• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance BEAUTY AND THE BEAST 2 (COMPLETED)

Black water

Vasudhaiv Kutumbakam
5,857
21,059
188
Waiting bhai
 

Swaraj

Well-Known Member
6,809
25,379
219
"sir??" teesri baar Chris ne Awaaz lagai

"hmm" jaise sapne se jaag utha ranvijay

"agar maine jo kaha aapko bura laga to sorry lekin mujhe laga yaad dilana chahiye" Chris bola

"suna maine" ranvijay bola

Ranvijay vardhan ne kaampte haathon se bag se papers nikale
Aur dua karne laga ki kaash papers galat ho
Lekin hatasha hi haath lagi use

"shaadi ka contract" ranvijay ke muh se nikla

Dekhte hi dekhte ek saal ho chala tha
Kuch hi mahine bache hue the. Aur ye contract bhi khatam hona tha

"lekin sir aapne ye contract kyun kiya" Chris ke sawal ka jawab khud ranvijay ke paas bhi nahi tha


EK SAAL PEHLE
ANANDPUR REGISTRATION OFFICE

"payal padh lo theek se" ranvijay bola

"ek saal ka contract...." payal dheere se boli

"Haan, mai nahi chahta ki kisi ko galat fehmi ho ki mai shaadi kar raha hoon, ek saal ke baad tum alag. Mai alag" ranvijay bola

Payal chup rahi

"tumhare Saare loans ko chuka diya hai maine, aur jo ghar girwi tha use bhi chura liya hai. Here are the papers" ranvijay ne papers aage badhaye

"ek choti si request hai" payal ne dheere se kaha

"bolo" ranvijay bola

"hamare is contract ke baare me kisi ko maalum nahi hona chahiye, daadi heart issues se guzar rahi hai. Unhe pata chala to wo..." payal ne aage kuch nahi kaha

Kuch der ke liye dono shaant rahe

"ek saal ke baad mai aapko aur is shaadi se door chali jaungi" payal boli

Ranvijay chup hi raha

"sir??" Chris ne chauthi baar ranvijay ko past se nikala

"hmm Chris please mai thoda akela rehna chahta hoon" ranvijay bola aur Chris ne situation ko samajh kar wahan se Jaana theek samjha

Chris ke jaate hi ranvijay sar pakad kar baitha
Use to acha lagna chahiye, wo ladki uske life se ja rahi hai jo use itna irritate karti thi fir..

TRING TRING

"hello??" ranvijay ne phone uthaya

"hai ranvijay, mai meera"meera I awaz sunkar ranvijay ko khushi nahi hui
------------------------------------------------------------------
" hello?? "kailash ne bohut try karne ke baad phone lagaya tha

" ji?? "ranjana ne phone uthkar kaha

" Mrs ranjana?? "kailash ne jaise hi ranjana ka Naam bulaya unka dil dhakk se reh gaya
Kahin...

CLICK

phone rakh diya ranjana ne, nahi nahi nahi
Wo.... Wo wapas un dino me nahi Jaana chahti. Payal uski beti hai bas uski........
Kaampte haathon se phone switch off kar diya usne

"sachhai ko jab tak chupaogi ranjana??" dadi peeche se boli to ranjana ro padi

"jab tak mai zinda hoon tab tak, kya karun maa mai kya karoon" ranjana ne dadi ke seene me apna sar rakhkar apne aansu pochne lagi

"lekin beta payal ko haq hai janne ka apne past ke baare me, kya ye galat nahi hai" dadi ne poocha

"mujhe nahi pata kya galat kya sahi hai maa, lekin yaad hai unke guzarne ke baad kaise mai Mar si gayi thi. Tab ye pari ke roop me aayi thi. Aur mujhe jeene ka ek maqsad de gayi, yaad hai aap kaise uske bina so nahi paati thi, yaad hai kaise meri chadi je maar se bachne ke liye aapki peeche chup jaaya karti thi"ranjana ka rona jaari tha

