- 429
- 518
- 109
nice update
super update i request to you update ki speed badayie
nice update
Next update
thanks bhai koshih karong update jaldi jaldi dene ki.
keep supporting...........
nice update
super update i request to you update ki speed badayie
nice update
Next update
lovely updateUPDATE-19 part 1
Shaista ke birthday party me jo kuch bhi hua woh sab ajju ke ghar me sabhi ko pata chal gaya
tha. Aur ajju ke dad ne ajju ko kaha ke bohat hi accha kiya jo tumne waha per mahira ka stand
liya woh bhi humari family ka ek hissa hai ( A.S GROUP OF INDUSTRIES ME JO BHI EMPLOYEE
KAAM KARTA HAI UNHE AJJU KE DAD APNE FAMILY MEMBERS HI MANTE HAI ) aur agar kisi ne
bhi humari family ke sath battamizi ki toh use humara samna karna padega.
Shaista ke birthday party per hue incident ke baad se mahi aur ajju ki friendship aur bhi gahri
hogayi.
Mahi ko bhi ajju ke roop me ek accha aur saccha dost milgaya tha jis per woh trust kar sakti thi.
Shaista ke birthday ke incident ko hue aaj ek hafta ho chuka tha. Iss ek hafte me mahi ajju ki taraf
accha khasa attract ho chuki thi.
Mahi ko abhi bhi pata nahi tha ke ajju hi uska boss hai. Ya phir woh jaan kar bhi anjaan bani hui thi
ye bas wahi janti thi.
Mahi ko ajju accha lagne laga tha. Aaj se pahle uska koi bhi ladka dost nahi bana tha ajju pahla
tha jisse mahi ne dosti ki thi aur mahi ko ajju ke sath guzara hua waqt bohat accha lagta tha.
Ajju ko bhi mahi ki company ( sath rahna ) acchi lag rahi thi. Woh mahi ke sath bohat hi accha
mahsoos kar raha tha.
Ye pyar ki shuruwat thi ya sirf dono ka attraction ye toh waqt hi batayega.
Kahir agey badte hai.
Aaj mahi ko ajju ke sath jana tha jaha per ek project ka tender khulne wala tha. Ye wahi project
hai jisper mahi ne kaam kiya tha.
Mahi ko aaj office jane me late hogaya tha. Woh jaldi jaldi apne office pohanch kar ajju ke cabin
me pohchti hai jaha ajju pahle se hi maujud tha.
Mahi ko aye hue dekh kar ajju kahta hai.
Ajju : ( mazak se ) bohat faida uthaya ja raha hai sir ke office me nahi rahne ka.
Mahi : assalamu alaikum.
Ajju : wa alaikum assalam khairiyat se hai mohtarma.
Mahi : ji haan bilkul khairiyat se hoon aur aap ke samne hoon. Aap kaise hai ?
Ajju : mai bhi ek dam first class hoon aap hi sunao aap aaj late kis khushi me hogayi ?
Mahi : woh meri aaj ki pahli bus missed ho gayi thi aur dusri bus bhi late ayi isi liye thoda sa late
hogaya aaj.
Ajju : hmm toh ye baat hai. Khair koi baat nahi. Tumne nashta kiya ki nahi ?
Mahi : kaha aaj mai uthi hi late hoon isi liye baghair nashta kiye hi agyi hoon.
Ajju : accha toh ye wajha hai aap ke late hone ki. Madam aaj der tak soti rahi aur late uth kar yaha
per late pohchi hai. Kyun hai na yahi baat.
Mahi : ji nahi aisi koi baat nahi hai maine joh pahle kaha woh bhi sach hi hai.
Phir ajju dono ke liye coffee ke liye kahta hai.
Phir thodi hi der me coffee ajati hai aur dono coffee peete hai. Coffee peene ke baad ajju kahta
hai.
Ajju : toh tum ready hona hume abhi nikalna hai warna hum late hojange.
Mahi : abhi mujhe bas 5min do mai sabhi kuch ek baar check kar leti hoon phir hum nikalte hai.
Ajju : thik hai magar asli wala 5min lagana ladkiyon wala nahi.
Ye kah kar ajju hasne lagta hai. Mahi ajju ki baat sunkar usey ek serious look deti hai jise dekh kar
ajju hasna band kardeta hai.
