Update 22
Ajju aur uski family hotel pohach chuke they. Abhi kuch hi log aye they. Ajju ke chacha aur phupha log bhi achuke they.
Is party me jitney bhi log aye they sabhi bade bade businessmen ya politician hi they aur aaju ke family members bhi they.
Ajju ke dad sabse pahle unke paas hi jate hai. ajju ke dad jasie hi unke paas jate hai ajju ke bade papa unko gale laga lete hai. phir uske baad ajju ke bade chahcha gale milte hai phir ajju ke chote chacha milte hai aur uske baad ajju ke sabhi phupha bhi ajju dad ke gale milte hai.
Aur sabhi ajju ke dad ko project milne ki mubarakbaad dete hai.
uske baad ajju ke bade papa ajju ke dad se kahte hai.
Bade papa : bohat bohat Mubarak ho chote.
Dad : shukriya bhaiya.
Bade papa : aur suna ghar per sab kaise hai.
Dad : ji bhai sabhi acche hai. aap sunaiye bhabhi aur bacche kaise hai.
Bade papa : haan woh sab bhi acche hai. aur ajju kaha hai.
Dad : woh bhi mere sath hi aya tha. Hoga yahin kahin.
Phir ajju ke dad apne chote bhaiyon se kahte hai.
Dad : aur bhai kya haal chal hai. schools kaisa chal raha hai. ( ajju ke bade chacha ke kai school shai who sabhi school iss shaher ke bade schools me atey hai ). Aur ghar me sab kaise hai. bachche aye ya nahi?
bade chacha : ji bhaiya sab accha hai. aur ghar me bhi sabhi acche hai. bachche bhi aye hue hai. honge yahin kahi.
Dad : aur jalal sahab kya haal chal. Aap toh chand suraj bane hue hai. bhai kabhi kabhi call hi karliya karo.
Chote chacha : aisi koi baat nahi hai bhai. Woh aaj kal business me kuch problem chal raha hai isi liye apse baat nahi ho pa rahi hai. warna aisi koi baat nahi hai.
Dad : business me toh asie utar chadao hote hi rahte hai. magar hume apnon ko kabhi nahi bhool na chahiye. Apnon se milte rahne se koi bhi problem ho use sab milkar solve karte hai.
chote chacha : aap ne thik kaha bhaiya mai agey se iska dhiyan rakhonga.
Dad : good.
Bade phupha : kya ghani miya apne bhaiyon se hi milenge apne behnoi se nahi miloge.
Dad : kyun nahi jijaji aap sab se toh khas kar milna hoga isi liye pahle apne bhaiyon se milkar free horaha tha. Aur sunaiye kasie hai aap sab?
Bade phupha : hum toh mast hai. tum sunao tum toh apni bahen ke ghar ana bhool hi gaye.
Second phupha : arey kya bhai sahab ( bade phupha ) aap bhi kaisi baten karrahe hai. ye agar yaha waha phirte rahe toh ye project kaise le pate.
Dad dono phupha ki baat sunkar samhaj jate hai ke dono bohat ziyada naraz hai.
Dad : aisi koi baat nahi hai. aap toh jante hi hai na mai kaam se ziyada apne rishte ko ahmiyat deta hoon.
third phupha : haan woh toh dikh hi raha hai ke tum apne rishtedaron ko kitna ahmiyat derahe ho. Yaad bhi hai ke kab aye they tum humse milne.
Dad : kya yaar tu toh aisi baten mat kar tujhe toh pata hai ke mai iss project ke liye kab se laga hua hoon. Aur tu toh aise bolraha hai jaise tu bada aya itne din me mujh se milne.
Dad ki baat sunkar chote phupha haste hue kahte hai.
Kamal phupha ( haste hue ): maine tujhe kaha tha na ke beech me mat bol. Ghani se baton me tu nahi jeet payega.
Dad : aur tu kaha khush horaha hai tujhe bhi kitne din hogaye hai mere ghar aye hue.
chote phupha : mai toh 2baar aya tha tum hi nahi they ghar per.
Dad : haan ajju ki mom ne bataya tha mujhe. Khair tum sab baten karo mai mai zara dusre guest se milkar ata hoon.
Phir ajju ke dad dusre logon ke paas jate hai aur un se milte hai.
(Ajju ke dad 4 bhai aur 4 bahen hai. jinme ajju ke dad 2nd number per hai. inka ziyada role nahi hai story me isliye jab bhi inka koi role hoga toh sirf bade ya chote aise hi unka zikar ayega )
Idhar ajju ki mom aur bhane jaise hi hotel me ati hai apni nanand aur devraniyon ke paas chali jati hai. aur unse baten karne lagjati hai.
Ajju ke bahne bhi apne age group ke sath milkar gupshup karne lagti hai.
Idhar ajju akar sabse pahle apne doston ko dhundhta hai toh use koi bhi nazar nahi ata toh woh unhe call laga kar puchta hai ke woh log abhi tak aye kyun nahi toh uske dost kahte hai hum neeche hi hai. phir kuch der baad ajju ke sabhi dost hotel me uper akar ajju se milte hai.
Ajju : tum logon ko itni der kyun hogayi ane me?
