- 14,261
- 101,094
- 259
Last edited:
romanchak update bhaiUpdate - 2 ~ The Family
Ab tak...
Kuch derr pehle hui ghatna uske imaan, uske gaurav, uski izzat ko chhalli kar ke uske dimaag me ghum rahi thi.
Par wo ruka nahi. Yu aasu bahaate hue wo apne ghar ki orr gaadi badhaata raha jo ab bas kuch hi dur tha.
'Badla toh mein lunga. I'll make them pay. Chun chun ke... Ek ek se chun chun ke badla lunga.'
Ab aage...
Mumbai, jisse Mayanagri ke naam se bhi jaana jaata hai, uss sheher me ek boht hi aalishaan bangle me kuch log badi hi serious hoke ek kamre me dheemi awaaz me baatein kar rahe the.
"Aaj kese bhi karke uska patta saaf kar do. Samjhe?" Ek ladke ne bhaari awaaz me kaha.
Uske peeche khade ek naujavaan ladke ne uski orr dekha aur haa me gardan hilaayi, "Tension mat lo Bhaiya. Aaj uska patta saaf ho jaega. Mene bada hi tagda plan banaya hai hahaha!"
"Kesa plan?"
"Bhaiya! Aap bas dekhte jao. Aaj Dada jii ke decision lete samay hi sab kuch hoega. Mein show grand rakhna chaahta hu hahaha!"
"Shabaash chote! Bas dhyaan rahe koi gadbad na ho. Aur yadi hoye bhi toh tumhara naam bilkul bhi saamne na aaye. Samjhe?"
"Haa Vivek Bhaiya! Don't worry! Ye Pranjal jo bhi karta hai ekdum solid karta hai." Pranjal ne apni chhaati thap thapaate hue kaha.
Vivek : Good!
Muskuraate hue Vivek, Pranjal ka bada bhai uske kamre se nikal gaya.
Abhi wo nikla hi tha ki darwaaze ke baahar hi uski nayi naveli patni, Ragini usse dekhte hi bol padi. "Arre! Tum yaha ho? Chalo jaldi! Kuch derr me Dada jii apna decision dene waale hai. Sabhi hall me ikkhatta ho rahe hai."
Ragini ek boht hi gazab ki stree thi. Uska jism itna perfect tha maano bhagwaan ne badi hi fursat se usse banaaya tha. 27 saal ki Ragini ke stan kasse hue the aur saree me toh wo qayamat hi dhaa deti thi.
Uska gora rang, patle hontho me halki gulaabi lipstick, kamar tak latakte khule kaale baal jo neeche se curled the, uske husn par chaar chaand laga dete the. Ragini ka baap TVS ke 2 showrooms ka maalik tha. Paiso ki toh koi kami hi nahi thi uske paas. Aur Vivek ko aisi patni mili thi, uski kismat ke akhir kya kehne the.
Par Vivek bhi koi aera gerra nahi tha. Jab aisi patni usse mili ho toh andaaza lagaana mushqil nahi tha ki Vivek ka khud ka parivaar kitna ameer tha.
Ragini ki baat sunn Vivek ne kamre me jhaanka.
Vivek (chillaate hue) : Chote! Chal baahar jaldi.
Pranjal : Bhaiya! Aap jao mujhe toh important kaam hai. Haha!
Ragini prashn bhari nazro se Vivek ko dekhi, "Pranjal ko kya kaam bhala iss waqt!?"
Vivek : Tum chalo! Aaj toh behatreen show hone waala hai. Hahaha!
Aur hasste hue Vivek Ragini ko leke waha se chala gaya.
Par Ragini ki toh samajh me hi naa aaya ki akhir chal kya raha tha. Ab jab uske pati ne kaha tha kuch badhiya hone waala hai toh Ragini keval intezaar hi kar sakti thi.
*Click*
Veer ne apne ghar pohuch kar apni scooty se chaavi ghumaate hue gaadi band kari aur usse jeb me rakhte hue wo gaadi se utra.
Wo apne ghar pohuch chuka tha. Keval naam ke liye ghar tha. Ek ghar me ek aadmi khushiya paata hai, apno ka pyaar paata hai, ghar me ekta rehti hai par uske ghar ka ekdum alag hi scene tha.
Jaha aadmi apne ghar pohuch kar sukoon paata hai aur khush hota hai, Veer iss waqt andar jaane se hi katra raha tha aur darr bhi raha tha.
Shaam ke 7:30 baj chuke the. Aur wo paani se bheega, halke khoon se sana hua yaha khada hua tha. Usne apni scooty ke mirror me apni shaqal dekhi toh paaya uski ek aankh poori neel pad chuki thi. Itni buri tarah dhoya tha usse Ajay aur uske saathiyo ne.
"Aaarghhhh!" Karaahte hue usne apna ek haath apni pasli par ferra.
Wo apne qadam aage badhaate hue darwaaze ki orr badha. Uska ghar jo ki nark se kam nahi tha. Wo itna aalishaan tha ki jisse log dekhne ke baad tareefo ke pul baandhne lagte the.
Par unhe kya pata tha ki uss bunglow me andar rehne waale log kese the.
Veer abhi badh ke darwaaze par aaya hi tha ki itne me uske kaano me kisi ki awaaz padi.
"Arre!? Ye mein kya dekh raha hu? Tau jii ka eklauta beta iss haal me? Aur wo bhi aaj apne college ke second year ke pehle din?"
Awaaz sunte hi Veer ke perr wahi tham gaye. Saamne nazar daudaayi toh dekha ki uske chacha ka chota beta, Pranjal saamne khada hua tha.
Jii haa! Wo bungalow Veer ka hi tha.
Pranjal forun aage badh usse sahaara dene ke liye hua toh Veer ne uska haath gusse me jhatak diya aur apne perro par hi khada raha.
Pranjal : Arre!? Arre!? Mein toh bas tumhari madad kar raha tha chote bhai! Tumhari ye haalat kisne kii? Naam batao tum khaali, dekhna tumhara Bhai kya haal karega uss shaks ka.
Par Veer jaanta tha. Jo kuch bhi iss waqt Pranjal ke muh se nikal raha tha, jhooth ke alaawa wo aur kuch nahi ho sakta tha.
Uske jaisa kapti aur sayaana insaan shayad hi Veer ne apni poori life me kabhi dekha hoga.
Pranjal : Chote bhai! Dada jii ka janmdin hai aaj. Gussa thook do bhai. Chalo accha meri madad karwa do.
Par Veer toh jese kuch sunn'na hi nahi chaahta tha. Wo andar jaane laga ki ek baar fir Pranjal ne uska kandha thaam liya.
Pranjal : Bhai! Aaj Dada jii apna decision sunaane waale hai. Unhe kitna accha lagega yadi tum unhe apne haatho se unke janmdin par gift doge. Hai na? Apna gussa apne upar haavi hone mat do chote bhai! Chalo! Andar tumhara sab intezaar kar rahe hai.
Veer bhale hi gusse me tha, par wo apne Dada jii ki badi hi izzat karta tha. Aur unhe maanta bhi tha. Aaj uske Dada jii ka janmdin tha aur usne pehle se hi apne Dada jii ke liye ek gift taiyaar kar ke apne kamre me rakha hua tha. Jese tese Veer ne apna gussa nigla.
Veer : Aap chalo! Mein apne kamre se Dada jii ke liye gift leke aata hu.
Pranjal : Arre kya keh rahe ho Bhai? Dada jii aur baaki sab pehle se hi tumhara intezaar kar rahe hai aur aise me tum unhe aur intezaar karwaoge? Tum apni haalat ke baare me mat socho. Hum sab toh tumhaare apne hi hai hai na? Fir humaare saamne kesi jhijhak? Aao...
Aur Pranjal usse kheechte hue bangle ke andar le gaya. Chaahte hue bhi Veer uska virodh na kar paaya.
Andar ghuste hi ek mini hall tha jaha baahari vyaktiyo ko baithaaya jaata tha. Aur khaas logo ko hi uske andar waale Bade hall me entry allowed thi.
Abhi Pranjal aur Veer dono hi mini hall me the jaha ek khubsoorat sa flower vase maujood tha. Uske ird gird ek laal ribbon lipta hua tha aur Happy Birthday ka ek tag bhi laga hua tha.
Jab Veer ki nazar uspe padi toh woh usse dekhte hi chaunk gaya. Jo ki laazmi tha. Wo flower vase itna mehnga aur itna sundar prateet ho raha tha ki koi bhi usse ek baar dekhne ke baad dubaara zaroor dekhta.
