• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance BADLA

Dhruv ke saath kiska taanka lagega???

  • Sharon

    Votes: 64 79.0%
  • Riya

    Votes: 27 33.3%

  • Total voters
    81

Swaraj

Well-Known Member
6,811
25,424
219
very sad news riya ki death ho gyi per akhir samye me woh dhurv or sharon ko alert kar gyi ki unka koi apna hi ghar ka bedhi hai...

neha zinda hai aur woh hi master mind hai jo dhurv or karan ko alag karke property puri hadapna chahti hai...per use dhurv ki property se 30% kyu milega....

samar bhi zinda hai kya??

chalo yeh accha hua sharon dhurv ke sath ho chali....

kya story se anil ki family chapter ab close hogya??

yeh vivaan kon he??
Vivaan Neeraj grover ka beta hai bro
Aur anil aur uske family ka narration bhi khatam ho gaya.haan meera kabhi kabhi nazar ayegi
 
  • Like
Reactions: Tiger 786 and RAAZ

Swaraj

Well-Known Member
6,811
25,424
219
JOHN F KENNEDY
NEW YORK AIRPORT
"Hmm to ye hai mere hubby ka desh"sharon khush hote hue boli

Dhruv par koi khas asar nahi hua.wahi office,Wahi kaam Wahi zindagi.wahi vishal bhaiyya ka akelepan ka gussa doosro par nikalna,Wahi avinash bhaiyya ka KAMZOR pad jaana,Wahi krish ki padhai .aur dadaji ki tabiyat ka khayal rakhna

"Sir,please"driver aur saath me do aadmi airport me recieve karne aaye the

Saman lekar gaadi me rakh diya aur gaadi chal padi

Sharon bohut exited thi.shaadi mandir me kiya tha dono ne.aur fir india chod chale aaye.ek pal ke liye apne mummy papa papa ke baare me soch halka sa dukh hua,shaadi ki khabar pakar mr hasija ne sharon se saare rishte tod diye the

Shahar kaafi modern aur chakachaundh se bhari hui thi.sharon to india me kaafi parties me jaati thi.lekin aaj ye sab use excited nahi kar rahe the

"Sharon aao"dhruv ki awaz ne sharon ke soch me khalal daali

"Hmm chalo"bol sharon gaadi se utar gayi

Ghar kaafi bada tha.sharon ko dhruv ne saara ghar dikhaya,apna kamra aur sab kuch bata diya ghar ke niyam

Vishal ke kamre me jaate hi dhruv ne apne aur sharon ke shaadi ke baare me bataya to sunkar zyada khushi nahi hui vishal singh ko

Jaise hi dono aashirvad lene jhuke vishal chair se uth gaya aur hat gaya
"Bin bole shaadi kar li,ab meri aashirvad ki kya zaroorat dhruv???khair ab to tum kisi ki nahi sunte.kaafi kaabil jo ho gaye ho,khush raho dono"bol vishal kamre se nikal gaya.sharon ko bohut dukh hua.jabki dhruv waise hi patthar bana raha.aur fir sharon ko le avinash ke room gaya

"Arey wah.acha laga sunkar dhruv .mera aashirvad hamesha dono ka saath hai"muskurate hue avinash bola

Dadaji ne bhi ashirwad de diya,krish bhi sunkar khush hua

Lekin sharon ne notice kiya ki ghar me saare log ek doosre se zyada baat nahi karte,parivar type ka mahaul nahi hai.sab apne me busy
Sab apne me khush

Aur to aur uska pati ka to jaise koi emotion hai hi nahi.na kabhi gussa,na zyada khush.koi bhi emotion nahi hai dhruv me.ek smile le alawa kabhi khulkar haste hue dekha nahi tha sharon ne

Tabhi uske mobile par call aaya
"Hello??"sharon boli

Doosri aur se chuppi thi

Sharon achanak dar gayi.kahin....gaurav?????

"Sharon"ek dheemi si awaaz aayi

Jhat se Awaz pehchan gayi.meera di

"Meera di,aap??"sharon hairan hokar boli.meera ke saath sharon ka chattes ka aankda tha.to aaj meera ne phone kyun kiya???

