• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance BE-INTEHA-ISHQ

Status
Not open for further replies.

mashish

BHARAT
8,032
25,910
218
Waiting
 
  • Like
Reactions: Maq

Chinturocky

Well-Known Member
4,398
12,813
158
Waiting
 
  • Like
Reactions: Maq

Maq

Lovely person????
429
518
109
Update-46

Ajju ready hoakr neeche ata toh uski mom usko coffee deti hai.

Ajju : mom mai yaha se seedha function hall jaraha hoon. Aap log pahle nizam ke ghar jaiyega aur unke sath hi function hall ko aiye.

Mom : haan tere dad ne bhi yahi kaha hai aur mai khud bhi nizam ki mom se milne ke liye unke ghar hi jane wali thi.

Ajju : haan mom unko bhi accha lagega.

Mom : thik hai jaise hi teri bahne ayegi unko lekar nizam ke ghar ko hi nakal jayenge.

Ajju : unlogon ka intezar karenge toh phir function khatam hi samjho aap.

Ajju ne jaise hi ye kaha waise hi sabhi bahne ghar me enter hoti hai jise dekh kar ajju ki bolti band hojati hai

Ajju ko aise chup dekh kar ajju ki mom muskurate hue kahti hai.

Mom : ( muskurate hue ) kya hua beta abhi tum kuch kah rahe they.

Apni mom ki baat sunkar ajju unhe masoom si shakal bana kar hath jod deta hai. Jise dekh kar mom ki hasi chuth jati hai.

Mom ko aise haste dekh kar ajju ki fatt jati hai aur sabhi bahne mom se kahti hai.

Didi : kya hua mom aap aise has kyun rahi hai aur iske chahre per bara kyun baj rahe hai.

Simran : haan mami hume bhi batao ke bhaiya ne aisi kya baat kahi hai ji aap aise has rahi ho.

Simran aur didi ki baat sunkar mom ki hasi aur badh jati hai aur woh haste hue ajju se kahti hai.

Mom : ( haste hue ) kyun beta bata doon inhe ke tum abhi kya kahrahe they.

Mom ki baat sunkar ajju ke pasine chuth jate hai kyun ke use pata tha agar mom ne unhe ye baat batadi toh ye sabhi ise chodhne wali nahi.

Ajju : areey kya mo...m aap bh...i kaisi baat karrahi hai Maine kya kaha hai. Aur tumlog mujhe aise kyun dekh rahi ho.

Ajju ki awaaz jaise hi ladh khadayi waise hi sabhi bahnon ki nazar ajju per padti hai jise dekh kar ajju ki buri tarha se phat jati hai.

Didi : sach sach bata tune kya kaha mom se mujhe pata hai tune zaroor humare bareme me hi kuch kaha hoga tabhi teri zaban ladh khada rahi hai.

Didi ki baat sunkar ajju dar jata hai.

Ajju : arey dad aap kab aye.

Ajju ne jaise hi ye kaha sabhi apne peeche dekhte hai toh wahan koi nahi hota aur jab samne ajju ko dekhte hai toh woh apni jagha se gayeb hota hai.

Darasal hua yun ke jaise hi ajju ko laga ke woh phas gaya hai waise hi ukse dimag me ye plan ata hai unko distract karke yaha se bhagne ka isi liye usne aise kaha. Aur jaise hi sabhi peeche palte aju apni jagha se uth kar door ke taraf bhaf jata hai aur use aisa karte hue ajju ki mom dkeh leti hai aur wph bhi zor zor se hasti hai.

Mom ko aise haste aur ajju ko apni jagha na dekh sabhi door ki taraf dekhte hai toh ajju waha se bhag raga tha.

Didi : ajju ruk kaha bhag raha hai.

Didi jaise hi awaz lagati hai ajju bhi waise hi kahta hai.

Ajju : abhi nahi didi mujhe bohat kaam hai.

