Mast update broUpdate 3
Fir ek nayi subah....
Jese hi, Seema ki nind khuli, use apne uper kuchh bharipan sa mehsoos hua..........jab usne niche ki or dekha, to raj ka muh uske pet par tha....
"Aisa lag raha tha, jese kisi ne "T" ko 90 degree ghuma diya ho"
Nabhi ke pass garmahat ke ehsaas ne, seema ko ek bar fir unhi lamhon me pahucha diya, jab raj ki garm saanso k sparsh se uske sharir ki kapkapi chhot gai thi……
Lekin Kuchh hi kshano bad, seema "ehsaas ki us nagri" se aazad ho gai aur raj ke balon pe hath ferte huye uske sir ko uthakar god me rakh liya……
Wo Raj ke chehre ko nihar rahi thi us wakt .......uske labon pe jo muskan thi …..kahi na kahi wo raat ke uss ehsaas ko hii baya kar rahi thi…. kuchh der yun hii nihar lene ke baad, seema ne uske sir ko, dheere se niche rakha....aur bahar chali gai…..
Fir apne daily routine ko follow karte huye jaldi-jaldi kaam niptana shuru kar diya, iss bich uski aankhon ke saamne, wahi drishya bar-bar aa rahe the …jab raj ne uske honthon pe kabja kar liya tha….
Khair andhera chhat chuka tha..... panchhi chahchahaa rahe the aur sooraj .......charon or apni lalima bikherne ke bad ek sunehri subah ki or badh raha tha…..tabhi
umm...angdai lete huye raj nind se bahar aata h aur kal ki tarah, ruchi ko pyar s kiss krta h ….(hmm....
yahi to h meri khushiyon ki chabhi ....Jisse Seema ke dil ka darwaja khulega )
Rat ki baaton ko sochte huye raj bahar aa jata h, use lag raha tha……kahi seema ab bhi usse naraj na ho ..
wahi seema nahane k bad tulsi ko jal chadha rahi thi...
Kal raat k, aalingan ke baad, se hii, raaj ka man, fir se use chhone, ka ho raha tha lekin……. asmanjas ki sthithi me wo us or koi kadam nahi leta...aur datun karte hi, nahane chala jata h …
(Wahi seema nashte ki taiyari m lag jaati h)
Raj nahakar, wapis aane k baad...... bahar hi dhoop me baitha hua tha… k seema uske pass chai rakhkar bhag jaati h
Raj: ye kya tha be??.....wo soch hi rha tha k meena waha aa jati h "doodh lene"....
chai peete huye raj seema ko hii dekhe jaa rha tha…. uska meena se iss tarah hans-hanske baat karna .....
raj ko yahi ehsas dila raha tha "wakai kal ki wajah se wo naraj h"
(Raj:aakhir ye mujhse..... is tarah khulke, baat kab karegi??)
Meena jaate wakt raj ki taraf muskan deke gai.... lekin launda apne hii khyalon me gum tha…..wah yahi soch raha tha 'seema ki narajgi door kar ....use manaya kaise jaaye'.....
Wahi ab Seema aangan me kapde sookhne daal rahi thi .....tabhi ruchi aake uske pairo se lipat jaati h
dono hatho se uski saadi pakd ke khinchte mummy!! mummy!!……
uske iss tarah bulane se raj ka dhyan jab us or gaya.......to usne jaakar ruchi ko god me utha liya…..(aur laad karte huye).. aaj richu papa k saath khet ghoomne jayegi!!!.....
Lekin ruchi, to raj ki god me aate hi rone lag gai…. Jese hi seema ne ye dekha, jhat se ruchi ko, raj se chhinte huye kamre me le gai…….Uska ye bartav raaj ko bilkul v pasand nhi aaya..
Seema ab darwaje k aage doono hath failake khadi thi… raj ne jb use hatne ko kaha to wo apni jagah se jara v nahi hili bss ……sir jhukaye...yun hii khadi rahi….
Fir raj ne uske hanthon ko hatane ki koshish ki to usne.... zor ka dhakka de mara .....jisse raj ko aur v jyada gussa aa gaya..
