekhte hue bola,
"Ek number... Aur aapne toh banayi nahi hogi hai na?!"
Shreya : Huh? What do you mean??? Mene aur dii ne milke banaayi hai.
Veer : Jisme aapne unki boht madad kari hai na?
Shreya (nods) : Hmm! Hmm!
Veer : Jese ki masaale pakdaana aur chota mota samaan dena hai na?
Shreya (nods) : Hmm! Hmm!.... Huh? What the hell?
Veer : Hahahahaha~
Juhi : Veer maamu... Maasi se kuch nahi aata... Mummy hi banaati hai saara khaana...
Veer : Pffftttt Hahahahahaha~
Shreya : Juhiiiiiii tummmmm....
Wo kheejte hue katori leke andar jaane hi waali thi ki itne me hi Juhi ne katori pakad lii,
Juhi : Mujhe bhi khaani...
Shreya : Juhi chorro! Wo spoon tumhaare Veer maamu ki juthi ho chuki hai... Andar aake taste kar lo...
Juhi : Toh kya hota? Mein Veer maamu ka jutha kha lungi...
Aur usne chammach uthaate hue Veer ki hi chammach se ek baar taste kiya aur mundi haa me hilaate hue wo taste ka maza lete hue waapas se Veer ki godi me aake baith gayi.
Idhar bechaari Shreya hakki bakki sii khadi keval Juhi ko dekhti reh gayi.
Aaj tak Juhi ne uska jutha kabhi nahi khaaya tha, wo keval apni mummy ka hi jutha khaati thi. Par aaj usne Veer ka jutha khaaya. Ye baat Shreya ko bilkul bhi hazam nahi ho rahi thi...
Shreya : Tum dono... Dono mile hue ho...
Kheejte hue wo andar chali gayi aur Veer keval hassta raha.
[Master!???]
'I know Pari!'
Usne ek gehri saas lii...
'Aaj fir yu mujhe beech me jaana padega. Kitne pyaar se Nidhi Ma'am aaj special dinner bana rahi hai. Firse unhe tension hoegi... Aur firse ek baar dinner me mein nahi rahunga...'
[I know Master! But ye abhi zaroori hai.]
'Right!'
Aur wo utha aur andar kitchen me gaya jaha usse Nidhi ke darshan hue jo jaldi jaldi apne haatho ko chalaate hue dishes banaane me lagi hui thi.
Saath hi Shreya jo uski madad karti jaa rahi thi.
Usne badi hi narm awaaz me Nidhi ko pukaara,
Veer : Ma'am!!
Par Nidhi bina palte hue hi boli,
"Bas baitho Veer! 10 minute aur.... Fir Fatafat sabko thaali lagaati hu."
Par uske ye bol Veer ko jaane se aur baandh rahe the.
Maayus hote hue wo aage badha aur ek baar fir usne dheere se pukaara,
"Ma'am!?!"
Iss baar uski awaaz sunn dono hi Nidhi aur Shreya palti...
Kyuki iss baar...
Uski awaaz me wo alag baat thi...
Pukaarte waqt uski awaaz me wo komalta, wo narm sa ehsaas iss baar na keval Nidhi ko balki Shreya ko bhi mehsoos hua.
Aur dono hi jab palti toh dono hi ashcharya-chakit reh gayi.
Kyuki Veer ka boht hi maayus sa chehra unki nazro ke saamne tha.
Nidhi : Huh!?
Veer : I have to go... Kuch urgent kaam hai Ma'am.
Bolte hue usne ek feeki si smile dii. Uski baat sunn Nidhi usse kuch derr tak dekhti hi rahi aur fir Shreya ne khaamoshi todi,
Shreya : What??? Ab tumhe aenn time pe konsa urgent kaam yaad aa gaya? Kahi firse ladki ke chakkar kaatne jaa rahe ho kya? Mein bata rahi hu... Hamaare ghar me firse wo sab karke mat aana...
Nidhi (zorr se) : Shreyaaaaaaaaaa
Shreya : Thik toh kaha mene. Achanak khaane ke time isse kon sa kaam yaad aa gaya bhala?
Veer : It's urgent!
Shreya : Hmph! Aa gaya hoga baabu shona ka phone toh chal diye... Ab jaake gul chharre udaenge...
Nidhi : Shreya tum chup raho. Aur baahar jao...
Shreya Hmph karte hue Veer ko ghurte hue baahar nikal gayi. Aur kitchen me keval Nidhi aur Veer hi bach gaye.
Nidhi ne sarr jhukaaya aur palat ke wo apne kaam me lag gayi. Fir badi hi dheemi awaaz me boli,
"Jaldi aana..."
Aur bas...
Uska itna hi kehna tha ki...
Ek atyant hi ajeeb sa dard Veer ko apne andar mehsoos hua. Na toh Nidhi ne uss se kuch pucha ki wo kaha jaa raha hai aur na hi usse roka. Bas itna kaha ki jaldi aa jaana.
Pata nahi Veer ko kya hua ki...
Uska haath apne aap achaanak utha aur Nidhi ke kandhe par jaake tham gaya.
*Badump*
Achanak hi maano jese Nidhi ke dil ne ek dhadkan faand lii ho...
Veer ka haath uske kandhe par maroon gown ke upar aadha rakha hua tha. Uski 2 ungliya aur angutha uske nange kandhe ko sparsh kar raha tha.
Twacha se twacha ka mel hua shayad isliye Nidhi ke dil ki dhadkan achanak hi tezz ho gayi.
Aur agle hi pal uske kaano me Veer ki awaaz padi,
"Mein poori koshish karunga Ma'am. Jitni jaldi ho sake... Utni jaldi aane ki... Aur jesa aap soch rahi hai wesa kuch bhi nahi hai. Shreya jii ki baato ko ignore kariyega... And... And... Thank you..."
Nidhi ke honth khule par koi shabd na nikle. Ek baar fir usne prayaas kiya par fir wahi hua.
Ant me usne palat'te hue kuch kehna chaaha par...
Veer saamne nahi tha.
Wo jaa chuka tha.
Aur bauhe sikodte hue wo wahi khadi rahi...
Jab tak ki kuch derr baad waapas se kaam me nahi lag gayi.
***
*Huff* *Huff*
Idhar Veer sadak par bas bhaagte bhaagte khud ko hi kosta jaa raha tha.
Kese wo accha khaasa ghar ka mahaul bigaad ke aa gaya.
[Master! Run!!!!]
'Fuck!!! I am running Pari... Helicopter thodi hu...'
[Kaash aapne apni agility par dhyaan diya hota.]
'Yadi mene saare points agility me daale hote toh mein boht tezz ho jaata?'
[Bilkul! Boht tezz!]
'Ohhh! Hahaha~ Fir toh koi tension hi nahi rehti... Yu daud ke kahi bhi pohuch jaata.'
[Itna easy samajh rahe ho?Yadi keval agility pe dhyaan diya hota toh khoob tezz bhaag toh lete par bhaagne ke baad jo maaspeshiyo me dard umadta usse kese bardaasht karte?]
'Huh??'
[Jitna tezz bhaagoge, andar ki maaspeshiyo par bhi utna hi zyaada pressure padega. Uske baad jo dard uthega usse kese bardaasht karoge? Issi ke liye toh endurance stat diya gaya hai. Aapki sehan sheelta. Jispar aapne shuru se dhyaan nahi diya...]
'What the hell? Pari! Itne points ab kaha kaha daalu. Wese hi points ki tangi chal rahi hai.'
[Ye toh kuch bhi nahi hai...]
'Kya Matlab?'
[Kuch bhi nahi!Master! Wo raha basement ka raasta.]
Na jaane kab Veer baato hi baato me kabhi daudte hue, toh kabhi kisi se lift lete hue apni manzil pe akhir pohuch hi gaya.
[Are you ready master?]
'Hmm!!!'
[Brace yourself!]
'Hmm!!!'
[You'll have to kill.... ]
'Huhhh???'
.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!
Dhanyavaad!
Pasand aaye toh like kar diyo...![]()
ExcellentUpdate - 19 ~ Tactical Approach
Ab tak...
Na jaane kab Veer baato hi baato me kabhi daudte hue toh kabhi kisi se lift lete hue apni manzil pe pohuch gaya.
[Are you ready master?]
'Hmm!!!'
[Brace yourself!]
'Hmm!!!'
[You'll have to kill....]
'Huh???'
Ab aage...
Veer ko Nidhi ke ghar se gaye aadhe ghante ho chuke the. Raat ke 8:30 baj rahe the aur Nidhi idhar Juhi aur Shreya ko khaana paros rahi thi. Par uski khud ki thaali table par kahi nazar nahi aa rahi thi.
Shreya : Aap nahi khaa rahi?
Shreya ke sawaal par Nidhi ne khaane ko beech me hi paroste hue usse dekha aur uske haath achaanak rukk gaye. Ek lambi saas lete hue wo boli.
Nidhi : Thodi derr wait kar leti hu. Shayad abhi thodi derr me aa jaaye. Warna fir bechara akela baith ke khaega...
Shreya : Haa toh? He totally deserves that. Na toh bata ke gaya ki kab aaega, na ye bata ke gaya ki kaha gaya hai? Arre kaha gaya hoga!? Mein pakke se bata rahi hu aapko, ye gaya hai apni kisi maashooqa ke paas, aur dekhna waha...
Nidhi : Nahi Shreya! Aisa kuch bhi nahi hai.
Nidhi ne virodh karte hue kaha. Shayad usse apne mann me Veer ke wo bol yaad aa rahe the.
'Mein poori koshish karunga Ma'am. Jitni jaldi ho sake... Utni jaldi aane ki... Aur jesa aap soch rahi hai wesa kuch bhi nahi hai. Shreya jii ki baato ko ignore kariyega... And... And... Thank you.'
Jo shabd Veer ne kahe the, uss se toh yahi prateet ho raha tha ki wo kisi zaroori kaam se hi gaya tha.
Shreya : Aapko kese pata aisa kuch bhi nahi hai? Kya aap dekhne jaa rahi ho? Ki wo kya kar raha hai? Itna confidence kyu hai aapko?
Nidhi : Because he said to me Shreya... Wo bas kisi urgent kaam se gaya hai. Aa jaega abhi thodi derr me... Thodi derr wait kar leti hu. Tum dono khaao na khaana...
Shreya : Dekh lena... End me aapko hi bura lagega... Meri baat sunn'na hi nahi hai aapko.
Abhi wo dono aur baatein kar paati ki tabhi Nidhi ke phone ke ghanti baji, aur Nidhi ne phone uthaate hue screen par naam dekha.
Parantu naam dekhte hi uski bauhe chinta ke maare sikud gayi. Apni nazre uthaate hue usne ek jhalak Shreya aur Juhi ko dekha aur fir andar apne kamre me chali gayi.
Andar aate hi usne call uthaaya aur apne kaano se lagaaya.
Aur dusri taraf se uske kaano me ek jaani pehchaani awaaz aayi. Ek mard ki awaaz...
Nidhi : He... Hello!?
Aadmi : Kal tumhe aana hai.
Nidhi (frowns) : Kis liye!?
Aadmi : Baat karni hai. Zaroori baat.
Nidhi : Par jo kuch bhi hai wo...
Aadmi : Mene kaha na? Ghar pe aana hai. Din me... 2 baje tak...
Nidhi : Par jab...
Aadmi : Haa ya na!?
Nidhi : Mein...
Aadmi (tezz awaaz me) : Mene pucha... Haa ya na!? Aaogi ya nahi!?
Apna nichla honth daato tale dabaaye Nidhi ne apni mutthi kassi aur uss aadmi ko jawaab diya,
Nidhi : Fine!! I'll come!
Aadmi : Hmm! Late mat karna...
Nidhi : Hmm...
*Call cuts*
'Kab tak!? Kab tak aise hi chalta rahega?? I need to move forward. Par sab kuch jese... Mein Veer ko bhi ghar se aise nahi bhej sakti... Kharcha badh gaya hai kaafi but still... I cannot just... Leave him like that. Yadi uska koi relative aa jaaye tab toh koi baat hi nahi hai. But uski family... Kese karungi itna sab mein?? Bhagwaan!! Ab toh tum hi koi raah dikhaao. Mein phass chuki hu iss chakravyuh me...'
Nidhi haatho me phone liye apne mann me hi sochti jaa rahi thi ki uske theek peeche se achaanak hi Shreya ki awaaz aayi,
"Kiska phone tha!?"
Sunte hi Nidhi chaukte hue peeche palti.
Nidhi : Wo...
Bolte waqt uska sarr apne aap neeche jhuk gaya. Aur Shreya jese samajh gayi ki kiska phone tha.
Shreya : What did he say!?