Phir mahi sabhi kuch check karti hai aur dono apne cabin se nikalte hai.
Ajju aur mahi jab bahar jane ke liye nikal rahe hote hai. Toh bahar reception ke paas bohat se
employee khade rahte hai jinhe dekh kar ajju kahta hai.
Ajju : aap sab log yaha per kyun khade hai ? Kya aap logon ko kaam nahi hai ?
Ajju ki baat sunkar sabhi chup rahte hai toh miss reshma kahti hai.
Miss reshma : sir ye sabhi yaha aap ko aur specially mahi ko best of luck kahne ke liye yaha per
jama hue hai.
Ajju : toh ye baat hai ok theek hai jo bhi inhe best of luck kahna chahta hai jaldi se kahdijiye mai
bahar inka wait karta hoon.
Magar jaldi karna kyun ke hum pahle hi late horahe hai.
Sabhi employee ek sath bolte hai : sir aap ko bhi best of luck iss project ke liye.
Ajju : thank you so much.
Ye kah kar ajju bahar jakar apni car me baith jata hai.
Ajju ke jate hi sabhi employee ek ek kar ke mahi ko best of luck kahte hai jinhe mahi hi bohat
khushi se thanks kahti hai. Last me miss reshma mahi ko dua deti hai.
Miss reshma : mahi beta khuda aap ko kamiyab kare humari duaen tumhare sath hai kamiyabi
tumhare khadam chumegi.
Ye kah kar miss reshma mahi ki peshani ko choomti hai jise dekh kar mahi ke ankhon me ansu
ajate hai. ( ye ansu khushi ke they kyunke mahi ko aisa pahle kabhi kisi ne bhi nahi kaha tha. Ye
sab usey uski ammi hi kahti hai aaj kisi aur ko apne liye aisa kahte dekh kar mahi ki ankhon me
khushi ke ansu ajate hai ).
Mahi : thank you aunty aur thanks to all of you. Mujhe bohat khushi ho rahi hai ke aap sab aaj
yaha per mere pahle project ke liye mujhe best of luck kahne ayen hai. Ab toh ye project humari
company ko hi milega.
Mahi ki baat sunkar waha ke employee ek sath kahte hai.
Hip hip hur rey hip hip hur rey hip hip hur rey.
Phir mahi bahar ajju ke paas jakar car me baith jati hai aur ajju car ko agey badha deta hai.
In car :
Ajju : kya baat hai miss mahira badi fan following bana rakhi hai.
Mahi : kyun jalan ho raha hia kya tumhe.
Ajju : jalan toh nahi magar dukh zarur horaha hai.
Mahi : ( hairat se ) dukh mai samjhi nahi logon ko ya toh jalan hoti hai ya toh khushi ye dukh hona
pahli baar sunrahi hoon. Waise tumhe dukh kyun ho raha hai ?
Ajju : ( haste hue ) arey mai yaha per kab se kaam karraha hoon magar aaj tak mujhe kisi ne bhi
aise specially ek sath best of luck nahi kaha toh isi liye dukh horaha hai aisa kaha. Magar such
kahon toh mujhe boaht khushi hui ye dekh kar ke tumko aye thoda hi time hua hai aur tumhari
attachment company ke employees ke sath bohat hi acchi hogayi hai.
Mahi ajju ki baat sunkar khush hojati hai.
Mahi : ( khushi se ) haan sahi kaha tumne yaha per mujhe aye hue kuch hi din hue hai aur in logon
ka mere liye itna apna paan dekh kar mai bohat khush hoon. Mai apni khushi lafzon me bayan
nahi karsakti.
Ajju : hmmm ye baat toh hai. Khair woh awaze kaisi thi jab tum bahar arahi thi.
Mahi : ( haste hue ) woh sabhi mujhe cheers karrahe they ke mai apne ye pahle project ke liye
nervous na hoon. And see mujhe zara sa bhi nervousness nahi hai. Mai bohat energetic feel
karrahi hoon.
Ajju : tum toh aise kahrahi ho jaise tum kisi project ke liye nahi bohat badi jung ke liye jarahi ho.
Mahi : tum nahi samjhoge ke aaj mai kaisa feel karrahi hoon magar bas itna kahongi ke mujhe
sahi maiyon me mera pariwar milgaya hai.
