• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance BEAUTY AND THE BEAST 2 (COMPLETED)

Karan_25

New Member
13
35
13
writing skills ke bare me kahne ke liye sabd nahi hai swaraj ji, aapke pahle ki stories ki tarah ye bhi dhamaka machayegi hi.....
keep writing,keep posting....
or aise hi pyari stories ham readers ko dete rahiyega.......



:congrats: for new story.......?
 

Swaraj

Well-Known Member
6,792
25,211
219
writing skills ke bare me kahne ke liye sabd nahi hai swaraj ji, aapke pahle ki stories ki tarah ye bhi dhamaka machayegi hi.....
keep writing,keep posting....
or aise hi pyari stories ham readers ko dete rahiyega.......



:congrats: for new story.......?
Thanks bhai
Aap logo ke support aur reviews ke bina mai kuch bhi nahi
Agar aap logo ne support nahi kiya hota to shayad mai badla likhne ke baad likhna chod deta
Aap log bas aise hi support karte rahiye aur isi tarah apna reviews dete rahiye, apna suggestion, apna nazariya aur characters ke baare me bhi batate rahiye
Thanks a lot once again
Saath rahiye
 

Swaraj

Well-Known Member
6,792
25,211
219
Ranvijay airport se nikalte hi use ek hoarding dikhai diya

"welcome to India Mr ranvijay vardhan"

Padhkar ranvijay seedha wahan gaya aur waise hi log usse milne lage aur hand shake karne lage

"kab tak pohunchenge factory" apni ghadi dekhte hue ranvijay ne poocha

"sir, aap tired ho gaye honge. Pehle hotel me rest karna chahenge??" ashwin ne poocha
Ashwin mathur jo vardhan group me hi kaam karta tha
Lekin use kuch mahine pehle yahan ki dekh rekh ke liye bheja gaya tha

"no ashwin, i want to see the factory right now" ranvijay bola

Ashwin ke Paas aur koi raasta nahi tha. Isliye usne driver ko isharo me factory ki aur chalne ko kaha

Gaadiyon ka kaafila seedha anandpur ki aur chal pada

"I think we are running late,Mr ashwin please thoda tez" bol ranvijay mobile me busy ho gaya

Tabhi achanak...

KREEEEEEEEEEEEENNNCHHHHHHHH

DHARRDDDDDDDDDD
----------------------------------------------------------------------
"aur kheer doon??" ranjana wahan par rakhi hui kheer ki aur badhne lagi

"bas bas maa, poori life ka quota aaj hi khatam karogi kya??" payal apna pet pakadte hue boli

"acha wo sab chod mai tujhse ek important baat karna chahti hoon" ranjana boli

Payal ne apni dadi ki aur dekha
Wahi ghisa pita raag
Shaadi sabki ho rahi hai..... Tu Shaadi khun nahi kar leti..... Hamare family me sirf tu hi kunwari hai
Wagairah wagairah

KNOCK KNOCK

Ranjana ki baaton me break lag gaya. Koi darwaza khatkhatane laga

Ranjana ne darwaza khola

"payal di payal di, Ali chacha....." ek naujwaan haamfte hue bola

Payal ne apni aankhon se poocha us naujwaan ko to wo Sirf ishare me raaste ki aur dikhata gaya

"please" naujwaan bola

"nahi jayegi payal kahin bhi, Baaki aur koi nahi hai poore shahar. Me samaj sevika?? har problem me meri bachi hi milti hai tum logo ko?? " ranjana gusse se fat padi us naujwaan ki aur

Wo ladka chupchap sar jhukaye khada raha ki tabhi

"chal, jaldi chal" payal boli aur apne scooty ki chaabi lekar nikal gayi

"he bhagwan ye ladki.... Payal ruk ja... Tune khana tak nahi khaya.... Uff ye Pagal ladki.." ranjana chillati rahi
Lekin uska sunne wala. Koi na tha
Dadi sab dekh rahi thi, usne baithe hue bas bhagwan ki moorti ki aur dekhkar apni aankhen band kar li

Scooty payal ne jahan khadi ki wahan kaafi bheed thi
Thode bohut chillane aur ladne ki awazein a rahi thi

Payan ne dekha ki ek buzurg apne ek palti hui thele ke Paas baitha hua hai aur uske ghutne cheel gaye hai

"Ali chacha??" payal ne apna helmet utarte hue us buzurg ke Paas jaate hue uske kandhe par haath rakhkar kaha

"are?? Payal beta?? Dekh mai tere ghar ke Paas hi a raha tha, tujhe aam pasand hai na?? Mai tere paas ye aam lene a raha tha. Lekin.." apne ujde hue thele ko dekhkar buzurg ki aankhen chalak uthi