Nidhi (sighs) : Kal bulaaya hai mujhe.
Shreya (surprised) : For what!??
Nidhi : Nahi pata... But kal jaake hi pata lagegi ye baat.
Shreya : And you told him that you are coming!?
Nidhi : Of course! Aur koi option hai mere paas!?
Shreya : Kyuuuuuuuuuuu!????
Nidhi : Shreyyyaaaa! I have to... Sab kuch... Issi ke liye toh kar rahi hu... Tum bhi dekhti aa rahi ho tabse... Mene ek bhi din aisa nahi gawaaya hai jidhar mene apna lakshya bhula diya jo... Batao tumhi...
Shreya : I know but...
Nidhi : Don't worry! It's just to talk. Baat karke ghar hi aana hai.
Shreya : Fine!!!! I'll go with you.
Nidhi : Nahiiiii! Juhi ko kaun dekhega!? Wo school se ghar aaegi toh kisi ko toh rehna hoga na!?
Shreya : But aap akele...
Nidhi : Chill! Everything will be fine...
Shreya : O... Okay!
Aur Shreya maayus bhara chehra liye waha se chali gayi. Yahi haal Nidhi ka bhi tha. Shreya ke jaate hi uska chehra agle hi pal murjha sa gaya. Aur wo apne bistar par girte hue baith gayi.
Na jaane kya uthal puthal machi hui thi uske mann me. Sawaal bhi the, gutthiya bhi jinhe wo suljhaana chaahti thi, par inn sab ke bawajood wo apni choti behan se sab kuch saajha nahi kar paa rahi thi. Choti behan kya, siwae khud ke wo sab ke saamne apni asli pravatti ko jese chhupa ke rakhi hui thi.
Jo kuch bhi tha, itna toh tay tha ki aane waala kal, uske liye asaan nahi hone waala tha.
***
Idhar Veer mission ke liye apni bataayi gayi destination par pohuch chuka tha.
Wo sunsaan sii sadak, raat ka andhera aur keval chaand ki roshini. Sadak ke idhar udhar keval ped paudhe, zameeno par bikhre pathhar, sookhe patte aur dhool. Aur saath hi saath ped paudho ke nazdeek se aati jhinghoro ki awaaz. Yahi manzar tha jo Veer ko waha pohuchte hue sabse pehle dikhaayi diya.
Kuch derr jab wo aage badha toh usse kayi building choti toh kuch halki badi nazar aayi. Kuch band ho chuki thi toh kuch poori tarah se abandoned thi aur unki haalat kisi bhootiya jagah se kam nahi thi.
Building ke dhaache aise toote hue bikhre hue kahi zameen par dale the toh kahi kisi sahaare se latke hue the. Andar wo concrete se nikli hui lohe ki rods jinme zang lag chuki thi unki vyatha ko bayaa kar rahi thi.
Toote sheeshe, aur upar terrace se neeche aati hui pedd paudho ki wo jade aur lambi lambi shakhaaye jo uss pehle se hi daraawni jagah ko aur bhi daraawna bana rahi thi.
Yadi kuch tha waha pe sabse zyaada maatra me toh wo thi hariyaali.
Raat me chaand ki roshni me ye abandoned buildings kya hi nazar aa rahi thi. Aas paas ke ped paudho ne jese building ko ek chaadar ki tarah lapet liya tha.
Veer issi building ke baahar hi tha. Aur dekhne me aisa lag raha tha ki ye building shayad pehle koi factory thi, jo ki saalo pehle band pad chuki thi. Uski dur dasha poori tarah se battar ho chuki thi aur structure jese poora ujad chuka tha.
Veer baahar khade bas andar jaane ke liye khud ko prepare kar raha tha, kyuki abhi abhi kuch derr pehle hi Pari ne uski kuch chand shabd kehke gaand phaadi thi. Aur wo shabde the ki~ He'll have to kill.
'Pari! You don't understand! I have never killed anyone. Ye mazaak nahi hai Pari!'
[Master! Mein aapko ye nahi keh rahi hu ki aapko maarna hi hai. Mein bas aapko ye bata rahi hu ki ab se... Ab se yadi aapki jaan khatre me hogi aur yadi aapko koi maarne ka prayas kare ya aapki life ke liye threat ho then aapko usse maarna hi padega. Aur mein issi se aapko ye realize karwa rahi hu ki yadi situation bani toh aapko maarna hi padega warna aap sab kuch kho baithoge...]
Bechaare Veer ko kya hi pata tha!? Wo toh jaanta hi nahi tha ki Ragini kis type ki musibat me phassi hai. Uske mata pita ke saath kya hua hai, aur iss waqt wo andar kis haal me hai, kiske paas hai? Ye saari baato se toh Veer bilkul hi anjaan tha.
Usse toh bas itna pata tha ki Ragini kisi musibat me hai aur usse bachaana hai.
'I... I understand Pari... But ye Ragini Bhabhi bhala aisi jagah me kya kar rahi hai!? Wait!!!! Don't tell me...!?'
Jese hi usko ab yaha aake ye realize hua, uski aankhein phati ki phati reh gayi.
[Yes! You may be right master. Mujhe bhi yahi lag raha hai. Aur isliye, satark rehne ke liye aap apna Phone silent me kar lijiye.]
'Good idea Pari! Mein wahi yaad karne ki koshish kar raha tha ki mein kya bhul raha hu.'
Phone ko silent kar, usse jeb me rakh, Veer building ke neeche bane basement ki orr badha...
*Badump* *Badump*
Uska dil zorro se dhadak raha tha. Ye darr tha anjaan ka. Neeche kya hai!? Kon hai? Kya cheez hai? Wo kuch bhi nahi jaanta tha. Aur issi kaaran uss anjaan cheez ka darr uske dil par apna asar dikha raha tha.
'Pari! Everything will be fine right!?'
[I'll guide you master. Bas dheere dheere aage badhiye. Dhyaan rahe, neeche ekdum dekh ke chalna, saath hi saath apne agal bagal bhi. Kisi bhi cheez se aap takrao na. Hume awaaz nahi karni hai.]
'I know that... But thanks for reminding me...'
Wo jese hi building ke neeche jaate uss slope se neeche aaya toh andar ek LED bulb jal raha tha aur theek side me ek scorpio gaadi khadi hui thi.
'Ye Scorpio yaha kya kar rahi hai!? Kahi issi me Ragini Bhabhi...!?'
[Yes master. I'm thinking the same. Andar situation kaafi critical bhi ho sakti hai. Mein suggest karungi ki aap ek hidden weapon dhund lijiye apna. Like koi rod wagarah, ya koi stick.]
'Yup! I got that...'
Apne dheere dheere qadam badhaate hue Veer zameen par idhar udhar apni nazre ghumaane laga, ki kahi se bas kuch aisa mil jaaye jo uski emergency ke waqt kam se kam hifaazat karne ke kaam aa sake.
Neeche itne phattar aur building ke toote hue hisse pade hue the ki Veer ki dekh ke hi phatt rahi thi ki kahi ye dhaancha gir hi na jaaye.
Jese tese kuch seconds ki mashaqqat ke baad usse jo chaahiye tha wo aakhir kaar usse mil hi gaya.
Ek choti zang lagi hui rod jo ki wahi side me pattharo ke neeche padi hui thi.
Apni shirt ko uthaa ke Veer ne uss rod ko apni peeth ki orr le jaate hue pant me khos lii aur shirt waapas giraate hue usse dhak lii. Kam se kam uske paas ab kuch toh tha. Wo khaali haath nahi tha.
Aur Scorpio ke aage badhte hi uski nazar darwaaze par gayi jo ekdum saamne tha. Wo lohe ka halka damaged darwaaza jisse dekh ke hi Veer bata sakta tha ki isko yadi khola toh ye pakke se chuu chaa ki awaaz karne waala tha.
[Ekdum dheere se khol ke pehle andar nazar maariye master.]
'Hmm!!!'
Pari ki baat sunn Veer ne bilkul wesa hi kiya aur jese hi uske haath darwaaze par lage aur usne darwaza dhakela wo chuu chaa ki awaazein karna shuru kar diya. Aur ye sunte hi uski phatti, usse laga jese wo gaya kyuki agle hi pal ek awaaz andar se aayi,
"Kaunn hai!???"
Ek aadmi ki awaaz andar se aise goonji ki Veer ke haath jo darwaaze par the wo itni tezzi se hate aur agle hi pal wo peeche hata aur darwaaze ke bagal ki diwaar ke peeche chhup gaya.
*Scrunch*
*Scrunch*
Aur tabhi kisi ke qadmo ki awaaz aane lagi jo theek uski taraf hi badh rahi thi.
Zameen par pade kachde, pathhar ke chalte unn qadmo ki awaaz badi hi zorr se aa rahi thi.
*Badump* *Badump*
Jese jese wo qadam aage badh rahe the Veer diwaar se apni peeth lagaaye apne dil ki dhadkano ko control me karne ki koshish kar raha tha. Ye kehna galat nahi tha ki qadmo ke saath saath uski dil ki dhadkane bhi badhti jaa rahi thi.
[Master....!]
Pari ne chintaa bhari awaaz me usse pukaara, kyuki wo mehsoos kar paa rahi thi. Veer ki dhadkane boht tezz jo ho gayi thi.
Ek galat qadam aur kuch bhi ho sakta tha.
Veer itna toh bhaamp gaya tha ki andar se jo bhi aa raha tha wo uska shubhchintak ya dost toh katayi nahi tha. Aur jis hisaab se usne andar se awaaz dii aur ab aage badh raha tha. Veer jaanta tha ki wo aadmi usse dekhte se hi kya karne wala tha. Aur, bas issi hamle ko counterattack karne ke liye Veer khud ko taiyaar kar raha tha.
Aur wo counterattack tha ~ Surprise attack.
Dushman tumpe waar kare uske pehle hi tum usse surprise karte hue uss par dhaawa bol do.
Yahi sab sochte hue usne Pari ki awaaz ka koi uttar na diya jiske chalte Pari ekdum hi bechain ho gayi. Par dubaara kuch na boli,
*Screeeeeeccchhhhhhh*
Aur agle hi pal...
Wo lohe ka darwaaza ek teevr awaaz karte hue khula aur jese hi aadmi baahar aaya...
"Mmmmmmmphhhhhhhhhhhhh"
Uss aadmi ki aankhein phati ki phati reh gayi kyuki achaanak hi uske muh par ek haath aaya aur uska muh poori tarah se seal kar diya.
Jab tak ki wo aadmi kuch samajh paata, dusra haath uske ek haath ko thaam chuka tha aur agle hi pal kisi ne usse peeche se kheencha aur apne saath hi neeche gira liya.
*Craaaaaashhhhh*
Neeche jo bhi kankad pathhar pade the uspe hi dono jaa gire...
Apna dusra haath jo ki uss aadmi ka free tha, jese hi usne uska istemaal karne ka socha ki tabhi ek perr ka dabaav uske dusre haath par pada aur uska wo haath bhi kisi anjaan vyakti ne perr me phassa ke uska virodh nakaam kar diya.
Agle hi pal jese uss aadmi ka pal bhar ke liye ek haath chootha aur usne bina koi chance gavaaye zorr se apni kohni se peeche waale vyakti par waar kiye jiske chalte uss bande ko chot toh aayi par next second hi...
*Thud*
Ek pathhar ka waar uske sarr par huwa aur ek baar fir...
*Thud*
Ek aur waar aur uske saamne hi turant hi andhera chhaa gaya.
*Huffff* *Huffff*
Zorr zorr se lambi lambi saasein chorr Veer uss aadmi ko apni giraft se azaad kar uske neeche se utha aur apni pasli ko malne laga.
'Shit! That was a bad move. Saale ki kohni zorr se lagi.... Aaargghhh!!'
[Endurance...]
'I know.... I know... Ab se endurance par bhi dhyaan dunga...'
'Ek minute! Pari!? Ye marra toh nahi na!?'
[No master. Wo behosh hai. Nice move by the way. Apni surrounding ka istemaal kiya aapne. Neeche jo pathhar pade the unhi ke zariye aapne ek thikaane laga diya.]
'Yeaaahhh! Rod nikaalne ka time nahi tha.'
[Check his pockets master. Kahi iske paas guns toh nahi!?]
Pari ki baat sunn Veer ne forun hi uss behosh ho chuke aadmi ko tatolte hue uski jeb check kari par Veer ko koi bhi hathiyaar nahi mila uska siwae ek choti sii pocket knife ke, jo Veer ne apne jeb me daal lii.
Ab jab Veer ne uss aadmi ko dhyaan se dekha toh wo aadmi nahi balki 28-29 saal ka hi koi ladka tha aur anumaan lagaya ki shayad ye yaha pe kisi ke under kaam kar raha tha.
