mashish
BHARAT
- 8,032
- 25,909
- 218
nice update story bahut achhi ja rahi haiUpdate 10 ( part 2 )
Dilshad : chalo bhai lunch ka time hogaya hai mai aap sab ke liye accha sa lunch banati hoon.
Ajju : arey rahnedo didi aap kyun takleef karogi bahar se kuch order karlenge aap bas yaha per baitho.
Dilshad : koi zarurat nahi hai bahar se order karne ki. Mai apne bhaiyon ko apne hath ka bana hua khana khilaongi.
Ahmed : haan didi hume bhi aap ke hath ka hi khana hai.
Imtiyaz : haan bhai tujhe toh bas maukha chahiye thusne ka. Jaha ghans dikhi nahi charna shuru kardeta hai tu.
Ahmed : aur tu jo din bhar jugaal deta rahta hai uska kya.
Indo ko aise ladte dekh honey singh ajju se kahta hai.
Honey singh : sir kya ye dono humesha aise hi ladte rahte hai.
Ajju : ye ladh nahi rahe hai bhai. Ye dono bas ek dusre ki tangh kheech rahe hai.
Aur phir dono se kahta hai jo apni bahes me busy they.
Ajju : tum dono ka kuch nahi hosakta. Mauka mila nahi ke shuru ho jao.
Ajju ke kahne ke baad dono chup hojate hai.. itne me ajju ka phone ring hota hai ajju caller name dekhta hai. Call uske dad ka tha. Ajju call receive karta hai.
Ajju : assalamu alaikum dad.
Dad : wa alaikum assalam beta kya karrahe ho. Waha sab theek hai na.
Ajju : haan dad yaha sab kuch theek hai bas kuch problem thi jisko maine solve kardi hai... aap bataiye kaise call kiya ?
Dad : woh mujhe abhi abhi muneeza ka call aya tha. Lagta hai kisine use kuch kaha hai. Mujhe ane ko kha toh mai wahi jaraha hoon. Agar tum free hogaye ho toh tum bhi ajao.
Ajju : kyaaaaa.... kiski itni himmat hui ke meri bahen ko kuch bhi kahe. Aap mujhe addresses dijiye mai abhi yaha se nikal raha hoon.
Dad : relax beta tum pareshan na ho mai jaraha hoon. Tum aram se aao. Apne abc road ke mall me hi hua hai.
Ajju : waha per hua hai toh manager ko call kijiye aur pata kijiye ke kya hua hai.
Dad : muneeza ne mujhe manager ko call karne se mana kiya hai.
Ajju : thik hai mai nikalta hoon yaha se aap waha jakar dekho kya horaha hai
Dad : thik hai aram se ana bye allah hafiz.
Ajju : ok dad bye allah hafiz.
Ajju ke call rahkne ke baad ahmed imtiyaz aur dilshad usse puchte hai kya hua. Ajju unhe sab bata deta hai. Phir ajju dilshad se kahta hai.
Ajju : didi abhi mujhe jana hoga agli baar aap ke hath ka khana zaroor khaonga.
Dilshad : thik hai bhai agli baar mai bhi tumko bina khana khilaye nahi jane dongi.
Ajju : honey ab yaha ki zimedari mai tum per chodh kar jaraha hoon. Mujhe umeed hai ke tum mujhe nirash nahi karoge.
Honey singh : aap yaha ki bilkul bhi fikar math kijiye sir mai puri imandari se kaam karonga.
Ajju : mujhe bhi tumse yahi umeed hai. Accha ab mai chalta hoon jaldi hi aunga.
Dilshad : tum dono bhi atey rahna bhai ke sath. Aur haan car aram se chala na.
Ajju ke sath ahmed aur imtiyaz bhi agli baar aney ka kahkar waha se nikal jate hai.
___________________________________________
Idhar mahi side :
Ajju ke dad jaldi hi apne mall pohanch jate hai. Ajju ke dad ke anay ki khabar mall ke manager ko bhi hojati hai woh bhi jaldi se ajju ke dad ke paas ajata hai.
Mall manager : sir aap yaha per ? Agar kuch kaam tha toh mujhe hukum kardiya hota. Apne yaha aney ki takleef kyun ki ?
