- 14,204
- 100,761
- 259
Last edited:
Update will arrive on 22nd at night between 10 - 11 PM. I told you guys ki mein baahar hu. I'm here attending an important function. Family saath me hai. Uss beech update kese likhu guys? You tell me. Fir bhi harr free time me kuch na kuch likhne ki koshish kar raha hu. Abhi site bhi kuch khul sii nahi rahi thi. They have changed the servers. Ab ya toh exforum use karo wo bhi cookies allow kar ke ya purani hi use karna hai toh vpn lagega ab. Plus, mein contest ke liye bhi ek story likh raha hu, which is pending. Baaki, update 62 raat me aa jaega 10 se 11 ke beech so don't worry. Ek do din abhi thoda schedule late chal raha hai apna I know. But kya kare sakte hai, mein yaha se free hounga uske baad hi sahi raftaar pakad paenge.Kitne din intezaar karna hai aagle update ki liye kripya kuch toh boliye Werewolf bhai.....
Sorry bhai agar aapko bura laga ho tohUpdate will arrive on 22nd at night between 10 - 11 PM. I told you guys ki mein baahar hu. I'm here attending an important function. Family saath me hai. Uss beech update kese likhu guys? You tell me. Fir bhi harr free time me kuch na kuch likhne ki koshish kar raha hu. Abhi site bhi kuch khul sii nahi rahi thi. They have changed the servers. Ab ya toh exforum use karo wo bhi cookies allow kar ke ya purani hi use karna hai toh vpn lagega ab. Plus, mein contest ke liye bhi ek story likh raha hu, which is pending. Baaki, update 62 raat me aa jaega 10 se 11 ke beech so don't worry. Ek do din abhi thoda schedule late chal raha hai apna I know. But kya kare sakte hai, mein yaha se free hounga uske baad hi sahi raftaar pakad paenge.
Replies bhi dene hai kaafi logo ke.
Kherr! Raat ko milte hai.
Update will arrive on 22nd at night between 10 - 11 PM. I told you guys ki mein baahar hu. I'm here attending an important function. Family saath me hai. Uss beech update kese likhu guys? You tell me. Fir bhi harr free time me kuch na kuch likhne ki koshish kar raha hu. Abhi site bhi kuch khul sii nahi rahi thi. They have changed the servers. Ab ya toh exforum use karo wo bhi cookies allow kar ke ya purani hi use karna hai toh vpn lagega ab. Plus, mein contest ke liye bhi ek story likh raha hu, which is pending. Baaki, update 62 raat me aa jaega 10 se 11 ke beech so don't worry. Ek do din abhi thoda schedule late chal raha hai apna I know. But kya kare sakte hai, mein yaha se free hounga uske baad hi sahi raftaar pakad paenge.
Replies bhi dene hai kaafi logo ke.
Kherr! Raat ko milte hai.
Bhai aj update day hai yaad se 12 bje se Phele Pehle plz daal dijiye updateUpdate - 61 ~ Mirror Gallery (1)Ab tak...
Fuuuccckkk thisss shhitttt damnnn you fucking systemm....'
[Mujhe bhi tumhara secret pata chal gaya.]
'???'
[You are just like Suhana hehe~ Keep hitting the cushion.]
'Fuccccckkkkk youu pariiiii!!!!!!'
Ab aage...
Sunday | 2:32 PM
Outside xxxxxxxx hotel...
[She hasn't shown up.]
'She will!'
[Kuch zyaada hi confidence nahi hai tumhe?]
'Of course! Itna toh jaan hi gaya hu unko.'
[Well! Let's see~]
Aaj wo din aa chuka tha jiska Veer ko intezaar tha. Aaj shaam ko mirror gallery ka sheher me udhgaathan hone waala tha aur pehli 50 entries ekdum free thi logo ke liye. Naye saal me jese ye naya tohfa tha public ke liye.
Veer ko nahi pata tha waha kya hone waala tha par jese usne kuch apne mann me pehle se hi soch ke rakha hua tha.
