"WHAT?? ARE YOU OUT OF YOUR MIND??" ranvijay apni seat se uthkar chillaya
"yes or no??" Mrs sarita ki awaz shaant thi ranvijay ke chillana ke bawjood
"YOU...." ranvijay ne ek Nafrat bhari nazar daali apni maa par
"aise dekhne se mera faisla nahi badlega ranvijay" Mrs sarita boli
"I refuse" ranvijay bola
"to thik hai, mai 3 din ke baad shaam ko hi ye factory aur ye poori property Mr shivraj ko sell karungi" Mrs sarita boli
"I'll double whatever he pays" ranvijay bola
"I don't care, ya mera proposal Maan lo ya fir sab kuch shivraj ki aur jaate dekho" boli mrs sarita
"why are you doing this??" ranvijay ne poocha
"meri marzi Mr ranvijay, I'm trying to be a successful as you are" Mrs sarita boli
Ranvijay chup raha kaise hi.... Kaise bhi karke rokna hoga ye deal shivraj aur mrs sarita ke beech
"72 hrs hai tumhare Paas" Mrs sarita boli
"thik hai aapne us ladki ya uske family se baat ki??" ranvijay bola
"ladki ko manao tum, wo tum jaani kaise karna hai"mrs sarita boli
" what the hell, ye kya baat hui?? "ranvijay fir bola
" wo mujhe nahi pata, I'm getting late. Jaana chahiye mujhe "bol Mrs sarita uthkar chali gayi
Ranvijay ko phone kar mrs sarita ne bulaya tha meeting ke liye
Aur meeting me hi ranvijay ko apna faisla suna diya
" sorry beta iske alawa aur koi raasta nahi hai tujhe jaanwar se insan banane ka"khud hi man me sochti hui mrs sarita conference hall se bahar nikal gayi
72 hrs, itne kam Waqt par u
Yahi ladki mi thi Mrs sarita ko?? Damn
Apne Saath hue haadso ke baare me bataya nahi tha ranvijay ne
Darr tha kahi uski izzat ka faluda na nikal jaaye
Mrs sarita ja chuki thi, Waqt bilkul nahi tha
Jo karna tha jald se jald karna tha
----------------------------------------------------------------------
Girish chaturvedi apne garden me baithe hue paper padh rahe the
"sahab aapki bhanji aayi hai" ek naukar ne aakar bola
"koun?? Payal??" girish ne poocha to naukar ne Haan me sar hilaya
"uff wo ladki apni wo manhoos paanv fir is ghar par rakhegi" girish ne apni aankhen band karte hue kaha
"sahab kya kare??" naukar be poocha
"aane do, agli baar kuch bhi karke taal denge" Mr girish bole.
Payal ghar me ghus te hue ek chashma pehne hue ladka wheelchair se muskurate hue uske Paas aaya
"payal did" ladka payal ke Paas aakar bola
"are Baap re mera bhai kitna handsome lag rha hai" payal boli
"kyun jhoot bol rahi ho didi, itna apmana sehne je baad bhi sirf mera dil rakhne je liye a jaati ho aur in janwaro se gaaliyaan sunti ho" ladka bola
"shubham kitni baar bola hai, apne se badi ke baare me aise nahi bolte," payal ne shubham se kaha
Shubham has pada, payal ki aadat Bachpan se jaanta tha
Kuch bhi ho jaaye lekin apne sage sambandhiyon ko kuch nahi kahegi na unke baare me bura subegi
Waise aapko mamaji ne bataya ki sumedha didi ki shaadi ho rahi hai harshit ke saath
Payal chup rahi, harshit ke Naam ne uske seene me chupa Dard bahar a gaya
"ab tum is ghar me kam aaogi to acha hoga payal" ye payal ke maa I ki awaz thi
"maa payal didi ko maine bulaya tha" shubham bola
"to?? Ab tu faisla karega koun is ghar me honi chahiye koun nahi??" Mrs Shrivastav boli
"mai ja rahi hoon maami" payal Jaane je liye mudi
"waise payal teen din baad harshit ke Saath sagai hai sumedha ki, ranjana ko to bol diya socha tujhe bol doon" Mrs Shrivastav boli
Payal sar jhukakar ek baar shubham. Ki aur ek fiki muskaan dekar chali gayi
Shubham ne payal ki aankhon me Dard dekha. Lekin wo isme kuch nahi kar sakta tha
Wo bhi apna wheelchair ke saath apne kamre me chala gaya