Update-47
Nizam ki baraat function hall se kuch dir rok kar sabhi log lage hue they nachne me....
Koi nagin dance karraha tha toh koi dhol per thumke laga rahe they.
In sabme sab se agey humare ahmed sahab they jo iss waqt cream colour ki sherwani aur gulabi colour ki pagdi pahen ke full josh me nach rahe they.
Ahmed ke sath imtiyaz bhi tha aur woh dono mil kar ajju ko bhi apne sath lelete hai uske mana karne ke bawajud bhi.
Ahmed : kya yaar ajju ab aisa karega toh kaisa chalega... aaj ke din toh apne rutbe ko kuch der ke liye bhulja.... aaj apne yaar ki shadi hai.
Ye kahke ahmed orchestra wale ke paas jakar usko aaj mere yaar ki shadi hai bajane ke liye kahta hai phir ajju ko lekar nachne lagta hai toh ajju bhi uske sath nachne lagta hai phir kya tha sabhi milkar nachte hai.
Ajju ko nachte dekh kar nizam ke dad teeno k3 uper se note war kar band walon ko dete hai.
Kuch der nachne ke baad sabhi function hall me jate hai aur nizam ko stage per bitha dete hai.
Nizam ke stage per baithne ke baad ajju fresh hone jata hai.
Ajju ne iss waqt mahroon colour ki sherwani pahni hui thi jisme woh kisi shahzade se kam nahi lagraha tha.
Ajju washroom me jakar fresh hota hai aur jab bahar ate hue kisi se takra jata hai.
Ye ek ladki thi jo function hall ke staff ke kapdon me thi.
Ajju ke takrane se woh girjati hai.... ajju usko uthane jata hai magar woh ladki uske utha ne pahle hi jaldi uth jati hai.
Ajju : sorry maine dekha nahi tha... apko lagi toh nahi.....
Ajju ki baat abhi puri bhi nahi hui thi ke woh ladki wahan se bhag jati hai.
Ajju : areeey suniye toh kya hua.... ajeeb baat hai pata nahi kya hua... uska chahra bhi nahi dekha warna baad me sorry kahdeta .... magar jane kyun woh mujhe kuch apni si lagi.
Khud se hi baten karte hue ajju stage ki taraf jane lagta hai magar function hall ke gate ke bahar bheed ko dekh kar uss taraf chala jata hai.
Yaha function hall ke bahar ek car rukti hai jisme se ek ladka nikalta hai. Ladke ne iss waqt sky blue colour ki sherwani pahni hui thi aur woh jaise hi bahar aya ladkian uske sath selfie lene lag jati hai jise dekh kar imtiyaz jo bheed ko dekh kar idhar aya tha ajju ek paas akar kahta hai.
Imtiyaz : zindagi toh iss sale ki sahi hai... har waqt ladkiyon se ghira rahta hai.
Ajju : tujhe kyun jalan horahi hai.
Imtiyaz : mujhe kyu jalan hogi mai toh bas aise hi kah raha tha.
Ye dono baat hi karrahe thye ke woh ladka jisko ladkiyon ne gher rakha tha woh inke paas ata hai.
Bheed ko iske bodyguards ne dur kar diya tha.
Ladka : kya haal me mere yaron.
Ye kah kar woh ladka ajju ke gale lagta hai.
Ajju : hum toh badiya hi hai magar tere toh charche hi khatam nahi hote.
Ajju ki baat sunkar woh ladka muskurate hue usse alag hota hai phir imtiyaz ke gale lag kar kahta hai.
Ladka : ab kya kare bhai iske bina toh ab raha bhi nahi jata adaat jo ban gayi hai.
Ladke ki baat sunkar dono haste hai.
Ajju : tu bilkul bhi nahi badla sameer tujhe bas bheed hi chahiye chahe woh college hi ya concert ho ya koi bhi jagha.
Sameer ye ajju and party ka college friend hai aur ye sahab ek Jane mane singer hai jinper ladkiyan marti hai.
Sameer : bhai dekh mai toh bas yahi chahta hoon ke log humesha mere aas paas hi rahe chahe log ise dikhwa hi kyun na kahe magar ye mujhe accha lagta hai... mujhe meri kamiyabi ko dikhata rahta hai.
Ajju : haan sahi hai. Chal chod ye sab pahle nizam se milte hai warna tere fans phir se tujhe gher lenge.
Ye kah kar ajju use sath lekar stage per jata hai.
Idhar jo ladki ajju se takrayi thi Ye koi aur nahi alfisha hi thi jo ajju ko dekh kar uske aas paas hi rah rahi thi aur jab woh ajju ko dekh rahi thi toh uski nazar ajju per pad rahi red lazer light per padti toh fauran alfisha ajju ki taraf jakar ajju ko dhakka dekar gira deti hai aur jaldi se uth kar wahan se chali jati hai.
Alfisha : hello jaldi se samne wali building per ek spinner hai use pakdo ya phir mardo.
Ye usne bluetooth per order dete hue kaha tha.
Ye usne bluetooth per order dete hue kaha tha.
Jaise hi alfisha order deti hai uske bande samne wali building ki taraf jate hai aur waha uss bande ko pakad lete hai.