Wo hath uthane hi wala tha k achanak se ruk gaya….aur.....thik h!!…thik h!!…..ye bhi thik h kehte huye khet ki or nikal pada...
uski aankhon m gussa saaf jhalak raha tha….
mana wo bhai ki beti h lekin ab to 'mai hii uska baap hu'…..Aur seema ko kya lagata h……
“main aisa baap hu, jo bachche khata h”
Chalte chalte jab raj ka gussa shant hua ...wah itna emotional ho gaya....lag raha tha......kahi ro hi, na de…..
Par gussa shant hote hii usne apna mn shant kiya aur aage k bare m sochne laga...
…. ek kirane ki dukaan yaha bhi to dali jaa sakti h, lekin chalayega kaun???
(Pehel to raaj k man m amma ka khyaal aaya lekin budhiya ko ye kaam saunpna …… use jama nahi)
Raj khyalon me gum..... kb khet pahuch gaya, use pata hii nahi chala
Kallu: hurrrrt…ta..ta..ta…bailon ko hankte huye jutai kar rha tha …… ( raj bhi jake usi k sath-sath chalne laga ..)
Thodi der chalte chalte dono ne yaha waha ki baatein ki... lekin.....raj ke ek sawaal ne use bailo ko aaram dene pr mazboor kar diya
Thodi der bad.... dono hii patthar pe baithe the….
abe! ghoor kya raha h?? …..bata na seema ne aisa Q kiya hoga??
Kallu: pehle tu sach sach bata 'tu raju hii h na'….kya hua tha??….tu aise kaise bhool gaya??
Raj: Yrrr!!! faltu baatein nhi ……seedhe mudde kii baat "seema mujhe ruchi se door Q kar rahi thi"
Kallu: hashhh!!!!…thik h to sun….. ek din tu, ruchi ko, 'bagal ke gaon k aadmi' ko benchne ja raha tha…… wo to mene tujhe dekh liya aur shor macha diya …
Raj khud ki taraf ungli karte huye…m…m..maine
Kallu: hnn….isi baat pr bhabhi ne, tujhe ek khinch k jhapad bhi to mara tha…….
Raj:…m…mm…mujhe...
Kallu: hnn fir sham ko tune mere ghar aake mujhe bohot mara..
Raj:…m…mm..maine
Kallu: "subah se pike aaya h ya raat ki utari nahi" …… itna chaunk kyun raha h….ab ye mat kehna “tujhe kuchh yad nahi”
Raj apna sir pakde….. itna sab ho gaya Bhagwan!!
(Man hii man rote huye…. Iske baad bhi seema mere sath h …..chalo wo to patni h, par kallu……. Use pichhli zindagi k wo dost yaad aane lage, jo bas pese k liye uske sath the)
Raj: fir tune mujhe itni aasani se maaf kyun kar diya??
Kallu: uss din ke baad se hm baat hii kahan karte the ……..wo to tu hi tha uss din subah-subah ghar aa gaya warna hamre raste ekdam alag the…
Raj kuchh sochte huye…. Par tere gharwale!! wo to mujhse naraj hone chahiye? wo q nhi h???
( meena ne bhi uss din chai k liye puchha tha…. itni badi baat ho gai par usme zara v gussa nhi tha)
Kallu: abe!! kyunki tune ek bar meri jaan bachai thi……...isse pehle ki raj m…mm..main kehta
Kallu: ab ye mat kehna 'tu ye bhi bhool gya'
Raj: hnn….par
Kallu: bachpan me.....ek bar jab mai doob raha tha to…....tumne hii mujhe bachaya tha..
Raj:
Kallu: bhale hi tune mujhe kabhi apna dost nahi mana lekin mera, shuruwat se hii…….. sirf tu hi ek dost h...
( Ye sari baatein sunne k baad raj man hii man sochne laga ……. raaju ne aakhir aur kaun-kaun se kaand kiye honge…..uski yaadon ka kuchh hii hissa mujhe dikhai deta h…..kahi…)
wo sochte-sochte hii ruk gaya, beti ko benchne se bada gunah … isse aage to kya kiya hii hoga……
( thik h jo bhi hoga ..dekha jyga...)
~~
Wahi seema ghar m muh latkaye bethi thi….. kahi maine unke sath kuchh galat to nahi kar diya??……lekin raaj k pas aaye, itne sare pese use sochne pr majbur kr rhe the…
(use lag rha tha…… kahi raj ne chhupkar ruchi ka sauda to nahi kar diya??)
