- 15,613
- 105,615
- 259
Last edited:
That was fantasticUpdate - 77 ~ Preparations!Ab tak...
[Harr baar thodi mega update dunga bhai!]
[Do you want to see Slogan's past???]
Bina koi derr kiye Veer ne Yes ko select kar diya.
Aur ek ke baad ek, Slogan ki saari memories, uska past system ne sab dikha diya.
[It's been quite a bit time... Master!!!?]
Wahi dusri orr... Jungle ki road waale ilaake par. Jaha chootiyaa thi dusri side par ussi ke upri ilaake par...
Ek ladki khadi hui thi. Hawa me lehraate baal aur agle hi pal...
Wo andhere me wahi mudte hue lupt ho gayi.
Ab aage...
Akhir ant ho gaya. Uss shaks ka, jisne Veer ko itna pareshaan kar ke rakha tha, jo uski jaan ke peeche pada hua tha. Wo, ab iss duniya se chal basa.
Aur ye sab kisne kiya? Veer ne, khud ne.
Itni mashaqqat ke baad, akhir wo Slogan ko outsmart karne me safal ho hi gaya. Aur uss se uska peecha chooth saka. Kya hi baat thi. Slogan ki maut bilkul ussi tarah hui jis tarah uski beti ki hui thi. Dono hi ussi khaayi me jaa gire. Shayad ab wo afterlife me ek dusre ke saath honge!?
Idhar Veer ek udaasi me iss waqt apne kamre me laita hua tha.
Uska mann boht hi maayus tha. Slogan ko jungle me dhund ke usne uska ant toh kar diya tha. Par sawaal tha ki wo Slogan ko jungle me dhund kese paaya?
Simple sii baat thi. Jab Veer ne Slogan ko goli maari thi, toh Slogan ke haath se khoon behna shuru ho chuka tha. Fir jidhar jidhar wo bhaagte hue gaya. Khoon ki ek trail banaata gaya.
Bhale hi wo khoon andhere me na nazar aaye. Par vatavaaran me khoon ki gandh toh fel hi gayi thi. Khoon me iron ki maatra toh hoti hi hai. Aur uss gandh ko harr koi jaanta hai ki wo kesi rehti hai. Veer ke senses already 120% par the. Including his sense of smell. Bhala aisa kese ho sakta tha ki usse khoon ki gandh na aaye!?
Yahi kaaaran tha ki Veer ne badi hi asaani se Slogan ko locate kar liya tha. Beowulf's Blessings ke samay samaapt hone se pehle hi.
Uss raat Veer ne Beowulf's Blessings ka istemaal poore 35 minutes ke liye kiya tha. Chaahe wo Matthew se ladaayi ho, ya chaahe Slogan se. Sab kuch inhi 35 minutes ke andar hua tha.
Bhale hi usne iss baar thode control me fight kii thi. Par fir bhi, uske istemaal ke baad Veer poora exhausted ho chuka tha. Wo kaafi derr tak ussi khaayi ke paas laita raha. Jab Jassi aur uski team andar aayi tab jaa ke unn logo ne Veer ko uthaaya tha.
Thanks to Karan, jisne ye bata diya tha ki Veer akele andar gaya hua tha. Aur wo fir usse dhundne andar aa paaye.
Jassi aur baaki sabhi ne uss raat Veer ko ek alag hi nazariye se dekhna shuru kar diya tha. Kyu? After all, Veer ne Slogan jese vyakti ka ant kiya tha. Aur ye koi sadhaaran baat nahi thi. Uss raat hui unke beech conversation, Veer ko acche se yaad thi.
Jassi : Tum theek toh ho?
Jassi ne Veer ko uthaaya aur usse sahaara diya.
Veer : Hmm! Par mujhse chala nahi jaa raha hai. I don't know why... Shareer ki poori energy jese gaayab sii ho gayi hai.
Jassi : Don't worry! Mein tumhe carry kar lunga. Aur Slogan? Wo kaha hai?
Veer : I killed him.
Jassi : Huhhhh???
Raghu : K-Kyaaa??
Veer : I killed him! Aur... Wo uss khaayi me jaake gir gaya.
Jassi : T-Tumne usse maara? Tumne?
Veer : Hmm!
Jassi : Y-Ye...
Veer : What? You guys... Tum sab meri complaint toh nahi karne waale na police me? Haan?
Jassi : Ehhh?? Of course not!!! Balki, hum toh tumhaare shukrguzaar hai. No! Infact, yadi tumhara zikr hota bhi hai kisi investigation me toh hum tumhara naam aane hi nahi denge.
Veer (sighs) : Thanks!
Jassi : Tumhe rest ki zaroorat hai. Team! Waapas chalo! Yaha se nikalne ka time aa gaya.
Jassi ne Veer ko Karan ko thamaaya aur usse le jaane ke liye kaha.
Raghu : Kya baat hai? Tu kuch pareshaan lag raha hai?
Jassi : Huh? N-Nahi! Kuch nahi! Chal!
'Akhir wo kya tha??? I'm sure mene uchaayi par wo saaya dekha tha. Kya wo koi jaanvar tha? Samajh nahi aa raha.' Jassi apne mann ki gutthi mann me hi liye aage badha.
Aur kuch issi prakaar Veer apne ghar laut paaya tha. Sawaal toh kayi puche the Ragini ne uss se ghar me. Par Karan ne matter sambhaal liya tha. Usne na jaane kaha ki kahaani banaayi on the spot aur Veer ko sawaalo se bacha liya tha. Par fir bhi, kal baal baal bacha tha Veer Ragini ke haatho se. Warna pakda jaata. Usse yaad hai Karan ne kese almost uski gaand marwa hi dii thi.
Car se utarte hi, Karan usse sambhaal ke ghar ke andar laaya tha aur laate hi Ragini ke sawaal shuru ho chuke the.
Ragini : Veeeeerrr??? Kaha the tum? Kab se phone laga rahi hu. Aur time dekha hai? Raat ke 2 baj rahe hai Veer. Tumhe pata hai yaha sab kitni chinta me the? Ek phone toh kar dete Veer? Mein thodi tumhe mana kar deti. It's just... Ghabraahat hone lagti hai idhar. Aur aap mahashay??? Aap toh Karan ho na? Veer ke naye dost? Fir aap ne Veer ko kyu nahi samjhaaya? Aur ek minute? Aap kya kar rahe ho idhar? Veer toh akele ghar se nikla tha. Huh??