Alauddin : ye sab indono ki wajha se hua hai.
Alauddin ki baat ko sunkar ahmed tapak se kahta hai.
Ahmed : ye accha hai kahin bhi kuch bhi hojaye toh hum dono ne hi kiya hai. kal ke din agar koi margaya toh ye mat kahdena ke indono ki wajha se margaya .
Ahemd ki baat sunkar sabhi haste hai. ahmed ki baat ka sath dete hue imtiyaz khata hai.
Imtiyaz : haan ye baat tune sahi kaha. Jab bhi kuch ulta seedha kaam hota hai toh ye hum per hi dal dete hai.
Nizam : haan toh tum log seedha kaam karte hi kaha ho.
Ahmed : haan bhai sahi kaha tu ne hum toh sare teedhe hi kaam karte hai. kyun ke saare seedhe kaam karne ka theka toh tum logon ne le rakha hai. toh hum kaise seedhe kaam karsakte hai.
Ahmed ki baat sunkar alauddin kahta hai.
Alauddin : ab ziyada na bol. Kyun ke yaha ane me der tum dono ki hi wajha se hua hai.
Ahmed : haan aur jo tum log cigarette ke liye ruke they uska kya.
Ahmed ke muh se cigarette ki baat sunkar nizam kahta hai.
Nizam : abbey dheere se bol koi sunlega. Agar kisi ne sunliya toh humari shamat ajayegi. Aur tou konsa shreef banraha hai. tune bhi toh us ladki ko number dene ke chakkar me hume ruka rakha tha aur jab humne tujhe kaha ke hume der harahi hai toh tune kya kaha tha ajju ko bataon.
Nizam ki baat sunkar ahmed ke chahre ke rang ud jata hai aur woh jaldi se nizam ko maska lagate hue kahta hai.
Ahmed : arey mere bhai tu toh gussa hogaya, mai toh bas mazak karraha tha. Tu dil pe math le.
Ye kah kar ahmed ek baar ajju ki taraf dekhta hai jo use hi dekh raha tha. Ajju ko apne apko dekhte hue dekh kar ahmed nizam ke kaam me khata hai.
Ahmed : ( nizam ke kaan me ) dekh bhai jo hua usey bhool ja aur ajju ko kuch math bata warna woh mujhe chodega nahi.
Ahmd ki aisi halath dekh kar nizam aur alauddin haste hai aur haste hue kahte hai.
Nizam ( haste hue ) : kyun beta nikal gayi sari hawa. Abhi agar maine ajju ko teri baat batayi toh sonch ajju tera kya haal karega.
Nizam ki baat sunkar alauddin bhi haste hue kahta hai: alauddin : ( haste hue ) arey yaar kyun bechare ko daraha hai, dekh toh kaise iske chahre per 12 baje hue hai. agar tune abhi aur kuch kaha toh ye yahi per rone lagega.
Ahmed alauddin aur nizam ki baat ko sunkar unhe ghoor kar dekhta hai magar kuch kahta nahi. Jise dakh kar imtiyaz jo itni der se khamosh khada sab sunraha tha woh kahta hai.
Imtiyaz : yaar ahmed tu dar kyun raha hai. bolne de inhe job hi bolna hai
Imtiyaz ki baat sunkar ahmed kahta hai.
Ahmed : abbey chup kar agar inhone ajju ko woh baat batadi toh woh bohat gussa hoga.
Ahmed ki baat sunkar alauddin aur nizam haste hai. jise dekh kar imtiyaz kahta hai.
Imtiyaz : tu dar kyun raha hai inhe kahne de ji bhi kahna hai magar ye bhi apni ek baat bhul rahe hai jise agar humne ajju ko batayi toh ajju hum per toh sirf gussa hoga magar isne toh baat hi nahi karega.
Ye kah kar imtiyaz hasne lagta hai aur ahmed jo alauddin aur nizam ki baton ko khamoshi se sun raha tha woh bhi ab sher banjata hai. aur apna seena tana kar kahta hai.
Ahmed : haan sahi kaha tune. Toh ab der kis baat ki hai pahle tum bataoge humari baat ya hum bataye.
Phir ahmed dheere se imtiyaz se kahta hai.
Ahmed ( dheere se ) : kon si baat hai mujhe bhi bata na.
Ahmed ki baat sunkar imtiyaz kuch nahi kahta.
Ahmed aur imtiyaz ki baat ko sunkar alauddin aur nizam pahle kuch der sonchte hai ke aisi konsi baat hai jise sunkar ajju inse baat hi nahi karega. Unhe aisi koi bhi baat yaad nahi arahi thi jiske baad nizam kahta hai.
Nizam : tum log jhut bolrahe ho tumhe humari aisi koi baat nahi pata jo ajju ko na pata ho. Tum sirf apne aap ko bachane ke liye ye sab baten kahrahe ho.
Nizam ki baat sunkar ahmed imtiyaz ki taraf dekhta hai jaise kha raha ho kya jaisa ye sonch raha hai waisa hi hai.
Imtiyaz bhi ahmed ko apni taraf dekhta pakar use khamosh rahne ka ishara karta hai.
