- 13,846
- 98,517
- 259
Last edited:
Khoobsurat update sahi mano me to yah arc ab shuru hua hai is se pehlay iska naqsha banaya jaa raha thaa aur ek baar phir se samne prinjal khada hai matlab uska baap bhi yahi kahi hoga aur ab phir se purani jealousy samne aayegi.Update - 188 ~ Serial Murder Case (2)
Ab tak...
Trisha : Please, jaise hi koi bhi clue haath lage, hume inform kariyega. Aap hi hai jo iss task ko complete kar sakte ho. Kyunki, humara yaha rehna bahut zaroori hai.
Divya : Don't worry!
Trisha : Koi escorts? Mein ek sub-inspector aur control room se-
Divya : Nahi nahi! Iski koi zaroorat nahi. Mein aur mera assistant hi kaafi honge.
Trisha : Are you sure?
Divya (nods) : Yes!! Then, hum nikalte hai.
Divya aur Veer fir kuchh der waha intezar kar gaadi ke liye nikal gaye. Aur, unki manzil thi — Pune!
Ab aage...
'Fuckin' hell!!!'
Jab Divya ne uske ghar chalne ka zikr kiya toh Veer jaan gaya ki ye bahut hi bura vichaar tha. Uska parivar sirf ek sadharan parivar nahi tha — wo ankahi bhavnao ka ek uljha hua jaal tha, aur ek baahri vyakti - khaas taur se Divya ka waha aana, ghar me uthal-puthal machaane ke liye kaafi tha.
Fir bhi, uske paas koi vikalp nahi tha. Divya ne aaj hi Karan ke ghar se inspector Trisha ko hataate hue uski madad ki thi. Aur, iske pehle bhi usne France me uske liye madad bhijwayi thi. Toh ab jab woh Mumbai me thi aur high-profile murder cases ki jaanch kar rahi thi, toh aise me Veer use apni peeth nahi dikha sakta tha. Woh Divya ka kahi na kahi karzdaar tha.
Din wahi tha aur shaam ke 7:15 baj rahe the. Jaise hi veh dono darwaze ke paas pahuche, Veer ko apne seene me tanaav mehsoos hua. Ye koi samaanya sa home tour nahi tha; Divya ghar ki koi parichit nahi thi. Aur, uski overprotective badi behna — Tej, koi mamooli behan nahi thi. Ye ek powder keg ke samaan tha jo fatne ke liye taiyaar tha. Aur, Veer ki maujoodgi yaha uss par apni chingaari pehle hi laga chuki thi.
*Ding Dong*
Divya ne doorbell bajaayi. Uske chehre par ek adrishya muskaan thi jise Veer parakh na saka. Kuchh hi derr me Tej ne ujjwal muskaan ke saath darwaaza khola aur uski aankhein apne bhai ko dekh kar chamak uthi.
Tej (smiles) : Aa gaye tum? Huh-!?
Uski awaaz garmjoshi se bhari aur swaagat karne waali thi. Lekin, jaise hi uski nazar uske bhai ke bagal se khadi mahila par padi toh woh garmahat kahi gaayab si ho gayi. Uska shareer akda, aur muskaan feeki pad gayi. Uska dimaag apne aap hi use satark kar diya, usne Divya ko upar se neeche tak dekha. Kaun thi yeh aurat???
Toh wahi Divya hamesha ki tarah shaant, ek professional muskaan bikhere aage badhi.
Divya : Hi! Mein 'Divya Dhawan,' ek special agent, Foreign bureau for Crime Control se. In short, FBCC!
Usne apni FBCC ki ID Tej ko dikhaate hue kaha. Gaur karne waali baat ye thi ki usne apna surname 'Dhawan' bataya jo ki uska shaadi se pehle ka surname tha. Na ki 'Wilson' jo uske pati Nick ka surname tha.
Divya : State me ho rahe serial murders ko lekar mein yaha aayi hui hu. Veer aur mein pehle bhi kaam kar chuke hai. Aur, usi silsile me mein yaha aayi hu. Baat lambi ho sakti hai. Toh, kya hum andar baith ke baat kar sakte hai?
Tej ki nazar Divya ki ID par padi aur uski pehchaan uss par kisi bijli ki tarah aa kar giri. DIVYA!!! Isi Divya ka zikr Veer ne kiya tha. Use yaad aaya jab Veer China se laut ke aaya tha toh usne kayi saare sawaalo ke jawaab diye the.
'France me mein kaafi involved tha police aur baaki departments se. Also, aap Miss Divya se familiar nahi ho, right?'
'Miss Divya??? Who is she??'
'FBCC ki ek special agent. Also, former detective of the crime department in Las Vegas.'
'Theek hai! Maan liya! Ab aage? Kaun hai woh Divya?
'Miss Divya… Hmm! Las Vegas ki trip ke dauran meri mulaqat unse hui thi aur woh Miss Suhana ki bachpan ki dost hai. Miss Suhana ko aap sab jaante hi ho. Ye tab ki baat hai jab humara reunion nahi hua tha, dii!'
'So?'
'Wahi Miss Divya FBCC ke dwara bheji gayi thi China. Choonki, mein unse familiar tha aur Li Renshu se bhi toh mein iss ‘Order’ vs ‘Legion’ ke beech fass baitha. Mujhe Li Renshu ka favor chukana tha aur Miss Divya ne mera involvement asaan kar diya.'
Tej ko sab kuchh yaad aaya jo Veer ne Divya ko lekar use bataaya tha. Yahi woh Divya thi jiske saath Veer ne Las Vegas me kaam kiya tha. Halanki, woh abhi ye nahi jaanti thi ki ek peshevar rishte ke alawa Veer aur Divya aur bhi bahut kuchh saanjha kar chuke the.
Andar hi andar uska dimaag ghoom raha tha - yeh mahila ek khatra thi, ek gambheer khatra. Veer kisi ko bhi ghar nahi laaya tha. Woh 'use' ghar laaya tha. Divya ko!!!
Tej ne khud ko muskuraane ke liye majboor kiya, aur unhe andar aane dene ke liye ek taraf hatt gayi. Usne Veer ko tirchhi nazar se dekha jaise maano poochhna chaah rahi ho ki — Kya chal raha hai tumhara iss aurat ke saath?
Tej (nods) : Aaiye!