Karan : Ahahahaha~ Bhabhi jii! Darasal... Wo hua ye tha ki...
'Fucccckkkk!!! Kya hua tha?? Kya hua tha? Poora full scale attack hua tha. But I cannot tell her that. Fuckkkk! Kuch soch Karan!!!' Karan mann me khud se socha. Bahaana toh dena tha kuch na kuch.
Karan : Bhabhi jii! Mein hi Veer ko le gaya tha actually. Ahem! Mere friend ki party thi ek. Toh mene socha akele kya karunga? Toh mein Veer ko le gaya tha. Ahahaha~
Ragini : Kya? Par Veer toh keh ke gaya tha ki business related matter se jaa raha hai woh.
Karan (Veer ko dekhte hue) : Hein? Tum business ki baat karne nikle the?
Veer :
[]
Veer ne agle hi pal apni kohni Karan ki pasli me de maari.
Karan : Gwaakhhh!! Arre! Haha! Haan wo sahi hi toh keh raha tha Bhabhi jii! Darasal jis friend ki party me gaye the uski business me acchi pakad hai. Toh... Aisa...
Ragini : Accha! Ek minute! Veer? Tum aise Karan ka sahaara kyu le rahe ho? K-Kya hua Veer?
Aur wo aage badh ke aayi aur Veer ko Karan ke haatho se pakad apni orr kheechi.
Karan : Bhabhi jii! Aaj toh Veer ne kamaal hi kar diya. Party me thodi ladaayi ho gayi thi. Ek aadmi ek ladki ko pareshaan kar raha tha. Bas! Veer kood pade. Ladayi badh gayi. Aur do isne maare toh do usne maare. Isliye, Veer ki abhi ye haalat hai. Hahaha~
Ragini : V-Veeeerrr??? Kyu ladaayi me padte ho? Tum theek toh ho na? Kaha lagi tumhe batao?
Wo kehte hue Veer ko check karne lagi aur idhar Veer muskura ke Karan ko dekh raha tha. Jese kehna chaah raha ho ki saale kal mil, bataata hu tujhe.
Karan Veer ki muskaan ko bhaanp liya aur forun hi usne waha se nikalne me hi bhalaayi samjhi.
Karan : M-Mein chalta hu. Bhabhi jii! Veer ka khayaal rakhna. Aaj kaafi mehnat kari hai usne. Ahahaha~ Goodbye Veer! Fir milte hai.
Aur bas, kal kuch iss tarah hi Veer ki raat guzri.
Aaj toh usne poore din araam kiya aur wo abhi bhi laita hi hua tha. Udaasi me.
[You are sad master!!!] Pari ki awaaz uske mann me gunji.
Pari!!! Jo uss raat sytem levelling ke tehet apni personality ek baar fir badal chuki thi. Veer kahi na kahi, iss Pari ko miss bhi kar raha tha toh wahi uss Pari ke jaane par thoda udaas bhi tha. Par maayusi ka keval yahi kaaran nahi tha. Kaaran tha...
[Swati!!! You are sad about her! Right?]
'Hmm! Pari!'
[This is how life is Master. Uss bechaari ka ant boht hi dardnaak hua. Kya galti thi uss bechaari ki? Still, she died a gruesome death. Ye kismat hoti hai Master. Fortune... Luck... Kab kiska kesa ho jaaye, koi nahi jaanta. That's the reason, you must strive to become strong.]
'Hmm~'
[You have such a kind heart Master!]
'Huh?'
[Aap baccho ke prati kitne sensitive ho. Ye mene dekh liya. Swati bhi ek bacchi hi thi uss waqt. You were seeing her as a kid. And seeing her in pain... You were so hurt. I could feel it.]
'I...'
[Juhi ke prati bhi aap kitne sensitive ho Master. You love her so much. I can see that. Baccho ke prati aapka lagaav alag hi dikhta hai master. Even though aapne ek aadmi ki jaan lii, still... Aap ne ab tak apni sanity nahi khoyi. You are still just like before. That's why I said, you have such a kind heart Master.]
'Mein... Th-Thank you Pari!'
[No! Thank you Master! I'm lucky to have you as my Master.]
'Hmm! Ab ye system ke changes samjhaogi mujhe?'
[Right away Master!]
'Go on then!'
[Master~ You got a random skill yesterday. Let me show you...]
*Ding*
[Skill 'Stock Master' has been rewarded.
Bio : Offers a 70% chance to succeed in sharemarket.]
'Holy fucccckkkkk!!!!' Veer jo ab tak laita hua tha wo jhatke se uth ke baith gaya. Baat hi kuch aisi thi.
'I needed this. Iske zariye... I can...'
[Still! It's not really that good Master. 30% chances hai ki paise doob bhi sakte hai.]
'Pari par 70% success chances bhi toh hai. Normally logo ke liye 50-50 chances rehte hai. Still, log paise lagaate hai na? But for me... It will be 70 - 30.]
[Hmm! Ye baat bhi hai master.]
'Aur kya changes hai? I saw ki, System layout bhi upgrade hua tha. What is it?'
[Bas, cheezo ke dikhaana ka tareeqa master. Just the layout has changed. Let me show you!]
*Ding*
[Name : Veer | Age : 21 |
Status : Student / Businessman
Stats :
Strength - 96/100 | Intelligence - 95/100
Agility - 65/100 | Endurance - 65/100
Appearance - 75/100
Skills :
Sex Protection | Intermediate Martial Arts Skill |
Hawkeye | Limbo | Basic Enemy Tracker |
Absolute Chef | Basic Driving | Stock Master.
System's Internal Features :
Check | Path Tracker | Past Illustration |
Quest Hunt | Slot | Translator | Alpha Trait
Favourabilities :
Suman : 126 (Slave) | Aabha : 90 (Slave)
Sonali : 65 (Familiar) | Ragini : 75 (Close mate)
Nidhi : 40 (Mate) | Shreya : 67 (Close mate)
Juhi : 90 (Best mate) | Suhana : 64 (Close mate)
Sonia : 71 (Close mate) | Kavya : 88 (Best mate)
Shweta : 10 (Familiar) | Bhumika : 38 (Familiar)
Kaera : 75 (Close mate) | Arohi : 70 (Close mate)
Cards :
Bone Reaper | Beowulf's Blessings
Points Remaining : 3300
System Level : Level 6
(600 EXP more to reach Level 7)]
[How is it Master? Layout change ho chuka hai. Do you like it?]