Aur iss baar Pari ko usne apne mann ki baat padhne se mana kar ke rakha tha. Khaaskar Pari ki iss personality ko. Kyuki, Veer ki kuch sahi nahi jamti thi iss personality se. Dono ka hi jese 36 ka aakda rehta tha. Aur din-ba-din unke jhagde badhte hi jaa rahe the.
Aaj Veer ek simple white shirt with sleeves folded aur navy blue denim jeans daale ek hotel ke baahar khada hua tha. Aur wo intezaar kar raha tha Kaera ka. Yahi uska pick-up spot tha.
Ab wese toh mirror gallery ki entries shaam 7 baje se shuru hone waali thi par Veer shayad Kaera ke saath aur samay bitaana chaahta tha. Khud se vaada bhi jo kiya tha usne ki chaahe jo bhi ho jaaye, wo puraani Kaera ko waapas laa ke rahega.
Kaera ke khayalaato me wo dooba hi hua tha jab uske saamne ek luxurious car aake ruki aur uska door khula.
Andar se Kaera ek chamakti hui black dress me baahar aayi.
Wo behad kamaal ki lag rahi thi. Aur pichli baar ki tarah iss baar bhi uske chehre par mask tha.
Veer aur Kaera dono hi ek dusre ko dekh aage badh ke aapas me sameep aaye.
Veer (smiles) : Harr baar ki tarah, aap behad khubsoorat lag rahi ho.
Kaera : Am I? Thank you! You are looking handsome as well.
Veer : Mein? Haha~ Naah!
Kaera : I really mean it.
[Ab itna kya show off kar rahe ho. Yadi wo bol rahi hai toh kuch soch ke hi boli hogi na? Bhulo mat ki usne dherro tumse handsome handsome ladke dekhe honge. Uske baad bhi tum ho ki...]
'Yeah yeah!'
[Ek toh aadmi tareef kar raha hai aur fir tum...]
'Fuck! I get it. Okay? Chill!'
Veer : Umm... Well... Thanks!
Kaera : Then? Shall we?
Veer : Sure!
Aur fir dono hi Kaera aur Veer car me peeche ki orr jaake baith gaye. Iss baar bhi saamne ki do seats par Raghu aur Jassi hi baithe hue the.
Veer : Aapko thand nahi lag rahi? I mean shaam tak thand badh jaegi.
Kaera : Hmm? I have a blazer.
Kehte waqt Kaera ke hontho par ek ajeeb sii muskuraahat thi jo Veer na dekh saka. Kyuki Kaera ne mask jo pehna hua tha.
Veer : Okay!
Kaera : What about you? You only have a shirt.
Veer (smiles) : Ye kaafi hai mere liye.
Kaera : Okay! So? Kaha chal rahe hai hum?
Veer : Aapne Lunch kiya?
Kaera : No, I didn't.
Veer : Perfect! Then pehle hum lunch karenge.
Kaera : Okay! As you say! Kaha chalna hai fir?
'Haha~ Yadi Suhana mujhe harr baar ki tarah waha le jaati toh shayad waqai mein muh banaata. Par aaj Miss Kaera ke saath waha jaane ka jese khud mera mann kar raha hai.'
[Huh? Don't tell me you...]
'Oh! Yes! Yes! Haha~ I'm taking her there only.'
Veer : Aaj hum xxxxxxxx hotel chalenge. Aapko pata hai?
Kaera : Hmm? Actually! No! But I will try yadi tum kehte ho toh.
'She doesn't even knows it. Haha~'
[Umm... Well...]
Raghu ne Veer ki baat sunn gaadi ko seedha bataayi gayi hotel ke raaste mod diya. Wo jaanta tha hotel ke baare me. Kaera keval badi badi 5 stars hotels se hi familiar thi. Aur iss kaaran, usse Veer ki bataayi gayi hotel ke baare me koi jaankari nahi thi.
Fir bhi, Veer ki khatir wo jese aaj iss naye hotel me khaana try karna chaahti thi. Wo jaanti thi ki yadi Veer ne chuni hai ye hotel toh kuch khaas baat hi hogi.
Aur kuch derr ke antraal ke baad hi wo sabhi ek hotel ke baahar khade hue the.
Kaera : Hmm? Mene iss hotel me kabhi dine-in nahi kiya.