Usne swaagat kiya. Uska swar vinamra lekin tanaavpoorna tha. Jaise hi Divya ne ghar me qadam rakha, Tej ne firse apne bhai ki orr dekha, jaise uss se anurodh kar rahi ho ki kuchh toh samjhao akhir chal kya raha hai? Lekin, Veer ne filhaal ke liye nazre ferr li. Woh jaanta tha ki abhi kuchh bhi safaayi dena wajib nahi tha.
Ghar ke andar Bhavna, Shweta, Ragini aur Suman living room me ikhatti thi. Jaise hi unn sabne Veer ko ek anjaan mahila ke saath andar aate dekha toh kamra tanaav se bhar gaya. Ragini seedhi hokar baith gayi. Uski aankhein sikudi aur woh sochne lagi ki Veer ke bagal se khadi ye mahila akhir kaun thi?
Humesha ki tarah Bhavna ka dimag turant hi cheezon ko bhaapne me lag gaya. Shweta, mann me prashn par prashn liye bas unhe poochhne ka intezar kar rahi thi. Aur, Suman, jo rasoi ke paas khadi thi woh shaant ruchi ke saath sab kuchh dekh rahi thi. Apne 'maalik' se judi har cheez par woh dhyaan deti thi. Rahi baat Bhumika aur Sonali ki — toh dono hi apne hotel aur food truck me thi.
Divya ne kuchh der ruk kar kamre ka jayza liya. Woh apne upar unki aankhon ka bhaar, ankahi jigyasa, thodi shatruta aur thodi chinta mehsoos kar paa rahi thi. Woh iss se kahi khatarnak sthitiyo me pad chuki thi, lekin kisi tarah, Veer ke ghar me uske parivar ke saath khada hona aaj use lohe ke chane chabaane ke samaan lag raha tha. Iske bawajood, usne apna saiyyam banaaye rakha.
Divya : Nice house. Looks good. Feels good~
Veer (smiles) : Thank you!!
Tej : ???
Divya : Oh! Namaste!!!
Usne apne haath jode, uska lehza napa-tula magar vinamra tha.
Divya : Mera naam - Divya Dhawan hai. Mein FBCC ki ek special agent hu. Agar, aapko FBCC ke baare me nahi pata toh mein bata deti hu — FBCC duniya ke bade crime cases ke saath deal karti hai. Worldwide apni aid countries tak pahuchaati hai.
Bhavna : Toh aap hai woh Divya!
Divya : Hmm? Ji! I see! Toh, Veer ne aapko mere baare me bataya hua hai.
Tej : Indeed! Aur, hume FBCC ke baare me bhi pata hai.
Divya : Oh? *smiles* I'm impressed!
Tej : Come to the point, please?
Divya : Sure! Well then, aap sabko shayad ye bhi pata hoga ki mein aur Veer — we have quite a history you know. Humne past me high profile cases me saath me kaam kiya hua hai. Aur, mujhe Veer ki assistance chaahiye. Simple!
Bhavna ki drishti sthir thi. Usne haami bhar pehle ishaara kiya.
Bhavna (nods) : Baithiye!
Divya (smiles) : Thank you!
Woh sofe par virajman hui aur sabhi taktaki laga ke use ghoorne lage.
Bhavna : Waise, mein Veer ki maa hu. Toh aapko mere bete ki assistance chaahiye? Bhala kis prakaar se?
Usne apne bete par ek sarsari nigaah daalte hue poochha.
Bhavna (glances) : Suman-!!!
Suman (nods) : Ji!
Ishaara samajhte hi Suman andar kitchen me gayi aur baahar Divya ke liye tray me paani lete hue aayi. Divya ne bhi koi kasar nahi chhori. Woh jaanti thi ye sab formality thi lekin, ye kisi aur ka ghar nahi tha. Ye Veer ka ghar tha.
Divya : Aapne sheher me ho rahe murders ko gaur kiya hi hoga.
Bhavna (nods) : Hmm!
Divya : Ye kaafi bada matter hai. I mean khud FBCC iss par action le rahi hai, iss se aap andaza laga hi sakti hai ki case kitna bada hoga. Maamla local police ke control se baahar jaa chuka hai. Jo skills Veer ke paas hai, woh iss case ko solve karne me kaafi madadgaar saabit ho sakti hai.
Tej : Skills?
Divya (nods) : Ah-huh! Observational skills.
Tej : ???
Divya : Hmm? Ab ye mat kehna ki aap sab Veer ke talent se waqif nahi?
Tej : Veer ka- talent?
Divya (glances) : Tumne inhe kuchh nahi bataaya kya?
Veer : Well-
Divya : Seriously? Tumne kuchh bhi nahi bataaya? Aap sab ko Las Vegas ke baare me nahi pata kya?
Tej : Hume ye pata hai ki Veer ka involvement waha crime departments se tha. Waha exactly kya hua tha iske baare me hume kuchh nahi pata.
Divya (amazed) : Oh my god!!! Tumhe pata hai tumhara bhai kya hai?
Tej : Huh???
Divya : Ek chalta firta computer. Maine apni life me Veer se zyada skilled detective nahi dekha. Jo deductions Veer karne me capable hai, shayad hi uss level ka koi aur hoga. And, I'm not joking.
Ragini jo ab tak shaant thi, usne apni baahein sofe ki side par felaate hue halka sa uphaas kiya.
Ragini : Aur, aapko lagta hai ki Veer ko iss tarah ki kisi cheez me shaamil hona chaahiye? Aapne soch bhi kaise liya ki hum sab use iss khatre me jaane denge?
Bhale hi woh Veer se abhi baat nahi kar rahi thi lekin, uski chinta abhi bhi saaf zaahir thi.
Divya : Shayad aap meri baaton ki gehraayi ko samajh nahi paayi. Maine kaha - ki Veer ke paas jo skills hai, woh iss case ko solve karne ke liye bahut madadgaar saabit ho sakti hai. Serial killer khulla ghoom raha hai. Na jaane kitne masoom log apni jaan gawa sakte hai. This is serious!
Tej : ...
Divya : Tum Veer ki behan ho, right?
Tej (nods) : H-Hmm! Mein Tejal! Veer ki sagi badi behan.
Divya : Do you know what happened in Las Vegas?
Tej : Huh??? N-Nahi!
Divya : Short me bataati hu. Mein bata sakti hu na, Veer?