Imtiyaz : ye toh tumhe jan hi pata chalega jab tum ajju ko humari baat bataoge.
Imtiyaz ki baat ko sunkar ahmed bhi kaha peeche rahta use pata bhi nahi tha ke imtiyaz sach kahraha hai ya nahi. Magar phir bhi apne aap ko bachane ke liye kahta hai.
Ahmed : haan sahi kaha ab tumko jo bhi karna hai karo. Magar baad me ye mat kahna ke humne tumhe pahle warn nahi kiya.
Alauddin : chal chal hawa ane de hum teri in dhamkiyon se nahi darne wale.
Imtiyaz : jaisi tumhari marzi.
In charo ko bahes karte dekh kar ajju chid jata hai.
Ajju : ( chidhte hue ) abbey chup karo tum charo jab se dekh raha hoon pata nahi kya kya bake jarahe ho. Ab kisi ne bhi kuch bhi kaha toh uski aisi halat karonga ke baat karne ke khabil hi nahi rahoge.
Ajju ki baat aur uske mood ko dekh kar charo chup hojate hai. phir ajju alauddin se kahta hai.
Ajju : haan bhai ab tu bata kya kiya indono ne?
Ajju ki baat sunkar alauddin ek nazar ahmed aur imtiyaz ke uper dalta hai phir muskurate hue kahta hai.
Alauddin : ( muskurate hue ) : kuch nahi hum toh bas aise hi indono ko pareshan karrahe they.
Alauddin ki baat ko ajju kahta hai.
Ajju : mujhe pata hai pakka indono ne kuch aisa kiya ya kaha hoga ke jise sunkar mujhe inper gussa ayega isliye tum dono inko pareshan karrahe ho. Khair mat batao mujhe kaise bhi pata chal hi jayega.
Ye kahkar ajju imtiyaz aur ahmed ko ghoor kar dekhta hai jise dekh kar ahmed apni battisi dikhata hai. apni taraf ajju ko dekhte hue dekh kar ahmed kahta hai.
Ahmed : abbey aise kya ghoor kar dekh raha hai humne kuch nahi kiya hai. ye dono toh bas aise hi hume pareshan karne ke liye kahrahe they.
Ajju : mujhe pata hai tum kya karte ho aur kya nahi mere samne ziyada sharafat dikhane ki zarurat nahi hai samjha. Aur jo bhi baat ho mujhe kasie bhi pata chal hi jayegi.
Ye kahkar ajju chup hojata hai. phir sabhi aise hi hasi mazak karte rahte hai ke utne me unke paas unki hi umer ka ek ladka unke paas akar kahta hai.
Ladka : arey wah jokeron ki toli abhi tak sath hai mujhe laga tha ke ye ab tak alag hogayi hogi.
Apni baat kahkar woh ladka hasta hai aur us ladke ki baat sunkar uske sath ek aur lakda khada tha woh bhi haste hue kahta hai.
Dusra ladka : ab joker toh joker ke sath hi rahega na. agar ye alag hogaye toh inhe apne sath kon rakhega.
Undono ki baat sunkar in panchon ka dhiyan unki taraf jata hai. aur unki baat ke jawab me ajju kahta hai.
Ajju : ab hume tum gadhon ki tarha adaat nahi hai na jaha ghans dikhi wahin charne lage.
Ajju ki baat sunkar ajju ke sabhi dost bohat hi zor se haste hai aur ye dono ladke jo apni baat kahkar has rahe they unki hasi ruk jati hai.
Un ladkon me se dusre wala ladka ajju ki baat sunkar gusse se kahta hai.
Dusra ladka : tumne hume gadha kaha.
Us ladke ki baat sunkar ahmed haste hue kahta hai.
Ahmed : ( haste hue ) abbey tu hume puch raha ahi ya bata raha hai.
Ahmed ki baat sunkar ek baat phir sabhi zor se haste hai.
Jise dekh kar dono ladke gusse se ajju aur uske doston ko ghoor kar dekhte hai.
Mahol thoda garam hone lagta hai jise dekh kar ajju kahta hai.
Ajju : bilal uncle aunty aur tannu kaisi hai.
Ajju ki baat ko sunkar pahla ladka jiska naam bilal tha kahta hai.
Bilal : woh sab acche hai aur party me bhi aye hue hai.
Ajju : hmm ye tune accha kiya jo apne beech me unhe nahi laya.
Bilal : mujhe zarurat bhi nahi hai ke tum jaison ke liye mai apni family ko beech me lekar aaon.
Ajju : ye hi tere liye accha hoga. Agar tune kabhi bhi unko apne beech me lane ki koshish bhi ki toh mai ye bhool jaonga ke tu kabhi mera dost bhi tha.
Bilal : mai teri tarha nahi hoon jo apnon ki aadh lekar kisi ko bhi kuch bhi karon.
Bilal ki baat ko sunkar ahmed kuch kahne hi wala tha ke imtiyaz use chup rahne ke liye kahta hai.
Ajju bilal ki baat sunkar kahta hai.