Pranjal (khush hote hue) : Yahi hai wo gift chote bhai. Tau jii yaani ki tumhaare Dad ne khud isse mangwaaya hai. Aur yadi tum Dada jii ko apne haatho se ye gift doge toh woh kitna khush ho jaenge nahi!?
Par Veer jaanta tha ki ye Pranjal jo iss waqt bhed jesa maasoom prateet ho raha tha wo asal me bhed nahi balki bhed ke vesh me ek bhediya tha.
Veer ne naa chaahte hue bhi haa me sar hilaaya aur vase uthaake wo dono hi andar bade hall me pravesh kiye.
Bada hall itna bada tha aur lights se itna jagmaga raha tha ki dekhne waale dekhte hi reh jae. Upar na jaane kitna mehnga ek jhumar latka hua tha jisse dekh ke bas muh se tareef nikalti.
Andar ek single seat luxury waale sofe par Veer ke Dada jii baithe hue the. Aaj unka 80th Birthday tha. Aur unke agal bagal waale sofe par unke do bete baithe hue tha. Bada beta jiska naam tha Brijesh. Aur chota beta jiska naam tha Karunesh.
Karunesh : Papa jii aapko party rakh leni chahiye thi.
Manorath : Hmph! Kabhi bhi ye galti mat karna. Ye sab party jo tum log karte ho na issi ke kaaran tumhaare dushman badhte hai. Jitni raeesi logo ko dikhaoge, utne hi galat iraade logo ke mann me umadte hai.
Veer ke Dada jii ne hidaayat dete hue kaha.
Idhar andar jese hi Veer aur Pranjal aae, sabhi ki nazre un dono par jaa tiki.
Veer ke pita, Brijesh ne jese hi apne ladke ki haalat dekhi toh uski aankhein phati ki phati reh gayi. Usne sofe ke hatte ko itni zorr se bheencha maano usse ukhaad ke hi fek dega.
Kya Brijesh ka ye gussa apne bete ko iss haalat me dekh ke uska ye haal karne waale ke upar tha?
Bilkul bhi nahi!
Balki Brijesh iss waqt apne bete par gussa tha. Yadi abhi koi aur maujood na hota toh usne khade hoke pehle hi 2-4 jhaapad Veer ko raseed diye hote.
Uska beta wo bhi aise haal me? Veer ka ye roop maano Brijesh ki image par ek chaata tha. Na jaane uske baaki ghar waale kya soch rahe honge ab aise me.
Yahi sochke usse itna gussa aa raha tha par uske pita ka aaj janmdin tha aur wo kuch bhi bakheda khada karna nahi chaahta tha.
Nakli smile dete hue usne apne bete Veer ko dekha.
Brijesh : Aa gaye!? Kaha reh gaye the itni derr tak? Aur ye kya haalat bana rakhi hai apni? Kis se maar kha ke aa rahe ho?
Veer ki maano ye sawaal sunte hi sitti pitti gul ho gayi. Apne Dad ki bhaari bharkam awaaz sunte hi uske andar ka darr jaag utha. Uske haanth kaanpne lage the.
Iske pehle wo kuch jawaab de paata, bagal me khade Pranjal ne tapaak se bola.
Pranjal : Tau jii! Yahi baat mene Veer se baahar abhi puchi thi. Toh Veer kehne laga ki aaj usse ek senior ladki pasand aa gayi thi. Aur Veer uss ladki ko kahi le jaana chaahta tha par ladki ke premi ne virodh kia aur Veer ko ye bilkul bhi pasand na aaya aur wo dono ek dusre se jaa lade. Ye ussi ka parinaam hai Tau jii.
Pranjal ki baat sunte hi Veer ko ek zorrdaar jhatka laga. Usne apni phati aankho se palat ke Pranjal ko ghura toh paaya ki Pranjal bada hi masoom sa chehra banae waha khada hua tha, jese kuch hua hi na ho.
Pranjal : Mene Veer ko samjhaya bhi ki aise maar peet karna bilkul bhi acchi baat nahi hai. Veer ko toh fir bhi kam chot aayi hai. Na jaane Veer ne uss ladke ko kitni buri tarah peeta hoga.
Aisi vaani boliye, mann ka aapa khoye...
Auran ko sheetal kare, aaphu sheetal hoye...
Par Kabir ki ye panktiya iss waqt vyarth thi.
Pranjal ne jo madhur vaani boli thi wo Veer ko sheetal karna toh dur usse itna aag babula kar rahi thi ki yadi uski bas chalti toh wo issi samay Pranjal par toot padta.
Pranjal ki image ghar me ek boht hi sanskaari ladke ki thi, par wo asal me kesa tha ye baat sabhi nahi jaante the.
Brijesh (gusse me) : Tumhari itni himmat Veer!
Manorath : Shaant ho jao! Halla nahi!
Brijesh : Par Papa jii...
Manorath : Ssssshhhhhh!!!
Brijesh : Hmph!
Manorath : Veer! Tumhe pata hai kya kiya hai tumne?
Veer : Nahi! Dada jii... Wo mein...
Manorath : Jo hua so hua. Ab iski charcha koi nahi karega.
Aur sab shaant ho gaye.
Veer ne jab Hall me maujood sabhi logo par nazre firaayi.
Toh uski nazar apne Dada jii ke daayi orr rakhe sofe par gayi jaha uske Dad, Brijesh ke bagal se baithi hui uski sauteli Maa (Step-mom), Shweta usse bauhe sikode hue dekh rahi thi.
Fir uski nazar Shweta ke bagal se baithi hui Shweta ki ekmaatr eklauti beti, Bhumika par gayi. Jo usse dekhte hi apna muh ferr lii.
Jab Veer ne Dada jii ke baayi orr rakhe sofe par nazar daudaayi toh dekha ki uske chacha Karunesh aur unki patni Sumitra yaani ki uski chachi dono hi nazre gadaaye usse hi ghur rahe the.
Sumitra usse bauhe sikode uske chehre ko hi dekh rahi thi.
Unki hi bagal se uske chacha ke bade bete Vivek aur uski patni Ragini bhi baithe hue the. Wo dono bhi usse hi ghur rahe the.
Aur jab Veer ne stairs par nazre daudayi toh dekha ki uske chacha Karunesh ki badi beti Arohi aur choti beti Kavya dono hi saath me cake lete hue neeche aa rahi thi.
Wo dono hi neeche aayi aur cake ko saamne rakhi kaanch ki ek table par rakha aur side wahi sofe par baith gayi.
Jaha Arohi ne usse ek baar dekh ke apni nazre ferr lii, wahi dusri orr Kavya usse aisi haalat me dekh apni bauhe sikode usse badi hi hamdardi se dekh rahi thi par boli kuch nahi.
Kaha ek taraf uske parivaar waale jo naye kapde pehne, sajke baithe hue tha aur kaha wo jo pitne ke baad ekdum geela aur khoon ke nishaan aur ghaavo se bharpoor.
Manorath : Doctor ko dikhwa ke apni dawa karwana mat bhulna.
Veer : J... Jiii
Brijesh (zorr se) : Ab khade khade intezaar kya kar rahe ho? Aage badho aur apne Dada jii ko tohfa do.
Manorath : Aao Veer!
Aur apne Dada jii ki sahuliyat se Veer aage badhte hue apne Dada jii ko gift dene jaane laga.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi dosto!
Dhanyavaad!
super update bhaiUpdate - 3 ~ A Full Fledged Plan
Ab tak...
Brijesh (zorr se) : Ab khade khade intezaar kya kar rahe ho? Aage badho aur apne Dada jii ko tohfa do.
Manorath : Aao Veer!
Aur apne Dada jii ki sahuliyat se Veer aage badhte hue apne Dada jii ko gift dene jaane laga.
Ab aage...
Veer ke Dada jii, Manorath uss par kayi hadd tak bharosa karte the. Kyuki jitni bhi shikaayat wo sunte aa rahe the, unhone aaj tak Veer ko kabhi apni aankho se koi galat kaam karte nahi dekha tha. Aur aaj ye pehli baar nahi tha jab Pranjal ke muh se unhone Veer ki ghatna ke baare me suna tha.
Ye toh saalo se chala aa raha tha. Koi na koi aake Manorath ke saamne Veer ke karmo ki shikaayat karta tha aur Veer keval sar jhukae khada rehta tha. Veer virodh kiya karta tha par uske paas apni baat ko sahi saabit karne ka koi proof nahi rehta tha. Aur isliye ab usne virodh karna bhi chorr diya tha.
Aaj bhi kuch aisa hi tha. Veer ke paas koi saboot nahi tha apni begunaahi saabit karne ka. Aur kya kehta woh? Kon uski baato ka yakeen karta?
Pichle kayi saalo se jo image uski ghar me bani hui thi, uske chalte toh koi uss par reham bhi nahi khaata tha.