"Kaisi hai sharon??"meera boli

"Aapko to pata hai di,mai dhruv ke saath usa aa gayi"sharon boli

"Isliye to phone kiya hai sharon.aaj se teri life me naya padav aane wala hai,suna tu bohut badal gayi hai"meera boli

Ye sab sunkar sharon ko thodi rahat mili ki uski didi atleast uske saath hai

Sharon ne dhruv aur uske family ke baare me sab kuch bata diya

"Dekh mujhe to lagta hai ki dhruv ka emotion uske family members ke saath juda hai,tu sabke problems khatam kar de shayad dhruv ka hasta khelta roop dikh jaaye"meera boli

"Thank di.ab rakhti hoon"bol sharon ne phone rakh diya.

Sabse bada problem vishal bhaiyya ka hai.kyun na is problem ko suljhaya jaaye

-------------------------------------------------------------------------------
RUDRA TOWERS
tanya aur avinash ek saath chai peete rahe the
Avinash dheere dheere tanya ki aur attract ho raha tha.

"Tanya kya soch rahi ho??"avinash ne poochha

"Kuch nahi yahi ki ...chodiye"tanya boli

"Bolo na please"avinash bola

"Aap bura maan jayenge"tanya boli

"Nahi manunga,ab bolo"avinash bola

"Sir aap bhi is property ke equal hissedar hai .hai na??"tanya ne poochha

"Kyun tanya??"avinash ne poochha

"Aise hi sir,boliye na"tanya boli

"Haan hoon"avinash bola

"Fir ye kya baat hui ki dhruv se bada hone ke bawjood aap ko Rudra towers me sadne ke liye rakha hua hai,dhruv ko hotel division diya hua hai??aap bhi kaabil hai sir,vishal bhaiyya hamesha kyun dhruv ko support karte hai??kyun aapko wo pehchan nahi mili jo aapke pariwar ko dena chahiye tha??"tanya boli

Avinash kuch nahi bola .chup ho gaya.lekin uske aankhon se aansu neeche gire.tanya ne apna haath avinash ke haathon me rakha.

"Kisi ka pata nahi lekin aapke saath mai hamesha rahungi"tanya boli

Avinash ne tanya ka haath mazboot se pakad liya

"Tum sahi keh rahi ho tanya,bohut seh liya maine.dhruv bina bole shaadi karta hai,koi use kuch nahi kehta hai.jo bhi decisions leta hai vishal bhaiyya use support karte hai"avinash bola

"Lekin aap karenge kya sir??"tanya boli

"Dekhti jao tanya.ab ya is pakar ya is paar"bol avinash uth gaya

Tanya ne apne mobile me sms kar diya

"Job done"
 
ULTRA

Life isn't a film, don't End it..,
Prime
38,536
16,777
274
reading
 
  • Like
Reactions: Swaraj

dhruv or sharon shadi karli :congrats: per koi unke kadam se khush nhi hai...

tanya ne apna kaam kardiya....
bhaiyoo me fut dalwa di...

per neha ko in logo ki properties se 30% kyu milega...?
 
  • Like
Reactions: RAAZ and Swaraj

ULTRA

Life isn't a film, don't End it..,
Prime
38,536
16,777
274
superb update
:yourock:
 
  • Like
Reactions: Swaraj

Swaraj

Well-Known Member
6,811
25,424
219
dhruv or sharon shadi karli :congrats: per koi unke kadam se khush nhi hai...

tanya ne apna kaam kardiya....
bhaiyoo me fut dalwa di...

per neha ko in logo ki properties se 30% kyu milega...?
Foot to start ho gayi.lekin aapne kya notice kiya ki sharon bhi apne parivar ko sambhalne ki koshish kar rahi hai.
Rahi baat neha ki to aapko next update me pata chal jayega neha ko 30% share aur vivaan ko 70% share kaise milte hai
Keep supporting bro
 
Mbindas

Active Member
1,957
4,153
158
Bhai bohot achchha update hai

Wese mere mob me bohot hi kam comment writing ke box me write ho pata h isliye bhai sorry apko har update me comment nahi kar pata hu. Isiliye me like hi kar pata hu.

