UPDATE 21
Aaj ajju bohat busy tha aaj project ke milne ki khushi me party rakhi gayi thi jiski puri zimedari ajju
per thi.
Ajju subha uth kar sabse pahle nashta karke bahar jata hai aur imtiyaz ahmed alauddin aur nizam
ko bula kar sab kuch arrange karne lagta hai.
Party organizers ko ajju raat me hi nizam ko bolkar book karwa diya tha aur ek five star hotel bhi
book karliya tha.
Ab bas sab cheezen sahi hai ya nahi ye sab dekhna tha.
Ajju ke dad ne aaj sabhi office ke staff ko party me ane ke liye kahdiya tha. Aur apne business
partners aur business friends ko bhi invite kiya tha iss me Mr qurram bhi invited they.
Iss party me ajju ke dad ne businessmen ke sath sath kuch politicians ko invite kiya tha.
Ajju ke dad apne bhai bahnon ko bhi phone karke project ke bareme bataya aur aaj ki party ke
liye invite bhi kiya. Sabhi bohat khush they ajju ke dad ko project milne se.
Ajju ki didi ne apne sabhi cousin sisters ko subha subha ajju ke utne se pahle hi ghar per hi bula
liya tha aur sabhi ne milkar menu set kiya. Aur ajju ke uthtey hi use list thama di aur lagyi apni
tayyari me matlab shopping me.
Aaj mahi bhi office me hone wali party ke bareme sonch rahi thi ke jaye ya na jaye.
Kyun ke usey pata tha waha per bohat se bade bade log ayenge aur bhi kai log honge. Mahi ko
shaista ki party ka din yaad araha tha. Kaise wahan uski best friend ne hi usko kai logon ke beech
sharminda kiya tha.
Isi liye mahi aaj subha office se massage milne ke baad se yahi sonch rahi thi jaye ya na jaye.
Magar mahi ko bhi pata tha uska jana zaruri hai.
Mahi yahi sab sonch rahi thi ke uske room ke door per knock hota hai. Mahi jakar door kholti hai
toh bahar jabeen khadi thi jise dekh kar mahi surprise hojati hai.
Kyunke jabeen bohat kam baar hi uske paas ati hai aur woh bhi room me. Mahi use surprised
hokar dekhne lagti hai jise dekh kar jabeen muskurate hue kahti hai.
Jabeen : ( muskurate hue ) aise kya dekh rahi ho mai hi hoon. Aur kya yahin khade rakhne ka irada
hai, andar nahi ane dogi kya ?
Mahi jabeen ki baat sunkar side hat jati hai aur jabeen andar akar bed per baith jati hai.
Mahi : ( khushi se ) aap yaha per kaise didi ?
Jabeen : kyun nahi ana chahiye kya ?
Mahi : nahi mera matlab woh nahi tha. Mai toh bas ye janna chah rahi thi ke aap subha subha
yaha kaise agayi.
Jabeen : bas aise hi mujhe tumse milne ka dil hua toh agayi tum toh ab wahan ati nahi ho toh
soncha mai hi akar mil lon.
Mahi : aap ko toh pata hi haina didi meri nayi nayi job lagi hai toh usme hi busy rahti hoon.
Jabeen : haan mujhe pata hai isi liye toh tumhare paas ayi hoon. Waise tumne bataya nahi itna
bada kaam kardiya.
Mahi : konsa kaam didi ? Aap kis kaam ki baat karrahi ho.
Jabeen: ( muskurate hue ) wahi jiske charche aaj pure shaher me horahe hai.
Mahi ko jabeen ki koi bhi baat samhaj me nahi arahi thi.
Mahi : didi aap kya kahrahi ho mujhe toh kuch samhaj nahi araha jo bhi kahrahi ho saaf saaf
kahona aise ghuma phira ke kyun kahrahi ho.
Jabeen : samhaj nahi araha chalo mai hi samjhati hoon. Ye dekho.
Ye kahkar jabeen mahi ke samne ek magzine rakhti hai jise dekh kar toh mahi shock hojati hai.