Veer (smiles) : Toh aaj mein aapko karwa dunga.
Kaera : Hmm~
Kaera, Veer aur Raghu-Jassi sabhi aage badhte hue hotel me pravesh kiye toh waha receptionist unhe dekhte hi samajh gayi thi ki party paise waali hai.
Kyuki sabhi acche kapde pehne hue the. Kaera ko hi dekh kar receptionist bhaanp gayi thi ki ye ladki koi aam ladki nahi thi.
Receptionist : H-How can I help you ma'am?
Kaera (frowns) : Hmm? Shouldn't you address him first?
Receptionist : Ah!??
Receptionist bechaari toh Kaera ko dekhte hi usse hi leader samajh baithi aur uss se hi puchne lagi. Par shayad ye baat Kaera ko zara bhi pasand nahi aayi thi.
Veer uske aage khada hua tha par uske bawajood uss receptionist ne Veer ko ignore kar uss se sawaal pucha. Bhala wo aisa kese bardaasht kar sakti thi? Aaj Veer hi yaha par usse laaya tha.
Kaera ke chidhe hue expression dekh ke bechaari receptionist darr gayi aur usne forun hi khud ke behaviour ko sahi kiya.
Receptionist : I-I am sorry Ma'am! I'm sorry Sir! Ahem! Sir? How can I help you?
Veer : A table for four please?
Kaera : Two! Only two, Veer! Raghu and Jassi toh alag baithenge. Hai na?
Raghu : Heinnnnn?
Jassi (Raghu ko kohni maarte hue) : J-Jii Miss bilkul!
Raghu : Ughh! J-Jii! Miss! Ahaha~ A-Alag baithenge hum log. Hahaha~ Koi dikkat nahi.
Aur Kaera ne unn dono ki baat sunte hi apne mask utaar diya. Jese hi uska chehra saamne aaya toh saamne khadi receptionist usse dekhte hi chillaa uthi.
Receptionist : Miss Kaeraaaaa!????
Kaera : Mm?
Receptionist : A-A-Aap?? Y-Ya-Yaha??? H-Hamari hotel me?
Kaera : Hmm? Can I not come here?
Receptionist : No No No No!!!! Haan! Nooo! I mean Haan! Shit! Kya bole jaa rahi hu mein. M-Mera matlab, you are always welcome. A-Always!
Kaera : Ohh! Thank you!
Receptionist : P-Please! Aaiye na!
[She has a huge fan following.]
'Yeah!'
Aur wo receptionist khud aage badh ke Kaera aur baaki sabhi ko right side ki entrance me le gayi.
Ye VIP logo ke liye hi thi.
Veer keval mand mand muskura raha tha. Wo yaha Kaera ko keval ek hi purpose se laaya tha. Aur jese usse agle hi pal wo nazar aa gaya jiski wo talaash me tha.
Ya yu kahe ki wo log nazar aa gaye.
Shweta aur Bhumika.
Jii haan! Veer aaj Kaera ko unki hi hotel me laaya hua tha.
Dono Maa beti VIP guests se baat kar rahi thi jab receptionist ne unhe awaaz laga ke apni orr bulaaya.
Aur entrance pe jaise hi Shweta aur Bhumika ne dekha ki kaun aaya hai. Pehle toh unke chehre par thoda confusion nazar aaya, fir jese aashcharya, fir ekdum khushi se chehra bhar gaya par uske baad hi unki bauhe sikud gayi.
Kaaran? Kaaran tha ki unhone pehle Kaera ko dekha, usse pehchaante hi dono hi Maa Beti khushi se jhoomne lagi mann hi mann. Par fir unki nazre bagal me gayi, jidhar ek jaana maana chehra nazar aaya unhe.
Veer!
Aur bas, usse dekhte hi dono hi prashno se ulajh gayi aur duwidha me doob gayi.
Unke mann me yahi chal raha tha ki Veer yaha kya kar raha tha? Wo bhi Kaera jaisi hasti ke saath? Maano sawaalo se sarr chakraane laga tha unka.
Dono hi aage badh ke unn ke nazdeek aayi.
Shweta : It's such a pleasure to have Miss Kaera in our tiny hotel. Please welcome!