Yahi to uski rozi roti thi

"aap fikr na kare chacha, mai sab thik kar doongi. Pehle Aap Ka ye zakhm par dressing lagani zaroori hai, chotu?? Chacha ko apne auto me lekar dressing karwa la" payal ne hukm diya

"lekin doctor...." chotu apna sar khujate hue bola

"Keh dena payal didi ne bheja hai" payal ke bolte hi chotu turant vridh ko sahara dekar auto ke Paas le chala

"allah tujh jaisi beti sabko de beta" halke se badbadakar vridh chotu ke saath chala gaya

Payal ab us bheed ke Paas gayi jahan ladai chal rahi thi

"kya ho raha hai" bolte hi wahan ke ladke chup ho gaye

"payal didi ye wahi kaafila hai jisne Ali chacha ka accident kiya" ek ladka bola

"wah?? Aur tum wahi accident me ghayal hue chacha ko hospital me dikhane ki bajay yahan lad rahe ho, great" taaliyan bajakar payal boli to wo ladka apni nazrein jhuka kar chup ho gaya

"dekho ladki we are ready to compensate, 20, 000 lo aur raasta chod do" ashwin bola

"20,000 se un vridh ke aansuon ka hisab kar rahe hai aap?? Unki Saara mehnat, ek aas, ek jazba jo roz wo karte hai usko khareedne chale hai aap??" payal boli

"dekho ladki..." ashwin ke bolte hi audi ka darwaza khula aur ranvijay bahar nikal kar aaya

"kitni der lagti hai ek mamooli si problem ko solve karne ke liye??" ranvijay bola

"oh, to ek se hua nahi to doosra a gaya" payal ke bolte hi sab zor zor se hasne lage

Ranvijay ne payal ki aur dekha, peele rang ki salwar kameez, ek mamooli ladki, na koi personality na koi presence. Total zero

"dekhiye miss hame ache se pata hai ki India me kya hota hai, kaise logo ko scam kiya Jaata Hai. Bas Gaadi ke Saamne a jao aur takrane ki acting karo aur fir usse paise aintho" ranvijay bola

"wtf?? Who the hell are you aur aisa kaise Keh sakte ho India ke baare me, Saare jahan se acha Hindustan hamara. Kyun iqbal" payal boli aur iqbal naam ke ladke ne zor se seenti maari
Fir se sab zor zor se hasne lage

Uncultured, uneducated, jaahil, gawar. Is do kaudi ki ladki ki to.....
Ranvijay ka paara Chadne laga

Ashwin ne ye notice kiya to fauran ranvijay ke Paas aaya

"sir.. Sir... Aap kyun aaye yahan par hum try kar rahe hai. Jald se jald solve kar lenge" ashwin bola

"haan Haan le jao, warna log kahenge ki India ke dhoop ne maar dala. Inhe" payal boli fir se thahakon ki goonj cha gayi

"hey you bloody cheap girl, who the hell do you think you are. Tumhe andaza nahi hai tum. Kisse ulajh rahi ho, is jaise ghatiya shahar me mai paanv bhi nahi rakhta agar zaroori nahi hoti" ranvijay ka BP high ho raha tha
Dawai abhi ke agar na liya to pata nahi kya karega wo

"oye payal didi hamare shahar ki shaan hai, unke baare me kuch nahi sunenge hum" ek aadmi bol utha

"aur nahi to kya, aap log aise dekh kya rahe ho in logo ka muh kaala karke inhe bhej do" ek aurat boli aur baakiyon ne iska samarthan kiya. Dheere dheere public ka gussa badne laga

"wo sab ki zaroorat nahi hai, maaro saalon ko payal didi je baare me ye sab bolne ki sochi kaise isne"

Ashwin samajh raha tha ki maamla ulajhta hi ja raha hai, agar jald kuch nahi kiya gaya to kahar barsegi unpar

"ek minute ek minute, mere baare me jo bola so bola is shahar ke baare me kya kaha aapne??" payal ne vyang bhare labz me yaad dilane ki koshish ki

"ghatiya shahar bola tha didi."iqbal ne yaad dilaya

"sonu... John." payal ke ishara karte hi unke gaadiyon ke Paas jaakar kuch ladkon ne unke tyres ki hawa nikalna shuru kar diya

Ashwin kuch nahi kar pa raha tha, unke Paas log hai. Lekin poora shahar is ladki ke taal ke naach raha hai. Poore shahar se bhidne ke liye log kaafi nahi hai

" ab dekho ye shahar kaise ghatiya bankar dikhati hai" payal boli aur ranvijay ke aankhon me aankhen daalkar dekhne lagi
 
Last edited:
Top