Veer : Well-! Go ahead! *nods*
Divya : Alright! Las Vegas me 'house of the killers' ke naam se bahut bade criminals ek saath uske under kaam kar rahe the.
Shweta (frowns) : House of the killers?
Tej : ???
Bhavna : ...
Divya : Ji! House of the killers. Veer ne ek-ek ko pakadwaya tha. Jim the slippery, jo drug dealings kar raha tha police se chhip ke. Pitcher, jo ki ek bahut bada mastermind criminal tha. Woh logo ko kaise maarta tha aapko pata hai?
Bhavna : ???
Divya : Mithridatism se.
Tej : Mithri-!!?
Bhavna (frowns) : Mithridatism, Tej! Khud thodi-thodi maatra me zeher lena taaki aapke shareer ki tolerance zeher ke prati badh sake.
Tej : Ahhh?!!!
Divya : Exactly! Woh logo ko parties me wine pila kar maarta tha jinme zeher hota tha. Veer Las Vegas ke investigation department ki taraf se ek spy bann ke uski party me ghusa tha aur usi ki party me ghus ke usne uss Pitcher ko chakma diya tha. Can you believe it? Veer hi tha jisne ye decode kiya tha ki Pitcher Mithridatism ka istemal kar ke logo ko maar raha tha.
Jab Bhavna samet sabhi ne ye suna toh pal bhar ke liye unki dhadkane badh gayi, khaas kar Bhavna ki. Usne apne bete ko chintit nazro se dekha. Veer inn sab ke hoke guzra tha? Akhir, aur kitne raaz chhipaaye hue tha uska laadla? Agar, use kuchh ho jaata toh? Bhavna mann hi mann khud ko kos shaant reh gayi.
Divya : Par, asli khel toh uss mansion me hua tha. Uss island par. Jab Veer ne Nightwalker ki mystery se parda uthaaya tha.
Tej : Nightwalker?
Divya : Haan! Las Vegas ke island me ek mansion me ek event organise hota tha. Illegal means se waha tak pahucha jaata tha aur aapko ek night stay karna hota tha. Shart yahi rehti thi ki jisne night out complete kar liya woh aseem sampatti ka maalik bann sakta tha. Gold, cash, rubies, you name it. Sab kuchh!
Tej : Then?
Divya : Par, room numbers alag alag orders me batey hue the. Jaise ki 74, 50, etc. Rooms aise the ki unke doors metals se bane hue the. No windows, nothing. Participiants ko apne respective rooms me rukna hota tha aur fir night me unhe gold dhoondhne ke liye nikalna hota tha. Par, yahi woh time hota tha jab Nightwalker apne chehre par mask lagaaye logo ka qatl karta tha. Balki, unke rooms ke andar ghus ke. Jo ki impossible hona chahiye, right?
Tej (shivers) : Huhhh!!?
Divya (smiles) : Aur, Veer ne use bhi pakda tha. Your brother entered that same mansion and not only he survived, he was able to expose the mystery behind the murders. Kya tum guess kar sakti ho ki Nightwalker kaise maarta tha room me ghus ke?
Tej : ???
Divya (smiles) : Those room numbers... They were atomic numbers of the metals. Room number ka door uske respective metal se bana hota tha. Aur, Nightwalker door ke bar ko uske melting point tak le jaate hue, use pighla kar slab ko nikaal ke haath andar le jaa kar gate kholta tha, andar ghusta tha aur logo ko maarta tha. He was a master in welding. Also, a superb electrician. Now you get it? Tumhare bhai ki kya skills hai?
Tej ne Veer ko dekha. Bechaari ki samajh nahi aa raha tha ki kya kare? Apne bhai par garv kare? Ya fir chinta jataaye ki itni kathnaiyo se hoke guzra tha woh. Ya fir darey ki kahi use kuchh ho jaata toh? Ya chakit hoye ki uske bhai ke paas itna kaushal tha?
Divya : -Aur, isliye — Mein yaha Veer ki assistance ki maang karne aayi hu. He's very crucial for this case.
Bhavna ne jab ye suna toh woh bhaanp gayi ki uska beta waqai me alag tha. Aise hi nahi usne Egypt me uss artifact ki jankaari bata di thi. Iska matlab ye sach tha ki uske bete ke paas exceptional observing skills thi.
Tej abhi bhi darwaaze ke paas khadi thi, usne apne honth daanto taley dabaaye, uski chinta aur adhik badh gayi. Veer ko Divya ke sang jaata sochne maatra se hi uski saansein fool rahi thi.
Tej : M-Mujhe nahi lagta ki ye koi achha idea hai. Veer ne... Mere bhai ne pehle hi bahut kuchh kar diya hai. Aur, use dobaara khud ko khatre me daalne ki zaroorat nahi hai. Aur, na hi hum use khatre me jaane denge.
Divya : With all due respect, this isn't just any case. Ye personal matters se bada hai. Mein use kisi faaltu baat ke liye ghaseetne nahi aayi hu yaha. He knows the stakes as well.
Suman rasoi se sab kuchh dekhte hue Veer ke qareeb chali aayi, uske shaant qadmo ke chalte logo ka dhyaan uss par na gaya. Woh uski orr jhuki aur thoda fus-fusaate hue boli.
Suman : Maalik, kya aap chaahte hai ki mein dakhal du? Agar aap nahi jaana chaahte toh aapko uske saath jaane ki koi zaroorat nahi hai. Ise mein sambhaal lungi.
Uske shabdo me ek khatarnak dhaar thi, ek vaada, ki zaroorat padne par veh iss aurat ko gaayab bhi kar sakti hai. Veer uski wafadaari dekh muskuraaya aur apna sarr hilaate hue usne Suman ko shaant rehne ka hi ishaara kiya. Divya koi paraayi nahi thi.
Tej ka dil zorr se dhadak raha tha. Woh apne jeevan me sab kuchh niyantrit kar sakti thi siwae iske ki Veer ki zindagi me kin aurton ko rehna chaahiye aur kinhe nahi. Uski pakad se Veer chhootata hua use mehsoos ho raha tha. Woh Veer ko mana nahi kar sakti thi, bhale hi woh kitna hi kyu na chaahe ki Veer Divya ke saath na jaaye. Lekin, fir bhi himmat kar woh boli.
