"bhabhi bhaiyya aap dono se baat karni thi" payal ne ashmita aur vijay se bola
"kya payal??" ashmita ne poocha aur dono ek doosre ko dekhne lage
"aap dono divorce kab de rahe hai??" payal ne poocha to vijay khada ho gaya turant
"ye kya mazak hai Payal??" vijay ne poocha
"kyun?? Aapko aur ashmita di ko 6-6 mahine rishi ko rakhne ka mauka milega, waise bhi sirf rishi ke liye aap dono ek Saath reh rahe hai na??" payal boli
"Haan lekin...." Vijay ne ashmita ki aur dekha
"payal..." ashmita ko samjh me kuch nahi a raha tha ki kya bole wo
"mai divorce papers bhi Saath laayi hoon, bas dono sign kar dijiye" payal boli
Dono chup rahe
"kya hua kuch boliye aap log??" payal ne dono ko dekhkar bola
Dono fir bhi chup rahe
"ashmita di ne dubara kisi aadmi ki aur dekha tak nahi to vijay bhaiyya aap ke liye jitni ladkiyan ka rishta aaya tha sab ko thukra diya" payal boli
Vijay aur ashmita ne payal ko dekha
"dono agar ek doosre se pyaar karte ho to jatao na, chupakar kyun rakha??" payal has kar boli
"payal tum..." ashmita payal ke Paas aayi
"nahi ashmita di, sachhai yahi hai. Lekin agar aap ise jhutlana chahti hai to divorce papers par sigh kar dijiye" payal boli
"all the best for your happy married life" bol payal ashmita aur vijay ko sakte me chodd kar Bhaag gayi
"oops mai to bhool hi gayi" wapas aakar payal ne ashmita ko vijay ke close la diya aur chali gayi fir se
"Pagal ladki" ashmita boli to vijay hasne laga
Dekhkar ashmita bhi hasne lagi ek nayi kahani shuru hone wali thi dono ki aur iska zimmedar anandpur ke galiyon ki ek mamooli si ladki thi jisne videsh me aakar bhi apne aap ko badla nahi tha
Payal kamre se aayi aur seedha Pooja ghar me gayi
"he murlidhar is ghar me sab ki khushiyan lautane ke liye thanks, bas ek aakhiri kaam karke wapas Jaana chahti hoon" payal ne bhagwan ki aur dekhkar kaha
Aur apne bag se kuch papers nikale,
Dekhne ke baad usne apne aansu poche aur dheere dheere wahan se chali gayi
------------------------------------------------------------------
"ye kya hai meera, bohut dino se dekh raha hoon tum is ghar ko jaise bhool hi gayi" bhushan bola
"ghar chalane ke liye kaam karna padta hai bhushan tumhare salary se ghar nahi chalta" meera kadwe swar me boli
"seriously?? Kya tumhe pata nahi tha ki meri salary se ghar nahi chalega??" bhushan ne poocha
"oh bhushan purana raag alaapna band karo" meera baat khatam karna chahti thi
"kyun purani baat shuru karte hi apne purane bf ki yaad a jaati hai kya??" bhushan bola
"Haan jisse tum har waqt haar jaate the bhushan" meera boli
"you....." bhushan ka gussa badhne laga
"tumhare liye hi use use kiya tha maine bhushan bhulo mat" meera boli
"use tumne kiya tha, tumne aur tumhara idea tha use til til kar barbaad karna, jo ab wo tumhe kar raha hai meera, yaad rakho jo bhi is plan me shamil tha koi nahi bachega" bol bhushan gusse se apne kamre ki aur chala gaya
"tum idiot ho bhushan, meera ab doosra game khel rahi hai, Ranvijay vardhan ab meera ko barbaad karne ki bajay use aabad karne ki sochega, bohut jald us payal ki jagah mai ranvijay ke bagal me khadi rahungi" meera ek kutil muskurahat ke saath boli
"bohut jald" muskurahat gayab hote hi whisky ka glass khali kar diya meera ne
Tabhi uske mobile me ek call aaya
"hello??" meera ne jawab diya
"mai hoon" doosri aur se awaz aayi
Shivraj vardhan ki biwi, huh
Phone Kaat diya meera ne, ab use koi zaroorat nahi thi kisi ki, wo akeli ladegi.
Agar uske liye bhushan se bhi ladna pade to wo taiyyar hai, kandha hoga ranvijay ka aur goli chalayegi wo
Hasne lagi meera
------------------------------------------------------------------
Aanchal whisky ka glass peeye ja rahi thi
Sab kuch ulta ho raha hai
Kyun.... Kyun... Wo 12th pass ladki me aisa kya hai ki wo sab kuch thik kiye ja rahi hai
Is duniya me ye sab nahi hota, nahi hota
Warna wo shivraj se Shaadi na karti
Meera ki bacchi phone nahi utha rahi hai, udhar vardhan parivar maze lekar mast hai
Kuch to karna hi padega, kuch zaroor karna padega
Ek raasta hai, sirf ek raasta
Purane pyade istemaal karne padenge
Payal jeet nahi sakti nahi jeet sakti