Didi bhi ajju ke taraf jane lagti gai toh mom unko rok kar kahti hai.

Mom : areey jane de use tu baith yaha mai batati hoon mai kyun has rahi thi.

Muneeza : haan bade mummy batao mujhe bhi sunna hai.

Muneeza ki baat sunakr baki sabhi bhi ek sath kahti hai.

Sabhi ek sath: hume bhi.

Mom : accha baba sunati hoon pahle mujhe apni shopping toh dikhao.

Mom ki baat sunkar sabhi apni apni shopping unhe dikhane lagti hainaur ajju wali baat bhool jatu hai.

Ajju bhi bahar nikal kar car me baith jata hai.

Ajju : huh bach gaya warba aaj ye mujhe nahi chodne wali thi. Sabhi milje mera bharta bana deti.

Aise hi apne aap se baat karta hua ajju function hall pohanch jata hai.

Function hall pohanch kar sabhi cheezon ka jayaze lekar phir nizam ke ghar ki taraf nikal jata hai.
.
.
.

Idhar alfisha side :

Mission se ane ke baad alfisha aur afreen apne sathiyon ko medical treatment ke liye bhej kar apne room me ajate hai.

Afreen : yaar aaj toh aisa lag raha tha ke jaan jatey jatey bachi hai.

Alfisha : haan yaar magar aaj mai bohat khush bhi hoon udaas bhi.

Indono ko dekh kar kahin se bhi aisa nahi lagraha tha ke ek boss aur uska sathi baat karrahe hai. Dono do dost aur do bahnon ki hi tarha baat karrahe they.

Afreen : haan woh toh tere chahre ko dekh dekh kar hi lag raha hai ke tu do mishran feeling ka swad lerahi hai.

Afreen ki baat sunkar alfisha haste hue kahti hai.

Alfisha : mera toh tujhe pata hai magar apna bhi bata de ye ko ter3 chahre per swad araha hai woh kis cheez ka suwad hai kahi asim bhai ne swad toh nahi chakha diya.

Alfisha ki baat sunkar afreen ka chahra sharam se lal hojata hai.

Alfisha : aye meri banno kahi aisa toh nahi ke tune maidan marliya aur mujhe pata hi nahi chala. Hahahaha

Alfisha ki iss baat se afreen pani pani hojati hai aur alfisha ke hath kar halke se mar kar sharmate hue kahti hai.

Afreen : chup kar kamini kuch bhi ulta seedha bolti rahti hai aur haan mai batadoon ke jaisa tu sonch rahi hai wiasa kuch nahi hai samjhi.

Alfisha afreen ki baat sunkar muskurate hue kahti hai.

Alfisha : agar aisa kuch irada hai toh bolde mai de dongi ek hafte ki chuti phir lete rahna swad hafta bhar.

Ye kah kar alfisha ankh mar deti hai.

Afreen : mujhe nahi chahiye koi chutti... haan agar tera aisa kuch irada hai toh mere paas ek khabar jisse shayed tu khush hojaye.

Afreen ki baat sunkar alfisha use sawaliya nazron se dekhti hai.

Afreen : mujhe khabar mili hai ke ajju ke kisi dost ki aaj shadi hai.... toh agar tera dil hai apni jaan ko dekhne ka toh mere paas ek plan hai.

Alfisha : bata kya plan hai ?

Afreen : aye haye dekho kaise machal rahi hai apni jaan ko dekhne ke liye.... aise nahi pahle bol please afreen.

Alfisha : tu pakki kamini hai karle apne maan ki jab meri bari ayegi na tab bataongi.

Afreen : woh tab ki tab dekhi jayegi abhi agar tujhe apni jaan ko dekhna hai toh.... itna toh karna hi padega.

Alfisha : kamini kahin ki.... please afreen madam bataye na kya hai woh plan.

Afreen : arey yaar tu aisa toh math kah accha nahi lagta apni friend se please sunna.