Tej : V-Veer-!! Veer, tum pehle bhi inn khatro me pad chuke ho. Hume toh kuchh pata bhi nahi tha. Tum akele inn sab ko face karte aa rahe the. Aur, ab jab hume sacchayi pata chali hai, toh hum sab tumhe kaise jaane de sakte hai mere bhai? Ye jaante hue ki-
Shweta : Bilkul! Iss baar mein bhi sehmat hu. Jokhim bhari jagah par hum sab tumhe kaise jaane de sakte hai mere bacche-!?
Lekin, Veer behtar jaanta tha. Uska Divya ke liye kam se kam itna karna banta tha. Aur, ye baat bataane ki bhi zaroorat nahi thi ki use iska mission bhi mila hua tha.
Veer : Sorry, Teju di! Par, mujhe jaana hoga. Ye matter ignore nahi kiya jaa sakta.
Aur, kamre me ek sannaata chha gaya. Tej ne apne bhai ki aankhon ko padh liya. Woh jaan chuki thi ki ab use koi bhi nahi rok sakta tha. Kahi na kahi use khud par hi kheej uthi. Woh kitni kamzor thi ki uske bhai ko majbooran jaana pad raha tha. Aur, woh kuchh nahi kar paa rahi thi. Ragini ka chehra bhi sakht ho chuka tha, uske honth niraasha se sikud gaye.
Tej ka mukh khula par siwae thar-tharaate hontho ke muh ne aur koi prakriya nahi ki.
Tej : T-Tumhara har baar ka yahi hai V-Veer! T-Tumhe-!! Tumhe jo karna hai karo. China se aaye tumhe abhi din hi kitne hue the? Aur, ab-!
Veer jaanta tha uski Teju di uss se udaas thi. Magar, woh chaah ke bhi kuchh nahi kar sakta tha. Beparvah, Divya ne apna sarr hilaaya aur woh apni jagah se uthi.
Divya : Toh kya mein ise 'haan' samjhu?
Bhavna : Agar, Veer ne haan keh hi diya hai. Aur, use dekh ke yahi lag raha hai ki woh humaari nahi sunega. Toh fir haan hi samajhiye. Dhyaan rahe, ki aap 'haan' samajh rahi hai. Na ki-
Uske hidden meaning ko Divya samajh gayi. Shayad aaj ke liye woh iss ghar me itni invited nahi thi. Magar, shayad bhavishya me kabhi kuchh badal jaaye? Yahi soch woh waha se nikli.
Divya : We'll leave tomorrow morning! Pick me up at sharp 7 AM.
Veer (nods) : Sure!
Divya (smiles) : See you!
Veer : *smiles*
Jaise hi Divya waha se ravana hui, ghar me tanaav badh gaya. Veer darwaaze ke paas hi khada raha, baahar ki orr dekhta raha, lekin woh mehsoos kar sakta tha ki sabhi ki aankhon ka bhaar uss par hi tha. Tej shaanti ko bhang karne waali pehli thi.
Tej : Kya tum serious ho, Veer?
Veer peechhe mud apni behan ki nazro se mila.
Veer (nods) : Mujhe sach me jaana hoga, di! Divya ne meri madad ki thi, aur ab meri baari hai.
Tej ke honth ye sunte hi sikud gaye. Usne apni mutthi kasste hue kaha.
Tej : Lekin, use yaha laana? Use yaha kyu laaye tum Veer? Tumhe pata hai na ki cheezein kaisi hai. Tumhe pata hai na ki mein kaise mehsoos karti hu tumhare-
Kehte hue woh achanak hi ruk gayi. Use dhyaan aaya ki woh kya kuchh kehne jaa rahi thi.
Veer : Agar, mein use yaha nahi bhi laata toh kya aap unse milne nahi jaati?
Tej : M-Mein bhala kyu jaati uss se milne? M-Mujhe kaise pata hota ki woh yaha par hai?
Veer : Miss Suhana se toh aap mil hi aayi. Toh, fir inse milne me kya dikkat hoti aapko?
Sunte hi Tej jhep gayi. Veer ko pata tha? Use kaise pata chala? Usne dekha ki uska bhai kaise use dekh raha tha. Jaise maano usne koi chori ki ho. Aur, Tej ka dil ye dekhte hi andar se use kachotne laga.
Tej : V-Veer-! Veer aisa nahi hai. Haan mein gayi thi. Mein mili thi unse. L-Lekin, mein tumhe bataane waali thi. Mein tumse kuchh nahi chhipaati Veer.
Veer : Oh really? I see!
Magar, Veer ka ravaiyya use aur kasht pahucha gaya. Woh daud ke uski orr aayi aur uske galey se lag gayi.
Tej : Veeeeerrr!!! Meri baat maano!!! Mein kabhi jhooth nahi bolti hu tumse. M-Mein unse milne gayi thi mein maanti hu. L-Lekin, mein tumhe baad me bataane waali thi. Sab kuchh toh tumhare saamne rehta hai Veer. Maine kabhi tumse kuchh bhi nahi chhipaya hai.
Veer : It's okay, di! I trust you!
Tej : ...! I will never... I will never lie to you. So, please... Mat jao na! Mat jao! Tumhe inn sab me shaamil hone ki koi zaroorat nahi hai.
Veer : Teju di! Ye case sach me bada hai. Aap samajhti kyu nahi? Kitne log marr chuke hai. Unhe meri zaroorat hai. Baat ko samajhiye. Agar, Miss Divya ko meri zaroorat nahi hoti toh woh kabhi mujhse bolti hi nahi.
Ragini (stands up) : Toh tum hi kyu, Veer? Tum hi kyu? Tum koi police officer nahi ho, na hi tum koi detective ho ya koi hero. Kya woh tumhare bina ek case bhi solve nahi kar sakte? Kya unke paas ek dhang ki team bhi nahi hai ise solve karne ke liye? Jo tumhe inn sab me ghaseet rahe hai?
Akhir kaar Ragini ne Veer se baat ki. Woh ab aur bardaasht nahi kar sakti thi. Veer ne ek aah bhar apne baalo par haath fera aur bola.
Veer : Aisa nahi hai ki woh ise solve nahi kar sakte. Baat sirf itni hai ki Miss Divya ne meri madad pehle kaafi ki hai. Aur, agar mein ab unki madad karne ke liye apne haath khade kar dunga toh kya ye sahi hoga? Woh meri madad maangti hi nahi agar unhe meri zaroorat na hoti toh. Woh khud bahut capable hai.