Dad : yaha per kisi ne meri beti ke sath battamizi ki hai. Isi liye mujhe yaha per ana pada.
Ajju ke dad ki baat sunkar mall ke manager ko paseena ajata hai jise saaf karte hue kahta hai.
Mall manager : yaha per kisne aap ki beti ke sath battamizi ki hai sir ?
Dad : woh toh mujhe bhi nahi pata. Ab chal kar dekhte hai ke mamala kya hua hai.
Phir ajju ke dad muneeza ko call karke puchte hai ke woh kaha per hai. Phir ajju ke dad mahi aur mall ka manager muneeza ki batayi hui jaga per pohanch jate hai. Jaha per bheed lagi hui thi. Ajju ke dad waha pohanch kar muneeza se puchte hai.
Dad : kya hua beta tum log thik toh hona kisne ki battamizi tum logon se.
Muneeza us sales girl ke taraf ishara karke batati hai.
Dad : hua kya tha mujhe puri baat batao.
Phir muneeza ajju ke dad ko puri baat batati hai kaise muneeza ko sales girl ne bina wajha kitna kuch sunaya aur phir manager ke bare me bhi batati hai kaise usne ajju ke sisters ke sath battamizi ki. Puri baat sunne ke baad ajju ke dad sales girl se kahte hai.
Dad : kya yaha per kisi bhi cheez ka price maloom karne per aisa hi kaha jata hai ?
Ye sales girl new thi isi liye usey pata nahi tha ke ajju ke dad kon hai isi liye kahti hai.
Sales girl : aap ko isse matlab ? Hum chahe kuch bhi kare aap hote kon ho humse sawal karne wale. Pahle hi apki betion ne humara bohat time waste kiya hai. Bahtar yahi hoga ke aap yaha se apni betion ko lekar chale jaiye.
Us sales girl ki baat sukar waha khade sabhi log muh khol kar use dekhte hai aur mall ka manager kuch kahne wala tha magar ajju ke dad usey hath dikha kar rok dete hai. Abhi ajju ke dad kuch kahte mahi kahti hai.
Mahi : lagta hai aap ko badon se baat karne ki bhi tameez nahi hai.
Sales girl : loh ek aur agayi. Tum logon ke paas shayed koi kaam nahi hai isi liye yaha mujhse bahes karne agaye hai. Ya phir yahi tum logon ka kaam hai.
Mahi : aur lagta hai tumhara bhi yahi kaam hai ke jo bhi costumers tumhare paas aye unse battamizi karna.
Sales girl : mujhe koi shauq nahi hai tum jaise logon se bahes karne ka. Jab apni aukat nahi hai khareedne ki toh logon ko pareshan bhi nahi karna chahiye.
Mahi : accha toh iss shop me wahi asakta hai jiski aukat khareedne ki ho. Agar aisa hai toh dikhao mujhe. Kaha per likha hai. Magar mujhe toh yaha per aisa kuch bhi likha hua nazar nahi araha. Andar likha hua hai kya chalo auo dikhao mujhe. Agar aisa tumne mujhe dikha diya toh jo tum kahogi mai woh sab karne ko tayyar hoon. Agar aisa tum nahi kar payi toh abhi isi waqt hum sab se mafi mango.
Mahi ki baat sunkar woh sales girl chup hojati hai.
Mahi : kya hua chalo dikhao mujhe. Tumhari kya yaha kisi bhi shop me tumhe aisa nahi milega. Infact ye puri duniya me kahi per bhi nahi milega. Aur agar insaan ki aukat ka pata usko dekh kar laga sakte toh is waqt mai tumse baat karne me bhi apni tauheen samhajti.
Mahi ki akhri baat sukar us sales girl ko gussa ata hai.
Sales girl : tumhari itni bhi badi aukat nahi hai ke tum mujhse baat karne me apni tauheen samjho. Sirf badi badi baten karne se kuch nahi hota agar sahi me tumlog itni hi badi toop ho toh chalo meri shop se jo iss ladki ne ( muneeza ki taraf ishara karke kahti hai ) jo set pasand kiya hai usey khareed kar dikhao toh mai manugi ke waqai me mujhse ghalti hui hai warna tum sab log sabke samne mujhse mafi mangogi.