"lekin beta kya khud ke liye usko sach nahi bataogi??" daadi ne poocha

"mujhe nahi pata maa, mujhe nahi pata" bol Ranjana apne kamre ki aur chali gayi

Ranjana ke jaate hi daadi ne table par pada hua mobile dekha aur use on kiya

Kareeb 25 miss calls the wo bhi koi doosre desh ka number se aaya tha

Tabhi phone fir se bajne laga aur daadi ne jhat se utha liya

"Haan.......... Kailash???........haan payal ki daadi bol rahi hoon..... Haan Mujhe pata hai payal ke baar me, lekin phone pe nahi seedhi baat honi chahiye is maamle me" bol daadi ne phone rakh diya

"sorry ranjana, apni khudgarzi ke liye payal ko sach se mahroom nahi rakh sakti" bol daadi apne kamre me Jaane lagi
------------------------------------------------------------------
Cab se apne doosre interview ke liye ja rahi thi payal
Bhagwan ne use kahan aur kaise kis situation me rakha wahi soch rahi thi, usne kisi ka koi nuksaan nahi kiya fir.....

Tabhi uski nazar door khade ek car par padi jiska accident hua hai aur waha ek buzurg Saamne seat se bahar latak raha tha, kaafi khoon beh raha tha uska

"Gaadi roko stop the car" payal boli

"madam this is quite dangerous..." driver bola

"I SAID STOP THE CAR BROTHER" payal chillai to hadbadakar driver ne car roki

Payal apne cab se bahar nikli aur daudkar gayi us buzurg ke paas

Un buzurg ja chehra dekhte hi chaunk gayi

"shivraj uncle??" uske muh se nikla
 
Last edited:

Swaraj

Well-Known Member
6,809
25,379
219
"ahhh...." shivraj ne aankhen kholi

"a. Aap theek to hai??" payal ne poocha to shivraj ne ek nazar dekha payal ko

"accident ho gaya tha aapka, bhala ho ye ladki ka jo aapko lekar hospital a gayi, aapke wife ko phone kiya lekin unhone koi jawab nahi diya" doctor ne injection lagate hue bola

Shivraj chup raha, bolne ke liye kuch nahi tha uske Paas, tabiyat bigad gayi thi aur driver ke bina drive karne ka nateeja tha ye
Lekin hairaani ki baat ye hai ki is ladki ne aisa kyun kiya??
Shivraj ka hi to plan tha ki vardhan parivar ko barbaad kar de, khatam kar de payal aur ranvijay ke rishte ko aur sabse badi baat ki jiske Kehne par wo ye sab kar raha tha wo aayi hi nahi use dekhne

"mai chalti hoon chacha ji waise bhi mera time bohut kharab ja raha hai kuch hi din bache hai is saal ke uske baad to...." bolte bolte ruk gayi payal
Ranvijay aur uske contract ki baat muh se nikalne hi wali thi

"thanks payal" shivraj ne dheere se bola

"thanks ki kya baat hai chacha ji aap mere pitaji jaise hi hai, kya ek beti ye nahi kar sakti??" payal ne poocha to shivraj ki aankhen chalak uthi

"uff sachmuch ab aur nahi ruk sakti, aate Waqt aapse mil kar jaungi" bol payal daudte hue chali gayi

Shivraj ke dimag me bohut kuch chal raha tha usne fauran phone lagaya

"bolo shivraj" Mr vardhan ki awaz thi

Shivraj sab kuch batata chala gaya aur bohut Saari cheezein batai usne

"oh my god itna sab kuch??? Mai abhi a raha hoon" bol Mr vardhan nikal pade apne bhai ke paas
------------------------------------------------------------------
"kaisa laga??" meera ne muskurate hue poocha to ranvijay ne ek smile de di

"meera tumne kyun bulaya mujhe??" ranvijay mudde par aana chahta tha

"kitna din Baaki hai??" meera ne poocha

"kya??" ranvijay ne poocha

"sab jaanti hoon ranvijay, payal se tumhari shaadi sirf ek samjhauta thi us factory ko paane ke liye jiske liye tum jee Jaan se lage hue the" meera boli