'Ahhh! I see! Waqai! It looks good now. Kaafi cheeze add hui hai. Compact design. Hmm~ I like it.'
[Thank you Master!!! I'm glad you liked it.]
'Pari!!!'
[Yes Master?]
'Points add kar do. Saare stats me. Make them full. All 100.'
[As you wish Master!]
*Ding*
[All stats have reached 100.]
[Remaining Points : 3092]
[Changes kal...]
''Kal subah dekhne ko milenge. I know. Thanks Pari!'
[It's my job Master. Par, appearance ko aapne ekdum se full kar liya hai. Tomorrow! Things will be interesting. Fufufu~]
Saari cheezo ko samajhne ke baad, Veer utha aur haath muh dho ke woh neeche aaya. Neeche aate hi usse alag hi mahaul nazar aaya.
Suman, Ragini, Aabha, Sonali sab zameen par chataayi bicchaaye hue baithi thi aur kuch bana rahi thi.
Veer : Hmm?
Ragini : V-Veer? Aao na! Uth gaye? Ab kesa lag raha hai?
Veer : I'm good Bhabhi!
Ragini (smiles) : Acchi baat hai. Dekho! Mein tumhaare liye gulaab jaamun, namkeen, aur saloni bana rahi hu. Tumhe tyohaar ke pakwaan pasand hai na?
Veer : Hmm?
Ragini : Aaj Holika dehen hai. Hum jaha rehte hai, yaha aas paas koi holika nahi baithi hai. Kya tum m-mujhe leke... Raat me... Holika dehen dekhne chaloge? Yahi main road side?
Wo ek aas liye usse dekhi, wahi side me baithi Suman bhi unn dono ko hi dekh rahi thi. Na jaane kya soch rahi thi.
Veer (smiles) : Kyu nahi Bhabhi? Sure!
Ragini (smiles) : Ahh!! Thank you Veer! Bas, ye taiyaariya kar lu, fir hum dinner kar ke raat me chalte hai. Okay?
Veer (smiles) : Alright!
***
Nidhi's Apartment...
Ragini ke ghar ki hi tarah, Nidhi ke flat me bhi chahal pehel machi hui thi. Aur iss chahal pehel ka kaaran kaun tha? Of course, nanhi Juhi! Uske alawa kaun ho sakta tha?
"Do na mammaaaa!!! Do do do... Candyyyy dooo!!!"
Wo Nidhi ke gown ko kheench kheench ke zidd kar rahi thi. Toh wahi sofe par baithi Shreya uski zidd pe muskuraa rahi thi. Apne Laptop me kaam me lagi hui thi woh.
Nidhi bada sa ek packet khol rahi thi aur Juhi ke liye candy nikaal rahi thi.
Nidhi : De rahi hai na mamma. Aur suno, roz bas ek hi milegi. Okay?
Juhi : Mmm~
Nidhi : Ye lo~
Juhi (perr patakte hue) : Ummm.... Khol ke...
Nidhi : Haa baba! Ye lo...
Juhi : Ehehe~
Aur wo jhatpat apne muh me candy daal bhaag gayi apne khilauno se khelne.
Nidhi (sighs) : Ye ladki bhi...
Shreya : Kal ka kya scene hai Dii?
Nidhi : Hmm? Kal ka kya?
Shreya : Kal holi hai. Kuch socha hai aapne?
Nidhi : Holi me kya Shreya? Harr saal ki tarah, thode pakwaan banaaye hai. Ghar jaa ke Mamma papa se mil aaungi. Bas! Aur kya?
Shreya : Bas? Really? Aur Juhi ka kya? Wo holi kese khelegi?
Nidhi : Society me Juhi ki umr ke bacche boht kam hai Shreya. Aur jo hai, unhe Juhi nahi jaanti. Kal usse bas gulaal lagwa laungi wahi baccho se. Aur kya?
Shreya : What??? Really dii? Yadi aap holi celebrate nahi kar rahi ho toh kam se kam bechari Juhi ko toh karne do.
Nidhi : Mein...
Shreya : Waqai aap bhi na. Aur uss duffer ka kya?
Nidhi : Huh?
Shreya (smiles) : Mera matlab wo... Veer ka kya?
Nidhi : I... Bhala mujhe kese pata hoga uske baare me?
Shreya : Huh? Kya aapki baat nahi hoti uss se? Haan? Aap hi ne toh bataaya tha na ki wo college aaya tha tests dene. Fir? Kya baat nahi hui.
Shreya ke sawaal par Nidhi ko wahi din yaad aa gaya. Wo din jab Veer ne uss se apne dil ki baat keh dii thi. 'I like you ma'am!!!'
Isse sunn ke Nidhi ke saare din itni mushqil se guzar rahe the ki harr thodi derr me usse Veer ke khayaal aane lagte the. Aur wo jese tese khud ko koss ke, samjha ke Veer ki chavvi apne mann se hata deti thi.
Nidhi : N-Nahi!! Meri baat nahi hui. Aur tumhara kya? Aaye din toh tum uske baare me puchti rehti thi. Kya hua? Kya tumhari baat nahi hui uss se?
Shreya (blushes) : Ahh! Wh-Whaaattt? M-Mein... N-No of course not!!! Mein toh k-kaafi samay se busy hu kaam me.
Nidhi : Toh bas fir. Hum dono ko hi nahi pata uske baare me.
Shreya : I... Hey dii!? Kyu na hum usse surprise de? Hahahaha~ Yes! Ye badhiya rahega. What do you say?
Nidhi : N-Nahi! K-Koi zaroorat nahi hai jaane ki. Wo waha apni family ke saath holi manaega. It will be a disturbance for them.
Shreya : Kya dii? Kesa disturbance? Hum toh ghar jese hai na? Aur uski bhabhi bhi toh kitna hume invite karti rehti hai. Veer yaha reh ke gaya hai kitne hafto tak. Toh ye koi bahaana nahi hua.
Nidhi : N-Noooo hum waha...
Wo kuch bolti ki andar se Juhi daudati bhaagti hui aake uski goad par chadh gayi.
Juhi : Maaaamuuu ke ghar... Maaamuuu ke ghar... Mein jaungi!!!! Mammmaa~ Maaasssiii!!!