Wo abhi do-tin dino me jo bhi hua use yaad krne lagti h….....raj ka achanak badla vyavhar aur sari ghatnaye inhi sb ko sochte huye use yaad aata h, kal raat......raj ne use, ek thaila pakdaya tha....
Seema jaakar use kholke dekhti h ..... usme kaafi sara .....kiraane ka saman tha, sath hi ek dibba choklate aur kuchh biscuit k packet....
ab to use aur v jyada bura lagne laga….. ek to wo sudharne ki koshish kar rhe h aur main unpar hii shak kar rahi hu….. uska dotarfa man hii use pareshan kar raha tha
Khair wo jaakar ruchi ko biscuits khilane lagti h…...(Aur choklate k dibbe ko usne baad k liye chhupa diya)
~~
Wahi Khet me 50 rupay ka note pakdate huye ……..
Raj: agar kuchh bhi chahiye ho to isme se la aana
note ko ulat-palat kar dekhte huye
Kallu: itne sare pese….. kahi tune ju…. raj bjch me hi rokte huye
Shaher m mujhe kaam mil gaya h ye usi k pese h..
Kallu: aisa kon sa kaam h, jiske itne sare pese milte h
Kahi kisi galat kaam me to nahi lag gaya
Raj: apne iss chhote se dimag pe jyada zor mat dal ….. ye kaam ke hii pese h..
Kallu: wo sb to thik h lekin iske khulle m kaha se launga .... Yaha gaon m to bohot mushkil h
Raj:….. apni jeb se kuchh 1 rupay ke sikke sath hi atthanni ,chwanni, aur annas (50paise /25paise …)
Total 14 rupay use deta huye..
Itne kaafi h…. Isse jyda khulle to abhi nahi h agar aur chahiye ho to bata dena
Kallu: 50 ka note wapis krte huye, ye to jyda hi h…..
Raj: thik h fir aage jaroorat ho to aur manga lena…… ( tabhi waha meena aa jati h)
Are raju! tum yaha ??
Raju: hann wo main….kallu....
“ab yahi ho to nashta bhi karlo”
Raj ne nashta nahi kiya tha isiliye wo hnn keh deta h…. ab kyunki Meena apne bhai k sath nashta krne aai thi isliye do logo k liye kaafi tha…
Wo unhe khate huye dekh rahi thi tabhi…
Raj: mai soch rha tha tere ghar me ..... ek kiraane ki daukan khol lete h??
Kallu: lekin…
Raj: koi lekin vekin nahi saara saman mai lake dunga..
Kallu: thik h fr, meena hisaab kitab me aachhi h wo samhal legi…
Raj: ye to aur bhi badhiya baat h…..mai use wo saari chize v sikha dunga jisse gaon ki dusri dukaane pichhe chhut jaygi…. aur hme jitna munafa hoga 'aadha adha bant lenge'
Kallu: hmm… socha to tumne bohot achha h...
Raj: wo to h ….tu sham ko chabutare k pas bus adde pe aa jana, kaafi sara saman hoga to uthane m madad ho jaygi
Kallu: are! Bilkul bhai…..
Ab tk dono ka nashta ho gaya tha !!
Raj: thik h, kallu mai ghar jaata hu ….. kaam par bhi nikalna h (kehte huye wo nikal jata h)
Meena jo ab tk khamosh thi….bhai aapko raju kuchh badla badla nahi lag raha
Kallu: hnn… lag to raha h... par mujhe aisa hi dost to chahiye tha…..
Meena: bhai dukaan khulne se to hmare ghar m bhi bohot pese aa jyge..
Kallu: hmm….wo to h lekin.... Ab tu jaa, apna kaam dekh..
~~~
Raj jo ki ghar aa chuka tha......aaine m apni shakl dekhte huye… hmm.. to isi ki wajah se log mujhe ghoor-ghoor kr dekhte h.. (iska kuchh to karna padega) ....tabhi .....seema uske .....
...kamre k baahar se gujarti h…..
Raj: Seema!!…. Amma ka nashta la mujhe sheher nikalna h...
Jb seema nashta pack karke laai…..to raj uski taraf dekhe bina hii, khana leke chala gaya…
raj k man me yahi chal raha tha…..iss mc ki wajah se mujhe chain nhi h, jb bhi sb thik karta hu…iska kiya hua, koi na koi kaand samne aa jata h
Wahi seema baithi hii thi……k achanak use yaad aa gaya "unko nashta to diya hi nii"….aur Wo to dopeher ko sheher m v nahi khate !!!