Sales girl apni baat kah kar muskurati hui pahle mahi ki taraf dekhti hai phir ajju ke sabhi sisters ki taraf dekh kar muskurati hai.
Mahi : bohat badi ghalti kardi. Tumne apni life ki sabse badi ghalti kardi bina jane bina sonche kuch bhi kahti chali gayi. Mai toh sirf tumse sorry kahal wa kar mamla solve karna chahti thi magar tumne toh apne pair per khud kulhadi marli. Ab tumahra kuch nahi hosakta.
Idhar ajju ke sisters jo itni der se mahi aur sales girl ki baten sunrahe they sabhi ko sales girl ki baat sunkar unka ruka hua gussa phat padta hai.
Nishath : bas bohat hogaya. Bohat sunli humne teri aur bohat sunali tujhe apni. Lagta hai tujhe humari aukat dikhani hi padegi.
Rukhsar : haan sahi kaha tuney nishi isko bhi toh pata chale ke hum kya toop hai.
Didi : ab bhi waqt hai humko sorry bol aur apne kaam ko sahi tareeqe se kar. Warna aisa na ho ke teri job bhi chali jaye aur tujhe kahi bhi job na mile.
Simran : haan didi mai bhi aap ki baat se sahmat hoon. Chal jaldi se maafi mang aur iss mamle ko yahi per khatam kar.
Yaha jo bheed jama hui thi woh bhi iss ko maze lekar dekh rahi thi kuch hi log inko jante they. Iss sales ko bhi andaza nahi tha ke woh kisse baat karrahi hai aur kya baat karrahi hai. Kyun ke ajju ke dad sirf mahi ko hi apne sath lekar aye the. Inki jagha koi aur hota toh apne sath bodyguards ki fauj lekar ghoomta aur ajju ke sisters bhi normal hi rahte they inko showoff karna pasand nahi tha aur naahi ziyada security lekar ghoomna pasand nahi tha. Isi liye ye sales girl bhi inko sirf normal log hi samhaj rahi thi isi liye itna kuch kahrahi thi. Usey iss baat ki khabar hi nahi thi ke woh iss mall ke owner se baat karrahi thi. Agar pata hota toh woh bohat pahle hi maafi mang leti. Magar ab kar bhi kya sakte hai iss bechari ki toh watt lagne wali thi.
Aur haan iss shop ke manager ko pata tha ke ye iss mall ke owner hai aur inko yaha dekh kar hi woh sadme me agaya tha isi liye woh sales girl ko chup karane ki bajaye apne bareme sonch raha tha ke ab mera kya hoga meri job ka kya hoga. Isi liye woh bas sonch raha tha kya kare kya na kare.
Sales girl ki baat sunkar muneeza kahti hai.
Muneeza : tu set ki baat karrahi hai ye pura mall hi mera hai. Yakeen nahi ata na toh inhe toh tu janti hi hogi.(Mall manager ki taraf ugli dikha kar kahti hai.) Phuch inse ke ye mall kiska hai
Sales girl shock hojati hai muneeza ki baat sunkar aur mall manager ki taraf dekhti hai.
Mall manager : ye mall inhi ka hai aur yahi nahi jis shop me tum kaam karti ho usme bhi inki partnership hai.
Mall manager ki baat sunkar toh sales girl ki batti hi gul hojati hai. Ab usey andaza hua ke usne ghalat logon se panga leliya hai. Magar ab pachtaye kya hota hai jab chidiya chug gayi khet.
Sales girl ki shakal per bara baje hue they jise dekh kar nishath kahti hai.
Nishath : kyun shock lagana tujhe ye jaan kar ke ye mall hi humara hai. Hum chahte toh tujhe pahle hi bata sakte they magar hume tere chahre per ye shock dekhna tha aur tujhe humari aukat dekhni thi na toh dekh ab.
Nishath ki baat sunkar woh sales girl ko aur bhi pasina ajata hai. Woh apne manager ki taraf dekhti hai jo is waqt pasina pasina hua khada tha aur jo kuch bhi horaha tha usey kaise bache yahi sonch raha tha aur usey ek hi rasta dikhta hai woh seedha ajju ke dad ke pairon me gir jata hai aur kahta hai.