Pata nahi kese, par apne maamu ka naam sunte hi Juhi ke kaan khade ho gaye aur wo jhatpat andar se bhaag ke aa gayi.
Shreya : Dekha!? Kam se kam ab Juhi ke liye toh chaliye. Uski bhi Holi kitni acchi guzar jaegi. Waha logo se milegi usse accha lagega. Ho sakta hai Kavya bhi aaye? Akhir Juhi aur uski boht banti hai. Ab toh chalenge na hum?
Juhi : Chalna hai... Chalna hai... Maamuuuu ke ghar... Chalna hai...
Nidhi firse mana karne hi waali thi. Par jab usne Juhi ki aankho me dekha aur ye abhaas kiya ki Juhi wese hi apne chote bhai, Dhruv se bichdi hui hai. Na usse koi khelne waala milta hai aur na koi saathi. Yadi problem uski Veer se hai toh isme bechari Juhi ki khushiya kyu daav pe lagaayi jaaye? Ye ek parent hone ka kartavya tha Nidhi ka ki wo Juhi ki khushiyo ka dhyaan rakhe.
Aur ye abhaas hote hi, uski nazre glaani se jhuk gayi.
Nidhi : Sorry beta! Sorry Shreya! Hum kal chalenge.
Juhi : Yaaaaaayyyyyy~
Shreya (smiles) : It's alright!!!
***
Kaera's Villa...
Meanwhile idhar Kaera apne villa me kal ke liye planning kar rahi thi. Julia, uski maid uske makhmal gore badan se kapde utaar rahi thi aur nighty pehnaane hi wali thi jab Kaera ne usse rok diya.
Kaera : No! Not this today! Just a t-shirt and leggings. That's it.
Julia : Are you really sure Miss?
Kaera : Yes!!!
Aur Julia usse fir wahi pehnaane lagi.
Kaera ko Slogan ki maut ke baare me pata lag chuka tha. Par uss se kaafi baatein chhipaayi gayi thi.
Jese ki wo ye nahi jaanti thi ki Slogan ka khaatma Veer ne kiya tha. Usse ye bhi nahi pata tha ki uske hi resort me uss din Steve ka sarr udd gaya tha.
Usse bas itna pata tha ki Steve ki car me firing hui thi. Par iss se pehle ki wo Steve ke shareer ko car se girta dekh paati, uske agal bagal security ne usse surround kar ke andar kar diya tha. Aur wo inn sabhi baato se anibhigya thi.
Par chuki, ab Slogan jaa chuka tha. Wo kaafi relaxed thi. Aur mann me uske planning chal rahi thi. Wo light mood me bed par baithi aur sochne lagi,
'Tomorrow! Hmm~ It's Holi! I never played this. I'll go and visit him. Only he can teach me about this.'
Kaera : Julia!
Julia : Yes miss?
Kaera : W-What is this feeling? Wh-When you don't want someone to get hurt. When you don't want to see that someone getting suffer. When... When you want that person always within your sight?
Julia (smiles) : It's Love Miss!!
Kaera : L-Love?? What is Love?
Julia (smiles) : Didn't you answer me just now?
Kaera : Huh?
Julia : When you don't want to see that person getting hurt and suffer. You want that person to be around you all the time. It's Love Miss! That means you love this person.
Kaera : I... I see!!
'I'll ask Veer. Tomorrow!!!'
***
Ragini's home...
"Hum nikal rahe hai Suman jii! Par aap sab bhi chalte toh accha hota."
Ragini ne apni sandals pehente hue kaha.
Laal saree me aaj wo itni kamaal lag rahi thi ki Veer ko badi mushqil jaa rahi thi. Wo nahi chaah raha tha ki apni hi bhabhi ko taade. Par wo lag hi itni sundar rahi thi ki na chaahte hue bhi uski nazre Ragini par chali jaa rahi thi.
Aur yaha Ragini uski harr nazar pakad le rahi thi. Wo aisa dikha rahi thi jese usse Veer ki nigaaho ke baare me kuch nahi pata. Wo toh balki jaan bujh ke khud ko dikhaana chaah rahi thi. Akhir uske sajne ke peeche ka maqsad hi toh yahi tha.
Wo Veer ke liye hi toh itna saji hui thi.
'Lipstick is fine... Ummm~ Nailpolish done. Baal side me hai, they are looking hot. Bindi done, kaajal done, make-up ka halka touch bhi ho gaya. Sleeveless saree bhi pehn lii. What else? Perfume bhi laga chuki hu. Jwellery bhi ho gayi. What else now? Everything is okay I guess.'
Uske mann me abhi yahi baatein chal rahi thi. Wo nahi chaahti thi ki Suman ya koi aur bhi uske sang aaye. Wo keval Veer ke saath akele jaana chaahti thi. Aur Suman jese uske mann ki baat samajh chuki thi. Usne forun hi keh diya ki wo sabhi ghar par rahenge.
Suman : Koi baat nahi! Aap jaaiye! Hum sab hai yaha. Phone me photo le aaiyega Ragini jii. Hum yahi dekh lenge.
Ragini (smiles) : Bilkul! Video bana laungi. Chale Veer?
Veer : Hmm~
Aur wo dono hi car me baithe aur nikal gaye.
Sonali (muh fulaate hue) : Mujhe jaane kyu nahi diya aapne? Ghar ki dekh rekh ke liye aap toh thi na Maa? Fir yaha hum teen teen jann ko rukne ki zaroorat?
Suman (smiles) : Zaroorat hai. Unhe...
Sonali : Hmm?
Suman (smiles) : Kuch nahi!!!
Raaste bhar Ragini aur Veer me zyaada baatein nahi hui. Baatein hui toh keval nazro se. Veer side-eye karke Ragini ko dekhta toh kabhi Ragini usse dekhti aur usse apni orr dekhta hua paati.
Wo jab jab Veer ko apni orr dekhta hua pakadti, uska mann aur khil uthata. Yaani ki Veer ko bhi usme interest tha. Aur Veer uske saundarya ke aage haar raha tha.
Jab dono hi holika dehen ke sthaan par pohuche toh wahi utar ke Ragini ne saari vidhi se holika ke chakkar lagaaye aur darshan kiye.
Kal holi ka tyohaar tha. Ye tyohaar uske divorce ke baad pehla tyohaar hone waala tha. Aur wo isme koi bhi kami nahi hone dena chaahti thi.