Jab Veer apne haatho me wo flower vase lete hue aage badha tabhi achaanak se pata nahi kya hua uska perr fisla aur wo buri tarah saamne ki orr jaa gira.
*Crash*
Flower vase uske haatho se chhuth kar gol ghumte hue ek tezz shor karte hue neeche jaa gira aur ek hi jhatke me wo sundar sa vase dherr saare tukdo me bikhar gaya.
"Aaaaaaaaaaa," Waha baithi mahilae aur ladkiyo ke muh se kuch aisi hi hairaani bhari awaaz nikli.
Aur fir ek shaanti sii chhaa gayi.
Sab ki aankhein phati ki phati reh gayi. Sabhi Veer ko aise dekh rahe the jese maano usne kisi ka khoon kar diya ho.
Dekhe bhi kyu na, akhir wo flower vase itna keemti jo tha. Manorath ko shuru se hi paudhe aur flower vases ka boht shauk tha, yahi kaaran tha ki unke ghar me ek alag se garden bhi tha.
Iss waqt Veer ki haalat kharab thi. Usne khud apne Dada jii ke liye ek flower vase chunn ke rakha hua tha jisse wo baad me unhe dene waala tha. Iss vase ke saamne uska vase toh kuch bhi nahi tha. Par ab kya? Ab toh wo vase uske haatho toot chuka tha.
Bas! Brijesh jo apna gussa pehle hi badi mushqil se control kiye hue tha wo uth khada hua aur chillaaya.
Brijesh : Haram khor! Tujhe pata hai wo tohfa kitna mehnga tha?
Apne Dad ki garajti awaaz sunn ek baar fir wo sihar utha. Brijesh usse aag babula hoke khaa jaane wali nazro se ghur raha tha.
Manorath : Brijeesshhhh!!!
Brijesh : Papa jii... Aap... Aap jaante hai ye tohfa kitne ka tha? Ye flower vase 3 lakh ka tha. Mene khud import karwaya tha China se isse aapke liye... Aur iss bewakoof ne...
Vase ki keemat sunte hi waha khade logo ko jese ek bada jhatka laga. 3 lakh unn sabke saamne yu barbaad hoke bikhar ke jo pade hue the.
Sabse zyaada haalat toh Veer ki kharaab thi. Uski samajh nahi aa raha tha wo kare kya.
Brijesh se ab raha na gaya, wo wese hi kayi saalo se Veer se pareshaan tha. Veer uski harr umeedo par paani ferr deta tha.
Veer ki taraf tezz kadmo ke saath jaate hue wo usse ek zorrdaar thappad maarne hi wala tha ki...
Manorath : Brijeessshhh!!
Brijesh : Par Papa jii...
Manorath : Aaj mera janmdin hai. Aur mere janmdin ke din tum aisa suluk karoge toh matlab hi kya. Jo hua usse ek galti maan ke aage badho. Vase kitna hi mehnga kyu na ho, wo toh ab toot chuka hai. Ab uske peeche rone ka koi fayda nahi. Rahi baat paiso ki toh iske paise mein de dunga.
Brijesh : Ye aap kesi baatein kar rahe ho Papa jii? Aapka janmdin hai. Mein bhala aap se paise kyu lunga?
Manorath ki baat sunn Brijesh ne apne haath rok liye par uska gussa abhi tak kam nahi hua tha.
Pranjal : Dada jii, mene Veer se kaha tha baahar hi ki apne shoes utaar de kyuki baarish se geele ho chuke hai. Par Veer ne meri suni hi nahi. Bola ki maids toh ghar me lagi hi hai, wo kis kaam aaengi?
Aur uski baat sunn sabhi ki nazre Veer ke perro par gayi jo geele jute pehna hua tha aur farsh ko ganda kar raha tha.
Aur ye dekh Brijesh aur krodhit ho gaya. Tabhi Veer ki stepmom Shweta uth khadi huyi.
Shweta : Veer din ba din laaparwaah hota jaa raha hai.
Pranjal : Veer! Apne jute utaaro, idhar aao ye sleepers pehn lo aur ab galti ho gayi toh ho gayi. Ye dekho bhagwaan ka prasaad rakha hua hai. Dada jii ko ye prasaad do aur unse maafi maang lo.
Pranjal usse haath pakad ke uske jute utarwaata hai aur usse wahi Dada jii ke paas rakhi ek sleepers ko pehna deta hai. Pranjal ne wahi table pe rakhe hue dahi shakkar jo ki bhagwaan ko chadhaaya gaya tha usse katori me laake Veer ko thama diya.
Pranjal : Jao Veer! Dada jii ko prasaad do aur maafi maango.
Veer bechaara itna seham gaya tha aaj ki ghatnao se. Aaj uski zindagi ka sabse manhoos aur bura din tha.
Veer ne prasaad ki katori haath me thaami aur wo aage badha hi tha ki firse uska perr na jaane kese fisla aur prasaad ki katori uske haath se chhatak kar seedhe uske Dada jii ki orr jaa giri.
Aur saara ka saara prasaad uske Dada jii ke kapdo par jaa gira.
Bas! Brijesh ka jo gussa abhi apni limit par tha, wo cross ho gaya. Wo aage badha aur...
*Chataak* *Chataak* *Chataak*
Thappado ki jhadi laga dii aur Veer ke gaalo par raseed raseed ke maarte gaya.
Thappado ki goonj se Kavya sehamte hue sab kuch dekh rahi thi. Usse waqai Veer pe taras aa raha tha. Arohi bhi bauhe sikodti hui saamne ho rahe drashya ko dekh rahi thi.
Wahi Pranjal aur Vivek khushi se fule nahi sama rahe the.
Vivek (khuspusaate hue) : Yahi hai wo grand show... Haha!
Ragini : Ohhh! Toh tum iski baat kar rahe the. Par... Par ye kuch zyaada nahi ho gaya?
Vivek : Hmph! Zyaada kaha ye toh abhi bhi kam hai.
Ragini : Aur ye idea kis ka tha?
Vivek (smiles) : Chote ka...
Ragini (hairaani me) : Pranjal ka??? Devar jii kuch zyaada hi chatur ho rahe hai aaj kal...
Idhar thappado se Veer ke gaal laal ho chale the.
Brijesh (gusse me) : Tu jaanta hai aaj tune kya kiya hai? Haram khor!!! Wo prasaad hamaare kul ki devi ka tha. Aur tune usse zameen pe gira diya? Aur wo bhi Papa jii ke upar? Naye kapde bhi kharaab kar diye tune unke... 3 lakh ke tohfe ka chuna laga diya... Roz roz tere haath se kuch na kuch gadbad hoti hi hai. Beta nahi panauti hai tu... Mein kehta hu nikal jaa... Nikal jaa issi waqt ghar se... Aur ahinda se iss ghar me qadam bhi mat rakhna...
Aur Brijesh usko haatho se pakad ke ghaseet ke baahar le gaya aur zorr se dhakka dete hue usse darwaaze ke baahar fek diya.
Ghar me maujood sabhi log darwaaze ki orr tezz kadmo ke saath aae siwae Manorath ke...
Aaj tak Devi ke prasaad ka aisa apmaan unke kul me kisi ne bhi nahi kiya tha. Manorath khud abhi iss waqt atyant dukh aur gusse me tha. Issi kaaran usne Brijesh ko bhi iss baar nahi toka.
Aur wo wahi baitha hua chup chaap apne hi mann me Devi se shama maangne laga.
Brijesh : Nikal jaa! Nikal jaa iss ghar se... Aaj se tera aur mera koi sambandh nahi. Marr gaya aaj se tu mere liye... Mera koi beta nahi hai. Khabardaar yadi tune iss ghar me dubaara kadam bhi rakha toh...
Veer kaapte hue sab kuch apni aankho se dekh raha tha, ye pal bhar me kya se kya ho gaya. Aaj kyu uske saath ye sab hua?
Veer ki sauteli Maa, Shweta saamne ke nazaare ko badi hi khushi se dekh rahi thi. Uski mann ki muraad poori jo ho gayi thi. Ab uski beti hi jaydaad ki maalkin banegi. Yahi sochte hue wo apni beti ki orr mudi toh dekha ki uski beti, Bhumika ke chehre par koi expression nahi the. Aur ye jaan kar Shweta ko khushi hui. Ki uski beti ke mann me bhi Veer ke prati koi bhaav nahi hai.
Veer ke aasu uski aankho se lagataar bahe jaa rahe the. Par wo kuch nahi bola.
Wo chup chaap utha aur baahar ki orr chal diya. Usne apne jeb me se gaadi ki chaavi nikaali aur wo gaadi on karne hi waala tha ki peeche se Brijesh ki awaaz aayi.