Shop manager : sir please hume maaf kardijiye mujhe maloom nahi tha ye aap ke bachche hai. Please sir maaf kardijiye.
Shop manager ko dekh kar sales girl ki rahi sahi umeed bhi khatam hojati hai. Usey laga tha shayed shop manager uski madad karega magar woh khud ajju ke dad ke pair pakda hua tha.
Ajju ke dad manager ko utha kar khada karte hai. Phir kahte hai.
Dad : arey bhai tum maafi kyun mang rahe ho. Humari itni aukat nahi ke tumko maaf karsake bas apne owner ko call karke yaha per bulao mai unse baat karlonga.
Ajju ke dad ki kahi hui baat ka matlab samhaj kar shop manager kahta hai.
Shop manager : please sir aisa math kahiye. Humari itni aukat nahi hai ke hum apse baat bhi karsake please sir hume maaf kardijiye. (Phir sales girl se kahta hai )
Tum waha khadi khadi mera muh kya dekh rahi ho. Idhar auo aur maafi mango sir se.
Manager ki baat sunkar muneeza kahti hai.
Muneeza : bade papa inhone bhi hum sab ko bohat kuch kaha tha.
Muneeza ki baat sunkar manager kahta hai.
Shop manager : sorry madam humse bohat badi ghalti hogayi hai. Please hume maaf kardijiye hume maloom nahi tha ke aap kon hai.
Muneeza : arey arey aap maafi kyun mang rahe hai sir aap toh hume dhakke dekar baher nikal ne wale they na.
Shop manager : mai uske liye sharminda hoon madam. Please hume maaf kardijiye.
Muneeza : wah bhai wah apke toh surhi badal gaye. Kaha thodi der pahle aap hume humari aukat dikha rahe they aur ab humse hi maafi mang rahe hai. Aap logon ko hargiz maaf nahi karenge hum.
Phir muneeza sales girl ke paas jakar kahti hai.
Muneeza : kya hua madam ab aap kuch nahi kahenge. Kahiye na ab konsa set khareedna hai. Please madam boliye na.
Muneeza ke iss tarha kahne se sales girl ko samhaj ajata hai ek usne ghalat insan se panga leliya hai. Ab use bhi samhaj agaya tha josh josh me usne apne hi pair per kulhadi marli hai aur usey ye bhi maloom tha ke ye log usey maaf nahi karenge. Ab kya kare use samhaj hi nahi araha tha. Sales girl kuch kahti usse pahle shop ka owner waha pohanch jata hai. Use khabar hogayi thi yaha jo kuch bhi horaha tha. Use yaha dekh kar shop manager aur sales girl ki hawa aur tight hojati hai. Shop owner seedha ajju ke dad ke paas jata hai.
Shop owner : hello sir mai iss shop ka owner hoon mujhe pata chal gaya hai yaha per jo kuch bhi hua hai please sir aap ye sab kuch mujh per chodh dijiye mai dekh longa. In dono ki taraf se mai aap se maafi mangta hoon mujhe nahi pata tha ye log customers ke sath aisa behave karte hai.
Dad : aap kyun maafi magh rahe hai. Chaliye thik hai aap hi kijiye jo bhi karna hai.
Shop owner : thank you sir.
Phir shop owner undono ke paas jata hai aur dono ki acchi class leta hai aur unhe sab se maafi mangne ke liye kahta hai
Shop owner : Tumhe pata hai tum logon ne kiske sath battamizi ki hai. Jao jakar unse maafi mango.
Pahle shop manager agey akar ajju ke sister se maafi mangta hai. Koi bhi usko kuch nahi kahta phir woh ajju ke dad se bhi maafi mangta hai. Uske baad sales girl ajju ke sisters ke samne jakar khadi hojati hai aur dheere se kahti hai.
Sales girl : iam sorry mujhe maaf kardijiye mujhe aap logon ke sath battamizi nahi karni chahiye thi.
Nishath : kya kaha tumne hume kuch sunai nahi deraha. Kya tum logon ko sunai deraha hai.