Ajju : ye tu bhi janta hai aur mai bhi janta hoon ke mai kaisa hoon aur tu kaisa hai. aur apnon ke sath kaise rahna hai mai ye baat tere se toh bilkul bhi nahi sikhna chahta hoon. Toh bahtar yahi hoga ke tu apni ye bakwas apne paas hi rakh samjha.
Ajju ki baat sunkar bilal ke sath aya hua ladak jiska naam imran tha woh ajju ko ghoorte hue kahta hai.
Imran : warna kya karlega bey tu. Hum sunrahe hai iska matlab ye nahi ke hum kuch kar nahi sakte, toh bahtar yahi hoga ke apni hadh me rahkar baat kar warna mujhe logon ko acche se seedhe karna ata hai.
Imran ki baat ko sunkar ajju ke sabhi dost gusse me ajate hai aur imran ki taraf badh jate hai jise dekh kar ajju unhe rok kar kahta hai.
Ajju : arey arey ruko zara sabar karo ab kya humare itne bure din agaye ke aise chindi choron ki baat per gussa karenge. Iske jaise log najane kitne aye aur kitne chale gaye magar humara kuch bhi nahi bogad paye.
Ajju ki baat sunkar imran abhi kuch kahta ke bilal usey chup rahne ke liye kahta hai. phir ajju se kahta hai.
Bilal : waise toh mai teri har baat ka jawab desakta hoon, magar aaj uncle aur aunty ke liye khushi ka din hai is liye abhi toh mai jaraha hoon. Magar dobara milne per mulakat kuch our hi hogi.
Ye kah kar bilal ajju ka jawab sune bina hi imran ko apne sath lekar chala jata hai.
Bilal ke jane ke baad ajju aur sabhi thodi der khamosh rahte haii. Phir ajju hi is khamoshi ko todta hai.
Ajju : ab tum sab ko kya hua aise khamosh kyun hogaye.
Alauddin : kitna ajeeb lagta hai na jab apna khas dost hi apne samne kisi ajnabee ki tarha khada ho aur usse se bhi ziyada ajeeb tab lagta hai jab woh apke samne ajnabee se ziyada aap ko apna dushman samhajta ho.
Ajju alauddin ki baat k sunkar kuch der khamosh rahta hai phir ghambhirta se kahta hai.
Ajju : tumhari baat sahi hai magar jab apka sab se khas dost aap se ajnabee ki tarha mile toh bura hi nahi balki bohat takleef hoti hai aur ye takleef mujhe hi nahi bilal ko bhi hoti hai isi liye toh yaha per bina koi hungama kiye chalaga warna aisa kabhi hua hai ke bilal humse mila ho aur hungama na hua ho.
Ajju ki baat sunkar imtiyaz kahta hai.
imtiyaz : haan sahi kaha tune bilal bina koi bakhaida kiye nahi jata magar aaj uska yaha se jana iss baat ko sabit karta hai ke woh bhi hume bohat miss karta hai isi liye woh humse ulhajte rahta hai. mujhe lagta hai hume use maaf kardena chahiye.
Imtiyaz ki baat ko sunkar ajju musurate hue kahta hai.
Ajju : ( muskurate hue ) maaf usey kiya jata hai jo apni ghalti per sharminda ho ya apni ghalti ki maafi mang raha ho. Use nahi jo apni ghalti maan hi nahi raha ho. Aur usne jo kiya usi ki wajha se mai aaj apni jaan se door hoon warna aaj woh mere sath hoti. Use iske liye agar mujhe aise hi maaf karna hota toh mai use kab ka maaf kardeta, mai jab bhi use dekhta hoon toh mujhe alfisha ka mujhe chodh kar jana yaad ajata hai. ab is sab ke baad bhi agar tujhe lagta hai ke use maaf kardena chahiye toh mai usey maaf karne ke liye tayyar hoon.
Ajju apni baat kah kar khamosh hojata hai aur uski ankhen alfisha ko yaad karke thodi si nam hojati hai jise woh saaf karleta hai.
Ajju ki baat ko sunkar imtiyaz uske kandhe per hath rakh kar kahta hai.
Imtiyaz : mujhe maaf karde mere bhai mera irada tera dil dukhane ka nahi tha. Mujhe bhi pata hai ke alfisha tere liye kya thi aur kya hai, magar iss baat se bhi toh muh nahi moda jasakta ke bilal apna bachpan ka dost hai jiske sath hum jawan hue hai. tera din uske sath hi shuru hota tha aur usi ke sath khatam hota tha. Mujhe pata hai tu use kitna miss karta hai. bas isi liye maine use maaf karne ke kiye kaha aur kuch nahi. Agar meri baat se tujhe bura laga ho toh mai tujh se maafi mangta hoon.
Imtiyaz apni baat kahkar chup hojat hai. ajju jo thodi der pahle kuch emotional hogaya tha ab apne aap ko sambhal kar muskurate hue kahta hai.
Ajju : ( muskurate hue ) arey wah tu bhi badi badi baten karna seekh gaya hai. lagta hai asar horaha uske sath rakhne ka.
Ye kah kar ajju hasne lagta hai. ab mahol thoda halka hote dekh kar ahmed jo itni der se khamosh tha apne purane andaaz me ate hue kahta hai.
