If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.
To kahani ki shuruwat hoti h tola naam ke ek gaon se .....
Jahan par ek budhiya baura gai thi aur apni bahu ko lathi se betahasha mare jaa rahi thi.....Amma!!!...Amma!!..chhod do hame.......jaane do mene unhe nahi mara... amm..ahh!!!...Karke wah aurat roye ja rahi thi..
Usne apni bachchi ko aanchal me chhipaya hua tha......Uske sharir par ab tak bahut sare ghavon ke nishan ban gaye the.... lekin usne bachchi par, ek kharonch tak nahi aane di...
Budhiya: are! Dayan bhi sat ghar chhod ke khati hai.....lekin tu Manhoos!!... pehle to mere bade bete ko kha gai aur ab......hyee ram!!...
hey bhagwan! Mai kya karun ....mere budhape ka sahara .....mera sabkuch chhin gaya ...hyee!!! Mera raju..mera beta ....bhagwan mujhe mera beta lauta de ....budhiya chhati pit-pit kar rone lag jati h....
Achanak use fir se gussa aa jata hai ....theher ja tu dayan tujhe abhi batati hun kalmuhi...karamjal....iitne sal ho gye byahe .... vaarish to de nhi pai .....mere do do beto ko nigal gai
Aur lathi uthakar fir se pitna shuru kar deti hai ....kulakshini! Muft ka thoosti rhti h......kitna mana kiya tha suresh ko bina len den byah na kr lekin uski mati mari gai thi!.....
Muii... kuchh leke to aai nahi...... pura ka pura ghar kha gai....Tabhi unke kaano me ek aawaj sunai deti h .....ye budhiya!! kyu mar rahi hai... chhod.. chhod..de..us aurat ko .... Aur wo ladka khade hone ki koshish karta h
Wah kisi tarike se zor laga ke khada bhi ho jata h ....par uska sharir ab bhi hawe me jhoom rha tha.....wah jese hii apne aas pas nazar daudata h .....uski nazar diwar par tange panchag(calendar) par padti h...
Donk aawak usi ki taraf hi dekh rhi thi ...unhe ye kisi chamtkar se kam nahi lag rha tha...lekin wah ladka apne sir ko pakad leta hai ....Aur achanak hi chakkar khake gir padta hai
Budhiya daud ke uske pas jaati hai....beta rajbhuwan ...uth ja bete.....mera beta...bhagwan tera lakh lakh shukra h tune mera beta mujhe lauta diya..
Wah aurat bhi ladke ke paas aa jaati hai aur uske haath ko pakadne hii waali thi ke.... Budhiiya fir se bhadak gai... Apne ye mahoos hath door rakh mere bete se..
Khabardar agar mere bete ko chhua bhi to ....ab mai teri parchhai bhi apne bete par nahi padne dungi....nikal ja is ghar se ....
Iske bad bhi jb wah aurat apni jagah se nahi hili..... to budhiya use dhakke mar ke nikalti hai.... Tujhse badi besharam aurat mene zindagi me nahi dekhi...jake kahi mar kyu nahi jaati..
Wah aurat khush thi ki ... uske pati ko kuchh nahi hua..... lekin rote huye use wahan se jana hi pada, wah bahar hi ek jagah apni beti ko leke beth jaati h
Bachchi bahut bhookhi thi....mummy khana!!..... wo aurat use chup karane ke liye dularti hai... beta! Thodi der ruk jao fir mummy aapko doodh roti khilayegi...aur use gudgudi karne lagti h....bachchi khilkhila ke hansti h .....lekin us aurat ki rulai foot padti h
Yahan andar rajbhuwan ko honsh aa gaya tha....lekin uthte hi wah apna sir pakad leta hai....pani... hahh...pani,..
Budhiya: are kahan mar gai ...pani leke aa .....
(wahi ladke ke dimag me rajbhuwan ki sari yaade ghumne lagi)
Uska sir chakrne laga or fir behonsh .....are kaha mar gai .... Budhiya sach me satiya gai thi... Wah uthkar bahar aa jati h..
Behri h kya...mera beta kab se paani maang raha h..... maharani yaha aaram farma rhi hai...kaisi dheeth aurat h re tu......ye sunte hi wo aurat ghar ki or jane ke liye jaise hi kadam badhati hai
Budhiya ko honsh aa jaata hai.....teri himmat kesi hui mere ghar me daubara kadam rakhne ki...(Aur fir se use jali kati sunane lagti h)
Wahi ladke ko fir se honsh aa gaya tha ....uske dimag me eksath do logo ki yaade chal rahi thi ek to wo jis ke sharir me wo h aur dusri us ki khud ki yaadein....
Raj: age 23
Maa: professor
Pitaji: doctor
Paidaishi rhees aur ghamandi.... Maa baap ne bachpan me hi sath chhod diya ....lekin purkhon ki sampatti itni ...ki aage ki sat pushte ghar baithe kha sake...
Par launde ko ispe ghamand nahi tha balki usko ghamand tha uske khudke dimag par .... (Chahe koi pratiyogita ho ya pariksha.... hamesha first)
Life kitni boring hai yrr...na koi maza ..na koi adventure...Raj apni car me bethe yun hii bhagwan se shikayaten kar raha tha ....aur apne aap se hi baate kiye jaa rha tha
Pahadi wale raste par... mausam ekdam awesome.... Aur launda apna chakachak .... ahhh kya khopdi di h uperwale!!!...
Mere brain ki ek nas ....nas me hi itna jyada dimag h ki pura ka pura sheher nap jayega...
Ghamand me choor apni hi tarifon ke pul bandhte huye....launda ja hi rha tha ki ........ uski gaadi achanak se behek jaati hai ....wo use niyantrit krne ka prayash krta h ....lekin break hii nahi lgta....aur gaadi khai me ja girti h...
Back to present:
Raj aankhe band kiye hue sab kuchh analyse krne ki koshish kr rha tha...uske dimag me calendar aur rajbhuwan ki yaadein chal rhi thi....tabhi wah zor se chillata hai adventure!!
To main wakt me pichhe aa gaya hun......wo budhiya meri maa thii...aur...main...main..m.
Main...Ek juari hun..... Or juye m apni saari fasal gawa chuka hu ......kuchh der sochne ke bad...hmm ....hmm ...chalo thik h....samhal lenge....koi ...na .....tabhi raju ki yaddast se ek aur jhalaki use dikhai deti h...
Jisme wo sharab peeke apni biwi ko mar rha tha..... hmm.. humn..humn ...chalo koi na use bhi mana lenge... thik h...hmm.....tabhi achanak se ....kyaaaa!!! iska matlab meri shadi ho chuki hai...
bhagwan main aapko bata raha hun.... isse ghatiya aur zillat bhari zindagi na.... kisi ki ho hi nahi sakti!!......
"Zindagi me kick mangi thi .....par aapne ye kaisi laat maari h prabhu"
Introduction:
Budhiya: Kusum bai (age 47)
Hero: Rajbhuwann (age 19)....ji han 23 sal ka ladka raj...19 varshiye sharir me
Wife: Seema (age 24)
daughter: ruchi
Past:
Rajbhuwan ke 3 bhai h..... jinme se suresh(28) sabse bada h....Aur Rajbhuwann ko chhodkar .......sabhi ki shadiyan ho chuki h
suresh apni patni ka zara bhi khyal nahi rakhata tha ....shadi ko ab 5 sal ho chale the... Uska vyavhar shuruwat se aisa nahi tha...... Lekin jabse uske yaha beti hui thi... Dheere dheere uska vyavhar seema ke prati badalne laga.....(Ji han Seema, suresh ki patni h)
Suresh, seema ki khoobsurati dekhkar fida ho gaya tha....isiliye usne khud hi bina len den shadi ka prastaav bheja tha..... ab Chunki Seema ke pitaji bhi iss duniya me nahi the aur bina dahej ka rishta......khud chalke unke ghar aaya tha ....to aise rishte ko kon hii hath se jane deta h
Suresh ki iss baat se seema atyadhik prashann thi ..... Aur usne than liya tha..... halaat chahe jo bhi ho wo harhal me suresh ka sath nibhayegi.... ghar me kabhi koi pareshani nahi aane degi....…. aur ek achhi jeevansangini ki tarah...... suresh ke sath jiwan bitayegi
Suresh ke parivar me, pidhiyon se...... pehli santan hamesha ladka hii hota aaya tha ...aur jab suresh ko ladki hui to uske rawaiye me badlaw saf jhalakne laga.... Usne bad me koshish to bohot ki ....agli santan ladka ho lekin.... saare prayas vyarth rhe.... Kyunki Seema ko uske baaad koi bachcha hi nhi hua..