Brijesh : Ye gaadi teri nahi hai...
Aur Veer chaavi ko gaadi me lage hi chorr kar ghar se baahar nikal aaya.
Usne ek jhalak peeche mud ke dekha. Shweta aur Bhumika usse bina koi bhaav ke dekh rahi thi. Brijesh ki aankho me bhayaanak gussa nazar aa raha tha. Wahi uske Karunesh chacha bhi usse bina koi bhaav ke dekh rahe the.
Uski Sumitra chachi thoda chintit zaroor prateet ho rahi thi.
Vivek aur Pranjal ke chehro par halki khushi nazar aa rahi thi. Ragini aur Arohi bauhe sikode jese kisi soch me doobi hui thi. Jab uski nazar Kavya par gayi toh Kavya ne sehamte hue sar jhuka liya.
Bas! Uske baad Veer palat ke ghar se dur jaane laga. Ghar ke security guards bhi Veer ko jaata hua dekh rahe the.
Achanak baadal garje aur baarish firse shuru ho gayi.
Par Veer na ruka. Aur kuch hi palo me wo apne gharwaalo ki nazro se ojhal ho chuka tha.
Iss waqt Veer ko baarish acchi lag rahi thi. Usse apni lag rahi thi. Jab Ajay se maar khaate waqt wo ghar laut raha tha tab bhi baarish ne uska saath diya tha. Aur abhi jaha uske ghar waalo ne usse ghar se nikaal ke usse akela chhorr diya tab bhi baarish uska saath de rahi thi.
Uske saath saath mausam bhi yu ro raha tha. Veer bina koi awaaz kiye rote rote bas chalta jaa raha tha.
Usne apne seene par latka pendant apne haatho me thaam liya. Ek bada hi pyaara sa pendant tha, ekdum alag type ka.
Usse bheenchte hue Veer ke aasu aur tezzi se behne lage. Ye woh pendant tha jo uski asli Maa ne usse pehnaaya tha.
Veer ko apni asli Maa ke baare me kuch bhi nahi pata tha. Bas itna pata tha ki uss Maa ne usse janm diya hai. Jab bhi wo Brijesh se apni Maa ke baare me puchta tha toh Brijesh bas ek hi baat bolta~ "Naam mat lo uss kameeni aurat ka..."
Uski Maa ka naam tha Bhawana. Veer ke janm ke ek saal baad hi dono ke beech talaak ho gaya aur Bhawana ghar se chali gayi thi.
Kaha gayi woh, kis haal me hogi abhi, zinda bhi hai ya nahi uski Maa usse kuch nahi pata tha. Yaha tak ki uski Maa ka naam bhi uske Dada jii ne usse bataya tha. Na hi uss aurat ko lekar ghar me charcha hoti thi na hi koi uske baare me koi topic chedhta tha.
Veer ko toh ye bhi nahi pata tha ki uski Maa kesi dikhti thi. Koi bhi photo album nahi tha, uski Maa se judi koi bhi cheez nahi thi ghar me.
Baarish ke kaaran sadko par abhi gaadiya bhi kam chalti hui nazar aa rahi thi. Usse nahi pata tha wo kaha jaa raha hai. Jab tak uske perr chal rahe the wo bas chalta jaa raha tha. Usse apni sagi Maa ki yaad aane lagi. Yadi wo yaha hoti abhi toh uski Maa uske saath kesa vyavhaar karti? Kya usse pyaar deti? Ya fir Brijesh ki hi tarah wo bhi...!?
Paani se bheega hua Veer main road par aa chuka tha, abhi wo mudne hi waala tha ki ekdum se ek car mod se aayi aur Veer ne palat ke car ko dekha.
Par tab tak boht derr ho chuki thi.
Car ka agla hissa uski pasli se takraaya aur thokar hote hi wo zorr se jaate hue dur gir pada.
"Ohhhh! Noooo...." Car me baithe ek aadmi ke muh se nikla.
Car ko jhatka lagte hi peeche baithi ek ladki forun hi aage ki seat se jaa bhidi, "Aaaahhhh!"
Aadmi : Madam aap theek toh hai na?
Ladki (sar malte hue) : Haa! Mein... Mein thik hu.
Fir jese hi uss ladki ne saamne dekha toh uski maano saasein hi atak gayi. Saamne ek ladka zameen par dala hua tha aur usse samajhne me derr na lagi ki abhi abhi uski car kis se takraayi thi.
Wo ladka waha baarish me car se bhid ke pada bheeg raha tha.
Ladki (ghabraate hue) : Ye... Ye....
Aadmi : Inn sab ka samay nahi hai Madam. Hume jald hi nikalna hoga.
Aur itna bol wo aadmi forun hi gaadi aage badhaane lagta hai.
Ladki (chillaate hue) : Ye kya bol rahe ho aap? Nahi... Hum aise usse chorr kar nahi jaa sakte...
Aadmi : Madam! Baat ko samajhiye... Iss waqt humaara yaha se nikalna boht zaroori hai.
Aur usne car ke accelerator par perr rakh car aage badha dii.
Ladki peeche mud window se uss ladke ko dekh rahi thi, uska nichla honth daato tale zorr se daba hua tha ki maano khoon hi nikal aae. Aankho me halke aasu bhi aa chuke the.
"I'm sorry..." Usne mann me kaha.
Aur wo car palak jhapakte hi logo ki nazro se ojhal ho gayi.
Idhar accident dekh aas paas ke jo bhi log dukaan ke neeche baarish se bachne ke liye khade hue the wo daudte hue aae aur Veer ko uthaane lage.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!
Dhanyavaad!
Do leave a like!
romanchak update bhai
to ek siraf kavya our dada ji ko chhode kar sabhi veer ko nahi dekhna chahte hai our uper se dono bhai veer ko marna bhi chahte hai l
our collage main jo kuch bhi huwa hai isme bhi parinal ka hi hanth hai mujhe lagta hai
our sayad gift main bhi kuch kiya parinal ne aage dekhte hai kya hota hai
super update bhai
to akhir kamyab ho hi gaye jo bhi veer ko ghar main nahi dekhna chahte tha
magar isme veer ki bhi puri galti hai jab veer janta hai ki parinal uska bhai nahi dusman hai to uski baat hi q manta hai
veer ke ghar se nikalne ke baad sabhi khush hai ander hi ander kavya thodi dukhi hai veer ke liye
our gadi wali ladki kaha ja rahi jo use veer ko hospital bhi le jane tak ka waqt nahi hai
aage dekhte hai kya hota
Mast likh rahe ho bhai aapThank you for your reviews!
Keep supporting!
aaj update aayega kya
Hum ne toh vote kar diya hai Werewolf bhai tab bhi hume update ke liye intezar karwa rahe ho...
No update today!
Update likhna bhi chaalu nahi kiya abhi.
Do din se lounge section me busy tha.
Aap log jao lounge me aur election thread me Vampire queen ko vote kariye. Tabhi ek bada update dunga kal.
Kamdev bro toh jeet hi jaenge. But VQ is a deserving member to be a mod.
Jao bhailog! Vote karo unhe!!!
Aur kal ek bada update!! ☺
super update bhaiUpdate - 4 ~ In the Hospital
Ab tak...
Ladki peeche mud window se uss ladke ko dekh rahi thi, uska nichla honth daato tale zorr se daba hua tha ki maano khoon hi nikal aae. Aankho me halke aasu bhi aa chuke the.
"I'm sorry..." Usne mann me kaha.
Aur wo car palak jhapakte hi logo ki nazro se ojhal ho gayi.
Idhar accident dekh aas paas ke jo bhi log dukaan ke neeche baarish se bachne ke liye khade hue the wo daudte hue aae aur Veer ko uthaane lage.
Ab aage...
"Arre... Arre... Uthao... Uthao..."
"Jaldi... Jaldi..."
"Car wala madarchod bhaag gaya..."
"Uthwao bhailog..."
Aur waha maujood log forun hi Veer ke paas aake usse uthaane lage. Bina baarish ki parvaah kiye.
Yadi uske parivaar waale hote toh kya woh usse iss waqt uthaate?
Shayad haa? Ya shayad nahi!?
"Arre isse toh boht zyaada chot aayi hai, khoon beh raha hai kaafi, jaldi ambulance ko call karo koi..."
Waha khade ek aadmi ne chillaaya toh agle ne forun hi 108 dial karte hue ambulance bulwa lii.
Abhi wo log savdhaani se Veer ko utha hi rahe the ki itne me ussi mod se ek aur car aayi par bheed ke kaaran uss car ko rukna pada.
Car waale ne jab horn maari toh usse itni gaaliya padi ki usse na chaahte hue bhi rukna pada.