Ahmed : haan ab toh ye bhi badi badi baten karne laga hai. ab toh mai akela hojaonga. Ab mera kya hoga ab mai kaha jaonga.
Ahmed ki baat sunkar sabhi haste hai. aur imtiyaz bhi haste hue kahta hai.
Imtiya : ( haste hue ) chal bey mai kab tere sath tha jo ab tu akela hojayega, tu pahle bhi akela tha akela hai aur akela hi rahega.
Imtiyaz ki baat sunkar ahmed natak karte hue kahta hai.
Ahmed : ( natak kate hue ) na tere jane ki khushi na tere jane ka gham ja bhai ja tere bina rahlenge hum.
Ahmed ke iss shark o sunkar sabhi haste hai aru nizam kahta hai.
Nizam ( haste hue ) : mai pahle se janta tha indono ke beech kuch chal raha hai. magar aaj ahmed ke iss sher ko sunkar mujhe pura yakeen hogaya hai ke indono ke zarur kuch hai.
Nizam ki baat ko sunkar ahmed bura sa muh bana leta hai.
Ye sabhi aise hi baten karrahe they ke itne me mahi ki hotel me entry hoti hai aur usey atey hue imtiyaz dekh leta hai aur ajju ko kohni mar kar ek taraf ishara karta hai. ajju jab imtiyaz ke ishare ki taraf dekhta hai toh waha se mahi ko ate hue dekh kar bas mahi me hi kho jata hai.
Mahi ne is waqt jabeen ka diya hua gown pahna hua tha Mahi ne sky blue colour ka gown pahna hua tha jisme woh asman se utri hui pari se kam nahi lag rahi thi.
Mahi iss waqt kuch aisi lag rahi thi.
Ajju mahi ko dekhne mw itna khogaya tha ke usey ye bhi yaad nahi raha tha ke who iss waqt apne doston ke sath khada hai.
Ajju ko iss tarha mahi ko dekhta hua dekh kar imtiyaz ajju ke pet me ek baar phir kohni marta hai. jisse ajju hosh me ata hai.
Ajju : tum log baat karo mai abhi ata hoon.
Alauddin : ab tu kaha chal diya?
Ajju : woh mai guest se milkar ata hoon.
Alauddin : kisse milne jaraha hai.
Ajju : woh tu unhe nahi janta.
Alauddin : haaaain mai nahi janta. Aisa market me kon agaya hai jise hum nahi jante.
Nizam : haan bhai aisa kon hai jise hum nahi jant. Ab toh hume bhi milna hai chal hum bhi chal kar usse millenge. Kyun bhai kya kahta hai.
Alauddin bhi nizam ki baat sunkar uski haan me haan milata hai jise dekh kar ajju pareshan hojata hai.
Usey samhaj nahi araha tha ke ab inko kya bole.
Ajju ko khamosh dekh kar alauddin phirse kahta hai.
Alauddin : kya hua bhai kya sonch raha hai. chal na chal kar tere us guest se milkar atey hai.
Alauddin ki baat sunkarajju hadbada jata hai aur use muh se achanak nikal jata hai.
Ajju : tum nahi mil sakte usse.
Ajju ki baat ko sunkar alauddin aur nizam hairan hojate hai. aur hairani me usse dekhte hue puchte hai.
Nizam : ( hairani se ) kyun bhaii hum usse kyun nahi milsakte?
Alauddin : ( hairna se ) : haan bhai bol kyun hum usse kyun nahi milsakte.
Ab ajju aur bhi pareshan hojata hai. use samhaj nahi araha tha ke woh ab inko kya jawab de.
Pahle usey ye hi samhaj nahi araha tha ke woh unse jhoot bolkar mahi se milne hi kyun jaraha tha.
Agar woh mahi se milne jata bhi toh uske dost use kuch nahi kahte magar ab agar inhone mujhe mahi ke sath dekhenge toh ab kuch na kuch zarur kahenge.
Ajju yahi sab sonchte hue ahmed aur imtiyaz ki taraf dekhta hai jaise kahraha ho. Kuch karo yaar warna ye mujhe chodenge nahi.
Ajju ki halath dekh kar ahmed uske maze lene ke liye kahta hai.
Ahmed : kya hua yaar ajju tune inki baat ka abhi tak jawab nahi diya. Kon hai woh jise hum nahi jante aur tu usse hum mil bhi nahi sakte.
Ajju ahmed ki baat ko sunkar use gusse me ghoor kar dekhta hai magar ahmed per uska koi asar nahi padta is liye woh apni baat ko agey badhate hue kahta hai.
Ahmed : ( shararat karte hue ) kuch toh bol yaar hum kab se tere bolne ka intezar karrahe hai. kahi aisa toh nahi ki hume guest ka bolar tu kisi aur se milne jaraha hai.
Ahmed apni baat kahkar muskurate hue ajju ko dekh kar ankh mar deta hai jisse ajju usko kha jane wali nazron se dekhta hai. jaise agar ajju maukha mila toh woh ahmed ko sach me khajayega.
Ahmed ki baat ko sunkar imtiyaz uske kaan me kahta hai.