Ye kah kar afreen zor se hasti hai toh hai toh alfisha use ghoor kar dekhti hai.
Afreen : accha accha aise ghoor kar math dekh tere aise dekhne se sach me dar lagta hai.
Waise request karte hue tu bohat cute lag rahi thi. Hihihi.

Alfisha : ab tu bata rahi hai ya mai tera sar phodon.

Afreen : dost dost na raha yaar yaar na raha aye zindagi hume tera aetebaar na raha.
kya zamana agaya sharafat toh naam ki bhi nahi rahi ek toh idea do agar nahi diya toh ye sar phod denge.

Afreen ye sab nautanki karte hue kahti hai toh alfisha ke bhi chahre per muskurahat ajati hai.

Alfisha : sach me yaar agar tera sath na milta toh pata nahi mera kya hota.

Afreen : wahi hota jo manzure khuda hota.

Alfisha : hahaha sahi kaha ye sab kuch usi ki marzi se toh horaha hai warna kaha mai chui mui si ladki ek cockroach se darne wali aur kaha aaj dekho kya bangayi.

Akhri baat kahte hue alfisha ka chahra utar jata hai jise dekh kar afree use gale se lagate hue kahti hai.

Afreen : arey yaar tu mayoos math ho ko bhi hoga accha hi hoga. Chal pahle apna mood thik kar aur mera plan sun.

Alfisha bhi afreen ki baat sunkar apna mood thik kar leti hai.

Alfisha : chal bol kya hai tera plan jisse mai apni jaan ko dekh sakti hoon.

Afreen : meri ek friend ne hi mujhe ye bataya ke aaj ajju ke dost ki shadi hai jiska naam nizam hai.

Alfisha : haan mai janti hoon nizam ko. Tu agey bata.

Afreen: usne mujhe kaha ke usko waha per decoration ka kaam mila hai toh mainw usse tujhe aur muje apne sath lekar chalne ke liye kaha toh woh bhi maan gayi hain.

Alfisha : toh hume kab jana hai.

Afreen : jana toh hume kal hi tha magar mission ki wajha se maine tujhe nahi bataya.

Afreen ki baat sunkar alfisha phir udas hojati hai.

Alfisha : toh ab kyun bata rahi hai jab ki kal hi Jana tha ...toh matlab kaam toh hogaya hogaya na.

Afreen : arey meri bahen pahle puri baar toh sunle abhi kuch hi der pahle mujhe uska msg aya tha. Usme hume ane ko kaha hai.

Alfisha : magar ab hum wahan jakar kya karenge.

Ye baat alfisha ne itne udaasi se kahin thi je afreen chid kar kahti hai

Afreen : wahan jakar bartan saaf karenge. Jhadu lagayege. Huh

Afreen ki aisi baat sunkar alfisha ke chahre per bhi muskaan ajati hai.

Alfisha : mai apni jaan ke khareeb rahne ke liye ye bhi karne ko tayyar hoon.

Afreen : haan pata hai mujhe chal ab jaldi se tayyr hoja humko abhi hi nikalna hai.

Ye kah kar ek baar alfisha ko gale se lagakar nikal afreen nikal jati hai.

Afreen ke Jane ke baad alfisha ajju ki photo nikal kar use chumte hue kahti hai.

Alfisha : dekho jaan tumhe dekhne ke liye kya kya karna padh raha hai. Pata nahi hum kab mil payenge bas jis kaam ke liye mai tumse dur Hui hoon woh bhi jald hi khatam hojayega phir humko koi bhi alag nahi karsata.

Ye kahke alfisha bhi ready hone lagti hai.

Aaj ke liye itna hi agey janne ke liye mere sath bane rahe BE-INTEHA-ISHQ ke sath apka apna MAQ.

Written by MOHAMMED AZEEM QURESHI ( MAQ ).
 
Status
Not open for further replies.
Top