Harr baar ki tarah bhi iss baar bhi wesa hi hua. Shweta ne Veer ko hawa ki tarah hi treat kiya.
Par shayad uski beti ke iraade kuch aur hi the.
Bhumika : Welcome! Miss Kaera! Welcome, Veer!
Veer ka naam apni beti ke muh se sunte hi Shweta ekdum achraj me apni beti ko dekhi ki jese puch rahi ho akhir tumhaara dimaag sahi toh hai na?
Kaera : Hmm? You know her?
Kaera ne Veer ko dekhte hue pucha.
Veer (smiles) : Yes!
Kaera : Ohh! Are you guys related?
Bhumika : I-I... I am his step sister.
Bhumika ne akhir iss baar jawaab de hi diya. Jaha wo pehle khud ko Veer se sambandhit hone par nakaar deti thi. Aaj wahi khud se upat ke bata rahi thi ki wo Veer ki step sister thi.
Par Shweta ko apni beti ke aaj ke haav bhaav kuch raas nahi aa rahe the. Wo chhup chhup ke Bhumika ko aankh dikha rahi thi. Bhumika fir bhi bina kuch kahe apne mann ki hi karti rahi.
Kaera : Ohh! Step sister. I see! Anyways, Veer come.
Kaera Bhumika aur Shweta ko chorr Veer ko table ki taraf le gayi.
Wahi Raghu aur Jassi thodi dur kisi aur table par jaa ke baith gaye.
Shweta Bhumika ko leke side me aayi aur usse hairaani se dekhte hue boli.
Shweta : Ye sab kya tha? Tum kab se Veer se baatein karne lagi Bhumi?
Bhumika : I... Miss Kaera aayi hai hamari hotel me. Toh bhala mein unse jhooth kese bolu? Aur jhooth bolna sahi bhi toh nahi Maa.
Shweta : Arre toh ye bataane ki zaroorat kya tha ki Veer tumhara bhai hai. Bas keh deti ki hum jaante hai ek dusre ko. Baat khatam!
Bhumika : Aap bhul rahi hai ki Miss Kaera Veer ke saath aayi hai yaha. Matlab wo Veer ko acche se jaanti hai.
Shweta : Wahi toh meri samajh nahi aa raha ki ye Veer bhala Kaera ke contact me kese aaya? Kismat toh dekho uski. Anyways, mein ek client se milne jaa rahi hu. Tum yaha dekhna sab sahi rahe. Okay?
Bhumika : Hmm!
Aur Shweta jaldbaazi me nikal gayi.
Wahi Veer aur Kaera apne apne lunch me lage hue the.
Veer : Kesa hai? Khaana?
Kaera : Not the best but bura bhi nahi hai. It's good! I like it. A little bit oily.
Veer (smiles) : By the way, thanks for coming. Mujhe nahi laga tha aap aaogi.
Kaera : Umm... Yadi aur koi din hota toh waqai aana thoda mushqil hota. It's Sunday today. So, I postponed my Sunday's work.
Veer : Huh? Sunday work se aapka kya matlab hai? Sunday bhi work karti ho aap?
Kaera : Yes! Every day! Including sundays.
Kaera ki baat se Veer shocked tha. Harr din kaam karna toh jese naamumkin tha. Uske bawajood Kaera ne itni asaani se jawaab de diya. Aur dukhad baat toh ye thi ki Kaera ko ye sab normal lag raha tha. Veer chup chaap Kaera ko dekh raha tha jo apne khaane me busy thi. Sach kaha jaaye toh iss waqt Veer ko Kaera par bada hi taras aa raha tha. Iss ladki ke paas sab kuch tha bhi aur nahi bhi.
Koi dekh ke kahega ki ye itni sundar sii ladki roz kaam karti hai? Kisi robot ki tarah? Bilkul nahi!
Veer : Mein puchne wala tha aapse par bhul gaya tha. Aap toh Delhi me thi na? Toh aap yaha kyu aayi? Mumbai me?
Kaera (khuspusaate hue) : I came for you.
Veer : Hmm? Mujhe kuch sunaayi nahi diya.
Kaera : I... I had some work. That's why...