Imtiyaz : ( dheere se ) wah beta wah kya baat hai aaj toh ajju ko hi lapete me leliya. Chalo accha hai ab mera tere se peecha toh chutega.
Ahmed : ( dheere se ) kyun be mai kaha jaraha hoon. Jisse tera peeche chutega?
Imtiyaz : ( haste hue dheere se ) tujhe lagte hai ajju ko iss tarha inke samne phasa kart u zinda bach payega. Isliye kahraha hoon ke tere se peecha chutega.
Imtiyaz ki baat ko sunkar ahmed ek baar ajju ki taraf dekhta hai jo use kha jane wali nazron se dekh raha hai. jaise sher apne shikar ko dekhta hai jise dekh kar ahmed ki sach me hawa tight ho jati hai.
Ahmed : ( dheere se ) yaar kuch kar na mujhe ab dar lag raha hai mai toh bas mazak karraha tha. Ab ajju ko dekh kar mujhe dar lag raha hai. please kuch karna yaar.
Imtiyaz : chal be hat yaha se saley ye sab tujhe uske sath mazak karne se pahle sonchna chahiye tha. Mere se kuch bhi ummed math rakh mujhe nahi marna tere sath.
Imtiyaz ki baar sunkar ahmed use ghoor kar dekhte hue kahta hai.
Ahmed : thik hai ajju jab mujhe marne ayega toh mai use kah dunga ke jo bhi maine kaha tha usme tub hi puri tarha se shamil hai aur ye tera hi idea tha. Beta mai maronga toh tujhe bhi apne sath lekar marunga. Itni jaldi tera peeche nahi chodne wala mai samjha. Agar bachna hai toh jaldi se kuch kar.
Ye kahkar ahmed muskurate hue imtiyaz ko dekhta hai phir ajju ki taraf dekhta hai jo use hi ghoore jaraha tha. Jise dekh kar ahmed kahta hai.
Ahmed : kya hua be aise kya ghoor raha hai. kuch bolna hai toh bol aise ghoor kar math dekh.
Ahmed ki baat ko sunkar bhi ajju kuch nahi kahta hai toh imtiyaz pahle ahmed ko ghoor kar dekhta hai phir ajju ki taraf dekhte hue kahta hai.
Imtiyaz : arey tum sab usey kyun pareshan karrahe ho, hoga koi jisse ise milne jana hoga. Aur tum dono kya koi bohat badi toop ho jo aisa kahrahe ho. Aisa kon hai jise hum nahi jante. Abbey hoga koi hume usse kya lena. Chal ajju tu ja tu yaha kyun khada hai.
Ye kahkar imtiyaz sabse nazar bacha kar ajju ko ankh mar kar use jane ka ishara karte hai jise dekh kar ajju bhi waha se chala jata hai.
Ajju ke jate hi alauddin aur nizam ajju ke kuch na kahne se aur sath me na lekar chalne se sonch me pade hue they ajju ke jate hi imtiyaz ko ghoor kar dekhte hue kahte hai.
Alauddin : sach sach bata ajju kisse milne gaya hai.
Imtiyaz : abbey mujhe kya pata woh kisse milne gaya? Mai kya uska assistant hoon jo woh jate hue mujhe bata kar jayega.
Nizam : beta aisa ho hi nahi sakte ke woh kaha jaraha ho aur tum dono ko pata na ho. Aur jis tarha tune use ankh mar kar ishara kiya than a use sirf ajju ne hi nahi humne bhi dekha hai. ab seedhe tarike se batata hai ya hum apne tarike se puche.
Nizam ki baat ko sunkar pahle toh imtiyaz chonk jata hai phir apne aap ko sambhal kar kahta hai.
Imtiyaz : mujhe nahi pata tum log kya kahrahe ho. Ajju kaha gaya hai mujhe kuch bhi nahi pata aur hume karna bhi kya woh kahin bhi jaye kyun ahmed mai theek kahraha hoon na.
Ahmed bhi jaldi se imtiyaz ki haan me haan milta hai jise dekh kar alauddin kahta hai.
Alauddin : pahle toh mujhe shak tha ke kuch toh hai jo ajju chupa raha hai aur ab tum dono ka usko support karne se mujhe ab yakeen hogaya hai ke dal me zarur kuch kala hai aur woh kala kya hai ye dono ko pata hai.
Nizam : haan sahi kaha aur ye hume batane wale toh hai nahi. Magar joh bhi baat ho woh toh hume pata chal hi jayegi.
Undono ki baat ko sunkar imtiyaz muskurate hue kahta hai.
Imtiyaz : tumlog jaisa sonch rahe ho waisa kuch nahi hai. agar tumhe pata chal hi jayega toh hum ye bahes hi kyun karrahe hai.
Imtiyaz ki baat sunkar dono kuch nahi kahte.
Idhar ajju apne doston ke paas se nikal kar seeda mahi ke paas jata hai jo iss waqt ek ladki ke sath khadi thi jo ajju ki hi employee thi.
Ajju ke waha per pohanchte hi woh ladki ajju ko congrats karti hai aur ajju aur mahi ke paas se chali jati hai. us ladki ke jate hi ajju mahi ke samne jakar kahda hojata hai toh mahi kahti hai.