"Dhatttt behanchod!! Iski maa ki aankh..." Car waale ne steering pe zorr se haath maarte hue chillaaya.
Dusra aadmi : Ab kuch nahi ho sakta... Car ghuma lo...
Pehla aadmi : Boss ko pata chala toh woh hamaari gardan na udaa de...
Dusra aadmi : Mein Boss ko samjha dunga... Tum car ghuma lo...
Pehla aadmi : Thik hai.
Aur wo car reverse karke waha se nikal gaye.
Idhar log Veer ko utha ke ek shop ke neeche lita ke uski choto par rumaal ya kapda baandh ke jese tese khoon rokne ki koshish kar rahe the.
Kuch derr me hi ambulance aayi aur Veer ko leke hospital ki orr chali gayi.
***
Veer ke ghar me...
Sabhi log iss waqt Manorath ke kamre me maujood the. Manorath apne bistar par baitha hua tha toh wahi baaki sabhi khade hue usse hi dekh rahe the.
Manorath : Aaj tak prasaad ka aisa apmaan hamaare ghar me kisi ne bhi nahi kiya.
Pranjal : Dada jii! Veer ko waqai aisa nahi karna tha.
Kavya : Par... Dada jii! Wo toh... Unhone jaan bujh ke nahi kiya hoga...
Pranjal : Kavya? Ye tum kya keh rahi ho? Pehli baar maante hai ki uska perr fisal gaya aur wo vase toot gaya par dusri baar bhi?
Pranjal ki baat sunn bechaari Kavya kuch virodh hi na kar paayi aur sar jhuka lii.
Sumitra : Jeth jii... Aapko aise... Veer ko ghar se nahi nikaalna tha.
Brijesh : Mene jo bhi kiya hai boht soch samajh ke kiya hai. Mein ye kadam pehle hi uthaane waala tha par hamesha Papa jii ke kaaran ruk jaata tha. Lekin aaj toh usne hadd hi paar kar dii. Akhir uss kameeni ki kokh se jo paida hua hai, aisa hi hona tha... Mere toh ek bhi gud nahi hai usme...
Manorath : Wo jaisa bhi hai iss parivar ka hissa hai. Usse jaake wapas le aao. Abhi zyada dur nahi gaya hoga.
Brijesh : Bilkul bhi nahi Papa jii. Mene aapko pehle bhi bol ke rakha hai. Ki jis din ye apni hadd paar karega uss din mein isse ghar se nikaal dunga. Aur aaj yahi hua hai... Ab mein usse iss ghar me ghusne tak nahi dunga... Aap apna faisla sunaaiye Papa jii...
Manorath : Toh tum log usse wapas nahi laoge?
Brijesh : Bilkul bhi nahi...
Manorath : Toh fir mera bhi yahi faisla hai. Zameen aur jaydaad kisko milegi ye bhi tab hi nirnay hoga jab parivaar ka harr ek sadasya ghar me maujood hoga.
Brijesh : Papa jii!??
Vivek : Dada jii!? Ye aap...!?
Manorath ke faisle se maano sabko ek jhatka sa laga. Jiss pal ke liye wo sabhi bekaraar the ki akhir kisko zameen aur jaydaad dii jaegi wo pal toh aaya hi nahi. Ulta ab jab tak ghar me Veer nahi aa jaata tab tak faisla tal chuka tha.
Manorath ke paas dherr saari zameen thi jiski keemat crores me thi aur jaydaad bhi. Aur ye sab kuch ghar ke ussi sadasya ko milne waala tha jo Manorath ki aankho me iske liye sahi tha.
Uske 2 petrol pump bhi rahe jo usne apne beto ko de diye the. Ek petrol pump ka maalik jaha Brijesh tha toh wahi dusre ka maalik Karunesh.
Karunesh ne dimaag se paisa kamaate hue apne bete Vivek ki upar lagaya aur aaj Vivek ki khud ki ek automobiles ki company thi. Bhale hi worldwide nahi thi abhi par uska business zorro shoro se chal raha tha.
Karunesh ki badi beti Arohi aur choti beti Kavya, Veer ke hi college me thi aur wo dono bhi B.Tech kar rahi thi. Jaha Arohi aur Veer ki branch same thi ~ IT.
Wahi Kavya CS branch se belong karti thi.
Pranjal bhi same college me tha par wo B.com kar raha tha. Uski building alag thi par saari buildings saath me hi thi, jis kaaran wo break ke time Arohi aur Kavya se milne jaata rehta tha.
Karunesh ko apne bete betiyo ki koi chinta nahi thi.
Par Brijesh ka aisa nahi tha. Brijesh ko bhi ek petrol pump diya gaya tha Manorath dwaara. Usne bhi dimaag se apni ek luxury hotel khulwaayi jo sheher me kaafi mashoor thi. Jaha wo petrol pump sambhaalta tha toh wahi uski hotel uski dusri patni Shweta sambhaalti thi.
Shweta ke hi saath uski beti, Bhumika bhi uska saath deti thi.
Aur aaj yahi faisla liya jaane wala tha ki kisko zameen aur jaydaad milegi.
Par sab kuch dhara ka dhara reh gaya.
Manorath : Mera faisla saaf hai. Jao aur mujhe akela chorr do abhi.
Vivek : Par Dada jii...
Manorath : Mene kaha jao... Aur Brijesh... Yadi tum Veer ko wapas nahi laane waale toh mujhe uske baare me harr cheez batao... Iss waqt kaha hai woh... Kiske ghar theher raha hai? Wo mera pota hai. Mein jaan'na chaahta hu wo sahi salaamat hai ya nahi?
Brijesh : Thik...
Aur ghar ke mukhiya ki awaaz sunn sabhi bemann waha se nikal gaye.
Idhar kamre me aate hi Vivek Pranjal pe toot pada.
Vivek : Chote ye kya kar diya tune? Ye daav toh ulta hi pad gaya. Dada jii ne toh faisla hi taal diya. Ab jab tak wo Veer nahi aa jaata tab tak Dada jii koi faisla nahi sunaenge.
Pranjal : Bhaiya! Ab mujhe kya pata tha aisa ho jaega? Mene toh yahi socha tha aaj Veer ko Dada ji ki nazro me gira dunga toh Dada jii uska naam lenge hi nahi. Par mujhe nahi pata tha Tau jii usse ghar se baahar hi nikaal denge.
Ragini : Mene kaha tha ye kuch zyada hi ho gaya hai.
Pranjal : Aap log tension mat lo. Hum log kese bhi karke Dada jii ko mana lenge aur wo jald hi faisla le lenge. Filhaal ek musibat toh gayi.
Vivek : Hmm!! Par chote tune wo sab kiya kese?
Vivek ke sawaal karne par Pranjal ne muskuraate hue jeb se kuch nikaala aur unn dono ko dikhaya.
Pranjal : Haha! Bhaiya! Saara kamaal iska hai.
Vivek (hairaani me) : Ye toh... Ye toh... Ye toh tufoil hai chote...
Pranjal : Haha! Haa bhaiya! Aapke hi yaha se laaya hu.
Tufoil ek aisa slippery oil jisse automobiles me use kiya jaata hai. Na keval ye automobiles ke liye balki ye apni slipness ke liye bhi jaana jaata hai.
Pranjal : Ye mene floor par daal diya tha. Aur mein Veer ko wahi se le gaya jaha ye oil mene daala tha. Bas! Fir kya tha, uska geela joota jese hi uspe pada, Veer fisla aur vase seedha neeche... Hahaha!
Ragini : Par wo prasaad ka kya?
Pranjal : Bhabhi! Wo bhi iska hi kamaal hai. Mene sleepers ke neeche bhi isse laga ke rakha hua tha.
Ragini (smiles) : Waah! Maan gaye tumhe bhi. Par wo chot ka kya jo Veer ko pehle se hi lagi hui thi?
Pranjal : Wo bhi mere kehne par hau tha Bhabhi. Mere kayi chelo me se ek hai wo Ajay. Mene usko keh ke rakha tha ki aaj pehla din hai toh koi bhi bahana bana ke aaj jamm ke thukaayi kar dena uss Veer ki... Aur usne yahi kiya hahahaha!
Vivek : Par chote, wo oil zameen par nazar kyu nahi aaya?
Pranjal : Kese aaega Bhaiya? Mene usse carpet ke ekdum bagal se giraaya tha hahaha!
Aur uske saath hi Vivek bhi hassne laga. Ragini muskuraate hue dono ko dekh rahi thi. Jaha ye jashn mana rahe the toh wahi koi aur tha jo iss waqt apni saaso se ladd raha tha.
***
Hospital...
Nurse : Iski haalat boht critical hai Doctor.