Nishath ke aisa kahne ka matlab sabhi bahne samhaj jati hai.
Simran : mujhe toh kuch sunai hi nahi deraha.
Didi : haan zara zor se bolona. Abhi thodi der pahle toh bohat zor se awaaz nikal rahi thi ab kya hua ?
Rukhsar : lagta hai bechari ki awaaz kharab hogayi hai.
Muneeza : kya hua madam ab aisa khadi kyun ho zara unchi awaz me kaho aur sabko sunai de aisa kaho jaisa tum kuch der pahle kahrahi thi.
Ajju ke sisters ki baten sunkar sales girl waise hi khadi rahti hai jise dekh kar didi kahti hai.
Didi : kabhi bhi kisi se bhi ulhajne se pahle ye zaroor sonch lena ke ye mujh per bhari bhi pad sakta hai. Bina wajha itna bada tamasha bangaya. Arey meri bahen ne sirf price hi toh phucha tha iss me ghalat kya hai. Mujhe ye samhaj nahi araha ke price puchne per tumko itna gussa kyun aya.
Didi ki baat sunkar sales girl kuch nahi kahti bas khamosh khadi rahti hai. Use bhi ehsaas hojata hai ke ghalti usi ki hai.
Rukhsar : kisi ko itna hi kaho jitna tum sunkati ho. Ab tumhe apni hi kahi hui baton ke liye maafi mangne me sharam arahi hai.
Sabhi bahne sales girl ko bohat kuch sunati hai aur woh bhi khamoshi se sunti hai phir woh sabhi se maafi mangti hai. Sabhi bahne usey maaf kardete hai ye kahkar ke ainda phir kabhi kisi ke bhi sath aisa behave na kare.
Uske baad sabhi bahne usi shop se bohat si shopping karte hai aur baher nikal kar parking ki taraf chale jate hai.
___________________________________________
Idhar ajju side :
Ajju mill se sabhi se mill kar apni car me baith jata hai aur car ko mall ke taraf barha deta hai usey thoda time lagta hai yaha pohanch ne me kyun ke mills shaher se baher ki taraf hai. Ajju apne dad ko call karke bata deta hai ke woh nikal gaya hai aur jaldi hi pohanch jayega. Uske dad usko yaha ki situation bata dete hai aur kahte hai aram se aye yaha per sab kuch thik. Ajju thik hai kahkar phone rakh deta hai.
Magar usey sukoon kaha baat jab bahnon ki hoto kisko fikar nahi hoti ajju ka haal bhi kuch aisa hi tha usne apne dad ko kah toh diya thik hai magar jab tak woh khud sab kuch dekh na le use sukoon nahi milne wala tha isi liye ajju jaldi se jaldi mall pohanch na chahta tha.
___________________________________________
Idhar mahi side :
Sabhi bahnon ne dher sari shopping ki thi aur uss sales girl se ladai ke baad sabhi thak gaye they sabhi apne bags lekar baher atey hai aur apne bags ko car me rakh dete hai phir muneeza dad se kahti hai.
Muneeza : bade papa aap ke sath ye didi kon hai.
Dad : arey mai toh bhool hi gaya tha. Inse milo ye miss mahira apne office me hi kaam karti hai aur tumhare bhai ki assistant aur P.A dono ye hi hai aur aaj inka pahla din hai. Aur mahira ye sab meri betiya hai.
Muneeza : hi mera naam muneeza hai aur mai mere bhaiya ki sabse khareeb hoon agar aap mere bhaiya ki assistant hai toh apko mujhe bhi khush rakhna hoga kyun ke jab mai khush hoti hoon toh bhaiya bhi khush hote hai.
Afshan : muneeza didi aap mujhe kyun bhool rahi ho. Didi ( mahi ko ) mera naam afshan hai mai bhi apne bhaiya ki sabse ladli bahen hoon kyun ke mai sabse choti hoon toh bhaiya mujhe sab se ziyada pyar karte hai. Agar aap muneeza didi ko khush karoge toh bhaiya adhe hi khush honge agar aap muneeza didi ke sath mujhe bhi khush karogi toh bhaiya purey khush honge.
