Update-23
Qurram apni wife aur poti ko lekar hospital pohanchta hai. raste bhar asiya apne ansu bahati hi rahi use rah rah kar ek hi baat lag rahi thi ke pahle meri beti mujhse dur hogayi ab agar mere bête ko kuch hogaya toh mai kya karongi aur apne rab se dua karti rahi.
Aur jaise hi hospital pohche asiya reception per jakar puchti hai.
Asiya ( rote hue ) : please mera beta kaha hai mujhe bataiye.
Receptionist : madam aap ke bête third floor ke ward number 109 me hai. ( ab ye math puchna ke inko kaise pata ye kon hai bina naam bole hi room no batadiya. Bhai qurram khud bhi businessmen hai aur ek bade businessmen ka beta hai toh, itna toh chalta hi hai. ).
Receptionist ke bolte hi asiya dorte hue sidhiyon ki taraf jati hai toh qurram use rokte hue kahta hai.
Qurram : arey udahar kaha jarahi ho idhar se chalo.
Qurram asiya ko lift ki taraf ishara karke kahta hai aur phir teeno lift se third floor per pohnch jate hai.
Qurram anam ko apni gaud me utda leta hai aur asiya ke sath room no 109 ke paas pohanch jata hai.
Jaha is waqt qasim ke paas ek doctor ek nurse aur ek wardboy aur ek admi khada tha.
Asiya jaise hi qasim ko dekhti hai uski ankhon se ansu nikalna shuru hojate hai aur woh apne bête ke paas jakar uske sar per hath phirti hai aur rote hue kahti hai.
Asiya : ( rote hue ) kya hua hai docter mere laal ko?
Docter : ghabrane ki koi baat nahi hai mamuli sa accident hua tha aur jisme inhe choti moti chot ayi hai toh ghabrane wali koi baat nahi hai.
Asiya : toh phir mera beta behosh kyun hai ye mujhse baat kyun nahi karraha hai.
Docter : woh isliye mam humne inhe aram karne ke liye neend ka injection diya hai jiski wajha se inhe neend agayi hai. kal subha tak inhe hosh ajayega. Ab mujhe ijazat dijiye.
Qurram : thank you docter.
Docter : ye toh meri duty hai sir.
Phir docter waha se chala jata hai anam jo itni der se sab kuch dekh kar samhaj ne ki koshih karrahi thi. Jab use kuch samhaj nahi ata toh woh apne dada se kahti hai.
Anam : ( masoomiyat se ) dada daan papa toh tya hua hai woh yaha aspital me tyun solahe hai ?
Qurram : aap ke papa ki tabiyat theek nahi hai isi liye doctor ne ihne injection diya hai jisse aap ke papa ko neend agayi hai.
Anam : atta phil mamma taha per hai. tiya mamma aspital me nahi ayi tya.
Anam ki baat sunkar qurram ko bhi apni bahu ka khyala ata hai ke use bhi batana chahiye.
Phir qurram amena ko phone karke hospital ane keliye kahta hai toh amena ghabra jati hai toh qurram use samhjhata hai ke yaha sab theek hai tum aram se hospital ajao.
Phir qurram apne secretary ko call karke qasim ka accident kaise hua hai uska pata lagane ko kahta hai aur phir apni biwi ke paas chala jata hai.
Thodi hi der me amena bhi ajati hai aur apne husband ko bed per leta dekh kar ghabra jati hai aur uski ankhon me ansu ajate hai.
Amena : ( ghabrate hue aur rote hue ) inhe kya hua hai papa ye aise bed per kyun so rahe hai?
Qurram : ghabrane ki koi baat nahi hai beti chota sa accident hua tha ab sab theek hai ,qasim ko subha tak hosh ajayega.
Phir sahib hospital me hi ek privet room lekar rukta hai qasim ke paas asiya hi thi. Use waha se chalne ko kaha toh usne saaf inkar kar diya chalne.
Qurram uski halath ko acche se janta tha isliye use wahin rahne ke chod kar room me chala jat hai. amena bhi apne husband ke sath hi rukti hai.
Waise toh mareez ke paas ek hi admi rukne ki permission hai magar jiske paas paisa ho unhe kon rok sakta hai bhai.