Rajbhuwann ko jab bhi pese ki jarurat padati to wo suresh se mangta ....... Yhi baat seema ko khatakti thi.... Kyunki seema janti thi raju pese kaha udata h... isiliye Rajbhuwann aur seema ke bich 36 ka aankda tha.....
Saadi ke itne saalo me bhi suresh ne seema liye kuchh bhi dhang ka nahi kiya tha....yaha tak ki seema ke kapde bhi wahi hote the jo uski maa uske liye bheja karti thi...
Charon bhaiyon ke bich batwara ho chuka tha.... To sabhi apne apne gharon me rehte the ...ek raat jab rajbhuwan ke ghar me aag lagi to suresh use bachane ke liye ghar me jaane laga..... seema ne use rokne ki bohot koshish ki lekin wo nahi ruka...
Aur ant me suresh ne Rajbhuwann ko bacha liya......par Rajbhuwann ko bachane ke chakkar me usne khud bohot saara dhuan nigal liya tha...
Jiski wajah se uski haalat bigadne lagi.....or Achanak se dhadam!!! Wo Niche gir pada aur haanfne laga...wahin Raajbhuwan daaru ke nashe me choor niche hii pada raha... use zara bhi honsh nahi tha ke aas pas kya ho raha h...
Seema ghabrakar suresh ko tham leti h ... Aur uska sir apni godi me rakhke rone lagti h......ye Kya ho gaya aapko! ..... Aankhe kholiye...
(Aas-pas se ekatthe huye log bas tamashbin bane sab dekh rahe the)
Tabhi budhiya jo ki kheton me rakhwali krne gai thi...jese hi use khabar mili ..... daudi chali aai.... Usne suresh ko dekha Aur jor jor se Chhati peetne lagi ...
chala gaya! Mera beta mujhe chhodke chala gaya...
Mahaul Gamgeen tha... Rajbhuwann ko ab halka halka honsh aane laga tha.......aur jab usne aas pas ke mahaul ko dekha ....to use pata lag gya ki... uska bhai ab is duniya me nahi raha.... wo jese hii uske pas gaya... Seema ne khinch ke ek jhapad mara ....aur rone lagi..
Seema ki maang sooni ho chuki thi...aur ab uske pas uski beti ke alawa kuchh bhi nahi bacha tha... Kuchh din aise hii gujarte gaye
Gaon walon ke kehne par budhiya Rajbhuwann ko seema se shadi krne k liye manati .... ... Rajbhuwann ko to juye ki lat thi isme use jese hi fayda nazar aaya .... Usne han kar di
Budhiya: Agar tune seema se byah kar liya to suresh ki jaydad bhi teri ( jadui shabd jisse raju man gaya)....
Par seema Rajbhuwann se byah ke liye zara bhi taiyar nahi thi... kyunki use uski aadton ka pata tha...
Aur uske man me rajbhuwan ke liye siway nafrat ke kuchh bhi nahi tha ... aakhir ho bhi kyun na suresh ne Rajbhuwann ki khatir hi use kai baar peeta tha ......wo aksar hi Rajbhuwann ko pese na dene k liye... suresh se kehtii......aur uski buri aadton ke baare me shikayat krti.....lekin ispar bhi, mar use hi padti
aaj Rajbhuwann ki wajah se hii uski mang sooni ho gayi thi.... Rajbhuwann bhi seema se nafrat karta kyunki wo suresh se uski shikayaten lagati rhti ...uska maksad ... Raajbhuwan ko sudharna tha ...... lekin Rajbhuwann thehra bailbuddhi......
Seema par bohot jyada dawab dala gaya ...wese hi us par saamjik dawab tha vidhwa hone ki wajah se ....sabhi uski or ghrina ki drishti se dekhne lage the...uski maa ne bhi use Rajbhuwann se shadi krne ki raye di..
Aur budhiya...to thi hi chalu chiz .... bhala wo kese chookti ...... baat bat par use dhutkarne lagi aur kaafi jyada jali kati sunane lagi ....... uski bachchi par baap ka saaya na hone ka taana ....bhi use roj sunne milta ...aakhir me... haar manke usne Rajbhuwann se shadi kar lii..
Shadi ke baad Rajbhuwann seema ko khoob maarta ....har raat daaru peekar aata ...... tamasha karata..... Aur Bechari seema ...apni bachchi ke liye sb kuchh chupchaap sehti ..rehti..
Ek din Rajbhuwann peson ke liye seema se jhagada kr raha tha... Kyunki Use pata lg gaya tha..... jb bhi uski maa aati h .....kuchh na kuchh pese.... deke jaroor jaati h...
seema ko bohot mar padti h... Lekin wo use ek pesa nahi deti....
(Rajbhuwann ka gussa dheere dheere badhta ja rha tha)
Par jaise hi wo bachchi ko marne ke liye badha..... seema ke andar ki mamta jaag gai aur usne pichhe pada....tawa uthake .....uske sir pe de mara.... Bhadamm!!!! ....Rajbhuwan niche gir pada... aur kuchh hi der me uski saanse tham gai...
[To ye tha story ka background...... aur sabhi patron ko introduce nahi kiya h, samay aane par wo khud ba khud prakat honge.... tabhi unse aapka parichay bhi kara diya jayga]
Back to present:
Budhiya..gilas me pani leke aati h..... beta! raju .....aankhe khol beta ....Raj apni aankhe kholta hai..
Budhiya: ab kaisa lag raha hai beta.......
Raj: amma!! seema kaha hai??
Budhiya: naam mat le us kalmuhi ka.... usi ki wajah se ....teri ye halat h...
Raj(zor se ruk rukar): seema?? ...kaha?? ....hai??
Budhiya: humm....tujhe ye teri ... amma nazar aati ...... padi hogi kahi..... nikal to diya tha ghar se.....
Raj uthke jese hi khada hota hai.... use sharir me kamzori mehsoos hoti h....uske sir se kaafi saara khoon beh chuka tha ....wo paas hii padi tauliya uthata h aur apne sir me bandh leta hai.....jisse use dard na ho.....khoon to pehle hi rook chuka tha
Budhiya: kaha jaa rha hai beta ....aaram kar....Raj budhiya ki baat pr dhyan diye bagair aage badh jaata h ...... kyunki use yaad tha .....kahi na kahi jitne bhi kalesh ghar me huye h....uske pichhe budhiya hii thi..
Lekin ab wah Rajbhuwann nhi raaj tha...seema se kese baat kare..... Rajbhuwann ne to kabhi usse pyar se baat nahi ki ......aur achanak se ye badlaw dikhaana .....use sahi nahi lag rha tha...... to usne kathor bane rehne ka nirnay liya aur bahar chala gaya
Seema bahar hii bani ek patti par bethi thi.....aur ruchi uski god me so rahi thi
Raj...bahar kyu baithi h??.....chal andar....par seema kuchh nahi bolti bas baithi rehti hai..... to raaj uske pas jaata hai....aur thoda pyar se bolta hai ...aaj ke baad tujhe kabhi nahi marunga .....chal ab uthja ...aur use andar leke aata h..
Seema ko dekhte hi budhiya ka khoon jalne laga..... Aur wo chillai.... raju!!! nikal is besharam ko ghar se bahar..... ye aur iski ye manhoos beti....ab se iss ghar me nahi rahegi..
Raaj...Zor se chilllata hai....Ammma!!! ..... Seema aur meri beti isi ghar me rahengi ...... Tum jaake bade ghar me raho (Suresh ke ghar).....
Budhiya: beta iss kalmuhi ke chakkar me tu apni maa ko ghar se nikal raha hai.....bhool mat mene teri har baat maani h....zara soch me budhiya kese rahungi waha?? ..
Raaj: amma ab se tum wahi rahogi..... Teen wakt ka khana main tumhe khud dene aaunga .....seema!!' bade ghar ki chabhiya kaha hai'....
Seema chabhiya lakar raj ko deti h..... raaj unhe apni amma ko pakdate huye... abse is ghar me aane ki koi jaroorat niii h....
Budhiya....chhati peette huye chilla rhi thi.....jiski aawaj se ruchi uthke rone lagti h .....to seema uske pas jake use chup karati h
Raj....amma!! Yaha Jyada tamasha karne ki jarurat nahi h.... main tumhe achhe se janta hu.... Ab jao yahan se.....