Mahi : ( shocked ) ye kya hai didi ?
Jabeen : haiiiiin ye sawal tum mujh se puch rahi ho photo tumhari chapi aur sawal bhi tumhi
karrahi ho. Kamal hai.
Ji haan us magazine per kal ki li hui photos thi jisme mahi ajju aur uske dad ke sath khadi hui thi
aur usme ajju ke dad ko project milne ke bareme likha hua tha.
Mahi : didi mujhe sach me nahi maloom ke meri photo isme ayi hai. Mujhe toh abhi aap ke batane
per maloom hua hai. Mai khud hairan hoon ye dekh kar.
Jabeen : haan hosakta hai magar isme tumhare bareme bhi likha hua hai.
Phir mahi magazine ko khol kar padti hai toh uski speech aur ajju ke dad ki speech likhi hui thi.
Jabeen : ( khushi se ) congratulations mahi mujhe bohat khushi hui tumhari photo ko magazine
ke front page per dekh kar.
Mahi : thank you didi mujhe sach me iske bareme kuch bhi pata nahi tha.
Jabeen : chalo koi baat nahi waise aaj office nahi jarahi kya ?
Mahi : aaj off hai didi boss ne party rakhi hai project milne ki khushi me.
Jabeen : ye toh bohat acchi baat hai aur mera laya hua gift bhi tumhare kaam ajayega.
Mahi : gift ? Kaisa gift didi.
Jabeen : actually aaj jab maine ye magazine dekha aur iss per tumhari photo dekhi toh mujhe
vishwas nahi hua ke ye tumhi ho aur jab gaur se dekha toh ye tumhi thi phir jab isko padha toh
yakeen hogaya ke ye tum hi ho toh mai bohat khush hogayi aur isi khushi me tumhare liye ek
bohat hi khubsurat sa dress select karke tumhare liye leliya aur yaha tumse milne agayi.
Mahi : iski kya zarurat hai didi aap yaha akar mujhe mili mere liye yahi mera gift hai.
Jabeen : na na na koi bahana nahi chalega aur chup chap ye rakho aur aaj isi ko pahen kar jana
tumper bohat hi accha lagega.
Ye kahkar jabeen use ek plastic bag deti hai jisme ek bohat hi khubsurat si dress thi. Mahi woh
lekar jabeen ke gale lag kar kahti hai.
Mahi : thank you didi thank you so much.
Jabeen : chal pagal didi ko bhi koi thank you kahta hai. Accha chal mai chalti hoon mujhe bohat
kaam hai.
Mahi : arey aise kaise aap bina kuch khaye kaise jasakti ho. Mai bhi na duffer hoon aap ko aye
kitni der hogayi aur aap ko pani ke liye bhi nahi pucha aap ruko mai aap ke liye nashta lekar ati
hoon.
Ya kahkar mahi bed se uth kar jane lagti hai toh jabeen uska hath pakad kar wapas bed per bitha
deti hai.
Jabeen : isko koi zarurat nahi hai mai nashta karke ayi hoon bas tumse milna tha isi liye yaha ayi.
Ab mai chalti hoon mujhe kaam bhi hai nashta phir kabhi karlenge.
Ye kahkar jabeen mahi ko ek baar aur congratulations kahkar chali jati hai.
Jabeen ke Jane ke baad mahi apne rab ka shukriya ada karti hai ke usne mere bina kahe hi
jabeen ko bhej kar madad kardi.
Idhar ajju apne doston ke sath milkar sabhi intezam dekhta hai. Sab kuch dekhne me hi lunch
time hojata hai.
Phir sabhi raat me party me milne ka bolkar apne apne ghar ki taraf chale jate hai.
Ajju jab ghar ko ata hai toh ghar me sabhi bahne abhi shopping karke ayi thi aur sabhi ek dusre
ko apni apni cheezen dikha rahi thi.
Ajju unke paas na jakar seedha apne room me jata hai kyun ki usey pata tha ke agar woh apni
bahnon ke paas gaya toh woh usey apni cheezen dikha kar hi chodengi.