Kuchh sochte huye wo jhat se uthi aur nashte k sath dopeher ke liye extra khana pack karke ruchi ko sath lete huye …..chabutre ki or nikal gai
Wahi Raaj bhi amma ko nashta pakdane ke bad ..... turant hi nikal chuka tha bus adde ki or…
Seema lagbhag bhagte huye chabutre tak aai thi (kahi raj nikal na jaaye…..) tabhi raj use wahi aate huye dikhai deta h
Are!! seema!! Tum?? yaha kya kr rhi ho???
…Seema hath aage karte huye wo..wo …..khana!!
Raj uske hath se khana lete huye pyar se ruchi k galo ko khinchta h ……Wo jhat se seema k pichhe chhup jaati h….. jo bas yunhi najre niche kiye khadi thi ….kuchh bol hii nahi rahi thi
Raj: uska chehra uper krte huye….. kya hua???
niche kuchh h kya???… Jb dekho niche dekhti rhti h!!
Raj: thik h ghar jao …. Aur dhyan se amma ko khana de aana…… tabhi raaj ki bus v aati hui dikhai deti h..
~~
Thodi hii der baad seema ghar me thi…. use kuchh smjh nahi aa rha tha, achanak se sb thik kese ho gaya….. usne kaise raj k sir pe mara tha
(use fir se yaad aata h…….)
bura to use bohot lag raha tha ….lekin wo sochti jo hua hua so hua…. aage se jb tk khuchh bura nahi hota wo bhi koi galat vichar apne man m nahi laygi
~~
Bus me raj….. aaj kya-kya karna h uske bare m hii soch rha tha….
( Aaj to bohot sare kaam h …. Kaise nipta paunga)
Inhi khyalo me dooba raj apni manjil pe pahuch jata h…
Jaha chandrashekhar pehle se hi cycle liye uska intezar kar raha tha…
Fir jese hii dono factory pahuchte h …..raj kal, kharab hui mashino ko check krta h….. aur unhe jaldii hii sahi bhi kr deta h…
Raj : chalo ab sbko ek sath chala ke dekhte h… mashine do ghante se chal rahi thi… unme zara v kharabi nahi aati…
Raj unhe band karte huye….. inko har do ghante chalane k baad 30 minute ke liye rokna padega …
Chandrashekhar: hmmm…wo to thik h lekin ….
Raj: are! kuchh nahi aap mujhe paper lake do… me aapko sari chize likhke deta hu..
aur raj 30 minute me hii sara plan likh leta h… isko follow karna h aapko ……
(aur fir se mashine chala deta h..)
Chandrashekhar aur raj dono hii plan k bare m discuss karte h …..
Raj: hnn isme mene.... pehle to mashino ki kaise care karni h, kitna raw material dalna h….jisse unpe load na pade…. Aur unko kitni der m band karna h …..ye sari basic chize likhi h…
Chandrashekhar: aur ye kya h….. ??
Raj: ye mene iske ventilation ko major kiya h …… aapko us din v bataya tha ….. ye usi ka namoona h bilkul isi tarah, taiyar karana… isse aapki mashino ki efficiency lagbhag double ho jaygi….. aur hnn pichhle page par mene mashine ke modal m kya kya sudhar ho sakte h wo banaya h …..
Chandrashekhar: lekin inn mashino m ye sb lagega kaise..
Raj: aapne jaha se mashine banwai h….. aap unhe bas mera ye model dikha dena wo sb kar denge…
Chandrashekhar aur raj kuchh der tak yun hii sare points discuss karte h……… fir raj… hmmn bilkul sahi, iske baad aapko ek bar v mashine band nahi karni padegai...
Chandrashekhar: dekho me aaj se hii iss plan k anusar chalunga lekin ventilation ke hisab se factory taiyar hone m kal tak ka wakt lag jyga…
Raj: koi baat nahi …..sb kuchh dheere dheere ho jyga…m aapse, sham ko bus adde pe milunga …..mujhe nahi lagta ab mashino me koi kharabi aayegi….. agar aa jaye to aap wahi mujhe batana..
Chandrashekhar 300 rupay raj ko pakadte huye…. abhi to jyada munafa nahi ho raha h lekin m tumhe nirajan ki tarah hii factory ka advisor banata hu …. aur kal se agar sb sahi chalne laga to tumhe mahine k 50 rupay bhi dunga..