Jb budhiya ke chillane ke bawjood raj par koi fark nahi pada to use harkar bade ghar jaana hi pada..
Shaam ho chuki thi ....seema jaake gayon ka doodh duhti hai....aur fir raat ke khaane ki taiyari karne lagti hai.... jabki raaj kamjoori ki wajah se aaram farma rha tha..
Raaj ke ghar me 3 kamre he jinme se ek me wo rehta tha, dusre me seema aur ruchi...jabki teesra kamra amma ke jaane ki wajah se khaali ho gaya tha..
Rasoighar me kuthle banne ki wajah se chhoti si jagah bachi hui thi wahi mitti ka chulha bana hua tha....(Kuthla: mitti se bana hua chaukor anaj bhandar grih)
Ghar ke pichhle hisse me saar bani hui thi jaha par sabhi gaay aur bel bandhte the...ghar ke aage aangan tha jiske ek kaune me tulsi lagi hui thi aur usi ke pas hi seema ne bhagwan ko sthapit kiya hua tha..
Ghar ke aage kaaton ki baari/baadi lagi hui thi jiske andar unhone chhoti moti sabjiya laga rakhi thi.....(Dhaniapatti, mirchi vagerah).....To ye tha ghar ka structure
Din doobe kaafi wakt ho chuka tha.... Aur Charon or andhera chhane laga tha.....seema bhi khana bana chuki thi lekin uski himmat hii nahi ho rahi thi raj ke pas jaane ki...
Seema ruchi ko doodh rooti khilati h....... use bhi bhookh lag rahi thi lekin wo raj se pehle nahi khati thi .....isi chakkar me use kai baar bhookha sona padta tha ...... (raaj nashe me aake maar pit karta aur bina khaye hii aksar so jaata)...
Seema ko jese hi amma ka khyaal aaya ..... wo himmat karke raaj ke pas jaati h...... Jo jameen par pada hua So raha tha..
Seema aankhe niche krke ek hath se dusre hath ko masalti h ..... Aur darte huye raaj ko aawaj lagati h ....Suniye!!
Raj...apni aankhe kholta hai...aur unko malte huye...hmmm...ab seema ki to sitti pitti gul ho chuki thi...wo..main... main... aap amma ko khana de aaiye..
Raj angdai lete huye.... thik h!!!...aur jaake muh dhulta h...... tb tak seema ne kuchh rotiyan bandh di thi sath me sabji aur ek glass doodh ...
Raj jab jaa rha tha ..... use bada hii ajib lag rha tha kyunki rasta to jana- pehchana tha lekin aise lag raha tha jese wah pehli baar iss par chal raha ho...raaste me wah sochta h
Ye 1979 hai ....mujhe is mahaul se jald hi waakif hona padega.... Achha hua iss chutiye ko sharab ki lat lage jyada time nahi hua ....warna mujhe to jarjar sharir hi milta... jiska bojh.... zindagi bhar uthana padta.
Wese bhosdika salon se jua khel raha h .... Fir bhi chutiye ke pas kuchh nhi h, gandu kahi ka...ek tarah se raaj khud ko hii gaaliyan bakte huye... bade ghar pahuch jaata hai...aur amma ko khana pakdate hii jaane lagta hai
Budhiya: beta raaju.......raj: mujhe bhookh lagi h mai ghar ja rha hu....ab Subah hi aaunga ....aur bina pichhe dekhe...... nikal padta hai ghar ki or...
Ghar par..
Seema ruchi ko sulate sulate khud bhi uske sath let jaati h.... Kyunki use pata tha ab sayad hi wo aaye...
Lekin ab wo Rajbhuwann nahi raj tha..... jo juye aur nashe Jaisi cheezon se koson dur rehta tha....wo ghar pahunchte hi aawaj lagata h..
seema!!..seema!! Wo..use rasoighar me dekh raha tha jb use wah waha nahi milti.... to wo uske room pahuchkar aawaj deta h seema!!.....
seema uth jaati hai aur jese hi raj ko dekhti.....darne lagti hai ...use laga tha fr mar padegi..
Raj: khana laga bhookh lagi h....seema neeche nazre kiye seedh rasoighar me jaati h aur....ek thali me roti sabji aur katori me doodh leke aati h..
Dibbi/dibiya ki roshni me kuchh jyda dikhai nahi de rha tha ....raaj niche palthi mar ke baith jaata hai...jab wah rotiyo ko dekhta h to hath ki bani hui moti karari rotiyan thi
Lekin jese hi wah roti ko todta h wah andar se kaafi narm nikalti h aur sabji ke sath milkar jb usne khaya ....... To use bohot swadist lagi.... Sath hii ek roti ko masalkar doodh me fula deta hai... seema uske pas hi bethi.....use khate hua dekh rahi thi
Raj....roti me sabji lagakar uski taraf .....hath badhata hai.. par seema k liye ye sab naya tha..... usne kabhi bhi kisi patni ko uske pati ke hath se khate huye nahi dekh tha...
Raj...are!! khao na.....to seema muh kholti hai .....aur raj use khilata hai.. (raj ko samjh nahi aa raha tha... kis bhukkhad ke sharir me aa gaya ...pet h ki kuwa bhar hi nahi raha ...ab use to kam khane ki aadat thi......lekin yaha ke sharir ki dimand kaafi jyda thi)
Raj ne bhi ye mehsoos kiya tha.....uska ye sharir pehle wale se jyda majboot h.....aur ho bhi kyun na gaaon ka balak h apna chhora..
Khair bhojan ho jaane ke baad raj apne kamre me jaata hai ....jaise hi wah let ta hai use bohot ajib lagta hai.....use to aadat thi mattress par sone ki aur yaha to gadda tak nahi tha...
Piyar tha jisko kapde ke andar bharkar gadde ki shape di gai thi ( ye love wala pyar nhi ..... Ye Piyar h, dhan gehne ke baad jo uska avshesh bachta hai wahi chara ....piyar kehlata h...alag alag jaghon par iske alag alg name h, bundelhand me log isko piyar hi bolte h)
Kaafi koshish karne ke bad use nind aa jati....lekin jald hi toot bhi jaati hai.... To wo uthke seema ke kamre me jata h aur ....uske bagal se let jata h...
Subah jese hii seema ki neend khulti hai.....wo dekhti hai raj ki ek tang uske uper rakhi hui thi ....wah thoda sehem jaati hai fir use side me karte huye.... uth jaati hai..
Ab bhi bahar kaafi andhera tha... Wah jaake hath atta chakki se aaj ke khane ke liye gehun peesne lagti h....Tb tak halka halka ujala bhi ho jata h
Woh... Badhiya fresh vresh hoke naha- dhoke pooja path karti h .... Aur bhagwan ko jal chadhati h....wahi hmare raj maharaj abhi tak ghode bech ke so rhe the!!!
Khair suraj ug raha tha.... chidiyon ki chahchahaat pure vatavaran me gunj rahi thi... Aur Raj bhi uth chuka tha.... uthte hi usne ruchi ko kis kiya.....aur bahar aake datun karne lagta hii
Seema chai bana rahi thi.....aur thodi der baad raaj ko dene aati h...kal se ab tak kuchh bhi nahi hua tha ....isiliye.. Uska dar.... abhi pehle se kam tha
Raj jese hi "pure doodh" ki chulhe me bani chaai peeta h... Bhagwan ko dhanyawad deta h bohot sahi jagah bheje ho guru...
Chay pite pite hii raj peson ke bare me soch raha tha ki tabhi..... uske dimag me aata h ...are mere pas khet h to sahi ..... Chalo dekh k aata hu....aur nikal padta h kheton ki aur..
Raj ke pas lagbhag 10 ekad zameen thi (suresh ki milakar) ... Wah kheton ko gaur se dekhta ....abhi unme kuchh bhi nahi laga tha..sab khali pade huye the ..sabhi jagah ghoom ghoom kar dekh lene ke baad wah ek patthar par beth ke apni aankhein band karta h
Aur thodi der baad ek lakdi uthakar zameen par pure area ka hisaab lagane lagta hai.... Ab use kheti to bilkul nahi karni thi....na hi uske bas ki thi... Aur agar wah kisi or se karwayega to 50:50 karna hoga..
Kaafi der sochne ke baad uske dimag me aata h kallu.....wese to kallu ko Rajbhuwann koi khas dost nahi manta tha ........lekin kallu Rajbhuwann ko apna achha dost smjhta tha ..
