- 15,525
- 105,407
- 259
Last edited:
Update - 42 ~ Strange RelationshipAb tak...
Wo ladki... Jiske upar sabhi ki nazre thi. Usne jese hi
Veer aur Sonia ki taraf dekha uske kadam wahi theher gaye.
Aur Sonia aur uss ladki ki aankhein ek dusre se jaa mili...
Sonia usse dekh ke poori tarah se stabdh thi. Usse bilkul bhi ye umeed nahi thi. Uss ladki ke yaha hone ki...
Uske honth khule aur bas dheere se ek hi shabd nikla...,
"K.... Kaera!?"
Ab aage...
Kaera ki nazre aur Sonia ki nazre dono hi aapas me bhidi hui thi, aur na jaane kitni anginat baatein unn dono ki nigaahe ek dusre se keh gayi.
Veer ko Kaera ne abhi tak nahi dekha tha. Uska poora dhyaan Sonia par hi tha. Aur issi mauke ka fayda uthaate hue Veer dheere dheere kuch kadam peeche ki orr liya aur palat ke wo waha se nikalne laga.
'Fuckkkkk... Ye toh wahi hai... Shitttt!!! Club waali... Pari! Remember??'
[Yes Master! But aap bhaag kyu rahe hai?]
'Toh kya karu? I don't want to face her. Tumhe pata hai na mene uske saath kya kiya tha? Aur upar se... Suhana ne kaha tha na. Boht bade bade log aaenge. Iska matlab... She's definitely not a normal person.'
[But aisa thodi hai ki wo aapko kha jaegi.]
'Nooo... Khaegi nahi par yadi galti se bhi usne Sonia jii ke saamne kuch keh diya toh..... Shitttt! Wo dono ek dusre ko jaanti hai. Kahi usne meri baat bata dii toh?'
[Ohhhhh!!!]
'Mein aise bhaagna nahi chaahta par abhi situation hi aisi hai.'
Aur Veer logo ke agal bagal se nikal dur jaane laga.
Idhar Kaera dheere dheere seedhiyo se neeche utri, uska aura hi aisa tha jiske chalte sabhi uske saamne khade log usse nikalne ke liye jagah dene lage aur side hatt gaye.
Ekdum se jese sab shaant pad gaye the. Bas unn high heels ki hi awaaz aa rahi thi jo Sonia ki taraf badh rahi thi.
Wo aate hue seedhe Sonia ke saamne khadi hui. Do itni khubsoorat ladkiya aamne saamne khadi hui thi aur aas paas ke sabhi logo ki nazre unn dono par hi thi.
Sab ka dhyaan apne upar kendrit karwa ke rakhi hui thi Kaera.
Aur finally, Sonia ne iss khamoshi ko dur kiya.
Sonia (frowns) : Kaera...!! I thought you were in America...!?
Kaera : Prakash Sir abhi bhi sabhi ko investigate karne ka kaam karte hai? Tell him to get his news updated then.
Sonia : *frowns*
Kaera : Mein America se kal hi yaha aa gayi thi. What about you? I thought... Sirf Suhana hi dikhegi yaha pe...
Halaki Kaera umr me Sonia jitni hi thi par...
Uske bawajood wo Suhana ko uske naam se hi bulaati thi.
Sonia : Mein unke saath chali aayi. Any problems!?
Kaera : That's so not like you...
Sonia (smiles) : Because I'm not alone.
Kaera : ???
Kaera ko Sonia ka ye jawaab kuch atpata sa laga aur wo prashn bhari nazro se usse dekhni lagi. Jese maano uske haav bhaav dekh ke sach jaan'ne ka prayaas kar rahi ho. Par Sonia ki muskaan usse aur bhi chintan me doobne ke liye vivash kar rahi thi.
Uska sochna, iss baar kaam na aaya. Wo nahi jaan paa rahi thi ki akhir Sonia kya kehna chaah rahi thi. Aisa pehla kabhi nahi hua tha. Wo toh Sonia ke saare actions se waaqif rehti thi. Fir aaj kyu...!?
Kyu wahi muskaan uski samajh me nahi aa rahi thi. Akhir uss muskaan ke peeche ka kaaran kya tha?
Inn dono ko akela chorr idhar Veer nikalte hue baahar jaane hi waala tha jab achanak hi uski kalaayi kisi ne pakdi aur usse kheech ke palta diya.
Veer : What the...!? Huh!?
Uska haath thaame Suhana usse confusion me dekh rahi thi.
Suhana : Kidhar chale tum? Sonu kaha hai? Mene tumhe kaha tha na uske saath rehne ke liye...
Veer : Wo... Wo kisi se baat kar rahi hai shayad.
Suhana : Huh? Kis se?
Veer : Umm... Udhar dekhiye...
Jab Veer ki nazro ko Suhana ne follow kia aur jo nazaara usne dekha, toh usse dekh uski khud ki hi aankhein hairaani ke maare fel gayi.
Suhana : I knew it... Itni badi party ho... Aur ye yaha na aaye... Bhala aisa kese ho sakta hai?
Veer : A-Aap unhe jaanti ho?
Suhana : Jaanti hu? Arre... Boht acche se jaanti hu... Hmph!
Veer : ??
Suhana : Mene tumhe bataaya tha na...!?
Veer : Kya?
Suhana : Sonia had three childhood friends. Ek Pushkar jo ab iss duniya me nahi raha... And there were two more...
Veer : Hmm!
Suhana : Well... And she's one of them. Kaera!
'Kaera... Ek sundar naam...'
[I agree Master!]
Suhana : Chalo ab...
Aur Suhana Veer ko kheechte hue Sonia aur Kaera ke paas le jaane lagi.
Veer : Whaaaaattt?? No no no no.... M-Mujhe baahar jaana hai... Wait!
Suhana : Ugh!!! Baahar kyu jaana hai? What the hell? Andar ho raha hai sab kuch...
Veer : Wo... Haan! Mujhe washroom jaana hai...
Suhana : Haa toh washroom andar hai ab chalo... Aur washroom baad me jaana... Pehle tum mere saath chalo jaldi...
'Fucccckkkkkkkk...'
Suhana Veer ko ghaseet kar le jaane lagi. Na chaahte hue bhi Veer ko ab toh jaana hi tha.
Nervousness toh itni ho rahi thi ab usse ki pucho mat. Kya hoga jab Kaera usse dekhegi aur usse pata chalega...!? Ki Veer wahi banda hai jisne uski virginity lii thi.
'Wait! Mene usse number chorra tha apna... And she didn't call me... Kahi wo bhul toh nahi gayi!? Nahi! Then why...!? Kya wo mujhe pehchaan paegi!? Obviously! No wait... Wo nashe me bhi toh thi... Shitttttt!!!!'
[Ab jo hoye so hoye Master! We'll face it. No matter what aap ko ab peeche nahi hatna hai. You are the Alpha Master. Be the dominator.]
'Yeaaahhh! Right!'
Aur kuch hi palo me Veer Suhana ke sang Sonia aur Kaera ke saamne tha.
Jese hi Kaera ne dono ko aate dekha, toh sabse pehle toh uski nazar Suhana pe gayi aur uske chehre pe santushti ke bhaav aaye. Jese maano wo issi cheez ki umeed me thi.
Kaera (mann me) : As expected...
Par jese hi uski nazre Suhana se hatt bagal me khade Veer par gayi toh wo apni bauhe sikode usse dekhne lagi.
Usne dekha, ki Suhana ke haath Veer ki baazu ko thaame hue the.
Kaera : Hmm?
Fir agle hi pal usse jese Veer ka chehra kuch jaana pehchaana sa laga. Aur dheere dheere jese saari picture clear hoti chali gayi.
Uski aankhein surprise ke chalte badi hoti chali gayi. Aur muh halka sa khul gaya.
Uska ye reaction Sonia ki nazro se bach ke nahi jaa paaya.
She noticed.
Aur Suhana ne bhi ye notice kiya.
Kaera (mann me) : It's him...!!!!! But... How!? Itna kese changed...!?
'Fuckkkk! Gaya mein... Usse yaad hai... Usse definitely yaad hai...'
Aur agle hi pal, wo Veer ki taraf badhi aur uske sameep aayi.
Uske honth kuch kehne ke liye khule...
'Fuccckkk...!!'
Par achanak hi wo honth band ho gaye. Aur uski nazre bhi Veer se hatt Suhana ki taraf jaa pohuchi...
Kaera : I knew you would come...
Suhana : Hmph! Keval husband busy the... Isliye...
Kaera : Of course! I know! I know all the details...
Suhana : *frowns*
Kaera : And... Who's this gentleman...!?
'Huh!? Wait! Ye bhul gayi kya? No no no... Usse yaad hai definitely. Is she trying to save me? Anjaan bann rahi hai!? Hmm!'
Suhana : Well... Ye... Ahem! Veer... Meet her. She's
Kaera. Sonu's childhood friend. And umm... He's Veer... Sonu ka friend.
Kaera : Veer huh....!? Sonia made a friend!? Interesting!
Veer : N-Nice to meet you...!
Jab Veer ne apna haath aage badhaaya toh Kaera ke chehre par ek muskaan thi. Halki sii hi thi par thi zaroor.
Aur ye dekh thodi dur khade do aadmi aapas me baatein karne lage.
"Abey Jassiiii....!"
Jassi : Hmm! Dekh raha hu...
Raghu : Wahiiiii!!
Jassi : Miss ke hontho par muskaan aayi thi. Bhale hi kuch pal ke liye thi. Par mene dekha...
Raghu : Haan! Abey ek minute... Abey ye toh wahi hai na? Meri aankhein kabhi dhoka nahi kha sakti... Abe jisne Miss ko waha club se bachaaya tha...
Jassi : Hmm? Arre haan... Waqai! Ye wahi hai.
Raghu : Ye yaha kya kar raha hai? Nahi... Usse se bhi bada sawaal. Miss ke chehre par usse dekh muskaan kyu hai...!?
Jassi : Ahh! Ab samajh aaya... Zaahir sii baat hai unke chehre par smile hai. Unhe yaad hai ki unhe kisne bachaaya tha. Hum ne hi toh baad me unhe bataaya tha na... Kya kuch hua tha club me.
Raghu : Ohhhhh!
Jassi : Kam se kam unki smile toh dekhne mili...
Raghu (smiles) : Hmm... Hmm...
Ye dono Kaera ke wahi bodyguards the jinse Veer ki mulaqaat club me hui thi.
Idhar Kaera ne Veer ka haath thaama. Unn haatho ko thaamte hi Veer ko Kaera ki makhmali twacha ka jab anubhav hua toh andar hi andar uska shareer garmaane laga.
Veer ne jab paas se firse ussi chehre ko dekha toh ye kehna galat nahi tha ki usse sharm aani shuru ho chuki thi.
Kaera thi hi itni sundar. Upar se... Wo uske itne qareeb thi ki Veer ka nazre milaana hi mushqil ho raha tha.
Par Veer bhi ab pehle ki tarah nahi tha. Usne Kaera ki aankho me dekha. Wo iss baat se confused tha ki akhir Kaera ne uska sach ujaagar kyu nahi kiya!?
Itni badi baat... Aur wo Veer ko aise hi jaane de rahi thi? Itni badi personality... Aise me toh usse pehle hi Veer ki khatiya kar deni chahiye thi. Par uske bawajood na toh ek call aaya uska... Aur na hi.. usne kuch kiya.
Bhala kyu!? Koi ladki kese apni virginity ko leke itni insensitive reh sakti hai? Ye toh harr ladki ke liye boht important matter hota hai. Not to mention ki Kaera ek boht badi personality thi. Fir uske liye toh ye aur bhi important hona chahiye tha.
Then kyu!? Veer jese sadhaaran se ladke ko wo bacha rahi thi? Yahi sawaal Veer ke mann me chal rahe the. Par usse dur dur tak inn prashno ka uttar dikhaayi nahi de raha tha.
'Just why...!?'
[Wo ye jaan bujh ke kar rahi hai Master. Kaaran toh mujhe bhi nahi pata...]
'Wait! I can check her...'
'Check'
[You are not eligible to view this person's status.]
Aur ye padhte hi ek zordaar jhatka laga Veer ko.
'What the fuck!?'
Pari Level 4 par thi. Uske bawajood ye notification jese Veer ko aur duwidha me daal chuka tha. Kya status hoga Kaera ka jab Pari level 4 pe bhi nahi dekh paayi uske status ko.
Veer ne agle hi pal Sonia ko dekha aur...
'Check!'
[Name - Sonia
Age - 26 yrs
Bio - Sonia! Ek boht hi talented, khubsoorat aur mehanati ladki hai. Ek strong independent business woman. Suhana usse boht preeya hai. 3 childhood friends the uske~ Pushkar, Kaera, aur ******. Kuch uljhano me rehti hai. Kaera is her role model.
Favourability - 39
Relationship - Close Familiars]
Sonia ka poora Data uske saamne khula hua tha.
Aur ek Koshish firse kar Veer ne firse Kaera ko scan kia. Akhir Sonia ka status bhi wo ab padhne me saksham tha.
Par...
[You are not eligible to view this person's status.]
'Shittttttt!!!'
Veer chaah kar bhi, Kaera ka status nahi dekh paa raha tha.
'Just who is she...!?'
Ab iska jawaab toh usse Sonia ke through yu hi mil jaata. Par system dwaara diya gaya description ek alag hi cheez hoti hai apne aap me.
"Nice to meet you.... Veer!"
Kaera ke shabd jese usse apni soch se baahar laaye. Wo peeche hati aur ek antim nazar Veer par daal wo yu hi waha se jaane lagi.
Toh Rohan jo ab tak iss poore nazaare ko dekh raha tha wo apni aas liye bhaagta hua Kaera ke bagal me aaya aur badi hi respect ke saath Kaera se kuch kehna chaaha...
Par Kaera ne usse aise treat kiya jese maano Rohan keval ek hawa ko jhoka ho. Wo bina ruke, bina kisi se baat kiye seedhe hi ek table ki orr jaane lagi. Wo apni seat par baithi toh agle hi pal ek aur business attire me ek professional lady uske bagal me aa kar baith gayi.
Idhar Rohan bechaare ki gaand jalna swabhaavik tha. Wo kehte hai na, jo jesa karta hai wo wesa hi bharta hai.
Jo usne Veer ke saath kiya tha. Wesa hi raviyya usse Kaera se mila. Aur ye sabhi waha khade hue logo ne dekha. Rohan ne jese hi dekha ki Veer usse dekh ke muskuraa raha hai, toh uski gaand aur bhi jal gayi. Aur sulghi gaand liye wo apne daat meeste hue waha se nikal gaya.
[Haha~ Such a jerk. That's what you get for disrespecting my Master!]
Veer : Sonia jii... Aapki friend... Yu hi nikal gayi...??
Suhana (sighs) : Ye toh harr baar ka hai.
Veer : Kya matlab!?
Suhana : Let's move to our table... Dinner start ho chuka hai. Wahi samjhaati hu.
Aur Sonia aur Veer ko liye Suhana apni table ki seat me viraajmaan thi.
Uss se kuch hi duri par Kaera ki table thi jaha keval wo aur shayad uski P.A baithi hui thi.
Aur harr ek na ek pal, Kaera ki nazre Veer se bhidti. Nazro ke yu milaap se Veer apni nigaahe hataane par majboor ho jaata. Par ye naino ke khel me keval wahi nahi shaamil tha.
Veer ke saamne baithi Sonia, usse aur Kaera ko ghur ghur ko side eye kar ke dekh rahi thi. Harr ek action uski nazre pakad rahi thi.
Aur pata nahi kyu... Ek ajeeb sii bechaini sii ho rahi thi usse Kaera ke yu iss tarah se Veer ko dekhne par...
Sonia (mann me) : Just what is going on between them!? K-Kya Kaera...?? Veer ko jaanti hai...!? Dono aise baar baar kyu dekh rahe hai... This is so ... Ugh! It's making me anxious...
Suhana : Haa! Toh... Baat aisi hai ki...
Sonia : Ye bataana zaroori hai...!?
Suhana : Hmm? Kyu? Kya tumhe Veer pe bharosa nahi..!?
Sonia : Aisi baat nahi hai. I trust him... It's just...
Suhana : Toh kya dikkat hai...!? Well, wo hamaare saath hai so there's no harm in telling him.
Veer : !??
Suhana : Darasal... Jab Sonu choti thi. Tab se hi uske 3 khaas dost the.
Veer : Ohhh!
Suhana : Aur teeno hi well... Hamaari tarah rich family ko belong karte hai. I mean... Pushkar ab nahi raha... But Kaera aur Nat abhi bhi hai.
Veer : Nat!?
Suhana : Hmm! Nat... Matlab Natalia. She's a singer. Wo yaha nahi rehti ab. Foreign me hai. Sonu ne uske saath bhi apna touch kho diya.
Veer : Uske saath matlab!?
Suhana (sighs) : Kaera se bhi... Sonu ki patri nahi khaati... I don't know uss Kaera ko achanak kya hua hai ki wo bas aise behave karti hai kese Sonu uski bachpan ki dost nahi bas ek stranger hai.
Veer : Aisa kyu bhala?
Suhana : I don't know. Wo pehle aisi nahi thi. I hate to say it... But... She's damn intelligent. I mean... Wo boht hi zyaada talented hai. Ek alag hi level pe hai wo. Sonu se bhi zyaada...
Veer (surprised) : R-Really!???
'Fuckkkk! Ye Suhana mujhe darra rahi hai ya bata rahi hai....!?'
Suhana : Hmm! Bachpan se hi... Sonu usse apna role model maanti aayi hai. Ye kehna galat nahi hoga ki aaj yadi Sonu iss mukaam par hai toh uska boht bada kaaran Kaera hai.
Suhana ke aisa kehne par Sonia ka chehra apne aap neeche udaasi me jhuk gaya jo Veer dekh paa raha tha.
Suhana : Kaera aur Sonu ke beech boht gehra rishta tha. Boht gehra. Par achanak hi... Kaera foreign shift ho gayi thi. Uske baad Sonu aur uske beech kayi saalo tak mulaqaat nahi hui. Aur jab hui... Toh uski personality completely badal chuki thi.
Veer : I see... Aisa kya hua hoga bhala...!?
Suhana : Iska koi fayda nahi. Lakh baar puch chuki hai Sonu aur mein bhi... But she remains indifferent. Wo bas... I don't know kehke hume jawaab de deti hai. Na jaane kya hua hai.
Veer : But... Aisa kese... Baat karne se koi na koi toh hal niklega hi...
Suhana : You don't understand Veer. Maamla boht pecheeda hai. Trust me!
Aisa kya hua tha inn do saheliyo ke beech bhala!? Jo aaj dono itni gehri dosti rakhne ke baad ek dusre se aise pesh aa rahi thi jese maano anjaan ho.
Sonia ka yu maayusi se bhara chehra Veer ko kahi na kahi andar se bada hi tang kar raha tha. Uska dil khud bechain hue jaa raha tha.
Aur agle hi pal Suhana ne fir aur kuch baatein ujaagar kii,
Suhana : Baat sirf itni nahi hai. Sonu ko inferiority complex hai...
Sonia : Diiiiiiiii....
Suhana : Shhh! Jo sach hai wo sach hai.
Sonia : Ughhh!!!!