Idhar Veer ek ko behosh karne ke baad aage badhne ki taiyaari kar raha tha par andar toh kuch aur hi scene chal raha tha.
Ranga Vivek ka video bana chuka tha jisme Vivek ne apni company Aatish ko saupne ke bol bole the.
Aur abhi Ranga Dinesh ka video banaane jaa hi raha tha jab usse baahar se kuch chahal pahal ya harqat hone ki awaaz sunaayi dii.
Ranga : Zara dekh ke aana baahar! Awaaz sii aayi mujhe...
Usne ek ladke ko dekhte hue kaha toh wo ladka haa me sarr hilaate hue baahar jaane laga.
*Scrunch* *Scrunch*
Aur idhar Veer ko fir se unhi pathharo par chalne ki awaaz sunaayi dene lagi aur ye sunte hi wo samajh gaya...
Samajh gaya ki agla koi aa raha hai.
Veer ne forun hi uss behosh pade aadmi ko Scorpio ke peeche khiskaaya aur abhi wo kuch aur karta ki tabhi Pari ki awaaz uske sarr me goonjne lagi,
[Master! Go outside!]
'Huh?? Kyu???'
[Pehle aadmi ke chakkar me awaaz hui hai aur shayad isliye ye dusra achanak dekhne aaya. We cannot risk it master. Ab iske chakkar me andar ke saare log na aa jaaye. Baahar se isse bait kariye... Make him come oustide.]
'Nice idea Pari!'
Veer jaldi jaldi waha se bhaagte hue upar chala gaya, waapas se road par...
Par uske aisa karte hi uss ladke ko bhali bhaati awaaz sunaayi de gayi.
Aur kyu na deti!?
Sannaata hi itna tha waha ki halki halki harqato tak ki awaaz sunayi de jaati thi. Aur Veer toh tezz daud ke gaya tha.
Veer ke qadmo ki awaaz jese hi uss ladke ke kaano me gayi toh wo bhi daudte hue baahar ki orr jaane laga.
Aur slope ki chadhaan chadhte hi jese hi wo basement se baahar road pe aaya toh usne dekha ki...
Sab kuch ekdum shaant pada hua tha.
Par uss ladke ne saaf saaf kisi ke bhaagne ki awaaz suni thi. Bhale hi usne kisi ko dekha nahi par usse apne kaano par poora viswaash tha.
Usse yakeen tha ki saala koi toh yaha aaya tha aur abhi abhi bhaaga hai.
"Kaaaunnnn haii!??"
Par uski awaaz ka aur uske sawaal ka koi uttar usse na mila.
"Saamne aao..."
Ek baar fir usne pukaara...
Par iss baar bhi, koi jawaab na aaya. Chaand ki jitni roshni aa rahi thi, utni hi roshni me dekhna thoda mushqil tha par nazar kaafi kuch aa raha tha.
Wo apna sawaal firse dohraata ki tabhi road ke saamne waale ped ke paas usne dekha ki ek ped ki daal ajeebo gareeb dhang se hil rahi hai.
Jese maano usse koi hilaa raha ho.
Aur sach kaha jaaye toh ye dekh ke uss ladke ki phati toh thi. Bhale hi wo bhooto pe viswaash nahi karta tha par fir bhi aise waqt pe dhyaan udhar chala hi jaata tha. Aur jab sthiti aisi ho toh acche se accha insaan darr jaata hai. Aur yahi iss ladke ke saath bhi hua,
"Ka... Kaun?? Kaun hai!?"
Wo bolte bolte dheere dheere aage badhta raha. Jese tese karke wo ped ke paas pohucha jo bas ab kuch hi duri pe tha. Usne apne haath me liya danda aage kiya aur zorr se uss hil rahi daal ko maara...
Par nateeja!?
Waha kuch nahi nikla...
Uss ladke ki jese jaan me jaan aayi aur wo iss baar bina darre uss ped ki daal ke paas jaane laga.
Aur jese hi wo gaya.
*Thud*
Ek zorrdaar waar uske peeche sarr pe hua aur wo apne hosh wahi kho baitha...
*Huffff*
'This one took only one hit...'
Veer ne apni rod waapas se apni shirt me khusaayi aur bina koi samay gavaaye wo firse andar chala gaya.
Idhar andar Ranga Vivek ko baandh ke Dinesh ki rassiya kholne hi waala tha ki tabhi usse dhyaan aaya ki usne jis ladke ko bheja tha wo ab tak aaya nahi tha.
Keval wahi bas akela bacha hua tha Ragini, Dinesh aur Vivek ke saath.
Dinesh ko ussi haalat me chorr Ranga baahar jaane ka tay karta hai.
Wo ekdum alert hoke chalne lagta hai. Kyuki uske dono hi ladke kaafi derr se baahar the. Aur usse bhi kuch harqat ki awaaz aayi thi.
Jese hi wo darwaaze ko kholta hai ki uski nazar slope se neeche aa rahe Veer par padti hai.
Aur dono hi ek dusre ko dekh ek second ke liye jese wahi rukk gaye. Ek jhatka sa jo laga tha dono ko.
"Kaun hai tu!?"
Ranga ne tezz swar me chillaaya par fir achanak hi uski nazar Scorpio ke paas gayi jaha par usse ek aadmi ke thode perr dikhaayi de rahe the, aur Ranga ko samajhne me derr na lagi ki baahar kya chal raha tha.
Aur agle hi pal uska haath apni jeb me khuse revolver par gaya aur usne usse nikaal ke taana hi tha par tab tak derr ho chuki thi.
*Thud*
"Aaaaarrrrghhhhhhh!!!"
Ek bada sa pathhar aake uske haath pe laga jiske chalte uski ek karaah nikli aur patthar ke lagte hi uske haath se uska revolver chhutak ke peeche jaa gira.
Wo apne haath ke dard se ubhar paata ki tabhi...
*Pooowwwwww*
Ek zorrdaar ghusa aake seedha uske jabde par pada aur uska saara nichla jabda hil ke reh gaya.
Powerful impact ke saath wo ghusa jese hi pada, Ranga teen chaar kadam ki duri me uchalte hue gira aur bas...
Veer toot pada uspe...
Idhar unke ladne se jo awaazein basement me goonj rahi thi, wo Ragini, Vivek aur Dinesh samet sabhi sunn paa rahe the par unhe ye nahi pata tha ki unhe bachaane waala Veer hai.
Ranga ne sambhalte hue Veer ke agle waaro ka bakhubi saamna kiya aur badle me dherr saare waar kiye. Kahi pasli me, toh kahi pait me, kahi chehre me toh kahi seene me...
Dono ek dusre par aise jhapat'te hue ladd rahe the aur bhidte jaa raa the, toh kahi girte padte jaa rahe the. Kuch hi palo me jagah jagah unke shreer me chhilne ke ghaav aa chuke the aur khoon nikakna shuru ho gaya tha.
Wo ladte hue na jaane kab andar ki orr aa gaye jiske chalte Ragini samet baaki sabhi unn dono ko dekh sakte the.
Aur jese hi idhar Ragini ki aankhein Veer par padi, wo phati ki phati reh gayi.
Usse ek jhatka laga tha. Zorrdaar jhatka.
Ye usne apne poore jeevan me kabhi umeed na kari hogi ki Veer yaha usse bachaane aaega.
Aur agle hi pal...
Jo aasuo ka baandh abhi kuch Seconds se thama hua tha wo Veer ko Ranga ke saath ladte dekh hi toot pada aur uski aankho se mote mote aasu behne lage.
Vivek bhi ye dekh ke ekdum hairaan tha.
Usse bhi khud yakeen nahi ho raha tha ki Veer yaha unhe bachaane aaega. Mann me itne saare sawaal umad rahe the dono hi Ragini aur Vivek ke ki pucho mat.
Par iss waqt dono ki nazre aur dhyaan Veer aur Ranga ki ladaayi par tha.
Dinesh bhi khud bas ladaayi ko dekh raha tha aur aasha kar raha tha ki Veer ko kuch na ho.
Par kuch hi palo me jese uski aasha jese mitti me milne jaa rahi thi.
Kyuki Ranga iss waqt Veer ke upar baith apne dono haatho se ussi ki rod uske gale me gadaaye uska gala choke kar raha tha.
"Saaaleeee.... Aaj tu marega mere haatho... Mein nahi.... Ughhh.... jaanta tu kaun hai... Par itna zaroor jaanta hu ki tu inhe bachaane aaya hai aur ye bhi ki tu marrega mere hi haatho se.... Marr jaaa saaaaleee..."
Wo chilaayaa...
"Ugghhhhhhhh"
Veer ko apne gale me ab boht zyaada dabaav mehsoos ho raha tha. Kisi bhi waqt uska gala choke ho sakta tha...
Ki tabhi Pari ki awaaz gunji...
[Master!!!!! Your pocket...]
Aur agle hi pal Veer ne ek haath chorr apni pocket tatoli par ye move jaanleva tha...
Ranga ka dabaav aur badha aur uske gale pe bilkul wo rod jese poori satt chuki thi.
Bas derri thi toh kuch seconds ki aur Veer iss duniya se uth chuka hota agar...
Agar uske dusre haath me wo pocket knife ne aayi hoti.
Usse kholte hi Veer ne seedhi wo knife Ranga ki pasli me ghused thi...
*Splurt*
"Aaaaaarrrrrrrrrrrrrrgggggghhhhhhhhhhh"
Ek zorrdaar cheenkh jisse sunn aadmi ki rooh kaanp jaaye poore basement me fel gayi.
Ranga apni pasli pakad jese hi side hua...
*Thud*
Sarr pe ek waar aaya aur agle hi pal uski aankho ke saamne andhera chhaa gaya.
.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!
Dhanyavaad!
Too goodUpdate - 20 ~ Ragini's Breakout and An Unknown Visit.
Ab tak...
Usse kholte hi Veer seedhi wo knife Ranga ki pasli me ghused thi...
*Splurt*
"Aaaaaarrrrrrrrrrrrrrgggggghhhhhhhhhhh"
Ek zorrdaar cheenkh jisse sunn aadmi ki rooh kaanp jaaye poore basement me fel gayi.
Ranga apni pasli pakad jese hi side hua...
*Thud*
Sarr pe ek waar aaya aur agle hi pal uski aankho ke saamne andhera chhaa gaya.
Ab aage...
"Haaaah... Haaaah...." Zorr zorr se lambi lambi saas lete hue Veer wahi neeche baithe Ranga ko dekh raha tha, jo ki iss waqt sarr par waar khaane ke baad behosh ho chuka tha.
Aur agle hi pal, Veer apne haath se rod ko zameen par giraate hue, apni peeth ke bal dhadaam se floor par gir pada, wo lambi lambi saasein le raha tha, yaha tak ki kaafi khaasi bhi aa rahi thi usse.
Uske peeche se Ragini samet baaki sab kursi par bandhe side muh karke usse hi ghoor rahe the. Ragini ki aankho me ek chinta thi, saath hi saath darr, glaani aur na jaane kitne emotions uski aankhein bayaa kar rahi thi. Aur, wo aasu jo lagataar uske chehre ko bhigoye jaa rahe the, uski haalat ko bakhubi darsha raha the.
'Whyyyy!? Just... Just whyyy!??' Uske mann me yahi sawaal baar baar aa raha tha. Akhir kyu Veer yaha pe tha!? Ye baat toh saaf thi ki wo yaha usse aur baaki sabhi ko inn gundo ke changul se bachaane ke liye aaya tha. Par sawaal tha kyu!??
Jo ravaiyya uske gharwaalo ne uske saath kiya tha uss hisaab se toh usse yaha hona hi nahi chaahiye tha, ulta usse toh khush hona chaahiye tha. Par unn sab ke bawajood wo yaha par tha.
Jis hisaab se wo saasein le raha tha, aur uske shareer par aaye wo chhile hue ghaav jinse khoon beh raha tha, ye dekh ke hi Ragini ko ek chinta sii sataa rahi thi. Aisa hona nahi chahiye tha kyuki Veer se wo kabhi baatein hi nahi karti thi, ulta apne Pati ke plan me jaane ya anjaane me shaamil rehti thi jiske chalte Veer ko harr baar fassaaya jaata tha.
Par aaj Veer ne usse bachaaya, aaj wo uska ek saviour tha. Wo tab aaya jab usne poori umeed chorr di thi. Shayad isliye!? Shayad isliye aaj Ragini ko uski aisi haalat dekh thodi chinta ho rahi thi!? Abhi toh usne khud nahi realize kiya tha ki uska mann Veer ki aisi haalat dekh chinta me hai.
Vivek bhi Veer ko dekh khud hairaan tha.