Kallu ke pas koi zameen nahi thi ...uske baap ne pura ghar bar jue me barbad kar diya tha aur ant me sharabi bhosdika parlok sidhar gaya ... isiliye wah hamesha Rajbhuwann ko hidayat deta juye aur sharab se dur rahne ki......par bailbuddhi sune tab na!!!
Ab kalllu ke ghar me bas uski maa aur behen thi.....jinka pet palne ke liye use dusron ke kheton me kaam karna padta tha .... isse use gujare ke liye kuchh na kuchh mil jaata tha...
Raj..sochta h "kallu badhiya aadmi h yrr".... Fr nikal padta h kallu ke ghar ki taraf..... Kallu ...oye... kallu..
Meena(kallu ki behen): are! Raju .... subah-subah yahan ??
Raj: kallu se kaam tha...kaha h ??
Meena: bhai to pani lane gaya h ...bas aata hi hoga ....chai piyoge
Raj: nahi ghar se pike aaya hu
( Meena, Raju ko thoda thoda pasand to karti thi ....lekin use uski juye aur sharab ki aadat zara bhi pasand nahi thi)
Tabhi kallu pichhe se aa jata....are! Raju ...aaj kaha se din nikal aaya ......subah subah tu yaha???...
Raj: chal!! tere se kaam h thoda..... kallu ke dimag me chal rha tha kahi pese na mangne lage jua khelne ke liye ....lekin fir bhi wah uske sath chal deta h..
Kallu: bata bhai kya...kaam h???...aur mujhe kaha leke jaa raha h...
raaj: are! Bas chal tu Chupchaap...
Aur Raaj use apne khet lekar pahuch jaata h.... dekh in kheton ko pure 10 ekad h...
Kallu: hmnnn hai to....
Raaj: isme se main tujhe 3 ekad deta hu....
Kallu: kya!.... Abe teri raat ki utri nahi kya.... ab tak!!! .... dekh bhai agar juye ke liye khet benchna chahta h to mere pas footi kodi tak nahi h..
Raaj: abe pagla gaya h kya...pehle meri baat sun ...in kheton me fasal tu ugayega... sara kharcha mera ....lekin jb fasal ug jayegi to har 10 bore me se 3 bore tere...
Kallu: lekin bhai mujhe to 5 bore milne chahiye na .....pure 50%
Raj : lekin mai to tujhe 30 pratishat hii dunga ....ab dhyan se sun....
Pehli baat : tujhe alag alag logo ki ghulami nahi karni padegai or na hi unki baatein sunni padegi.
Dusri baat : tu mere in kheton ka maalik khud hoga jitna jyda ugyega utna jyada tere ko milega.
Teesri baat : 30% ka matlab hai 3 ekad ki sari upaj h ...ab bata kaha ghata h.
Kallu: baat to bilkul sahi h teri.... 3 ekad ki upaj se to meri zindagi ban jayegi....lekin tune itna socha kaise???
Raaj: wo sab chhod.....mere ghar me bail bhi h to jutai ki jyda tension mat lena ....lekin tu ye bata 10 ekad ki jutai tu kar to payega ...
Kallu: are! Uski chinta mat kar mere pas sabka jugad h mai kar lunga.... Lekin kya tu ekad gaay mujhe de sakta h
Raaj: kyu...???
Kallu: mere ghar me h nahi ...aur roj roj doodh yaha waha se lana achha nahi lagta...
Raaj: to doodh mang na.... Gaay kyun maang raha h.. roj ghar aake dono time doodh le jaaya kar...
Kallu: aaj to tu mujhe kuchh jyada hi badla-badla lag rha h???
Raaj: apne chhote se dimag pe jyada zor mat dal...ye jo saamne jagah dekh raha h....isme sabji lgani... To bata isme baari kab tak laga dega..
Kallu: mere liye to ye ek din ka kaam h..
Raaj: thik h fir....ye kaam kal tak kara dena.... Main samjhunga doodh ki keemat vasool ho gai..
Kallu: badhiya dost ....aaj sach me lg rha h kuchh to badal gaya h tujhme
Raj: are! Chhod na yrr...chal ghar nashta karawata hu...
Kallu: are! Nahi bhai itni badi khabar pehle maa ko dunga... Wese bhi mere ghar bhi nashta ban gaya hoga...chal mere sath wahi khayenge
Raaj: are nhi! teri bhabhi intezaar kar rhi hongi...main chalta hu.... Kallu raaj ki ye baat sunkar fir se soch me pad gya kya sach me ye wahi raju h..
Ghar me aake raaj nashta karte huye seema ko sabkuchh batata h ......kaise usne kallu ko manaya....aur abse unka koi bhi khet khali nahi rhega...
Sath hii usne uske liye ek jagah chuni h jaha par use sabjiya ugani h....jisme kal tak baadi bhi lag jayegi... Aur ant me use batata hai...kallu aaj se dono time doodh lene aayega...
Seema...to raj ki samjhdari bhari baatein sunkar hairan thi... Sath hii khush bhi thi... Ab se use bohot si chizon se aaram milne wala tha ...
Raaj naasta karne ke baad bohot khush tha.....amma ko nashta dene jate hue ..... wo sochta h kyun na aaj kuchh naya try kiya jaye
Isiliye wah ghar aate hi fatafat rasoi me jaake doodh ubalne rakh deta hai....fir thodi der baad usme neebu ka ras daalta hai....aur chhene ko nikalkar kapde me bandhke rakh deta h
Aaj dopahar m uska paneer khane ka man tha....wahi jab ye sab karte huye seema use dekhti h.. ...to wo bolna to bahut kuchh chahti thi .....lekinn himmat hii nahi kar pati
Raaj: aaj dopahar ki sabji main banaunga .... (Ab seema to or bhi jyada hairan ho gai... Inhe kabse khana banana aa gaya ....itna sara dodhh barbad kar diya so alag..)
Khair dopahar me raj badhiya pneer mashala taiyar karta h... Jiski khushbu to seema ko bhi achhi lagti h.... Lekin wo kuchhh nhi bolti..
Raaj... Ye hote h "pure masale" wahhhh!!! kya khushboo h...... Maza hii aa gaya....
Khair thodi der baad baaki sb bhi bankar taiyar ho gaya ..
Raj ko parosne ke bad .....Seema ruchi ko doodh bhat khila rahi thi.... raaj ne roti me paneer lapette huye ek kaur uski taraf badhya... ,(Aaj usne kal rat ki tarah pehle khud nahi khaya.... Balki sabse pehle seema ko taste karne dia)
Wahi seema....ke man me chal rha tha pata nhi.... kharab doodh ki ye sabji kesi lagegi ....ab mana to kar nahi sakti thi .....to usne kha liya... lekin uska nigalne ka zara v man nahi kr rha tha
Par jab raj dusra kaur uski taraf karta hai to use chabana hi padta h .....aur chabate hi man me....ye to achhi bani hai aur jaldi se use kha leti h...
Raj: kaisi bani h??...... Seema bas mundi hilati hai ...lekin raaj uske expression se samjh gaya tha .... Ki Use bohot pasand aayi.... Khane ke baad raj amma ko bhi khana pahuchane jata h
Sham ke samay...
Raaj kamre me so raha tha....Tabhi Baahar ka Shor sunke uski neend khul jaati hai ...... jab wah bahar aake dekhta h...to Ek aadmi aaya tha jiske sath 6-7 log or the..
Ravi seth: mere pese kab dega raju...
Raj....jb apne dimag par zor dalta hai..... ..to uske uper ravi seth ke 70rs ka karja tha..
Raaj: mujhe kuchh dino ki muhallt aur chahiye ravi seth.... me jald hii tumhare pese chuka dunga .....
Ravi seth: aaj to me pese leke hii jaunga.... kab se ....hann .... kab se chara rah h tu mujhe......aaj tujhe nahi chhodunga ..ye maro re sale ko...jb tak pese nahi deta marte raho
Ab Ye Rajbhuwann to tha nahi raj tha jo ladna janta tha....
khair..... pehle to ek aadmi uske pas aata h jiske main point me markar raaj use..ghutne tekne par majboor kar deta h....
fir dusra aaya..... to raj ne bagal se hote huye uska headlock kiya aur fr pair fasakar jameen par gira diya .......Uss aadmi ki naak se khoon behene laga....