Phir apne aap me sonchti hai ( aaj tak mujhe kisi ne bhi apne sath baithne ke liye nahi kaha mujhe
kisi ne bhi kisi cheez ke liye honsla afazai nahi ki. Jab bhi kisi kaam ke liye jati toh bas ammi hi thi
jo mujhe duaen deti thi. Magar aaj unsab ka mujhe honsla afzai karna bohat accha laga. Ab bas
ek hi dua hai ke uppar wala mujhe iss kaam me kamiyab kare ).
Mahi apne hi kahayalon me khoyi hui thi usey ajju kya kahraha hai sunai hi nahi deraha tha toh ajju
ne use hilaya tab woh hosh me ayi.
Ajju : kya hua abhi tak neend puri nahi hui kya jo jagte hue sapne dekh rahi hoon.
Mahi : Kuch nahi bas aise hi kuch sonch rahi thi. Khair kya kahrahe they tum.
Ajju : mai kaha kuch kah raha tha. Mai toh bas aise hi tumhe awaz deraha tha
Mahi : toh phir mujhe bashan kyun derahe they.
Ajju mahi ki baat sunkar hasta hai. Phir dono aise hi hasi mazak karte hue auction ki jagha
pohach jate hai.
Jis jagha auction tha woh ek bohat bada resort tha jaha per sirf paas dikha kar hi andar ja sakte
they aur aaj ye resort pura book tha kyun ke aaj yaha per bohat bada project final hone wala tha.
Isliye yaha per aam admi ka ana mana tha aur jinho ne bhi iss me hissa liya tha unko invitation
cards diye gaye they jise dikha kar hi andar jasakte they chahe aap koi bhi kyun na ho.
Ye resort iss city ka sab se bada resort tha.
Ajju aur mahi resort pohanch jate hai aur apne paas dikha kar andar chale jate hai.
Andar ka nazara bohat hi haseen tha. Dekhne wala toh bas dekhte hi rah jaye.
Entrance gate per kuch darban khade they
Jo ane walon per phoolon se swagat karrahe they aur andar bhi pura ek bohat bada artificial
mahal bana hua tha. Wahin per aaj ke project ki announcement hone wali thi.
Waha per pahle se hi kai sare log maujud they jo iss project me hissa liye hue they.
Waha per ziyada tar jane mane businessmen hi they. Kyun ke ye project bohat bada tha. Jisko
bhi ye project milta woh iss state ka hi nahi pure India ka sabse bada businessmen banne wala
tha iss liye isme chote company walon ne apna hath nahi dala tha aur quota bhi chota bada nahi
tha crores me tha is liye yaha per jane mane businessmen aur kuch abhi abhi apna businessmen
start karne wale bhi they jo apni kismat azmane aye they.
Ab aap log sonch rahe honge ke agar ye project itna bada hai toh iski zimedari mahi ko kyun di
gayi thi. Toh mai aap ko bata doon ke iss project per ajju aur uske dad pichle kai saal se koshish
karrahe they isko pane ke liye magar har baar CHAUDHARY GROUP OF INDUSTRIES hi isko hasil
karke lejati thi.
Toh iss baar ajju ne ji jaan laga kar iski har ek detail nikal kar iska project banaya tha aur woh
almost pura ready bhi tha magar jab mahi ajju ki company me ayi thi toh ajju ke dad mahi ka test
lerahe they kyun ke jis confident se mahi ne mr faisal se baat ki thi usko dekh kar ajju ke dad ne
decide kiya tha ke mahi ko iss project per kaam karainge aur agar kaam accha hua apna hi faida
hoga warna pahle se hi project work complete ho chuka tha.
Magar jab mahi ne us project per kaam kiya aur uski file dekh kar ajju ke dad usse kafi impress
hue they. Kyun ke mahi ne kuch aise dought clear kiye they jo ajju ke nazar se bhi bach gaye they
aur jab ajju ne mahi ki file dekhi toh woh bhi mahi se impress hue bina na raha aur apne kiye hue
kaam me mahi ki file ko bhi apne project work me shamil karliya.
Magar iss baat ka mahi ko pata nahi tha aur naahi company me kisi our ko bas iske bareme ajju
uske dad aur Mr faisal hi jante they. Isliye aaj sabhi ne mahi ko appreciate kiya aur usko best of
luck kaha.