'Ye!? Ye yaha kya kar raha hai!? Isse kese pata chala?? Jo bhi ho... Iske kaaran aaj mein bach gaya. Accha hua isse nahi pata hai ki Pranjal ke saath mein bhi mila hua hu. Shayad isse ye bhi nahi pata abhi ki Pranjal hi iski ye haalat ka kaaran hai. Hahaha~ good! Good! Ye sahi hai... I just have to console Ragini.'
Wo apne mann me soch apne aage ke plan ki taiyaari karne me abhi se busy ho chuka tha.
Dinesh bhi Veer ko dekh usse mann hi mann dhanyavaad de raha tha. Uske mann me Veer ke prati izzat badh chuki thi. Wahi dusri orr, Vivek ki chhavi uske mann me poori tarah se neeche gir chuki thi. Aaj jo asli Rang Vivek ne apna dikhaya tha usse dekh wo mehsoos kar sakta tha ki uski beti par abhi kya beet rahi hogi.
Idhar Veer unn sabhi ki nazro se anjaan apne gale me dono haatho ko ferr raha tha. Usse mehsoos hua ki kitna close tha wo apni maut ke. Yadi usne wo pocket knife na uthaayi hoti toh Ranga aaj pakka uska gala rod se choke kar ke usse maut ke ghaat utaar diya hota.
Aur maut ke baare me soch ke hi uske andar ek sihran sii daud gayi.
Yadi Pari ne usse uss aadmi ki jebe check karne na kaha hota, toh wo pocket knife usse milti hi nahi, yadi Pari ne usse ek secret weapon khojne ke liye na kaha hota toh uske paas wo rod hoti hi nahi. Ye sab soch ke hi Veer ke mann me Pari ke liye izzat badh gayi.
[Master!? Are you okay!?]
'I'm... I'm fine Pari! Thanks! Thanks a lot! Yadi tum na hoti toh...'
[It's okay master. Don't say it like that. It's okay!]
Veer khud ki saasein control kar neeche zameen se utha. Aur uski nazar jese hi Ranga pe gayi...
'Check!'
[ Name - Ranga
Age - 29
Bio - Ranga apne bhau ke liye kaam karta hai. Pehle se hi wo anaath tha aur uske bhau ne usse sahaara diya. Apne bhau ke prati poora samarpit hai.
Favourability : -2
Relationship : Strangers.]
'Bhau!?'
[Iska boss Master.]
'Toh kya naam nahi jaan sakta mein!?'
[It's because I'm level 2 master. Level me up then see the magic.]
'Yeah! Yeah!'
'Wait!! Ye minus me favourability??'
[Yes master! Because aapne uspe hamla kiya toh favourability minus me toh jaane hi thi jab wo pehle se hi zero pe thi. Strangers ki favourability zero rehti hai na master. You remember!?]
'Ah! Yes! I do!'
Uske baad thoda karaahte hue Veer utha aur dheere dheere aage badh wo sabse pehle Dinesh ke paas pochucha.
Dinesh ke muh se tape nikaalte hue usne uske ird gird bandhi rassiya kholi.
Dinesh : Beta... Beta aaj tum na aate toh pata nahi kya hota.
Veer ne keval apna sarr haa me hilaaya aur uske bagal me baithi Ragini ki rassiya kholne ke liye wo neeche apne ek ghutne pe baitha aur rassiya kholne laga.
Ragini rote hue usse hi dekhti jaa rahi thi. Wo dekh paa rahi thi ki kese jagah jagah usse chot aayi thi. Par Veer ki nazre ek baar bhi Ragini ki nazro se na takraayi. Wo jese bas bina koi bhaav ke apne haatho se rassiyo ko kholne me laga hua tha.
Na hi usne upar muh karke Ragini ko dekha aur na hi uss se kuch kaha.
Dinesh idhar Vivek ki rassiyo ko kholne me jut gaya.
Jese hi sabhi unn rassiyo ki qaid se azad huye, Ragini uthate hi daudte hue Dinesh ke gale se lag gayi aur sisak sisak ke rone lagi.
Ye sab kuch uske liye boht zyaada tha. Khaaskar jab usse Aatish ka wo tamaacha pada tha, uske baad se hi Ragini me ek darr baith gaya tha. Warna uske pehle toh woh yahi soch rahi thi ki police aake unn sabhi ko bacha legi ya ye gunde zyaada kuch nahi karenge.
Par jab Aatish ne apne hi aadmi ke perr me goli chalaayi aur bas...
Ye dekhte hi Ragini ko samajh me aa chuka tha ki wo kitni badi musibat me phassi hui hai.
Aur ussi musibat se usse bachaane Veer kisi farishte ki tarah aaya. Na keval usne unn teeno ki jaan bachaayi balki ab Vivek ki company bhi bach gayi thi aur saath hi saath ab Dinesh ke kaagaz bhi wo waapas le sakte the aur saare evidence mita sakte the.
Dinesh apni bacchi ko gale se lagaaye uske chehre ko dekh raha tha. Aatish ka tamaacha khaane ke baad bechaari ka poora gaal laal ho chuka tha. Kese uske mote mote aasu uske gaalo se behte hue gir rahe the, wo sab kuch dekh paa raha tha.
Ragini : Papa...
Dinesh : Meri bacchi... Tu theek hai na!?
Ragini : Mein thik hu Papa... Aap theek hai na!? Unhone aap ke saath kuch kiya toh nahi na!? Kahi chot toh nahi aayi na aapko!?
Dinesh : Mein theek hu meri bacchi! Mein theek hu... Kuch nahi hua mujhe...
Vivek idhar dono baap beti ko dekh ab nazre jhukaaye khada tha. Usse samajh nahi aa raha tha ki kese wo Ragini ko face kare. Usne jo kuch derr pehle kiya tha uske kaaran Ragini pakke se behad khafa ho chuki hogi uss se. Aur, Vivek ko ab yahi kaam karna tha ~ Usse Ragini ko manaana tha jese bhi karke.
Abhi wo kuch keh paata ki tabhi Veer ki awaaz unn sabhi ke kaano me padi,
Veer : Hamaare paas samay nahi hai. Hume jald se jald yaha se nikalna hoga.
Veer ki baat sunn Dinesh ne haa me sarr hilaaya aur wo forun hi wahi table me rakhe saare apne kaagaz aur mobile me bane videos ko udaane laga.
Jab usne sab kuch dekh liya ki sab sahi hai uske baad usne Veer ko nikalne ka ishaara kiya.
Veer bhi ye jaan ke hairaan tha ki maamla kitna bada tha. Yaha wo soch raha tha ki sirf Ragini hi musibat me thi par maamla toh kayi guna pecheeda tha. Ragini ke saath saath Vivek aur Dinesh bhi yahi the aur yaha tak ki Dinesh ke Showrooms tak chhin chuke the.
Agle second hi sabhi uss abandoned building se baahar nikal tezz tezz qadmo ke saath main road ki taraf jaane lage.
Aur kuch hi derr me wo road ke paas aa chuke the. Ab unki nazro me kuch kuch gaadiya raaste me chalti nazar aane lagi thi.
Abhi jo sabse zyaada priority ka kaam tha wo tha yaha se nikalna. Kyuki kisi bhi waqt unn gundo ko hosh aa sakta tha aur wo Veer aur unhe dhundne aa sakte the. Isliye, jitna jaldi yaha se nikla jaaye utna behtar tha unke liye.
Kaafi derr tak wo bhaagte hue aage badhe the aur ab bas keval paidal hi chal rahe the kyuki Dinesh thak chuka tha.
Veer sabse aage chal raha tha aur uske peeche peeche Ragini aur baaki sab.
Apne qadmo ki raftaar tezz kar achanak hi Ragini Veer ke bagal se aayi aur uski chaal ke saath saath chalne lagi.
Ragini : Vee... Veer!?
Badi hi dheemi sii awaaz me usne pukaara. Par Veer ki taraf se koi reaction na mila usse. Wo bas saamne dekh chalta jaa raha tha. Jese maano Ragini uske liye bas hawa ke samaan thi.
Bauhe sikodte hue ek baar fir Ragini ne bechaini bhari awaaz me pukaara,
"Veer!!"
Par nateeja!?
Wahi...
Veer ne ek shabd na kaha.
Idhar Vivek apni patni ko Veer ke bagal se dekh hairaan tha.
'Ye!? Ye uss se kya baatein kar rahi hai!? Damn it! Mujhe... maamla suljhaana hoga, warna derr ho jaegi'
Aur agle pal hi Vivek aage badha aur Veer ke haath ko thaamte hue usse rok liya,
"Chote bhai..."
Usne badi hi vinamrta se usse pukaara aur aise me Veer ko rukna hi pada.
Vivek : Chote bhai! Aaj tumne hum sabhi ko bachaaya hai. Mein tumhara ye ehsaan kabhi nahi bhulunga bhai.
Bagal me khadi Ragini ne jese hi ye dekha uski aankhein phati ki phati reh gayi. Vivek kitni asaani se jhooth bol raha tha. Matlab ekdum safed jhooth.
Ab Ragini ko samajh aa raha tha ki uska pati kis kism ka ekdum nihaayti aur ghatiya insaan tha.
Na keval Vivek ne itne saare shadiyantra banaate hue Veer ko bhagaane me saath diya balki aaj usne apni hi patni ki jaan ki parvaah na kar seedhe seedhe usse qurbaan karne ki thaan bhi lii thi. Aur ab wo Veer ko apni meethi chikni chupdi baato me firse fassa kar usse behlaa raha tha.
'I never imagined you would be like this...' wo mann me soch Vivek aur Veer ke beech me hi koodna chaahti thi aur bataana chaahti thi ki uska pati kitna jhootha insaan hai, par Veer ne uski baatein suni hi nahi abhi kuch derr pehle hi...
'He must know... He must... Usse ye pata chalna hi chaahiye kese bhi karke...' Ragini ne jese thaan liya tha ki aage kya karna hai.
Vivek : Chote bhai! Mein jaanta hu tau jii tumse boht naraaz hai aur tumhe ghar se nikaal chuke hai. Par iska ye matlab toh nahi na ki mein aur baaki sab tumhaari parvaah nahi karte!? Bhale hi mein ghar me awaaz nahi utha sakta bhai... Par aaj jo tumne mere liye kiya hai. Usse mein kabhi nahi bhulunga. Tumhe jab bhi meri zaroorat pade bhai... Bejhijak mere paas aa jaana... Aur mein apni poori koshish karunga ki Tau jii ko mana ke tumhe waapas se ghar me laa saku. Kyu hai na Ragini!?
Par Ragini uski baat sunn keval usse dekhti rahi, wo kuch na boli. Aur jese...
Uski aankho me ek gussa tha. Jisse dekh Vivek awkwardly bas apni nazre idhar udhar firaata raha.
Veer : Koi zaroorat nahi hai. I had enough.
Itna bol wo waapas se palta aur kuch kadam chala hi tha ki Ragini bhaagte hue uske peeche se aayi aur uske haath ko thaam lii,
Ragini : Whyyyyy??? Kyu???? Kyu Veer!? Kyu bachaaya tumne hume!?
Usne tezz awaaz me chillaate hue Veer ko dekhte hue kaha.
Aur finally...
Veer uski taraf palta... Dono ki hi iss baar nazre mili aur Ragini achanak shaant pad gayi. Uske haatho ki pakad bhi Veer ke haath par se dheeli pad gayi.
Veer : Why!? Kyuki isme mera hi faayda tha. Just for my sake.
Ragini : Kesaaa faydaaaa!? Kya milaa tumhee!? Tumhe toh mujhe aur baaki sab ko hate karna chaahiye na!? Fir kyuuuu!? Kyu tumne aisa kiya!!!??
Veer : Mene kaha na! Just for my sake...
Ragini (chillaate hue) : I don't believe ittttt!!! I doooon'ttt...
Veer : Then so be it... And leave me alone.
Ragini : Whyyyyyyyyy!???
Par iss baar uske chillaate hi Veer ne apni aankhein dikhaate hue usse dekha jiske chalte bechaari Ragini thodi darr gayi aur uski awaaz achanak hi band ho gayi.
Veer : I won't repeat myself. Leave me fucking alone...
Pata nahi kyu... Par Veer ke bol sunn ek ajeeb sa dard hua usse andar hi andar. Kesa lagega aapko jab aapki koi jaan bachaane waala vyakti, aapke apno ki jaan bachaane waala vyakti aapse aisa kahe toh? Yahi hua tha Ragini ke saath.
Apna nichla honth daato tale dabaaye wo bas Veer ko ghure jaa rahi thi. Aankho se mote mote aasu beh rahe the. Usse apne sawaalo ke uttar bas chaahiye the, fir bhale hi Veer usse dhutkaar deta.