Aise hi subha hojati hai. subha qasim ko hosh ata hai toh woh apni mom aur wife ko dekhta hai aur apni wife ko awaz deta hai . amena qasim ke sar ke paas hi ek chair per baithe baithe hi sogayi thi.
Qasim ke awaz dene per amena hadbada kar uth jati hai aur qasim ko hosh me aya dekh kar uske paas jakr uske gale lag kar rone lagti hai amena ke rone ki awaz se asiya ki bhi neend khul jati hai jo samne ek sofe per baithe baithe sogayi thi.
Woh bhi uth kar apne bête ke paas ati hai aur uske bhi ankhon me ansu they woh qasim ke sar per hath pherti hai phir amena ke sar per bhi hath pherti hai.
Qasim amena ko apne se alag kar ke kahta hai.
Qasim : arey tum ro kyun rahi hi mai theek hoon mujhe kuch nahi hua.
Qasim ki baat sunkar bhi amena aise hi rote rahti hai toh qasim apni mom se kahta hai.
Qasim : mom kam se kam aap toh math roiye mujhe kuch nahi hua hai. please rona bandh kijiye.
Asiya : tum nahi samjhoge beta ek maa ke dard ko jab uski aulad uske samne dard me ho. Uske dard ko tum kya iss sansar me koi nahi samhaj sakta. Ek maa jab apne bacche ko takleef me dekhti hai toh uske dil se bas yahi nikalta hai ke ye takleef uske bete ke paas pohanch ne se pahle uske paas ajaye aur uski aulad humesha acchi rahe aur khush rahe.
Ek maa ko iss duniya me agar apne shauher ke baad agar kisi ki sab se ziyada fiqar rahti hai toh bas apni aulad ki.
Aur ek biwi ke liye uski zindagi me sab se uncha darja apne shauher ka hi rahta hai. Woh apne maa baap bhai bahen dost aur rishtedar ko chodkar jab uske sasural ati hai toh uske liye sabhi se badh kar uska shauhar hi hota hai.
Jab bhi koi takleef uske shauhar ko hoti hai toh uska bhi dil chalni hojata hai. Isi liye nujhe pata hai ke iss waqt amena ko kaisa lag raha hai.
Qasim apni mom ki baten sunkar muskurate hue kahta hai.
Qasim : ( muskurate hue ) mom mujhe pata hai iss waqt aap ko kitni takleef horahi hai aur mai ye bhi janta hoon ke aap waqt kaisa feel karrahi hai.
Mai iss liye aap ko chup karaha tha ke jab bhi aap ke ankh se ansu nikalta hai toh mujhe bhi takleef hoti hai aur mai ye hargiz nahi chahta ke meri wajha se aap ki ankhon me kabhi bhi ansu aye chahe wajha koi bhi kyun na ho.
Aur rahi baat amena ki toh mujhe pata hai woh mujhe kitna chahti hai aur uski zindagi me meri kya ahmiyat hai. Iss ki ankhon me bhi mai ansu nahi dekh sakta bas isi liye chup kara raha hoon.
Qasim ki baat ko sunkar amena kahti hai.
Amena : ye sab chodiye aur ye bataiye ke ab aap ki tabiyat kaisi hai.
Qasim : mai theek hoon mujhe kuch nahi hua hai bas mamuli si choten ayi hai jo jaldi hi theek hojayegi. Qasim ki baat sunkar amena aur asiya ko kal raat se ab kuch rahat mili thi.
Ye teeno baten karrahe they ke peeche se qurram ki awaz ati hai.
Qurram : woh sab toh theek hai magar tumhara accident hua kaise?
Qurram ki baat sunkar sabhi qasim ki taraf dekhte hai.
Qasim : woh dad mai office se ghar araha the ke ahanak meri car ke samne do kutte ladte hue agaye aur unhi ki bachane ke liye maine break lagaya toh car slide karti hui divider se takragai.
Meri speed bhi ziyada thi aur maine seat belt bhi nahi bandhi hui jiski wajha se car jaise hi divider se takrayi mera sar bhi staring se takraya aur force itna ziyada tha ke kuch hi der me meri ankhon ke samne andhera chagaya aur jab ankh khuli toh khud ko hospital me paya aur phir doctor ne shayed mujhe neend ka injection diya tha mujhe phir neend agayi aur jab dobara ankh khuli toh mom aur amena ko apne room me dekha.