Veer : Okay!
'I think I can check her now. Right?'
[Yes! Of course!]
'Alright then. Check!!!'
[Name : Kaera
Age : 26
Bio : Kaera, Kishor ki eklauti beti hai. xxxxxx company me as a CEO work karti hai, jo ki uske hi pita ki company hai aur worldwide famous hai. Aaye din wo iss country se uss country travel karti rehti hai. Company ki backbone Kaera hi hai. She's like a queen who knows how to rule. She's well versed in languages, literature, business, fashion styling, etc. Kaera ko phool behad pasand hai. Inn sab ke bawajood, there's a part of her which is lost somewhere. Kuch emotions hai jinhe wo mehsoos nahi kar paati theek se. Jald se jald yadi iska upaay nahi nikaala gaya toh Kaera ko iss daldal se nikaalna boht mushqil ho jaega.
Favourability : 48
Relationship : Good Friends.]
Kaera ka status padhne ke baad Veer ke muh se bas yahi nikla tha.
Veer : Wow!!
Kaera : Hmm?
Veer : No! Nothing!
Veer bechara status dekh ke hi blown ho chuka tha. Jaha Kaera itni talented thi, wahi dusri orr uske saath kuch gadbad bhi thi. Jiska samadhaan Veer ko jald se jald nikaalna tha, warna dikkat ho jaane wali thi.
Kaera : I know now.
Veer : Hmm?
Kaera : You told me some things that day. Right? Uss raat. When we were in club. Remember?
Veer : Ah... That...
Kaera : Tumne kaha tha ki... Jitna iss zindagi se dosti karna chaahoge, ye utna hi dur bhaagti hai. Kuch logo ke paas kaabiliyat hoti hai toh wo apni zindagi badal lete hai. Kuch ke paas kaabiliyat hoti hai par halaat unhe apni zindagi na badalne par majboor kar dete hai. Aur jinke paas kaabiliyat nahi hoti wo bas kismat ke liye baithe rehte hai. Ki kisi na kisi din unki kismat chamkegi.
'Did I say that? Mein kab se itni philosophy bhari baatein karne laga?'
[Tumne hi kaha tha, you idiot.]
'Shut up Pari! Fine! I remember now.'
[Hmph~]
Veer : Jii! Toh?
Kaera : I think I know now. Ki kyu mujhe wo relatable laga tha. Kyuki I'm the same Veer.
Veer : ??
Kaera : I'm the same. Kuch logo ke paas kaabiliyat hoti hai par halaat unhe zindagi na badalne par majboor kar dete hai. Ye mein hi toh hu na Veer? Look! I'm... I'm skilled. But uske bawajood... I don't know what's life? Why do people live like this? Pyaar karna, shaadi karna, kids and then earn karna aur fir iss world se chale jaana. What's the meaning behind it?
Veer : Toh aapke hisaab se kya karna chahiye?
Kaera : I... I don't know. But kya yahi hai? Is this life? I don't understand. Aise me toh I have Money, I have Power, par uske baad bhi... Why do I feel incomplete?
Veer (smiles) : You need to find love. Family love too.
Kaera : Love? What is it?
Veer : Jab aap dil se kisi ke liye care karo aur uske bina na reh sako. Then that means ki aap uss vyakti se pyaar karne lage ho.
Kaera : Hmm? Okay! Toh how can I find this love?
Veer : Umm... Ye toh aapko khud karna hoga. You can date someone.
Kaera : Hmm? No! Mujhe proposals aate hai on a regular basis. But I don't like any of them. So, I don't date.
Veer : Umm... Then, intezaar kariye. Koi na koi aapko wo khushiyan dene zaroor aaega.
[Aur wo mein hi rahunga hahaha~]
'Shut up! Tumhe lagta hai she will fall for me? Kaha wo... Aur kaha mein... It's impossible.'
[Tum bhul rahe ho ki tumhaare paas mein hu.]
'Ohh! Are you hitting on me? Haha~'
[W-Wh-What!? Y-You! That's... N-Nooo! Hmph! Stupid.]
Pal bhar ke liye Veer ko aisa laga jese Pari sharma rahi thi.