Wo Veer se nazre churaaye ek baar fir apna sarr jhuka lii.
Suhana : Yaani ki... Sonu apne aap ko Kaera ke saamne tucch samajhti hai. Usse lagta hai ki wo kabhi bhi Kaera se aage nahi nikal paegi. Hamesha uss se peeche hi rahegi. Chaahe wo sundarta ho, chaahe intelligence, chaahe leadership, chaahe richness, personality, everything.... You name it. Harr baar... Meri Sonu... Bechaari maat kha jaati hai.
Veer : Ahh! I see... Ki kyu aap unhe apna role model maanti hai...
Suhana : Par yahi heen bhaavna Sonu ki aur badh jaati hai jab jab usse ye realize hota hai ki wo aur Kaera ek hi umr kii hai. Fir bhi... Look at the difference.
Sonia : And thank you for again making me realize.
Suhana : Sorry Sonu! I had to...
Veer : Iska koi na koi solution toh hoga...
Suhana : Hmm! Par ye yahi khatam nahi hota...
Veer : Huh??
Suhana : Jab jab... Sonu ne kuch paana chaaha hai... Kaera wo pehle hi paa chuki thi.
Veer : ??
Suhana : Bachpan me school me first aane ke liye mehnat karti thi Sonu par top pe hamesha se Kaera ka naam hota tha. Sports me race me first aane ke liye Sonu practice karti thi toh usse pata chalta tha ki Kaera pehle se hi top rank holder hai. Bade hue toh Business me already Kaera apni company ko kaha se kaha leke aa gayi... Aur Sonu abhi bhi uss se boht peeche hai... Itna hi nahi... Jis University se Kaera thi, Sonu ne bhi wahi admission liya tha, iss aas me ki wo iss baar Kaera ko academics me peeche chorregi...
Veer : Then!?
Suhana (sighs) : Firse muh ki khaani padi... Kaera University ki topper in academics bani. Dono ke beech hi ek bridge bana hua hai jo itna lamba hai ki bechaari meri Sonu... Bas usse paar karne ke liye din raat mehnat karti rehti hai.
Veer : Par itni mehnat kyu? Sonia jii... Aap ke paas itna paisa hai... Bhale hi Kaera jii se kam hai. Par... Aapke paas apne aap me ek santushti janak sampatti hai. Fir isme itni mehnat kyu!??
Suhana : Veer! Samjho...!
Veer : ??
Suhana : Pehle... Sonu ye sab karti thi because she wanted to beat Kaera... Wo Kaera se aage nikalna chaahti thi. Tab usse jalan bhi hoti thi. Par ab...
Veer : Ab!?
Suhana : Ab Sonu usse haraana chaahti hai to get her attention. Keval ek baar uska dhyaan kheechna chaahti hai. Apni uss puraani sabse close saheli ka...
Sonia : Boht hua dii... Stop it now. Please!
Suhana : Fine! Yahi hai truth Veer...
Veer : Hmm! It's complicated.
Suhana : Exactly!
Aur kuch derr me hi dinner shuru ho chuka tha.
Dinner karne ke baad jab Veer uthne ke liye hua tabhi uske kareeb ek lady chalte hue aa rahi thi.
Aur Sonia aur Suhana ne jese hi uss lady ko aate hue dekha toh wo dono hi hairaani me pad gayi.
Wo lady Veer ke paas aake khadi hui aur uss se boli,
"Miss wants to see you in private for a moment!"
Veer : Hmm????
Par Veer se zyaada hairaan kar dene waala Sonia ka reaction tha.
Sonia : Whaaaaaaatttttt!???
Wo apni jagah se khadi hui uss lady ko stabdh nigaaho se ghur rahi thi.
Sonia : W-Whyyy!????? Why does she wants to meet Veer? Kya Kaera Veer ko jaanti hai?
Saamne khadi lady, Kaera ki wahi P.A thi jo uske saath baithi hui thi aur wo apni miss ka instruction leke yaha par aayi thi. Par jese ye sab kuch Sonia ko zaroorat se zyaada hi affect kar raha tha.
Veer : K-Kya mein puch sakta hu kyu?
Lady : Mujhe nahi pata! I'm sorry! Unhone bas kuch moments ke liye hi apni table par bulaaya hai. Only you! No one else.
Usne ek nazar Sonia aur Suhana par maarte hue kaha. Wo kya kehna chaah rahi thi matlab saaf tha. Sonia apna nichla honth daato tale dabaaye bechaini me Veer ko dekh rahi thi jese maano uss se guhaar laga rahi ho ki mat jao.
Par Veer ka jaana zaroori tha. Kahi Kaera ne usse uss raat ke baare me discuss karne ke liye toh nahi bulaaya?
Veer : O-Okay!
Suhana : For only few moments... We have to leave too. Tell your Miss Kaera about this...
Lady : I understand. I will tell her for sure.
Aur Veer agle hi pal Sonia ki nazro se dur jaa chuka tha. Kaera ki table ki orr...
Suhana apni behan ke ravaiyye ko dekh chintit thi par usne wo bhaav apne chehre par na aane diye. Wo jaanti thi ki uski behan Sonu itni bechain kyu hai. Sonia ko ek darr tha...
Kaera bachpan se leke aaj tak... Uske haatho se harr cheez pehle leti gayi hai. Chaahe wo top positions ho ya awards ho ya kuch bhi...
Kahi aisa na ho... Aaj Veer ko bhi wo...
Sonia ke paas se dur kar apne paas le jaaye.
Bas! Issi kaaran ek ajeeb sii bechaini ho rahi thi Sonia ko... Wo abhi bhaag ke Veer ko pakad ke apne paas laana chaahti thi par wo khud ko roke hue thi.
Sonia (mann me) : I knew it. I knew ki Kaera Veer ko jaanti hai... Par... Par kese!??? Aur kyuuuu???
Idhar Veer jese hi uske saamne pohucha toh Kaera ne usse uske saamne baithne ke liye kaha.
Lady : Miss! Suhana miss has said that they have to leave soon.
Kaera : Thank you Ruchika! And don't worry... Mujje zyaada samay nahi lagega...
Ruchika : As you say Miss. I will go and inform Miss Suhana.
Kaera : Please do so...!
Aur wo Ruchika Veer aur Kaera ko akela chorr Suhana ko inform karne chali gayi.
Kaera : Veer!
Veer : Aahh! Y-Yes!??
Kaera : It's been a long time... Isn't it!?
'Fuckkkkk! She remembered...'
Veer : Aah! Y-Yeah!!
Kaera : I'm glad ki tumne honestly kaha.
Veer : Th-Thanks!? Ahahaha...
Itni khubsoorat ladki ke saamne baith Veer ka confidence dagmaga zaroor raha tha par still wo pehle se situation ko kaafi behatar handle kar raha tha. Par Kaera ke agle kuch shabd jese usse poora hairat me daal diye.
Kaera : Life is merciless. Zindagi ko gam dena bakhubi aata hai. Jitna iss zindagi se dosti karna chaahoge, ye utna hi dur bhaagti hai. Kuch logo ke paas kaabiliyat hoti hai toh wo apni zindagi badal lete hai. Kuch ke paas kaabiliyat hoti hai par halaat unhe apni zindagi na badalne par majboor kar dete hai. Aur jinke paas kaabiliyat nahi hoti wo bas kismat ke liye baithe rehte hai. Ki kisi na kisi din unki kismat chamkegi.
Veer (shocked) : !??????
Kaera : Fir ek samay aisa bhi aata hai, jab aapke paas sab kuch hota hai, par jeene ki tamanna hi nahi rehti. Aisa lagta hai maano ki bas ye zindagi apne aap hi tham jaaye. Khud ko maarne ki himmat bhi nahi hoti kabhi. Bas talaash rehti hai toh kuch aisi cheez ki jo sab kuch badal ke rakh de. Aur... Baad me wo milta bhi hai. Wo kisi bhi roop me mil sakta hai, ek insaan ke roop me, ya ek jaanvar, ya fir kuch aur... Jo aapko ek raah dikhaata hai, khushiyaa deta hai, ek naya jeevan deta hai. Bas uska intezaar karna padta hai. Aur jab uss se mulaqaat hoti hai, tab pata chalta hai ki Life kya cheez hai.
Veer : Y-Ye...!???
Kaera : Weren't you the one who told me this?
Ye shabd wahi the, jo Veer ne uss raat Kaera ko tab kahe the jab usne ye sawaal pucha tha ~ 'What is life??'
Kaera ko harr ek baat jese by heart ratti hui thi.
'Wtf?? What abnormal memory is this!?'
[I must say! She's damn good!]
Kaera : Tell me Veer! Tumne hi ye sab kaha tha na?
Veer (nods) : R-Right!
Kaera : I still don't understand. I find it relatable. But still... I don't feel anything... Tumhe hi unn baato ka matlab mujhe samjhaana hoga...
Veer : Huh????
'Wtf???'
Kaera usse ajeeb sii nazro se dekh rahi thi. Uske chehre par koi muskuraahat nahi thi. Bas ajeeb sii ek aas thi unn aankho me...
Duwidha me phassa Veer Kaera se nazre churaate hue usne Suhana ki table par nazar maari toh paaya ki Sonia khud boht bechaini sii bhari nigaaho se Veer ko dekh rahi thi. Balki ghur rahi thi.
"Where are you looking!?"
Veer : ???
Kaera ki awaaz jese usse hosh me laayi.
Kaera ne notice kar liya tha ki Veer kaha dekh raha tha. Aur shayad usse Veer ka ye ravaiyya pasand nahi aaya tha. Kahi aur dekhna jab wo uss se baat kar rahi ho...
Kaera : Look at me... You Understand!?
Agle hi pal uski aankho me itna tej tha aur nidarta jisse dekh koi bhi bhaybheet ho jaaye.
Veer : *nods*
Tabhi Ruchika laut ke aayi aur kuch chintit sii lag rahi thi.
Ruchika : Miss! There's a problem!
Kaera : Hmmm? Kya hua?
Ruchika : Wo... Saxena yaad hai na aapko? Uska call aaya tha abhi. Uska kehna hai ki wo apni zameen utne amount me bilkul nahi bechega... Uska kehna hai ki wo zameen boht hi faldaayak hai aur boht hi shubh hai. Keh raha hai ki usse hum se zyaada amount dene ke offers aa rahe hai toh bhala wo saste amount me hume kyu beche zameen!?
Kaera : He's just bluffing. Wo chaahta hai ki hum zyaada paisa deke uski uss zameen ko le jo outer area me hai? Aur already teen baar reject ho chuki hai...!? He should thank us ki humne itna offer diya hai.
Ruchika : I know but wo wahi keh raha hai ki... Amount double karo warna wo kisi aur ko de dega.
Kaera : Ohhh!? Wo kisi ko nahi de paega. Koi lene waala hi nahi hai. He's just bluffing. He wants to play... Then I will play as well...
Ruchika : ???
Kaera : Spread the rumours ki wo zameen ekdum ashubh hai. Waha bhooto ka vaas tha ya kuch bhi... Make it extreme. Press ko inform karo ki company xxxxxx ki Miss Kaera uss zameen ko visit karne gayi aur waha se aane ke baad unhe karodo ka nuksaan hua... Pehle page par display honi chahiye ye news... Go! I'll see... Ki kese amount badhaata hai ab Saxena.
Ruchika (dazed) : Ahhh! Y-Yess!!!
Kaera : Hmm? So where were we...!?
Usne Veer ko firse dekha jo usse muh khole ghur raha tha.
'Who the hell is this girl...!???'
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!
Don't forget to like!
Dhanyavaad!
Abhi tak jitne update padhe sab ke sab bahut hi out standing the story kafi lajavab hai maza agaya brilliantMega UpdateAb tak...
Update - 52 ~ Bruised and Battered
Unki ye mulaqaat zyaada derr tak ki na rahi, kyuki Nidhi waha se bina Veer se mile hi jaa chuki thi.
Aur idhar Ragini bechaari...
Wo iss umeed me thi, ki Veer kuch derr me laut aaega. Par usse kya pata tha, ki Veer toh waha Slogan dwara kab ka uske changul me phass chuka tha.
Ab aage...
Veer aur Kaera dono hi Slogan ke changul me phass chuke the. Par ye baat shayad Veer ke ghar me kisi ko na pata thi. Ab sawaal ye uthata hai ki jab Kaera kidnap kii gayi tab uske ird gird ghumne waale Jassi aur Raghu kya kar rahe the? Aur kaha par the?
1st January
New Year's Eve
************* Hotel
Few hours back...
*********** Hotel me iss waqt party shuru ho chuki thi. Visitors apne aap me lage hue the. Shaam se chaalu hui ye party, aaj derr raat tak chalne waali thi. Akhir naya saal roz roz thodi aata hai bhala. Par uss se bhi khaas baat ye thi ki yeh party vishesh thi.
Kyu? Kyuki Kaera jo unn invite kiye gaye sadasyo me se ek thi. Aur yadi Kaera jaisi hasti party me ho toh ye baat jataane ki bhi zaroorat nahi ki party kitni khaas rahi hogi. Aur beshaq, party keval khaas logo ke liye hi thi. Uske bawajood Kaera shaam me thodi derr ke liye party attend kar bas waapas lautne ki hi soch rahi thi. Shayad iss party me uska mann nahi lag raha tha.
Aur jab wo baahar nikalne hi waali thi ki kuch awaazo ne uska dhyaan kheech liya.
"Dekho! Mein ab bhi kehti hu aap gaadi chalaane ki haalat me nahi ho. Mene kaha tha driver ko saath me le chalna chahiye. Par aap ho ki..."
"Arre... Mene kaha na *hic* ki mein chala lunga... *hic* Tum kyu khamakha *hic* tension le... le rahi ho?"
Inn awaazo ko sunn jab Kaera unn do vyaktiyo ke nazdeek aayi toh usne dekha ki ek aged couple aapas me behas kar rahe the. Jo aadmi tha wo nashe me tha aur uski patni usse aisi haalat me gaadi chalaane ko mana kar rahi thi.
Kaera : Ohhh!? If it isn't Mister and Mistress Bansal??
Aur Kaera ki awaaz sunn jese hi uss lady ne usse dekha toh wo chaunk gayi.
Aurat : Arre? K-Kaera beti... tum!?
Kaera : Mujhe nahi pata tha aap bhi yaha aayi hongi Miss.
Aurat : Ohh! Beta! Quit the formalities. Dekho na tumhi, tumhaare ye uncle meri baat sunn hi nahi rahe hai. Aaj jamm ke wine pee hai inhone. Mene kaha tha inn se ki driver rakh lete hai par inhone meri ek na suni aur usse mana kar diya. Ab wo apne ghar chala gaya hoga. Ab aisi haalat me mein inhe kya drive karne de sakti hu? Tum hi batao beta!?
Kaera : Drink and drive? No way! Aap wahi puraani location me situated ho na abhi bhi?
Aurat : Haan beta!
Kaera : Then don't worry! Raghu!?
Raghu : Haan! Haan Miss!?
Kaera : Go and drop Mister and Mistress Bansal!
Raghu : Huh!? Par? Par Miss!? Mein aapko chorr ke bhala...?
Kaera : Are you questioning me Raghu? Jassi hai yaha par. You don't have to worry!
Raghu : J-Jii!
Na chaahte hue bhi, apni miss ke order par Raghu ko bemann agree karna pada.
Aurat : Arre! Beta?? Iski kya zaroorat? Arre, mein call kar ke kisi ko bula lungi. Boht log hai beta, koi na koi aa hi jaega.
Kaera : Don't worry Miss! Chota sa hi kaam hai. Raghu will do it. Aur karne dijiye mujhe help, warna Dad ko pata chala toh baad me wo mujhe sunaenge. After all wo aur uncle puraane friends hai.
Aurat (smiles) O-Okay beta! Sach me, kitni badi ho gayi ho tum aur kitni samajhdaar bhi. Kitne saalo pehle dekha tha mene tumhe. Ab toh bas tv aur newspapers me dikhti ho tum. Aur kitna aage badh chuki ho tum aur badhti jaa rahi ho. Aise hi jeevan me success milti rahe tumhe beta. Bless you!!
Kaera : Thank you Miss!
Aurat : Beta ghar zaroor aana.
Kaera : Hmm~
Aur fir Raghu dono Mister aur Mistress Bansal ko unki hi car ko drive kar unhe ghar ki orr le gaya. Idhar Kaera ab keval Jassi ke saath hi maujood thi.
Aur dono hi nikalne waale the jab...
Jassi : Ugh! Miss! Mein washroom se abhi aata hu. Aap kahi jaana mat. Idhar hi rukna.
Kaera : Are you okay Jassi? Kaafi derr se notice kar rahi hu. Tum teen se chaar baar washroom ki orr jaa chuke ho. Is everything alright?
Jassi : Wo... Pata nahi Miss! Shayad... Nahi kuch nahi! Mein... Mein abhi aata hu. Bas yu gaya aur yu aaya.
Bolte hue Jassi forun hi apna pait pakad ke washroom me ghusa aur zorr se darwaaza band kar toilet seat par baith gaya.
'Dhatt saala!!! Kuch gadbad hai. Kisme?? Ek minute!!!! Wine!!!! Haan!! Iski toh... Shit!!!! Achha hua Raghu ne nahi lii! Mujhe jald se jald usse yaha bulaana padega.'
Idhar baahar Kaera ki car ke andar hi uska driver baitha hua tha jab andar hotel se ek aadmi suit pehne aaya aur haath me ek gift tha uske ekdum chamkeeli gift wrapping se saja hua.
Usne window par khat khataate hue driver se window neeche karwaayi aur bola.
Aadmi : Ye Miss Kaera ka gift hai, isse andar rakh lo.
Driver : N-Nahi! Miss ke gifts hamesha Raghu Sir aur Jassi Sir hi laate hai. Mein...
Aadmi : Arre haan baba! Mujhe pata hai, par abhi wo Miss ke saath unke saath khade hai, wo kya hai na andar bheed hai. Aur tum mujhe nahi jaante? Soch lo! Miss Kaera ne hi bheja hai mujhe ye gift rakhwaane. Yadi mein waapas jaa ke tumhaari shikaayat kar diya na, toh tumhaari naukri gayi samjho.
Driver : N-Nahi! Accha theek hai! Rakh do! Miss ka hi hai na?
Aadmi : Haan na bhai, ab kya likh ke du?
Aur wo aadmi gift ko andar rakh chala gaya. Driver thodi duwidha me toh zaroor tha par jab usne dekha ki banda andar hotel se hi aaya tha aur suit bhi pehne hue tha aur saath hi saath gift ekdum neatly packed tha toh usne bhi fir zyaada dhyaan nahi diya.
Idhar andar maujood Kaera ko khade hue 5 minute ho chuke the par abhi tak Jassi baahar nahi aaya tha aur ye soch usne car me baithne ka faisla liya.
Baahar kya ho raha tha unn baato se bekhabar idhar andar washroom me baitha hua Jassi iss waqt Raghu ko call laga raha tha.
*Ring Ring*
Raghu : Bol Jassi!
Jassi : Jald se jald unhe chorr ke waapas aa, yaha kuch gadbad hai.
Raghu : K-Kesi gadbad!?
Jassi : Meri wine me drug mila hua tha!
Raghu : Kyaaaaa!? Tu... Tu theek toh hai na?
