"rukiye" payal bol padi
Ranvijay ne dekha payal ne salwar pehen rakha hai aur uske haath me thali hai
"jaldi, time nahi hai" ranvijay ne apna dar aage kiya tilak ke liye
"seriously??? Aaj Pooja hai ghar me, naye log aahe hai. Hamari shaadi hui hai" payal boli
"to??" ranvijay ne poocha
"to Mr busy, aaj sabko ghar me Saath Pooja karna hai" payal boli
"tumhe pata hona chahiye mai in sab me vishwas nahi karta" ranvijay bola
"honi aur anhoni ko taalne ya rokne me bhagwan ka bhi haath nahi hota ranvijay, aisa hota to krishn ji ko radha mil jaati aur mahabharat na hota" payal muskurati hui boli
"tum chahti kya ho payal, I don't have time for riddles" ranvijay bola
"mai chahti hoon ki aaj ek Saath Pooja me sab shamil ho, papa ke ek Jaan pehchaan wale pandit ji aaye hai" payal boli
"come on payal" ranvijay bola
"aap a rahe ho ya nahi??" payal ne poocha
Ranvijay Jaana chahta tha office, par pata nahi kyu....
Haath jod kar ranvijay baith gaya, Saath me vijay, ashmita aur rishi bhi the aur the Mr vardhan
"agar jay Pooja me hota to koi kami nahi rehti" payal boli
"kyun??" Mr vardhan me dheere se poocha payal ko
"matlab??" payal ko samajh me nahi aayi Mr vardhan ki baatein
"kyun kar rahi ho ye sab payal??" Mr vardhan bole
"kyunki ye mera bhi ghar hai papa aur koun nahi chahega ki uske ghar me koi Pooja na ho
Mr vardhan ne koi jawab nahi diya bas Pooja me concentrate karne lage
Pooja apne hisab se chal rahi thi aur sabhi usi me magn the tabhi ranvijay ka phone baj utha
"hmm hmm ok" bol ranvijay uth gaya aur payal ke kuch bolne se pehle hi chala gaya
"mai bhi chalta hoon" bol vijay bhi nikal gaya
Ashmita bhi rishi ko lekar chali gayi apne kamre ki aur
"mujhe pata tha ki ye kaam nahi karega payal, ye ghar nahi hai. Ye shamshan ghaat ban gaya hai" bol Mr vardhan apne wheel chair ko lekar Jaane lage to payal ne rok diya unhe
"ek din ye hokar rahega papa" payal ki awaz me gazab ka confidence tha
"sure??" Mr vardhan ne poocha
"as sure as getting you out of your wheelchair and making you walk" bol Payal ne muskurate hue hairaani se dekhne wale Mr vardhan ke pair chuye aur apne kamre ki aur Jaane lagi ki tabhi use ashmita dikhai di
"ashmita di??" payal ne awaz di to ashmita ne apne aansu poch liye
"acha kiya jo aap yahan a gayi" payal boli
"matlab??" ashmita ne poocha
"wo ghamandi aur attitude dikhane wale vijay bhaiyya ke saath bhi koi baith kar Pooja karta hai??" payal boli to ashmita ko 440 ka jhatka laga
"ye kya bakwas kar rahi ho payal??" ashmita ne halke lekin zor se kaha
"aur nahi to kya, jab dekho aapko tang karta hai, rishi ko rang karta hai aur achai ka dhong karta hai wo Insaan" payal boli
"payal don't cross your limit" is baar ashmita chilla uthi
"kyun?? Aap ko kyun problem ho rahi hai" payal ne poocha
"kyunki wo mere bacche ka pita ha.." itna bolte hi ashmita wahan se apne kamre me Bhaag kar chali gayi
Aur payal Muskura uthi
------------------------------------------------------------------
"soch lijiye madam" kumar ne ye teesri baar bola
"pata hai kumar lekin BB ko kharidne ke liye wo studio to bechna hoi padega, waise bhi loss me hai wo" meera boli
"aapko pata bhi hai aap kya Keh rahi hai?? Madam wo studio Aapka sapna hai, aapki Pehli apne haathon se banai hui studio hai, usne aapko Naam shohrat sab kuch diya" kumar bola
"pata hai kumar lekin BB ke liye funds nahi hai" meera boli
"aapko pata bhi hai koun kharidna chahta hai is studio ko??" kumar ne fir poocha
"Haan Viktor frame ka CEO ranvijay vardhan" meera boli
"fir bhi aap Maan gayi, doosre buyers bhi hai madam, aap kaho to unse baat karke dekhun??" kumar ne poocha
"itna amount koi nahi dega kumar, deal finalize karo victor frame ke saath" meera boli
"fir aapko ranvijay se bhi milna padega madam" kumar bola
"fine with me kumar, deal jald karwao" meera boli
Victor frame ne udreams kharid liya to saturn ko bhi kuch karna hoga wo bhi jald warna Victor frame poora lutiya dubo dega saturn ka
Is company ko is mukam me laane ke liye meera ne apna poora de diya, aur aaj use wo mitana chahta hai jo ek Waqt meera ke ek muskurahat ke liye apne career ko khatam kar chuka tha
"madam Mr ranvijay is on the way" kumar bola
"good kumar kab tak ayenge" meera ne poocha
"jald shayad pohunch hi gaye samjho" kumar bola
"koi kami nahi rehni chahiye satkar me, best arrangements kiya hai na??" meera ne poocha
"Haan madam, best wine,best Indian restaurant se khana poori khatirdari hogi" kumar bola
Tabhi call aaya kumar ko aur usne ishara kiya meera ko ki ranvijay a raha hai
Meera ka dil dhak dhak karne laga, itne saalon baad, kaisa hoga ranvijay, kaisa dikhta hoga
Suna hai kaafi handsome ho gaya hai aur utna hi smart, passionate aur
KHAT
"ms meera, its been a pleasure meeting you" deep navy blue suit me, red tie aur ek sweet sa smile
Meera ki aankhen band hona bhool gayi
"ms meera??" ranvijay ne awaz di
"h Haan, r ranvijay" meera ko pata nahi kya hua
"it's ranvijay vardhan" ranvijay ne ek sakht air shaant awaz me bola ki room ke ek thandi si khamoshi tair gayi
"ofcourse please have a seat" meera boli
"no ms meera we will discus with our respective teams in conference room" ranvijay bola aur meera ke cabin se nikal gaya
Meera je haath pair foolne lage ranvijay ke personality ko dekhkar
Wahi ashwin ko tajjub ho raha tha ki jahan payal jaise ek simple ladki ranvijay ke aankhon me aankhen daal baat karti hai wahi MBA kar chuki ek company chalane wali ladki ki haalat kharab ho rahi hai ranvijay ke saamne
Strange