Isi liye ajju seedha apne room me jakar fresh hota hai aur thodi der rest karne ke liye sojata hai.
Ajju ki neend uske door per knock karne se khulti hai. Ajju apne mobile me time dekhta hai toh
5pm horahe rahe they. Ajju jakar door kholta hai toh bahar muneeza khadi hui thi.
Muneeza : kya bhaiya ghar me party hai aur aap so rahe ho ?
Ajju : haan bhai mai toh bas so hi raha hoon bahar ka kaam toh tum sab maharahiyan karrahi
hongi. Hain na ?
Ajju ki baat sunkar muneeza haste hue khati hai.
Muneeza : ( haste hue ) haan aur nahi toh kya aap karrahe ho. Aap toh bas sorahe ho.
Muneeza ki baat sunkar ajju bhi haste hue kahta hai.
Ajju : ( haste hue ) haan sahi hai mai toh bas soraha tha ya time pass karte hue phir raha tha.
Muneeza : ( haste hue ) sahi kaha. Accha bhaiya jaldi se neeche ajaiye neeche bade papa aap ko
bula rahe hai.
Ajju : thik hai tu chal mai fresh hokar ata hoon.
Muneeza : jaldi ana.
Ye kahkar muneeza neeche chali jati hai aur ajju bhi fresh hone chala jata hai.
Neeche ajju ke dad sofe per baith kar kuch list check karrahe they. Ajju unke paas chala jata hai.
Ajju : assalamu alaikum dad.
Dad : wa alaikum assalam uthgaye beta.
Ajju : ji dad apne bulaya mujhe ?
Dad : haan who party ka sab arrangement hogaya na.
Ajju : ji dad sab kuch hogaya hai.
Dad : hmm chalo phir thik hai. Tumne khud check kiya na.
Ajju : haan dad maine sab kuch khud khade hokar kaam karaya hai. Aur sub kuch sahi se hogaya
hai.
Dad : ye accha kiya jo tumne khud khade hokar kaam karaya. Accha apni bahnon se bhi puchlo
unhe kuch chahiye toh nahi.
Ajju : ok dad.
Ye dono baten karrahe they ke ajju ki mom coffee lekar ati hai aur table per rakhkar kahti hai.
Mom : kya baten horahi hai.
Ajju : kuch nahi mom, dad party ke arrangement ke bareme puch rahe they. Aur aap sunaiye aap
ka toh kuch kaam nahi rah gaya haina. Agar kuch rah gaya hai toh mujhe bata dijiye mai kardeta
hoon.
Mom : nahi beta mujhe kuch bhi kaam nahi hai. Tum bas apne bahnon se hi puch lo subha se lagi
hui hai magar unka khatam hi nahi horaha hai.
Dad mom ki baat sunkar haste hue kahte hai.
Dad ( haste hue ): ab woh log time nahi lagayenge toh kya hum log lagayenge. Waise tum bhi
kuch kam time nahi leti thi pahle ready hone me.
Dad ki baat sunkar mom sharmajati hai.
Mom ( sharmate hue ) : aap bhi na bachchon ke samne kuch bhi kahte ho kuch toh sharam kijiye.
Ajju beta tu ja, jakar apni bahnon se puch unhe kuch chahiye toh nahi.
Ajju bhi apni mom ki baat sunkar haste hue waha se apne didi ke room ki taraf chala jata hai.
Ajju jab apne didi ke room ke paas jakar door knock karta hai toh simran ( ajju ki cousin sister )
door kholti hai.
Ajju jaise hi room me ke andar jata hai toh room ki halat dekh kar hairan hojata hai. Room ki halat
dekh kar aisa lag raha tha ke iss room me abhi abhi koi tufaan akar gaya ho. Waisi halat thi room
ki, har taraf kapde pade hue they aur najane kya kya tha. Pura room is waqt jung ka maidan lag
raha tha.
Ajju ko aise hairan dekh kar uski bahne hasti hai aur haste hue kahti hai.