Mahi : assalau alaikum sir and congratulation for this project.
Ajju mahi ki baat sunkar muskurate hue kahta hai.
Ajju : teri dosti hum iss tarha nibhaeinge, tum roz ruthna hum roz manaien ge, per suno, maan jana manane se warna bheegi palkein lekar hum kahan jaeinge.
Mahi ajju ke iss sher ko sunkar kahti hai.
Mahi : Dil ka dard ek raaz banke rah gaya , Mera bharosa mazak banke rah gaya, dilon ke saudagar se dosti kar baithe, shayad iss liye meri dosti ka mazak banke rah gaya.
Ajju mahi ki sher ko sunkar kahta hai.
Ajju : woh khafa hai jante hai, magar hum ye bhi mante hai ke kara hai humne unse mazak, ab usi khata ki hum unse maafi bhi mangte hai.
Ajju ke sher ko sunkar mahi muskurate hue kahti hai.
Mahi : ( muskurate hue ) hum kon hote hai aap ko maaf karne wale.
Ajju : ab asia bhi math kaho. Mana ke maine tumhare sath mazak kiya hai, magar ab mai sorry bhi toh kah raha hoon na.
Mahi : aap ke sorry kahne se kya sab kuch sahi hojayega.
Mahi ki baat ko sunkar ajju hairan hone ki acting karte hue kahta hai.
Ajju : arey maine aisa bhi kya kiya jot um asia kahrahi ho.
Mahi ajju ki iss harkat per muskurate hue kahti hai.
Mahi : ( muskurate hue ) ab ye bhi mujhe hi batana pada toh phir aap ka sorry kahna bekar hai.
Ajju : yaar ab ye jane do na agey se aisa kabhi nahi karonga. Aur wasie bhi admi mazak usi ke sath karta hai jise woh apna samhajta hai. woh alag baat agar tum mujhe apna nahi manti ho isi liye mere ek mazak karne per aisa naraz horahi ho, warna tum bhi thoda sa gussa karke maan jati.
Apni baat kah kar ajju apna chahra chota sa karke mahi ko dekhne lagta hai.
Mahi ajju ki baat ko sunkar haste hue kahti hai.
Mahi ( haste hue ): ye toh cheating hai pahle aap mujhe murga ( prank ) banate ho aur ab mai gussa hoon toh emotional baten karrahe hai. jaiye mai aap se ab sach me baat nahi karti.
Ajju mahi ki baat ko sunkar muskurate hue kahta hai.
Ajju : ab mai bhi kya karon kal se tumko mana raha hoon magar tumho ke mera phone tak nahi utha rahi toh mai kya karon tum hi baton. Ab bhi agar tum naraz ho toh lo mai apne kaan pakadta hoon.
Ye kah kar ajju apne kaan pakadne ko hota hai ke mahi usko rokte hue kahti hai.
Mahi : arey ye aap kya kar rahe hai yaha per kitne log hai agar kisi ne bhi aap ko aisa karte dekh liya toh.
Ajju : dekhne do mujhe kisi ki fikar nahi hai. mujhe bas tumhari narazgi durkarni hai.
Mahi : aap ko fikar ho ya na ho magar mujhe hai. mujhe bilkul pasand nahi hai ke koi bhi mere dost ke bareme kuch bhi ghalat sonche.
Ajju mahi ki baat sunkar kahta hai.
Ajju : aisa hai toh phir apne dost se kon itna naraz hota hai.
Mahi : ab chodo in baton ko aur apne guest se millo log kya sonchenge ke hum yaha aye hai aur koi hume puch hi nahi raha.
Ajju : thik hai ek baat kahon?
Mahi : haan kahiye na.
Ajju : iss dress me tum aaj bohat hi khubsurat lag rahi ho.
Mahi ajju ki baat sukar Sharma jati hai. phir ajju ko satane ko kahti hai.
Mahi : iss ka matlab dusre dress me mai acchi nahi lagti.
Ajju mahi ki baat sunkar muskurate hue kahta hai.
Ajju : tum har dress me acchi lagti ho, magar iss dress me bohat acchi lag rahi ho.
Ajju ki baat sunkar mahi muskurate hue usko dekhti hai phir ajju badme ane ka kahkar apne guest ke paas chala jata hai.
Idhar qurram apne ghar se apni wife aur apni poti ko lekar hotel ki taraf jarha tha ke usko phone bajta hai woh car side me rok kar call receive karta hai.
Qurram : hello kon ?
Call unknown number se tha.
Unknown number : hello aap ke bête ka accident hogaya hai aap jaldi se xyz hospital ajayiye.
Qurran uss admi ki baat ko sukar shock hojata hai.
Aur koi jawab nahi deta.
Unknown : hello hello hello meri awaz arahi hai.
Us dami ki awaz ko sunkar qurram ko hosh ata hai aur woh ghabrate hue kahta hai.
Qurram : h.a.an ha..n arah..i hai. aap kon bolrahe hai.
Unknown : aap jaha per bhi ha wahan se jaldi se xyz hospital ajaiye.
Qurram : ji ji thik hai mai abhi waha araha hoon.