'Hey? Are you blushing? Don't tell me...'
[Ah?? W-Wh-What? N-No wayyyyy! Stupid! Idiot! I hate you! G-Go to hell. Hmph~]
'Hey!! Chill!!'
Kaera : Okay! I'll see. I don't understand much though.
'Inhe samjhaana boht mushqil hone waala hai.'
Kaera (mann me) : Koi aisa jiski mujhe parvaah ho? Hmm...
Veer ka lesson kuch khaas toh nahi tha par Kaera ke dimaag me kam se kam ek baat toh baith gayi thi. Yahi ki usse apna pyaar khojna padega.
Dekhte hi dekhte, aaj ka lunch ka samay bhi beet gaya aur shaam hote hi Veer aur Kaera Mirror gallery ke sthaan par pohuch chuke the.
Ground tha basically, jisme poora set-up kiya gaya tha.
Bilkul wese hi jese aksar sheher me circus ke tents laga karte the.
Bada sa hoarding bhi laga hua tha, kayi saare banners jo invite karne aur advertisements ke liye lagaaye gaye the.
Aur toh aur dekhte hi dekhte itni saari bheed jama hone lagi thi ki lag raha tha aaj ka ye silsila derr raat tak chalega.
Kaera : Too much crowd.
Veer : Well! Bheed toh hai. Kya aapne pehle kabhi mirror gallery dekhi hai?
Kaera : No!
Veer (surprised) : Waqai? Mujhe laga aapne toh dekhi hi hogi. Kyuki ye foreign me rehta hi hai. Aur aap toh foreign jaati rehti ho na. So I thought...
Kaera : Nahi! I haven't seen it.
Veer (smiles) : Aaj aapke saare first timers karwa raha hu mein.
[Sex bhi first timer karwa diya tha. Hahahaha~]
'Fuck you!!!!'
[Hahahaha~]
Kaera : I guess so.
Ye sabhi baatein kar rahe the jab announcement hua aur line lagna shuru ho gayi.
Andar jaane ke liye ek baar me do se zyaada entries allowed nahi thi. Ya toh akele jaiye ya toh kisi ek jan ke saath. Luckily, Veer aur Kaera do hi the. Aur Raghu aur Jassi bhi.
Veer line ke second last me khada hua tha Kaera ke saath aur Raghu aur Jassi theek uske peeche.
Wahi last the. Unke baad dusri line alag se bann rahi thi par tabhi waha ka jo sab kuch manage kar raha tha wo aaya aur usne announcement kiya.
"Dekhiye! Bas! Ab iske baad aaj ke liye aur koi entries nahi hoengi. Yahi 50 entries bhar jaengi. Paid waali entries kal se shuru kii jaengi. Maafi chaahta hu. Dhanyavaad!"
Aur uske itna kehte hi, logo ki gaaliya shuru ho gayi. Jo apna samay nikaal ke aaye the, unka maatha thanka aur wo manager se waha gaali galoch karne lage. Par jese tese ye maamla nipta toh thodi shaanti hui.
Dheere dheere line aage badhti jaa rahi thi. Aur Kaera bas curious sii nigaaho se sab kuch dekh rahi thi. Aas paas ke log usse hi taad rahe the. Kyuki, aam public me wo kisi model ki tarah lag rahi thi waha.
Yadi Kaera kile peeche do bade bade bodyguards na khade hote toh pakke se ek aad aadmi ne aa kar line zaroor maari hoti usse.
Kaera : It's taking too long.
Veer : Wo isliye, kyuki ek baar me ek ya do hi log enter kar sakte hai aur jab tak wo baahar nahi nikal jaate tab tak baaki log enter nahi kar sakte.
Kaera : Strange!
Veer : Yeah!
Kuch samay ke baad jese hi Veer aur Kaera ka number aaya toh Veer andar jaane se pehle bas ek baar palta aur Jassi ko dekh dheere se bola,
"Jese hi call du, andar aa jaana."
Aur itna bol Veer aage badh gaya.
Par Jassi jo wahi khada hua tha, wo ye sunte hi wahi jamm gaya. Aur jese hi usse samajh me aaya,
Jassi : Raghu! Support ke liye call karo. Abhi!