Waha khade log bas Ragini aur Veer ko hi dekhe jaa rahe the. Isliye jaldi se darshan kar Ragini aur Veer car me aake baith gaye. Aur car se hi baahar holika dehen ko dekhne lage.
Tabhi achanak Veer ki nazar Ragini ke gale par gayi,
Veer : Aapka... Mangalsutra...!?
Ragini : Ab jab pati ko hi dur kar diya. Toh kis baat ka mangalsutra Veer?
Veer : No I mean... Aapka gala khaali khaali lag raha tha isliye... I just...
Veer apni nazre ferra hi tha ki Ragini ne uska haath thama aur utha ke apne stano ke theek upar seene par rakhwa liya.
Veer : B-Bhabhi!!!???
Ragini (smiles) : Khaali lag raha hai? T-Toh... Tum kuch kyu nahi laate apni iss bhabhi ke liye? Haan? Anything will do.
Veer : I...
Veer iss sudden harqat se yadi andar tak hil ke nahi reh gaya tha toh ye kehna galat tha. Ragini ke iss action ki usse zara bhi umeed nahi thi. Uske seene par haath rakh wo Ragini ke dil ki dhadkan bakhubi mehsoos kar paa raha tha. Bas thoda sa hi faasla tha. Bas thoda sa... Thoda aur neeche yadi haath galti se bhi lag jaata toh Veer ko unn raseele aamo ka ehsaas mil jaata.
Ragini : Kaho!? Kya apni iss nakaar dii gayi Bhabhi ke liye laoge kuch!?
Veer : Aisa kyu keh rahi ho aap? Kisi ne nahi nakaara hai aapko.
Ragini (smiles) : Tumne bhi nahi na!? Kyuki kisi ek ne toh apne jeevan se nakaar ke phek diya mujhe.
Veer : Aap uss baare me mat sochiye Bhabhi! Hum sab aapke saath toh hai na!?
Ragini (smiles) : What about you!?
Veer : Of course! M-Mein bhi aapke saath hu.
Ragini (smiles) : Then that's all that matters. Fufu~♡
Aur agle hi pal wo aage badhi aur uske laal laal raseele honth Veer ke gaal par the.
*Chu~♡*
*Badump*
Pal bhar ke liye Veer ki jese saans hi atak gayi. Uske gaal par Ragini ke hontho ka thappa jo lag chuka tha. Wo laal lipstick poori tareeqe se uske gaal par honth ka nishaan bann ke chadh chuki thi. Kya Ragini ne issi iraade se aaj fiery red lipstick lagaayi thi. Who knows!?
***
Suhana's home...
*THUD*
Zorr se door band hone ki awaaz aayi aur Suhana apne business outfit me ghar ke andar aayi. Uska mood kuch boht hi kharaab lag raha tha.
'Damn itt!!!!! Ye badi deal haath se nikal gayi. All because of that bastard advisor. Yadi wo beech me taang nahi adaata. Toh sab kuch smoothly ho gaya hota.'
Mann me badbadaate hue wo apne kapde change kari. Aaj uska dimaag behad kharaab tha.
*Ring Ring*
'Huhhh? Sonu ka phone?'
Suhana : Bol Sonu!!!
Sonia : Diii! Kal holi hai.
Suhana : Haan toh?
Sonia : Dii! Kal... Kal mein Veer ke ghar jaaungi. To celebrate Holi. Are you coming?
Suhana : Mein dekh rahi hu tum kaafi close hote jaa rahi ho uske? Kya maajra kya hai Madam?
Sonia (blushes) : Ahhh??? Y-Ye kya bol rahi ho aap. I'm going to give my thanks... T-That's it.
Suhana : Tumhari tarah yadi koi ladki aise ladko ko thanks dene lagi na harr baar toh wo kuch hi dino baad bacche leke ghumegi.
Sonia (blushes) : W-Whaaat?? What are you even saying diii? It's... It's nothing like that. Stop it! Are you coming are not?
Suhana : No waaayyy! Mera mood abhi kharaab hai wese bhi. I'll talk to you later.
Sonia : Huhhhh? D-Diii!!!?
*Call ends*
Suhana ne bina Sonia ke baat sune hi phone cut kar diya. Aur apne anguthe ko daato tale dabaaye soch me pad gayi.
'That idiot... He actually killed him... I knew it... Kuch gadbad hai... He hasn't even returned my gun.'
Wo soch me thi jab achanak hi darwaaza khula aur ek suit pehne aadmi andar pravesh kiya.
"Ohh! Tum aa gayi? Kesi rahi deal?"
Gaurav!!! Suhana ka pati. Usne Suhana ko dekh pucha. Kyuki, Suhana uski hi company ki taraf se deal karne gayi thi.
Suhana : Deal failed. Sab kuch uss company ke advisor ke kaaran.
Gaurav : Whaaaaaaatttttt? Deal fail ho gayi? Kya karti ho Suhana? Itna chota sa kaam nahi hua? Kese tumne aaj..!? Sab tumhari galti hai. Mujhe ye deal nahi deni chahiye thi tumhe.
Suhana : Meri galti? Meri galti????? Excuse me!!!!! Meri koi galti nahi thi samjhe Gaurav??? Wo advisor pehle se hi planning kar ke aaya tha.
Gaurav : Still... Anyways! Jo hua so hua. Jao accha! Jaake mere liye aaj kuch special banao khaane ke liye.
Suhana : Whaaaattttt? Samay dekh rahe ho Gaurav??? 12 baj rahe hai raat ke. Poore time office me thi. Waha se mathapacchi kar ke itni late lauti hu. Yaha tak ki aaj holika dehen tha toh kahi gayi bhi nahi. Aur itni thakaan ke baad tum mujhse khaana maang rahe ho? Chef bhi hai hamaare ghar me. Do you know???
Gaurav : I know! Aur mein bhi koi park me ghum ke nahi aa raha hu Miss Suhana! Din bhar mehnat karta hu. Meri ek post hai. C.E.O ki. Unlike you... Tum ghar me khana nahi banaogi toh kaun banaega? Make me something good. Mein aata hu change kar ke.
Aur wo nikal gaya upar. Idhar Suhana ki mutthi kassi hui thi gusse ke maare. She had enough!!! Mann toh kar raha tha abhi ghar se bhaag jaaye. Din bhar ki bhaag daud ke baad ab wo khaana banaaye???