Mahi muneeza aur afshan ki baat sunkar muskurati hui kahti hai.
Mahi : aur aap dono kaise khush hongi.
Afshan : aap jab bhi mujhe milogi toh apne sath chocolate lekar ana mujhe chocolate bohat pasad hai.
Muneeza : meri toh bohat si demands hai jise aap ko puri karni hogi.
Indono ki baat sunkar didi kahti hai.
Didi : ohh bhaiya ki chamchiyon ye tumhare bhaiya ke sath kaam karti hai tumhare bhaiya ke sath shadi nahi karrahi jisko tum apni demands bata rahi ho.
Didi ki baat sunkar mahi sharmajati hai. Jise dekh kar sabhi bahne hasti hai phir didi mahi se kahti hai.
Didi : hi mera naam shaheen hai aur mai ajju ki badi sister hoon. Aap se milkar accha laga aapne jis tareeke se uss sales girl se baat ki mujhe bohat accha laga. Ye sab bhi meri bahne hai.
Phir sabhi mahi se milte hai aur uski tareef karte hai aur bhi bohat baten hoti hai phir mahi time dikh kar kahti hai.
Mahi : sir ab mai chalti hoon office time bhi over hogaya hai.
Dad : thik hai chalo car me baitho hum tumhe tumhare ghar tak drop kardenge.
Mahi : nahi sir mera ghar yahi paas me hi hai mai chali jaongi.
Didi : arey aise kaise chali jayengi aap hum chodh denge aapko.
Mahi : are nahi mai chali jaongi yahi paas me hi mera ghar hai aur mujhe by walk jana accha lagta hai.
Nishath : arey didi aap tension na le hum aap ke ghar akar kuch khaenge nahi bas aap ko chodh kar chale jayenge.
Mahi ko nishath ki baat samhaj nahi ati toh woh confuse hokar nishath ki taraf dekhti hai. Jise dekh kar ajju ki didi samhaj jati hai ke mahi ko nishath ki baat ka matlab samhaj nahi aya.
Didi : are mahi ye toh bas mazak karrahi hai. Hum loh aksar apne friends ya relatives se aise hi kahte hai. Tum ziyada kuch math soncho accha thik hai tum yaha se chali jao magar jate hue apna number toh deti jao.
Mahi did ki baat sunkar thoda pareshan hojati hai kyun ke uske paas mobile nahi tha. Ab ek orphanage me rahne wali ladki ke paas kaha se mobile phone ata aur mahi ko mobile phone ki kabhi zarurat hi nahi padi aur uske paas utne paise bhi nahi they ke woh mobile phone khareed sake. Jaha rahne khane ka hi baraber se intezam nahi waha mobile phone kaha se ata. Mahi ko thodi sharam ati hai ajju ki didi ko ye kahne me ke mere paas mobile nahi hai. Kaise kahte jaha aaj kal har kisi ke paas mobile hai waha aisa kahne per log mazak udate hai isi liye mahi kahti hai.
Mahi : woh mera mobile ghar per hi chuth gaya aaj first day tha toh jaldi jaldi me ghar per hi bhool gayi.
Mahi ki baat sunkar shabnam kahti hai.
Shabnam : arey isme kya hai mobile ghar per hai toh kya hua tum apna number bolo hum yaha per save kar lenge aur tum ghar jakar save karlena.
Shabnam ki baat sunkar mahi kuch kahti usse pahle ajju ke dad kahte hai.
Dad : arey beta use yaad nahi hoga number phir kabhi lelena accha mahira tum niklo hum yaha per thodi der aur rukenge.
Mahi ajju ke dad ki baat sunkar halka feel karti hai warna ab kya kahe usey samhaj nahi araha tha. Magar ajju ke dad ne sambhal liya tha kyun ke unhe pata tha ke mahi orphan hai isi liye unhi ne beech me kaha tha.
Mahi : thik hai sir bye allah hafiz.
Phir mahi sabko bye kahkar mall ke baher nikal jati hai usi waqt ajju mall me enter karta hai. Mahi paidal hi apne ghar ( orphanage ) ki taraf nikal jati hai yaha se uska ghar door tha magar mahi ko adat thi paidal chalne ki.