Jab ajju waha per mahi ke sath gaya toh kai log akar usse mile aur usse baten marne lage kuch
log business ki toh kuch log jo uske dad ko acche se jante they uske ghar ke bareme aur dad ke
bareme pucha toh ajju ne kaha ke woh bhi arahe hai kuch hi der me ajayenge.
Ye sabhi log jo ajju se mil rahe they inme se ziyada tar logon se ajju ki company se ya toh
partnership thi ya ye log ajju ke dad ke liye kaam bhi karte they. Ab A.S GROUP OF INDUSTRIES
choti moti company toh thi nahi woh bhi India me kai jagha phaili hui thi Aur top 5 me ati thi.
Ajju sabhi se milkar free hota hai toh mahi usse puchti hai jo kafi der se khamosh khadi thi.
Mahi : kya baat hai yaar tumhe toh bohat log jante hai aur woh bhi bade bade businessmen.
Ajju : (flow flow me ) ab ek businessmen hoon toh businessmen hi pahchanege na.
Mahi : kya businessmen aur tum shakal dekhi hai apni bade aye businessmen huh.
Ajju ko mahi ki baat sunkar hosh ata hai ke abhi usne anjane me kya kahdiya hai. Magar woh nahi
janta tha ke ye khel kuch hi der ka hai.
Ajju : haan sahi kaha woh mere muh se ghalti se nikal gaya mera matlab hai ke ek businessmen
ka P.A hoon toh ye log pahchante hi honge na.
Mahi : haan ye baat hosakti hai.
Ajju : bohat jald tumhe bhi pahchanne lagenge.
Mahi : kyun mujhe kyun pahchanne lagenge ?
Ajju : arey ab tum koi mamuli ladki thodi hi hi jo aisa kha rahi ho. Ab tum A.S GROUP OF
INDUSTRIES Ke CEO ki secretary ho toh log toh pahchanege hi na.
Mahi ajju ki baat sunkar kahti hai.
Mahi : haan ye bhi sahi magar mujhe apni pahchan khud banani hai. Woh bhi khud ke bal par.
Ajju : haan ye bhi sahi hai khair chalo hum apni chair per hakar baith jate hai.
Mahi : haan chalo.
Phir ajju mahi ko lekar apni chair ke taraf chala jata hai jaha per uska uske dad ka aur mahi naam
chair per likha hua tha ( like awards show ).
Dono apni apni chair baith kar baten karne lag jate hai. Kuch der baad ajju ke dad bhi ajate hai.
Ajju ke dad jaise hi atey hai waha per bohat sari bheed jama hojati hai jaise koi star aya ho.
Ajju ke dad star toh nahi they magar un sab se kuch kaam bhi nahi they. India ke jane mane
industrialist hai toh log toh jakar milenge hi na. Ajju ke dad sabhi se milte hai aur phir ajju ke paas
akar baith jate hai.
Abhi ajju ke dad baithe hi they ke bheed ek baar phir jama hoti hai jise dekh kar mahi ajju se kahti
hai.
Mahi : arey ab kya hua boss toh yahin hai ye bheed phir se kyun jama horahi hai.
Ajju mahi ki baat sunkar muskurata hai aur bheed ki taraf dekhte hue kahta hai.
Ajju : ye bhi humare hi tarha ke ek businessmen hai India me agar A.S GROUP OF INDUSTRIES ko
koi takkar desakta hai woh sirf ek hi admi desakta hai aur woh yahi hai.
Mahi ajju ki baat sunkar hairan hojati hai.
Mahi : ( hairani se ) kya baat karrahe ho humko takkar dene wala bhi hai yaha per ?
Phir kuch sonch kar
Mahi : waise hai kon ye admi ?
Ajju : CHAUDHARY GROUP OF INDUSTRIES Ka malik Mr QURRAM CHAUDHARY hai Chaudhary
industries ke chairman.
Mahi : hmm interesting.
Idhar qurram Chaudhary bhi sab se mil kar ajju ke dad ke paas ata hai ajju ke dad bhi usko apne
taraf ata dekh kar khade hojate hai.
Qurram Chaudhary : kaise hai Mr ghani.
Dad : accha hoon aap kaise hai Mr qurram.
Qurram : mai toh humesha hi accha rahta hoon tum sunao tum kyun baar baar iss project me
hissa lete ho tumhe pata toh hai hi ke ye project kisi aur ko mil hi nahi sakta toh phir kyun baar
baar koshish karte ho.