Par usne kuch bhi na bataaya.
Aur yahi sawaal Ragini ko andar hi andar khaaye jaa rahe the. Uski glaani ko badhaate jaa rahe the. Uski samajh me aa chuka tha ki kitna galat kiya tha usne Veer ke saath. Kitni buri bann gayi thi wo kisi ke liye.
Jis Veer se wo kabhi baat karne ke liye interest nahi rakhti thi aaj ussi Veer se baat karne ke liye wo marri jaa rahi thi. Bas ek baar bas wo uske muh se jese sunn'na chaahti thi ki akhir kyu kiya usne ye sab!?
Veer ka kehna tha ye uska swaarth tha, par iss baat pe Ragini ghanta believe karne waali thi.
Usse lag raha tha ki koi aur kaaran hai, aur yahi jaan'ne ke liye wo paagal hui jaa rahi rhi.
Veer : Aap sabhi jaaiye... Mein chala jaunga.
Veer ne Dinesh ko dekhte hue kaha toh Dinesh aage badh uske paas aaya.
Dinesh : Beta... Tum... Tum chalo... Mere saath... Ghar me. Tumne hamaari jaan bachaayi hai. Aise kese mein tumhe jaane de sakta hu? Aur aise akele kese jaoge!?
Veer : Mein akele hi toh aaya tha na? Don't worry! Mein chala jaunga. Aap log late mat kariye. Wo log kisi bhi waqt aa sakte hai yaha. Jald se jald taxi leke ghar ki orr nikaliye.
Kayi baar Dinesh ke manaane par bhi jab Veer na maana toh Dinesh ne ant me kuch paise nikaal Veer ke haatho me thama diye ki wo bhi taxi leke jald se jald yaha se nikal jaaye.
Jab taxi me baithne ki baari aayi toh Ragini ne ek bomb aur fod diya,
Ragini : Papa! Mein aapke saath aa rahi hu...
Aur ye sunte hi Vivek maano darr sa gaya...
'She... She's not leaving me right!?'
Vivek : Ragini!? Ghar nahi chal rahi!?
Ragini (stares) : Ghar hi jaa rahi hu.... Apne!!!!
Vivek : Accha!? Haha~ Theek hai. Aaj... Aaj Papa jii ke saath hi raho. Mein samajh sakta hu... Haha~
Aur Ragini Dinesh ke saath baith nikal gayi. Idhar Vivek bhi ek taxi kar nikal gaya aur bacha tha keval Veer.
Ant me usne bhi ek taxi kari aur wo bhi ghar ki orr nikal gaya.
Raaste me Ragini ne forun hi apna phone nikaal kisi ko call lagaaya,
Ragini : Hello!?
Dusri taraf se : Hello!? Haa bhabhi!
Ragini : Kavya!!! Kaha ho tum!?
Kavya : Mein toh ghar pe bhabhi, par aap kaha ho? Kabse aapko dhund rahe hai sab... Mujhe laga aap apne papa ke ghar gayi ho toh mene sabko wahi bataaya... Aap wahi ho na!?
Ragini : Oh thank god! Haa! Mein wahi hu... Aur suno na... Mujhe tumse boht important kaam hai.
Kavya : Kya kaam Bhabhi!?
Ragini : Kya tumhaare paas Veer ka number hai!?
Kavya (surprised) : Veer bhaiya ka!?
Ragini : Haa!
Kavya : Haa... Hai toh...
Ragini : Thank god! Please... Kavya... Please... Mujhe uska number send kar do jaldi. It's urgent.
Kavya : O... Okay!
Ragini : Haa! Thanks!
*Call ends*
Aur kuch hi seconds ke andar hi Kavya ki taraf se ek message aaya jisme Veer ka number tha.
Apne phone me Veer ka number save kar wo apni soch me pad gayi. Taxi me baithe hue uski nazre window se baahar raat me sadak par daud rahi gaadiyo par thi. Par dhyaan kahi aur...
'I must tell him... Mujhe bataana hoga usse ki kya kya uske saath hua hai. Jitna mujhe pata hai... I'll have to... And Vivek... I can never believe you again...'
***
Nidhi ke ghar pohuchte pohuchte Veer ko 10:30 baj chuke the. Usne door bell bajaayi, aur andar se Nidhi ne hi darwaaza khola.
Jese hi Nidhi ne door khol ke Veer ko dekha, uski aankhein ashcharya ke maare phatt gayi.
Veer ke chehre toh kahi haath me jagah jagah chot ke nishaan the, yaha tak kuch choto se khoon bhi beh raha tha.
Apne dono haatho se muh dhakte hue wo Veer ko stabdh nigaahon se dekhti rahi,
Nidhi : Veeeeeeerrrr!??? Ye...
Aur uska haath pakad wo kheechte hue usse andar laayi, usse baithaayi aur darwaaza band kar bhaagte hue andar se ek first aid ka dibba laayi.
Sofe par uske bagal se baith Nidhi ne bina kuch kahe hi sabse pehle uski first aid karna shuru kiya,
Dono ne hi na kuch kaha aur na hi ek dusre se nazre milaayi.
Veer ki nazre jaha neeche thi toh wahi Nidhi ki nazre uski choto par...
Ek ajeeb sii peeda Veer ko andar se ho rahi thi jis kaaran wo Nidhi se apni nazre nahi mila paa raha tha. Ek toh wo bina koi sacchaayi bataye ghar se gaya tha aur wo bhi tab jab aaj Nidhi ne bade hi pyaar se special dinner banaaya tha.
Dinner chorr ke gaya tha woh. Aur ab jab lauta toh aisi haalat leke. Par uske bawajood, Nidhi bina kuch puche uski itni parvaah kar rahi thi. Wo chaahti toh dherro sawaal kar sakti thi ki kaha se maar peet karke aa rahe ho? Wagarah wagarah.
Par jo sabse pehla reaction tha Nidhi ka wo tha chinta... Parvaah...
Uske prati...
Aur bas isliye Veer Nidhi se nazre nahi mila paa raha tha.
'She's too pure... I... I can't...'
[She cares for you master...]
'I...'
Veer mann me bhi kuch na keh paaya. Usse jese rona aa raha tha. Koi insaan itna accha kese ho sakta hai bhala!?
Na jaane kitne sawaal idhar Nidhi ke andar bhi umad rahe the jinhe puchne ke liye wo bechain thi. Par abhi first aid karna zyaada zaroori thi.
First aid hone ke baad dono hi chup chaap bas agal bagal baithe hue the.
Aur ant me Nidhi ne khaamoshi tod hi dii...
Nidhi : Veer!? You okay?
Veer (smiles) : I'm okay Ma'am! Thank you!
Nidhi (frowns) : Then!? Kya... Kya ab tum bataoge kese hua ye sab!? I mean... If you dont want to then... It's... It's okay...
Usne bolte hue nazre neeche kar lii par tabhi Veer ne uske haath ke upar apna haath rakh diya,
Nidhi : Huh???
Veer : I...
Usne Nidhi ka haath aur kass ke thaama aur bola,
Veer : I'm sorry Ma'am. Urgent tha...
[Master! Keh dijiye ki kisi ladki ko gunde cherr rahe the and you helped her... Isliye aap ko ladte hue chot aa gayi.]
'Nahi Pari! Mein jhooth nahi bolna chaahta unse ab. Kitna jhooth bolu Pari unse!? Look at her... Look at her eyes... I can't Pari... Iss se accha hai ki mein kuch na batau...'
[Then tell her the truth!]
'Huh!?'
[Yeah! Why not!? Tell her the truth. Bas mere baare me chorr ke... Tell her everything.]
Pari ki baat Veer ko sahi lagi aur isliye usne Nidhi ko ek baar fir dekha, uska haath kass ke thaama aur bolna shuru kiya,
Veer : Ma'am!!! Baat ye hai ki...
Aur fir Veer ne sab kuch...
Sab kuch bata diya ki Ragini kese waha gundo ke changul me thi aur kese usne unn sabhi ko waha se bachaaya.
Sunte sunte Nidhi kabhi chaunkti toh kabhi darrti, toh kabhi relax ho jaati ki akhir wo sabhi sahi salaamat the.
Nidhi : Itna sab kuch hua... Aur tumne mujhe nahi bataaya!?
Veer : Time nahi tha Ma'am... Wo....
Abhi wo apni baat aage rakh paata ki tabhi andar se Shreya aayi aur uski nazar Veer pe gayi aur agle hi pal wo hassne lagi,
Shreya : Pfffftttt ~ Hahahahaha~ Dekha!? Mene aapko bola tha na Dii ye gaya hai apni mashooqa ke paas... Par lagta hai aaj iski dhulaayi kar dii usne ya fir uske dusre boyfriend ne...
Nidhi : Shreyyyaaaaaa it's not funny! Tumhe pata bhi hai kya baat hai!?
Shreya : Kya!? I can tell easily ki ye kahi se pit ke aaya hai. Oyeeee! Bolo!? Aisa kya kar diya ki tumhari sutaayi ho gayi!? Haan!?
Nidhi se raha na gaya aur usne zorr se chillaate hue sab kuch bata daala jissse sunn Shreya thodi sann sii reh gayi...
Shreya : I... Wo...
Uske muh se ab ek shabd nahi nikal raha tha.
Uski ye haalat dekh Veer ne pyaar se muskuraate hue usse dekha par iss baar...
Shreya ko uski muskaan bilkul bhi acchi na lagi. Ulta dard hua usse...
"Sorry!" Wo kehte hue andar tezz qadmo ke saath chali gayi.
Nidhi : She didn't mean to...
Veer : I know Ma'am! It's okay! Don't worry! By the way... Aapne khaana khaaya!?
Uska sawaal sunn... Nidhi ne dheere se naa me gardan hila dii. Ye dekhte hi Veer ko ek aur jhatka laga aur uski glaani waale bhaav aur bhi badh gaye.
'If she keeps doing on that... Then... I will fall for her Pari... Inhe koi samjhaaye ki itna accha na rahe ye meri taraf... Warna mein inke pyaar me doob jaunga...'
[Anything is fair in love and war master.]
'I know... She deserves better though. Mein toh kuch bhi nahi unke liye Pari...'
[Maybe you are the best for her!?]
Pari ne budbudaate hue kaha.
'Huh? Kuch kaha tumne!?'
[Nothing master!]
Ant me dono Nidhi aur Veer ne saath me khaana khaaya aur aaj ki ye raat ek behad hi badi musibat tal chuki thi.
***
Naya din...
Nayi subah...
Roz ki tarah Nidhi aur Veer college me the. Aur abhi subah subah first lecture lagne me thoda time bacha hua tha.
Veer apni class me sabse peeche ki bench par baitha hua tha par wo akela nahi tha...
Uske saath ek behad hi pyaari aur khubsoorat ladki baithi hui thi.
"Veer Bhaiyaaaa!!! Rakhiyeee naaa!!!!"
Veer : Kavya I told you na!? Mujhe nahi chahiye...
Kavya : Aapne nahi rakha toh mein udaas ho jaungi.
Veer : But...
Kavya : Mene kaha na rakhiye... Itni mehnat se mene ghanto tak dhund dhund ke liya hai...
Kehte hue usne ek badi sa packet Veer ko thama diya.
Iss packet me wo apne bhaiye ke liye kayi saari t shirts aur baaki samaan laayi hui thi. Ye usne kal khud apne paiso se liya tha. Na jaane kitni derr shopping kari thi usne mall me apne bhaiya ke liye...
Veer : Arre but mujhe zaroorat nahi hai Kavya...
Kavya : Kya...!? Kya aap... Kya aap ab bhi mujhe apna nahi maante bhaiya...!?
Uske aisa kehne par Veer ne ek saas bhari aur usko apne bagal se chipka liya,
Veer : Pagli hai tu... Laa de... Fine... Ab toh khush hai na!?
Kavya (giggles) : Hehe~ Boht khush...
Veer : Jaa accha ab... Apni class me jaa...
Kavya : Haa... Jaati hu... But ek baat aur...
Veer : Hmm!?
Kavya : Wo... Kal... Kal bhabhi ka call aaya tha. Unhone mujhse aap ka number maanga tha, and I have given her...
Aur itna bol wo bhaagte hue baahar nikal gayi.
Veer apni soch me doob gaya par wo neeche chal rahe scene se anjaan tha.
Neeche college ke campus me ek black colour ki Rolls Royce aake jo khadi hui thi.
Sabhi aas paas ke students phone nikaal ke photo le rahe the toh koi bas dekhta hi jaa raha tha.
Itni shandaar gaadi unke campus me kya kar rahi thi bhala!?
Par jese ye gaadi toh kuch bhi nahi thi jab uss gaadi ka darwaaza khula aur andar se ek ladki baahar nikli...