Ye sab itni jaldi hua ke us bande ko samhaj hi nahi aya tha.
Alfisha ka takrana use mahez ek ittefaq laga aur alfisha ke bande jo yahin function hall k3 aas paas they woh bhi jaldi se action me atey hai aur use pakad lete hai.
Asim : madam humne use pakad liya hai.
Alfisha: hmm good job use apne lekar jao aur apni jagha kisi aur ko rakho aur haan sabhi ko kaho alert rahne ko kaho. Aaj ajju per sidha attack hua hai iska matlab yaha per aur bhi kuch hosakta hai.
Asim : thik hai madam mai ise apne sath lekar jata hoon.
Asim se baat karke alfisha afreen ke paas jati hai.
Afreen : yaar ab toh ye sidha sidha hamla karne lage hai... agar teri nazar nahi padti toh aaj jane kya hojata.
Alfisha : mere rahte meri jaan ko koi kuch nahi kar sakta.
Afreen : mujhe lagta hai hume ajju se baat karni hi padegi aise kab tak hum usko bachate rahenge.
Alfisha : hmm mujhe bhi aisa hi lagta hai. Aaj agar sahi waqt per meri nazar uss per nahi padti toh najane kya hojata.
Idhar insab se bekhabar ajju shadi ke sabhi intezamat dekhne me laga hua tha.
Ajju iss waqt mahi ke sath khada tha mahi ne bhi mahroon colour ka zari wala langa choli pahna hua tha jisme woh bilkul kisi princess se kam nahi lagrahi thi.
Ajju mahi ke aise roop ko dekh kar bas usme jaise kho hi gaya tha.
Ajju ko apni taraf aise dekhne per mahi ko bohat hi ziyada sharam arahi thi.
Mahi ( sharmate hue ) : please aise math dekho mujhe sharam arahi hai.
Mahi ki baat sunkar ajju jhemp jata hai.
Ajju : sach me yaar mahi tum aaj boaht hi ghazab ki khubsurat lag rahi ho. Aisa lag raha hai jaise asaam se koi pari utar kar ayi ho.
Ajju ke muh se apni tareef sunkar mahi khush hojati hai.
Mahi : tum bhi kisi shazade se kam nahi lagre iss sherwani me.
Ajju aur mahi dono iss waqt aise lag rahe they jaise dono ek dusre ke liye hi bane hai. Made for each other.
Ajju : aji hum kahan ke shahzade lagenge magae tum zaroor princess se kam nahi lagri har kisi ki nazar sirf tum per hi hai woh dekho.
Ajju ki baat sunkar mahi apne aas paas dekhti hai toh kai log usi ko dekh rahe they.
Mahi : mujhe kisi se koi matlab nahi jise dekhna tha usne dekh liya mere liye yahi bohat hai.
Ye baat mahi ne boaht hi dheere se kahi thi jise ajju sun nahi paya tha.
Ajju : kya kah rahi ho.
Mahi : kuch nahi chalo dulhe miya se milte hai.
Ye kah kar mahi ajju ka hath pakad kar stage ki taraf jati hai jaha per ajju ke sabhi dost pahle hi they.
Mahi aur ajju jaise hi wahan atey hai toh sameer ajju se kahta hai.
Sameer : kya baat hai mai tumne bhi humara liye bhabhi pahle se hi dhundh rakhi hai. Ab lagta hai agli bari tumhari hi hai.
Sameer ki baat sunkar mahi buri tarha se sharma jati hai aur ajju sameer ko ghoor kar dekht hue kahta hai.
Ajju : ye meri friend hai aur kuch nahi samjha.
Sameer : haan bhai shuruat dosti se hi toh hoti hai phir woh dosti hi pyar me badal jati hai.
Sameer ki baat sunkar sabhi has dete hai jise dekh kar ajju chidte hue kahta hai.
Ajju : tum sab kya daanth dikha rahe ho hihi karke aur bhai tu na filmon ki duniya se bahar aja aisa kuch nahi hone wala.
Ajju ko aise chidte dekh kar uske dost uske aur bhi mazr lete hai aur idhar mahi ki bhi bas halka halka sharmate hue muskura rahi thi.
Phir sabhi nizam se milte hai aur usko gift wagaira dete hai. Uske baad sabhi khane ke liye waha se chale jate hai.
Kahne ke liye ek bada sa table lagaya hua tha jis per ye sabhi akhatte baith kar khate hai. Yaha bhi sabhi ne ajju ko bohat sataya mahi ke naam se.
Magar kisi ne ek baat per dhiyan nahi diya ke iss mazak se koi ek aisa bhi tha wahan per jisko iss se bohat takleef horahi thi...
ye aur koi nahi alfisha thi jo yahan per ajju ke aas paas hi rah rahi thi.
Aise hi hasi khushi me widayi ka waqt ata hai aur phir kuch rone dhone ke baad nizam ki dulhan ko lekar nikal jate hai.
Aaj ke liye itna hi agey janne ke liye mere sath bane rahe BE-INTEHA-ISHQ ke sath apka apna MAQ.
Written by MOHAMMED AZEEM QURESHI ( MAQ ).