Qurram ki baat sunkar ajju ke dad muskurate hue kahte hai.
Dad : koi bhi shai humesha khayam nahi rahti siwaye uper wale ke aur waise bhi ye toh business
hai iss me toh utar chadau toh ate hi rahte hai. Kya pata iss baar aisa na ho jo har baar hota hai. Aur
ye kahawat toh suni hi hogi koshish karne walon ki kabhi haar nahi hoti. Bas isi liye koshish karta
rahta hoon baad me ye malal ba rahe ke kash maine koshish ki hoti toh result kuch or hota bas
isi liye laga rahta hoon.
Ajju ke dad ki baat sun kar qurram hasta hai.
Qurram : ( haste hue ) wah wah baten toh bohat acchi acchi kahi hai tumne magar ye baten
filmon me ya kahaniyon me hi sach hoti hai hakhiqat se iska koi lena dena nahi hai. Tum bas
is project ko pane ka bas khawab dekhte raho iss baar bhi mai hi iss project ko lekar jaonga.
Hahahaha
Ye kahkar qurram hasta hai jise dekh kar ajju ke dad muskurate hue kahte hai.
Dad : ( muskurate hue ) kahaniya aur filmey bhi hakiqat ka hi ek hissa hai aru aise hi haste raho mai jab ye project lekar yaha se jaonga tab bhi
tumhare chahre per yahi hasi honi chahiye aisa na hoke mujhe project ko milte dekh kar tum rone
lag jao . Aur rahi baat khawab dekhne ki toh khawab bhi wahi dekhta hai jisme usey sach karne ki
khabiliyat hoti hai.
Ajju dad ki baat sunkar qurram unko gusse se ghoor kar kahta hai.
Qurram : ye toh waqt hi batayega ke kon hasega aur kon royega.
Ye kah kar woh apni chair ke taraf chala jata hai aur ajju ke dad bhi apni chair per baith jate hai.
Mahi jo itni der se khamoshi se sab kuch sunrahi thi ajju se kahti hai.
Mahi : ye admi toh bohat khatarnak lag raha hai agar hume project mila toh ye kuch karega toh
nahi na.
Ajju mahi ki baat sunkar haste hue kahta hai.
Ajju ( haste hue ) : kya yaar mahi kabhi kabhi tum na bohat funny baten karti ho woh aisa kuch
bhi nahi karega jaisa tum sonch rahi ho jate hue tum khud hi dekh lena aur ye project toh iss baar
humko hi milega. Waise bhi ye sab baten business ki duniya me aam baat hai dheere dheere tum
ko bhi iski adath hojayegi.
Mahi ajju ki baat sunkar khamosh ho jati hai aur aas paas ke sabhi logon ko dekhne lagti hai.
Mahi har ek ho dhiyan se dekh kar observe karrahi thi kon kya karraha hai kon kisse milraha hai.
Ajju apne dad ki taraf palat kar mazak se kahta hai.
Ajju ( mazak karte hue ) dad aap ko nahi lagta ke aapne kuch ziyada nahi kah diya qurram sahab
ko agar iss baar project hume nahi mila na toh woh bohat mazak udayega apna.
Dad : ( mazak se ) ab woh khud samne se akar challenge karraha tha toh maine bhi do chaar
dialogue chipkq diye usey.
Ye kah kar ajju ke dad haste hai.
Ajju : haan dialogue toh bohat wazandar they magar jab ye project hume milega toh woh aur bhi
jandar hojayenge.
Ajju ke dad bhi thoda serious hokar kahte hai.
Dad : zindagi me kabhi bhi kisi ko apne uper hawi math hone do chahe tum usse haar hi kyun na
jao. Use jeet kar bhi utni khushi nahi honi chahiye jitni hume haar kar uske samne zahir karni hai.
Iss se samne wale ka attitude chakna choor hojayega aur woh kabhi na kabhi aisi ghalti zarur
karege jisse tumhe agey jitne ka maukha zarur milega.
Ye kah kar ajju ke dad qurram ki taraf dekhte hai jo inhi ki taraf dekh raha tha.
.......................................... To be continued
update kaisa laga comment karke zarur batana.
UPDATE-19 part 1

[/QUOTE
bhai zabardast update or I hope agla update bhi jldi ayega