Abhi bhi 5 log baaki the ....to do ne raaj ke baye hath ko pakda .....wahi do ne uske daye hath ko aur bache huye ne pet par mukkon ki Barsaat kar di...itne laat ghuse pade ki raaj ke muh se khoon girne laga....
Aas pas ke log bas tamasha dekhte rhe the (ravi seth ka khauf hii itna tha).... tabhi waha seema aa jaati hai jo khet se ghayon ke liye chara lane gai thi .....jb wah raaj ko iss halat me dekhti h... To uske sir se chaare ki gathri niche gir jaati h.... Wah jaake raj lipat jaati...
Ravi seth: main aurton pe hath nahi uthata.....hat ja tu..... jab tak ye mere pese nahi de deta ....isko mar padti rhegi..
Seema hath jodte huye.....bhagwan ke liye chhod do inhe ... mat maro...rehem karo... Main aapke sare pese lauta dungi..
Ravi seth: pure 70 rs...h .....bata h kya tere pas???
Seema(sir hilate huye): mai leke aati ....aap ruko... seema ghar ke bheetar jaati hai aur chawal ke bich se ek chhota sa dabba nikalti h....jisme 75rs the...jo aaj tak usne badi mehnat se bacha ke rakhe huye the.... socha tha kabhi ruchi ke kaam aa jaayenge
Ravi seth pese leke chala jaata hai.....or seema raj ko uthake ....Bheetar le aati h....
wah uski chot par haldi ka lep laga rhi thi ....par bol wo ab bhi kuchh nahi paa rhi thi...
Wahin raaj aankhe band kiye huye..... sochta h......yrrr sab kitna badhiya chal raha tha ....ye bc ravi seth ko bhi aaj hii aana tha..
Wah apne dimag me inflation aur purchasing power..... sabkuchh calculate kar raha tha..... Jiske hisaab se abke 70rs .....2024 ke lagbhag 1850rs ho rahe the.... Wah man hi man kehta h batao bc 1800rs ke pichh itni mar kha li!!
Tabhi kallu aa jaata h ....aur jb uski nazar raj par padti h to puchhta h ....kya hua bhai???...(seema uske aate hi doodh lane chali gai thi)
Raaj: kuchh nahi yrr.... Bure karmon ki saza h.... tune mana kiya tha jua khelne se ......teri baat na maanne ka asar h..
..khair tu mera ek kaam kr de..... thodi der se aake mere ghar se khana.... amma tak..... bade ghar pahucha dena
Aaj to main chal hi nahi paunga ...
Kallu: abe, isme kon si badi baat hai ..... Abhi aata hu khana khane ke bad
Khair Kallu to doodh leke chala gaya.....lekin raj ki himmat nahi ho rahi thi seema ke chehre ki taraf dekhne ki..... uska wo udas chehra .....raj ke dil ko chhalni kar raha tha
Kallu aake raat ka khaana amma tak pahucha deta h.....
Wahin...Raj soch rha tha ...kal kese bhi karke sheher jana h.....Yaha rehke... Pese to bhool hi jaao....kuchh v nhii milne wala.... Pese to shehro me hote h....
Aaj ki raat .... 'chot ki wajah se' raaj ne khana nahi khaya lekin ...... zor deke seema ko jaroor khila diya...
.
.
.
.
.
dosto bane rahiye raaj ke is safar ke sath....Milte h agle update me..
Dhanyawad
Kal subah, jab kallu raj se baat kane ke baad ghar lauta to usne apni maa ko saara majra samjhaya..
Kallu ki ma: kya!!!..3 ekad, beta ye to bohot achhi khabar h...... lekin us sharabi ka koi bharosha nahi.....Tu iss bare me ek bar... seema se jaroor punchh lena..
Kallu: thik h maa...apki tasalli ke liye puchh lunga..
Kallu ki maa: thik h..thik h, bharosha to nahi ho raha lekin aur kya kaha raju ne??
Kallu: Aur to!!!.....are!! han aaj se doodh wahi se aaya karega, sham ko lene to me chala jaunga lekin subah meena ko bhej diya karna.. Kallu ki ma: ye to or bhi badhiya khabar h.... Kallu: wo sab to thik h lekin mujhe kal k kal hi..... aam ke pas wali jagah par baadi lagai h.... Raju keh raha tha bhabhi waha sabjiya lagayengi..
Kallu ki maa: are! to main chalungi na tere sath...... aur tu kahe to meena ko bhi le chale
Kallu: nahi!!! Hm dono hi bohot h sham se pehele kaam khatm karne k liye.. ....aur aakhir me us khet ki sabjiya khane .....hame v to milne wali h...
Kallu ki maa: kya?? To tune iss bare me bhi usse baat kar li...
Kallu: are! Maa raju mera dost h .... ye bhala koi kehne puchhne ki baat h..
(Sham ko mar khane ki wajah se... lete lete raj ko halki neend aa gai thi...thik usi wakt kallu bade ghar tak Amma ko khana pahuchane ke liye daubara wapis aaya......aur tabhi usne khet wali saari baatein seema se confirm kr li)
Rat me jb raj leta hua tha.... use neend nahi aa rahi thi, maar khane ki wajah se sara badan toot raha tha ...aur uske samne seema ka wo udas chehra bar bar aa rha tha...
Raaj: Bhagwan!! ab to khush ho na aap! ......hsshh!! Kya hi lode lage pade h zindagi ke....ek to is mc ne jua khel ke sari fasal barbad di.... uper se Ravi seth, 'behen ke lode' aaj hi marna tha tere ko ....sala ab to m seema ke kamre me bhi nahi ja sakta....kaha sab thik karne chala tha...aur kya ho gaya
Pareshan hoke jb raaj ne apni aankhe band ki.....to dheere-dheere uska man shant hone laga..... aur jese hi uska man shant hua, dimag kaam karne laga... Aaj jo v hua usme meri kya galti thi??.....ye sab to us gandu ka kiya dhara h ....sshh!!! sala iski yaadon ne confuse kar rakha h, Pata hi nahi chalta galti kiski h ...
Hmm... to thik h, Kal sabse pehle sheher nikalte h, wahi se shuru hoga ....."iss naye jivan ka safar"
Raj ko bistar bohot hi uncomfortable lag rha tha isliye man me counting krne lagta h, taaki neend aa jaaye....aur kaafi koshisho ke baad wah gehri neend so jata h
Khair raat gujri subah hui....Seema apna daily routine follow krte huye pehle aaj ke liye aata taiyar karti h...aur fir naha dhoke pooj path..
Suraj nikalne wala tha...chidiya chahchahaa rahi thi... to Raaj bhi uthte huye Angdai leta h aur hath pau stretch karte huye ...bahar nikal aata h
Use yaad tha .....aaj sheher nikalna h isiliye fataft se datun karke ....nahane chala jaata h...
Wahi seema nashta taiyar karne me lagi thi....tab tak raaj naha-dhoke wapis aa jata h
Subah se ek bhi baar dono ka 'aamna-samna' nahi hua tha..
Khair.....Seema chai leke aati h, aur raj ko pakdake, ruchi ke pas chali jaati h
Raaj chai peete peete sochta h.... Bc iske sath itna bura vyavhar hota aaya h, iske baad bhi ye aurat itni achhi kyun h.... abhi kal kal jo hua, mujhe to laga tha kuchh dino tk roothi rahegi..
Wo abhi ye soch hi raha tha k.....seema wahi aangan me aake....taar me kapde daalne lagti h
Raaj ka dhyan iss wakt kahi aur tha, lekin jese hi kapde se pani ki boond chhitak ke uske maathe pe padi... wo seema ki or dekhne laga
Suraj se aane wali, subah ki sheetal kirne seema pr pad rhi thi..... Jisme se nikharta hua uska ye roop...raj ko mohit kar raha tha....gadraya badan, chikni kamar... uper se leke niche tak "sundarta ki murat"!!!
Seema ko bhi ab ye ehsaas ho gaya tha, ki ....Raj use hi ghoor raha h... tabhi dono ka dhyan bhang karne wali dhwani unke kaano m padti h....Bhabhi!!
Meena: Are!! itni jaldi.....aapne subha-subha kyu naha liya, kahi jaana h kya??
Seema: Nahi! Banno, me to roj isi tarah, subah hi nahake taiyar ho jaati hu..... Par aaj doodh lene tum aai ho??
Meena: hn, bhabhi.... Aur av se subah, me hi aaya karungi..
Seema: thik h lekin pehle nashta kr le..