Raj ye jaankar bohot khush hua …. chalo ek to jagah pakki ho gai jaha se pese milenge hii milenge… tabhi raj aur v paper mangwata h
Fir unme bohot sari drawing krta h ….aur unhe chandrashekhar se jagah jagah chipkane ko kehta h
(isse waha ke har worker ko instruction samjhne me aasani hogi)
Chandrashekhar to raaj ke iss idea se bohot prabhavit hua….
Chandrashekhar: chalo bohot kaam kr liya …..ab tumhe kuchh khila ke lata hu…
Raaj: nahi! sir…. mujhe aur bhi kaam h aur khana h mere pass time milte hii kha lunga
Chandrashekhar: kya kaam h batao shayd me tumari madad kar saku…
Raj: bank me account khulwana h…
Chandrashekhar: are! Tum bank to pahucho mai manager ko janta hu tumhara kaam jaldi ho jyga….
Aur chandrashekhar wahi se telephone ke through manager se baat krke use raj k baare m batata..
Raj jese hii bank ke andar jata h manager usse dekhte huye…raaj???
Raaj: jiii……manager use ghoor ke dekhta h ….….use lag hi nahi raha tha iske pas 2 rupaye bhi honge zama karne k liye
Fir bhi, manager payar se …. Jii sir kitne paise jama karaynge aap
Raj: jyada to nahi h ….abhi bus 200 hii leke aaya hu…itne m.... ho to jyga??
Manager: ….iske pas aur….. 200 rupay…. (Jii sir ho jyga…aur wo jaldi se raj ka saving account khol deta h)
Raj bank se bahar aa chuka tha ab uske pas 2 permit (factory advisor) Ke sath- sath ek bank account ki passbook thi..
Raj ek shant jagah dhundhta h .....
fir thodi der baad ek ped k niche jaake……. khana khane baith jata h
Raj: wahh!!! Kya mast khana h…. use seema ki yaad aati h…chalo aaj uske liye bhi kuchh le jaunga!!
Raaj khana khane k baad baal katwane pahuch jaata h naai bhi use wese hii dekh raha th jese manager ghoor rha tha …. Khair raj ko usse kya hii lena dena use to apna makeover karana tha…..to wo baith jaata h apna huliya badalwane
Naai bhi usi k hisab se baal kaatta h....jesa raj keh raha tha
.. ant m jb wah .....khud dekhta h to hairaan ….. are ye maine kata h…wakai hairstyle raj pe shoot kar raha tha…
Jab tak yaha raj apne face par kaam karawat h …ek baar gaon chal lete h
~~~
Seema amma ko bass khana dene aai thi ….lekin aaj v usne use kaam pe laga diya…. Budhiya order pe order jhad rahi thi…(or fir khana khane k baad pair dabane ko kehti)
Ruchi khel khelkar thak k wahi so gai thi…. Tabhi achank ....seema k hath se …..saaf krte huye kanch ki....barni niche gir jaati h
Bss budhiya ko, isi ka to .....intezar tha…. Lathi leke uske hatho m zor se marti h….. “kaam ki na kaaj ki dushman ananj ki”……(lagatar uske hatho me marte huye nikal jaa yaha se ..)
Iss shor sharabe ki wajah se ruchi uthke rone lagi thi ....isiliye Seema ko use leke jaana ....hii pada,Nahi to.... aaj budhiya uske pran hii le leti….
~~~
Wahi Kallu pure man se khet k kaamo m laga hua tha….. jab dopahar m wah ghar gaya …….to usne dukan wali baat apni maa se kahi… jo kii meena use pehle hii bata chuki thi
Kallu ki maa: socha to usne bohot badhiya h …..lekin ye raju achanak se itna badal kese gaya???…….
Meena: are! Maa itnaa jyada kyu sochti h ….jo ho raha h apne liye to achha hii h na…(aur tino aapas me baate karne lagte h……)
thode aaram k baaad kallu fir se nikal padta h khet...
~~
Wahi raj apne naye look ko aaine m dekhte huye…… ye hui na baat ….. lekin ye kapde…..
wo jata h kapde kharidne ….par use kapde pasand hii nahi aate
(wo seema aur ruchi ke liye hii ek-ek jodi kapde lekr waha se nikal jaata h)
Tailor ki shop pe..... raj use apna size mapwata h aur fir fitting kaisi chahiye smjhata h…… use niche se jyada khule khule kapde pehenna pasand nahi tha ….. isiliye wo pant ko kaise silna h….. paper pe draw kr k deta h …..