" tumhe ye sab kaise.... "ranvijay hairan tha, ye sab to sirf uske aur payal ke beech tha

" agar tumhare Paas ashwin hai to mere Paas bhi kumar hai ranvijay "meera muskurate hue boli

Ranvijay chup raha

" champaign please "Meera ne order kiya

" ye sab kya hai meera?? "ranvijay ko ye sab acha nahi lag raha tha

" mera aur bhushan ka bhi relationship khatta chal raha hai ranvijay, lagta hai divorce hokar rahega"meera ne magarmachh ke aansu chalkaye

"meera ye sab mujhe kyun bata rahi ho" ranvijay ne poocha

"kyunki hum dono galti kar chuke hai life me, ab dono sab kuch theek kar sakte hai" meera boli

"sorry.... Meera mai..." ranvijay blank ho chuka tha sahi galat samajh me nahi a raha tha use

"saturn ko tumhare company ke saath poori tarah Dissolve kar doongi" meera ne aakhiri daanv khela

Ranvijay chup raha, yahi to wo chahta tha
Yahi to uska Sapna tha..
------------------------------------------------------------------
Kyle ya kailash ka flight time par to tha lekin fir bhi wo jald se jald apna kaam karke Jaana chahta tha

"kailash??" dadi ki awaz pehchaan gaya wo

"ji" bol baitha gaya dadi ke saamne. Kuch khane ka order dekar baitha gaya wo

"payal bohut choti thi jab wo hame mili thi kailash, accident ne meri beti ka suhag aur beti dono cheen liya tha" daadi boli

Kailash gaur se sun raha tha sab kuch

FLASHBACK
"beta sab theek ho jayega" dadi ne Ranjana ke sar par haath rakhte hue bola

Ranjana bejaan si ho gayi thi, jeene ke liye kuch nahi tha
Sab khatam ho gaya sab kuch

"mai taxi bulati hoon tu yahi baith. Kuch khane ka bhi intezam karti hoon" bol daadi chali gayi ranjana ko chodd kar


UWAA. UWAAA.....

Ek Awaz ne dhyan kheecha ranjana ka

Door ek bachhe ki rone ki awaz a rahi thi, leti hui thi bachchi

Ranjana ne dekha wahan ek bachhi leti hui thi

"are ye bachhi to ro rahi hai, kiska hai hai??" ranjana ne us bachchi ko uthaya aur idhar udhar dekhne lagi

"are kis...." bolte bolte ruk gayi ranjana
US bachchi ne jakad rakha tha ranjana ko

Bachhi je peeth par kuch der haath ferte hi Bachhi so gai

"are ranjana ye kiska bachha hai??" daadi jab kuch der baad aayi to soyi hui Bachhi ko ranjana je god me dekhte hue boli

"mujhe mila yahi se maa, ab se ye meri payal hai" ranjana boli

"nahi beta, uski mummy use dhoond rahi hogi, police ke paas chalte hai missing report likhate hai" daadi boli

"nahi maa, ye bachha mera hai sirf mera, aur agar aap mujhe isse juda karengi to mai apni Jaan de dungi" ranjana boli

PRESENT
"aur isi tarah payal ghar ka hissa van gayi, ranjana use lekar khush thi aur mai bhi, poore shahar ki Jaan thi ye ladki. Dekho anandpur me ab koi anand nahi hai beta. Kyunki payal nahi hai" daadi feeki muskurahat ke saath boli

"zahir hai payal ko maalum nahi hoga" kailash bola

Daadi ne apna sar hilaya

"batana hoga use" kailash bola

Daadi chup rahi

"mai chalta hoon Daadi mera next flight kuch hi der me hai" kailash bola
Uska bas chale to khud udd jaaye wahan se

Apne mobile se usne apne bhai ko phone kar sab kuch bata diya aur airport ki aur Jaane laga
Ek baar thitka Ur Daadi ki aur dekha usne
nahi payal ne apni beti hone ka farz nibha liya anandpur me ab uske life koi problem nahi hogi, kabhi nahi
 
Last edited:
Top