Jassi : Hmm! Constipation Drug!!
Raghu : Ek minute!!! Tabhi tu...???
Jassi : Haan! Pehle mujhe laga tha mera hi pait kharaab hai par nahi. Kisi ne meri wine me drug milaaya tha. Mein daawe ke saath keh sakta hu. Ugh!!! Tu... Tu jald se jald yaha aa, mein washroom me hu aur Miss baahar. Tu iska matlab samajh raha hai na?
Raghu : Wait! Tu washroom ke andar se baithe hue mujhe call kar raha hai? Haha~
Jassi : Gandu! Ughhh! Hassne ka samay nahi hai.
Raghu : Right! Haggne ka samay hai hahaha~
Jassi : Iski toh... Abey Saale!! Ugh!!! Mein serious hu! Jo koi bhi hai wo yaha par hotel me maujood hai. Aur uska target Miss hai. Aur aisa karne waala ek hi insaan ho sakta hai...!
Raghu (frowns) : Slogan!!!
Jassi : Right... Aargh!! Dekh! Tujhe jald se jald yaha aana hoga. Meri haalat sahi nahi hai. Pait me dard hai. Miss baahar akeli hai. Tu samajh raha hai na?
Iss baar Raghu ki bolti band ho gayi. Usse samajh aa chuka tha maamla gambheer hai.
Jassi : Tu bas jaldi...
*Kaboooooooooommmm*
Aur tabhi ek itni tezz awaaz aayi ki andar washroom me baithe Jassi ko vibrations tak feel hue uss dhamaake ke.
Jassi : Shit...!!!!
Maano jese uske chehre se rang hi udd gaya tha.
Raghu : J-Jassi!?? Wo awaaz kesi thi!? Oyeeee! Jassi!?
Par Jassi toh jese koi baat ka jawaab dene ki haalat me nahi tha. Usne forun apna pant sahi kiya aur phone bina kaate hi jeb me rakha aur door ka knob jese hi usne kholna chaaha toh paaya ki...
Door locked tha.
"Iski maa ki aankh... Dhattttt!!!!!"
*Thud*
Gusse me usne zorr se ek laat dii door ko par door tass se mass na hua.
Tabhi uski nazre upar ko gayi toh usne dekha upar opening thi. Yaani ki thoda chadh ke waha se nikla jaa sakta tha.
Aur yahi soch wo lag gaya apne kaam me.
Par tab tak boht derr ho chuki thi.
Kaera jo bomb ke blow se gir kar behosh ho chuki thi, wo Steve aur uske saathiyo dwaara ek gaadi me baith chuki thi. Aur palak jhapkate hi unki gaad waha se rafu chakkar ho gayi. Bas reh gaya toh...
Kaera ki jalti hui Mercedes ka dhaacha jisme tezz aag ki lapte apna kaam kar rahi thi, logo ki afra tafri, aur unka shor.
***
Wahi yaha hospital me bhi kuch sahi nahi chal raha tha. Doctor ne bataaya tha ki Dada jii ko chot zaroor aayi thi par koi critical chot nahi thi.
Ab chuki unki age ke hisaab se zyaada strong medications nahi de sakte isliye doctors ne slow process ko apnaaya. Wese hi Dada jii iss waqt kamzori ki sthiti me the.
Toh unka dose light rakha gaya tha. Isme time zyaada lagne waala tha par yahi sabse sahi raasta tha.
Unke maathe aur ghutno par chot zyaada thi. Isliye zyaada se zyaada araam karna hi unki best medicine tha.
Arohi idhar baithi hui soch rahi thi ki Veer kab tak aaega? Kyuki Kavya ko uss se baat kiye kaafi samay ho chuka tha.
'Maybe subah aaye woh!?'
Usne Veer ke baare me sochna band kiya aur apne aas paas maujood sabhi logo ko dekha aur unki baatein sunn'ne lagi.
Karunesh : Mere khayaal se, baccho ko ab ghar bhej dena chahiye. Aur ladies logo ko bhi. Hum gents log yaha reh lenge! Kyu Bhaiya!?
Brijesh : Hmm! Shweta, tum Bhumika ko leke ghar chali jao.
Shweta : Par...!?
Brijesh : Hum hai na idhar. Raat bhar hum reh lenge yaha. Aur subah hum sab fresh hone jaenge toh tum me se koi bhi yaha aa jaana tab tak ke liye.
Shweta : Th-Thik hai!
Brijesh : Kavya, Arohi, Vivek, Pranjal aur Sumitra aap bhi. Aap sab ghar jaiye. Mein aur Karunesh hai yaha par. Raat bhar hum dekh lenge.
Kavya : Nahiiiii! Mein Dada jii ko aise akele chorr nahi jaungi.
Karunesh : Beta Tau jii sahi keh rahe hai. Pehle apni sehat dekhna bhi zaroori hai. Aur hum toh hai na yaha par!?
Kavya : Nahi mein nahi jaungi!
Arohi : Mein bhi nahi!
Brijesh : ???
Pranjal : Aur mein bhi nahi Papa!
Karunesh : Beta! Zidd nahi karte!
Vivek : Kavya aur Pranjal tum dono chote jao. Mein aur Arohi yaha Papa aur Tau jii ke saath rukenge.
Pranjal : Par bhaiya...!?
Vivek : Mene kaha na!
Pranjal : Fine!
Kavya : Bhaiya mujhe bhi rukna hai...
Vivek : Subah Kavya! Subah! Subah fresh hoke aana fir hitni derr rukna ho yaha rukna. Ab raat bhi kaafi ho rahi hai. Jao! Savere se waha mandir ki bhaag daud me thak gayi hogi. Chaliye aap sab. Mein drivers ko bol deta hu.
Aur na chaahte hue bhi Vivek sabhi ko gaadi me baitha kar unhe ravaana karwa diya.
Car me baithi iss samay Shweta apna angutha daato tale dabaaye chinta me thi.
'Kese!? Ye sab kese ho gaya!? Dada jii ke saath aaj saal ke pehle hi din!? Meri toh kuch samajh nahi aa raha. Unka swasth rehna zaroori hai.'
Toh wahi car me aage baitha Pranjal mann hi mann muskuraa raha tha.
'Sab kuch sahi se hua. Kya kehne hai mere bhi! Haha~'
Sochte hue usne apni jeb me haath sehlaaya jisme wheelchair ka wahi toota hua pahiya rakha hua tha.
Ye wahi pahiya tha jo usne wheelchair ko patakte waqt ukhaad ke alag kar diya tha. Kyu!??
Kyuki yahi toh saare raaz chhupaaye hue tha.
'Kya khoob alter karke diya diya hai ye pahiya uss robotics club waale ne. Hahaha~ Andar itne chote gears haraami ne fit kese kiye!? Kherr jo bhi ho, Mene sahi time pe remote ki button dabaayi ekdum haha~ Mandir ke pujaari ke saamne tab mein apne haath felaaye prashaad le raha tha.
Par usse kya pata tha ki uske pehle hi mene jeb ke upar se button daba dii thi. Hehehe~ Ab bas saari jaayzaat hamaari. Ab aage ka plan araam se karna hai.'
Sabhi ki nazro pare, Pranjal apna chehra chhupaaye apne hontho par muskurahaat bikhere hue tha.
Aur idhar hospital me keval Vivek, Arohi, Brijesh aur Karunesh hi bache the Dada jii ki dekhbhaal ke liye.
Khaane ki tension nahi thi kyuki bhandaare ka kuch khaana lunchbox me rakha hua tha toh raat araam se guzar jaane waali thi.
Arohi jo wahi baithi hui thi wo abhi bhi puraani vardaat ko yaad kar ussi baare me soch rahi thi.
Fir achanak hi uska dhyaan uss incident par gaya jab Pranjal gusse me uss wheelchair ko tod raha tha.
'Mene kabhi usko itna gusse me nahi dekha Dada jii ke liye. Aur kursi par kyu gussa nikaal raha tha woh!? It's not like that ki kursi...!?????'
Pata nahi usse kya soojha par Arohi uthi aur forun hi neeche car ki taraf gayi jo unke liye ruko hui thi. Aur car me ghuste hi usne sabse pehle wheelchair ko dekha jiski haalat boht hi bigdi hui nazar aa rahi thi.
Usme se ek chaka bhi gaayab tha. Harr jagah usne bade hi gaur se check kiya par usse kuch bhi nazar na aaya.
'Wait! Iska ek pahiya kaha gaya!?'
Arohi : Bhaiya! Ye wheelchair ka pahiya kaha gaya ek!?
Driver : Arohi Ma'am!? Ye wheelchair toh Pranjal bhaiya jab se rakh ke gaye hai yaha uske baad kisi ne usse nahi chhua hai. Jo kuch bhi hoga udhar hi hoga. Baaki mujhe koi jaankaari nahi hai.
Arohi : Accha!
'Na jaane kaha gaya hoga!? Pranjal ne toh mandir ke udhar hi isse patka tha, kahi wahi toh nahi gir gaya!? Udhar jaake dhundna toh ab possible nahi. Akhir Dada jii ki chair apne aap kese neeche aa sakti hai!? Mujhe Dada jii ke hosh me aane ka wait karna chahiye. Wahi kuch bata paenge.'
Mann me aneko sawaal liye Arohi khaali haath hi waapas se ward ke baahar aa kar baith gayi.
Aur kismat se, kuch derr baad hi Dada jii ko hosh aa chuka tha.
Doctor : Dekhiye! Dada jii ko hosh aa chuka hai. Par aap sabhi 5 minute baad hi milne jaaiyega andar. Aur haan, ek baar me do se zyaada vyakti nahi. Unhe bulwaana bhi mat zyaada. He needs rest.
Brijesh : J-Jii doctor.
Aur sabse pehle dono Karunesh aur Brijesh Manorath jii se andar mil ke kuch derr baad baahar aaye.
Jab Vivek aur Arohi ki baari aayi toh wo bhi andar gaye.
Arohi : D-Dada jii!?
Manorath : Arohiii... Vivek... Beta!
Vivek : Boliye mat Dada jii! Doctor ne mana kiya hai. Aap bas lete rahiye. Aap ko hosh aa gaya yahi boht badi khushi ki baat hai hamare liye.
Arohi : Dada jii! A-Aap jab mandir me upar the. Toh aapki chair achanak apne aap neeche kese aa gayi!?
Arohi ka sawaal sunn jaha Manorath yaad karne ka prayaas karne lage toh wahi Vivek achanak hi ekdum alert ho gaya.
Manorath : Beta! Jaha tak mujhe yaad hai, mene peeche mud ke dekha tha toh koi nahi nazar aaya tha.
Arohi : Kya!?? P-Par aisa kese ho sakta hai!? Bhala aapki chair aise kese apne aap...!?
Vivek : Arre meri behan! Araam se! Dada jii ko zyaada zorr mat lene de dimaag pe.
Arohi : Wo... I... Par aisa kese akhir!?
Manorath : Shayad aaj devi mata ki yahi iksha thi...!? Mein itne saalo se unke darshan karne na gaya na toh dekho Devi maa ne mujhe saza dii hai.
Wo muskuraate hue bole par jese unke ye bol Vivek ki aankho me chamak laa diye.
Vivek : Haan! Arre haan! Aisa ho sakta hai Dada jii! Aaj mujhe bhi subah perr me chot lag gayi thi mandir me hi. Shayad devi maa batlaana chaah rahi thi ki bhale hi hamaara ghar panap raha hai par iska matlab ye nahi ki hum unhe bhul jaaye. Hume ye dhyaan me rakhna chahiye ki ye sab unke ashirwaad ke kaaran hi hota aa raha hai. Aur shayad devi mata ko pasand nahi aaya ki ab jab hume firse unke aashirvaad ki zaroorat padi toh hum unhe yaad karne pohuch gaye.
Manorath : Mujhe bhi aisa hi lagta hai beta. Kyuki mere peeche koi bhi nahi tha. Ekdum jhatka sa laga tha kursi ko, maano jese kisi ne dhakka diya ho. Ab toh theek se yaad bhi nahi aa raha. Jitna yaad kar raha hu utna bhulta jaa raha hu.
Vivek : Aap dimaag par zorr bilkul mat daaliye Dada jii. Araam kariye. Aur kuch bhi cheez ki zaroorat ho toh hum sab baahar hi hai. Isse Mata ki saza samajh ke bhul jaiye aur aage hum kese unki sharan me hamesha bane rahe iss baare me soch aage badhiye.
Manorath : Shayad... Shayad tum sahi keh rahe ho beta.
Vivek (smiles) : Hmm Dada jii!
Arohi : Par...
Vivek : Chalo Arohi baahar. Dada jii ko araam karne do.
Aur bemann Arohi Vivek ke saath baahar aa gayi.
'H-How!?? This doesn't makes any sense. Gravity ke kaaran bhi wo chair aise neeche nahi aa sakti. Dada jii ne kaha tha unhe aisa laga ki kisi ne dhakka diya ho!? Par peeche koi bhi nahi tha. Kahi dada jii se dekhne me koi galti toh nahi ho gayi!?? Kya karu? Mera dill maan hi nahi raha ki chair apne aap neeche aayi hogi.'
Uske sawaalo ka jawaab shayad aaj toh nahi milne wala tha usse. Par dekhna ye tha ki kya hoga jab Arohi waqai gutthi suljha legi. Aur suljha paegi bhi ya nahi!? Ya fir uske dono bhaiyo ki ye kartoot hamesha hamesha ke liye gupt ho ke reh jaegi!?
***
Mumbai
11:00 PM
Slogan's Hideout...
Veer aur Kaera dono hi bandhe hue the. Ekdum nidar aankhein liye Veer Slogan ko ghur raha tha toh wahi Slogan uss LED ki roshni se dur andhere me kursi par baitha hua chaav se Veer ko parakh raha tha.
Veer keval uske perr hi dekh paa raha tha. Kyuki udhar tak roshni nahi jaa rahi thi.
Tabhi Steve Slogan ke bagal me aaya aur bola.
Steve : Wo Deal poori ho gayi aur next deal ke liye abhi dealer ke aadmi se milne jaana hai Dada!
Kehte hue usne ek suitcase khola jisme paiso ki gaddiya bhari hui thi.
Slogan : Mene tumhe kitni baar kaha hai Steve ki inn choti moti deals ke baare me mujhe baar baar nahi bataaya karo. Seedhe ek report taiyaar kar baad me dikha diya karo.
Steve : Mujhe pata hai. Fir bhi ye meri tasalli ke liye.
Slogan : Hmm~ Thik hai. Jao aur next deal ke liye jis se bhi milna hai mil aao.
Steve : Jii Dada!
Aur itna bol Steve waha se nikal gaya.
Uske jaate hi Slogan ne ek baar taali bajaayi aur ek aadmi peeche se aaya aur uske paas aake jhuk gaya.
Slogan : Steve par nazar rakho. Yadi zara bhi tumhe lagta hai ki paiso ki koi herr ferr hui hai aur yadi wo kisi se mila hua hai. Forun mujhe bataana.
Aadmi : Jii Dada!
Aur wo aadmi bhi nikal gaya.
Uske jaate hi iss baar Slogan ne do baar taali bajaayi aur ek aur aadmi peeche se aaya aur uske nazdeek jhuk gaya.
Slogan : Tumhe ispe nazar rakhni hai jo gaya abhi. Dhyaan rahe, yadi tumhe zara bhi lage ki ye mera kaam karne ki bajaaye Steve ke saath mil ke peso ki herra feri kar raha hai toh usse wahi uda dena. Par dhyaan rahe yadi mujhe pata chala ki tumne keval befaaltu usse maara hai, toh agla udne waala sarr tumhara hoga.
Dusra aadmi : J-Jii Dada!
Aur itna bol dusra aadmi bhi jaa chuka tha.
Finally, Slogan ne Veer ki taraf apna focus kiya aur usse dekha.
*Ring Ring*
Par tabhi uska phone baj utha.
Aur number dekhte hi Slogan ki bauhe sikud uthi.
Slogan : Hello!?
Voice : I told you! Didn't I!?
*Craasssssssssshhhhhhh*
Aur agle hi pal Slogan ne zorr se apna phone patak ke fek diya. Phone do tukdo me jaake toot gaya.
"Maaadarchooodddd!!!"
Wo chillaya...
Aur uske chillaate hi Kaera jo ab tak behosh padi hui thi, wo kasmasaayi aur apni palke jhapkaane lagi.
"Umm..."
Usse hosh aa chuka tha. Uski aankho se dhundlapann hata aur jese usse saamne ka nazaara nazar aaya. Usse koi bhi chot nahi aayi thi. Wo bas Bomb ke blow se thoda sa dur jaa giri thi jiske chalte wo behosh ho gayi thi.
"Where...!? Where am I!?"
Aur agle hi pal uske kaano me ek jaani maani awaaz padi.
"Y-You... Okay!?"
Usne bagal me dekha toh wo thoda chaunk gayi. Veer uske bagal se rassiyo se bandhe hue baitha tha. Aur usse apni haalat par dhyaan aaya fir, ki wo khud bui toh bandhi hui thi.
Kaera (shocked) : Y-You!??? Veer!!!!?
Veer : Hmm~
Kaera : Where...!? Where are we!? Aur tum yaha!? Y-Ye sab!?
Veer : In short, you got kidnapped. Mein isliye yaha hu because I came to save you. But as you can see, I got caught.
Kaera smart thi boht. Veer ke chote se description se wo saari baatein samajh chuki thi. Wo blast, wo Jassi ka yu bathroom jaana baar baar aur uska yaha hona. Everything was planned. It was a trap.
Wo kuch kehne ke liye hui par tabhi...
*Tuck* *Tuck*
Juuto ki chalne ki awaaz ne uska dhyaan kheecha.
Aur tabhi uski aankho ke samaksh ek suit pehna vyakti saamne aaya.
Slogan : Kitna... Kitna bhaagna pada hai tumhaare liye. Kitne saalo se... Akhir! Akhir tum mere haath aa hi gayi. Tum soch bhi nahi sakti.
Kaera : T-Tum kaun!? Who are you!? Aur yaha mujhe aise kyu...!?
Slogan : Who am I!?? Hahaha~ Mein Slogan hu.
Naam sunte hi Kaera ki aankhein hairaani ke maare felti chali gayi.
Beshaq! Ye naam usne Jassi aur Raghu ke muh se kayi baar suna tha. Wo jaanti thi ki ye aadmi uske peeche pada hua hai. Par kyu? Iska jawaab usse bilkul bhi nahi pata tha.
Kaera (nidarta se) : What do you want from me!? Jo kehna hai seedhe muh kaho. Why act like a coward!?
Veer Kaera ki nidarta dekh khud aascharya me tha. Usse nahi laga tha ki Kaera itna straightforward hoke baat karegi.
Slogan : What do I want from you!? Arre sab kuch toh tumhi se milna hai mujhe...!
Kehte hue Slogan ne zorr se Kaera ki chin apne haato me jakad lii.
Kaera : Mmphhhh...
Veer : Youuu.....!!!!!
Apni rassiyo ko zorr se marod Veer ne khud ko jhanjhora... Par koshish bekaar.
Rassiya boht hi mazbooti se bandhi hui thi.
Veer : Don't you dare touch her....!!!
