bhano pratap singh - dead
raj laxmi - 73 yrs
Head of the family -
mahindr pratap singh - 50 yrs
raj laxmi ka bada sapoot. pahlwani jism ka malik. 50 ka hai. 40 ka dikhta hai. pathreele chahre ka malik. gusa nak par rahta hai. lekin apni maa raj laxmi ke aage thande aur narm mizaj rakhne wala vyakti
shalini singh - 48 yrs
shalini singh ke 5 bete aur 2 betiyan han.
mahindr pratap singh ki dharampatni.. mahindr pratap singh ke against bohut hi pyar karne wali, has mukh lady hai.
vijay singh - 25 yrs
shalini singh ka bada beta. padhai puri kar chuka ha. desh bhar me flying club khol raha hai. chahta ha. parivar me raj laxmi ke bad uska naam ho. apne pita aur chachaon ke bad sabse badhkar sakht mizaj vyakti.
pankaj singh - 24
final year ka student.. student leader... future me neta banna chahta hai.
payal singh - 23 shalini ki first daughter
bohut hi sunder aur gymnastic jism ki maalik. karate me black belt ha. nature ki achhi ha. abhi tak koi iske mann ko bha nahi saka hai.
sanjay singh - 22
payal singh se chhota hai.. padhai ke sath life ko full enjoy kar raha ha. padhai ke bad khandani business iski final choice hai. koi bada dream nahi hai iska.
pirya singh - 21
medical student... bohut hi kabil ladki.. vaise to raj laxmi ke desh bhar ke apne kai hospitles han. lekin priya singh ke liye special ek hospital banaya ja raha hai. jiski priya singh HEAD hogi..
arjun singh - 20 yrs
shokh aur khalandra ladka.. bsc 1st year ka student. ladkiyon me khud ko hero bana kar pesh karna iska sabse man pasand shauk hai.
surya singh - 19 yrs Hero Of The Story
parivar ka iklota useless ladka. bachpan se mand buddhi tha. lekin dil ka achha tha. padhai me dull tha. padh nahi paya. ghar me jaisa apne hi parivar ke logo ne ise kama samjh lia. sabhi isse koi na koi kam lete rahte.. aise me surya singh bhi kabhi khud ko parivarik rakh rakhao me zahir nahi kar paya. baki sare naukar surya singh ko dil se chahte han.. kyunki surya singh har naukar naukarani se barabari ki satah par baat cheet kia karta.. aise me surya singh sabhi naukaron ke dil me bass gaya..
------
surinder pratap singh - 48 yrs - raj laxmi ka dusra beta
malini singh - 47 yrs - surinder ki patni
akash singh - 24 unmarried
avantika singh - 23
piyush sigh - 21
kiran singh - 18
-------
Komal rani - 24 yrs --- special character -- kahani ki ek heroine
--------
bhano pratap singh khandani raja tha. angrez daur me bhano pratap singh ke purkh raj karte aaye the. apne purkhon ke nam ko zinda rakhne ke liye bhano pratap singh ne badi mahnat kari. dhan daulat naam shohrat sab kamaya.. parinam ye hua. aaj bhi desh bhar ke top 10 parivaron me unka naam aata tha. lekin khud 4 saal pahle ek durghatna me jaan ki bazi haar gaye.
bhano pratap singh ke ek dost manohar mishra ke parivar ki akhri zinda bach jane wali santan komal rani thi. bade logo ke bade dushman hua karte han. komal rani ke parivar wale paise ke maamle me bhano pratap singh ki takkar ke the. dushmano ki kami nahi thi. aise hi ek dushman ne raat ko shab khoon mara.. komal rani ki kothi par hamla kar dia. komal rani us samay 19 saal ki thi.
us hamle me komal rani ki maa sonali mishra missing ho gai. komal rani ko ek naukar ne bachaya. aur bhano pratap singh tak pohncha dia. bhano pratap singh apne dost ke parivar ke aise anjaam par bohut dukhi hue. kasam kha li. wo apne dost ke dushmano se badla le kar rahenge. lekin dushman kon tha. wo jaan nahi paye. youn to kai dushman the. lekin asal dushman ko tha. wo jaan nahi paye.
komal rani bhano pratap singh ki kothi me rahne wali. pura parivar kho dene ke bad komal rani gum sum si ho gai thi. har samay roti rahti thi. bhano pratap singh ki kothi par bhi kai hamle hue komal rani ko jaan se maar dene ke liye.. lekin bhano pratap singh ki suraksha ka badhiya intezam kar rakha tha. koi bhi dushman bhano pratap singh ki chatar chhaya me rah rahi komal rani ko jaan se nahi maar paya...
youn samay guzarta chala gaya.. aur komal rani gahre sadme se nikalne lagi. lekin hasna bhul gai thi woh.
aise me ek surya tha.. jo chup chup kar usay dekha karta tha. komal rani se umar se bohut chhota tha. lekin dil hi dil me komal ko dil de betha tha. parivar ka sabse bekar ladka tha. komal ke pass bhi usay bhatakne nahi dia gaya.... komal ko apna hosh nahi tha. wo surya par dhayan kyaa pati.....
samay belagaam ghode ki tarah daune laga.....
is beech samay ne kai chalen aur chali.. kai khel woh bhano pratap singh ki kothi me rahne walun sadaso ke sath khelne laga.. aisa hi ek khel surya pratap singh ke sath bhi khela dala.....