Wo gusse me kapde badli aur kitchen me gayi kuch banaane bemann se.
Usne agle hi pal Sonia ko call kiya,
Sonia : Hello?? Dii?
Suhana : Tum kal Veer ke yaha jaa rahi ho na?
Sonia : Umm.. haan! yeah!!
Suhana : Count me in!!!!
Sonia : Ehhhh?
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys.
I told you guys ki update 77 will be interesting. But see, yahi pe moderation ho gaya.Aur iss update me mene left over questions ke answers diye. Ab, sabhi Veer ke ghar par jaa rahi hai. Meanwhile Veer inn sab se anibhigya hai.
Like thokne ka and revos rakhne ka.
Dhanyavaad!![]()
Waise Veer ko ek aur clue mil sakta hai, Dexter ki body par 'Past Illustration' use karke.Disembowler Arc me hi Post Disembowler Arc... Saaf hai ki ab is Arc me Disembowler nahi dikhega, uska mission shayad kill Veer, maybe use Juhi and Pihu also bhi fail hua hai. Juhi aur Pihu isliye kyonki usne in dono ko bhi Lure Path se trap kiya tha. Yeh bhi ho sakta hai ki usne keval Veer ko hi trap karne ke liye Juhi aur Pihu ko trap kiya ho. Jo bhi ho, Disembowler ko bhi badi panalty mili hogi. Shayad usase recover karne ke liye kahin bhaag gaya ho.
In sab me hum Mr X ka role bhul rahe hain, usne hi Damian ke madhyam se Dexter, Dhananjay aur Rajat ko uksaya tha. Uska target Veer ki family members ko maarna aur Yarnia ke launch ko fail karke Veer ko kamzor karna tha. Waise target seedha Veer bhi ho sakta ho, lekin weh to aaya nahi, aur shayad Probability Manipulation se bach bhi jata, lekin damage to ho hi jata.
Bahut aavashyak hai ki Veer ab in sab baaton par dhyan de, aur apne System Holder friends ke saath mil kar plan kare. Waise bhi un sab ne mil kar apna ek snagathan isi liye banaya tha. Rebeca aur Damian ke baare me to unko pata hai, shayad abhi unko Mr X ke baare me kuch pata nahi hai. Keval Ava ka hi Mr X se Slogan ke samay, aur phir Crimson ke samay bhi phone se interaction hua tha. Veer ko ab Australian Girl (Captain) ko bhi apne group me shamil kar lena chahiye. Galileo twins ki bhi koi khabar nahi hai.
Veer apne dadaji ke bahut close tha, unki maut ka uspar gahra asar padega aur Ragini ki bhi halat par. Weh in sab ke liye apne aap ko doshi maan sakta hai. Jarurat hai ki usko is paristhiti se jaldi hi ubharna chahiye.
Ab is Arc me shayad kuch rishte majboot honge. Nidhi ka to saaf dikh hi raha hai, lekin Yarnia ke nuksaan ko dekhte huye shayad Kaera aur Sonia bhi close aayein, Ava ka to Veer par bahut bada ahsan ho gaya hai, usko to ab pass ana hi hai.
Gaurav aur Nik ki dhulayi bahut jaruri hai, aur usase bhi jaruri hai Suhana aur Divya ka unke chungal se nikalna. Ek baar Suhana apni shaadi se mukt ho jaaye, tab weh Veer ka bahut bada support system ban sakti hai kyonki weh usper pura trust karta hai.
Abhi Veer ko Bhavna ka saamna bhi karna padega, ab weh usase kitna chupa pata hai, weh dekhna hai. Tej ko bhi samjhana padega. Aur Neelmani... Is story me sabse acchi baat yeh hai ki koi bhi ghatna bina kisi karan nahi hoti, isliye saaf hai ki Neelmani ka role bhi kabhi saamne aayega, aur weh aham bhi hoga.
Ab is Arc me jahan ek taraf rishte majboot honge, wahin par Veer apne dushmano se badla bhi lene ki loshish karega. Dekhna hai ki ab Trisha aur Rohan ka Veer ke prati kya view rehta hai. Ek tarah se ab is Arc me Summit Arc ki neev bhi banti dikhegi.
Sabse bada clue Rajat aur Dhananjay hain, unko thikane lagana to jaruri hai lekin usase pehle unse Veer ko Damian ke baare me pata laga lena chahiye. Wahin se Rebeca picture me aa jayegi aur shayad Mr X ka clue mile.
Hahaha... Yeh sab mera guess hai, asli story to writer sahab hi likhenge aur kya hone wala hai weh to agle updates se hi pata chalega.
10 din hogey waiting for your next update date sir
Nahi mil sakta. Dexter ko Garofano ne maara. Na ki Veer ne. Jo maarta hai, wahi past illustration dekh sakta hai.Waise Veer ko ek aur clue mil sakta hai, Dexter ki body par 'Past Illustration' use karke.