Darji confuse tha kyunki uss samay pant niche se kaafi khule rehte the…. Par raj ne use aadhi payment kar dii thii isiliye..... use banana to tha hiii
Raj: kab tak mil jaynge??…..Tailor… kal hii de dunga… ..lekin uske thode extra pese lagenge… (jo raj use dene k liye taiyar ho jaata h …..kyunki use bhi ye kapde jald se jald chahiye the....tabhi.)
Radio pe raj ko ek jagah ka naam sunai deta h…… aur use yaad aata h ”pahadganj”……ye to wahi jagah h jaha ki zameen mr. Wilson ko kaafi pasand aai thi..
(Darasal raj ne mr. wilson ka interview suna tha …….. kaise unka budget 55000 tha lekin pahadganj k bhole bhale aadmi ko uss location ki value ka andaza nahi tha ..wo unki factory k liye ekdam sahi jagah thi……. Jo bass 8000 rupay me unhe mil gai thi)
Raj: abhi bhi wo din aane m pura ek mahina h….. (ghar ke aur bank k pese milakr mere lass 1000 rupay h……7000 ka intezam jald se jald krke agr me us jamin ko pehle hii kharid lu…. To…8k se seedha 55k ….)
(Raj: abhi zameeno ki kimat uss hisab se nahi badh rhi, agar m kahi aur kharidu bhi to ….uski value badhne m kaafi wakt lag jayega….kewal yahi zameen h jo jaldi hii mujhe unchi kimat dila sakti h)
~~
Raj: Abhi bus k liye 3 ghante baaki h……..kya karu??
yahi sochte sochte ek jagah baith jata h……. Jaha use newspaper me job ka article dikhai deta h……
Wo jagah pas hii thi isiliye raj waha pahuch jaata h….. (kapde na sahi lekin look se launda kaatil lag rha tha …)
adar jaate hii wah kaam k baare m pata karne lagta h ….waha k employee use hii ghoor rhe the…. Baton se raj unhe kaafi sanjeeda insaan lag raha tha..
Thodi der bad..
Head: achha!! to tumhe English aati h …..ye article h iski headline taiyar karke dikhao
Raj jb article padhke uski headline ……head ko sunata h…. .....To wo ...use bohot pasand aati h…
Wo raj se uski qualification punchhta h
(pehle to usne....bas raj ka mazak banane k liye article diya tha…)
Raj: koi degree nahi h…. Mene khud se padhai ki h…
'ye sunte hii head ko gusssa aa gaya…..'
Pata nahi kahan kahan se chale aate h….. jis ishtehar ko padhkar tum yaha aaye ho usme saaf saaf qualification ke bare likha h..... wo tumse nahi padha gaya....
Raj ko bhi, uski baaton pe gussa aa raha tha…… isiliye wo waha se bina kuchh kahe hii bahar nikal gaya ....mood to uska kharab..... ho hii chuka tha..
Ye 'bkl' takla khud ko samjhta kya h?? Mere pairo me renge.... tab bhi iske liye article .....ab na likhu… 'bc' degree degree.. 'g' me dal le degree!!
Thodi der chalte chalte raj ka man jb shant ho gaya……. Jis chiz pe use ghamad tha use hii yaha bar-bar chunauti di jaa rahi thi…
Wo uper dekhte huye bhagwan iss khopdi pe hii to mujhe ghamad tha ….aur aap …hssshhh!!
Fir Raj bus adde k pass kii dukaan se thok me kaafi sara saman pack karwata h…..sath hii use yaad tha……sabjiya lagaane k liye kuchh beejo ki jarurat padegi .......to wo unhe bhi le leta h…
Time ho chala tha bus aane ka…… tabhi chandrashekhar…. Hn bhai raaj…. Tumne jaisa bataya tha wisa hii kiya …sb badhiya chal rha h ….ek v mashin kharab nahi hui…
Ye dono baat hii kar rhe the ki...... takla waha aa jata h 'are bhai! chandrashekhar'
Chandrashekhar: are avinsh!! ….inse milo meri factory ke advisor!!!