Aur usse dekh waha khade harr ladke ke muh khule ke khule reh gaye. Usne ek tube skirt, andar ek shirt aur upar ek blazer daala hua tha. Poori professional lag rahi thi woh.
Tabhi andar se hi ek ladki aur nikli... Ye thodi umr me badi lag rahi thi aur isne golden colour ki ek saree pehni hui thi jo uske shareer se itni kass ke bandhi thi ki uske akaar ko bakhubi dikha rahi thi.
Ek aadmi bhi nikla jo umr me kareeb 40-45 saal ka prateet ho raha tha.
Ladki : Yahi hai na!?
Aadmi : Jii Madam!
Ladki (smiles) : Interesting...
Dusri ladki : Dekh lena... Yaad hai na mene kya kaha tha!? Wahi hoega...
Ladki : I don't care... Ussi ke liye toh hai hum yaha aakhir...
Dusri ladki : It was just a coincidence... There's no need to...
Ladki : Still... I want to...
Dusri ladki : Hmph! Baad me mujhse mat kehna...
Ladki : Prakaash uncle!?
Aadmi : Jii!?
Ladki : Jaaiye...
Aadmi : Jii Madam!!!
Aur agle hi pal Prakaash campus se andar college ki building me jaane laga.
.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!
Dhanyavaad!
Like kar diyo...
It's too goodMega updateAb tak...
Update - 21 ~ The Truth
Ladki : Prakaash uncle!?
Aadmi : Jii!?
Ladki : Jaaiye...
Aadmi : Jii Madam!!!
Aur agle hi pal Prakaash campus se andar college ki building me jaane laga.
Ab aage...
Kal raat jab Ragini samet Dinesh apne ghar laute toh andar ghar me pravesh karte hi unhe ek bada jhatka laga tha. Ghar ke baahar gate pe jo guard unki rakhwaali ke liye khada rehta tha, wo iss waqt khud andar hi pillar se chipke hue rassiyo se bandha hua tha.
Uski ye haalat dekh bhaagte hue Ragini aur Dinesh uske paas pohuche aur jese hi uski rassiya kholi toh usne bataaya,
"Saahab! Saahab... Andar... Andar Bhabhi jii..."
Aur bas uska itna kehna tha ki dono Ragini aur Dinesh daudate hue andar gaye jaha pohuch ke unhe dusra jhatka laga.
Ragini ki maa~ Rohini, single seat waale sofe par bandhi hui behosh padi thi. Ghabraate hue dono ne usse churraaya aur usse hosh me laaya uske baad Rohini ne saari baatein bataayi ki kese kuch gunde unke ghar me aake usse baandh ke chale gaye, jis kaaran se na hi wo police me complaint kar paayi na hi kisi ka phone utha paayi aur na hi laga paayi.
Ragini : Iska matlab... Shayad isliye udhar ghar me mere baare me kisi ko nahi pata tha... Shayad isliye Kavya ne ye keh diya tha ki mein yaha ghar pe hu... Kyuki hamaare saath waha kya ho raha tha, kisi ko uski khabar hi nahi thi...
Sochte hue wo ek gehre chintan me doob gayi. Uske liye khatra tala tha ya fir aur musibate aane waali thi!? Ye toh waqt hi bataane waala tha. Par aaj usse itna zaroor samajh aa chuka tha ki duniya me kese kese log rehte hai aur kya kya kar sakte hai. Shayad ab... Shayad ab wo samajh chuki thi ki kuch logo se kyu nahi bhidna chaahiye.
***
Idhar Veer ko kal raat me hi Pari ke dwaara mission completion par 40 points mil chuke the. Jisse usne apne stats me invest kar liye the. Aur itna hi nahi, uski Pari bhi ab level 3 par aa chuki thi.
Ab wo baaki logo ke stats dikhaane me bhi saksham ho chuki thi. Saath hi saath kuch sawaal the jo Veer ke mann me, unhe bhi wo answer karne waali thi.
Veer ne apne stats me, 5 points apni strength me daale, intelligence me usne iss baar seedhe 15 points bhar daale, wahi bache hue 20 points usne 5-5 karke apni agility, aur endurance me daale aur appearance me last me akhiri 10 points jo bache the wo daal diye. Ab uske stats kuch iss prakaar the...
[ Stats :
Strength - 50/100
Intelligence - 35/100
Agility - 15/100
Endurance - 15/100
Appearance - 22/100]
Kal Veer ne saare hi points upyog kar liye the aur ab uske paas Skill shop se khareedne ke liye koi points nahi bache the. Skills dekh ke wo itna chakra gaya tha ki uski samajh me hi nahi aaya kon si skill wo khareede aur wese bhi, abhi usse skills ki itni koi zaroorat nahi thi, aisa soch usne saare points apne stats me daalna hi behtar samjha.
Abhi woh baithe baithe khayaalo me hi dooba hua tha ki tabhi Nidhi uski class mein andar aayi. Kyunki pahla lecture ussi ka tha.
Veer ko dekhte hi wo muskuraayi aur board pe usne ek question likha jisse sabhi students solve karne me lag gaye. Veer bhi bade mann laga ke padh raha tha.
Kal usne appearance me 10 points add kiye the, uska asar aaj subah hi Shreya samet Nidhi ko bhi dikha tha, aaj dono ne hi uss se kaha tha ki wo smart dikh raha hai pehle se...
Yaha tak ki Kavya bhi abhi kuch derr pehle yahi baat bol ke gayi thi. Par unhe kya pata tha...
Ki ye kamaal toh appearance stat ka tha.
Veer ko yu padhta dekh, Nidhi mann hi mann muskuraayi. Kal na keval Veer ne uss se saari baatein saanjha kii thi balki itna sab kuch hone ke baad bhi wo college aane ke liye bilkul bhi na katraaya.
Wo Veer ke liye sacche mann se khush thi. Wo aaj kitna aage aa chuka tha apni pichle dino ki zindagii se, jidhar Nidhi ne usse bas ek toote hue insaan ke roop me hi dekha tha.
Aaj waapas se uske andar aatmvishvaash, nishtha aur prerna dekh Nidhi behad khush thi. Usse aisa feel ho raha tha jese uske kuch yogdaan ke kaaran kisi ka jeevan ujadte ujadte bach gaya.
Aur Veer ko uss sthiti se baahar laane ke liye wo behad khush thi. Wo khud par proud mehsoos kar rahi thi.
Dheere dheere uske kadam Veer ki taraf apne aap hi badh gaye aur usse khud pata na chala ki kab wo Veer ke bagal se aake khadi ho gayi.
Aahat paate hi jese hi Veer ne apna sarr utha ke dekha toh paaya ki Nidhi uske bagal se khadi usse hi ghoor rahi thi.
Apne hontho pe muskaan laate hue Veer ne usse ek smile pass ki toh Nidhi bhi badle me muskura baithi.
Usne Veer ki copy dekhi, aur uski khushi aur bhi badh gayi. Veer ne solution ekdum sahi dhang se solve kiya tha.
Nidhi mann hi mann muskuraayi, 'Iska matlab Veer waqai dhyaan de raha hai... Mujhe laga tha uska baahar jaana, apni gf se milna julna aur... Inn sab ke maare uska dhyaan padhaayi me nahi rahega. Par shayad mein galat thi...'
Nidhi ab bhi yahi sochti thi ki Veer ki koi gf zaroor hai jis se milne wo jaata rehta tha. Bhale hi Veer ne kal usse sab kuch sach bata diya tha par uss din uske gale me lage wo hontho ke nishaan ke peeche ki sachaayi abhi tak bayaa na kari thi usne.
Aur shayad yahi kaaran tha, jiske chalte Nidhi yahi assume karti thi ki koi na koi gf zaroor hai Veer ki.
Agle hi pal jese Nidhi ko kuch yaad aaya toh usne abhi hi bataana sahi samjha,
"Vee... Veer!?" Usne dheemi awaaz me Veer ko pukaara.
Veer : Huh!?
Nidhi : Veer... Aaj mujhe... Wo...
Veer : Kya hua Ma'am!?
Nidhi (dheemi awaaz me) : Veer! Aaj mujhe 1 baje thoda kaam se ek jagah jaana hai. Matlab mein, break me hi college se nikal jaungi. But... But don't worry, mein departure hone se pehle tumhe lene aa jaungi, okay!?
Veer : Kuch... Kuch zaroori kaam hai kya Ma'am!?
Veer ke sawaal se hi Nidhi ekdum chup pad gayi, usne ek gehri saans lii aur boli,
Nidhi : Hmm! Mujhe kaam hai Veer. Isliye, mujhe thoda jaana hai. Okay!? Mein departure ke pehle aa jaungi. Isliye, mene socha tumhe bata du, kahi tum mujhe dhundne na lago.
Veer (smiles) : Okay Ma'am!
Nidhi (smiles) : Hmm!
Aur itna bol Nidhi palat ke board ki taraf jaane lagi. Par uske palat'te hi Veer ke hontho pe jo muskaan thi wo agle pal hi gaayab ho gayi aur wo Nidhi ko peeche se jaate hue bas ghurta raha.
'She's hiding something.'
[Kese master!?]
'Tumne dekha nahi Pari!? Wo kehte waqt apni ungliya chatka rahi thi, unki nazre meri aankho me nahi thi, balki idhar udhar hi daud rahi thi. Aur khaaskar wo fake smile... I can tell ki wo definitely ek fake smile thi.'
[Nice observation master.]
'Unki favourability kitni hai ab!?'
[48 master!]
'Hmm! Par aisi kya baat hai jiske chalte wo mujhse jhooth bol rahi hai!? Shayad wo mere saath ye share nahi karna chaahti!? Maybe ye unka niji maamla ho shayad isliye!?'
[Maybe master... Nidhi thodi reserved hai. Aapko khud uske muh se nikalwana padega yadi aap kuch jaan'na chaahte ho toh. Kyuki wo khud se nahi bataegi.]
'Hmm! Also, Pari... Mujhe ab uss sawaal ka jawaab chahiye. Ab tum level 3 pe ho, toh mujhe koi bahana nahi chahiye.'
[Konsa sawaal master!? If you're qualified, then I'll tell you.]
'Tumne kaha tha ki tum sirf wahi dekh sakti ho, jo mein dekh sakta hu. Right!?'
[Exactly master.]
'Toh fir uss din tumhe ye kese pata chala tha ki Ragini bhabhi kaha pe hai!? Tumne wo kese dekh liya!? Mission dete waqt tumne mujhe unki location bhi dii thi. Mujhe ye baat samajh me nahi aa rahi.'
[Hmmm! Fine! I'll tell you. Master! Mein abhi bhi keval utna hi dekh sakti hu jitna aap dekh sakte ho.]
'Then...!?'
[Samjhaati hu. Imagine kariye ki aasmaan se dherr saari balls gir rahi hai.]
'Hmm!'
[Ab aap apne aap ko maaniye ki aap system hai aur wo saari balls missions hai.]
'Okayyyy!'
[Hmm! Toh kya aap ko abhi pata hai ki wo saari jo balls gir rahi hai unme kaun kaun se missions hai!?]
'Nahi!?'
[Ab maan lijiye aapka haath apne aap aage badhta hai aur aap ek ball ko pakad lete ho jisme mission ki saari details dii hui hai. Toh ab toh aapko pata chalega na ki kaun sa mission mila hai!?]
'Haan bilkul! Yadi uss ball me sab kuch likha hai mission se related... Wait... Iska matlab...'
[That's right master. Mujhe nahi pata rehta ki mission kon sii location par hai, aur missions kaun se hai. Ye sab kuch randomly aate hai jinhe mein show karti hu.]
'Hmm! Ye toh ekdum hi alag nikla meri expectations se. Matlab tumhare haath me nahi hai ye control karna. Saare missions randomly apne aap aate hai.'
[Yes master!]
'Hmm! Aur ye kese hota hai...!?'
[You're not qualifi...]
'Fuck this!!'
[I cannot help it master.]
***
Abhi teesra lecture hi chal raha tha ki tabhi Veer ki class me ek anjaan aadmi aaya aur teacher ko ek parchi thamaaya aur kuch bola.
Parchi dekhte hi, teacher ne uski baat sunn awaaz lagaayi,
"Veer!? Hai koi!?"
Veer : Yes Sir!
Teacher : Go... Someone wants to talk to you.
Veer : Huh!?
Confuse hote hue Veer ne anjaan aadmi par nazar daali, jo ki dikhne me 45 kuch ka lag raha tha aur kapde wagarah kaafi acche pehne hue tha.
'Who is this guy!??' apni bauhe sikodte hue Veer mann me chintan kar dheere dheere uss aadmi ki taraf aage badha, jo muskuraate hue usse hi dekh raha tha.