Wo gurraaya. Par Slogan toh jese Veer ke ravaiyye ko dekh aur bhi khush ho raha tha. Maano jese wo yahi chaahta tha.
Slogan : Hahaha~ Karo gussa! Aatish ko toh badi hi berehmi se maara tumne hai na!?
Veer (shocked) : Tumhe...!? Tumhe kese!?
Ye sunn jese usse boht bada jhatka laga tha. Aur bina samay waste kiye hi usne fir...
'Check!'
*Ding*
[Real Name : Sanjeev
Alias Name : Slogan
Age : 58
Bio : Sanjeev ek crime boss hai. Different crime organizations aur underworld me usse kaafi log jaante hai. Uska ek hi maqsad hai, Kaera ko paana aur usse khatam karna.]
Aur bio padhte hi Veer ki haalat sahi toh bilkul bhi nahi thi. Bhale hi zyaada details nahi mili thi. Par Slogan ka goal spasht roop se uske saamne tha.
Aur ab bas chinta hi usse khaaye jaa rahi thi. Atyant bechaini. This man was not someone with whom you can deal alone.
Slogan ek crime boss tha.
'Shitttt!!!! No no no no no... I can't let anything happen to Miss Kaera.'
[This is really bad!! Tum... Try to open the knots. Loose karo unhe kheech ke.]
'I'm trying... Kuch nahi ho raha hai. It will take time.'
Aur Slogan agle hi pal ek chaaku liye aage badha.
'No no no.... Ughhhh!'
Veer ghabraate hue apne aap ko poore force ke saath jhanjhora aur unn rassiyo ko dheeli karne ka prayog kiya par koi fayda nahi.
Rassiya dheeli toh ho jaati par time lagta. Aur Veer ke paas time ki hi toh kami thi.
Slogan ne Kaera ka ek haath khola aur uske haath me chaaku thamaayi aur uska haath apne haatho me pakda raha.
Veer sawaaliyo nazro se pal bhar ke liye unhe dekha par agle hi pal...
*Splurrrrrrrtttttttt*
"Aaaaaaaaaaaaarrrrrrrrrrrrgghhhhhhh"
Ek zordaar cheenkh uss kamre me goonj gayi.
Aur ye cheenkh kisi aur ki nahi, Veer ki thi.
Kyuki iss waqt Slogan ke haatho me Kaera ka haath tha jisme chaaku thi.
Aur wo chaaku Veer ke haath me dhassi hui thi. Wo laal laal koon behna shuru ho chuka tha.
"Noooooooooooo....!"
Kaera khoon dekhte hi chillaayi aur apne haatho ko peeche kheechne ke liye hui par...
Slogan ke dono haath aur dabaav daal uss chaaku ko andar ghused rahe the.
"Aaaaaarrrrrrrghhhhhhh"
Wo chaaku aise andar baahar ho rahi thi jese maano kisi phal me maar dii ho.
Par Veer ki haddi ko wo penetrate na kar saki. Kaaran!? Kaaran tha Bone Reaper jo Veer ne equip kiya hua tha. Fir bhi... Dard toh dard hota hai. Bhale hi Veer ki haddi sahi salaamat thi, par dard toh utna hi hona tha.
Wo dard se tadap raha tha. Uske perr zorr zorr se zameen par patak kar shor kar rahe the. Uski kursi bhi dolne lagi thi aage peeche hokar.
Aur wo chaaku ki chamdi ko ujaadne ki awaaz jiske chalte khoon ris ris ke baahar aa raha tha aur gaadha gaadha ekdum laal behte hue zameen par gir raha tha.
Aaj pehli baar Kaera ki aankho me aasu aaye the. Itne saalo ke baad.
"Noooooooo....! D-Don't.... Leave him alooooonneeee!!!!"
Veer ko dard me dekh pata nahi kyu... Uski aankhein apna aap namm ho chali.
Usne bharpoor prayaas kiya ki wo apna haath kheech ke uss chaaku ko baahar nikaal sake par Slogan ke dono haath uske force par bhaari pad rahe the aur na chahte hue bhi wo kuch nahi kar paa rahi thi.
"Pleaaaaaseeeeee!!!! Leave him alooonnneee!!!!"
Shayad aaj pehli baar Kaera ne itne varsho me kisi se please kehke guhaar lagayi thi. Itna darr toh usse tab nahi laga tha jab Slogan uski chin pakde hue tha.
Kuch bhi ho, Kaera Veer ko iss dard me nahi dekhna chaahti thi. Kyu!? Iska reason usse bhi nahi pata tha.
[Nooooooo!!!!]
Iss baar Pari ki bhi ek zordaar bechaini bhari cheenkh Veer ko apne mann me sunaayi dii. Wo samajh chuka tha ki Pari uske liye kitna concerned thi. Bhale hi uska behaviour badal chuka tha. Par Veer ye jaan ke khush tha ki Pari still cared about him.
'Fuuuuuuccckkkkkk!!!!! Aaaaaaarrrrghhhh!!!'
Apne nichle honth ko daato me dabaaye Veer dard ko sehne ki koshish kar raha tha toh wahi Slogan aur zorr se chaaku ko ghuma ghuma ke Veer ki chamdi ukhaadne me laga hua tha.
*Splurt* *Splurt*
Bas aisi hi awaaz aa rahi thi khoon ki risne kii.
Slogan : Mein isse thodi maarunga... Isse toh tum maarogi. Hahaha~ Aur fir tumse mein niptunga.
Kehte hue usne chaaku baahar nikaali aur ek baar fir...
*Spluuuurttttttt*
"Aaaaaaaaaaaaaaaarrrrrrrrrrrrghhhhhhhh"
Ussi hamle ke upar hi dusra prahaar kiya Slogan ne. Aur uske haath ki chamdi ko cheerte hue Chaaku ek baar fir ghus gayi.
"Nooooooooooooooo~"
Iss baar Kaera ki ye guhaar jaise kisi ne sunn lii, kyuki agle hi pal...
*Bang*
Ek gunshot ka sound baahar se aaya aur andar maujood ek aadmi dhadaam se zameen par gir pada.
Slogan ke haath apne aap hi wahi rukk gaye aur usne jese hi entrance me dekha...
Usne paaya ki 30 se 35 aadmi sabhi gun liye andar aa rahe the.
"Tchhhh!"
Daat meeste hue usne Kaera ko wahi chorra aur wo bhaaga peeche ke gate ki orr...
"Gherr lo... Ek bhi aaj bhagne na paaye..."
Ye awaaz sunn Kaera ki jaan me jaan aa gayi thi jese. Kyuki ye awaaz Raghu ki thi.
Slogan ke saath kuch aadmi toh bhaag gaye the par kuch wahi reh gaye aur nateeja unki maut.
Itne saare log ek saath aaye the. Raghu ne jese hi kaera ko dekha uski jaan me jaan aayi.
Raghu : Thank God you are safe...
Par uski nazar jese hi bagal me gayi toh wo hairat ke maare wahi jamm sa gaya.
Veer ka haath khoon se latpat tha. Uske chehre par paseena hi paseena tha aur uski aankhein band hone ko ho rahi thi.
Kaera (cries) : R-Raghuuuu!!!!
Fatafat samay ki paabandi ko dhyaan me rakhte hue Raghu ne rassiya kholi aur Kaera aur Veer ko azaad kiya. Par Veer jese apne hosh kho raha tha.
Blood loss jo ho gaya tha itna.
Kaera : Raghuuuuuu! Veeeer.... We...
Raghu : I know Miss! Suno tum sabhi, Miss ko leke forun ghar ki orr jao. Mein isse hospital tak chorr ke aata hu.
Kaera : I'll... I'll come too...
Raghu : Nooooo! Aap nahi! Please! Ghar jaiye! Sir wait kar rahe hai aapka.
Apne dad ke baare me sunn Kaera shaant pad gayi aur na chaahte hue bhi usse waha se jaana pada.
Par jaane se pehle usne kayi dafa peeche mud Veer ko dekha jo neeche pada hua tha. Aur Raghu apna rumaal baandh uske khoon ko rokne ki koshish kar raha tha.
***
2nd January
*** Hospital
10:36 AM
Veer ko jab hosh aaya toh usne dekha ki wo hospital ke bed par laita hua tha.
Usne kasmasaate hue apni aankhein mali aur apne ek haath ka jaayza liya jo pattiyo se bandha hua tha.
Usne Pari se baat karne ki bhi koshish kii par Pari sleep mode me thi.
Shayad Veer ko wo araam dena chaahti thi isliye wo kal raat me hi sleep mode me chali gayi thi.
Veer jaanta tha ki Pari uski energy use karti hai active rehte waqt. Toh uska sleep mode me jaana ye concern tha Veer ke prati. She wanted him to recover soon.
"Arrrghhh!"
Karaahte hue jese Veer ne jaise hi saamne dekha toh wo ek baar fir ashcharya chakit reh gaya.
Saamne teen behad hi parichit aurte maujood thi...
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!
Like aur comments karne ka.
Dhanyavaad!!
Bahut जबरदस्त awesomeUpdate - 64 ~ Help on the wayAb tak...
*Ding*
[You have received a Legendary Card.]
[This... Omg!?? No waayyyyyyy!!!]
Aur Pari ke reaction ki awaaz sunn, iss baar maar khaate hue bhi Veer ke hontho par ek muskaan thi.
Ab aage...
Kishor's Villa...
11:15 PM...
Jaha Veer ka koi thikaana nahi mil raha tha dhundne par wahi iss waqt, Mumbai me hi Kishor apne khud ke aalishaan villa me iss waqt night wear waale kapde pehne apni ek chair par baitha hua book padh raha tha. Jaise usse koi fiqr hi nahi thi.
Kaafi derr se wo aise baithe hue tha jab uske room ka darwaaza khula aur ek ladka uss kamre ke andar daakhil hua.
Wo ladka keval ek full black t shirt aur neeche blue coloured jeans pehne hue tha. Kishor ne apne peeche se kisi ke aane ki aahat paate hi book band kar dii aur bina uss ladke ko dekhe hi pucha, "Kaha the itni derr tak?"
Uske sawaal par ladke ne jawaab diya, "Mene aapko jataaya tha ki mujhe aane me thoda late ho jaega."
Kishor : Hmm! Thoda nahi kuch zyaada hi late ho tum.
Kishor ne side wall me lagi ghadi ki orr dekhte hue ishaara kiya, jisme samay 11:15 ho raha tha.
Ladka (sighs) : Kaam tha. Isliye... Thoda late ho gaya.
Kishor : Accha!? Theek hai. Par apne samay ka dhyaan rakha karo Karan. Mujhe poke na karne pade tumhe baar baar.
Karan : Jii!
Late aaya vyakti koi aur nahi, Kishor ka apna beta Karan hi tha. Aur Kishor shayad uske late aane se thoda disappointed tha.
Kishor : Jao ab.
Karan : Mujhe kuch baat karni hai aapse.
Kishor : Kesi baat!?
Karan : Aapko pata hai dii ke baare me? Kuch derr pehle kya hua?
Kishor : Hmm~
Karan : Toh? Aapne kya action liya?
Kishor ne iss baar palat'te hue apne bete ki orr dekhte hue kaha, "Tum kab se mujhse sawaal jawaab karne lage?"
Karan (frowns) : Baat meri dii ki hai. Unke upar hamla hua tha. Wo toh accha hua Veer waha tha otherwise...
Kishor : Hmm!? Veer... Tum kaise jaante ho usse? Huh?
Karan : Mein... Mein uss se mil chuka hu.
Kishor : Ohh! Aur ye baat tumne mujhe bataana zaroori nahi samjhi?
Karan : Wo... Bas choti sii mulaqaat thi.
Kishor : Hmm~ Toh!? Kya pata chala uske baare me?
Karan : Matlab?
Kishor : Mera matlab tum uss se mile ho toh itni derr milne ke baad kya kuch jaan paaye uske baare me?
Karan : Wo... I don't know much. Itna pata hai ki wo ek accha ladka hai. xxxxxxx college me padhta hai. Abhi abhi khud ka food truck shuru kiya hai shayad usne. Overall, mujhe uska first impression accha laga. Not to mention ki usne dii ko do baar bachaaya bhi hai.
Kishor : Hmm? Do baar?
Karan : Aapko nahi pata? Uss time jab dii par club me attack hua tha? Veer ne hi dii ko waha se safely Raghu and Jassi Sir ke paas pohuchaaya tha.
Kishor : Ohhh!
Karan : Hmm! Aur meri abhi Raghu se baat hui hai. Usne bataaya mujhe kitna kuch ho gaya hai. Dii toh waapas aa rahi hai uske saath par Veer mushqil me hai. Kya aapko nahi lagta ki aapko iss waqt kuch karna chaahiye!?
Kishor : Kya chaahte ho tum?
Karan : Mein... Mein chaahta hu ki aap Veer ko kisi bhi haalat me waha se bacha ke laaiye.
Kishor : Bas!?
Karan : Huh!??
Kishor : Tumhaare aane se pehle hi mujhe Kaera ka phone aaya tha. And for your information Mister Karan, mene uss Veer ke liye help bhej dii hai. Copter bhi bheja hai saath me.
Karan (surprised) : That...
Kishor : Yadi baat ho gayi ho, toh tum jaa sakte ho.
Karan : J-Jii!
Karan sarr jhukaate hue waapas mud jab jaane ke liye hua tabhi ek baar fir Kishor ke room ka darwaaza khula par iss baar boht hi tezz jhatke ke saath aur andar jaldbaazi me koi daakhil hua.
"F-Father!!!!"
Karan : Diii!!!!
Kaera, jo ki Raghu dwara Mirror Gallery se safely rescue kar lii gayi thi wo apne ghar pohuchte hi seedha apne pita ke room me ghus aayi.
Bagal me khade apne chote bhai Karan ko usne ek jhalak dekha aur fir waapas se apne pita ko dekh aage badhi.
Kaera : Father! Wo... Veer... He's in trouble.
Kishor apni beti ke sawaal ka jawaab nahi diya. Wo bas Kaera ko dekh ke kuch parakhne ki koshish kar raha tha. Shayad soch raha hoga ki bhala meri beti, jo itni badi company ki maalkin hai wo kisi aerre gerre natthu kherre ke saath kabse dosti karne lagi? Shayad uske mann me khatre ki ghanti baj rahi thi.
Kishor : Mene uske liye help bheji hai na beta?
Kishor kehte hue utha aur apni beti ke paas aaya aur usse gale se laga ke dheere dheere uske sarr par haath ferrne laga.
Kishor : Tumhe kuch hua toh nahi!?
Kaera bechaari kuch keh hi na paayi. Aisa boht kam hi hota tha jab uske pita usse apne gale se laga ke kuch kehte the.
Kaera : I... M-Mein theek hu but Veer.
Kishor : Don't worry! Mene help bheji hai na? Sab theek ho jaega. Okay!?
Kaera : Mm~
Kishor : Chalo! Jao ab tum sab apne apne kamre me aur rest karo. Okay?
Ye jaise request nahi thi balki ek order tha. Kishor ne na fir unhe dekha, wo seedha palta aur apne jeb se ek cigarette nikaal ke usse light kiya aur muh me rakh kar ek kash lagaate hue wo waapas se apni kursi par wahi book liye baith gaya.
Jaise maano uski taraf se sab sahi tha aur ab kuch faaltu baatein karne ki koi zaroorat nahi thi.
Kaera samet Karan dono hi baahar nikle toh Kaera bina kuch kahe apne room me jaane lagi. Uski haalat boht hi unstable sii thi. Uske mann me bas wahi manzar baar baar chal raha tha jisme Veer ki akhiri muskaan dikhaayi de rahi thi usse aur fir baad me uss gate ka band ho jaana. Yahi sab soch soch ke Kaera itni ghabraayi hui thi ki usse khud nahi pata tha ki uski haalat kesi ho gayi hai.
Karan apni badi behan ko dekh aaj itna toh jaan gaya tha ki uski didi koi robot nahi hai. Wo bhi ek insaan hai jo sab kuch feel kar sakti hai. Dusro ki fiqr kar sakti hai, unki chinta kar sakti thi. Aur Karan ko toh jese bas yahi chaahiye tha.
Karan : Dii!?
Usne haule se chalte chalte hi peeche se bulaaya. Kaera uski pukaar sunn palti par kuch na boli.
Karan : Aap theek ho na?
Ek baar fir Kaera ne koi jawaab na diya. Uski aankho me aasu the. Usne palke jhapkaate hue Karan ko nazre utha kar kuch pal ke liye dekha.
Karan ne usse dekh kuch socha aur fir kaha, "Kya mein aapka phone dekh sakta hu?"
Kaera bina kuch kahe hi uske haath me apna phone thama dii aur fir wo mud ke apne kamre me jaane lagi.
Uska ye ravaiyya dekh Karan bas pheeki sii muskaan liye wahi deewaar se tik ke khada ho gaya aur apni badi behan ko yu jaate hue dekhta raha.
Aaj bhi wahi hua, harr baar ki tarah. Na jaane kab unn dono ke beech ka ye rishta badlega?
Kya hua tha inn dono ke rishte ko? Kyu Kaera ne Karan ke sawaal ka jawaab nahi diya? Iski kahani inke ateet me hi chhipi hui thi.
Bachpan me, jab Kaera se uski azaadi chheeni jaa rahi thi yaani ki jab Kaera ko uski Maa ke chale jaane ke baad se band bangle me padhaaya likhaaya jaa raha tha tab umr me badhte hue Karan ke liye aisa kuch nahi tha. Uske liye sab kuch normal hi tha.
Wo auro ki tarah ghumne firrne jaata, wo khul ke kahi bhi jaa sakta tha, wo school jaata tha, apne dosto ke sang khelne toh kahi uske dost uske ghar aake saath me khelte the. Aur issi beech wo apni jab badi behan ko yu bas padhte hue dekhta tha toh usse aisa lagta tha ki kitni boring hai uski behan.
Jab dekho tab padhayi me lagi rehti thi. Ek prakaar se Karan ne Kaera ko apni asli behan ke roop me dekha hi nahi tha. Jab aapki baat hi na ho kisi se toh aap naturally unme apna rujhaan kho baithate ho. Yahi hua tha Karan ke saath bhi.
Wo bhool chuka tha ki uski apni behan bhi hai. Aur wo bas apne enjoyment me jeene laga. Pita paisa dete hi the usse. Usse bas ek hi kami mehsoos hoti thi wo thi apni Maa kii jisse wo theek se jaan bhi na paaya. Kyuki uske janm ke kuch saal baad hi uski Maa ye duniya chorr kar jaa chuki thi.
Par Karan ko nahi pata tha, ki jab jab wo khule aasmaan me apne dosto ke sang apni azaadi manaata tha tab tab bangle ki upari manzil ki khidki se uski badi behan usse ek aas liye dekhti thi. Ek aas ki usse bhi kaash baahar jaane milta.
Dheere dheere wahi aas kab ghrina me tabdeel ho chuki thi, ye baat swayam Kaera bhi nahi jaanti thi. Uske bhai ko saari azaadi thi, fir usse kyu nahi? Kyu wo ek jail me qaid mujrim ke samaan ka jeevan jee rahi thi apne hi ghar me? Sawaal toh dherr saare aate the uss waqt uske mann me.