Apke har update bohot hi mazedar or intresting hote h.
 
  • Like
Reactions: RAAZ and Swaraj

Swaraj

Well-Known Member
6,811
25,424
219
Bhai bohot achchha update hai

Wese mere mob me bohot hi kam comment writing ke box me write ho pata h isliye bhai sorry apko har update me comment nahi kar pata hu. Isiliye me like hi kar pata hu.

Apke har update bohot hi mazedar or intresting hote h.
Aapne story ko pasand kiya itna hi bohut hai
Meri koshish hamesha rehti hai ki mai original content Doon
Taaki aap par ek asar chode kahani
Aise support karte rahiye bro
 
RAAZ

Well-Known Member
2,451
6,452
158
JOHN F KENNEDY
NEW YORK AIRPORT
"Hmm to ye hai mere hubby ka desh"sharon khush hote hue boli

Dhruv par koi khas asar nahi hua.wahi office,Wahi kaam Wahi zindagi.wahi vishal bhaiyya ka akelepan ka gussa doosro par nikalna,Wahi avinash bhaiyya ka KAMZOR pad jaana,Wahi krish ki padhai .aur dadaji ki tabiyat ka khayal rakhna

"Sir,please"driver aur saath me do aadmi airport me recieve karne aaye the

Saman lekar gaadi me rakh diya aur gaadi chal padi

Sharon bohut exited thi.shaadi mandir me kiya tha dono ne.aur fir india chod chale aaye.ek pal ke liye apne mummy papa papa ke baare me soch halka sa dukh hua,shaadi ki khabar pakar mr hasija ne sharon se saare rishte tod diye the

Shahar kaafi modern aur chakachaundh se bhari hui thi.sharon to india me kaafi parties me jaati thi.lekin aaj ye sab use excited nahi kar rahe the

"Sharon aao"dhruv ki awaz ne sharon ke soch me khalal daali

"Hmm chalo"bol sharon gaadi se utar gayi

Ghar kaafi bada tha.sharon ko dhruv ne saara ghar dikhaya,apna kamra aur sab kuch bata diya ghar ke niyam

Vishal ke kamre me jaate hi dhruv ne apne aur sharon ke shaadi ke baare me bataya to sunkar zyada khushi nahi hui vishal singh ko

Jaise hi dono aashirvad lene jhuke vishal chair se uth gaya aur hat gaya
"Bin bole shaadi kar li,ab meri aashirvad ki kya zaroorat dhruv???khair ab to tum kisi ki nahi sunte.kaafi kaabil jo ho gaye ho,khush raho dono"bol vishal kamre se nikal gaya.sharon ko bohut dukh hua.jabki dhruv waise hi patthar bana raha.aur fir sharon ko le avinash ke room gaya

"Arey wah.acha laga sunkar dhruv .mera aashirvad hamesha dono ka saath hai"muskurate hue avinash bola

Dadaji ne bhi ashirwad de diya,krish bhi sunkar khush hua

Lekin sharon ne notice kiya ki ghar me saare log ek doosre se zyada baat nahi karte,parivar type ka mahaul nahi hai.sab apne me busy
Sab apne me khush

Aur to aur uska pati ka to jaise koi emotion hai hi nahi.na kabhi gussa,na zyada khush.koi bhi emotion nahi hai dhruv me.ek smile le alawa kabhi khulkar haste hue dekha nahi tha sharon ne

Tabhi uske mobile par call aaya
"Hello??"sharon boli

Doosri aur se chuppi thi

Sharon achanak dar gayi.kahin....gaurav?????

"Sharon"ek dheemi si awaaz aayi

Jhat se Awaz pehchan gayi.meera di

"Meera di,aap??"sharon hairan hokar boli.meera ke saath sharon ka chattes ka aankda tha.to aaj meera ne phone kyun kiya???