Class se jese hi dono baahar aaye toh Veer ne sawaal kiya,
"Do I know you!? Kaun ho aap!?"
Aadmi : Mein!? Haha~ Mujhe bhi jaan jaoge... Par pehle... Neeche kyu nahi chalte!? Hmm? Koi aur hai jo tumse milne ke liye intezaar kar raha hai.
Veer : Mujhse milne ke liye!?
'Kaun ho sakta hai bhala!?'
[]
'Pari kahi ye log...'
[I don't know master.]
'Damn it!'
Aadmi : Toh chale!?
Usne apna ek haath felaate hue chalne ka ishaara kiya toh Veer ne haa me gardan hila dii.
Jese hi dono seedhiyo se neeche jaa rahe the, wahi side ki ek class me Nidhi ki nazar achanak hi ittefaaq se Veer par padd gayi aur ye dekhte hi wo vichaar me pad gayi.
'Veer!???? Ye aadmi kaun hai uske saath!? Koi ghar ka sadasya!?'
Pata nahi Nidhi ko kya hua ki wo class me 5 minute me aane ka instruction deke baahar aa gayi aur unn dono ke peeche peeche jaane lagi.
Jese hi Veer aur wo aadmi campus me aaye, Veer ki aankhein phati ki phati reh gayi.
Campus me side me ek black Rolls Royce hai khadi hui thi. Aur jese hi uski nazre bagal se khadi do ladkiyo par gayi toh usse ek aur jhatka laga.
Kuch hi palo me Veer aur wo aadmi unn do ladkiyo ke saamne the...
'Don't tell me ki ye dono mujhse milne aayi hai. Oh man!! This girl... She's... Too beautiful... Just like her...'
Jese hi Veer ne qareeb se unn dono ko dekha toh uske hosh hi udd gaye. Keval wahi nahi, campus me jo bhi log maujood the wo sabhi unn dono ko hi taad rahe the.
Unn dono ke upar se logo ki nazre hatt hi nahi rahi thi. Yaha tak ki canteen ke workers aur guards tak taadne me lage hue the.
Par inn dono me se, ek zyaada khubsoorat thi. Aur wo thi jisne professional outfit pehna hua tha. Saree waali mahila bhi khubsoorat thi par utni nahi jitni wo young waali ladki lag rahi thi.
Veer ki bolti hi band ho gayi thi. Yadi uss club waali ladki ki sundarta ko koi match kar sakta tha toh woh yahi ladki thi, jo iss waqt uske saamne khadi thi.
Ab tak Veer yahi sochta tha ki Club waali ladki ab tak sabse khubsurat ladki thi jo usne dekhi thi par ab ye kehna thoda mushqil tha. Kyuki ye ladki bhi uss club waali ki sundarta ko takkar de sakti thi.
Jese hi uss ladki ne Veer ko dekha, apne aap hi uski aankho me ek chamak aa gayi. Wo muskuraate hue usse dekhne lagi. Uski nazre Veer ki aankho me hi tiki hui thi jiske chalte bechaare Veer ko sharam aa rahi thi, kyuki wo thi hi itni attractive.
Par jese hi usne Veer ke chehre aur haatho me lagi jagah jagah bandages aur ek do patti dekhi, uski muskaan gaayab ho gayi aur ek chinta uske chehre par aa gayi.
Ladki : Are you okay!?
Aur uss ladki ki madhur awaaz Veer ke kaano me padi. Itni pyaari awaaz jo kisi bhi kathor se kathor aadmi ko yu pighla de... Uss anokhi awaaz ka anubhav Veer ekdum saamne se kar paa raha tha. Aur sabse badi baat... Wo ladki uss se uski haalat ke baare me puch rahi thi. Kitna Lucky hona padega logo ko aisa anubhav paane ke liye?? Veer mann me khud se puch raha tha...
Veer : Huh!? Mein!? Yes...
Ladki : Ye chot...
Achaanak hi usne apna haath aage badhaate hue Veer ke gaal pe rakh diya jaha bandage lagi hui thi. Aur unn komal haatho ka sparsh paate hi jese Veer maano jannat me pohuch gaya tha.
'Fuckkkkkkk! Her hand... Itna... Itna softtt!???'
Veer (blushes) : Ohh!? Ye!? Ye... Kal... Wo... Fight me... Ahahahaha~
Ladki : Ohhh!!
Veer (blushes) : Yeah...
Idhar Nidhi unhe follow karke neeche aa chuki thi aur wahi building ke paas se saamne chal rahe scene ko bhali bhaati dekh paa rahi thi.
Usne dekha ki ek behad hi khubsoorat ladki Veer ke gaalo ko thaame usse nihaar rahi thi. Saath hi saath ek aur khubsoorat mahila bagal se khadi hui thi aur yaha tak ki itni luxurious gaadi unke side se khadi thi jo saaf batla rahi thi ki wo kisi bade gharaane se thi.
Par...
Pata nahi kyu...
Veer ko aise yu uss ladki ke saath dekh...
Nidhi ko andar hi andar kuch toh ho raha tha. Jissse wo ya toh samajhna nahi chaahti thi ya uss feeling se anjaan thi.
'Kaun hai ye sabhi!? Veer ke ghar se!? Relatives!? Haa! Wahi hone chahiye... Itne pyaar se toh gharwale hi pesh aate hai. Shayad ye acche log hai jo Veer se prem karte hai? Ya nahi!? Ek minute!!! Kahi ye Veer ki girlfrie....!?? Huh!?!??! Is she really....!?'
Aur Nidhi bechaari na jaane kya kya sochne lagi thi. Par isme uski koi galti nahi thi. Scene hi aisa tha.
Idhar Veer sharam ke maare uss ladki se nazre nahi mila paa raha tha.
'Fuckkkkkkkk! Why is she staring at me like that Pari!??? It's making me uncomfortable... Mujhe sharam aa rahi hai...'
[Hang on master...]
Ladki : Do you know me!?
Veer : Hmm? Ohh haa! Mein yahi puchne waala tha. Kya aap mujhse milna chaahti hai!?
Ladki (smiles) : Mmm-hmmm!
Veer : Par... Mein toh aapko nahi jaanta. Aur... I don't think ki aap bhi mujhe jaanti ho!? Hum ek dusre se pehle kabhi nahi mile hai...
Ladki (smiles) : Mile hai...
Veer (surprised) : Huhhh!?
Ladki : I mean kind of... Hehe~
Veer : I... I don't get it...
Tabhi uss ladki ne apna haath milaane ke liye aage badhaaya aur boli,
"I'm Sonia!!"
Veer (haath milaate hue) : And... I'm...
Sonia (smiles) : Veer... I know...
Veer (shocked) : Huhhhhhh!??? Aapko... Kese....!?
Sonia : Why don't we go somewhere else and talk about it!?
Iss se pehle Veer kuch keh paata, peeche se wo dusri ladki jisne saree pehni hui thi wo Veer ke paas aayi aur usse ghur ke dekhne lagi...
Veer : Umm... !??
Sonia (smiles) : Ah right! She's Suhana... My elder sister.
Suhana
Veer : Umm... Hello!?
Par Suhana na toh kuch boli aur na hi kuch kiya usne... Wo bas apni aankhein sikode Veer ko ghur ghur ke dekh rahi thi. Aur agle hi pal wo palti, aur car ki orr jaate hue boli,
"Sonu!! You will lose the bet. Apna vaada yaad rakhna."
Veer : Huh??
*Thud*
Aur car ka darwaza band kar wo andar baith gayi.
Idhar Sonia apni badi behan ki ye harqat dekh apni aankhein ghumaate hue naa me sarr hilaayi.
Sonia : Well... So!? Veer!? Shall we!?
Veer iss se pehle koi jawaab de paata, Sonia ne uska haath thaama aur usse kheechte hue car ke andar le gayi...
Idhar Suhana aur Prakash Sonia ki iss harqat par thoda achambhit reh gaye.
Suhana (mann me) : Sonu!??? Sonu ne... Uska haath pakda!? Kuch derr pehle bhi uske gaal pe... How can she...!?
Sonia ne car me ghuste hi Veer ko apni side se baithaaya.
Uske shareer se aati khushboo Veer ko pagal kiye jaa rahi thi.
'Kya lagaati hai yaar ye ladkiya!? Kon se talaab me dub ke aati hai!? Itni sugandh kyu aati hai inse!? Fuccckkk! Mujhe kuch kuch ho raha hai Pari...'
[]
Car me Suhaana window ke paas thi, beech me Sonia khud thi aur uske bagal se Veer tha.
Car drive toh Prakaash hi karne wala tha, uski driving skills par Sonia behad bharosa jo karti thi.
*Vroooom*
Aur agle hi pal car jitni jaldi waha aayi thi utni hi jaldi waha se nikal gayi...
Peeche khadi Nidhi bas hairaani aur thodi duwidha me sab kuch ghatit ho rahe scene ko dekhti rahi. Mann me dherro sawaal the jinhe wo Veer se puchna chaahti thi. Par abhi sahi samay nahi tha. Usse khud kuch derr me apne kaam ke liye nikalna tha aur isliye, apne sawaaliya mann ko thodi derr shaant kar wo andar waapas chali gayi.
***
Idhar Veer jaha college se nikla toh wo ab sheher ki sabse mehngi 5 star hotel me se ek hotel me baitha hua tha.
Wo bas ek poker face banaaye ek hi jagah dekhte jaa raha tha. Kuch hi minutes ke andar usne itni saari ayyaashi waali cheeze dekh lii thi ki inn sabko hazam karne me uska time toh lagne hi waala tha.
Rolls Royce ki andar ki wo luxury aur comfort, uske baad itni badi aalishaan hotel me lage wo bade bade jhoomar, aisa lag raha tha maano wo kisi palace me aa gaya ho.
Wahi Suhana aur Sonia itna comfortably baithi hui thi maano jese ye unka roz ka routine tha.
Sonia
Sonia : Do you know who I am?
Veer : Actually, Abhi aapke naam ke alaawa I don't know anything.
Sonia (giggles) : Fufu~ You know ****** motors!?
Veer : Huh!? Saare desh me mashoor hai ye company. Iske baare me kaun nahi jaanta!?
Sonia (smiles) : Ohh thank you so much! Mere great grandfather founder the iske. Abhi dad owner hai. Aur mein CEO thi... But abhi mene wo position kisi aur ko de dii hai. Ab mein COO hu.
Maano ek bomb sa phod diya tha Sonia ne Veer ke upar. Kya kaha!? ***** Motors ki CEO thi ye ladki pehle!? Great grandfather founder the!? Baap owner hai!? Soch ke hi Veer jo pehle hi awkward mehsoos kar raha tha, uska shareer ye sunte hi air stiff ho gaya.
Veer : Kyaaaaa!??? You're joking right!?
Sonia (giggles) : I'm not...
Veer : Wow! I mean... Wooowww!
Sonia (smiles) : Thank you! Toh shuru kare!?
Veer : Huh!? Ahh... Sure... Sure... Thanks!
'Huh? Thanks!? Fucccckkkkk.... Who tha fuck says Thanks? Thanks ke badle me hi thanks bol diya mene!? Pari... Help me... Mere muh se utt pataang shabd nikal rahe hai... I'm getting embarrassed...'
[]
Sonia (surprised) : Thanks? Kisliye!?
Veer (blushes) : Ummm... Wo...
Sonia : In fact, thanks to you... Veer!
Sonia ne bolte hue achanak hi uske haath par apna haath rakh diya, jiske chalte ek baar fir ye gesture Suhana aur Prakash ki nazro se na chooka.
Achanak hi Sonia ki awaaz dheemi ho gayi, aur wo bade hi pyaar se Veer ko dekh rahi thi. Saath hi saath kuch aisa tha jo uski aankhein bayaa kar rahi thi. Glaani!??
Veer (surprised) : Thanks!!? Mu...mujhe!? Wo kis liye bhala!?
Sonia (smiles) : You don't remember!?
Veer : Hmm?
Sonia : You saved me...
Veer : Hnn?
Sonia : That day... Remember... You had a car accident!?
Accident shabd sunte hi Veer ko dubaara se wahi manzar yaad aane laga, wo pal, wo din...
Ajay ke saath ladaayi... Wo baarish... Shareer me jagah jagah wo ghaav... Uske haatho se flower vase ka tootna... Brijesh ka usse ghar se nikaalna... Uske parivaar waalo ki wo nirdaayi aankhein... Dar badar bhatakna... Aur...
Aur wo raaste me car se accident.
Agle hi pal Veer ka sarr unn sab baato ko yaad kar jhuk gaya. Zakhm gehre the... Bharne me samay toh lagna hi tha.