Bhavna apni kursi par baithe apne bete ko dhyaan se dekh rahi thi. Kamre me gehri bechaini ko mehsoos karte hue, uski nazre Tej, Veer ar Ragini ke beech ghoomi.
Bhavna (calmly) : Beta-!!!
Veer : Hmm?
Bhavna : Kya tum sach me sure ho ki iss cheez me tumhara shaamil hona zaroori hai?
Veer aage badh apni maa ke paas ghutno ke bal baitha aur unka haath pakad thaamte hue bola.
Veer : Maa! Mein khud aap sab se door nahi jaana chaahta. Lekin, ye maamla... Ye zaroori hai. Aur, agar mein nahi gaya toh aur bhi nirdosh log maare jaa sakte hai. Agar, mere waha jaane se ye case jaldi solve ho sakta hai. Toh kya woh sahi nahi hai, maa?
Bhavna : Tum inn sab maamlo me kab se padne lage mere bete?
Veer (smiles) : Jab aap yaha thi bhi nahi tab se.
Aur, uske itna kehte hi waha ek gehri, bhaari khamoshi janm li. Bhavna ke mukh se kuchh na nikla. Veer ne bagal se baithi Shweta ko dekha jo kehna toh bahut kuchh chaahti thi magar keh nahi paa rahi thi. Uski orr aate hue Veer ne uske haatho ko bhi thaama.
Veer : Aur, Shweta maa aap bhi.
Shweta : H-Huhh???
Veer : Meri gair-haziri me aapko sabka dhyaan rakhna hoga. Khaas kar didi logo ka. Mujhe aap par bharosa hai.
Shweta maano ye sunn gadgad ho uthi. Use samajh nahi aa raha tha ki woh Veer ke iss bartaav se khush hoye ya fir uske jaane ki wajah se dukh zaahir kare.
Tej ne khud ko sthir rakhne ke liye apni mutthiyaan bheenchi, woh hamesha inn palo se darti thi. Veer ke door jaana ka bas khayaal, use kuchh ho jaaye uska dar, Tej ke badan me sihran dauda jaata tha. Woh cheekhna chaahti thi, uss se na jaane ki vinti karna chaahti thi, lekin woh Veer ko bahut achhi tarah se bhi jaanti thi. Ek baar mann bana lene ke baad woh apni zimmedariyo ko chhorne waalo me se nahi tha.
Tej (yells) : Tumne kaha tha ki China se aane ke baad tum humaare saath rahoge, time spend karoge. Tumne kaha tha, Veer!!! *shivers* Tumne promise kiya tha ki tum dobaara aisa nahi karoge kabhi-!!!
Veer (softly) : Mein humesha ke liye nahi jaa raha hu, Teju di.
Tej (yells) : Yarnia ka kya??? Sab kuchh kaun sambhalega? Tumne iss par kitni mehnat ki hai-
Veer : Mujhse zyada mehnat aapne ki hai. Aur, isliye uski zimmedari mein aap sab ke upar chhorta hu. Lekin, mein promise karta hu, opening ceremony ki raat... Mein waha aap sab ke saamne maujood rahunga.
Tej : Veer, tum nahi jaa sakte!!!
Veer : Aap aur Ragini Bhabhi-!!! Aap dono hi meri madad karogi. Iske pehle bhi aap dono ne business ko achhi tarah se sambhaala hai. Mujhe aap pe poora bharosa hai.
Ragini : Mein jaanti hu ki tum kitne ziddi ho.
Veer : *smiles*
Ragini : Toh mein tumhe rokungi nahi. Kyunki, uska koi faayda nahi. Hum toh yaha cheezein sambhaal lenge. Lekin, tumhara kya? Agar, tum samay par waapas nahi aaye tab kya? Agar, tumhe waha kuchh ho gaya toh?
Veer : Mujhe waha kuchh nahi hoga. Aur, iss baar mein aap sab ke contact me rahunga. *smiles* Mein phone karunga. Mein apni situation ke baare me aap sab ko update karta rahunga. Mein pehle ki tarah gaayab nahi ho raha.
Ragini kuchh pal shaant rahi. Zaahir hai woh bhi Veer ko jaane nahi dena chaahti thi. Lekin, uske kehne se Veer rukne waala nahi tha, ye baat woh bhali bhaanti jaanti thi.
Ragini (nods) : Behtar hoga fir ki tum apni baat par khade utro.
Antatah Bhavna ne Veer ko dekha, uska shaant bhaav sthir tha lekin uski awaaz me ek maa ki chinta jhalak rahi thi.
Bhavna : Bas ye sunishchit karna ki tum... Tum sahi salaamat laut ke aao. Chaahe kuchh bhi ho jaaye.
Veer (smiles) : Mein sirf waha pe apni observational skills ke liye jaa raha hu, maa. Mein waha kisi se ladne nahi jaa raha. Mein waha sirf analysis karunga.
Bhavna : Fir bhi-
Veer (nods) : Don't worry. I'll be fine.
Tej apne nichle honth ko daanto tale bheenchte hue mudi aur boli.
Tej : Th-Theek hai! Tumhe jo karna hai wo karo, Veer. Koi tumhe nahi rokega. Mein bhi nahi. B-Bye-!!!
Kehte hue woh waha se seedhe apne kamre ki orr bhaag gayi. Uski awaaz ruwaasi thi.
Veer : Teju diii-!!! Suniyeee!!!!
Magar, wo na ruki. Aur, isi tarah aaj ki ye raat yuhi beet gayi. Subah-subah 6:45 pe Veer Pune jaane ke liye taiyaar tha. Bhavna samet sabhi jaag chuki thi siwae Tej, Bhumika aur Sonali ke.
Bhumika aur Sonali ko toh ye baat pata bhi nahi thi. Isliye, woh dono hi chenn ki neend so rahi thi. Veer ne apni car nikaali aur woh ghar se vida lene ke liye taiyaar tha.
Kisi ne kuchh na kaha. Par, sabka dil bhaari tha. Veer ne baari-baari sabhi ko galey se lagaaya. Bhavna ne uske maathe ko chooma toh Shweta ne uske gaalo ko. Lekin, dono hi shaant khadi rahi, aankhon me ek gehri chinta jise koi bhi samajh na paaya.