Raghu : Huh? Kya hua?
Jassi : Jesa keh raha hu wesa karo. Sawaal mat pucho.
Raghu : Ek minute! Iska matlab...??
Raghu kuch sochte hi aage badhne ke liye hua toh Jassi ne usse pakad kar wahi rok liya.
Raghu : Jassi?
Jassi : Usne kaha hai... Call karu toh andar aa jaana. Abhi mein jo keh raha hu wo karo.
Raghu : O-Okay!!
Idhar Veer jese hi Kaera ke saath andar jaane ke liye entrance par aaya. Usne bagal me baithe ek ladke ko dekha.
Aur usse dekhte hi Veer ne usse check kiya. Check karte hi, Veer ki aankhein felti chali gayi.
Ladka : Jaiye andar!
Andar jese hi Veer aur Kaera aaye. Peeche ka gate band ho gaya.
Aur andar, ek lamba corridor tha jaha aage jaake ek mod tha right me. Par poore corridor ke agal bagal bas sheeshe hi sheeshe lage hue the.
Poori zameen par ek laal carpet bicha hua tha aur lights bhi keval laal rang ki madhham madhham jal rahi thi.
Maano jese Mirror gallery me nahi, kisi horror gallery me aa gaye ho.
Kaera ne apna perr aage badhaaya badhne ke liye par tabhi uski kalaayi peeche se kisi ne pakad lii.
Peeche mud usne dekha toh paaya ki Veer tha. Par...
Par Veer ke chehre par koi bhaav nahi the. Uske muh se bas ek hi vaakya nikla aur wo bhi itni gambheer awaaz me ki Kaera kuch bol hi na paayi.
Veer : Stay with me!
Kaera ki naazuk sii kalaayi Veer ke mazboot haath ki giraft me thi.
Kyuki Veer jaanta tha. Wo sahi tha.
Idhar aane se kuch din pehle hi...
Jis din usne apna dhandha shuru kiya tha. Uss din hi Mirror gallery ka advertisement karne ke liye truck nikla tha.
Pehle toh Veer ne usse aisa hi samjha tha par uss raat usne truck ko check bhi kiya tha. Aur check karte hi usse uss raat ye jaan'ne ko mila tha.
[Mirro Gallery Advertising Truck.
Bio : Fake announcement by the Buyer. Mirror gallery currently is not being held by the owner.]
Ye padhte hi Veer ko ek jhatka laga tha. Owner hi jab ye nahi karwa raha hai toh kaun karwa raha hai ye?
Aur uske baad hi uss din hi usse kuch aur bhi dekhne ko mila tha. Kyuki truck ke nikal jaane ke baad hi...
*Ding*
[Mission : Take Kaera to Mirror Gallery.
Reward : ??? Points.
Mission Failure Penalty : 1000 Points Deduction.]
Yahi toh kaaran tha. Ki aaj Veer yaha Kaera ke saath tha. Aur usse jese abhaas tha ki kuch gadbad thi.
Aur usse ye bhi abhaas ho gaya tha ki shayad inn sab ke peeche uss aadmi ka haath tha.
Slogan!!!!
Keval itna hi nahi, yaha aane se pehle hi veer ki baat subah Suhana se bhi hui thi.
Veer : Aaj mein free nahi rahunga. Maybe shayad kayi din nahi rahu.
Suhana : Ohh accha! Ab jab free hoke mein aur Sonu tumhaare paas aana chaah rahe hai toh nakhre toh dekho zara. Itne bade aadmi nahi bann gaye tum abhi Veer ki mujhe mana kar sako. Samajh gaye.
Veer : It's not that... Baat kuch aur hai.
Suhana : Ohh accha!? Kya baat hai bhala?
Veer : SLOGAN!
*Silence*
Suhana : H-Huh??
Veer : Shaam ko yadi meri taraf se speed dial aaye. Then samajh jaana I need help. Police! I'll leave them to you. Aur yadi koi aur madad kar sako toh wo bhi... See ya!
*Call ends*
Suhana : What? Wait! H-Hello??? V-Veer??
'Damn it! Call cut kar diya. Damn you!!! That idiot fucker...'