Qasim ki baat ko sunkar sabhi khamosh hi rahte hai. phir qurram hi baat agey badhata hai.
Qurram : toh ab kaisi hai tabiyat tumhari kahi chot toh nahi ayi na.
Qasim : nahi dad mai ek dam theek hoon bas sar me thoda dard horaha hai.
Qasim ki baat ka qurram koi jawab deta doctor nurse ke sath andar ate hue kahta hai.
Doctor : woh dard bhi jaldi khatam hojayega. Bas aap ko thode din rest karna hoga phir aap ek dam fit hojayenge.
Doctor ki baat sunkar sabhi rahat ki sans lete hai.
Qurram : toh doctor hum qasim ko ghar kab lejasakte hai.
Doctor : aap inko aaj hi apne sath lejasakte hai bas thoda khayal rakhiyega. Mai kuch medicines likh kar deta hoon jisse inke sar ka dard jaldi khatam hojayega phir ye apne office bhi jasakte hai.
Phir doctor qasim ko ek baar check karke qasim ke discharge paper ready karke chalajata hai.
Phir kuch der baad qurram qasim ko hospital se discharge karake ghar ko lekar chajata hai.
Idhar ajju aur mahi side:
Aaj subha mahi jab se office ayi thi tabhi se sabhi employee use gher kar rakhe hue they aur sabhi uski tareef karrahe they. Achanak sabhi uske paas se hat kar jane lagte hai aur dekhte hi dekhte sabhi apni apni jagha per se ghyeb hojate hai. mahi sabhi ko aise jate hue dekh kar hairan hojati aur hairani se sabhi ko dekhte hue uski nazar lift ki taraf jati hai jaha se ajju araha tha.
Mahi ko bhi sabhi ke aise achanak ghyeb hone ki wajha samhaj ajati hai aur woh bhi ajju ko ek nazar dekh kar phir apne cabin me chali jati hai aur kuch hi der me ajju bhi apne cabin me ajata hai jise dekh kar mahi apne desk per se uth kar ajju ko morning wish karti hai.
Mahi : goodmorning sir.
Ajju mahi ko phir se sir kahte hue sunkar hairan hojata hai kyun ke kal hi toh party me woh usse maafi mang liya tha toh phir mahi aaj use phrase sir kyun kahrahi thi. Ajju yahi sab sonchta hua apni chair per jakar baith jata hai.
Mahi ajju ko aise sonchte hue dekh kar man hi man muskurate hue khud me man me kahti hai.
Mahi : ( man me muskurate hue ) bohat maze lerahe they na mere ab dekho mai kaise tumhare maze leti hoon.
Mahi : sir good morning.
Mahi abki baar mahi apni awaz janbuj kar kuch unchi kar ke kahti hai.
Ajju jo apne hi khayalon me khoya hua tha ke usko ek baar phri mahi ki awaz se hosh ata hai.
Ajju : haan kya kaha? Ooh haan good morning magar tum mujhe sir kyun kah rahi ho?
Mahi : ab aap mere boss hai toh aap ko sir hi kahungina.
Ajju : magar maine tumse kaha hai na ke tum mujhe sir math kaho.
Mahi : aise kyun sir yahan jitney bhi log hai sabhi aap ko sir hi toh kahte haina aise me mai aap ko sir kyun nahi kah sakti.
Ajju mahi ki baat sunkar ab toh bilkul hi hairan hojata hai.
Ajju : ( hairani se ) ye tum kaisi baten karrahi ho.
Mahi : kyun sir mai kuch ghalat kahrahi hoon kya jo aap itne hairan horahe hai. mai toh wahi kahrahi hoon jo sach hai.
Ajju : haan magar tum me aur in logon me farq hai.
Mahi : kya farq hai sir woh log bhi yaha per kaam karte hai aur mai bhi toh isme farq kya hai?
Ajju mahi ki baat ko sunkar thodi der ke liye toh sonchne lagta hai ke mahi kah toh sahi rahi hai phir ajju isko sir na kahne ko kyun kahraha hai. phir use realize hota hai ke woh ye kya sonch raha hai.