Dekhte hi dekhte Veer unki aankhon se ojhal ho gaya. Kuchh baatein aur hui maa bete ke beech me par Veer ka khud ka jiya itna bechain tha ki usne inn anubhutiyo ko mann se nikaal diya.
***
Hotel Serenity, Mumbai,
Morning - 7:01 AM ~
Veer ne apni car hotel ki building ke entrance gate ke theek baahar laga rakhi thi. Usne apni ghadi par nazar daali — Divya ko ab kisi bhi samay baahar aa jaana chaahiye tha. Uski ungliyaan steering wheel par intezar me thap-thapa rahi thi aur woh Pune me aage kya hoga, iss vichaar me khoya hua tha. Maamla behad kroor tha, kaam khatarnaak tha, lekin inme se kisi ne bhi use utna chintit nahi kiya jitna ki uske khud ke daayre me rahi cheezon ne use kiya — Uske rishte, uska daayitva, aur uski zimmedariyaan.
Woh abhi baitha hi tha jab achanak hi hotel ka glass door khula aur uski drishti ek bemisaal khubsoorti par padi.
Ava-!!!
'Huh? Ava yaha-!?'
Use dekh, Veer ko apni chhaathi me ek parichit khhichaav mehsoos hua. Woh tip-top taiyaar hoke baahar nikli thi. Chalte hue woh seedhe Veer ke nazdeek aayi aur pal bhar ke liye Veer aur Ava dono ki hi saansein ek dusre ko dekh tez ho gayi. Dono ke beech ek chumbakeeya khhichaav tha.
Veer : Ava-!?
Ava (nods) : Mein bhi saath chal rahi hu.
Veer : Wait! What? Tumhe kaise pata chala ki mein yaha aa raha hu?
[Death Flag Master. Ava ne aap pe Death Flag laga rakha hai. Yahi kaaran hai ki woh hume China me kyu dhoondh paayi thi.]
'Ah, right! Fuck! Mein bhool hi gaya tha.'
Ava : V-Veer-!!! Death Flag mujhe sab bataati hai. Tum kaha ho, kidhar jaa rahe ho, sab kuchh.
Usne ye thoda hich-kichaate hue kaha. Woh Veer ke response ko dekhna chaah rahi thi. Kintu, Veer ne badle me kuchh na kaha. Usne bas apna sarr hila diya. Aur, bechari Ava ye dekh aur bhi bechain ho uthi. Kya Veer ko ye pasand nahi tha? Kahi woh uncomfortable toh nahi mehsoos kar raha tha? Woh kuchh samajh nahi paa rahi thi.
Veer : Toh? Tum yaha?
Ava : Mein bhi aa rahi hu. Tumhare saath!
Veer : Mere saath? Kaha?
Ava : Pune!!
Veer : ??? Tumhe kaise-???
Ava : Mujhe bhi mission mila hai, Veer.
Veer : ....
Use samajh aaya ki use mission toh mila tha lekin, saath hi Ava ko bhi iss case se sambandhit mission praapt ho chuka tha.
Veer : Waise, mujhe poochhna toh nahi chahiye-
Ava : Mujhe mission tumhe assist karne ka mila hai, Veer.
Iske pehle ki woh sawaal kar paata, Ava ne swayam hi sab kuchh saaf-saaf use bata diya. Aur, Veer bas thoda hairat me reh gaya.
Ava (gently) : You're gonna need some help.
Kuchh der vichaar kar Veer ne haami bhar di aur achanak hi hotel ke glass doors punah khule aur Divya baahar nikli. Uska professional demeanor har baar ki tarah aaj bhi sharp hi tha. Kintu, Veer ko jo chinta sata rahi thi woh thi — Kya Ava aur Divya ka ek saath hona theek tha?
Divya jaise hi unke paas aayi, Ava ko dekhte hi uski bauhe sikud gayi.
Divya (frowns) : Ava!? Tum yaha kya kar rahi ho?
Uski awaaz teekhi thi, spasht roop se sandeh se bhari hui. Aur, ye Ava ne bhi mehsoos kiya. Lekin, usne koi jawab na diya. Uski aankhein Divya se Veer ki orr ghoomi. Usne intezar kiya aur Veer ko jawab dene diya.
Veer : Ava humaare saath aa rahi hai.
Divya : What??? Veer?? Ye sab kya hai? Ye tay nahi hua tha humaare beech kal. Aur, waise bhi Ava ka iss case se kya lena dena? Why the hell is she even here?
Veer : Ava ko kuchh kaam hai waha. Plus, she have some contacts. Not to mention ki woh ek bahut badi celebrity aur singer bhi hai. A perfect candidate for a distraction, if needed...!
Divya : Tch! Fir bhi, Veer! Hum iss par raazi nahi hue the. Mein tumhare liye cover kar sakti hu but ek aur person ke liye-
Veer : Tumhe kuchh bhi karne ki zaroorat nahi, Divya. Ava bas door se hi assist karegi. She won't interfere. Trust me!
Divya : Bhulo nahi Veer ki France me... France me zaroor isne hi kuchh karwaya tha jis chakkar me tum fasey the. I'm sure of it.
Ava 'France' ka naam sunte hi jhep gayi. Usne apni bhavnao ko ek udaseen mukhaute ke peechhe chhipa liya. Divya humesha se hi perceptive thi aur uska sandeh jaayaz tha.
Ateet me Ava ki betrayal ne ek ghaav chhor diya tha, jise woh theek karne ke liye betaab thi, lekin woh iska zikr nahi kar sakti thi — yaha nahi, Divya ke saamne nahi.
Veer ne ek pal ke liye apna maatha ragadte hue ek aah bhari.
Veer : Pehle car me baitho sab. Yaha se toh nikle. Uske baad discuss kar lenge.
Divya ne apni bauhe upar uthayi, spasht roop se woh aashvast nahi thi, lekin aage behas karne se bhi koi faayda nahi tha.
Divya (mutters) : Fine! But keep an eye on her. I don't want any surprises.
Jaise hi woh aage ki seat par Veer ke bagal se baithi, Ava peechhe ki seat par virajman ho gayi. Veer ne rear view mirror ke madhyam se Ava par nazar daali, aur unki aankhein shan bhar ke liye mili — kuchh ankahe shabd jo Ava ki aankhein darsha rahi thi.
