Update - 194 ~ The Disembowler
Whenever I think this is the best update, you surpass yourself with another grand update, This one is one of them. It shows strong attachment between Veer's family members and friends, rising of Suhana, Suman and Karan in a crisis, re-blossoming of Kaera, concern for Veer by his System Friends and a very strong story line going back to Jail Break by Crimson, in fact even earlier to that and a very gory fighting sequence.
<Iss taraf, Shweta ne kass ke Bhavna ki baah pakad li, uska samaanya ghamand kahi gaayab ho gaya>
Well expressed.
<Iss orr Arohi akad ke reh gayi thi, usne Kavya ki kalaayi ko itni kass kar pakda ki uski kalaayi safed ho kar reh gayi.>
Always the protective elder sister.
<Parijaat ki aurtein. Woh sab ek pal me aage aayi — ek saath, atoot nishtha aur maun krodh liye.>
Apne maalik ke prati sampoorna samarpan.
<Suman (yells) : Saili... Aabha... Sonali...!!! Didi log ko baahar leke jao!! Abhi!!!!>
Suman ko keval apne maalik ke pariwar ki chinta thi.
<Sudha ghabra rahi thi. Poori kamaan ab Suman sambhaal rahi thi. Dono vyaktiyo ko zameen par se uthaaya gaya.>
Yeh do Veer ke pariwar ke hi log lag rahe hain kyonki Dexter ne pariwar walon ko hi nishana banaya tha. Manorath, Vivek aur Sumitra ke baare me koi baat nahi huyi hai, shayad unhi me se hon.
<Suhana (yells) : Mujhe pata hai...!!! Jitna kaha gaya hai utna kariye Uncle!!!>
Suhana to puri Veer ki ho gayi hai. Weh aisi sthiti se nipatne ke liye sabse saksham hai.
<Sonia : Aapke orders Uncle par kaam kar sakte hai, di. Mujh par nahi. Aur, mein aapko bina yaha se liye kahi nahi jaane waali.>
Sonia ko Suhana ki Veer ke liye itni chinta karna samajh to aa gaya hoga lekin yahan par uska apni bahen ke liye prem jhalakta hai.
<Woh pal...! Kaera ke puraane ghar par... Uss maali ki laash...!>
PTSD - Khoon ko dekhte hi Kaera ki saari purani yaadien taja ho gayi, shayad emotions bhi jag gaye honge. Intezar hai 'Ding' ka, Veer ke bahut purane task purey hone ka.
<Kaera : Par, V-Veer-!?>
Veer... Veer... Veer... Trinity me Kaera to puri Veer ki ho gayi hai, Ava/Natalia bhi peeche nahi hai, bass Sonia ka intezar hai.
<Lekin, itna zaroor hai ki woh sab poore prepared the. Ye koi random hamla nahi tha.>
Chahon negative incident se hi sahi, lekin isase 'Yarnia' ki publicity bahut hogi.
<Upar hawa me ek baaj udta hua neeche aaya aur Dexter ke mrat shareer par jaa baitha. Apni nukeeli chonch se woh uske murda shareer ko noch ke ukhaadne laga aur use wahi kachha chabaane laga.>
Bhibhatsa, lekin is story me koi bhi cheez vyarth nahi dikhayi gayi hai. Shayad isase Dexter ki lash se clue mit jaayein.
<Ava par antiserum ka istemal karne ke baad use jald se jald kuchh aur antiserum bana ke rakhne honge.>
Lagta hai, Veer ke liye iski jarurat padegi.
<'Veer!!! Kaha ho tum?'>
Sab System wale hain, samajh lena chahiye ki Veer kisi System Wale se uljha hua hoga. Haan, uski location jaldi dhoondni hogi. Ava ka 'Death Flag'...
<[‘Tracer’ has been nullified.]>
Yeh Pagal bahut powerful lag raha hai...
<?? : Ehe... M-Mein hi tumhe yaha leke aaya... Ye sab... Plan tha... Ehehehe...>
<?? (mutters) : Lure Path!!!! Hehehehe-!!!>
Shocker... Soch se bahar...
<?? : Tumhari wajah se... Sab tumhari wajah se... I was so close to my experiment... Eh... B-But... You... You took my target away from me...>
Akhir weh kya khoj raha hai, shayad uske liye usko kisi system wale ki jarurat hai. Power ki bhookh...
<[A curse has been applied on the host.]>
<['Beowulf's Blessings' is broken.]>
Ufff... Veer kaise iska saamna karega. Kya Veer ke sathi sahi samay par aa payenge ya phir Pari ko hi apne raudra roop me aana padega.
<'They call me... THE DISEMBOWLER!!!'>
To isase hi is Arc ka naam liya gaya hai. So many hints, lekin sab ooper se nikal gaye.
Need not write, a great update. Late review, lekin pehle kayi baar padh kar enjoy karne ke baad hi review dene ki himmat padhi hai. A little long one, but it was only to emphasize the points which I enjoyed. Missed/deleted many ko keep it short.