Doctor : I know... Humse jo bann padega hum karenge.
Nurse : Jii! But iski family...!? Iska mobile toh kaam hi nahi kar raha hai.
Doctor : Mene ward boy ko bola hai wo iske phone ki SIM apne phone me daalke iske ghar waalo ko call karega.
Nurse : Hmm!!
Aur Veer ka treatment shuru ho chuka tha.
Ward boy ne jab Veer ki SIM daal ke Brijesh ko call kiya toh Brijesh ne ye soch ke call nahi uthaya ki zaroor Veer ne paise maangne ke liye phone kiya hoga aur gusse me usne apna phone hi band kar diya.
Ward boy ne jab Sumitra ko call kiya toh call lag hi nahi raha tha. Kese lagta? Pranjal ne apni maa ke phone me Veer ka number block jo kar ke rakha tha.
Fir usne akhiri number jo ki Kavya ka tha usse call kiya.
Idhar iss waqt Kavya Arohi aur Pranjal ke saath hi baithi hui thi. Number dekhte hi Kavya soch me pad gayi.
'Veer Bhaiya mujhe kyu call kar rahe hai?? Phone utha lu? Thik hai utha leti hu.'
Par iske pehle ki wo phone utha paati, Pranjal ne uska phone chhina liya.
Pranjal : Zara dekho toh... Veer ab hamari Kavya ko phone laga raha hai. Kyu Kavya?
Kavya : Phone dijiye Bhaiya.
Pranjal : Nahi! Zaroor ab apni pyari behan se paise maangne ke liye phone kar raha hoga. Kyuki baahar ab usse paiso ki zaroorat toh padegi hi...
Aur usne forun hi phone kaat ke uska number hi block kar diya.
Pranjal : Ab tumhe disturbance nahi hoga behan hahaha!
Kavya : Hmm?
Pranjal : Accha wo sab chorro, chalo hum sab pizza mangwaate hai.
Kavya : Mera mann nahi hai Bhaiya aap hi khao. Aaj Veer Bhaiya ke saath itna sab kuch ho gaya aur aapko pizza ki padi hai?
Pranjal : Arre ye kya baat hui yaar. Kavya tum ab bhi usse apna bhai maanti ho? Wo bhai kehne laayak nahi hai Kavya. Kherr chorro! Arohi didi aap toh khaogi na?
Arohi : Nahi!
Pranjal : Thik hai toh mein hi mangwa leta hu...
Aur wo waha se chala jaata hai.
Kavya apna phone liye sochti rehti hai ki akhir Veer ne usse kyu call lagaya hoga. Wo sochti hai ki agli baar yadi phone aaya toh woh zaroor uthaegi. Par usse kya pata tha ki Pranjal ne Veer ka number hi block kar diya tha.
***
Idhar hospital me ek ward me ek ladki apni Maa ke paas baithi hui thi...
Ladki : Maa! Ab mein chalti hu... Tum dhyaan rakhna theek!
Aurat : Haa beta! Mujhe kya... Tumhaare Papa toh rahenge hi na mere saath. Ab tum jao... Raat ho rahi hai beta. Aur fir, Juhi akeli pados me zyada derr nahi reh paegi. Jaa beta...
Ladki : Jii Maa! Chalti hu. Tum dhyaan rakhna apna haa!? Koi bhi dikkat ho toh...
Aurat : Arre baba! Haa! Pata hai mujhe... Jaa ab tu...
Ladki : Thik!
Aur ladki apni Maa ke ward se baahar nikal aati hai.
Abhi wo aage badh ke nikalne hi wali thi ki usne dekha ki uski Maa ke bagal waale ward ke baahar doctor aur ward boy ke beech behas ho rahi thi jisse dekh wo rukk gayi.
Doctor : Dekho kese bhi karke iske parivaar walo ko inform karo.... Kese bhi karke...
Ward boy : Arre Sir! Kisi ne phone hi nahi uthaaya...
Doctor : Haa toh lagaate raho... Nahi toh fir police ko inform karo kyuki uske shareer pe maar peet ke bhi nishaan hai.
Inn dono ki behas chal rahi thi ki tabhi wo ladki jigyaasa purvak aage badhi aur usne ward me jhaank ke dekha, jab usne patient ka chehra dekha toh ekdum hi chaunk gayi aur uske muh se tezz swar me nikla, "Veeeeeeerr!????"
Doctor (palat'te hue) : Aap? Aap janti hai isse?
Ladki : Huh? Mein... Haa! Wo mera student hai. Mein usse pichle ek saal se jaanti hu.
Doctor : Bhagwaan ka shuqr hai chalo koi toh mila... Aapka shubh naam?
Ladki : Nidhi...
Doctor : Okay toh Nidhi jii... Aap idhar aaiye zara mere saath.
Kuch derr baad...
Nidhi Veer ke college me Maths padhaati thi. Aur iss saal wo Veer ki hi class ki classteacher thi.
Wo Veer ko jaanti bhi thi. Bhale hi Veer padhne me hoshiyaar nahi tha par Veer sabse shaant baccha tha uski class me. Aur ho bhi kyu na? Uske dost hi nahi the.
Aaj Nidhi apni Maa jinhe kal hi achanak minor heart attack aa gaya tha unhe hi dekhne ke liye hospital me aayi hui thi. Par ittefaaq se usse Veer bhi yahi mil gaya.
Veer ke liye saari kaagzi kaam Nidhi ne kiya aur yaha tak ki apne Pita jii se Nidhi ne Veer ke liye medical fees bhi advanced me kuch jama karwane ko keh diya.
Sab kuch itni jaldi hua ki Nidhi ki khud samajh me nahi aaya. Aur iss waqt wo ward ke darwaaze ki window glass se jhaakte hue Veer ko dekh rahi thi aur soch me padi hui thi.
'Ye achanak... Ye Veer haadse me kese...!? Aur iske Maa Baap phone kyu nahi utha rahe hai!? Kese Maa Baap hai? Mujhe kal jaake unse baat karni padegi.'
Nidhi ye soch hospital se nikal gayi.
Par uske jaate Veer ki haalat bigadna shuru ho gayi thi.
Nurse : Doctor...
Doctor : I know...
*Beep Beep Beep*
Uski heart beat bilkul band hone ki kagaar par aa chuki thi.
Ki tabhi achaanak se aisa kuch hua jiske chalte uski heartbeat waapas se normal ho gayi.
Doctor : Phew... He's out of danger now.
Aur kuch derr baad hi Doctors aur nurse Veer ki haalat stable roop me chorr ke baahar aa gaye.
Par kisi ko nahi pata tha...
Ki jab uski saasein jaane hi waali thi...
Tab uske andar ek awaaz gunji thi...
Jo kisi ko sunaayi nahi dii thi...
Aur wo awaaz ke bol the...
[System has been activated.]
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!
Dhanyavaad!
mast update bhaiUpdate - 5 ~ System Activation
Ab tak...
Par kisi ko nahi pata tha...
Ki jab uski saasein jaane hi waali thi...
Tab uske andar ek awaaz gunji thi...
Jo kisi ko sunaayi nahi dii thi...
Aur wo awaaz ke bol the...
[System has been activated.]
Ab aage...
Veer ke accident ke kuch ghanto baad hi jab Brijesh ka phone baja tha aur screen par Veer naam jab usne dekha tha toh pata nahi kyu Brijesh ne call nahi uthaaya.
Shayad kuch derr pehle usne khud hi apne bete ko dhakke maar ke ghar se baahar nikaala tha iss kaaran vash? Ya fir wo abhi Veer ke muh se koi bhi baat nahi sunn'na chaahta tha. Kuch tha jo usse rok raha tha Veer se baat karne ke liye.
Ki tabhi uske phone par firse call aaya par ye uske khud ke vyakti ka tha.
Brijesh : Hello?
Aadmi : Saahab! Veer jii ka car se accident hua hai. Abhi wo xxxxxxxxxx hospital me bharti hai.
Aur ye sunte hi Brijesh uth khada hua. Aur forun hi hospital ke liye jaane laga.
***
Agle din Kavya college me apni soch me ghum thi.
'Veer bhaiya ka call uske baad se aaya hi nahi. Kya karu? Call back karu? Iske pehle unhone kabhi mujhe call nahi kiya fir achanak kal kyu? Kahi koi dikkat toh nahi? Kal unke beech mein call na kar saki thi...'
Aur ye soch wo call lagaati hai par call nahi laga. Kese lagta? Ward boy ne Veer ki SIM waapas se uske phone me jo daal dii thi.
Ant me Kavya uske xforum par message daal deti hai ye puchne ki wo theek hai ya nahi?
