Kuch hadsey insaan ko bana detay hain gira detay yah insaan pe depend karta hain ki apney handicap ko as challenge le ya phir usko as a excuse le. Jaisa Dhurv ne kia woh bhi toot sakta thaa magar dhairya se usne apne aapko mazboot kia aur na sirf khada hua balki purey parivaar ko lekar khada ho gaya magar kuch ke liye kuch khona padta hain aur Dhurv ne kho diya apna nature apni zindagi apna life style magar deepak bhi wohi hota hain jo khud jal kar rah rishan kar de."badhai ho,dhruv pagal ho gaya, anuradha raaste se hat gayi.vishal divorce ke sadne me hai ,krish drugs addicted hai aur baaki avinash ka dil toota hua hai"Neeraj grover bola
"Sab kuch planned hai Neeraj tum sirf wo karo jo mai kehta hoon"doosri aur se awaaz aayi
"Sahi hai"bol phone rakh diya Neeraj grover ne.lekin chehre par aayi smile ko rok nahi sake.unhone bell bajakar peon ko bulaya
"Sir"
"Please call vivaan in my cabin urgently"Neeraj grover bole
Vivaan ke aate hi gale laga liya Neeraj grover ne
"Beta saare staff ke liye grand party ka arrangement karo"Neeraj grover haste hue bole
"Aapki tabiyat to thik hai,staff ke liye party??aur aap??"vivaan bola
"Ha ha ha haan bhai.bohut jald Rudra group grovers ke saath merge hone wala hai"neeraj bola
"Papa lekin nivedita abhi bhi sadme me hai"vivaan bola
"Are chodo use hum mana lenge,tum bas party ka bandobast karo beta"Neeraj bola
Vivaan nikal gaya room se aur Neeraj grover jald ek peg panaya aur glass ko hawa me uthakar bola
"Ye jaam Rudra group ke barbaadi ke naam"
-------------------------------------------------------------------------------
HOSPITAL ME
"Bhaiyya mummy,mumm kidhar hai"dhruv ne vishal se poochha
Vishal pathar ki tarah bench par baitha hua tha.haath me kuch papers the
"Bhaiyya??"dhruv ne fir poochha
"Your mom is here "ek nurse boli
Aur dhruv bhaagte hue pohunch gaya
Anuradha leti hui thi.aankhen bandh thi.ye dekh dhruv roye ja raha tha
"Dhruv beta??"anuradha boli
"Maa....te sab kaise hua maa"dhruv dahad dahad kar rone laga
"Sab upar waale ki marzi beta,ro mat beta ro mat
Ab dhyan se sun.ye company doob rahi hai mere bacche, parivar bikhar raha hai.....tujhe sab thik karna hai mere bachhe thik karega na,...bol thik karega na??"anuradha boli
Dhruv sirf roye ja raha tha
"Dekh ye saare staff kaise dare hue hai beta,inki naukri jaayegi,aisa mat hone dena beta,is company ko sambhalna,apne bhaiyon ko sambhalna.ek leader banna"anuradha boli
"Bol na beta,mera raja beta.dhruv taare ki tarah sabko raah dikhayega na??"anuradha fir boli
"H haan maan"dhruv bola
"Ab mai chain se ja sakti hoon"anuradha boli aur aankhen moond li
Dhruv bohut der tak roya fir chup ho gaya.aur khada ho gaya.
Saare staff use dekh rahe the,dare hue the.sahme hue the.
Dhruv chup ho gaya tha.poora chup.chupchap baahar aaya
Bahar aate hi usne nivedita se baat ki
"Bhabhi please ek baar aur soch lijiye"dhruv bola
"Ab tu mujhe sikhayega kya karna hai kya nahi??"nivedita boli
"Please bhabhi"dhruv bola aur nivedita se minnate karne laga
"Dhruv faisla ho gaya hai,divorce"bol jaane lagi nivedita
Dhruv ne peecha se haath pakad liya nivedita ka
"How dare you"
CHATAAAK
ek zordaar thappad pada dhruv ko, nivedita chali gayi
Dhruv vishal ke paas aaya aur bola
"Aapko mujhe power of attorney Dena hoga bhaiyya"
Vishal majboor hokar dekhne laga dhruv ko.lekin is chehre me koi dukh nahi tha.sirf ek confidence tha
"Thik hai papers mangwa le."vishal bola
"Lekin sir abhi madam expire hui hai abhi kya ye sahi rahega??"ek senior director bola
"Jitna bola hai utna kijiye,mujhe poora time table chahiye bhaiyya ka aur mummy ka,poora meeting schedule,deals aur contracts ka"dhruv bola
"Right sir"khush hokar ek director bola
"Aur haan get me a full set of suits, mujhe dress change karna hai,saare units par video conference lagwa do aur announce karo unka naya chairman kuch message dene wala hai"dhruv bola
Saare staff ko yakeen nahi ho raha tha dhruv ke command par.jo ladka masti mazaak me zindagi jeene wala insaan tha ,kya ye Wahi dhruv hai???