Nishath : ( haste hue ) kya hua bhaiya aap aise hairan kyun horahe hai. Aur apna muh band kijiye
warna muh me makhkhi ghus jayegi.
Nishath ki baat sunkar ajju ki sabhi bahne hasti hai aur ajju apna muh band karleta hai jo room ki
halat ko dekh kar khul gaya tha.
Ajju : ( hairani se ) ye sab kya hai? Kya halat bana rakhi hai room ki.
Didi : bhai ye toh kuch bhi nahi hai agar tum thodi der pahle atey toh yaha per hume dhundna
mushkil hojata waisi halat thi room ki. Abhi toh humne jo nikala tha usko wapas rakh diya hai toh
ye halat hai room ki. Khair ye sab chodo aur ye batao ke tum yaha kyun aye ho?
Ajju : haan woh mai aap logon ko puchne aya tha ke aap ko kisi cheez ki zarurat toh nahi hai na?
Didi : nahi bhai humne kuch bhi nahi chahiye. Waise party ki puri tayyari hogayi na theek se?
mujhe koi bhi kami nahi chahiye waha per. Agar kuch bhi kam laga toh mai tumhe nahi chodungi.
Didi ki baat sunkar ajju ki sabhi bahne ek sath kahti hai.
Sahib bahne : haan sahi kaha didi apne, agar kuch bhi kami rahi toh bhai aap ki khair nahi.
Ajju : don’t worry maine sab kuch check kiya hai. Aap log befikar raho aisa kuch bhi nahi hoga.
Bas aap log jaldi se tayyar hojaiye kyun ki party 7pm se shuru hone wali hai aur hume yaha se
6:30 pm tak nikalna hai.
Didi : thik hai bhai hum jaldi hi ready hojayenge.
Ajju : thik hai phir aap log ready hojao mai bhi jakar ready hota hoon.
Ye kahkar ajju jane ke liye palta hi tha ke apne didi ki awaz sunkar ruk jata hai.
Didi : ajju ek minute ruk.
Ajju : haan didi kaho kuch kaam hai kya?
Didi : nahi kaam nahi hai. Tu aaj party me kya pahnne wala hai?
Ajju : koi bhi ek suite pahen longa. Kyun?
Didi : mujhe pata tha tum aisa hi kuch kahoge. Ek minute ruko.
Ye kahkar didi muneeza ko ek ishara karti hai toh muneeza didi ke room me rakhe kuch bags me
se dekh kar ek bag lakar didi ko deti hai. Didi muneeza se bag lekar ajju ko dekar kahti hai.
Didi : ye lo aaj ki party me tum ye pahno.
Ajju apni didi se bag lekar khol kar dekhta hai toh usme ek Armani ka suit tha jo dark brown
colour ka tha. Ajju us suit ko dekh kar kahta hai.
Ajju : iss ki kya zarurat thi.
Didi : ye meri akeli ki taraf se nahi hai. Ye hum sab bahnon ne tumhare liye liya hai. Agar kuch
kahna hai toh inko kaho.
Ajju apni didi ki baat sunkar apni bahnon ki taraf dekhta hai jo usey ghoor kar dekh rahi thi. Jaise
kah rahi ho agar aap ne kuch kaha toh phir aap gaye.
Ajju unko apni taraf aise dekh hue dekh kar kahta hai.
Ajju : aray wah ye meri bahnon ne mere liye laya hai. Phir toh aaj ki party me mai yahi pahnuga.
Aur thanks kahkar mai ise paraya nahi karonga.
Pahle ajju ki baat sunkar sabhi bahne hasti hai kyun ke ajju pahle unhe kuch aur kahne wala tha
magar jab unko apni taraf ghoor kar dekhte hue paya toh baat badal di.
Phir ajju ki baat sunkar sabhi bahne khush hojati hai aur bari bari se ajju ko hug karti hai. phir ajju
apna dress lekar waha se apne room me chala jata hai.