Par kya pata...
Wo zakhm bhar bhi rahe the ya aur gehre ho rahe the!?
Veer : Hmmm... I remember.
Sonia abhi aage bolni hi waali thi ki tabhi bagal me khada Prakaash achanak hi sarr jhuka liya aur Veer se bola,
"Wo hamaari Madam ki hi car thi. Aur mein hi usse drive kar raha tha. Jo kuch bhi hua, usme meri galti thi. Uske liye mein aapse maafi maangta hu."
Prakaash ki baat sunn ek bada jhatka sa laga Veer ko. Aur usse jese realize hua.
Veer : Ohhhh! So... Isliye...
[Aaahhh! So that's what happened. Master! These people won't harm you. You can lower your guard.]
Sonia : Prakash uncle! Mein baat kar rahi hu na.
Prakash : Sorry Madam!
Sonia : Aur galti keval aapki nahi thi. Car me mein bhi thi, car meri thi, mere kaaran hi aap speed me the.
Prakash : Madam! Isme aap ki koi galti nahi thi... Galti saari...
Suhana : Ssssshhhhhhh! Pehle usse samjhao fir aapas me behas karna.
Sonia (blushes) : Aah! Right! Veer...
Veer : J...jii!?
Sonia : Actually... Ye lambi kahani hai. But, mein sirf tumhe utna hi bataungi jitna tumhara jaan'na zaroori hai.
Veer : Okay!
Sonia : Darasal, Uss din mein Prakash uncle ke saath kahi se laut rahi thi, hum boht jaldi me the. Baarish ke kaaran drive karne me bhi dikkat aa rahi thi aur upar se raat ka waqt...
Veer keval chup chaap saari baat sunta jaa raha tha.
Sonia : Aur... Koi hai jo meri jaan ke peeche pada hua tha.
Veer (shocked) : Huh!??
Sonia : Yes! Uss raat... Prakash uncle mujhe bachaane ke liye tezz raftaar me gaadi chala rahe the. Wo log... Hamaare peeche hi the... Unka bas ek hi target tha... Wo thi mein... Aur jese hi mod aaya, achanak se saamne tum aa gaye the. Jiske chalte wo haadsa hua...
Veer (surprised) : I... I see...
Veer ka reaction dekh, Sonia ne uska haath ek baar fir thaam liya.
Sonia : I... I'm so sorry Veer! I'm so sorry!
Veer ki samajh me hi nahi aa raha tha wo kya kare aur kya hi kahe. Aap ka accident hua, aap kuch dino baad uss haadse se ubhre par achaanak hi aapko pata chalta hai ki aapke saath wo haadsa karne waali ek behad hi khubsoorat ladki hai jo aapse milne kayi dino baad aayi hai aur aapse sach bata ke maafi maang rahi hai.
Uss waqt kya karenge aap!? Kya kahenge!? Kya uss ladki ko dosh denge!? Uss se medical fees ka kharcha maangege!? Uske khilaaf complaint darj karenge!? Ya maaf kar denge!?
Inhi sawaalo me Veer phassa hua tha. Uski samajh me hi nahi aa raha tha ki kya bole par iss waqt uske paas aur bhi kuch tha jo hamaare me se kisi ke paas nahi tha...
Wo thi Pari...
Apni buddhi ka istemaal karte hue Pari ne agle pal hi Veer ko suggestion diya,
[Master! Forgive her. I think ye hamaare boht kaam aaenge aage chal ke. Also, ye Sonia guilty feel kar rahi hai. Make her feel more guilt. Forgive her.]
'As you say then.'
Veer : It's okay! Mene aapko maaf kiya... Jo bhi baatein thi wo pichli baatein thi... Aur unn dino ko mein bhula chuka hu... Hospital me hosh aane ke baad se hi... Jo bhi yaadein bana raha hu, bas unhe hi yaad rakhna chaahta hu.
Uski baat sunn, Sonia kuch pal Veer ko yu hi dekhti rahi. Pehle toh usse vishwaash hi nahi hua ki Veer ne usse aise hi maaf kar diya. Same haal Prakash aur Suhana ka bhi tha. Unhe yakeen hi nahi hua ki Veer ne aise hi asaani se maamla rafa dafa kar diya.
Uske baad Sonia ke saath wahi hua jiska sanket Pari ne kiya tha. Uski glaani ke bhaav badh gaye...
Sonia : I... I... Mein tumse milna tak na aa saki. Bhale hi tumhara meri gaadi ke saamne ek ittefaaq tha, par Veer...
Veer : ?
Sonia : Tumhaare beech me aane se hi... Uss raat meri jaan bachi thi. Accident ke baad jo shor waha hua tha aur bheed jama hui thi... That saved me... Uss kaaran se wo log hamaari car ko catch na kar paaye...
Veer (smiles) : Ye toh... Acchi baat hai na!?
Uski muskaan dekh, Sonia ne apna nichla honth daato tale daba liya, "Par... Tumse ek baar bhi milne na aa saki mein... Mujhe wahi utar ke sabse pehle tumhe hospital le jaana chahiye tha par mein... Mein khud ki jaan ki parvaah kar, tumhe yu waha akela raaste me chorr ke chali gayi. I'm... I'm sorry Veer."
Veer : It's okay!
Sonia (tezz awaaz me) : Noooo! It's not okay!
Sonia : I mean... I... Jo kuch bhi hua. Usme meri galti thi. Aur isliye...
Suhana : Isliye, bolo kitne chahiye!? 1 lakh? 2 lakh? 5 lakh? 10 lakh? Kitne...!?
Veer : Huhhh!?
Suhana ke muh se shabd sunte hi Veer ko achambhav hua. Aur wo stabdh nigaaho se usse dekhta raha. Fir usne, Sonia ko dekha jo ek aas liye usse dekh rahi thi.
Saara maamla jese hi Veer ko samajh aaya toh woh gusse se uth khada hua...
Veer : Aap mujhe yaha isliye laayi thi!?
Suhana : Well! Haa! Mene toh kaha tha ki tumse milne ki koi zaroorat nahi hai. Jo kuch bhi tha keval ek ittefaaq tha aur mujhe nahi lagta ki tumse baat karne ki koi zaroorat thi par meri choti behan badi hi bholi hai aur ziddi bhi. Uska maan'na hai ki galti uski hai aur isliye uski bharpaayi wo aise karna chaahti hai. Tum apni maang rakhoge toh Sonu ke upar se thodi guilt gaayab ho jaegi... Toh batao... Kitne!? 5 lakh ? 10 lakh? Kitne!? Jaldi se batao toh ye matter close kare.
Sonia (chillaa kar) : Diiii!?? Ye kese bol rahi ho aap!? He'll misunderstand me...
Suhana ke ghamand se bhare shabd jab Veer ke kaano me pade toh uska mood aur bhi bigad gaya.
Kahi na kahi... Suhana ki chhavi uske pita Brijesh se mel khaa rahi thi. Vase toot'te waqt bhi uske pita uss samay vase ki keemat par zyaada dhyaan de rahe the na ki uski choto par.
Unn baato ko yaad kar Veer jaane ke liye palta par usne ek baar peeche dekha aur bola,
"Yadi keval ek baar hospital me mulaqaat karne aa jaati, toh uss se badi cheez mere liye kuch na hoti. In fact, abhi bhi maafi maangne ke baad mene aapko maaf already kar hi diya. Par ek galti kar dii...
Paiso ko beech me le aayi aap...
Even though mere paas paise nahi hai. Iska matlab ye nahi ki mein aise paiso ko apnaane laga. Paiso ka guroor, kabhi sahi nahi hota. Yaad rakhna!"
Aur bina kuch aage kahe Veer waha se chal diya.
"Veeeeeeeer.... Waaaiiiitttt!!" Sonia chillaayi par uska chillaaana bematlab tha. Kyuki na hi Veer peeche muda aur na hi usne Sonia ke chillane par koi response diya. Wo kuch hi derr me uski aankho se ojhal ho chuka tha.
Ek gehri saas lete hue Sonia waapas se apni kursi par baith gayi aur fir shuru ho gayi,
"What is wrong with you Dii!? Matlab great... Ab wo mujhe ek ghamandi paiso waali ladki samajh raha hoga."
Suhana : What is wrong with me!? Arre... What is wrong with you??
Sonia : Haan?
Suhana : Just how many times you touched him!? Tum, jiske peeche ladke khaali ek jhalak paane ke liye marte hai, itne bade bade gharaano ke ladke tumhaare paas rishta leke aate hai, jo tumse baat karne ke liye taraste hai aise logo ko tumne aaj tak bhaav na diya. Aur wo ladka... You touched him thrice. I noticed it. Tum kab se aise logo se baate karne lagi Sonu!? He doesn't even deserve to talk with you... Jinhe paiso ki aukaat ke baare me nahi pata wo kabhi paisa nahi kama paate. He's a fool... Jaane do usse... Yaha mein soch rahi thi, ki wo sabhi logo ki tarah laalchi niklega aur paiso ki maang karega... Aur fir mein tumse lagi shart jeet gayi hoti par... Nahi! Ye toh aur bhi bada waala bewakoof nikla... Haath me aa rahe paiso ko laat maar ke chala gaya waah...
Sonia : Dii! He's my benefactor. Ussi ke kaaran aaj mein tumhaare saamne hu. Bhale hi wo ittefaaq tha par hai toh fact hi. Yadi wo uss waqt saamne na aata, toh aaj pata nahi mein kaha hoti? Hoti bhi ya nahi!?
Suhana : Tum usse uski zaroorat se zyaada credit de rahi ho. Aur tumhe kuch nahi hua hota. Ek toh yaha usse college se utha ke yaha tak laaye aur uske baad bhi akad toh dekho uski... Usse pata bhi hai ki wo kiske saath baith ke baate kar raha tha!? Mann toh kar raha tha ek baar me usko uski aukaat dikha du. Par tum jo thi saath me... Fir tumhe bura lag jaata...
Sonia : Mujhe akele hi aana chaahiye tha. Na jaane wo kya soch raha hoga mere baare me...
Suhana : Sonuuu!?? Tum kab se ye sab sochne lagi!?? Ki dusre tumhare baare me kya sochte hai? Wo koi tumhara lover nahi hai Sonu, na hi koi celebrity ya crush hai jiske liye tum itna soch rahi ho. Arre usse toh khush hona chaahiye ulta aur hume thank you kehna chaahiye. Usse pehli baar Rolls Royce me baithne ka mauka mila, aur pakke se pehli baar itni badi hotel me aaya hoga. Fir bhi akad toh dekho uski... Hmph! I hate such men.
Ek aah bharte hue, Sonia apni behan ke bartaav par sarr hilaate hue seat se uthi aur baahar car ki orr chal dii.
'Will you hate me now!? Veer!?'
***
*Click*
Gaadi me se chaavi nikaalte hue Nidhi apni scooty se utri. Saamne ek bada ghar tha. Aaj usse yaha bulaaya gaya tha. College me recess ke waqt hi wo nikal gayi thi aur apni manzil par pohuch chuki thi.
Veer aur uss ladki ki chhavi abhi bhi kahi na kahi uske mann me mandra rahi thi. Usse bas jaan'na tha ki wo ladki kaun thi. Aur, Veer ki kya lagti thi.
Aage kadam badhaate hue Nidhi ghar ki entrance ki taraf badhi. Wo deewaare jo halki peele rang ki thi, wo rang jo aksar khushiyo ko darshaat hai.
Parantu, iss waqt Nidhi ki bauhe sikudi hui thi, chehre par shikan aur chinta thi. Aur uske dil ki dhadkane normal se kayi guna tezz ho chuki thi.
Jese tese kadam badhaate hue wo entrance par aayi aur usne door bell bajaayi,
*Ding* *Dong*
Aur kuch derr ke andar hi Darwaaza khula aur ek jaana maana ek aurat ka chehra uski nazro me pada.
Aurat ne dekhte hue usse andar aane ke liye raasta diya...
*Thud*
Aur gate band kar diya.
***
"Damn it! Damn it!! Arre yahi chaavi toh thi... Lag jaa taala..." Idhar Shreya ghar me apne haatho me spare chaaviyo ka guccha liye frustration nikaal rahi thi.
Uske saath me hi Juhi khadi hui thi jisse Shreya khud school jaake jaldi leke aa gayi thi.
Juhi : Maasi!?? Hum kaha jaa rahe hai!?
Shreya : Tumhari Mummy ke paas...
Juhi : Hmm? Mummy kaha gayi hai!?
Shreya : Sab pata chal jaega Juhi... Aao...
Aur Shreya Juhi ki ungli pakad forun se ghar se nikal ek taxi kar chal padti hai.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!
Dhanyavaad!
Like maar dena..![]()