• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance BEAUTY AND THE BEAST 2 (COMPLETED)

Swaraj

Well-Known Member
6,809
25,393
219
Welcome back accha hai yah story start ho gayi dobara. Maza aayega Ashmita n Vijay ke Saman kaisay rehtay hai dekhna hoga. Plus roma ke mamle me bura laga coz har ek ko pyar karne ka haq hai irrespective of profession but Jay ke aane ke baad bhi yahi sab yah kuch accha nahi tha to ranvijay ne theek hi kia. Ab dekhtay hai aage kia rehta hain.
Thanks bro
Ashmita aur vijay ka relationship kaise aage badhta hai wo to dekhna hai aur ye bhi dekhna hai ki ranvijay ka agla move kya hota hai
Saath rahiye
 

kingkhankar

Multiverse is real!
6,347
14,168
188
Now this story will progress faster...

Arjun ke baad Ranvijay ka attitude dekhen layak hoga........

Make this story rockkkkkk
 
  • Like
Reactions: Swaraj

Swaraj

Well-Known Member
6,809
25,393
219
"sir aapne bulaya tha??" jay ne poocha principal se

"hmm jai, baitho" principal thoda tensed lage aur jay ko thoda ajeeb laga unhe aisa dekhkar

"sir" jay ne fir awaz di kuch der baad jab principal chup rahe

"Haan, dekho jay samajh me a nahi raha hai kaise kahoon" principal bole

"kya baat hai" poocha jay ne

"jay tumhara scholarship...." principal fir se atak gaye

"sir please aap mujhe tensed kar rahe hai" jay bola

"jay ye college tumhara scholarship cancel karti hai" principal bola

"sir??" jay khada ho gaya turntable

"tum ek honhar student's ho jay aur jo bhi college me jaoge, acha result doge lekin.... Yahan nahi" principal bol uthe

"lekin kyun meri galti kya hai sir??" jay roansa hokar bola

"education board ne review kiya hai tumhare scholarship ko aur cancel kar diya hai, waise zyadatar cases review nahi hote, aur tumhare scholarship me to koi problem thi bhi nahi lekin kya kare" principal majboor the

Jay chup raha, yani India se wapas Jaana padega

Kisi influencial aadmi ka haath lagta hai, jab tak koi badi power dakhal na de aisa kam hota hai

Jay thoda thoda samajh raha tha aur Jaan raha tha ki kisne kiya hoga ye
Achanak wo dar gaya aur uthkar Jaane laga

"tumhara character certificate acha hi banega yahan se aur tum mera number de sakte ho reference ke liye" principal bola

"b baad me baat karte hai sir mujhe jaldi hai" bol chala gaya jay office se bahar

Bahar aate hi jhat se roma ko call lagaya usne

"sorry jai, ye mera aakhiri voice mail hoga, is desh ko chod naye desh me ja rahi hoon. Kahan pata nahi. Lekin please mujhe dhoondna mat, aage badho aur apna sapna poora karo,tumhari roma"

Voicemail ke sunne ke baad baith gaya jay
Himmat nahi hui khade hone ki, ek Saath sab kuch cheen gaya uske life ka
Ek jhatke me
------------------------------------------------------------------
Payal ka rona abhi bhi jaari tha
Ranjana aur dadi kam nahi roye, beti ja rahi thi hamesha ke liye ye desh chhodkar
Kaise Na rote

"mai Jaana Nahi chahti ma, mujhe rok lo" payal to rahi thi

"beti paraya dhan hoti hai Payal, lekin har saal aati Rehna" ranjana ne samjhaya

"payal" dadi ne rote hue payal ko bulaya

"dadi" bol payal dadi se lipat kar fir se ro padi

"kabhi apne astitva ko mitana mat beta, jaisi hai waisi hi rehna" dadi ne payal je Gaalo me thapki dete hue bola

Gaadi fir se horn bajane lagi aur majboor hokar payal ko Jaana pada

Chartered flight thi aur wahan sirf ranvijay, payal, vijay, rishi, ashmita, Mr vardhan aur ranvijay ke staff the

Rishi zyada excited tha, baar baar bahar ki aur dekhna baadlo ko sarah a aur neeche zameen me dekhkar apni maa ko dikhana

Ashmita chup thi, vijay chup tha, payal abhi bhi roye ja rahi thi apna ghar chhodkar aane ke liye, Ranvijay apne aankhen band kar aage ki soch raha tha

Tabhi payal ko ranvijay ke staffs ki awazein sunai di

"ab saturn ki khair nahi" Paul bola

"I wish ki meera aur uska khandan raaste me bheek maange" Chris bola

Ashwin ne Haan me sar hilaya aur tabhi usne payal ko apni aur dekhte hue paaya

"sshhh" ek signal ke saath chup kara diya usne Chris aur Paul ko
Sabhi payal ko dekh ek smile dekar chup ho gaye

Kuch to gadbad hai, kuch to khatak raha hai Payal ko
Ranvijay hi clear kar payega ye doubt, waise bhi usne mujhe abhi tak apna past nahi bataya

Flight apne hisab se USA ki aur ja raha tha
------------------------------------------------------------------
"chalo na kahin bahar khate hai aaj" meera ne bhushan ko baahon me lete hue bola

"nahi meera mood off hai mera, meri research ki koi izzat hi nahi hai yahan par" bhushan jhunjhla kar bola

"isliye to Keh rahi hoon, bahar ghoomkar aate hai" meera boli

"are yaar Keh raha hoon samajh me nahi aata kya??" bhushan chilla kar bola

"wtf is wrong with you bhushan?? Mujhe bhi stress hai, Victor frame ne raato ki neend udayi hui hai, Ranvijay haath dhokar peeche pada hua hai fir bhi mai tumhare Saath kuch pal chain ki lena chahti hoon" meera boli

"na to tum wo khel khelti na ye sab hota, ab mujhe lag raha hai ranvijay hi mere research ko band kar raha hai peeche se" bhushan bola

"bhushan mujh par ilzam mat lagao, tum har din jhalla kar aate the ki ranvijay ke wajah se tumhe MIT me chance nahi milega, isliye tumhare liye..." meera ne bola to bhushan tab tak gusse me apne kamre me ja chuka tha

Meera dhamm se baith gayi apne chair me
Jis aadmi ke liye usne itna kuch kiya usi ne aaj meera ko suna diya

Apne mobile me se ek photo nikala usne
Ranvijay aur meera dono has kar pose le rahe the
Ek baar haath fera us photo par Meera ne
Lekin apne aankhon me chalakte hue aansuon ko girne se na bacha saki
 
Last edited:

Swaraj

Well-Known Member
6,809
25,393
219
Welcome back accha hai yah story start ho gayi dobara. Maza aayega Ashmita n Vijay ke Saman kaisay rehtay hai dekhna hoga. Plus roma ke mamle me bura laga coz har ek ko pyar karne ka haq hai irrespective of profession but Jay ke aane ke baad bhi yahi sab yah kuch accha nahi tha to ranvijay ne theek hi kia. Ab dekhtay hai aage kia rehta hain.
Updated bro
 
  • Like
Reactions: Tiger 786
Top