Ajju apne room me akar kuch calls karke hotel walon ko kuch instruction deta hai aur phir
washroom me jakar bath leta hai phir ready hokar neeche ata hai.
Ajju ke ane ke thodi der baad hi ajju ke mom dad bhi ready hokar ajate hai. Phir kuch der baad
ajju ke sisters bhi ajate hai.
Phir sabhi mil kar do cars me hotel ki taraf nikal jate hai.
Idhar mahi magazine lejakar apni ammi ko dikhati hai jise dekh kar khairoon bee bohat khush
hoti hai. itna khush ke unki ankhon se khushi ke ansu nikal jate hai.
Khairoon bee : ( khushi se ) mujhe aaj itni khushi horahi hai ke mai bata nahi sakti. Aaj mujhe garv
horaha hai ke tu meri beti hai.
Apni ammi ki baat sunkar, apni aami ko beech me rok kar mahi muskurate hue kahti hai.
Mahi : ( muskurate hue ) ghalat mai aap ki beti hoon iss liye aap ko garv nahi hona chahiye. Balki
aap meri maa ho iss liye aap ko garv hona chahiye.
Mahi ki baat sunkar khairoon bee mahi ko apne gale laga leti hai.
Khairoon bee : uper wala tumhe aise hi kamiyab kare meri bachchi. Tum jaha jaha kahadam rakho
sirf aur sirf kamiyabi hi tumhara mukhaddar bane.
Mahi : ammi mai har maidan me fateh hasil karongi bas aap ki dua humesha mere sath rahe.
Khairoon bee : meri dua humesha tumhare sath rahegi meri beti. Uper wala tumhe humesha
khush rakhe.
Dono baat karrahe they ke waha per miss nadiya ajati hai.
Miss nadiya : mahi aaj tum office nahi gayi?
Mahi : ji woh aaj office off hai, isi liye office nahi gayi.
Miss nadiya : kyun? Kyun off hai.
Mahi : ji woh kal humari company ko jo project mila hai toh usi khushi me aaj party rakhi gayi hai.
isi liye aaj office off hai.
Miss nadiya : arey wah ye toh bohat khushi ki baat hai. toh phir kab jarahi ho tum party me.
Mahi : ji woh party aaj sahm ko 7pm ko hai toh mai 6pm tak niklongi.
Miss nadiya : thik hai phir mai bhi tumhare sath chalongi. 6pm tak ready rahna hum 6pm ko hi
niklenge. Tumhe koi problem toh nahi hai na. aur haan waha per family ko toh lekar ane ko kaha
hai na.
Mahi : ji mujhe koi problem nahi hai. aur unho ne mujhe with family hi invite kiya hai.
Miss nadiya : thik hai hum sham ko niklenge.
Ye kahkar miss nadiya waha se chali jati hai aur mahi apni ammi ki taraf dekh kar kahti hai.
Mahi : ammi ye madam mere sath kyun chalna chati hai? woh kya karengi waha jakar?
Khairoon bee jo miss nadiya ke ye kahne se ke woh bhi mahi ke sath jana chahti hai. tab hi
samhaj gayi thi ke woh mahi ke sath kyun jana chahti hai.
Kahiroon bee : woh waha iss liye jana chahti hai ke waha per bade bade log ayenge jinse woh
bada bada donation lesakti hai. isi liye woh tere sath chalne wali hai. khair hum unka kuch nahi
karsakte isi liye uske bareme sonch kar dil chota math kar aur aaj kya pahenna hai woh sonch.
Kyun ke waha per bade bade log ayenge toh agar tum kuch accha pahen kar jaogi toh accha
lagega.
Mahi : ji ammi mujhe pata hai aur aaj jabeen didi ne mujhe iss project ke milne ki khushi me gift
diya hai. wahi aaj mai party me pahnugi.
Phir mahi apni ammi ko jabeen ka laya hua dress dikhati hai jo ki ek boaht hi khubsurat gown tha.
Us gown ko dekh kar khairoon bee kahti hai.