Meena: are!! nahi bhabhi, bhai aur maa chai ka intezar kr h aur unhe bhi to nashta karana h....
Seema: thik h! fir kabhi kehte huye, use doodh pakda deti h.....
Meena ke jaate hi Raj Seema se kehta hai.....Seema! m aaj sheher jaa raha hu kaam talashne.... par seema ki taraf se koi jawab nahi aata
Raj: abhi to meena se hans-hans k baat kar rahi thi... aur ab dekho..... tabhi seema uske pas nashta leke aa jaati h Raj nashta karte huye, bas use hi dekh raha tha .... to wahin seema,tirchhi najron se use aisa krte huye dekh rahi thi..
Wahi dusri taraf:
Ghar pahunchte hi meena.... sabse pehle chai banne rakhti h aur fir nashte ki taiyari m lag jati h..
Kallu: maa aaj baadi lagane ka kaam nipta lete h.... Fir kal se jutai chalu kar denge
Kallu ki maa: hn beta!! ab or der nahi karni chahiye..... Gao me sabne jutai chalu kar di h
Tabhi meena waha chai leke aa jaati h...aur jb tak ye dono chai peete huye baat krte h... tab tak nashta bhi banke taiyar ho jaata h....
Khair dono, maa-bete nashta krke, nikal padte h aam k pas wali zameen par..
~~
Wahin Jb raj ka nashta ho gaya to usne amma ke liye nashta pack karwaya aur seema se kaha..dopahar, ka khana dene chali jaana... Mujhe aane me der ho jayegi..aur nikal pada, amma ka nashta leke...
shehar jaane ke liye raaj ki jeb m footi kodi nii thi....tabhi uski nazar ek bailgaadi pe padi....hmmm..Kaka bhi to sheher jaate rhte h!!! Raaj: aur kaka!!! ...kaha chali sawari???
Kaka: bas bitwa, sheher hii jaa raha the
Raaj: to kaka mujhe v sath le chaloge...
Kaha: thik bitwa, bas ek bar gaadi load ho jaye
Raaj: thik h kaka....tb tk me amma ko, ye nashta de aau aur raj nikal padta hai bade ghar ki or
Wahi dusri or:
Beta!! kallu ye jagah to bohot badi h sabjiya lagane ke liye...
Kallu: hnn maa, aur iski maati bhi badhiya h..
Kallu ki ma: beta kuchh socha, h itni sari jameen pe jutai kese hogi??
Kallu: maa!! kaam utna hii h, jitna me dusron ke kheton me karta tha...aur tum ho to sahi mere sath..
~~~
Raaj nashta dete hi, kaka ke paas wapis aa gaya....
Raj: ho gai kaka loading?? Kaka: bas beta!! ho hii gai....raaj aakhiri kuchh bore uthwane me unki madad krta h..
Thodi der bad:
'Raj aur kaka dono bailgaadi me' .. kaka! ye maal.....ab kaha utrega??
Kaka: factory me utrega, bitua....
Raj: hmm...
"Abhi ke liye factory hi sahi rahegi... Jyada bhatakna v nahi padega'
Raj: kaka! Factory me mere layak koi kaam hoga kya??
Kaka...raaj ki taraf ashcharya se dekhne lage..... unhe lag rha tha, kahi unhone kuchh galat to nahi sun liya ......
(Raju ke karam the hi itne famous!! Poora gaon janta tha raaju kitna bada juari h.....hnn nashe ki aadat use avi avi lagii thi......lekin uski harkaton ki wjh se .......iss baat ko failne me zara bhi wakt nahi lagaa)
Raj: kaka!!...kaka.. are! kaha kho gaye??
Kaka: are! Hn hn beta...kaam...kaam h to sahi lekin tum ...tum kar to paoge...(raj bich me hi) .... Are hn hn kaka me kar lunga...
(Man me ...aakhir aa hii gai, achha hua! factory sheher ke bahar hi thi...... bc 13-14 kilometer m hi dhai ghante barbad ho gaye)
Kaka: chalo bitwa...Tumhe kam dilwata hu.....aur kaka Pahuch jate h .......waha ke prabhari k pas (prabhari- incharge)
Prabhari: aao rambihari aao.... bilkul!! sahi time pe aaye ho!!
Rambihari: bas maalik kripa h aapki.... ye balak h, agar iske layak koi kaam mil jaata to..
Prabhari: hnn hnn, wo waha boriya dekh rahe ho unhe wahaaaaa se uthakar andar rakhna h....
Aur ha bhai ram bihari.... ye rahi tumare aaj ke maal ki kimat..
Raj: kaka... Kb tak nikloge ??
Rambihari: bas beta.... Maal utarte hi nakal jaunga..
Raj (prabhari se): aur m...mujhe kitni kimat milegi?
Prabhari....raj ko uper se niche tak dekhte huye......10 bori pe 50 paisa...(1/2₹)
Raj(man me): ye bhosdi ka! mujhe aise q dekh raha h... abhi majboori h... Bas thode se pese ban jaaye fr thukunga tk nahi aise kaam pe
Khair Raaj jake bori uthane lagta h lekin usse nahi uthti.... Fir thodi der koshish karne ke baad.. .....jab use sahi technique aa gai to usne bori ko uthaya ....kandhe pe rakha.... aur andar le gaya..
7 boriya uthane ke baad hii raj ko pata lag gaya, wo admi.... use aise kyun dekh rha tha ...
raj: ek aur..bas ek aur krte-krte 10 boriya andar rakh leta h...
(Ek to wo bas 19 sal ka tha upar se kal jo mar padi thi wo alg dard kr rhi thi)
Raj dashvi bori rakhne ke bad ....andar hi thak ke baith gaya aur waha chal rhe kaam ko dekhne laga ....
Kaafi der tak jo bhi chize uske samne ghatti rahi wo unhe observe krta raha ....aur man me unke bare me aanklan karne laga .... bohot sare calculation uske dimag me chal hi rahe the ki ....tabhi!!
Prabhari: oye! hero abhi se thak gaya, beta ye bachchon ka kaam nii h...
(Raj ko gussa to bohot aa rha tha Lekin kya hii kr leta)
kaafi aaram ho gaya tha, to fir lag gaya boriyan uthane...... or boriya uthate-uthate...
Bhagwan ye kaisa khel khel rahe ho aap...'Jb mere pas sabkuchh tha to pariwar chhin liya' .....ab mere pas pariwar h..... to unhe dene ke liye "na mere pas wakt hai aur na hi pese"
Raaj ab tak 40 boriyan andar rakh chuka tha aur uski halat..... bohot hi jyada patli ho rakkhi thi....
Hanfte huye..... bc! itni dur boriya rakhne ko kisne kaha tha..... (Sans bharte huye)..andar hi le jani thi, to..... pas me rakhwa lete.....
Raaj baithe-baithe aaram kar raha tha Tabhi us factory ka malik nirikshan krne aa jata h aur Puri factory ka chakkar laga lene ke bad..... wahi aake ek kurshi pe beth jata h
Prabhari, factory malik ko aaj ki attendance aur anya chizo Ka lekha jokha pakda ke chala jata h.... tabhi raj uske pas aata h.... Factory malik (Niranjan das).....raj ko dekhte hii....mundi hilake punchhta h ....kya hai????
Raj: sir, factory me kuchh chize sahi nahi ho rahi!!
(Nirajan das... uske bolne ka lehja aur body language dekhte hi... ye ladka jaisa dikh raha h wesa h nahi)
Nirajan das: aur kya h wo chize??? Mene khud, sara nirikshan apni aankho se kiya h... mujhe to kuchh galat nazar nahi aaya
Raaj....nukile patthar se zameen pe hi utpadan me.... Upyog hone wale raw material ka anupat use samjhane laga kyunki Niranjan das kaafi padha likha aadmi tha to use sab smjh aane laga..
Niranjan das: tumhara name kya h ladke...
Raj: ji, mera nam raj h
Niranjan das: kya tum ye pura plan is paper par likh kr mujhe de sakte ho.
Raaj: ji jaroor
Raaj ek-ek detail ko paper par likhte huye....plan taiyar karne lagta h .... Sare raw material ka production me kitna anupat rahega.....abhi tak jo matra dali jaati thi usse kitna sara waste nikalta tha....aur ab kitna niklega .....kitna fayda hoga...wo sab kuchh likh hii raha tha....ke bich bich me Niranjan das usse sawal karne lagta h..