Par unn sawaalo ko lagataar padhayi, shishtachaar, ghar ke prati zimmedaariyo ke lessons ne jaise daba ke rakh diya tha. Harr rozz professors aate aur Kaera ko ye samjhaate ki usse kya bann'na hai. Iss beech jo ghrina uske andar thi, wo thi zaroor par jaise wo apna kaaran ya maqsad bhul chuki thi. Bas kahi chhipi hui thi andar.
Fir wo din aaya, jab Kishor ne Karan ko baahar bhejne ke liye padhne bheja. Karan apni badi behan ki baato se pare padhne ke liye videsh gaya. Apni behan ki hi tarah wo bhi business ke liye hi studies karne gaya tha jab usse ghar se dur rehke kayi baato ke baare me pata chala.
Usse dhyaan aaya ki uski behan bhi toh hai aur kitni kam baatein hoti thi unke beech. Videsh me jab usne apne dosto ki behne dekhi aur unke beech relationship ko. Toh usse jaise samajh aaya ki wo kitna galat kar raha tha apni behan ke saath.
Aur fir usne chhaan been shuru kari ki akhir kyu uski behan band bangle me raha karti thi aur kyu usse itna padhaaya jaata tha. Jab Karan ko baat samajh aayi toh usse bas glaani hi mehsoos hui.
Kitna nasamajh tha woh. Kitna kuch kar sakta tha wo apni behan ki khushiyo ke liye par usne kiya kya? Kuch bhi nahi.
Aur tab se hi uski behan Kaera usse aise dekhti thi jaise maano kisi anjaan aadmi ko dekh rahi ho. Wo jo ghrina thi Kaera ke mann me wo abhi bhi thi par Kaera ab ye nahi jaanti thi ki kyu wo aisa feel karti thi.
Jaise maano wo bhul gayi thi. Karan ko iss se pehle kabhi kisi ke liye itni peeda mehsoos nahi hui thi. Wo ye bhi maanta tha ki shayad Kaera uss se ek aur kaaran se naraaz rehti thi wo ye ki uske janm ke kuch saal baad hi unki Maa ka dehaant ho chuka tha.
Ab kya ye sach tha ki Kaera usse iss baat ko lekar bhi hate karti thi? Ya nahi? Ye wo nahi jaanta tha par maanta zaroor tha ki ek ye kaaran bhi ho sakta tha.
Aur tab se hi usne Raghu ke contact me rehna shuru kiya. Usse samajh aaya ki uske Dad ne uski behan ko kaise ek robot bana ke rakh diya tha.
Aur isliye, usne apni shuruaati padhaayi poori kar waapas Mumbai aane ka faisla liya. Woh faisla ki wo apni behan ko pehle jaisa kar ke rahega. Jo bhi galti uss se past me hui, uski bharpaayi kar wo apni behan ko wo puraana jeevan lauta ke rahega.
Aur kuch samay baad hi usse pata chala Veer ke baare me. Usse pata chala ki Veer naam ke kisi ladke ne uski behan ki jaan bachaayi thi.
Yaha tak ki uss se milne ke baad uski behan ke chehre par muskaan bhi thi. Maano jaise ek raah nazar aayi thi Karan ko. Shayad wo apni dii ko pehle jaisa bana sakta tha!?
Mumbai aane ke baad isliye usne sabse pehle Veer se milne ka faisla liya. Wo dekhna chaahta tha usse, parakhna chaahta tha, kahi ye vyakti uski behan ke liye koi khatra toh nahi tha?
Aur milne ke baad hi jaise uske saare doubts clear ho chuke the. Veer hi tha wo insaan jo uski behan ko sahi kar sakta tha.
Aaj jab usse pata chala ki Veer ne ek baar fir uski behan ko bachaaya apni jaan jokhim me daal ke toh uske mann me jo Veer ki jagah thi, uska sthaan aur upar ho chuka tha. Ab toh woh waqai dil se genuinely uska dost bann'na chaahta tha.
Kyuki wo jaanta tha, ki yadi uski behan me koi badlaav laa sakta tha. Toh woh tha ~ Veer!!!
Wo soch hi raha tha khade khade jab uske bagal se aake Raghu khada ho gaya.
Raghu : Bad News!
Karan : Kya hua?
Raghu : Jassi ka call aaya abhi. Veer ka koi pata nahi mil raha. Wo log shayad usse utha ke le gaye hai.
Karan (shocked) : Kya???
Raghu : Haan! Usne kaha hai Miss ko na bataane ke liye.
Karan : Par... Ye toh... Shitttt!!
Karan khud parershaan ho chuka tha. Jis shaks ke baare me wo abhi kuch derr pehle soch raha tha ki ye vyakti hi uski behan ki madad kar sakta hai ab toh wahi vyakti gaayab ho chuka tha. Jhatka toh lagna hi tha.
Karan : Toh abhi kya?
Raghu : Abhi... Jassi ne orders diye hai isse dhudne ke. Dekho, kya hota hai.
Karan : Usse kaise bhi karke dhundna hoga. Kaise bhi kar ke. Usse kuch hone nahi de sakte hum.
Raghu : Tum kab se usme itna interest lene lage?
Jab Raghu ne ye sawaal pucha toh Karan apni nazre churaate hue palat gaya.
Karan : Don't ask me. Bas itna samajh lo ki... Wo important hai.
Raghu : Well! Jaisa tumhe sahi lage. Aur tum mujhe bhaiya ya Sir kehke kab bulaoge haan? Tumhe pata hai mein 29 ka hu aur tum 20 ke.
Karan : Tumhe dekh ke Sir bulaane waali feeling hi nahi aati.
Raghu : What the...!? Aur Jassi ko Sir kyu fir?
Karan : Well! Unhe dekh kar aati hai. He's more... Umm... Professional.
Raghu : Tch... Keval do saal hi toh bada hai wo mujhse.
Karan : Yeah... yeah!!!
Raghu : Anyways! Mujhe jaana hoga. Jassi ko help ki zaroorat hai.
Karan : Raghu...
Raghu : Hmm?
Karan : Mujhe bhi le chalo. I need to find him.
Raghu : Hein? Oo bhai, tumhara koi kaam nahi hai waha. Wese bhi yadi tumhe kuch hua toh Boss meri khatiya khadi kar denge.
Kehte hue jab Raghu jaane ke liye hua toh iss baar Karan ne uska haath pakad uski aankho me dekha.
Karan : Please!!!
Aaj pehli baar Karan ne uss se please bola tha. Bhale hi Karan usse bhaiya kehkar nahi bulaata tha par ye please apne aap me special tha Raghu ke liye.
Raghu (sighs) : Theek hai. Par ek shart...
Karan : Treasurer Luxury Black!
Raghu (smiles) : Hahaha~ Kitna acchi tarah samajhte ho mujhe. Dekha! Mein kitna easy to understand hu. Kaha tum lage uss Jassi ki tarafdaari karne. Chalo aao. Leke chalta hu tumhe.
Aur Raghu uske kandhe me haath daal usse le jaane laga. Karan bas ek raahat bhaari saas liya aur uske saath chal pada.
Raghu jab bhi apni shart saamne rakhta tha, aksar uski shart yahi hoti thi. Treasurer Luxury Black. Ye ek cigarette thi.
Aur ye import hoke Karan ke pita, Kishor ke liye aati thi. Kitni mehngi thi ye bataane ki zaroorat bhi nahi thi. Ab Karan ka ek kaam badh gaya tha, wo ye ki shart ke mutaabik usse ab kam se kam ek dabba nikaal ke Raghu ko dena padega.
Aur ek aur kaam ye ki unhe yaha se nikalne ke liye neeche guards ko pataana padega. Warna yadi unme se kisi ne bhi upar jaake Kishor ko bataaya toh Karan ki shaamat aa jaani thi fir.
***
Ragini's house...
Ragini ke ghar me mahaul kharaab tha. Matlab waqai kharaab. Ragini chinta ke maare idhar se udhar ho rahi thi aur ye faisla ni le paa rahi thi ki kya kare?
Kya police ko inform kar de? Ya nahi?
Wo Arohi ko phone laga ke puch chuki thi, Veer ki ma'am Nidhi madam se bhi uski baat ho chuki thi par dono hi jagaho par Veer ka koi thikaana nahi tha.
Ab aise me hi ek hi option bachta tha wo tha police.
Par dikkat ye thi ki Ragini sure nahi thi ki Veer waqai laapata hua hai ya nahi? Aisa na ho ki wo Police ko bulaane jaaye aur fir Veer aa jaaye. Ya aisa na ho ki wo Police ko na bulaaye aur Veer ke saath koi anhoni ho jaaye!?
Dono hi sawaalo me wo iss waqt phassi hui thi. Kya kare? Aur kya na kare?
Tabhi peeche baithi Suman ki awaaz uske kaano me padi, "Aap shaant ho jaaiye Ragini jii!"
Ragini : Kese shaant ho jau mein Suman jii? Din ka nikla hua hai woh aur kabse call kar rahi hu, ek call nahi uthaaya hai usne. Na hi koi jawaab de raha hai. Arohi se pucha udhar bhi nahi hai woh, Nidhi Ma'am ko lagaaya call mene udhar bhi uska koi ata pata nahi hai. Kese shaant ho jau aise me mein?
Suman : Aapki baat sahi hai par... Tension lene se kuch haasil nahi hoga hai na?
Aabha : Maa jii ki baat sahi hai Bhabhi jii! Aap apne swaasth par bhi dhyaan dijiye.
Ragini : I just... Nahi! Mein baithi nahi reh sakti. Mein police me complaint likhwaane jaa rahi hu.
Aur Ragini achanak hi uth khadi hui, wo apne kamre me gayi aur fatafat usne ek jeans aur ek top daala aur upar se ek jacket aur wo baahar nikal kar jaane lagi toh Suman ne forun hi apni beti Sonali ko bhi Ragini ke saath bhej diya.
Suman : Sonali ko le jaaiye. Do log rahenge toh accha rahega. Mein aur Aabha yaha rukk ke maali... Matlab Veer jii ka intezaar karte hai tab tak.
Ragini : Haan!
Aur dono Ragini aur Sonali waha se nikal padi.
Par mahaul keval yahi tang nahi tha. Nidhi jisse iss baat ki khabar lagi thi ki Veer ab tak ghar nahi lauta tha wo firse na chaahte hue bhi ab chinta me doobi hui thi. Wahi haal Arohi ka bhi tha apne ghar me. Shayad jald hi kayi calls jaane waale the Ragini ke phone par Veer ke baare me puchne ke liye.
***
Slogan's Hideout...
[Breathe slowly. Yes!!! Calm down!!!]
Idhar Veer ko peetne ke baad wo log araam farma rahe the. Aur Pari uske mann me uski saanso ko santulit karne ke liye usse instructions de rahi thi.
Kayi jagah uske ang khoon se sane hue the. Aur itni maar ke baad zaahir tha ki Veer behoshi me chala jaega. Par wo aadmi uss par paani chhidak chhidak kar usse hosh me rakhe hue the.
Pari se Veer ki haalat dekhi nahi jaa rahi thi. Mann hi mann wo unn aadmiyo ko gaaliya bak rahi thi.
Jab Veer kuch shaant hua toh Pari ne details bharna shuru kiya jo behad zaroori thi.
[Okay! Toh sabse pehli baat. Hamaare paas ab keval 500 points bache hue hai. Baaki ke 1600 points kaha gaye? Quest me nipat gaye wo.]
Veer bas saas lete hue apni adhkhuli aankho se Pari ki baatein sunta jaa raha tha.
[Ab baat karte hai card ki toh... WHAT THE LUCK???]
'...'
[I mean yeah... Kya luck hai tumhaara haan? Tumhe pata bhi hai ye kya hai? Beowulf's blessings!!! Ye legendary cards me bhi top tier card hai. Aur tumhe bas ye 1600 points ki gambling me mil gaya? Just how insane your luck is???]
'...'
[Let me tell you ki iske kya features hai. Sabse pehli baat... Tumhe isse ON karna padega. Matlab equip karne ke baad ye apne aap ON nahi hoega. Kyuki ye thoda alag type ka card hai. Thoda risky bhi hai aur time limited card hai ye.]
'???'
Veer kuch keh nahi paa raha tha mann me par jaise Pari samajh chuki thi ki wo kya kehna chaah raha tha.
[Hmm? Nahi nahi, Time limited ka matlab ye nahi hai ki kuch time ke baad ye card chala jaega. Ye card permanent hai. Time limit se mera matlab ye tha ki tum iss ON karne ke baad bas kuch derr ke liye hi use kar sakte ho aur fir ye waapas se OFF ho jaega. Jab tak ki cooldown period khatam nahi ho jaata.]
'...'
[Ugh! Somehow I'm missing your blabbering... Anyways, dhyaan rahe. Isse equip karne ke liye tumhe SLOT se Bone Reaper hataana padega. Aur tum jaante ho na? Bone Reaper hataane ke saath saath hi tumhari bones waapas se normal ho jaengi. Rib cage fir unbreakable nahi rahega.]
'...'
[Huh? You want to equip it?? Dhyaan rahe ki tum isse fir 24 ghante tak hata nahi sakte SLOT se. Yahi niyam hai SLOT ka. You still want to equip it?]
'....!'
[Ughh!!! Fine! Theek hai equip kar deti hai.]
*Ding*
[Bone Reaper has been removed.]
*Ding*
[Beowulf's Blessings has been equipped.]
[Ye lo. Ho gaya. Ab suno, iske features jaan lo. Dekho card me likha hi hai, 60% increase in senses. Matlab tumhaare senses abhi ke muqaable 60% aur badh jaenge. Chaahe wo sunn'ne kii shakti ho, ya sunghne ki, ya dekhne ki, ya twacha se feel karne ki. Okay? Ye 60% badh jaengi.]
'...'
[Uske baad likha hai +50% in reflexes, agility, speed and healing. This is insane. Tumhaari agility aur speed 50% badh jaegi. By the way agility aur speed ek hi cheez hai. Let's say ki tumhaari agility 100 hai toh wo 50% aur badh jaegi yaani ki 150 pohuch jaegi. This is madness. Tum pehle ke muqaable boht tezz ho jaoge. Upar se healing bhi 50% badh jaegi. Aur toh aur full moon me ye percentage double ho jaenge. A fucking legendary card you got there. Oye sunn rahe ho na?]
Iss baar Veer ne bas haule se haami bhari.
'Mmm~'
[Thank God! Ab main baat par aate hai. Wo hai iska ON/OFF system aur iska risk.]
'...'
[Dekho, tumne card equip toh kar liya hai lekin ye abhi ON nahi hua hai. ON karne ke liye wahi switch hai bagal me card ke bas usse mann me jaake toggle karna hai aur wo ON ho jaega. Par dhyaan rahe...]
'...!?'
[Dekho mene bhi iska usage nahi dekha hai toh kuch na kuch toh hoega. Matlab... ON karne ke baad tumhaari breathing boht tezz ho jaegi. Okay? Tumhaare senses badhenge toh unme ho raha blood flow bhi toh tezz hoega na? Nateeja? Tumhaari saasein tezz ho jaengi. Aur ho sakta hai tum... Ahem... Tum kuch agressive ho jao. Ya zyaada hi agressive ho jao.]
Pari abhi aur kuch baatein kehti Veer se jab achanak hi...
*Click*
*Click*
*Flash*
*Click*
Veer ki aankho ke saamne baar baar roshni ka flash aane laga. Uski photos nikaali jaa rahi thi.
Saamne firse Aatish baitha hua tha aur wo Steve se baatein kar raha tha.
Slogan : Saari photos nikal gayi?
Steve : Jii Dada!
Slogan : Deals ka kya hua?
Steve : Bhargav se paisa mil gaya hai. LA me bhi maal exchange ki baat chal rahi hai. Rahi baat puraani payments ki toh wo mil gayi hai saari. Wo angrezz nahi de raha tha toh usse batti dii hai, kal payment kar dega.
Slogan : Hmm~ Good! Ab yadi mujhe jo information mili hai ki hamaari target iss Veer se prabhaavit hai toh zaahir hai ki iski aisi haalat dekh wo yaha toh zaroor aaegi hahahaha~ Steve! Bhejo zara hamaari Kaera ko iski ye photos. Aur likho neeche ki isse bachaana hai toh jald se jald bataaye gaye address par aa jaaye. Wo bhi akeli.
Steve : Jii Dada!
Aur Steve ne Veer ki photos ko Kaera ke phone par bhej diya.
Slogan : Tracking ka lafda nahi chahiye apne ko Steve. Kya hai fir Police ke liye aadmiyo ko bhejna padega taaki wo unhe busy rakh sake. Wo kehte hai na, sher ka shikaar karna ho toh kuch derr bakri ko saamne rakhna padta hai. Samjha na?
Steve : Jii Dada!
Air muskuraate hue Slogan Veer ke paas aaya aur uska chehra uthaate hue dekhte hue bola,
"Ab mein nahi... Tu khud laega usse yaha. Hahahaha~"
Par usse kya pata tha ki jis baat ke liye wo khush ho raha tha. Veer ko yaha kuch alag hi praapt ho chuka tha. Kuch aisa jis se shayad Slogan ki khud ki dhajjiya udd sakti thi.
.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!
Next update is full of action.
Apna apna kaam kar ke jaane ka tab tak.
Dhanyavaad!
Bhai rula dene Ala update mast ab aage veer kya karega or vo pagal ka kya huva or insab ke piche kon kon he veer kese sabki bend bajayega ye padhne me majha aayegaUpdate - 196 ~ The Fulfilled Promise
Ab tak...
Ye Veer ki qismat thi, ya kuchh aur-
Jo woh raasta dhundhne me saksham tha. Lair se baahar woh kooda. Mission complete ho chuka tha.
Parantu, Pari ne use iski soochna nahi di. Kyunk, notification tha-
[Mission Failed.]
[Due to the host's partial completion of the mission, all the three penalties of the mission won't be applied.]
[Due to the failure of not killing the Disembowler, one penalty will be applied to the host.]
[Mission penalty : Loss of loved ones.]
Ab aage...
Raat ke 12:05 baj rahe the. Aatishbaziyo ne Mumbai ke aasmaan ko jagmaga kar rakha hua tha, naye saal ke aagman ka har aadmi ullaas mana raha tha. Hawa me khushiyaan chhayi thi, log jashn mana rahe the, galey mil rahe the, iss nav varsh ka swagat karne ke liye khushi se chillaa rahe the. Lekin, isi sheher me iss shor ke beech kahi par maatam chhaaya hua tha.
News channels me prasaaran jaari the — Hotel Prestige ko lekar ek gambheer report. Kuchh bhayanak hua tha. Visfot. Khoon-kharaba. Jaano ka lutna.
Isliye, sheher ke kuchh hisso me jashn ka mahaul feeka pad chuka tha.
"Hotel Prestige par jaanlewa humla!"
"Kayi logo ke maare jaane ki khabar!"
"Suraksha guards maare gaye! Adhikariyo ko lakshit humle ka sandeh!"
Bars aur luxury clubs me TV screen par tabahi ke drishya dikhayi de rahe the — toote hue sheeshein, palte hue furniture, stretchers par le jaaye jaa rahe shav. Ek electronics showroom ke baahar ek chhoti bheed jama ho gayi thi, unki nazar andar rakhe display TV par tiki hui thi.