Aur, sabhi ke approval ke baad Veer ne car start kar waha se badha di.
***
Jaise-jaise car maarg par daudati gayi, Mumbai ke hal-chal bhare sheher ko chhor Pune ki orr badhti gayi. Oonchi-oonchi gagan-chumbi imaaratein aur yatayat ke nirantar shor se dheere-dheere grameen drishya, khet aur hariyali saamne aane lagi.
Veer ne Pune me Madhuri ke pita ke case ke baare me sochte hue apni aankhein aage sadak par rakhi, halanki car me tanaav spasht tha.
Ava ki chuppi bhaari thi, lekin beech-beech me Veer rear view mirror me use apni orr dekhta paa ke pakad leta aur Ava turant hi apni nazre ferr leti.
Aur, dekhte hi dekhte woh Pune ke sheher me apni dastak de chuke the.
Veer : Toh? Kaha chalna hai pehle?
Divya : Police station! Inspector Trisha ne apni orr se inform kar hi diya hoga lekin, ek baar hume apni presence waha deni padegi. Agar, approval mil jayega toh badhiya hoga.
Veer (nods) : Alright!
Veer ne gaadi seedhe waha ke apradh sthal ke sabse paas waale thaane ki orr ghuma di. Jab woh sab waha pahuche toh Divya ko saari formalities karne me hi ek ghanta lag gaya. Woh thaki-thaki si baahar aayi.
Divya (sighs) : Finally! Let's go! Hume permision mil gayi hai.
Veer : Toh hum murder waali jagah par chal rahe hai?
Divya (nods) : Haan! Maybe hume waha kuchh aisa mil jaaye jo shayad police ki taraf se chhoot gaya ho? Then, hum victim ke parivar jano se milne jayenge. Unhone wo area khaali kar diya hai. Woh abhi kaha reh rahe hai iski details bhi leli hai maine.
Veer : Alright!
Jab Veer aur baaki sab apradh sthal par pahuche, toh use pichli baar se ek alag hi tasveer dekhne ko mili. Television par drishya kuchh aur hi the. Yaha keechad tha, bheedam bhaad thi, aur sab ast-vyast tha. Magar, ab malba hata diya gaya tha, koi bheed-bhaad nahi thi aur woh bina kisi samasya ke gali me apni gaadi park kar diya.
Kintu, ghar ke nazdeek aate hi uski naak sikudi aur use pata chala ki ek bheeshan durgandh abhi bhi kayam thi.
Divya : It stinks-!! Ugh-!!!
Veer : Yeah! Ye gandh lekin wo nahi hai.
Divya : Right! Also, behtar hoga ki hum nasamajh padosiyo ka dhyaan khichne se pehle hi talaashi lele.
Divya ne aas-paas nazre maarte hue kaha. Veer ne bhi nazre daudayi toh dekha ki kuch khidkiyo ke parde khul rahe the aur andar se kuch jigyasu chehre kaanch ke uss orr se unhe hi ghoor rahe the.
Veer : I still don't think ki hume yaha talashi lene ki koi zaroorat hai. Experts ne already achhe se kaam kiya hoga. Dekh ke lag nahi raha ki kuch milega yaha. Police force guard dogs ko bhi laayi hi hogi.
Veer janta tha ki agar iske peechhe kisi system holder ke hone ke chances the, toh woh itni asani se saboot nahi chorrne waala tha.
Ava : Agar experts ne investigation kar li hai toh zaroor unhe kuch findings mili hongi. Kya hum directly unn findings ko nahi dekh sakte?
Ava ne apna sujhaav diya. Aur, uska sujhaav logical bhi tha. Magar, cheezein itni asaan kaha hoti thi. Divya ne halka sa mudte hue apne kandhe ke upar se peeche khadi Ava ko dekha aur boli,
Divya : Aisa nahi hota. Jo bhi findings yaha se mili hongi, unhe already investigation ke liye bhej diya gaya hoga. Findings jo dhoondhte hai woh alag hote hai, aur findings ki jo jaanch karte hai woh alag. Itni jaldi woh hume ye sab nahi de sakte. After all, hum baahri vyakti hai unke liye. Uske liye hume thoda intezar karna hoga.
Ava : Aisa lag raha hai jaise unhe hum par ya kisi cheez par bharosa nahi hai.
Divya (sighs) : It's not their fault. Har desh yahi karta hai. Inspector Trisha ki tactic bhi mein jaanti hu. Usne hume yaha jaan boojh ke bheja hai taaki hum case se door reh sake. Lekin, sirf tumhare ishaare par mein maan gayi thi, Veer.
Veer : Well, dekhte hai kya hota hai. By the way, Ava…!
Veer ke turant pukarne par Ava jaise uska ishaara samajh gayi. Woh haami bharte hue boli.
Ava : Mein baahar east aur west ends tak check karke aati hu.
Veer : Ek quick 360° kar lena.
Ava (nods) : Alright!
Aur, itna bol woh nikal gayi.
Divya : Kya Ava ka baahar bhejna sahi hai?
Veer : Woh mask pehne hue hai. Use koi nahi pehchaanega. Aur, tum toh yahi chaahti thi na ki Ava case me dakhal na de?
Divya : Haan, lekin-! Nahi! Leave it!
Woh baahar ki haalat ka jayza le rahi thi. Aur, ab Ava ke jaane ke baad Veer aur Divya hi uss sthal par akele maujood the.
Veer ne dekha ki kaise Divya koshish kar rahi thi ki kahi se bhi kuchh mil jaaye. Magar, experts dwara sab kuch saaf kar diya gaya tha.
Woh toh bas isliye iss case me shamil tha kyuki inn sab ke peeche koi system holder ho sakta tha aur use iska mission bhi mila hua tha. Bas isliye woh bas uss saboot ki talash me tha jis se ye satya saabit ho sake ki iske peeche koi system holder tha ya nahi?
Warna, agar isko anjaam dene waala ek aam serial killer nikla toh Veer iss case me se khud ko peechhe kheech lene wala tha. Uske paas inn sab ka samay nahi tha. Inn sab ke liye police thi. Uska target maatra system holders hi the. Khatra unse hi tha.
Veer ko tabhi dhyaan aaya ki woh aur Divya akele the. Divya ki thirakti gaand uske saamne hi thi. Ek masti ka mood uska achanak hi bann gaya.