(Takla: isliye to iski factory band hone kii kagar pe h)
Chandrashekhar: ab inhi ki wajah se hii meri factory bach jaygi…
Raj aur takla bas ek-dusre ko hi ghoor rhe the….tab tak raaj kii bus aa jaati h……
chandrashekhar: chalo bhai raj tumhari bus aa gai…
Raj: thik h sir, main chalta hu….. aur apna saaman bus me ladwane lagta h….
Avinash ka mood kharab tha isiliye raj k jaate hii wah chandrashekhar ko ...chai ki tapri pe le jaata h…
Avinash: kya bhai chandrashekhar!! ….kisi bhi aire gaire ko advisor bana rakkha h… na degree h, na padha likha h
Ab chandrashekhar ne to uski kaabiliyat ko apni aankho se dekha tha chahe mashin sudharna ho…. Drawing ho…...Ya aisa plan banana jo sabko aaram se samjhaya ja sake…
Chandrashekhar: wo niranjan ki factory ka bhi advisor h…. Usi ki wajah se ….niranjan ki factory me aur v munafa hona shuru ho gyaa h …… (aaj hii meri usse baat hui …..)
Avinash: thik h mujhe usse kya…
Chandrashekhar: are! Tu itna chidh Q rha h...... (uss bachche se) …… sach m niranjan ki factory me lagat kam aur utpadan jyda ho gaya h
Avinash: thik h! m chalta hu..
Chandrashekhar: degree nahi vyakti ki kaabiliyat dekha karo…
Avinash(man me): kaabil aur wo ladka…..httttt!!!
Wahu raj ki bus ghar ke liye nikal chuki thii….. bus me..
Raj: Hmmm... bss 50rs hii bache h….. wo jaldi paise banane ke khyalon m dooba tha...
Thodi der baad:
Jab tola…bus adde me chabutre ke pas, wah bus se utarta h ... (waha kallu aur meena dono hii khade the)
Kallu bori ko peeth pe laad ke chal deta…. Wahi meena thaile ko hath me uthake sath-sath chalne lagti h
Tino k hatho me saman the …..
Kallu: aaj bohot achha dikh raha h baal katwake...
Chal mere ghar chalte h……wahi se mai doodh lene jaunga to sath hii chal denge…
Raj: thik h!!
Meena: jo raju ko pasand karti thi ...bich-bich nazre tirchhi kar uske iss naye roop ki or dekh...rahi thi
~~~
Ghar pahuchkar raj bori aur thaile se saaman nikane k bad …..meena aur kallu ko paper pe chizo ka thok price ….. aur kitne me benchna h ….munafa kitna hoga ….. hamari dukan se lene pe logo ko chhut kitni milegi aur kaise milegi sb samjhta h...
Kallu: lekin ham unhe chhoot kyun denge! isse to hme hii ghata hoga….
Raj: wo ghata nahi, kam munafa kehlata h.... wo bhi sirf kuchh hi chizo pe, isse baaki chize bhi bikene lagegi..
Kallu aur meena ko kaafi pehlu ginane pe unhe smjh aa hii gaya ki…. isi tarah se maal jaldi khatm hoga aur baaki jo gaon ki 2 dukaane h unke grahak hamre yaha aayenge…
Fir kallu raj k sath nikal padta h uske ghar ki or….
Ghar pahunchte hii raj hath muh dhone laga….wahi kallu doodh leke ghar chala gaya…
Fir Jese hii raj hath muh dhoke aaya to seema uske liye chai le aai …. raj soch raha tha, aaj to naya look leke aaya hu ....ye kuchh bol kyu nahi rahi..…..kya jo kapde laya hu seedhe hath m pakda du…ya …hasshhh…..kya karu???
Tabhi wah janboojhkar garma-garam chai apne hath me gira leta h…. Jisse uski chikh nikal gai….
seema turant hii aake uska hath dekhne lagti h…yahi to raj chahta tha lekin uski najar….seema k hatho pe pehle pad jaati h…
Raj: kaise ho gaya…ye??……Seema chup!!!….
(Raj usse baar-baar puchhta h lekin wo koi jawab nahii deti bas najre niche kiye khadi rehti h)
To raj uske hath ko zor se daba deta h….. jisse use kaafi dard hota h….. (raj ka bhi mood kharab ho raha tha!!!)