Wo gusse me aate hi bagal me rakhe Teddy ko peetne lagi.
'What does he think he's doing? Paagal hai kya? Idiot!!! Damn him! He'll get killed. Slogan? Isse pata bhi hai kaun hai wo? This fucker... Ugh!!!'
Subah Veer yahi keh ke aaj apne iss mission par nikla tha. Aur yahi kaaran tha ki wo points ikhatta karne ki bharpoor koshish kar raha tha.
Sadly, uske 200 points barbaad ho chuke the. Aur bache hue 100 points wo stats me laga sakta tha par... Wo unhe quest ke liye bacha ke rakha hua tha.
Aur abhi abhi andar aane se pehle bhi...
Veer ne jese hi uss ladke ko check kiya toh usse ye dekhne ko mila tha.
[Name : Bhavesh
Age : 28
Bio : Just a local resident. Today working as a fake employee. Paise ki tangi hai.
Favourability : 0
Relationship : Strangers]
'Fake employee' shabd padhte hi Veer ka shaq yakeen me badal chuka tha.
Kaera ka haath thaame wo peeche hi tha uske. Ekdum nazdeek.
Kaera ki kuch samajh me nahi aaya. Par usne Veer ko apna haath pakde rehne diya.
Wo ek kadam chalti, rukti aur bagal me lage sheesho me apni chhavi dekhti.
Alag alag prakaar ke sheeshe the. Kuch me unki chhavi lambi dikhaayi deti toh kuch me choti. Kuch me wo mote prateet hote toh kuch me patle.
Kaera ne apna mask nikaal Veer ko thama diya jo usne apne jeb me rakh liya.
Aur kaafi samay baad wo muskuraayi.
Mirror par haule se haath ferr wo usme apni chhavi ko dekh rahi thi.
Kaera (smiles) : We look thin in this one.
Par bechara Veer iss waqt mirror gallery me least interested tha. Uska poora ka poora dhyaan aas paas ke vatavaran me tha. Uski nazre baaj ki tarah jese koi harqat pakadne ko dhund rahi thi.
Aur tabhi...
Achanak se hi harr jagah dhua dhua sa hone laga.
Aur Veer ki pakad Kaera ki kalaayi par aur mazboot ho gayi.
Usne Kaera ko aur bhi apne sameep kheench liya.
*Ssssssssss*
Ki awaaz se waha dhua hi dhua bharta jaa raha tha.
'Check!'
[Smoke.
Bio : Just the normal smoke, emitting from smoke machine.]
'It's not poisonous.'
Smoke toh poisonous nahi thi. Par jese Veer ko kisi aur baat ki tension lene ki zaroorat thi.
Kyuki tabhi uss smoke me hi neeche zameen ke side kuch harqat hoti hui nazar aayi. Maano jese kayi saare perr chalte hue aa rahe the.
Aur ye dekhte hi uske shareer ke baal khade ho gaye.
Kaera ko usne forun hi apne peeche kiya aur uske saamne uski shield bann ke khada ho gaya.
[Be prepared! Kuch gadbad hai. I think they are people.]
'Let them come...!'
.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!
Dhanyavaad!
Don't forget to like and comment your thoughts.
And sorry for the wait. Thoda baahar aaya hua hu.
Waiting broUpdate will arrive on 22nd at night between 10 - 11 PM. I told you guys ki mein baahar hu. I'm here attending an important function. Family saath me hai. Uss beech update kese likhu guys? You tell me. Fir bhi harr free time me kuch na kuch likhne ki koshish kar raha hu. Abhi site bhi kuch khul sii nahi rahi thi. They have changed the servers. Ab ya toh exforum use karo wo bhi cookies allow kar ke ya purani hi use karna hai toh vpn lagega ab. Plus, mein contest ke liye bhi ek story likh raha hu, which is pending. Baaki, update 62 raat me aa jaega 10 se 11 ke beech so don't worry. Ek do din abhi thoda schedule late chal raha hai apna I know. But kya kare sakte hai, mein yaha se free hounga uske baad hi sahi raftaar pakad paenge.
Replies bhi dene hai kaafi logo ke.
Kherr! Raat ko milte hai.