Idhar Nidhi din me hi Veer ke ghar gayi thi taaki wo jaan sake ki kyu uske Maa Baap ne call nahi uthaaya tha.
Jab wo waha pohuchi aur jesa ravaiyaa usne dekha Brijesh, Shweta aur baaki ghar waalo ka Veer ke prati ye dekh ke usse itna gussa aaya ki wo khud ko control na kar saki.
Nidhi ek Maa bhi thi. Uski khud ki beti abhi choti thi aur aise me wo jaanti thi ki ek parent hona kya hota hai. Aise me jab usne Brijesh aur Shweta ka behaviour dekha toh bas wo bhadak uthi.
Nidhi : Kese Maa Baap ho aap log? Aapka Beta waha apni zindagi se ladd raha hai aur aap logo ko koi chinta hi nahi hai? Yaha tak ki aapne usse apne ghar se baahar hi nikaal diya!?
Brijesh : Dekhiye Madam! Veer ab iss parivaar ka hissa nahi hai. Rahi baat paise ki toh uske medical kharcho ki bharpayi mein kar chuka hu par iske baad ab wo jaane ki wo kaha rahega kese rahega... Aur aap hamare parivaarik maamlo se dur rahe toh hi accha hoga.
Nidhi : Bhul se bhi aise Maa Baap na de bhagwaan kisi ko...
Aur Nidhi apni namm aankhe liye waha se bhaag aayi. Usse Veer ke liye waqai boht bura lag raha tha. Kaha wo khud ko badqismat samajhti thi par ab Veer ko dekh usse mehsoos hua ki kam se kam usse Maa Baap ka pyaar toh mil raha tha par Veer ko toh wo bhi nahi mila...
Na jaane kya kya saha hoga uss bechaare ne ab tak?
Na jaane kese kese din bitaaye honge Veer ne unke beech rehke?
Idhar hospital me abhi shaam ke waqt Veer ko hosh aa chuka tha.
"Arrrghhh!" Ek karaah ke saath uski aankh khuli.
Aankho se dhundhlapan hata, saamne ka nazaara nazar aaya.
Usne dekha ki wo hospital me hai. Aankhein uski jal rahi thi. Usse sab kuch jese yaad aane laga...
Kya hua tha?
Haan! Aur kal ki saari vardaat flashback ki tarah uske dimaag me mandraane lagi.
Aur usne apna sar pakad liya...
Aankho se aasu behne lage...
Abhi wo soch hi raha tha ki itne me uske andar ek awaaz gunji jiske chalte uske raungte khade ho gaye.
[Sytem has been activated. You are now the owner of the system.]
Veer (ghabraate hue) : Huh? Kaun? Kaun hai?
Awaaz se maano Veer bechaara darr hi gaya. Usne apna sar idhar udhar hilaate hue dekha par wo awaaz kaha se aayi usse kuch bhi pata na chala.
[Name the System!!]
Veer (chillaate hue) : Kaun hai? Mein puchta hu kaun hai?
Aur firse ek awaaz uske dimaag me gunji...
[Analyzing Hindi language from owner's mind...
Processing...
Process completed.
Hindi Language has been recognised.]
Veer (chillaate hue) : Kaun hai? Saamne aao... Kiski awaaz hai ye jo mere sarr me gunj rahi hai...!?
Tabhi wahi awaaz firse uske mann me gunji...
Par iss baar uske bol alag bhaasha me the.
[Shaant! Mein System hu. Aur ab se tum mere master ho.]
Veer (darrte hue) : Kaun bol raha hai? Mujhe tum dikhayi kyu nahi de rahe?
[Mene kaha na Shaant! Mein ek system hu. Meri koi physical body nahi hai. Mein tumhare andar hu.]
Veer (ghabraate hue) : Me... Mere andar?
[Haa! Kya tumhe yaad hai kal tumhare saath kya hua tha? Tumhara accident hua tha. Aur tum marrte marrte bache ho tumhe pata hai? Yadi mene samay par madad na ki hoti toh tum zinda nahi bachte.]
Veer (chillaate hue) : Kesi madad? Tum mere andar kese ho? Baahar aao...
[Arre! Itni zorr se mat chillao. Andar mann me hi kaho jo kuch bhi kehna hai. Mein tumhaare mann, dil, dimag sab se judd chuki hu. Aur tumhare mann ki baat sunn sakti hu. Aise chillaoge toh log tumhe pagal samjhenge.]
Aur uss vichitr mann ki awaaz sunn Veer apne mann me hi baat karne laga.
Veer : Meri... Meri kuch samajh me nahi aa raha hai. Ye sab kya chal raha hai?
[I know! Abhi tumhe samajhne me time lagega. Bas itna samajh lo ki mein tumhe koi nuksaan nahi pohuchaane wali. Ulta mein tumhari madad ke liye yaha hu.]
Veer : Meri madad?
Veer ne kaapte hue pucha.
[Haa! Tumhari madad! Mein tumhari madad karungi. Hamesha tum apni kismat ko koste the na? Ab mein tumhara saath dungi aur tum apni kismat palat ke rakh doge.]
Veer : Wo... Wo kaise?
[Yahi toh mera kaam hai. Yadi mera istemaal sahi se kiya. Toh tum duniya par raaj kar sakte ho.]
Veer : Sach!?
[Ekdum sach.]
Veer : Toh kya tum ladki ho? Kyuki tumhari awaaz ladkiyo jesi hai.
[Nahi! Mein na hi ladki hu na hi ladka. Mein kisi bhi gender me apne aap ko dhaal sakti hu. Mene tumhaare mann me jhaank ke dekha toh pata chala tumhe ladkiya zyada pasand hai ladko ke muqaable isliye mene apni awaaz ladki ki rakhi hui hai.]
Veer (blush) : Huh? Obviously Mujhe ladkiya pasand hai. Ladke nahi. I'm not gay...
[Yadi kaho toh awaaz ladke ki rakh lu!?]
Veer : Huh? Nahi! Nahi! Aise hi theek hai.
[Hehehe~]
Veer : ..........
[Accha! Ab apni aankhein band karo aur mann me hi kaho ~ Status]
Veer (aankhein band karte hue) : Status!
Aur Veer ke itna kehte hi uske mann me ek window khul gayi,
[ Name - Veer
Age - 20
Status - Abandoned student.
Stats :
Strength - 3/100
Intelligence - 4/100
Agility - 3/100
Endurance - 7/100
Appearance - 6/100
Talents - 0
Points - 0 ]
Ye sab dekh ke Veer ke hosh hi udd gaye.
[Baap re Baap! Tumhara toh boht bura haal hai. Itne bekaar stats mene kabhi nahi dekhe apne life cycle me. Ye kya? Zero talents? Baap re!!! Tum reh kese liye itne din? Hmm? Endurance bas zyada hai tumhara. Arre haa! Itni maar khaoge toh ye toh zaahir si hi baat hai. Hehehe~]
Veer : Udaa lo... Tum bhi mera mazaak uda lo... Ab toh mujhe aadat pad gayi hai.
[Hey! Hey! Sorry! But ab tension mat lo. Mein hu na. Mein tumhe dekhna kaha se kaha pohucha dungi.]
Veer : Aur tum aisa kyu karogi? Kya milega tumhe aisa karke?
[Mera kaam hi yahi hai. Mera kaam hai logo ko sabse sarvashreshth banaana.]
Veer : Toh tumne mujhe hi kyu chuna?
[Mene chuna nahi. Jab mein yaha se guzri toh tum hi paas me the aur mein tumhare shareer me pravesh kar gayi. Apne aap ko Lucky keh sakte ho tum.]
Veer (shocked) : Yaha se guzri matlab?
[Uss baare me mein zyaada baat nahi kar sakti.]
Veer : Toh? Toh Doctor ko pata nahi chala? Ki tum mere andar ho?
[Hahaha~ Doctor kya... Tumhaari Prithvi me rehne waala koi bhi vyakti ye nahi bata sakta ki tumhaare andar mein maujood hu.]
Aur ek aur jhatka Veer ko. Ye kya bala ghuss gayi achanak se uske andar aake?
Veer : Aur tumhe Hindi kese aati hai??
[Arre buddhu abhi toh bataya, mein tumhare mann, dimaag aur dil se jud chuki hu. Aur abhi abhi toh seekhi tumhaare dimaag se hi. Isliye jitni Hindi tumhe aati hai utni hi mujhe bhi.]
Veer : O... Okay!
[Par tumhaare stats boht hi bekaar hai. Mujhe khud taras aa raha hai dekh ke. Tumhe jald se jald apne stats badhaane honge.]
Veer : Ye? Ye stats kya hai?