Ye kah kar qurram phone rakh kar car start karta hai toh asiya puchti hai.
Asiya : kya hua aap itne ghabraye hue kyun hai? kiska call tha?
Qurram apna pasina pochte hue kahta hai.
Qurram : pata nahi kon tha kah raha tha qasim ka accident hogaya hai aur woh iss waqt xyz hospital me hai. hum wahin jarahe hai.
Qurram ki baat sunte hi asiya rona shuru kardeti hai.
Asiya : ( rote hue ) kya hua hai mere bête ko. Uska accident kaisa hogaya jaldi chaliye na jane mera beta kaisa hoga iss waqt.
Qurram aisya ki baat aur uska rona dekh kar kahta hai.
Qurram : asiya sambhalo apne aap ko humare sath bacchi bhi hai aur dekho woh kasie dar rahi hai.
Qurram ki baat sunkar asiya apne paas baithi anam ko dekh kar use apne gale se laga leti hai.
Anam apne dadi ke gale lagane kahti hai.
Anam : tya hua didi daan aap lo tyun lahi ho?
Qurram anam ki baat sunkar kahta hai.
Qurram : kuch nahi beta tumhari dadi jaan ki tabiyat kharab horahi hai is liye rorahi hai.
Anam : toh didi daan ko doctal ke paas lekal chalo na dada daan.
Qurram : haan beta hum wahin jarahe hai.
Anam apni dadi se kahti hai.
Anam : dadi daan tup hodaoye hum doctal ke paas ja lahe hai aap ti tabiyat daldi theet hodayedi.
Anam ki baat sunkar asiya ka rona aur tez hojata hai qurram bhi car ko speed se chale hue jaldi hi hospital pohanch jata hai.
Idhar ajju side party pure zor shore se chalrahi thi.
Ajju sabhi guest se milraha tha aur sabhi usey project milne ki khushi me Mubarakbaad derahe they.
Mahi akeli kahdi hui thi ke uske paas ajju ki didi ajati hai jise dekh kar mahi unhe salam karti hai.
Mahi : assalamu alaikum madam.
Didi : wa alaikum assalam mahira aap yaha per akeli kyun khadi hui hai?
Mahi : ji woh mai yaha per ziyada kisi ko janti nahi hoon na is liye.
Didi : ye bhi sahi hai aur haan congratulation for this project.
Mahi : thank you mam.
Didi : arey tum mujhe mam kyun kah rahi ho. Tum mujhe mere naam se kyun nahi bulati?
Mahi : mam mai aap ko aap ke naam se kaise bula sakti hoon?
Didi : kyun ? kyun nahi bulasakti?
Mahi : mai kaise mam ? I mean ?
Mahi ko samhaj nahi araha tha ke woh ajju ki did ko kya kah.
Didi : arey isme itna sonchne wali kya baat hai mai tumse ziyada badi bhi nahi hoon. Ajju bhi mujhe ek ya dedh saal hi chota hai aur tum uski hi age ki ho toh tum bhi mujhe naam se ya didi kahkar bulao.
Ye kah kar didi mahi ko dekhne lagti hai . mahi didi ki baat sunkar khush hojati hai aur haste hue kahti hai.
Mahi : thik hai mam oops I mean didi.
Didi : haan ab sahi hai. auo chalo mai tumko apni mom se milati hoon.
Ye kah kar ajju ki didi mahi ko apne sath lekar apni mom ke paas jati hai jo kisi guest ke sath baat karrahi thi.
Ajju ki didi apni mom se mahi ka itro kararti hai.
Didi : mom maine aap se mahira ke bareme bataya tha yahi hai who mahira.
Mahi : assalamu alaikum mam.
Mom : wa alaikum assalam beta kaisi ho aap?
Mahi : ji mam mai acchi hoon.
Mom : ye kya mam mam laga rakha hai aunty kaho.
Mahi unki baat sunkar didi ki taraf dekhti hai jo use dekh kar muskura rahi thi phir mahi bhi muskurate hue kahti hai.
Mahi : ji aunty acchi hoon. Aap kaisi hai?
Mom : mai bhi acchi hoon tum sunao suna hai tumne company me bohat accha kaam karrahi ho. Aur iss project ke milne me tumhara bhi hath hai.
Mahi : ye toh sir ka badappan hai jo unhone mujhe credit diya warna maine aisa kuch khas nahi kiya.
Mom : mujhe pata hai tumne kya kiya hai kya nahi. Mere husband kisi ko bhi bina wajha kuch bhi nahi kahte agar woh kahrahe hai ke tum accha kaam karrahi ho toh karrahi ho samjhi aur congratulation for this project.
Mahi ko bhi unki baten sunkar accha lagraha tha.
Mahi : thank you aunty.
Phir waha per ajju ke sabhi sisters ajati hai aur mahi ke sath baten karne lag jati hai.
Asie hi party khatam hojati hai aur sabhi apne apne ghar ko chale jate hai.
Agey janne ke liye mere sath bane rahe BE-INTEHA-ISHQ ke sath apka apna MAQ.
Written by MOHAMMED AZEEM QURESHI ( MAQ ).
update kaisa laga comment karke zarur batana.