Aur idhar mahi ajju ko sonchta hua dekh kar mam hi man muskurati hai.
Mahi : ( mam me muskurate hue ) : bohat sataya hai tumne mujhe ab meri bari hai bachchu.
Mahi : kya hua sir aap aaj ye baar baar kahan khote jarahe hai.
Ajju mahi ki baat se apni sonch se bahar ata hai.
Ajju : kuch nahi mai bas yahi sonch raha hoon kal party me toh maine tumhe sorry kah diya tha toh phir aaj aisa kya hua ke tum mujhe phir se sir kah rahi ho. Bas yahi baat ko saonch raha hoon ab batao kal jab tumne mujhe maaf kardiya tha toh phir aaj ye phir se sir kyun kah rahi ho?
Mahi : arey isme itna sonchne wali kya baat hai sir aapne maafi mangi aur maine maaf kardiya ab aap iss baat ko ziyada math sonchiye.
Ajju : agar tumne mujhe maaf kardiya hai toh phri ye sir sir kahkar kyun bularhi ho. Pahle ki tarha baat kyun nahi karrahi ?
Mahi : sir pahle ki baat our thi abki baat our hai pahle mujhe pata nahi tha ke aap hi mere boss ho isi liye aap se waise baat karti thi aur ab jab mujhe pata hai ke aap mere boss hai toh mai aap se us tarha kaise baat kar sakti hoon.
Ajju : arey tumhe mai khud kah raha hoon ke tum mujhe pahle ki tarha baat karo toh masla kya hai.
Ajju ko samhaj nahi araha tha ke mahi aise kyun karrahi hai aur use ye bhi samhaj nahi araha tha ke woh uske aise baat karne se chid kyun raha hai.
Mahi : masla kuch nahi hai agar kisi ne mujhe aap se us tarha baat karte hue dekh ya sunliya toh kya sonchenge? Bas yahi sonchkar mai aap ko sir kahrahi hoon aur ye sahin bhi hai aap mere boss hai toh boss ko sir kahteh hai ya toh boss mujhe aap ko boss kahne se sir kahna accha laga iss liye aap ko sir kah rahin hoon aura b bas iss baat per aur koi baat nahi.
Ye kah kar mahi khamosh hojati hai aurAjju mahi ki baat sunkar jhunjla jata hai aur gusse se mahi ko dekh kar apni apni char per baith jata hai aur apna laptop on karke usme kaam karne lagjata hai.
Mahi bhi ajju ko aise karte dekh kar man hi man haste hue apne desk per baith kar kaam karne lagti hai.
Idahr inspector shahed ki team puri zor shor se kaam karrahi thi unhe jawaad ke kai adde pata karliye they aur jawad ke khilaf kuch sabut bhi akhatta kar liye they. Aaj inka plan tha jawad ke drugs ke sabse bade godamon per humla kar ke use jalane ka.
Apne base per sabhi isi per discuss karrahe they.
Yousuf : aaj hume kya karna hai mai pahle hi sab ko bata chukka hoon magar phir bhi ek baar aur yaad dila doon.
Apni baat kahkar yousuf sabhi ki taraf dekhta hai sabhi use hi dekh rahe they. Yousuf agey kahta hai.
Yousuf : Toh plan ye hai ke hume aaj jawad ke usn godaon per hamla karna hai jiske bareme arhaan ne pata kiya hai, ye godam unsabhi godons me sabse bade hai aur waha per bhari matra me durgs hai.
Aur hum do team me jayenge ek team me jack, tanisha aur hemanth jayenge aur iss team ko jack lead karega aur jo jo gadget hona hai woh hemanth sab ko de dega. Aur dursi team me mai ( yousuf ), arhaan jayenge.
Hume waha per bohat hi safdhani se aur bohat hi aitihat se jana hoga. Waha per bohat se guards honge hume unhe marna nahi hai bas unhe hemanth ke gadget se sirf behosh karna hai aur waha jakar pahle wahan ki puri janch karo aur acche se talashi lena hai aur waha kuch bhi kaam ka lage use utha lena hai aur phir waha per jitna bhi cash hoga use bhi utha lena hai aur last me wahan per jitni bhi durgs ho jala kar wahan se nikal jana hai aur last baat sabhi apne chahre ko mask se dhak kar rakhna hai .