[Ye tumhari asli shamtaaye hai. Tumhari strength 3 hai yaani ki jo taaqat hai tumhare andar usse yadi number se darshaaya jae toh woh 3 hai. Intelligence matlab tumhari buddhi, agility tumhari furti, endurance tumhari sehan-sheelta aur appearance tumhare physical features yaani ki chehra body haath perr ye sab.]
Veer : Aur mein inhe badha sakta hu? Toh mere asli shareer me badlaav aaenge?
[Haa!]
Veer (shocked) : Baap re! Aise me toh mein fir...
[Tabhi toh kaha ki ab mein tumhari kismat palat ke rakh dungi.]
Veer : Par wo points kese badhenge?
[Missions karke. Samay samay par tumhe missions milenge aur jese jese tum unhe complete karoge tumhe points milenge. Unn points se tum apne stats badha paoge aur saath hi saath nayi skills khareed paoge. Saath hi saath jitni uplabdhiya aur naam kamaoge tumhe points milte rahenge.]
Veer : Mein kuch samjha nahi...
[Hmm! Tumhara intelligence kam hai na isliye abhi sab kuch tumhare bheje ke upar se jaega. Bas itna samajh lo. Jese jese tum missions poore karte jaoge, mera level aur saath hi saath tumhaara level badhta jaega. Jiske chalte aur bhi anokhi skills unlock hoti jaengi. Dhyaan rahe! Yadi mission ko time limit me poora nahi kiya gaya. Toh tum hamesha hamesha ke liye mujhe kho doge.]
Veer : O... Okay!!
[Hmm! Ek aur akhiri baat. Kabhi bhi... Kabhi bhi ghamand mat karna. Jis din tumhe ghamand aana shuru hua, uss din se hi tumhara ant bhi shuru ho jaega.]
System ki baat sunn Veer ke raungte khade ho gaye. Apna thook nigalte hue usne firse kaha.
Veer : Mujhe ab bhi yakeen nahi ho raha ki duniya me aisi bhi koi cheez hoti hai.
[Duniya me aisi koi cheez nahi hai. Saari duniya me mein hi ek hu jo tumhare andar iss waqt maujood hu. Mein iss planet se nahi hu. Aur planet ke baahar kesi kesi cheeze maujood hai ye tum insaan soch bhi nahi sakte.]
Veer : .........
Iske pehle ki Veer kuch aage keh paata, Nidhi uske ward me aa gayi.
Darwaaze ki aahat se jab Veer ne palat ke dekha toh apni ma'am ko dekh kar chaunk gaya.
Veer : Ma'am!?
Nidhi : Ohh God!! Finally... Tumhe hosh aa gaya.
Aur Nidhi tezz kadmo ke saath aage aayi aur Veer ka haath thaam lii...
Veer (shocked) : Nidhi Ma'am aap yaha!?
Nidhi ne fir saari baat usse bata dii. Jab usse pata chala ki Brijesh ne uska call nahi uthaaya tha toh uske chehre par dard bhari muskuraahat aa gayi. Nidhi usse bechain bhari nazro se dekh rahi thi.
Veer : Aapne mere liye medical fees dii!?
Nidhi : Mene toh sirf advance diya tha baad me tumhaare Dad ne saari pay kii.
Kehte hue usne Veer ka haath ek baar fir thaam liya.
Nidhi (bauhe sikodte hue) : Tumhe... Tumhe bura lag raha hoga na? Tumhare Maa Baap tumhe dekhne tak nahi aaye. Jese maano unhe koi parvaah hi nahi hai tumhari.
Veer (smiles) : Isme koi nayi baat nahi hai Ma'am. Ye sab toh roz ka hai. I'm not surprised. Haha~
Uski wo fake hassi dekh pata nahi kyu, par Nidhi ko apne dil me atyant hi dard mehsoos hua. Aur usne Veer ka haath aur zorr se bheench liya.
Tabhi Veer ke andar firse awaaz gunji,
[Apne mann me kaho 'Check' aur fir iss aurat ki taraf dekho.]
System ki baat sunn Veer ne wesa hi kiya aur jese hi usne check kehte hue Nidhi ko dekha toh uske hosh hi udd gaye.
Nidhi ke sar ke upar hawa me ek window mandraa rahi thi jisme kuch shabd likhe hue the ~
[ Name - Nidhi
Age - 30
Status - Divorce pending.
Bio - Nidhi ki ek beti hai jiska naam hai Juhi. Saath hi ek beta hai jisse wo apne saath rakhna chaahti hai par uske Pati Rajat ne usse apne paas rakha hua hai. Rajat se uska rishta kharaab chal raha hai jiske chalte Nidhi akeli apni beti ke saath ek ghar me rent dete hue rehti hai kyuki wo apne mata pita par bojh nahi bann na chaahti. Uski Maa ko do din pehle hi dil ka daura pada tha aur wo bhi issi hospital me bharti hai. Nidhi ki life boht hi dukh aur pareshaniyo se bhari hui hai.
Favourability - 20
Relationship - Student - Teacher ]
Ye sab kuch Veer ko Nidhi ke sar ke upar nazar aa raha tha.
Veer (ghabraate hue) : Ye... Ye aapke sar pe...
Nidhi : Huh? Kya hua? Mere sar pe!?
[Arre Buddhu! Ye sirf tum dekh sakte ho? Baaki koi nahi.]
Veer : Nahi! Ma'am! Wo mein aise hi...
'Itna toh mein ek saal me nahi jaan paaya Ma'am ke baare me jitna abhi jaan gaya. Kya kamaal cheez hai ye.'
Usne mann me socha.
'System? Ye favourability 20 ka kya matlab hai?'
[Iska matlab hai ki wo tumhaare baare me kya sochti hai. Ek prakaar se uske mann me tumhare liye jo bhaav hai usko darshaata hai.]
'Toh ye 20 matlab?'
[Matlab ki abhi wo tumhare liye sirf 20 favourability rakhti hai. Jese jese tumhara aur uska relation accha hoega ye badhta jaega. Yadi ye 80 ke upar hai matlab ki koi tumhe chaahta hai. Yadi ye 90 ke upar hai matlab ki koi tumhe dil se pyaar karta hai. Aur yadi 100 hai matlab ki dil-o-jaan se pyaar karne waala vyakti.]
'Samjha!'
Nidhi : Veer? Kaha kho gaye?
Jab Nidhi ne chutki bajaate hue apna haath uske saamne hilaaya toh Veer jese apne khayaalo se baahar aaya.
Veer : Haa! Wo mein... Ma'am...
Nidhi (haath thaamte hue) : Just forget about everything Veer! Aur kuch mat socho. Bas tumhe jald se jald thik hona hai. Okay? And don't think tumhara koi nahi hai. I'm with you okay? Abhi tum rest karo ab. Mein ab kal shaam ko hi aaungi. Aaj mene wese hi leave lii thi. Roz nahi le sakti.
Veer : Jii ma'am! Thank you!
Nidhi : Thank you kesa isme...?? *Smiles* Take care okay?
Veer : Hmmm!
Aur Nidhi uske ward se chali gayi. Veer keval Nidhi ko jaate hue dekhta raha.
Nidhi 30 saal ki ek aisi husn ki mallika prateet hoti thi ki maano keher hi dhaa de. Par limited paiso aur din bhar ki mehnat aur thakaan ke chalte jaise uska husn poora khil ke nahi jhalak paa raha tha. Kyuki wo dhyaan hi nahi de paati thi apne upar.
Ye dekh Veer ko waqai taras aa raha tha uss par. Uski khud ki Maa yaha admit thi par uske bawajood Nidhi ne uski madad ki aur uske liye advance me paise bhi bharwae. Wahi dusri orr uske gharwale jo saari sampatti se sampann hai unhone ek shan bhi nahi socha ki wo jee raha hai ya marr raha hai.
*Ding*
Aur achaanak hi uske dimaag me ghanti baji aur uske saamne ek window khuli.
[Mission : Solve Nidhi's problem.
Reward : ?? points
Time limit : 1 year ]
'Huh? Mission?'
[Haa! Mission mil chuka hai tumhe.]
'Nidhi Ma'am ki problem? Konsi problem?'
[Ye toh tumhe khud dekhna padega.]
'O... Okay!'
[Ab tumhara safar shuru ho chuka hai. Ya toh tum yahi ke yahi reh jaoge ya meri madad paa ke ek Badshaah banoge. Toh bolo? Kesa jeevan chahiye? Ek aam aadmi ki tarah jesa ki tum abhi jee rahe the ya fir ek Badshaah ka?]
Sawaal sunn ke Veer ne socha hi nahi. Usse pata tha usse kya jawaab dena hai.
Veer (smiles) : Ek Baadshah!!!!
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!
Dhanyavaad!