"Aaj ke din batao kya ho gaya. Tch tch!" Ek aadmi ne badbadate hue kaha.
"Hotel Prestige toh achha hotel tha. Hum toh gaye hai. Badhiya tha. Pata nahi kaise ho gaya ye sab. Mujhe lagta hai humla karwaya gaya hai." Ek mahila ne haami bharte hue kaha.
"Mumbai me crime badhta jaa raha hai. Tch! Tyohaaron me bhi ab-" ek raahgeer ne waha se nikalte hue fusfusaya.
Lekin, har koi shok nahi mana raha tha. Mumbai ke elite varg ke gharo me, oonchi-oonchi imaarato me glass takra rahe the aur dheemi baat-cheet me chhipi hui khushi thi.
Iss beech, Mumbai ki sabse shandar 7 star hotel — Casa Belle me patrakaro aur reporters ki bheed umdi hui thi. Cameramen apna camera liye hotel ke maalik — Aadesh Jaisinghani ke bayaan ka intezar kar rahe the.
Woh baahar aaya. Sleek hairstyle me geele baalo ko poori tarah peechhe kiye, Armani ki dress pehne, aisa lag raha tha maano woh abhi-abhi koi jashn mana ke aaya ho.
Aur, jaise hi woh saamne aaya, reporters uss par toot pade.
Reporter #1 : Mister Aadesh, Hotel Prestige par hue humle par aapke vichaar?
Reporter #2 : Hospitality industry me ek leading figure hone ke naate, aap uss suraksha chook ke baare me kya kehna chaahenge jiske chalte ye haadsa hua?
Reporter #3 : Casa Belle aur Hotel Prestige ke madhya shuru se hi oonch-neech hoti aayi hai. Kya aapko lagta hai ki ye humla kisi business conflict se juda hai?
Media ko chahiye tha masala. Kahani. Khabrein. Jo unhe police se utni maatra me nahi mil paayi thi. Aur, isliye khud Aadesh ne hi ye khabar media ke beech felwayi ki woh iss vishay ko lekar raat me apne vichaar rakhega. Media yaha aayi nahi thi. Unhe chalaaki se yaha laaya gaya tha.
Usne dheere se, kaafi baar abhyaas ki hui ek aah chhori, uski bauhe thodi si sikud gayi. Usne ek napa-tula qadam aage badhaya, yeh sunishchit karte hue ki camera uski aankhon me gehri suhanubhuti ko qaid kar raha hai ya nahi.
Aadesh (lagbhag shok me) : Dekhiye! Sabse pehle, mein peedito, unke parivaro aur iss bhayanak ghatna se prabhavit sabhi logo ke prati sanvedna vyakt karta hu. Aaj nav varsh ke shuru hote hi- yeh humla... Ye humla sirf Hotel Prestige par nahi hai. Ye humla saari hospitality industry par hai. Jab kisi hotel ko iss tarah se nishana banaaya jaata hai, toh ye harr atithi ke uss bharose ki neev ko hila deta hai jo woh hum par rakhte hai.
Reporters uske shabdo par sirr hilaate hue budbudaaye. Woh bilkul sahi baatein keh raha tha.
Aadesh ne aage bolne se pehle ek dramatic effect ke liye kuchh der viraam liya.
Aadesh : Dekhe... Maine humesha... Maine humesha se hi Hotel Prestige ko sammaan diya hai. Haan, mein sweekar karta hu ki humare beech competition chalta rehta hai. Lekin, ye ek healthy competition hota hai. Aur, competition ka matlab dushmani nahi hai. Business me ye sab aam baat hoti hai. Haal hi me, humaare Unicard ki launch ke dauran humne Hotel Prestige ko bhi aamantrit kiya tha. Mister Veer Singh, Miss Bhumika Singh, dono hi parivar jann ke saath padhaare the yaha. Aur, humaare mann me ek-dusre ke liye paraspar sammaan ke alawa kuchh nahi.
Uske hontho par ek dhoort muskaan ubhri, lekin usne badi hi chalaaki se ek aah bharte hue use chhipa liya.
Reporter #4 : Toh aap ko iss baare me koi idea nahi ki humle ke peechhe kaun ho sakta hai?
Aadesh ne asahaay bhaav se apna sarr hilaaya.
Aadesh (dheere se) : Ji, mein bhi Mumbai ke baaki logo ki tarah hairaan hu. Aisa kisne kiya hoga? Unka kya maqsad ho sakta hai? Ye aise sawal hai jinka jawab sirf police hi de sakti hai. Lekin, mein itna zaroor kehna chahunga ki — iss sankat ki ghadi me Casa Belle Hotel Prestige ke saath hai. Agar, hum unki madad ke liye kuchh bhi kar sakte hai, toh hum zaroor karenge.
Casa Belle aur Hotel Prestige ka samarthan? Sawal hi paida nahi hota. Yeh toh bas uski chaal thi.
Andar hi andar woh toh balki iss aapda ka aanand le raha tha.
Yarnia — Veer ka bhavya naya clothing brand, din ki raushni dekhne se pehle hi malbe me tabdeel ho chuka tha. Hotel Prestige, wahi hotel jisne uski Casa Belle ke saath bhidne ki koshish ki thi, ab ek crime scene ka sthal bann chuki thi.
Aisa lag raha tha jaise brahmaand ne swayam uski jholi me ye uphaar de diya tha.
Camera ke saamne usne fir se apna murjhaya hua chehra prastut kiya aur bola-
Aadesh : Kumar! Ye sab humare mehman hai. Inki khatirdari me kami nahi rehni chahiye.
Kumar (nods) : Ji, Sir!
Kehte hue woh wahi murjhayi awastha liye andar chala gaya. Aur, idhar news me uske charche hone lage. Jo uske kapti-pann se parichit nahi the, woh use saccha insaan maanane lage.
Iss traasdi ke bawajood, Mumbai ne rukne se inkaar kar diya tha.
Vyast sadko par, kuchh log shok mana rahe the, lekin kayi log bas aage badh gaye — kyunki, yahi Mumbai ka tareeka tha.
Kisi aspatal ke pareeksha kaksh me ek yuvti dheere-dheere ro rahi thi. Uska bhai, jo Hotel Prestige me security guard tha, mehmano ki suraksha karte hue maara jaa chuka tha. Duniya aage badh gayi, par uske liye uski duniya wahi khatm ho chuki thi.
***
Isi beech ghani raat me Disembowler ki lair ke theek upar sthit shamsan ke paas hi Erica aur Renshu khade hue the.
Renshu : Yahi jagah hai na?
Erica : Haan, dad! Usne toh yahi batayi thi. Kya mein-?
Renshu (nods) : Hmm! Shuru karo!
Erica (nods) : Okay!
Woh jhuki. Usne apna ek haath neeche shamshaan ki bhoomi par rakha aur fir-
'Basic Seer Vision!'
*Ding*
Agle hi pal alag-alag drishya uske mastishq me ghoomne lage. Woh bechari apni bauhe zorr se sikodi, kayi baar uska badan kaanp utha, magar woh waha se uthi nahi.
Renshu agal-bagal apni nazrein ghumaaye hue tha. Woh sunishchit kar raha tha ki kahi koi unhe dekh na le.
Yaha se woh khaali haath nahi laut sakte the.
Kuchh der pehle...
Ek mand raushni waali jagah. Medical equipment ki awaaz.
Ava ka shareer ek andheri sunsaan gali me khadi ek shandar kaali SUV ke andar ek asthayi operating table par laita hua tha. Uski saansein ab niyantran me aa rahi thi. Chehre ka rang wapas aa raha tha.
Uske pait par lagi goli ke ghaav ko pehle hi saaf kiya jaa chuka tha aur surgical precision ke saath sil diya gaya tha.
Garofano uske bagal se khadi thi. Usne zehreeli bullet ko badi hi kushalta se Ava ke shareer se nikaal diya tha. Uske haath sthir the, aur dimag gadna karne me laga hua tha.
Wahi thi jo Ava ko apne kandho par utha ke leke aayi thi. Uske theek peechhe Renshu, Erica ke saath khada hua tha.
Erica ki nigaahein Ava ke achetan roop ka adhyayan kar rahi thi. Uske dad ne humesha hi use iss aurat se satark rehne ko kaha tha. Magar, akhir kaun thi Natalia Martin? Ek bemisal worldwide famous singer aur celebrity. Kya waqai woh Veer ko dhoka deke use maarna chaahti thi? Woh dhyaan se Ava ko ghoorti rahi.
Aur, phir-
Renshu ne chuppi todi.
Renshu : Use hosh me aane me kitna samay lagega?
Garofano ne bina peechhe mude apne khoon se sane dastaane haath se nikaale aur apne haath me pehni ghadi dekhi.
Garofano : Bullet nikaale abhi mushqil se 15 minute hi hue hai. Zeher ki potency aur blood loss ko dhyaan me rakhte hue, ise kam se kam abhi 4 se 5 ghante toh-
"Ngh-!"
Uske shabd adhoore reh gaye jab ek dard bhari karaah ne use beech me hi rok diya.
Ava ka shareer jhatka khaaya, uski ungliyaan neeche seat ke leather par kassne lagi aur fir ek tez gati se, woh bhaari saans lete hue uth baithi.
Garofano ki aankhein avishvas me chaudi ho gayi.
Namumkin!
Ava ka ghaav gehra tha, zeher ke chalte use toh abhi ghanto tak behosh rehna chahiye tha. Magar, fir bhi woh kuchh hi minto me jaag chuki thi!?
[This girl... She has some sort of healing skill.]
Freya ki awaaz Garofano ke mann me goonj gayi.
Erica : Ah? Itni jaldi hosh bhi aa gaya?
Woh halka sa cheekhte hue boli. Yaha tak ki humesha shaant rehne waale Renshu ne bhi aankhein sikod li.
Ava (yells) : V-Veer!
Woh chillaate hue uthne ke liye aage badhi, lekin Garofano ne uske kandho par haath rakh use neeche baitha diya.
Garofano : Calm down!
Ava : Veer-!
Garofano : Sniper marr chuka hai. I have dealt with him. Ab koi khatra nahi hai. Don't worry! Take it easy!
Garofano ne fir apni jeb se ek kaagaz nikaalte hue Renshu ki orr kiya. Renshu ne use thaamte hue khola aur jab use dekha toh uski bauhe chinta me sikud gayi.
Garofano : Ye uss Dexter ke paas se mila. Kisi syndicate alliance ka member tha woh shayad. Check karne par toh yahi nazar aaya.
Ye wahi kaagaz tha jo Dexter ke paas tha. Veer ke parivar jann ke naam aur unki tasveerein iss kaagaz me maujood thi.
Veer ke parivar ka zikr aate hi Ava ki chhaati zoro se upar-neeche hone lagi. Aankhon me chinta abhi bhi barkarar thi.
Ava : Veer... *huff* Veer ki family! Mujhe- *cough* *cough*
Garofano (sternly) : Tumhe shaant rehne ki zaroorat hai!
Usne Ava ko beech me tokte hue kaha. Awaaz teekhi thi lekin nirdayi nahi. Aur, kahi na kahi woh Ava ka adhyayan bhi kar rahi thi. Bhala kis tarah ka system holder aisi chot ke baad itni jaldi hosh me aa sakta tha?
Garofano ki nazro me ek maun manzoori thi. Ava, sirf ek system holder nahi thi. Uske paas bhi uske trump cards the jinhe woh ujagar nahi kar rahi thi.
Erica aashcharya me uske qareeb aayi.
Erica : Itni jaldi kaise hosh aa gaya? Poison ki wajah se itni jaldi hosh nahi aana chahiye tha.
Ava : *huff* T-Tum... Tum sab... *huff*
Garofano : Calm down! Hum sab yaha Veer ke liye hi aaye hai. Aur, tumhe itni jaldi hosh aa gaya? Mein ye expect nahi kar rahi thi.
Ava maun rahi. Woh apne baare me kuchh bhi zaroori baatein nahi bataana chaahti thi.
Renshu : Humare paas samay barbaad karne ke liye nahi hai. Agar, hosh aa hi gaya hai toh kya tum Veer ki location ke baare me kuchh bata sakti ho? Kya tum jaanti ho woh kaha par hai iss waqt?
Ava wahi jamm ke reh gayi. Use yaad aaya. Woh ye kaise bhool sakti thi?
Usne Veer ko Death Flag se mark kar ke rakha hua tha. Bina kisi hich-kichahat ke usne apni aankhein band ki, Veer ki location par dhyaan kendrit kiya. Aur, kuchh hi palo me Veer ki asli location uske mastishq me aa gayi.
Usne apni aankhein kholi. Uska chehra peela pad gaya.
Ava (frowns) : W-Woh-! Woh shamshaan me hai! Uske neeche...! Underground...!
Renshu (frowns) : Shamshaan? Kaha par?
Ava ne use exact location batayi. Chaahe uska shareer kitna hi thaka hua kyu na ho, uske dimag me ek hi baat thi — Veer.
Garofano ne Renshu ko dekha. Dono ek baat jaan gaye the ki Ava ke paas Veer ko track karne ki koi na koi skill zaroor maujood thi. Dono ne hi mann me iss baat ki gaanth baandh li.
Garofano (turns) : Toh kya karna hai? Veer ke paas kaun jaa raha hai?
Renshu : Mumbai me tumhari maujoodgi ab koi rehesya nahi hai. Tum pehle bhi yaha sabke saamne aa chuki ho. Aur, haan- tum ek celebrity se kam bhi nahi. Poora Korea tumhare peechhe paagal hai. Isliye, tumhara Veer ke nazdeek jaana abhi faydemand nahi. Ye unwanted attention ko bulawa dega.
Garofano muskurayi. Apni ungliyon ko apne kaale reshmi baalo me firaayi.
Garofano (smirks) : Hmph! Thanks for the recognition- lekin, shayad tum bhool rahe ho ki mein stealth me maahir hu. Mujhe bas apne chehre par mask pehen'ne ki derr hai. That's it. But, haan! Abhi mein Natalia ko chhor ke yaha se nahi jaa sakti. Woh heal zaroor ho rahi hai but if trouble comes knocking, she won't be able to fight.
Renshu ne uski baat ko sweekar karte hue haami bhari.
Ava ne khud ko upar uthaaya, aur karkash awaaz me boli.
Ava : V-Veer ki family safe toh hai na? I... Usne mujhe- Usne mujhe zimmedari saunpi thi. *huff* M-Mein- Mein yaha aise nahi- *huff*
Renshu : Maine hotel me se ambulances ko nikalte hue dekha tha. Veer ki family ke kuchh logo ko check kiya tha maine. Hotel me ab koi nahi hai andar.
Ava (frowns) : K-Kya woh... Kya woh safe hai?
Renshu : Lagta toh hai. Police ne area ko takeover kar liya hai. Veer ki family shayad hospital gayi hai. Toh, uss hisaab se woh safe hone chahiye. Khatra hotel ke ird-gird hi tha.
Ava ne ek shaant saans chhori. Lekin, chinta zara bhi kam nahi hui.
Renshu (sighs) : Aur, agar mein chaahu bhi toh bhi hospital nahi jaa sakta.
Erica aur Ava dono ne hi use sawaaliya nazro se dekha.
Erica : Eh? Kyu dad?
Iske pehle ki Renshu jawab de paata, Garofano hasste hue jawab di.
Garofano (laughs) : Hahahaha! Because your dad is too damn big. Hospital me logo ko samajhne me hi ghante lag jayenge ki ye aadmi hai kaun? Itni badi qad-kaathi kaise hai? Kaha se aaya hai? Aur, Veer se uska kya sambandh hai? Hahaha! Samjhi?
Renshu : ...
Renshu ne uske chidhaane par koi pratikriya nahi di. Lekin, Erica kaha chup rehne waali thi?
Erica : Wh-What do you mean? Hmph! Mere dad ka matlab simple tha. Unka matlab hai ki Veer ko jald se jald dhundhna hai taaki problem ki asli jadd ka pata lag sake.
Garofano : Oh! Wow! Dekho toh humari Miss Erica ko. Smart banane ki kitni koshish kar rahi hai? But, you're still dumb. Fufu~
Erica : Who-? Who the hell are you calling dumb?
Garofano : Of course, you! Fufu~ Yaha par sirf tum hi dumb ho!
Erica : Y-You-!!
Usne apni mutthi bheenchi. Lekin, iske pehle ki woh jawab de paati, Renshu ki awaaz hawa me goonj uthi.
Renshu : ENOUGH!!!
Dono yuvtiyaan chup ho gayi. Par, Erica ka ghoorna khatam nahi hua.
Erica : Hmph!
Garofano : Fufu~
Renshu : Mein aur Erica Veer ki location par jayenge. Aur, tum yahi rahogi jab tak ki Natalia chalne ki condition me nahi aa jaati.
Garofano (nods) : Theek hai! Par, zyada derr mat lagaana. I don't like sitting on the sidelines.
Renshu ne koi jawab nahi diya. Woh bas apni car ki orr muda. Erica ne uska peechha kiya, aage badhne se pehle Garofano ko ek akhiri nazar se dekha.
Garofano muskurate hue unhe jaata dekhi. Fir, Ava ki orr ghoomi jo abhi bhi seat par laiti hui thi.
Garofano : Maine jitna socha tha, tum uss se kahi zyada mazboot nikli. You're hiding your cards too. Just like him. *smiles*
Ava ne koi jawab nahi diya, lekin uski aankhon ki chamak se Garofano ko pata chal gaya ki usne uski baatein sunn li thi.
Aur, isi tarah Renshu aur Erica Veer ki location par pahuch paaye the. Magar, jab tak ve yaha par pahuche, Veer underground lair se nikal chuka tha.
Kintu, Erica ki basic seer vision ye pata laga sakti thi ki yaha kuchh derr pehle kya kuchh hua tha.
Renshu : Erica!?
Erica apni palke khol uthi. Uske badan me rue khade hue the.
Erica : D-Dad!
Renshu : ??
Erica : V-Veer-!
Erica ne poore drishya toh nahi, lekin kaafi hadd tak kuchh derr pehle ki ghatna ko dekh liya tha. Veer ka ajeebo-gareeb system holder se bhidna, neeche ka bhayanak vatavaran, thandi sadti laashein, maans ke tukde, experiments, SHB, Veer ka haath katna aur uska Juhi aur Pihu ko bachaana.
Erica ne jaise hi Renshu ko sab batlaaya toh Renshu ke khud ke badan me ek sihran daud gayi.
Woh bina koi deri kiye, Erica se lair ka entry point poonchh seedhe neeche ki orr kood gaya.
Erica : D-Daaad???
Majbooran, Erica ko bhi neeche koodna hi pada. Na jaane neeche kaun se rehesya khulne ke liye unka intezar kar rahe the.
***
Carewell Hospital,
Morning - 12:10 AM ~
Hospital ke automatic doors achanak se khule, lekin kisi ka dhyaan uss orr nahi gaya.
Duty par maujood kuchh karmchari apne phone me vyast the, toh kuchh counter par sirr tikaaye hue the aur kuchh the jo aadhi neend me dol rahe the ki ve sab corridor me hui tez raftaar se halchal ko dekh paane me vifal reh gaye.