"Kya hua??sunai nahi diya??"dhruv bola
Sab daudte hue kaam par lag gaye
Wo dhruv ki khushiyon ka akhiri din tha.us din ke baad t shirt,jeans to usne kabhi dekha tak nahi.hamesha formals me rehta tha.
Apni energy, decision,staff welfare aur strategy ke wajah se Rudra group bach gaya merge hone se.
Lekin dhruv kahan rukne wala tha
Usne Rudra group ka naksha hi badal diya tha.aur market ke top me rehne wale Grover's ko top position se hatakar Rudra group ko number one spot me le aaya,
Itna hi nahi krish ko drugs se nikal rehab me le gaya aur uski treatment karwai.khud milta raha isse aur uski progress check karta raha
Meri nivedita ke saath divorce ke baad mujhe depression se nikala
Avinash ko zimmedari di
Aur khud lag gaya Rudra group ko aur mazboot karne me.
Lekin ye sab karne ke chakkar me dhruv kahin kho sa gaya.uski hasi,uska paagal pan,uski maasomiyat ab kabhi kabhar smile kar deta hai,gussa pee jata hai aur saara din akele guzarta hai.
------------------------------------------------------------------------------
"Mr vishal kuch papers par sign karne hai"ek nurse ne sabko present me lagakar khada kar diya
Sabke aankhon me aansu the.
""Dhruv ko hosh aaya??"vishal ne poochha
"Nahi vishal sahab,uparwale de dua kijiye bas"bol doctor chala gaya.saath hi vishal bhi doctor ke saath chala gaya
Sharon daudte hue nikal gayi.aur hospital.se baahar car lekar nikal gayi.kuch der baad ek mandir me aayi
"Aur kya chahiye aapko bhagwan??meri zindagi ko tabah kiya mai chup rahi,wo darinda mere jism se khelta raha mai chup rahi,ab kisi ko meri zindagi me bheja to uski ye haal kar di??kyun??kya chahiye aapko??ki mai aapke saamne haath jod bheek maangu??to thik hai bheek maangti hoon aapse mere dhruv ko thik kar do please"bol apne dono haath bhagwan ke saamne failati hai sharon aur rone lagati hai.
Rote rote behosh ho jaati hai
Sahi hai bro.lekin jiske paas khone ko kuch na ho.wo kisi vaade ko poora karne ke liye jee jaan laga dete haiKuch hadsey insaan ko bana detay hain gira detay yah insaan pe depend karta hain ki apney handicap ko as challenge le ya phir usko as a excuse le. Jaisa Dhurv ne kia woh bhi toot sakta thaa magar dhairya se usne apne aapko mazboot kia aur na sirf khada hua balki purey parivaar ko lekar khada ho gaya magar kuch ke liye kuch khona padta hain aur Dhurv ne kho diya apna nature apni zindagi apna life style magar deepak bhi wohi hota hain jo khud jal kar rah rishan kar de.
Thanks bro.ye ek message hai ki agar aapke paas sab kuch khatam bhi ho gaya to bhi aap zero se start kar sakte hainDhruv ki life to bohot inspirational hai. Very inspirational update bhai.
Eik ghalat fahmi insan ko janwar bana deti hai. Jaha dhurv ne apno mausi ki maut se apne ko sambhala wahi karan ne apne ko badle ko aag me jala dala jo ki ek do dhari talwar ka kaam karti hain doosre ke sath khud ko bhi jala deti hai aur phir jab hosh aata hai to sab kuch swaha swaha ho jata hain.ankhen kholi sharon ne
Hospital me thi wo
"Mandir me behosh mili thi aap"nurse ne muskurate hue kaha
'"d dhruv... dhruv???"nurse ki aur dekhkar chillai sharon
" Lagta hai aap ke pati hai,wo to abhi thik hai,der raat ko hosh aaya unhe,khatre ki koi baat nahi"nurse boli
"Kahan hai abhi wo??"doosre room me hai
Smile ke saath sharon doosre kamre me daud gayi aur expression pehle khushi ki hui,fir hairani ki aur fir dheere dheere gusse me badalne lagi.kyun???