Khairoon bee : mashallah bohat hi pyara dress hai aur tujh per bohat accha bhi lagega. Allah
jabeen ko humesha salamat rakhe jo bina kahe hi samhaj gayi ke tujhe iski zarurat hai.
Phir aise hi dono idhar udhar ki baten karte hai aise hi baton me hi lunch ka time hojata hai phir
mahi apni ammi ke sath lunch karti hai aur thodi der aram karne ke liye lait jati hai aur uski ankh
lag jati hai.
Mahi ki ankh uski ammi ke jagane se khulti hai aur time dekhti hai toh 5 pm horahe they.
Mahi jaldi se uth kar fresh hoti hai aur fresh hokar ready hoti hai aur ready hokar neeche ati hai.
Neeche khairoon bee kuch kaam karrahi thi. Mahi jaise hi neeche ati hai khairoon bee apna kaam
chod kar mahi ke paas ati ahi aur apne ankh se kajal nikal kar mahi ko laga kar kahti hai.
Khairoon bee : kisi ki nazar na lage meri bacchi ko. Bohat pyari lag rahi ho is lambe frock me.
Mahi apni ammi ki baat sunkar haste hue kahti hai.
Mahi : ( haste hue ) ammi ise lamba frock nahi kahte. Ise gown kahte hai.
Khairoon bee : jo bhi kahte ho. Magar ye tere uper bohat jach raha hai.
Ye dono baten karahi thi ke miss nadiya waha ajati hai aur mahi se cahlne ko kahti hai.
Phir mahi apni ammi ko bye kahkar miss nadiya ke sath unki car me baith kar hotel ki taraf nikal
jati hai.
Idhar qurram ke ghar me uske bahu beta wapas ajate hai jo amena ke ghar ko gaye hue they.
Idhar qurram side qurram ne admi ko apni beti ke bareme pata karne ke liye bheja tha usse puri
information leta hai aur use bohat khushi hoti hai ye jaan karke jise woh apni beti samhaj raha tha
woh uski beti hi hai.
Isliye aaj qurram office se jaldi agaya tha. Qurram jaise hi ghar me ata hai amena ( qurram ki
bahu ) usey pani lakar deti hai. qurram pani peen eke baad wahin sofe per baith jata hia aur
amena se puchta hai.
Qurram : aur beta sab kaise hai ghar per? Mummy papa.
Amena : ji dad sab acche hai aur aap kaise hai aur aap bohat khush nazar arahe hai.
Qurram : mai toh ek dam theek thak tumhare samne khada hoon. Aur rahi khush hone ki aaj ek
party me jana hai isi liye khush hoon.
Amena qurram ke jawab se mutmayeen ( satisfied ) nahi hoti hai magar woh kuch kahti nahi. Use
lagta hai baat kuch aur hai aur uske sasur usey woh baat batana nahi chahte. Isliye woh bhi aur
koi sawal nahi karti.
Ye dono baat karrahe they ke anam ( amena ki beti ) unke paas ati hai.
Anam : ( totli zaban me ) atalamu alaitum ( assalamu alaikum ) dad jaan.
Qurram : wa alaikum assalam dada ki jaan.
Ye kahkar qurram anam ko apni goud me bitha leta hai.
Qurram : kaisi hai humari pari ( anam ko pyar se pari kah karbulate hai ).
Anam ( totli zaban me ) :mai acchi hoon aap taise ( kaise ) hai .
Qurram : hum bhi acche hai. aaj aap school nahi gayi.
Anam : nahi dayi .
Qurram : kyun?
Anam : tuyn ti hum aaj hi ghal ko aye hai. isliye aaj mai sthool nahi gayi.
Qurram : hmm toh ye baat hai.
Qurram aur amena ko baat karte hue dekh kar amena wahan se uth kar kitchen me chali jati hai.
amena ke jane ke baad asiya bhi waha per akar qurram aur anam ke sath baith jati hai.
Asiya : assalamu alaikum.
Qurram : wa alaikum assalam.
Asiya : kya baten horahi hai dada poti me.