Veer kisi hawa ke jhonke ki tarah waha daakhil hua. Uska shareer dagmaga raha tha, har qadam par perr felne ke liye aatur ho rahe the. Uski baayi aasteen gehre laal khoon se sani hui thi, jisme se aadhi se zyada aasteen toh poori gaayab ho chuki thi.
Baah me abhi bhi woh janzeerein bandhi hui thi. Uski chhaati ukhadi hui saanson ke saath upar-neeche ho rahi thi.
Aur, uske seene se usi surgeon sheet ke sang bandhi hui thi — Juhi. Uska chhota sa shareer uske seene se chipka hua tha, chehra blazer ke andar chhipa hua tha. Veer uski garm saansein apne seene par mehsoos kar paa raha tha. Woh so rahi thi. Shaant. Aur, surakshit.
Pihu ko woh pehle hi surakshit haatho me de aaya tha. Bachi thi toh sirf uski apni Juhi.
Woh Nidhi ke kamre number 31 me pahucha aur darwaza khola. Waqt hi aisa tha ki duty par mushqil se kuchh hi nurses aur safayi karmchari the jo apne-apne kaamo me lage hue the. Nateeja? Veer ke tez raftar se andar aane par kisi ko bhanak tak nahi lagi.
Woh aage badha. Uski drishti ab dhundhli pad rahi thi. Uski nazar saamne bistar par laiti ek aurat par gayi — Nidhi. Woh so rahi thi. Chehre par abhi bhi shikan ke bhaav the.
Veer uske nazdeek aaya. Kamra hil raha tha kya? Nahi! Woh khud ladkhada raha tha. Iske pehle ki woh zameen par girta, usne wahi lagi bench dekh khud ko dheela chhor diya aur seat par gir pada. Shareer ne akhir haar maan hi li. Uski aankhein band ho gayi.
Akhiri cheez jo usne mehsoos ki — woh tha Juhi ka harqat karta hua haath jo uske blazer ko kass ke jakadne ka prayatn kar raha tha aur fir — andhera.
Kuchh kshan baad...
Ek halki si harqat.
Nidhi ki palke jhapki aur woh jaag uthi. Uska sarr dard se tadak raha tha, ghatna ki yaadein tatt par aati samudra ki lehro ki tarah wapas aane lagi.
"J-Juhi...!"
Woh ghabrayi. Uski bacchi. Uski bacchi ko aghwa kar liya gaya tha. Woh chhatpataate hue uthi aur jaise hi uth ke uski nazar saamne padi. Woh wahi jamm ke reh gayi.
Uski beti, uski duniya — wahi thi. Surakshit. Uske saamne. Uska haath apne khule muh par gaya aur woh ro padi. Aansu beqaabu ho kar behne lage.
Woh kaanpte hue dhadalle se uthi aur aage badhi. Uske haath me lagi IV needle aur uske sang laga drip stand bhi uske saath khichta chala gaya.
Woh Veer ke bagal me ghutno ke bal baithi, uska chehra peela pada hua tha. Usne pehle apni bitiya ko dekha. Chhaati upar-neeche ho rahi thi. Bina kisi chot ke. Surakshit.
Lekin, fir... Uski nazar Veer par gayi.
Uska chehra — sookhe khoon se sana hua — bejaan lag raha tha. Sarr kuchh geela sa tha. Baalo me halki barf jami thi jaise. Blazer ke sang shirt kayi jagaho se fati hui thi. Baah, chhaati aur kamar me gehre ghaav dikhayi pad rahe the. Uske kapde khoon se sane hue the. Par, Nidhi ko sabse zyada dang kiya unn janzeeron ne.
Jinhe dekh uska poora badan kaanp utha. Aankhein bhay ke maare chaudi ho uthi. Badi-badi janzeerein uski baaho me kass kar lipti hui thi.
Uska haath zor se thar-thara utha. Kuchh beeti yaadein wapas saamne aane lagi.
---
Lagbhag do saal pehle ka samay tha. Aaj Nidhi ko ek nayi class niyukt ki gayi thi. Yeh pehli baar nahi tha. Use students ko kis tarah se handle karna hai, ye achhi tarah se aata tha.
Iske pehle woh school me bhi ek shikshak reh chuki thi. Shiksha dena use bakhoobi aata tha. Magar, college aur school me kuchh farq toh hota tha.
College me bachhe ab bacche nahi the. Woh baalig the, sayaane the aur javani ke josh me udd rahe naye khiladi the.
Jaise hi Nidhi classroom me pravesh ki, pal bhar ke liye ek sannaata sa chhaa gaya. Students fir ikhatte khade hue-
"Good morning ma'am!"
"Settle down!"
Uski awaaz dridh lekin garmjoshi se bhari thi. Uske bolte hi sabhi chhaatra wapas se apni seats par baith gaye.
Woh bina students ki taraf dekhe blackboard ko rub karne lagi aur ek safed chalk uthaate hue apna naam likhne lagi.
Nidhi Mishra
Khubsoorat si likhawat me likhte hue usne apna parichay diya.
Aur, jaisa ki hona chahiye tha, waisa hi hua. Nayi-nayi 18 baras ki aayu poorn karne waale javan laundo ke mann me laddu phootne lage. Aur, charcha ka vishay tha — ?
"Behanchod kya maal hai bhai."
"Bhai bol de ki ab yahi apni class teacher hai."
"Bhai hai toh karraa yaar. Sahi me!"
"Iska matlab woh madarchod takla gaya? Kya naam tha bey uska?"
"Bhupinder Daruwala!"
"Bhupinder nahi. Guu pait ke andar! Hahahahaha!"
"Hahahahaha! Abey haan bey! Lawda saala dimaag kha jaata tha betichod."
"Daruwala ki bahut daru pee li... Ab Nidhi se Vidhi seekhenge hahahaha!"
"Kaaye ki bhosdiwaale? Hahahaha!"
"Ah! Madam! Ah! Wo waali vidhi! Aah! Uuh!"
"Hahahahahahaha! Madarchod!"
"Hahahahahahaha!"
Yahi baatein ladko ke alag-alag jhund me hone lagi. Par, kya Nidhi ko ye sab sunayi nahi de raha tha? De raha tha. Bilkul, de raha tha. Kintu, woh khamosh thi. Nirash bhi. Aur, chotil bhi.
"Abey pait kuchh fela-fela sa hai iska magar. Hai na?"
"Pregnant hai kya?"
"Nahi bey! Baccha ho chuka hai shayad. Dhyaan se dekh!"
"Abey toh shuru ka mahina bhi toh ho sakta hai?"
"Chutiye toh woh yaha thodi aati padhaane."
"Haan ye bhi hai!"
"Koi nahi-! Mein wazan kam karwa dunga iska hahahaha!"
"Mujhse toh sirf wazan badhaate aata hai hehehe!"
"Hahahahahaha!"
"Pregnancy ke baad bhi pait foola rehta hai kya?"
"Waisa nahi bey chutiye! Bas thode time tak rehta hai. Abhi madam ko apne asli figure me aane me time lagega."
"Waise... Aise bhi koi kam maal nahi hai."
"Hahahahaha!"
Eka-ek Nidhi ka haath na chaahte hue bhi apne pait par chala gaya. Ladke bhale hi dheere-dheere ye sab khuspusaaye, magar aksar unki baatein sabhi teachers ko sunayi de jaaya karti thi.
Jab Nidhi ko apne pait par haath rakhte unn students ne dekha toh iss baar thoda satark hote hue unn logo ne apni baat-cheet ko virham de diya.
Parantu, unki ek baat sahi thi. Nidhi ko bamushqil abhi dedh se do mahina hi hua tha jab uska apna navjaat uss se chheen liya gaya tha. Dhruv — uski apni amaanat.
Yahi woh samay tha jab Nidhi ke jeevan ka sabse kharab daur shuru hua tha. Ek prataadit karta pati, daayan samaan saas ki gaaliyaan, apne hi bacche ko kho dena, unse bhaag ke apne ek kiraaye ke flat me rehna, aas-pados me uth rahe charche, samaaj ka nazariya, aur jo rahi-sahi kasar baaki reh gayi thi woh inn besharam ladko ne uss par behuda tippani kar ke poori kar di thi.
Lekin, woh jaanti thi ki har ladke ek jaise nahi hote the. Uske apne pita. Uska ek bhai. Woh bhi toh mard the na? Woh jaanti thi ki iss classroom me abhi bhi woh ladke the jo waqai uss se padhna chaahte the — jinke mann me koi galat bhavnaaye nahi thi.
Yahi vishvas liye usne bolna shuru kiya.
"Students! Aaj se... Aaj se mein aapki class teacher rahungi. I will be teaching you Mathematics."
"Ye hui na baat behanchod! Ab maza aayega hahahaha"
"Badhayi ho bhai! Takla gaya hahahaha! Nayi phuljhadi aa gayi."
Unki baatein dobaara se shuru ho gayi. Nidhi ke pehle Bhupinder ji the jo iss kaksha ke class teacher the. Kareeban 7-8 maah tak unhone iss kaksha ko sambhala tha. First year ke bache hue 3-4 mahino ke liye Nidhi ab unki class teacher bann ke aayi thi. Aur, uska swagat kaise hua? Inn bhaddi tippaniyo se.
Himmat rakhte hue usne attendance sheet uthayi aur sabhi ke naam pukaarte hue pehle attendance lene lagi. Ek-ek kar ke jab woh akhiri bache kuchh baccho ke naam pukaarne ko aayi toh-
"Vamika Chauhan!"
"Present ma'am!"
"Vasu Mehta!"
"Present ma'am!"
"Veer Singh!"
*Silence*
'Hmm?'
Ek khamoshi si chhaa gayi. Koi jawab hi nahi aaya. Nidhi ne apna sarr uthaate hue sabhi ko dekha aur usne punah awaaz lagaayi.
"Veer Singh???"
Tabhi, uski nazar sabse side waali row par padi jaha aakhiri bench par ek ladka akele baitha hua tha. Bagal waali row se 2-4 ladke hasste hue use bula rahe the.
"Bhai tere ko bula rahi madam!"
"Chutiye haath utha ke present toh bol de hahahahaha!"
Woh ladka hadbadata hua apna kaam beech me rok upar dekha. Uski nazar Nidhi se jaa takrayi. Ek pal ke liye woh dara par fir ahista se haath uthaate hue bola-
"P-Present ma'am!"
Nidhi kuchh kshan ke liye avaak reh gayi. Woh nahi jaanti thi aisa kyu tha par kuchh pal woh bas Veer ko dekhti rahi. Usne fir aaj ka samay jaise-taise nikaala. Baccho ko padhaaya aur waha se nikal gayi.
Agla din. Wahi kaksha, wahi bacche, wahi harqate. Ladkiyaan hi thi jo kam se kam uss se achhe se pesh aati thi. Adhiktar ladke sirf use hawas ki nazro se hi ghoorte the.
Magar, aaj Nidhi ki nazre class me ghoom rahi thi. Maano jaise chehro se bhara ek samundar tha kamre ke andar — kuchh muskura rahe the, kuchh fusfusa rahe the, kuchh uub ke jhuke hue the. Fir bhi, ek student alag dikh raha tha.
Veer Singh.
Kal ki hi tarah aaj bhi woh sab se dur kone me akela baitha hua tha, uski desk hi baakiyo se dur thi. Uski aankhein apni notebook par tiki hui thi, maano likhte rehne se woh duniya se bach jayega. Uski patli si kaaya uski badi uniform ke andar alag hi maalum pad rahi thi.
Pata nahi kyu par use iss qadar dekh Nidhi ko ek samaanta si mehsoos hui. Attendance lene se pehle woh ruk gayi, uski nazre Veer par tiki rahi.
'Woh akela kyu baitha hai?'
Yeh vichaar kal se uske dimaag me atka hua tha. Jab usne attendance ke liye naam pukaarna shuru kiye, toh sabhi chhaatra baari-baari ek swar me 'present ma'am' chillaate chale gaye. Kaksha me hasi ki ek leher daud gayi, dost ek dusre ko dhakka deke hasi mazaak karne lage, aur unki khusur-pusur jaari ho gayi.
"Veer Singh?"
*Silence*
Aaj bhi wahi hua. Nidhi use hi dekh rahi thi. Veer ne apna haath dheere se upar uthaaya.
"Present ma'am!"
Maujood hoke bhi aisa lag raha tha jaise woh adrishya tha baaki logo ke liye. Shaant aur darpok.
Veer ka akelapann sirf samajik nahi tha — ye uske jeevan me samaya hua tha.
Ek baar project ke dauran, Nidhi ne class me baccho se ek-dusre se partners banaane ke liye kaha.
"Apna ek partner banaiye aur saath mil kar project complete karna hai. Theek hai? Class dismissed."
Chhaatra turant apne dosto ke paas bhaage — dekhte hi dekhte alag-alag pairs bann gaye.
Veer ko chhor kar.
Woh baitha raha, apni notebook ko ghoorta raha. Departure ho chuka tha aur sabhi project ke baare me baatein karte hue chale gaye.
Veer ne chup-chap apna bag uthaaya aur uski orr aaya.
"Ma'am!? Kya mein akele project bana sakta hu?"
"Kyu?"
"Mujhse kisi ne poochha hi nahi. Sabke pehle hi pairs bann gaye."
Usne itni saralta se kaha, maano jaise use aadat ho gayi ho bhulaaye jaane ki. Nidhi ka gala andar hi andar roondh gaya. Uski chhaati me jaise ek dard utha. Woh kuchh na bol saki.
Ek shaam woh class ke baad derr tak ruki hui thi. Usne dekha ki Veer parking area ke paas baitha hua farsh ko ghoor raha tha. Uski aankhein laal thi.
"Veer?"
Usne jawab nahi diya.
"Kya hua?"
Firse koi jawab nahi. Magar, jab usne Veer ke saamne dustbin me dekha toh uski aankhein chaudi hokar reh gayi. Dustbin me Veer ka bag dala hua tha.
Woh akasmat uske bagal se aake khadi hui.
"Kisne kiya ye?"
"Nahi pata. *sniff* Farq nahi padta. Koi nayi baat nahi."
"Tum ruko abhi- mein abhi jaa ke-"
"Nahi! Koi zaroorat nahi hai. Aapke jaane se... Woh baad me aur tang karenge. *sniff* Rehne dijiye."
"Par-"
"Maine kaha na, ma'am! Rehne dijiye!"
Nidhi ne aage kuchh nahi kaha. Usne use rona band karne ke liye bhi nahi kaha. Iski bajaaye, woh bas uske bagal se baith gayi.
Varsho me pehli baar, Veer ko laga ki koi tha... Jo uski parvah kar raha tha.
Din beetate gaye aur Nidhi 'Veer' naam ke iss ladke ko observe karti gayi. Usne jaana ki Veer kabhi kisi se baat nahi karta tha.
Recess ke dauran koi bhi uske saath nahi baithata tha, ladko ka koi bhi group use invite nahi karta tha. Lunch ke samay jab chhaatra apni-apni mandliyo me ikhatta hote, Veer chup-chap waha se gaayab ho jaata. Lunch laata bhi tha ya nahi? Iska bhi pata nahi tha.
Aur, isliye ek dopahar Nidhi recess ke theek baad yuhi uske peechhe-peechhe gayi. Veer library me jaa raha tha.
Nidhi ne dekha ki woh library me khidki ke paas baithe, sirr jhukaaye, notebook me kuchh bana raha tha.
'Hmm?'
Woh aage badhi.
"Iss waqt lunch kiya jaata hai, Veer. Koi aur kaam nahi."
Veer uski awaaz sunn jhep gaya. Woh chaunk gaya, use samajh nahi aa raha tha ki jawaab de ya andekha kar de?
"M-Maine lunch kar liya hai, ma'am." Uski awaaz mushqil se Nidhi ke kaano me pahuchi.
"Achha? 5 minute hue hai abhi recess hue aur tumne lunch bhi kar liya? Jhooth bolte ho?"
"M-Maine subah zyada khaaya tha. Isliye, abhi bhookh nahi hai. M-Mein theek hu, ma'am."
"Kya waqai?"
Veer ne hichkichaate hue apni pen aur kass ke pakad li. "H-Haan! M-Mujhe yaha achha lagta hai. Yaha shaanti rehti hai."
Nidhi ne ek pal ke liye use dekha, fir chali gayi. Veer ko laga ki uska peechha chhoot gaya lekin kuchh der baad hi woh waapas laut aayi — sandwich ki ek plate ke saath.
"Agar, tumhe yahi baithna hai toh yahi baitho. Par, kam se kam kuchh khaa toh liya karo."
Veer plate ko ghoorta raha. Dang reh gaya tha. Aisa pehle kabhi kisi ne uske liye nahi kiya tha.
"M-Mujhe bhookh nahi hai, ma'am."
"Of course, tumhe hai. Tum bas maanane ke liye ziddi ho. Tum lunch nahi laate kya? Mummy nahi deti ghar pe?"
Maa ka zikr aate hi Veer maun reh gaya aur Nidhi jaise samajh gayi ki kuchh baat hai. Usne iss vishay ko aage nahi badhaaya. Veer fir apne aap se hi kuchh kshan baad bola.
"M-Mein-! Mein aaj lunch box bhool gaya. Chachi ne bana ke rakha tha. Lekin- mein bhool gaya."
"Oh! Toh ab kha lo. Theek hai?"
"Nahi! Maine kaha na ma'am. Mujhe bhook nahi hai."
Veer ne mana toh kar diya. Lekin, jab Nidhi plate neeche rakh ke waha se chali gayi, toh Veer ne kuchh hi kshano baad khud ko plate ki taraf aage badhte hue paaya.
Ek din, jab Veer apni baahon aur chehre par chot ke saath class me aaya — ragging aur bullying ke kuchh saboot.
Nidhi ne dekha. Usne kuchh poochha nahi.
Lekin, agli hi subah, Veer ko apni desk ke neeche ek bandage kit rakhi mili — ek chhote se note ke saath.
'Take care of yourself. Some people care about you — even if you don't believe it yet.'
Uss din ke baad se Veer Nidhi ki upasthiti ko aur adhik mehsoos karne laga.
Class me, woh aksar uski desk ke aas-paas hi khadi rehti, aur uss se sawaal bhi poochha karti.
"Veer! Tum batao? Kya ye answer sahi hai?"
"Veer! Tumhari kya raay hai isme?"
Pehle toh woh jawab nahi de paata tha. Uski awaaz mushqil se uske muh se nikalti thi. Lekin, Nidhi ne apna prayas nahi chhora. Nidhi uske astitva ko poora karti thi. Lagne laga tha jaise ab woh adrishya nahi tha.
Ek din woh deri se aaya. Woh ghabrahat me darwaze ki dehleez par khada ho gaya.
"S-Sorry! Ma'am- mein..."
"Koi baat nahi!" Nidhi ne beech me hi tokte hue kaha, uski awaaz naram thi. "Ab aa gaye ho na? Baith jao!"
Zyadatar teachers use khari-kothi suna dete lekin, Nidhi... Woh muskurayi. Woh muskaan use shabdo se kahi zyada shaant kar deti.
Ek din Nidhi ne use apni notebook me kuchh banaate hue pakad liya.
"Tum drawing bhi karte ho??"
Veer ne jhepte hue jaldi se apni notebook band kar li. Uski drawing achhi nahi thi. Lekin, use banaane ka shauk tha.
"K-Kuchh nahi-! A-Aise hi bas..."