___________________________________________
Idhar ajju side :
Ajju jaldi se jaldi mall pohanch na chata tha isi liye car ko speed me chalta hua woh kam time me hi mall pohanch jata hai.
Ajju jaldi se car ko park karta hai aur apne dad ko call laga kar puchta hai kaha per ho toh uske dad mall ki parking me ane ko kahte hai ajju idhar udhar dekhta hai toh usey uske dad aur bahne nazar ajati hai ajju unki taraf cahla jata hai.
Ajju unke paas jakar sabse pahle muneeza ko puchta hai.
Ajju : kya hua tha bata mujhe kisne ki tere sath battamizi.
Muneeza : kuch nahi bhai thi ek ladki aur woh matter solve hogaya aur aap itni jaldi kaise agaye bade papa ne aap ko bataya tha na ke sab kuch theek hai toh phir aap ko itni speed se ane ki kya zaroorat thi.
Didi : aur nahi toh kya yaha hum sab bhi toh they iske sath. Hum kya iski fikar nahi karte tum akele hi nahi ho jo iski fikar karte ho. Jitni ye tumhe pyari hai utni hi hume bhi pyari hai.
Nishath : haan didi aap ne sahi kaha aur dekho hum bhi yahi per hai magar bhaiya ne humari taraf dekha hi nahi aur seedha iske paas chale gaye kya hum sab aap ki bahne nahi ? kya ye akeli hi hai.
Simran : bhaiya ye theek nahi aap isko sabse ziyada pyar karto ho theek hai magar hum bhi toh aap ki hi bahne hai.
Shabnam : hum nahi ye dono hi bhaiya ki bahne hai hum toh bas naam ko bahne hai.
Rukhsar : are tumsab toh atey hi bhaiya ke uper shuru hogayi ek toh woh itna lamba safar tao karke aye hai woh bhi kam time me aur tum sab atey hi unke uper chadh rahi ho. Arey thoda sahi se baat toh karlene do unko unki bahen se apna kya hai humse toh kabhi bhi baat hosakti hai.
Rukhsar ki baat sukar sabhi bahne hasti hai. Ajju rukhsar ke paas jakar uska kaan pakad kar kahta hai.
Ajju : mujhe laga tu mere side bolne wali magar toh tu insab se agey nikli.
Rukhsar ajju ke kaan pakad kar kahne se dard hone ka natak karte hue kahti hai.
Rukhsar : ahhh bhaiya dard horaha hai. Aur maine kuch ghalat kaha kya.
Ajju rukhsar ka kaan chodh kar kahta hai.
Ajju : tum log aisi baten soncha bhi math kiya karo tum sab mere liye barabar ho. Koi kam nahi koi ziyada nahi samjhi. Mujhe accha nahi lagta tumhara aisa kahna.
Didi : arey bhai ye sab toh bas mazak karrahi thi. Tum kyun sad horahe ho.
Nishath : haan bhaiya hum sab toh bas mazak karrahe they. Hume pata hai aap hum sab se kitna pyar karte ho.
Nishath ki baat ka sabhi bahne sath deti hai. Phir sabhi car me baith kar ghar ke taraf nikal jate hai.
___________________________________________
Idhar mahi side :
Mahi paidal chalte hue hi apne ghar ko ajati hai. Gate per raheem chacha milte hai.
Mahi : assalamu alaikum raheem chacha.
Raheem chacha : wa alaikum assalam agayi bitiya tum kaisa raha tumhara pahla din.
Mahi : accha gaya chacha aap ka kaisa gaya din.
Raheem chacha : humara toh humesha ki tarha hi gaya. Kuch kaam hoto bahar jao warna yahin raho.
Mahi : hmm ye bhi hai. Thik hai chacha baad me milte hai.
Raheem chacha bhi thik hai kahte hai. Mahi unse milkar apne bungalow ki taraf jati hai jaha uski ammi khadi hui thi. Jise dekh kar mahi kahti hai.
Mahi : assalamu alaikum ammi jaan aap yaha per kyun khadi hai sab khairiyat?