"Kaisi hai sharon??"meera boli

"Aapko to pata hai di,mai dhruv ke saath usa aa gayi"sharon boli

"Isliye to phone kiya hai sharon.aaj se teri life me naya padav aane wala hai,suna tu bohut badal gayi hai"meera boli

Ye sab sunkar sharon ko thodi rahat mili ki uski didi atleast uske saath hai

Sharon ne dhruv aur uske family ke baare me sab kuch bata diya

"Dekh mujhe to lagta hai ki dhruv ka emotion uske family members ke saath juda hai,tu sabke problems khatam kar de shayad dhruv ka hasta khelta roop dikh jaaye"meera boli

"Thank di.ab rakhti hoon"bol sharon ne phone rakh diya.

Sabse bada problem vishal bhaiyya ka hai.kyun na is problem ko suljhaya jaaye

-------------------------------------------------------------------------------
RUDRA TOWERS
tanya aur avinash ek saath chai peete rahe the
Avinash dheere dheere tanya ki aur attract ho raha tha.

"Tanya kya soch rahi ho??"avinash ne poochha

"Kuch nahi yahi ki ...chodiye"tanya boli

"Bolo na please"avinash bola

"Aap bura maan jayenge"tanya boli

"Nahi manunga,ab bolo"avinash bola

"Sir aap bhi is property ke equal hissedar hai .hai na??"tanya ne poochha

"Kyun tanya??"avinash ne poochha

"Aise hi sir,boliye na"tanya boli

"Haan hoon"avinash bola

"Fir ye kya baat hui ki dhruv se bada hone ke bawjood aap ko Rudra towers me sadne ke liye rakha hua hai,dhruv ko hotel division diya hua hai??aap bhi kaabil hai sir,vishal bhaiyya hamesha kyun dhruv ko support karte hai??kyun aapko wo pehchan nahi mili jo aapke pariwar ko dena chahiye tha??"tanya boli

Avinash kuch nahi bola .chup ho gaya.lekin uske aankhon se aansu neeche gire.tanya ne apna haath avinash ke haathon me rakha.

"Kisi ka pata nahi lekin aapke saath mai hamesha rahungi"tanya boli

Avinash ne tanya ka haath mazboot se pakad liya

"Tum sahi keh rahi ho tanya,bohut seh liya maine.dhruv bina bole shaadi karta hai,koi use kuch nahi kehta hai.jo bhi decisions leta hai vishal bhaiyya use support karte hai"avinash bola

"Lekin aap karenge kya sir??"tanya boli

"Dekhti jao tanya.ab ya is pakar ya is paar"bol avinash uth gaya

Tanya ne apne mobile me sms kar diya

"Job done"
Congrats Dhurv and Sharon ki nayi zindagi ke liye magar asli imtehaan to ab shuru hoye hain Aur upar ae awinash sab kuch bhool ker dohle pan pe aa raha hain woh bhi 4 din ki milli hui ladki Tanya ke liye. Dekhna hoga ki ab kia karta hai DHURV in sab sazisho ko khatam karne ke liye. Co har ek ki z8ndagi ke 2 pehlu hotey hain jaha DHURV ka ek sincere aur caring hain wahi woh family ke wajah sai shayad ek khatranaak personality me change na ho jaye aur jab yah hoga to bohat hi khatarnaak hoga sab dushmano ke liye coz kisi ko itna na satao ki woh badal jaye aur jab shareef apni shataft chor deta hain to us se zada khatranaak koi nahi hota.
 
  • Like
Reactions: Swaraj and ULTRA

Ek Wonderful aur detailed review ke liye thanks dost
Sabse pehle to saari saazishein dheere dheere bahar a rahi hai
Grovers to lage hue hai R grupgka patta saaf karne
Lekin grovers ke peeche bhi koi hai jo sab control kar raha hai
Sharon ne dheere dheere maturity dikhani shuru kar di
Lekin neha ka raaz hi sabse pehle khulega aur dhruv usko kaise leta hai wo dekhte hai
 
  • Like
Reactions: Tiger 786 and RAAZ
Top