'amma' ne kiya h na??…..seema chup!! ……Raj gusse se uska hath mod deta h….. agr nahi batayegi to aur bhi jyda dard hoga ….
Raj(zor se): Ammma!!….. seema mundi hilate huye use hnn kehti
Raj( gusse se): lagta h… budhiya k din bhar gaye ….ab se tin time ka khana band..... din m do baar hii khana milega… (ghar se nikal diya lekin iski akal thikane nahi aai)
Tum kal se...dopahar me khana dene nahi jaogi..
Seema(sisakte huye): ..pa..par galti meri h!!
(Fir raaj dant-dapatkar usse sara mazra smjhta h)
“ek kanch ki chiz tootne pe itna mara”…….
seema ko apne pas baithate huye “Dhyan rahe, aaj k baad, tum par, kisi ka v hath nhi uthna chahiye"……Aur hnn aaj waha k liye khana bhi mat banana
Seema: par..
Raj: jitna kaha h ….tum utna hii karo… fir uske hath me wo thaila de deta h ….jisme kapde,beej aur kuchh jaroori saman tha…
Raat m khana banate wakt:
Seema kapde dekhne ke bad bohot khush thi….. pehli baar tha jb uski maa k alawa koi uske liye kapde laya tha….
Khair.....khana banke taiyar ho gaya usne raj ke liye parosa…to
Raj: apne liye bhi laga lo!! ….. ab se mere sath hii khaya karo..
(Ruchi doodh rooti kha rahi thi …..wahi raj seema ki taraf dekhte huye khana ......kha raha tha …..seema ki najre bhale hii niche thi, lekin use …iss baat ka pata tha ..….raj use hii dekh raha h)
chai girne pe kaise daudi aai thi…… matalb fikra to bohot karti h … (yahi sochke raj ke chehre pe mushkan fail gai..)
Thodi der baad jab teeno lete huye the….. raaj seema ko batata h …….agar kuchh bhi chahiye ho to…....ab apni bhi ek dukaan h…. (Semaa raj ki baaton pe bas hun hun…. Kar rahi thi..)
Raaj: sabjiyon k beej bhi laya hu to kal se tumhara bas ek hii kaam h …… achhe se sabjiya ugaana..
Seema: hmmm…
Fir raaj use batata h usne bank me khata khulwa liya h ...
Seema: humm...
Raj:
(Frustrate hokar ek dam se….. seema se chipak jata h……)
Seema k to sare emotion hii gayab ho gaye the wah kisi sookhi lakdi ki tarah….. akad jaati h...
Raj ne jese hii use apni or paltaane ki koshish kii…… seema ka hath dukhne laga..
Wo turant uthke baith gya…. Aur uske hatho pe fook marte huye…. Bohot dard ho raha h kya??….par Seema kuchh nahi bolti..
Raj dekhta h …..hatho se khoon to nahi baha h…. lekin soojan k sath-sath dono hath..... laal pad gaye h...
Use yaad tha, agar khoon nikla ho to burf ya thanda pani …..
lekin bas soojan hii h.... to garm paani kii sikai sabse achhi rhti h..
Thodi hii der baad wah pani garm karke laata h aur....... uske hatho ki sikai karne lagta h…. iss bich dono ke man vicharon ki baadh aa chuki thi…
seema apni dhadhkano ko control kar rhi thi …usne socha tha, pehle jo hua wo use bhula degi…..usi disha me badhte huye wo inn palon ko sanjone ka prayash kar rhi thi...
Wahi raj ko ye sab karke bohot achha lag rha tha
“Jaha ek apni care karwa ke khushh ho raha tha wahi dusra uski care karke”
sikaai ke baad raj ne seema ko jyda pareshan karna thik nahi samjha….
to uske sath hii chupchap let gaya…
Dono hii aage badhna chahte the …..par himmat koi nahi kar raha tha ….....
Thodi hii der bad...
"khyalon kii naav ke do sawar" gehri neend me chale gaye….
.
.
.
.
Keep loving keep supporting
Thank you
Bhai Bahoot Achha likh rahe ho
Thank you!! (3 update~15k words)Bas Updates Regular lao if possible......Baki Life hai......irregularities aa bhi gai to bhi INTEZAAR rahega
Good Luck
Bhai koshish karo weekly 2 updates ki
Thank you!! (3 update~15k words)
Update on every 7th day...(Aj 18 din ho gaye h kahani start huye....)
Update 3