चुनाव वगैरह नहीं हुआ हैं भाया। जो घायल था, उसमें से ही किसी को जाना था। सिस्टम ने चयन नहीं किया हैं। अगर, रागिनी और सुमन को चोट लगी होती तो उनमें से कोई इस संसार से जाता। यहाँ पर मनोरथ जी फिलहाल गुज़रे हैं।आपरेशन ' डिसेम्बाउलर ' पुरी तरह सक्सेसफूल न होने की वजह से वीर को अपने एक प्रियजन को खोना पड़ा ।
वीर के पुज्य दादा मनोरथ जी अब इस संसार मे नही रहे ।
सिस्टम के टास्क अनुसार डिसेम्बाउलर की मौत न होने पर वीर को अपने एक आत्मीय को खोना ही था और शायद इस असफल मिशन के लिए सिस्टम ने मनोरथ जी का चुनाव किया ।
कहीं न कहीं उनकी भी गलतियाँ रही हैं जिनका खामियाजा उन्होंने भुगता भी हैं।मनोरथ जी परिवार के सबसे बुजुर्ग व्यक्ति थे । वीर के शैशवकाल और स्कूली जीवन मे इस परिवार के वह एकलौते सदस्य थे जो वीर की परवाह करते थे । इसके अलावा वह एक ऐसी शख्सियत भी थे जिन्होने पुरे परिवार को सदैव एक सूत्र मे बांधने का प्रयास किया ।
वो निस्संदेह एक देवतुल्य इंसान थे । इनकी मृत्यु पर मै हार्दिक संवेदना व्यक्त करता हूं ।
बिल्कुल।मौत परिवार के किसी भी सदस्य की हो , भले ही वह बुजुर्ग ही क्यों न हो , दुखद और अफसोसजनक ही होती है , और अगर वह व्यक्ति एक नेक इंसान हो तो दुख और भी अधिक हो जाती है ।
सिस्टम एक रहस्य ही तो हैं। और, किसने कह दिया कि सिस्टम एक अच्छी भावनाएं रखने वाला सिस्टम हैं। वह कुछ भी हो सकता हैं। अच्छा भी, बुरा भी।मनोरथ जी की मृत्यु और इस मृत्यु का कनेक्शन सिस्टम द्वारा दिए गए टास्क एंड पेनाल्टी से होना एक गंभीर सवाल पैदा कर रहा है । ऐसा प्रतीत हो रहा है जैसे सिस्टम ईश्वर का रोल अदा कर रहा है , जैसे विधाता का रोल निभा रहा है । मौत एक ऐसी सच्चाई है जो सिर्फ ईश्वर ही जानता है कि अमुक व्यक्ति की मौत कब होगी , कैसे होगी और उस मौत का कारण क्या होगा ।
किसी साइंस या किसी सिस्टम के वश का नही कि वह इस तरीके से किसी की मौत की भविष्यवाणी कर दे । और इस तरह का दंडात्मक टास्क मौत ! यह बहुत बड़ी मिस्ट्री पैदा कर रहा है ।
ये भी हो सकता हैं। जीवन में जान तो कभी भी जा सकती हैं।खैर , कारण जो भी हो पर एक तरह से यह ठीक ही हुआ कि वीर को अपने उन प्रियजन को नही खोना पड़ा जो अभी कम उम्र के ही थे ।
अगले अपडेट में उजागर होंगी ये सारी बातें भाया।रागिनी भाभी के साथ हुई हादसा अवश्य चिंताजनक है ।
डॉक्टर के अनुसार वह अब कभी चल नही सकती । रागिनी भाभी की वास्तविक मेडिकल कंडीशन के बारे पुरा अपडेट नही आया है । उनके पांव पर पैरालिसिस अटेक आया है या पांव शरीर से अलग कर दी गई है , यह जानने के बाद ही हम अपनी राय रख सकते है ।
लेकिन मै ईश्वर से यह अवश्य प्रार्थना करना चाहूंगा कि वह फिर से पुरी तरह अपने पांव पर खड़ी हो जाएं ।
ऊपर से ये जानते हुए कि पहले ही एक प्रेम संबंध काम नहीं आया। ऐसे में निधि दोबारा प्रेम सम्बन्ध बनाने में हिचकिचाएगी ही।निधि की इमोशंस पहली बार दिल से निकल कर जुबान तक पहुंची । ऐसा लगा जैसे वर्षों से दबी हुई ज्वालामुखिय इमोशंस फुटकर लावे के रूप मे बिखर गई ।
निधि और वीर के दरम्यान बहुत बड़ी सामाजिक बंधने थी । वो वीर की शिक्षक थी , उम्र मे काफी बड़ी थी , तलाकशुदा औरत थी , दो बच्चों की मां थी , मायके पक्ष मे एक लम्बा परिवार था । इस स्थिति मे किसी भी औरत के लिए दूसरा प्रेम संबंध बनाना या शादी करना आसान नही होता ।
आसान कुछ भी नहीं होता। पर, अब एक रास्ता ज़रूर बन गया हैं सामने निधि के लिए। अगर, अब वो चाहे, तो इसमें आगे बढ़ वीर को पा सकती हैं। ये उसके ऊपर हैं...निधि की प्राण उसके बच्चों मे बसती है और बच्चों , खासकर जूही का प्राण वीर मे बसता है । जिस भयावह सिचुएशन से वीर ने जूही के प्राण की रक्षा करी , सकुशल निधि के सुरक्षित हाथों मे सौंपा उस से निधि क्या कोई भी औरत वीर के एहसान तले आजीवन दबी रहती ।
निधि के दिलो-दिमाग से घने मेघ छंट तो गए है पर वीर के साथ वो किस प्रकार का रिलेशनशिप बिल्ड करती है यह देखना है ।
पर इस से ये बात भी झुठलाई नहीं जा सकती कि उसने कभी वीर को मारना चाहा था। इसलिए ग्लानि के भाव तो रहेंगे ही भाया। चाहे वो कितना ही अच्छा क्यूँ ना कर ले...इकतीस दिसंबर की रात एक दुखद हादशे एवं साजिश की रात थी । बहुत लोग मारे गए , होटल तबाह हो गया , रागिनी भाभी की दशा नाजुक हो गई और मनोरथ साहब स्वर्ग सिधार गए । इस विपदाग्रस्त स्थिति मे वीर के सिस्टम होल्डर्स दोस्तों ने जरूरत अनुसार अच्छा काम किया । पर मै यहां सिर्फ एवा मार्टिन की बात करना चाहता हूं । एवा को लगता है कि उसने अपनी जिम्मेदारी ठीक से नही निभाई जो बिल्कुल ही गलत है ।
एवा ने तेजल की तरह बढ़ रही मौत का रूख अपनी ओर किया । वो मरते मरते बची । होश मे आते ही शारीरिक कंडीशन खराब होने के बावजूद भी खुद की नही वीर के परिवार की चिंता करी ।
बहुत बहुत धन्यवाद भाया।खुबसूरत अपडेट वेयरवोल्फ भाई ।
जगमग जगमग अपडेट ।
Dhanyavad.Great update. Jaisa ki pehle hi kaha tha, Disembowler Arc me Nidhi ka bada role rahega jo is update me dikh gaya. Sach me logon ki memory bahut choti hoti hai, badi se badi ghatna ko jaldi bhula dete hain jab tak ki kud weh usase prabhavit nahi ho. Guard ki behan ka drishya chota lekin bahut bhavuk tha.
