- 8,129
- 12,283
- 189
Saari cheezein khareedne k baad main aur Tipu train chalne se pehle pehle wapas train mein aa gaye aur apne apne burger khaane lage.
Zaib: “Sajid bhai aap sar dard ki goli laae.?” Us ne poocha.
Main: “Ooohhhh shit, goli laana to bhool hi gaya, abhi laata hoon.” Main ne kaha.
Ye keh kar main ne apne haath mein mojood burger ko seat pe rakhe houy kaaghaz pe rakha aur seat se uth kar kharra ho gaya.
Ph. Zohra: “Sajid train chalne wali hogi, tum next station se le lena.” Unhon ne kaha.
Main: “Shop ziyada door nahi hai, main bas abhi aaya.” Main ne chuttki bajaate houy kaha.
Ye keh kar main train se utar kar platform par aaya aur ussi shop k taraf bhaagne laga jahan se main ne chips and nimko waghera khareede thy.
Main: “Bhai jaldi se sar dard ki do goliyan de dein.” Main ne dukaan daar ko pese dete houy us se kaha.
Dukaan daar ne mere haath se pese le kar cash box main rakhe aur goli lene k liye aik taraf chal diya… abhi wo goli lene gaya hi tha k itne mein train ne horn bajaaya.
Main: “Bhai thorra jaldi karo train jaane wali hai.” Main ne kaha.
Meri baat sunn kar dukaan daar ne jaldi se sar dard ki goliyan nuthaaein aur us mein se do goliyan kaat kar mujhe de deien.
Main: “Keep the change: “Main ne kaha.
Ye keh kar main dukaan se bahar aaya aur main ne dorr laga di koun k train ne dheere dheere raftaar pakarrni shuru kar di thi… main logon k darmiyan se bachta bachaata apni bogie ki taraf bhaag raha tha jab k train dheere dheere raftaar pakarrti ja rahi thi.
Train ko raftaar pakarrte dekh kar main ne bhi taizi se bhaagna shuru kar diya aur jaise hi mein apni bogie k kareeb pohancha to ussi waqt bogie k darwaze par Zaib aa k kharri ho gayi.
Zaib: “Sajid bhai jaldi aaein.” Us ne mujhe daewaze ki taraf bhaagte houy dekha to unchi aawaz mein kaha.
Ye keh kar Zaib ne apna haath train se bahar nikaala aur meri taraf barrha diya ta k main us ka haath pakarr k train pe charr jaaun.
Train mere bhaagne ki raftaar se ziyada taiz chal rahi thi to main ne Zaib k barrhe haath ko dekha aur lambe lambe qadam bharrta hua bhaagne laga.
Zaib: “Sajid bhai jaldi se mera haath pakrre.” Main ne kaha.
Main: “Theek hai.” Main ne kaha.
Zaib: “Apna haath aage barrhaaein main aap ko upar khaich loongi.” Us ne kaha.
Main: “Aeisa lag raha hai DDLJ (Dilwale Dulhaniya Le Jaaeinge) ka scene ulta ho gaya hai.” Main ne bhaagte houy kaha.
Ye keh kar main ne Zaib ka haath pakarrne k liye apna haath aage barrha diya, ab mere aur Zaib k haath k darmiyan thorra sa faasla tha.