Niranjan das: to raj ....kaha tak padhai ki h??
Raj: sir...swa-adhdhyan(self study)
Niranjan das: kisi ne to padhaya hii hoga aakhir khud se itna sab koi.... kese sikh sakta h??
Raj: hnn sir, bachpan me, dadaji ne padhna sikhaya tha ....aur unke bad mene khud se hi padha h (jhooth)
Nirajan das: to tumne or aage padhne ke bare me kuchh socha??
Raj: ghar ke halaat thik nahi h sir....abhi abhi yaha 40 boriyan uthayi h!!
Niranjan das: tum ho to kaafi kaabil, mai to kahunga tumhe aage ki padhai karni chahiye???
Raj (man me): "kyu dimag kha raha h be...tujhse to jyada hi pada likha hu"....... Jii nhi sir, kaafi jimmedarian h sar pe
Niranjan das: to aage ke liye kuchh or soch rakkha h...
Raj: ye lo sir, ho gaya aapka plan ready....
nuranjan das sabhi chizon ko bariki se dekhta h ....dono ke bich kaafi chizo ko lekar discussion bhi hota h..
Niranjan das: to iska matlab h .....mahine ke 13 se 17 hajar ka munafa aur hoga...
Raj: bilkul sir..ye ratio ek dam satik h
Niranjan das: raj ko 1 hajar ka chek pakdate huye... ye pesetumhare is plan k liye..aaj mai bohot khush hu... Raj: sir, kya mai kuchh aur bhi mang sakta hu?
Niranjan das: hnn hn batao ....mujhse ban sakega to jaroor kar dunga
Raj: thik h to mujhe is factory me advisor ki post de do..
Niranjan das: kuchh sochte huyelekin.. Raj: uske liye me aapse pese nahi lunga
Par agar..... kuchh aur khamiya main aapko bata paya to uske..... lagenge (Raj man me: mujhe nahi pata tha iske liye 1000 rupay ka inam mil jayga, uperwale! kya khel khelte ho yrr )
Niranjan das....man me bina pese ke hi to rakhna h "ye to aur bhi achhi baat h"
Niranjan das raj ko ek pasbook ki tarah dikhne wali chhoti si dairy pakda deta h, jiske andar ek hii page tha aur usme nirajan das ki seal aur sign dono maujood the....ye ek prakar ka permit tha...
Raj use dekh, bohot khush hua..... Kyunki use pata tha is factory me bohot se sudhar ab bhi kiye jaa sakte h...tabhi waha prabhari aa jata h..
Prabhari: kyun ladke thak gaya kya ....bas 40 boriyan
Raj...uske muh ke aage permit dikhate huye ....ab me ye borian nahi uthaunga aur hath aage karte huye "40 boriyon ke 2 rupay"
Prabhari ki bolti band ho gai ....usne nirajan das ki taraf dekha... to usne bhi sir hilake use pese de dene ke liye kaha ....ab raaj ke pas 1002 rupay the
Niranjan das: mere dost ki factory yaha se ek kilometer door h.... Aur band hone ki kagar pe aa gai h ....agar tum uski madad kar sakte ho to .....
Raj: jii bilkul, lekin usse pehle mujhe bank jaana h..
Niranjan das ...raj ko address pakdate huye ....iske pas hi bank bhi h.
Raj: dhanyawad, sir....
Raj: suraj ki taraf dekhte huye 1 baj rhe honge...
"Sabse pehle bank se pese le leta hu, agar band ho gaya to dikkat ho jaygi"
Wahin Ghar par:
Seema: kaafi der ho gai h, chalo amma ko khana de aati hu .... aur wo nikal padti h bade ghar ki or
Seema.. gate khatkhatate huye, Amma!...o .. Amma!!..
Budhiya: aa rahi hu....naashpiti, kahi darwaja hi na tod de!!
Seema : Amma ko khana pakdake jane hi wali thi k....
Budhiya: ye bhagwan!! Yehh .. yehh... bahu, mere Paon dukh rahe h, daba de zara.. to seema uske pair dabane lagti h
Budhiya: raju kyun nahi aaya khana dene
Seema: wo..wo sheher gaye h amma!!....
budhiya: aisa kon sa kaam aa gya tha... ki sheher jana pada??
Seema: kaam hi talshne gaye h....??
Budhiya: hmmm... are!! zor laga, khana nhi khai ka, zara bhi dam nahi h hathon me....... ishhh!! Are itne zor se kyun daba rahi h marna chahti h kya mujhe
(Budhiya jab tak kisi ko taane na de de uska khana hajam nahi hota, aur aaj to use kaafi dino baad mauka mila tha..... Seema ko khoob jali-kati sunati h aur saf safai ke kaam me laga k rakhti h)
Shehar mein:
Raj bank se pese lene ke baad address punchhte punchhte factory pahuch jata h
Factory malik (chandra shekhar): to tum ho raj ..... darasal Niranjan das ne pehle hi telephone par chandra shekhar ko raj ke bare m bata diya tha
Raj: jii han, usne Niranjan das se mila permit dikhate huye kaha
Chandrashekhar: uper se niche tak raj ko ghoorke dekhta h, use lag hii nahi rha tha ki ye wahi ladka ..... Jiski tarif usne Niranjan se suni
Chandrashekhar: thik h, aao yaha .....dekho ye h hamari mashine jo kharab hii hoti rehti h.....fayde se jyada nuksan ho raha h.....pehle to sab sahi chal raha tha ....lekin achanak se ghata hone laga h..
Raaj sari masino ko dekhta h ....fir unhe bar bar chalu karke .... Apne tamam observation likhta jata h....aur phir 5 mashine ek sath chala deta h ...... 2 ghante ho chuke the use observe krte- karte.... Isi chakkar me... 2 aur mashino me kharabi aa gai ...
Raj: jb shuruwat me aapne ye mashine lagwai to wo ekdam nai thi .... isiliye adhik load le paa rahi thi....aur aapne bhi inse jyada se jyda kaam liya.....to
Pehli galti ye h kii aapne mashino par bohot jyada load dala... aur ab bhi utna hi load dal rahe ho..
Dusri galti ....mashine garam hoti h ....har 2 ghante k bad aapko inhe band karna chahiye jo ki aap nahi karte
Teesri galti....inka rakh-rakhav sahi se nahi kiya ja raha... isiliye mashino me gadbadi kuchh jyada hi jaldi aa rahi h..
Khair agar aap pehli do galtiya sudhar lete ho........to kal se aapki mashine km kharab hongi.....chalo check karte h...
aur Raj sari ki saari mashine chala deta h
Raaj ke man me chal raha tha... agar yun hii mashine check karne betha to aaj ghar nahi ja paunga .... Par pese bhi to kamane h....koi baat nahi agar aaj ghar nahi jaa paya to..
Khet me:
Kallu: chalo maa, ye baadi ka kaam to ho gaya.... 'Ab bhabi jaane unka kaam jaane'
Kallu ki maa: hnn beta chal.....pehle kuye me chalke hath muh dho le fr aaram karna.....
Thodi hi der bad kallu apne ghar me aaram karte huye chai pi raha tha....'meena agar m so jau to utha dena .....doodh lene v jana h'..
5:00pm
Factory me~
Chandrashekhar: Raj itna kaafi h, tum shayad sahi keh rahe ho....
Raj: nahi !!abhi nahi..... pichhle do ghante se ek v mashin kharab nhi hui aur to aur unse awaj bhi ekdam thik aa rahi h.....aapko iss taraf se v hawa ko pas hone ke liye jagah deni padegi ....isse mashino ki efficiency badh jayegi...
Raj: mujhe laga tha..... aaj sari rat hm testing krne wale .....par thik ....aapko ghar jana h to..... chalte h
Chandrashekhar: tumhara avlokan to ekdam sahi lag raha h lekin..... Kitna kaam karega kitna nahi kal pata lagega....
Raaj: kal me khud hi kharab hui mashino ke parts dekhunga.... Aur mashin me kya sudhar ho sakta h ye bhi bataunga..
Chandrashekhar: bohot bohot shukriya
Raj: are koi baat nhi par kya aap mujhe apni cycle se bas stand tk chhod denge..