Saamne dhruv laptop liye anil se video conference me tha
"Anil bhaiyya bohut late ho raha hai"dhruv bola
"Dhruv tum abhi tak thik nahi hue ho,rest karo thoda,fir dekhenge"anil bola
"Nahi anil bhaiya.r group kabhi date ke peecha back up nahi karta,aaj hi discharge lekar ghar jaunga,kal press conference bulaiyye,aur ek grand reception ka arrangement kijiye,aapko pura samjha dunga aaj Shaam ko"dhruv bola
"Ok dhruv,tumhe pata hai kya karna hai,chalo tc bye.waise vishal chala gaya??"anil ne poochha
"Haan bhaiya ko zabardasti maine hi bhijwaya,wahan ka business affected ho raha tha bhaiyya,chaliye bye"bol dhruv ne laptop band kiya aur laptop ko rakhte hi jaise muda sharon ka gusse se bhara chehra dekh kar nazrein jhuka kar baith gaya
"Ho gaya ??"sharon ne taana maarkar poocha
"Tumhari tabiyat kaisi hai sharon??"dhruv ne poocha
"Behosh hui thi bas,tum ICU me the damn it,itni laparwahi kyun dhruv??apne health ke saath itna torcher???"sharon boli
"Jyada kuch nahi hua sharon"dhruv ne apne Wahi smile ke saath jawab diya
"Wahi smile,Wahi smile de doge aur mujhe chup kara doge"sharon boli aur ghoom kar baith gayi
"Arey nahi sharon,waise gusse me tum bohut ...a ...cute lagti ho"dhruv bola
"Wah tumhe tareef bhi karni aati hai,apni ex girlfriend neha ki aise hi tareef karte the??"sharon ne muskurate hue kaha
Neha ka naam aate hi dhruv ki smile gayab ho gayi aur wo hospital ke is kamre ki khidki se bahar dekhne laga
"Sorry dhruv mere matlab tumhe hurt karne ka nahi tha"sharon ne paas aakar dhruv ke kandhe par haath rakhkar kaha
"Tumhe sab pata chal gaya??"dhruv ne poochha
"Haan??"sharon ne kaha
"Kya tum mujhe kaatil maanti ho sharon "dhruv ne bhavuk hokar sharon ki aur dekha
"Nahi dhruv,tum kaatil nahi ho,pata hai maine bhi shayad itna nahi saha hai jitna ki tumne,bohut strong ho yaar tum,shayad isliye bhagwan ne tumhe mujhe diya"bol sharon dhruv ke gale lag gayi
"Waise tumhare kandhe par ye gulab ka tattoo tha,ab ye chota sa star kyun??"dhruv ne poochha
"Kyunki ek star meri zindagi me aaya hai,hamesha ke liye"smile ke saath sharon ne dhruv se kaha aur fir dhruv ne sharon ko gale laga liya
"But iska matlab ye nahi ki tum apni manmani karo,aaj se tumhara health manager mai hoon"sharon ne itrate hue kaha
Dhruv fir muskuraya,ladki sachmuch paagal hai.kabhi socha bhi nahi tha dhruv ne ki aisi koi ladki aayegi aur uska jeevan badal degi
Tabhi ek knock hui darwaze par
"Love birds ko disturb to nahi kiya na??"riya muskurate hue ander aayi
Dono riya ko dekh chaunk gaye
"Are relax baba,mai ye batane aayi thi ki dhruv aur meri shaadi,bhaiyya ne pakki kar di"riya boli
Dono shocked ho gaye pathar ki tarah
"Daro mat, bhaiyya se maine na bol diya"riya boli
"Thanks riya it means a lot"Sharon boli
Riya muskurai
"Pata hai sharon mujhe lagta tha ki tujh jaisi attitude aur ghamandi ladki ko kabhi bhi acha ladka nahi milega,lekin dekho aaj tumhari jholi khushiyon se bhari hui hai ,aur meri......khair thanks aur shukriya dene ki zaroorat nahi hai,ye sab maine tum dono ke liye nahi kiya"riya bol chali gayi
Aur dono use dekhte rahe
-----------------------------------------------------------------------------
MUMBAI KE KISI HOTEL ME
"Dhruv bach gaya karan sir"
"Pata hai manohar,shaitan ki maut itni jaldi nahi hoti"karan bola
"Ab kya karenge sir??"manohar ,karan ka secretary ne poochha
"Sharon se shaadi,dhruv se badla "karan bola
"Sharon to dhruv se.."manohar bola
"Pata hai,isliye to,use harane me bada maza aata hai manohar"karan muskurate hue bola
"Aap khayenge sir??"manohar ne poochha
"Haan manohar khana lagwa do,good night"karan bola
Manohar chala gaya
"Dhruv ,sharon to meri hi hogi"apne aap se bola karan
Sahi kaha bro.Eik ghalat fahmi insan ko janwar bana deti hai. Jaha dhurv ne apno mausi ki maut se apne ko sambhala wahi karan ne apne ko badle ko aag me jala dala jo ki ek do dhari talwar ka kaam karti hain doosre ke sath khud ko bhi jala deti hai aur phir jab hosh aata hai to sab kuch swaha swaha ho jata hain.