"Uff-Oh! Ab chalo bhi mujhe dekhne do."
Hichkichaate hue lekin bharosa kar, Veer ne dheere se notebook kholi. Andar alag-alag sketches the. Kuchh landscapes ke, kuchh chehro ke, aur ek kone me — Nidhi ka khud ka ek chhota sa chitr.
Nidhi ne aashcharya me palke jhapkayi. Fir, haule se hasi.
"Arey waah! Bahut khoob. Par, Veer-!? Mujhe nahi lagta ki meri naak itni badi hai. Hai na?"
Veer ka chehra sharm se laal pad gaya.
"Ye... Ye abhi poora nahi hua hai, ma'am." Usne haklaate hue kaha.
"Koi baat nahi... *smiles* Mein mazaak kar rahi thi. Tum talented ho. Ise chhipaane ki koi zaroorat nahi. Confidence rakha karo, Veer. Okay?"
"J-Ji!"
Jaise-jaise unka rishta aur mazboot hota gaya, unki baatein aur bhi sehej hoti chali gayi. Thodi chanchal bhi.
"Tum humesha ye notebook saath leke ghoomte ho." Woh ek baar use chidhaate hue boli. "Kya hai isme aisa? Hmm? Duniya par qabza karne ka master plan?"
"Haan!" Usne bebaaki se jawab diya. "Sabse pehla qadam — Ek aisa teacher dhundhna jo meri notebook ko lekar baar-baar na poochhe."
"Hahahahaha!" Aur, woh khil-khila ke hass padi.
Veer bhi badle me muskura diya. Shayad ye pehli baar tha jab Nidhi ne use muskurate hue dekha tha.
Class me ek baar questions ke dauran, Veer ne pehli baar koi galti pakdi thi.
"Ma'am, waha par... Waha par sin ki jagah cos aayega."
"Oh??" Nidhi ne bauhe chadhayi. "Mujhse galti ho gayi?"
"Haan!"
"Theek hai toh... Class! Agla question Veer solve karega blackboard pe. Chalo, Veer. Utho apni seat se!"
"Eh??? N-Nahi! Ma'am... Ek minute!"
"Hahahaha! Good luck!" Nidhi uski haalat par hasi.
Veer dara. Nidhi mazak nahi kar rahi thi. Woh blackboard ke saamne khada tha aur chalk se likhte samay uske perr kaanp rahe the. Lekin, fir Nidhi ne podium se fusfusate hue uss se kaha-
"Tum sahi kar rahe ho. Solve karte jao. Daro nahi!"
Jab ek baar Veer ko pehli baar assignment test me Maths me thode achhe marks mile toh usne dekha ki Nidhi ne uske test paper par kuchh likha hua tha — Told you you'd do great. ^_^ But you need to do even better.
Ek baar career ke lakshyo ke baare me charcha ke dauran, Nidhi ne Veer se akele me baat karte hue sehejta se tippani ki-
"Veer! Tumhe ek high goal rakhna chahiye. Tumhare jaise log... Tum apna potential barbaad kar rahe ho."
Magar, Veer ko — ek ladka jise uske parivar waale aksar ye keh dete ki woh apni zindagi me kuchh bhi nahi kar payega — uske shabd bahut chubh gaye.
"Aapko lagta hai ki mein apna samay barbaad kar raha hu???" Usne oonchi awaaz me poonchha. "Mein har din apni poori koshish karta hu, theek hai na? Aap jaanti bhi kya ho mere baare me?? *sniff* Koi nahi jaanta."
Nidhi ne palke jhapkayi. Woh achambhit thi. Veer pehli baar iss tarah se gusse me kuchh uss se bola tha.
"Mera matlab ye nahi tha, Veer. Mein-" Usne Veer ka kandha thaama.
"Rehne dijiye! *sniff* Aadat hai mujhe." Usne jhapatta maarte hue khud ko chhuraaya aur baahar nikal gaya.
Teen dino tak, Veer uss se bachta raha. Nazrein churaata raha. Lekin, chauthe din woh use library me mil hi gaya.
"Mera... Mera tumhara dil dukhane ka irada nahi tha, Veer." Usne dheere se kaha. "Mein bas... Mujhe tum pe vishvas hai. Bas itna hi."
"Hmm... Theek hai... Mujh par apna vishvas barbad mat kariye, ma'am." Woh badbadate hue bola.
"Uske liye ab bahut derr ho chuki hai. Mera paala ab tumse jo pad chuka hai." Woh muskurate hue boli.
Aur, iss baar-
Veer naraaz na reh saka. Woh sharmaate hue muskuraya aur apna muh ferr liya. Nidhi uske sharmaane par bas hasti reh gayi. Woh sahi thi. Aaj bhi kuchh ladke the jo uske prati galat bhavnaaye nahi rakhte the. Veer unme se ek tha. Ya yu kahe, unn sab me se sabse alag.
Aur, aise hi woh teen mahine kab guzar gaye, dono ko hi pata nahi chala. Veer vartalap me apna confidence dheere-dheere gain kar raha tha. Chhutiyaan padi aur uske baad shuru hua second year.
Pehla din tha. Naye juniors ko hall me baitha ke unka swagat kiya jaa raha tha. Classes lagni shuru ho chuki thi. Veer ki class ki teacher punah badal chuki thi lekin, Nidhi ko sabhi chaahne lage the aur isliye use wapas se class teacher banaane ki maang bhi rakhne lage.
Aur, fir aaya woh waqt-
Departure ke dauran. Veer ne jab Nidhi ko jaldbazi me jaate dekha toh usne use pukaara-
"Ma'am??"
Magar, Nidhi na ruki. Usne Veer ki awaaz hi nahi suni. Woh bahut hi jaldbazi me thi. Chehre par chinta bhi jhalak rahi thi.
Veer ne mann hi mann khud ko samjhaya ki har waqt koi uske liye haazir nahi reh sakta tha. Aur, fir woh pal aaya-
Jab uski nazar uss par padi. Pragya! Ek behad khubsoorat chehra. College ki jaani-maani sundar ladkiyo me se ek.
Aur, fir Ajay ka use dekhna, apne pantaro ko ishaara karna, Veer ka scooty uthaate hue ghar ki orr nikalna, Ajay aur uske saathiyo ka bikes se use gherna, use college ki peechhe waale raaste par le jaana, use buri tarah peetna, ghaayal karna, aur baarish hoti sooraj dhalti shaam me use sadak par chhor dena.
Yahi sab toh hua tha. Nahi! Yahi nahi! Uske baad use ghar se nikaal diya jaana, Uska aspataal me hona, marrne ki kagaar par hona, aur Nidhi ka waha par aana.
---
-Aur, aaj woh uske saamne tha.
'Aap chinta mat kariye!! Mein Juhi ko leke aaunga. Mein aapse vaada karta hu!'
Uske bol Nidhi ke kaano me goonj gaye. Usne apna vaada nibha diya tha.
Nidhi ka haath kaanp raha tha, woh uske bagal me ghutno par gir padi. Uski ungliyaan jhijhakte hue aage badhi aur fir usne Veer ki fati hui aasteen ko kass kar pakad liya.
Uski rone ki siskiyaan chhootne lagi. Ghutan bhari awaaz. Uske mote-mote aansu Veer ke khoon se sane haath par girne lage.
"*hic* Aaaaaaaaaa-!!! *hic*"
Woh royi. Kuchh bol nahi paa rahi thi. Iss sab ka bhaar use kuchal raha tha. Agar, Juhi ko kuchh ho jaata toh-
Iss vichaar ne uske shareer ko aur bhi zyada kaanpne par majboor kar diya. Usne apna chehra Veer ke perr se sataaya, uske perr kass ke pakde — maano use chhorne se Juhi fir se uss se dur chali jayegi. Aur, Veer bhi.
Mann hi mann woh Veer ko lagatar dhanyavad deti rahi. Kuchh pal beet gaye, fir usne apna sarr uthaaya.
Veer behosh tha. Usne apni ungliyon se Veer ke khoon se sane chehre ko chhiya, uske angoothe ne Veer ke maathe par fir ek ghaav ko chhiya.
"V-Veer-!" Uski awaaz toot gayi. Honth thar-thara uthe.
Aur, fir usne apni baahein uske kandho par rakhi, uske sirr ko dheere se uthaaya aur agle hi pal-
Use apni chhaati se laga liya. Veer ki garm saansein uske seene par padi. Magar, uska chehra poori tarah se thanda mehsoos ho raha tha.
Nidhi ke aansu ab khul kar gir rahe the. Woh bilakh-bilakh kar ro rahi thi. Veer ko apne aalingan me liye, use kass ke pakde woh khadi-khadi dahaad maar ke roti rahi. Jaise varsho se usne khud ko roke rakha tha aur ab uski bhavnaaye khul kar baahar nikal rahi thi.
"M-Maine tumhe apne se dur dhakela..." Woh fusfusayi. "Har baar... *hic* Har baar maine tumhe dur kiya."
Use yaad aaya jab usne Veer ko 1 lakh rupaye ki payment kar di thi. Kaise woh uss par bhadka tha.
Use ye bhi yaad aaya ki uski padosan Mrs. Tiwari kis tarah use Veer jaise ladko se dur rehne ki hidayat de rahi thi.
Ye sab yaad karte hi, usne Veer ko aur kass ke laga liya.
"Mujhe maaf kar do-!! *hic*" usne roondhi hui awaaz me budbudaya. "Mujhe maaf kardo, Veer!! Aaaaaaaa-!! Aaaaaaaaaa!! *hic* *sniff*"
Aur, firse usne uska sirr apni chhaati me aur bhi gehraayi me daba liya. Aur, inn teen saalo me aaj pehli baar — usne apni bhavnao se bhaagna band kar diya.
"Maine tumhe chaahna kabhi nahi chhora tha... Trust me... Mein bas... *hic* Mein bas darti thi."
"L-Lekin, *sniff* ab aur nahi bhaagungi."
Veer ke sang bitaaye use saare puraane pal yaad aane lage.
Har muskaan jo woh chhipaata tha.
Har aansu jo woh dabaata tha.
"Tum... *sniff* Tum akele the... M-Mujhe aur bhi bahut kuchh karna chahiye tha... *hic* Mujhe tumhare paas aur rehna chahiye tha."
"Par ab... *hic* Ab mein hu yaha. Aur, mein ab kahi nahi jaungi. *sniff* Kabhi bhi nahi."
Usne na jaane kab se inn bhavnao ko dabaaye rakha tha. Lekin, ab aur nahi.
Aasmaan me aatishbaziyo se fel rahe rang bikhre hue the, aur hospital ke iss kamre me ek mahila ne khoon se sane ek naujavan ko apni baaho me bhar rakha tha.
Aur, hospital ke saamne ki building ki terrace par khade do log ye sab kuchh dekh paa rahe the.
Erica : See, dad? Yahi woh Nidhi hai jinki beti ko Veer bacha ke laaya. But... I have never seen him so low.
Renshu : Low? He's the one who's the tallest among us. Na sirf usne unki jaan par khatra nahi aane diya, balki woh unhe chhuraane me bhi qamyab tha. Par, ab time nahi hai. Erica-!
Erica samajh gayi ki use kya karna tha. Garofano ko call connect kar ke Ava se poochhne ke baad dobara se Veer ki nayi location le li thi unhone.
Erica bina kuchh kahe waha se ek kshan me gaayab ho gayi.
Andar derr raat me hospital ka corridor shaant tha. Shreya ki bauhe sikudi aur palke jhapkaate hue woh kursi par se uthi. Sabhi resting area me so chuke the aur woh aur uske Ishaan bhaiya hi yaha kursi par baithe the.
Usne dekha ki uske bhaiya bhi baitha-baithe hi so rahe the. Apne phone ko dheele haath se pakdi woh Nidhi ko dekhne ke liye uske kamre ki orr badhi.
Lekin, Nidhi ke kamre ke paas pahuchte hi uske qadam wahi tham gaye.
Darwaaze ke sheeshein se... Usne dekha.
Veer.
Nidhi.
Juhi.
Nidhi ne Veer ke chehre ko apni chhaati se laga rakha tha — khoon se lathpath aur ghaayal.
Shreya bhauchakki reh gayi.
Drishya use umeed se zyada prabhavit kar gaya. Uski ungliyaan phone par kass gayi. Aur, vibhinn anubhutiyaan ek pal me mehsoos ho gayi.
Raahat — kyunki, Veer sahi salamat tha.
Khushi — kyunki, Juhi surakshit thi.
Irshya — kyunki, Veer kisi aur ki baaho me tha.
Glaani — kyunki, jiski baaho me tha woh uski apni badi behan hi thi. Ye sab uske mann me nahi aana chahiye tha.
Aur, dard — na jaane kyu.
*Click*
Darwaaze ki awaaz aate hi Nidhi chaunk kar tezi se mudi.
'Huh?'
Saamne koi ladki thi. Iske pehle ki woh kuchh keh paati-
"Shh! It won't hurt! Please! Sleep!"
Nidhi ko kuchh pata nahi chala. Uski aankhon ke saamne achanak se andhera chhaa gaya.
***
Ek ukhdi hui saans.
Veer ki aankhein fad-fada kar khuli. Chhat alag thi. Hawa me gandh toh wahi thi — antiseptic ki. Magar, uski chhaati par se woh bhaar gaayab tha.
Juhi.
Uski saans atakne ko hui, ghabrahat ne uske shareer ko jhakjhor diya. Uski baahein Juhi ko paane ke liye fadki. Kaha gayi woh?
Par, agle hi pal use mehsoos hua — uske dono taraf, daaye aur baaye koi uski baaho ko jakde hue tha.
'Huh?'
Uska sirr daayi orr muda.
Tej.
Uski Teju di ne use pakde rakha tha. Magar, nigaahein saamne ki orr ek band darwaaze par tiki thi.
Woh baayi orr muda.
Kavya.
Woh uss se chipki hui thi. Tej ki hi tarah, woh bhi saamne hi nazre gadaayi thi.
Uske haatho se bediyaan gaayab thi. Ye kaise hua? Janzeerein uski kalaayi par locked thi. Kaha chali gayi wo?
Kuchh gadbad thi. Tabhi-
“Veer!”
Ghane vatavaran me ek awaaz goonj gayi. Shweta! Use jaagta hua dekh uski aankhein chaudi ho gayi. Woh chillaati hui uske nazdeek aayi. Aur, kamre me maujood sabhi ki nigaahein Veer par pad gayi.
Badhi toh Bhavna bhi thi lekin, Shweta ne aate hi Veer ke chehre ko thaam liya aur use betaab apne seene se laga liya.
"Hosh aa gaya mere bete ko... Hey bhagwan!"
Veer akad ke reh gaya. Uske shareer ka har ang dard se tadak raha tha, lekin uljhan ka bojh dard se kahi zyada bhaari tha.
Ye sab yaha kyu the? Ye woh aspataal toh nahi tha jaha par Nidhi bharti thi.
Tej aur Kavya uss se lipti hui thi. Uski Shweta maa, aur uski maa — Bhavna. Sab ro rahi thi.
Usne dekha ki uske pita-
Brijesh!
'???'
Uske pita bhi kone me haath mode chintan me khade hue the. Uski behan Aarohi apni laal aankhein liye rote hue use hi dekh rahi thi.
Aabha aur Sonali bhi ek jagah par baithi use rote hue dekh rahi thi. Aur, na jaane kitne log the.
Uska sirr ghoom raha tha. Dhadkane tez ho rahi thi. Kuchh nahi, bahut kuchh galat lag raha tha.
'P-Pari? What the hell happened?'
Magar-
Sannaata. Koi jawab nahi.
'P-Pari? Juhi kaha hai? Ye sab kya chal raha hai?'
Fir bhi koi jawab nahi. Usne apne daant peese.
'Pariiii-!!'
Magar, kuchh nahi. Pari sleep mode me jaa chuki thi.
Uski saansein tez hui. Use Nidhi ke kamre me jaana yaad tha. Use yaad tha ki Juhi uske seene se hi lipti hui thi. Use ye bhi yaad tha ki woh seat par gira tha. Lekin, uske baad-!?
Use kuchh bhi yaad nahi tha. Kya hua tha? Veer ki nazar achanak baayi orr dur ek corridor me padi. Aur, usne dekha-
Kone ke paas, uske parivar se alag. Teen log khade hue the.
Renshu. Erica. Aur, Garofano.
Jo use hi dekh rahi thi.
System holders. Yaha par? Woh sab yaha kyu the? Use tabhi yaad aaya-
Yarnia's launch.
Woh toh aaj thi na? Toh kya hua? Sab yaha kyu the? Aur, ro kyu rahe the? Yarnia ka kya hua?
Aur, use yaad aa gaya.
Mission ki penalty. Ek sihran uske badan me daud gayi. Kahi isliye toh sab-?
Nahi! Aisa nahi ho sakta. Usne Juhi, Pihu ko bacha liya tha. Fir, akhir aur koi kaise khatre me ho sakta tha? Woh koi sawal kar paata ki itne me saamne ka darwaza khul gaya.
Ek doctor baahar nikal ke aaya. Sab achanak se khade ho gaye. Jis baat ko Veer ka darr tha, woh darr aur gehra ho gaya.
Doctor ne sabhi ko dekha aur fir Veer ko dekh ek haami bhar uski orr chalte hue nazdeek aaya jaise woh jaanta tha ki use kis se baat karni thi.
Veer Singh.
Yahi wo vyakti thi jise usko jawab dena chahiye. Doctor ne ek gehri saans li. Fir, ek asthir awaaz me bola-
"I'm very sorry, sir. Hum unhe bacha nahi sake. Mr. Manorath is no more."
*Badump*
Dhadalle se darwaza punah khula, stretcher par Manorath ji ka shav tha, upar se safed kapda dhaka hua tha.
Cheekhein goonj uthi. Parivar jano ke rone ki awaaz aspataal me goonjne lagi.
Veer ko kuchh samajh aata ki tabhi-
"Although, Miss Ragini ki situation kaafi critical thi. But, doctor ne mujhe khabar de di hai."
'Ragini' naam sunn woh wapas se hosh me aaya.
"She's out of danger now."
Raahat bamushqil ek kshan ke liye hi thi.
"But there's only one problem. I'm sorry to say but — woh ab pehle ki tarah kabhi nahi chal payengi."
Aur, aspatal ko ek gehre sannaate ne dhak liya.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liya itna hi guys.
This update consists of 8.3k words. Jaan boojh ke around itni length ka rakha hai warna ye update 10k ke upar jaa raha tha. Too much info dump iss update me mujhe sahi nahi lagi because Nidhi ka aham hissa tha iss update me. So, I decided to post those sections in the later updates. This update also justifies why Nidhi took Veer to her house and sheltered him. Unke beech ka rishta ekdum naya nahi tha. They knew each other. Mehez 3 mahino ka hi rishta tha lekin, unn teen mahino ne bahut kuchh badal diya tha. Samay-samay par aise hi flashbacks ke zariye hum Nidhi aur Veer ke madhya aur bhi moments dekhenge. Yaha par past kaisa laga woh zaroor bataane ka. Baaki, target apna wahi hai. 300. Pahucha dene ka. Agle update se Post Disembowler arc shuru ho jayega.
Milte hai agle bhaag me.
Dhanyavad.![]()