Chandrashekhar: chalo betho
Aur thodi hii der bad raaj bus stand me khada tha, abhi bhi bus ko chhutne me 20 minute baaki the ..... To usne pas hi dukan se.... kiraane ka saman pack karaya..... sath hi ruchi k khane k liye biscuits aur ek dabba chocolate....
uske gaon ki taraf 2 hi bus jaati thi-
"ek subah~ gaon se sheher aur sham ko sheher se gaon tak chhodti thi" jabki "dusri subha sheher se gaon aur sham ko gaon se sheher leke jaati thi"
Khair bus chal padi....aur jb raj se 10 paise bus conductor ne liye ....to wo fr se soch me pad gaya....kaafi der sochne aur samjhne k bad wo is natije par pahucha .... Overall mere hajar rupay 2024 ke 27 hajar rupay to bante h ......lekin mai kin chizon par kharch karta hu ye un par v nirbhar karta h
Kuchh chizo ke liye yahi hajar rupay 40 hajar h to kuchh ke liye bas 30 hajar..... Jise exact .... calculate nahi kiya jaa sakta...tabhi shor hone laga...bus kharab ho gai...bus kharab ho gai..
Andhera ho chuka tha... to sabhi log bus ke ird gird mandra rahe the.....jbki bus conductor aur driver bar bar yahi keh rhe the bas ho gaya.... bas ho gaya....
isi bas ho gaya ke chakkar me 3 ghante gujar gaye ....bas bhi jake bich sunsan raste me bigdi thi...ab koi kare to kya kre ...."Bc isse achha to bailgaadi thi" ....bas is gali ki hi kami thi k Bus chalu ho gai .....
aur kachche ubad-khabad raston me dolti hui, hmari udanpari ja pohonchi 'TOLA'
Jii han raj ka gaon tola aa gya tha.... raj ghar pahunchte hii....seema!!!..seema!!
raj ki itni tej aawaj sunke kahi aaj v sharab pike to nhi aaye
bechari ki halki si aankh lag gai thi.... ab dar lag raha tha.... dari hui jake wo gate kholti h ......raj use saman pakdate huye... chalo khana lagao....
Ek to din bhar ki thakan uper se naaste ke alawa kuchh v gaya nahi tha pet m.......Raj... hath muh dhoke khane beth jata h ...
Raaj kha raha tha aur seema use khate huye dekh rahi thi....bhookh ke mare raj ka uski taraf bilkul v dhyan nahi tha ...aur jb dhyan gya..
tumne khana khaya??
Seema...mundi hilate huye nahi ka ishara karti h
Raj..kyu nahi khaya??.....ab seema kya hii bole wo shant rehti h
Raj:kyu???...nahi????...khaya?????...
Raj ke is tarike se punchne pr uske aanshu behne lgte h.. Raj: are! Thik h ...thik h...mene kal bhi samjhaya tha....mere bina khana khay..... tum khana kha sakti ho ....
Jb kal kha liya tha to aaj v kha leti... Raj uske liye khana plate me dalta h or apne hathon se khilane lagta h.....wo khate huy ....ab v sisak rhi thi.... to raj use shant karwata h...aur fr se khilane lagta h..
Khana ho jaane ke baad raj uska hath apne sir pe rakhta huye kasam deta h....ab se time se khana kha lena.... chahe me yaha rahu ya na rahu.....
"main jaha bhi rahunga bhukha to bilkul bhi nahi rahunga..."
Raj: seema ka hath pakadte huye, chalo ab apni aankhe band karo......are! mundi niche nahi karni ....bas aakhe band karni h.... hmmnn..aur ab aankhe khol do
Seema ke hath me 800rs the....ek to usne pehli bar 50rs ka note hath me liya tha.... uper se itne sare
(50rs ka note jari huye abhi kuchh hi wakt hua tha to bohot ki kam log the jinhone use dekha bhi tha)
Seema unhe baar baar gin rahi thi....aur har bar galti kr rhi thi....raj use correct krta h..
Seema: kya?? 800 rupay...k..k..kahi aapne jua to nahi khela??
(Bol to gai thi kuchh aisa jo use nahi bolna tha)
Raj: mn me kehta h "ek to pehli bar muh se kuchh foota .... Uper se itna ganda"......are nahi, pagal juye me bhala koi ek din me itne sare pese jitta h??
Raj use permit dikhate huye..... Ye dekh mujhe kam mila h aur ye usi k pese h.... seema ko to kuchh bhi smjh nahi aaya lekin muhar aur hastakshaar dekh ke usne bharosa kr lia..
"lekin man me ye tha ki kahi koi galat kaam to nahi kar rhe ... Aakhir aisa kon sa kaam h jisme ek hii din me itne sare pese milte h....note to ekdam naye h"
Fir Raaj apne kamre me chala gya aur seema ne pese chhipake sahi jagah rakh diye....
Abhi wo leti hi thi k........ raaj chaddar leke uske kamre me aa gaya... Aur Seema jo pehle se sehmi hui thi... Uske aane ki ahat paate hi... dubak ke so gai....
Raaj uske bagal m jake lait gaya ...Aur dheere dheere uske karib jane laga
seema bayi karwat liye ruchi ki taraf muh karke leti hui thi..... "dibbi ki halki Roshni me uski kamar ka wo curve.... jese balkhati hui hirni koi vishisht aakriti dharan .....kiye leti ho"
Raj jese-jese uske barib ja raha tha... uski dhadkane badhti jaa rhi thi....
"Fir jese hi raj ki garam saanson ne uski gardan ko chhua.......pure sharir me ek sihran si daud gai"
Seema ke itne pas.... raj kabhi nahi aaya tha... aur aaj jab wo jaag rahi thi ...uske man me...yahi chal rha tha.... ab kya hoga???.......uski ghabrahat bhi badhti jaa rahi thi....
Raj kii garam sanse......uske jism me ek alag hi romanch paida kr rhi thi....
raj ne fr aage badhte huye apne ek hath ko uski kamar pe lapeta aur ekdam hii chipak gaya...
Iss hamle se seema ka sharir ekdam hi sunn pad gaya tha....bas dhadkane hii thi jinki awaj aur gati use mehsoos ho rahi thi....
Aage badhte huye raj ne jb apne honth uski gardan par rakhe.... To seema ne apne hath kade/kathor karte huye..... mutthi bhinch li..
Gardan pe chumban ke sath hi, raj ne apna hath kamar se thoda or uper.... uske pet pr chalana shuru kar diya .........sath hi ek tang uthake uske uper rakh dii
Raj ke chalte huye hath ne jaise hii seema ki nabhi ko chhua.... uski kapkapi chhot gai ......... Aur usne apne aap ko sikod liya....
Raj ko bhi pata tha..... seema jaag rahi h to usne apne hath .....ko uske bayi gal ke nich rakha aur uska muh ko apni taraf ghuma liya.......isse seema ko karwat badalni pad gai ...
Raj ne fr apne dono hatho me seema ka chehra thama aur uske labon ko bohot hi jor se chusne laga....
Raj ne seema k hontho ko apne hontho me kaid kar liye tha.... itnti zordar kis ke bad bhi seema ki taraf se koi pahel nahi hui... Uske liye ye bilkul hi naya anubhav tha....
Suresh ne kabhi... Uske sath aisa nahi kiya tha....ye pehli bar tha jb kisi ne.... uske adhron ko.... Apne hontho ke bich bharke...... is tarike se choosa tha
Raj kiss me itna doob gaya tha ki.....use ehsaas hii nahi hua....
Seema zara bhi uska sath nahi de rahi...aur jb use ehsaas hua to usne use chhod diya...
Raj aankhe band kiye huye soch raha tha.... Bc hamare bich to zara bhi pyar nahi h.... Lagta h mene jaldbazi kar di......kafi sochne samjhne ke baad usne nishchay kiya .... Vah pehle seema ka dil jeetega...
Wahi seema ke dil ki dhadkane ab jaake thoda shant hui thi ....... usne muh wapis se ruchi ki taraf ghuma liya
.........abhi abhi jo hua uska ehsas abhi v uske labon pe tha ..... Apni ungli se jese hii usne honth ko chhua .....uske chehre par muskan fail gai..
Raj: lekin bc dil jitunga kese???.... bolti to kuchh... h niii....... To kyu na, pehle beti ko pataya jaye ....."samll steps"...... "Ab sabse aasan to wahi h"
Raaj isi udhedh-bun me... gehri nind chala gaya.......jabki Seema chehre pe muskan liye pehle hi so chuki thi
.
.
.
.
.
.
Ab raj aage.... kya-kya krta h.... Aur beti ka support..... seema ka dil jeetne me..... kitni madad karta h ....jaanne k liye bane rahiye Thank you for your love & support