Woh chanchal swar me ek sujhaav lete hue poochha?
Veer (smiles) : Kya tumhari nigrani bhi rakhne ki zaroorat hai mujhe?
Divya (grins) : Kyu nahi? Agar tum meri rakhoge toh mein tumhari rakhungi.
Veer (smiles) : Toh ye toh achha hai na? Mein taiyaar hu. Bolo?
Woh muskurayi aur unke beech ki doori ko kam kar uske nazdeek aayi.
Divya : Be careful, Veer! Tum ek shadi shuda aurat ko woh ideas de rahe ho jo uske mann me kabhi nahi aane chahiye.
Veer : Jaise ki-!?
Veer bhi badle me bas muskuraya. Divya ke saath chedh-chadh karne me use ek alag hi maza aata tha. Shayad, Divya uski har harqat ko bardasht kar leti thi ye ek kaaran tha. Ya fir Divya ke badan ko paane me wo qamyab ho jaata tha ye ek kaaran tha. Ya fir, Divya swayam se hi yahi chaahti thi.
Divya lohe ki seedhiyo se hote hue upar ko chadh gayi aur andar ghar me talashi lene lagi. Toh wahi Veer upar jaane se pehle ek pal ke liye apni nigaahein neeche hi tikne diya. Abhi jaha woh khada tha, shav uss se 4 qadam ki duri par uss din mila tha. Zameen par peeli aur bejaan padi laash ki yaaddasht ne Veer ko rok diya. TV par toh chehra blur kar diya gaya tha magar shareer ko usne dekha tha.
Concrete par gehre bhoore rang ke dhabbo ne Veer ka dhyaan kheencha. Ye Prabhakar ke khoon ke avshesh the. Uske alawa use aur kuch nazar nahi aaya. Yaha tak ki ghaas-poos bhi saaf kar di gayi thi.
Woh khade hoke upar Divya ke sang jaanch me shamil hone hi waala tha ki ek dhundhli chamak uski aankhon me padi. Bauhe sikodte hue usne apni jeb se Divya dwara diya gaya ek latex ka dastana nikaala aur ek haath me pehen liya.
Zameen ke beech me mitti aur malbe me ek chhoti si pin dabi hui use nazar aayi. Veer ne use uthaya aur uth ke thoda aage aaya.
'Check'
*Ding*
[Description : A blood lancet. Not usable now.]
Use check karte hi Veer ko samajh aa gaya ki ye kya thi. Ye woh pin thi jise aksar blood test ke liye istemal kiya jaata tha. Neele rang ki casing me dhasi hui ek lancet blood needle.
Magar, ise istemal nahi kiya gaya tha. Isme khoon ke avshesh nahi the. Lag raha tha jaise kisi ne perro se isko ek do baar kuchla ho.
[Ek used blood lancet, Master. Ise kaafi pehle istemal kiya gaya hai. Warna, system aapko aur zyada information deta iske baare me.]
'Par, sawaal wo nahi hai, Pari. Ye pin akhir yaha kar kya rahi hai?'
[Kahi se aa gayi hogi maybe? Kyunki, bahut si aisi chhoti-chhoti cheezein aksar hawa ya paani ke bahaav se ya jaise-taise kisi na kisi prakaar se idhar-udhar ho hi jaati hai.]
'Maybe!?'
Divya jab andar se neeche ki orr aayi toh Veer ne use woh blood lancet dikhayi.
Divya : Hmm! Strange! Ek blood lancet yaha kya kar rahi hai?
Veer : Uss se zyada ajeeb ye hai ki police ne ise dhoondha nahi?
Divya : Shayad ye unrelated ho. I mean... Yuhi padi ho. Yaha bahut kuchh pada hua hai waise bhi, Veer. Look! Ab aise dekhe toh yaha pe bahut si cheezein logical nahi lagengi.
Veer : Yeah! Still... Mein ise apne paas rakhta hu.
Divya (nods) : Hmm!
*Whoooosh*
Aur, Ava bhi kisi hawa ke jhonke ki tarah waha achanak prakat ho gayi.
Veer : Kuchh mila?
Ava : Nahi!
Divya : Huh? Tum kab aayi? Tumne itni jaldi area scan bhi kar liya?
Ava : Yes!
Divya (frowns) : Let's leave, Veer. Yaha kuchh nahi hai. Hum victim ke parivar jann se milne chal rahe hai.
Veer : Hmm!
Veer aur woh sab Madhuri ke naye nivaas ki orr badh gaye. Prabhakar ke puraane ghar se unhe koi suraag praapt nahi hua tha. Aur, jaise-jaise ye case ulajhta jaa raha tha, Veer ko mann me Garofano ki kahi gayi woh baat baar-baar yaad aa rahi thi.
'System holder...!'
[Alert rahiye, Master. Iske peechhe ek system holder ke hone ke chances mujhe 80% lag rahe hai.]
'Yeah! I've got the same feeling too.'
Kuchh hi der ki traveling ke baad akhir kaar woh Madhuri ke thehraav waale sthaan par pahuch hi gaye.
Ye ek prakar ka guest house tha jo sarkaar ne filhaal ke liye Madhuri aur uski maa ke liye rent-free niyukt kiya tha.
Par, yaha aate hi Veer ki nazar baahar khade jis shaks par pehle padi, use dekh woh taajub me reh gaya. Aur, Veer hi nahi woh shaks bhi Veer ko dekh bhauchakka reh gaya.
Veer : Tum-!???
Saamne koi aur nahi — Pranjal tha. Jisne Veer ko mask pehna dekh ke bhi pehchaan liya.
Pranjal : Huh??? V-Veer?? Tum-!!!?
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys.
This update consists of 7.3k words. I know thoda chhota hai but mein bahut busy tha. Ghar par kaam laga hua hai, toh kaafi exhausted tha. Serial murder case ka abhi part 3 aur aayega. Ye segment teen se chaar part me divided hai. Lekin, parallel me hum thode aur alag scenes bhi dekhenge bahut jald. Kuchh Mumbai ke - Kaera, Sonia se related toh kuchh foreign ki activities. Baaki, Target apna wahi hai - 200! Toh likes thokne ka aur revos rakhna ka.
Dhanyavad.
Awesome update bhaiUpdate - 188 ~ Serial Murder Case (2)

Super update BhaiUpdate - 188 ~ Serial Murder Case (2)