Khairoon bee : wa alaikum assalam sab khairiyat seich hai. Mai teraich intezar karion thi.
Mahi : accha chaliye ander chalte hai.
Mahi aur khairoon bee ander jate hai mahi fresh hone chali jati hai aur thodi der baad neeche akar apni ammi ke paas jati hai.
Mahi : ammi mujhe bohat zorse bhook lagi hai kuch khane ko hai kya ?
Khairoon bee : ruk abbi dekhke detiyon.
Khairoon bee mahi ko kuch snacks deti hai. Phir mahi se phuchti hai.
Khairoon bee : kaisa gaya aaj ka tera din.
Mahi : bohat accha gaya ammi aur pata hai waha per mera do baar test hua jisme mai paas bhi hui. Phir boss ne meri tareef bhì ki aur apne sath lekar lunch bhi kiya phir unke sath baher gayi unke bhachon ke sath ek ladki ne battamizi ki thi. Phir waha per bhi bohat kuch hua.
Mahi apni ammi ko aaj ki puri baat detail me batati hai jise sunkar khairoon bee kahti hai.
Khairoon bee : hmm ye sab thik hai apne boss logon se ziyada ghul mil math jana ye kisi ke sage nahi hote kaam nikal jane ke baad sab bhool jate hai.
Mahi : ji ammi mai khayal rakhungi ab mai apne room me jarahi ho dinner ke time bulalena mai thoda aram karleti hoon.
Khairoon bee bhi thik hai kah kar apne kaam me lagjati hai. Mahi bhi apne room me jakar aram se lait jati hai aur uski ankh lag jati hai.
Raar ke waqt khairoon bee mahi ko jagati hai aur dinner ke liye bulati hai mahi bhi fresh hokar dinner karti hai. Dinner ke baad mahi isha ki namaz padti hai aur phir sojati hai.
___________________________________________
Ajju side :
Ajju apne sabhi bahnon ke sath apne ghar ko ajata hai. Ahmed aur imtiyaz kal milne ka kah kar dono apne ghar ko chale gaye they.
Ajju pahle apne room me jakar fresh hota hai phir neeche akar hall ke sofe per baith jata hai jaha sabhi bahne ajju ki mom ko aaj ke bareme bata rahi thi. Sab kuch sunkar ajju ki mom kahti hai.
Mom : aaj jo bhi hua accha nahi hua us sales girl muneeza ke sath battamizi nahi karni chahiye thi. Khair jo hua so hua magar tum logon ne usey maaf karke accha kiya isse tumne ye sabit kardiya ke tumlog bade ghar se hote hue bhi ek acche kirdar ke ho. Aur allah maaf karne walon ko pasand farmata hai. Aur mujhe puro umeed hai ke woh ladki phir kisi ke sath aisa nahi karegi. Tum log jao aur fresh hojao jab tak mai sab ke liyw coffee banakar lati hoon.
Phir sabhi fresh hone chale jate hai tab tak ajju ki mom sab ke liye coffee bana kar lati hai. Sabhi baith kar aaj ke bareme baar karte hai aur apni ki hui shopping batate hai.
Ajju bhi apne dad ko aaj mill me jo kuch bhi hua woh bata deta hai. Jise sunkar ajju ke dad usko shabashi deta hai aur kahte hai tumne bilkul sahi faisla kiya hai. Aise hi baton me raat hojati hai toh sabhi dinner karke apne apne room me sone chale jate hai. Ajju ke sisters aaj yahi per ruk jati hai.
Ajju apne room me jakar pahle apne kapde change karta hai phir bed per akar baith jata hai aur apni dairy nikal kar usme aaj ke din ke bare likh kar thodi der alfisha ki photo ko dekh kar sojata hai.
Ab agle din dekhte hai ke ajju aur mahi ki dusri mulaqat kin halaton me hoti hai aur mahi ka kya reaction hota hai jab usko pata chalega ke ajju ki uska boss hai jiski woh assistant aur P.A bani hai.
Agey janne ke liye mere sath bane rahe BE-INTEHA-ISHQ ke sath apka apna MAQ.
Written by MOHAMMED AZEEM QURESHI.
Update kaisa laga comment me zaroor batana.