Qurram : kuch nahi bas aise hi baten karrahe they. Waise aap kaha thi dikhai nahi di.
Asiya : ji mai room thi. Waha ki safai karwa rahi thi. Waise aap ye kyun puch rahe hai? Kuch kaam
tha kya?
Qurram : kuch khas nahi bas apko ye yaad dilana tha ke aaj humko party me jana hai. Bas isi liye
pucha.
Asiya : ji haan mujhe yaad hai aur maine aap ko kal hi kaha tha na ke mujhe nahi jana toh aap phir
kyun kah rahe ho.
Qurram : mai aap ko wajha toh nahi bata sakta. Bas itna kah sakta hoon ke agar aap party me
chalengi toh aap ka dil khush hojayega.
Asiya : aisa kya hone wala hai waha per jo aap mujhe apne sath lejana chahte hai.
Qurram : tum chalo toh sahi tumhe khud pata chala jayega.
Asiya : thik hai aap kahrahe hai toh chalti hoon.
Qurram : ab 5pm horahe hai. Toh apke paas sirf 1 hour hai toh jaldi se jakar ready hojaye. Party
7pm ko hi shuru hone wali hai.
Qurran aur asiya ki baat sunkar anam jo qurram ke goud me baithi hui thi. Kahti hai.
Anam : ( totli zaban me ) : dada jaan aap lod taha ja lahe ho. Mudey bi apte sath talna hai.
Qurram : arey aap waha chal kar kya karogi.
Anam : mudhe bhi dil thus talna hai.
Anam ki baat sunkar qurram aur asiya dono haste hai.
Qurram : thik hai aap bhi chalo aur haan wahan shararat bilkul bhi nahi karna.
Anam : mai taha salalat talti hoon. Mai toh atti batti hoon. Hai na didi daan.
Asiya : ( haste hue ) haan meri bacchi kabhi shararat nahi karti. Accha tum apni mummy ke paas
jakar ready hojao phir hum nikalte hai.
Asiya ki baat sunkar anam khush hokar apni mummy ke paas jati hai.
Thodi der me amena ek tray me coffee ke teen cups rakh kar lati hai. Aur unhe table per rakh kar
kahti hai.
Amena : kya aap log anam ko bhi apne sath party me lekar jarahe ho?
Ye kah kar woh coffee ke cups qurram aur asiya ko deti hai.
Asiya : haan beta ise ready kardo hum log ise apne sath lekar jarhe hai aur haan hum 6:30pm tak
nikal jayenge.
Amena : magar mom isko sath lekar kyun jarahe ho. Ye waha aap logon ko pareshan karegi.
Anam : nahi mamma mai zala bee palesan nahi talongi. Aap pleash mude dane didiye na.
Qurram : ( haste hue ) aney do beta ye bohat pyari bachchi hai. Bilkul bhi pareshan nahi karegi.
Kyun beta pari.
Anam : haan dada daan mai biltul bee palesan nahi talongi.
Amena : thik hai phir mai ise tayyar karti hoon.
Apne mummy ko haan kahte sunkar anam bohat khush hoti hai aur khushi me nachte hue kahti
hai.
Anam : ( khushi se ) ye mai dada dadi te sath palty me daongi.
Anam ko nachte hue dekh kar qurram aur asiya haste hai toh amena anam se kahti hai.
Amena : waha per agar shararat ki toh bohat pitayi karongi tumhari. Acche se rahna aur dada
dadi ke sath hi rahne.
Anam : ok mamma.
Phir amena anam ko apne sath lekar ready karne jati hai aur qurram aur aisya bhi ready hone
chale jate hai.
Kuch ek ghante baad qurram asiya aur anam ek car me party ki taraf nikal jate hai.
Ab dekhte hai ke agey kya hota hai.
Agey janne ke liye mere sath bane rahe BE-INTEHA-ISHQ ke sath apka apna MAQ.
Written by MOHAMMED AZEEM QURESHI ( MAQ ).
update kaisa laga comment me zarur batana......