Sabhi ke paas us jagha ki location bhejdi gayi hai kisi ko koi sawal puchna ho toh puch sakte ho. Sabhi no sir kahte hai.
Yousuf : ok toh sabhi tayyar hojao hume kuch hi der me nikalna hai.
Iske baad sabhi ready hone chale jate hai.
Idahr jawad iss sabse bekhabar ek contener jo pura drugs se bhara hua tha apne drugs ke godon me khali karate hue apne ek admi se kahta hai.
Jawad : ye maal jaldi se pure shaher me phailana hai tum sabhi ko kal se hi iski packing shuru karado aur hosake toh apne dusre godon se bhi kuch log bulalo iss baar order ziyada hai isliye jitna hosake jaldi packing kardo.
Admi : ji bhai hojaiga mai abhi hi kuch logon ko bulwa leta hoon.
Us admi se baat karke jawad apne cabin me jata hai jo isi godon ke andar hi tha.
Jawad cabin me jakar meer ko call lagata hai jo iss waqt apne area ke logon ke beech log beech tha. Meer toh yaha ana nahi chahta tha magar uss unknown ke kahne se ajata hai.
Meer jawad ka call dekh kar logon ke paas se hath kar side me jakar call receive karta hai.
In call :
Meer : hello jawad bolo kis liye call kiya hai? mai yaha ye basti walon ke paas hoon job hi bolna hai jaldi bolo.
Jawad : bhai woh maal ( drugs ) agaya hai aur maine apke kahe anusar use jaldi se jaldi se jaldi packing karne ke liye bhi kahdiya hai.
Meer : toh kya yahi kahne ke liye phone kiya tha?
Meer yaha akar pahle hi chida hua tha use inn logon ke beech ajeeb tarha ki feeling horahi thi. Kyun ke yaha ke logon ki halath bohat hi ziyada kharab thi aur yaha ke logon ke paas naa toh rahne ke liye accha makan tha aur naa pahenne ke liye sahi kapde aur inko khane ke liye khana bhi badi mushkil se naseeb hota tha. Aur na inke paas koi kaam dhanda tha. Bas kisi tarha apni zindagi guzar rahe they.
In logon ki aisi halath dekh kar najane kyun meer ko unse hamdardi horahi thi isi liye usne waha ke logon ko wada kiya ke woh unki basti ko sarkar se kahkar yaha ka kaam karayega aur unlogon ko naukriya bhi dilwayega.
Aur meer ne sirf unlogon ko tasalli dilane ke liye nahi bola tha balke waha ka mla jo iss waqt uske sath hi tha use sakht hidayat dete hue kaha ke yaha per jald se jald kaam shuru hona chahiye meer ki baat ko sunkar woh mla bhi dargaya tha use pata tha meer kaisa admi hai isi liye unse jaldi se theek hai kaha.
Meer ki baat ko sunkar sare basti wale bohat khush hote hai aur meer ki jai jai kar karne lagte hai.
Meer ko samhaj nahi araha tha ke uske sath aisa kyun horaha tha. Isi liye woh thoda frustrate hogaya tha isliye jawad ki itni si baat sunkar usse gusse se kahta hai.
Jawad uski aisi awaz sunkar dar jata hai. aur haklate hue kahta hai.
Jawad : ( haklate hue ) : wo..h bh..ai mai son..ch raha tha ke dusre godon se logon ko yaha bulana zaruri hai kya.
Meer : ( gusse se ) tu ziyada sonch math jitna bola hai utna kar aur mujhe jaldi se jaldi maal ( drugs ) ready chahiye. Ye maal chiller logon ke liye nahi hai packing finishing se honi chahiye agar zara bhi gadabadi hui dekh lena waha akar ek ek ki khal kheech longa.
Ye kahkar meer call cut kardeta hai aur jawad meer ki baat sunkar hi dar jata hai aur apne admion se kaam jaldi se jaldi khatam karne ke liye kahta hai.
Aaj ke liye itna hi agey janne ke liye mere sath bane rahe mere sath BE-INTEHA-ISHQ ke satha apka apna MAQ.
Written by MOHAMMED AZEEM QURESHI ( MAQ ).
update kaisa laga comment karke zarur batana.