Syndicate ek alliance hai. Definitely, ek member se alliance toh banegi nahi. There were many. Jisme se do humne dekh liye. Dexter and Matthew. Aur, dono hi ab guzar chuke hai.Aadesh ne is ghatna ko apne favour me khub cash kar liya. Mere khayal se uska involvement isme keval Dhananjay ko support karna tha. Rajat shayad Damian ke uksane par Veer se badla lena chahta tha aur Dexter to kisi Syndicate ka sadasya tha, apni purani haar ka badla lene aaya tha. Ho sakta hai Syndicate ki yeh kahani yahan par khatam na ho
Pata chalega very soon. Next update me jitna ho payega utni cheezein reveal kar dunga. Warna aage toh honi hi hai.Ava ko Garofano ke Surgery (Yohana's Scalpel) aur Ava ke khud ke Healing (Healing Factor) Cards ne jaldi recover kara diya aur usne Veer ki location bata di. 'Basic Seer Vision!' se Erica ko Lair me kya ghata, pata lag gaya lekin ahem baat yeh hai ki weh usme ghus gaye.
<Yaha se woh khaali haath nahi laut sakte the.>
<Majbooran, Erica ko bhi neeche koodna hi pada. Na jaane neeche kaun se rehesya khulne ke liye unka intezar kar rahe the.>
Renshu aur Erica kahin wahan se SHB to nahi le aayein.
Thanks for paying attention. Yes. Shreya toh bas pehli ladki thi jisne ye dekha. Nidhi aur Veer ke beech ki nazdeekiyan jab baaki logo ko nazar aayengi toh dikkat aur badh sakti hai.Erica aur Garofano ki nok-jhok kafi interesting thi. Abhi Nidhi ko dekh kar yeh jalan to bahut logon me aane wali hai. Shreya ka reaction to ek chota sa example hai.
Thanks a lot.Nidhi ka Veer ko hospital se apne ghar lana ek chance nahi tha. Unka ek-dusre ke nazdeek aana to kayi mahine pehle se shuru ho gaya tha. Yeh pura scene bahut sundar aur emotional tha. Great writing skills. Kuch ansh -
I'm glad you liked it. Thanks.<Kal ki hi tarah aaj bhi woh sab se dur kone me akela baitha hua tha,>
<Pata nahi kyu par use iss qadar dekh Nidhi ko ek samaanta si mehsoos hui.>
<Usne itni saralta se kaha, maano jaise use aadat ho gayi ho bhulaaye jaane ki.>
<Iski bajaaye, woh bas uske bagal se baith gayi.>
<Varsho me pehli baar, Veer ko laga ki koi tha... Jo uski parvah kar raha tha.>
<Veer ne hichkichaate hue apni pen aur kass ke pakad li.>
<Lekin, agli hi subah, Veer ko apni desk ke neeche ek bandage kit rakhi mili — ek chhote se note ke saath.
'Take care of yourself. Some people care about you — even if you don't believe it yet.'>
<'Arey waah! Bahut khoob. Par, Veer-!? Mujhe nahi lagta ki meri naak itni badi hai. Hai na?'>
<Veer bhi badle me muskura diya. Shayad ye pehli baar tha jab Nidhi ne use muskurate hue dekha tha.>
<Aur, iss baar-
Veer naraaz na reh saka. Woh sharmaate hue muskuraya aur apna muh ferr liya.>
Waise to pura Flashback itna bhavuk tha, kaise dheere-dheere Nidhi ne Veer ki banayi huyi deewaron ko dhaha diya aur uske close aati gayi, padh kar anand aa gaya. A pure unadultrated love was blossoming.
Garofano nahi. Erica.Veer ko lagta hai Garofano Nidhi ki baahon se ilaaz karne ke liye le gayi. Uske blood ko agar doctors ne le liya, toh System ko secret rakhne me kathinayi ho jayegi. Pehle bhi ek baar aisa ho chuka hai, lekin usme Veer ki recovery dekh kar doctor aashcharya me padh gayi thi, lekin isase pehle weh kuch samajh pati, yaad nahi kuch ho gaya tha. Yahan par bhi Garofano ne uske ghaavon ko theek tarah se sill kar patti laga di hogi.
Exactly! Ab shuruwat ho chuki hai.Ab aate hain, marne walon par. Manorath ka to guess kar liya tha lekin Ragini bechari is puri kahani me sabse jyada suffer kari hai. Ab apahjit ki jindagi kaise jiyegi. Kya Veer ya Garofano usko theek kar payenge. Mere khayal se nahi, aur jis tarah se ab Veer Ragini ki care karega, dekhne layak hoga. Lagta hai ki abhi tak to kahani me sab accha-accha hi ho raha tha, lekin ab samay aa gaya hai ki Veer ki jindagi me haar bhi shamil hone wali hai.
Uss scene ko next update me post-poned kar diya gaya hai.<Pihu ko woh pehle hi surakshit haatho me de aaya tha. Bachi thi toh sirf uski apni Juhi.>
Pihu ka kuch pata nahi chala ki Veer usko kiske paas chhod kar aaya. Kya wahan par Trisha aur Rohan bhi the aur unhone Veer ki dasha nahi dekhi hogi. Ab unka reaction kaisa hoga.
We'll come to know in the upcoming updates. Thanks a lot. And, keep supporting.Sabse badi baat hai ki Disembowler ka kya hua. Kya Veer usko tag nahi laga sakta ya Ava usko Death Flag laga de. Par Ava ne to usko dekha hi nahi hai, weh nahi laga payegi aur Veer bhi ya to vyakti ko saamne se dekh kar ya uski tasweer dekh kar hi tag laga payega.
Anyways, a Great Update.
Tumko kya lagta hai?Daddu mare kaise goli se yaa bhagdhad se![]()
Dhanyavad.Bohat shandar update bro Maza a gya but update thora emotional Tha par ab next update revenge wala hona choy intzar rahy Ga next update Ka,![]()
Kya lagta hai? Kisne kiya hoga treatment?Kuch bate clear hoga kuch baki hai ki pihu ko ko veer ne kisko sopa Veer ka treatment kisne kiya garofano ya dr ne
Aage pata chalega woh dono uss waqt kaha thi.Veer our Nidhi ka flashback mast tha our hospital me sirf 3 hi system holder the ava nhi thi our Suman ka bhi jikar nhi huva
ThanksMind blowing Fantastic and exciting story.
Wonderful and beautiful writings!
Bahut hi shaandar the stroy
Buddha hai bhagdhad ke beech Kisike pero ke neeche aagaya hoga or margaya hogaTumko kya lagta hai?