FLASHBACK
TV par meera ke success ka interview chal raha tha
Ranvijay ek kone se dekh raha tha, lekin uske aankhon se aansu rukne ka Naam nahi le rahe the
Tabhi kamre me dhruv ki entry hui aur uski aankhen bhi tv screen par gayi
"wow meera sachdev?? She's good" dhruv apne chair par baith kar Paani peete hue bola
"aapko to sab pata hai dhruv sir, fir bhi aap meera ki tareef kiye ja rahe hai??" ranvijay ab apne aap ko nahi rok pa raha tha
"itna sentiment kyun ranvijay??" dhruv ne poocha to Ranvijay rone laga
"oh samjha, lekin ranvijay kya rone se tum meera ko hara doge???" dhruv ne ranvijay ki aur bina dekhe bola
"m meera k k ko hara dena to impossible hai" ranvijay badi badi aankhon ke saath tukur tukur dhruv ki aur dekhte hue bola
"ranvijay vardhan nothing is possible in this world" dhruv bola
"lekin...." ranvijay kya bolta, wo to kuch samajh hi nahi pa raha tha
Meera sachdev ko harana??? Best young achievers award le gayi wo ladki aur next year bhi ye award confirmed hai
"lekin mai chahta hoon ki tum apna sapna poora karo ranvijay, ek scientist banna chahte the na tum??, I'll make sure you make us all proud" dhruv muskurate hue bola
"dhruv bhaiyaa possible hai?" ek shaant awaz ke saath ranvijay ne poocha
Sar jhuka hua aur aansuon se geela chehra dekha tha drhuv ne
"Haan mere kuch connections hai I'll get you to the topmost university" dhruv muskurate hue bola
"nahi sir, maine ek successful businessman, ek successful entrepreneur banne ki baat ki" ranvijay bola.
"lekin ranvijay why?? You can become a good scientist??" dhruv bola
"bhaiyya mera medical record dekh kar mujhe koi dhang ka role nahi diya jayega, wo aap ko bhi pata hai, aapka connection mujhe sirf ek junior scientist bana kar rakh degi" ranvijay bola
"so what do you want to do??" dhruv bola.
"I want to take revenge" ranvijay bola
Dhruv kuch nahi bola bas Muskuraya
"aapne bola tha sab possible hai sir" ranvijay bola apna chehra uthate hue
"lekin ranvijay isse tum ek insan se ek jaanwar ban jaoge meri tarah, Yash ki tarah"dhruv samjhaate hue bola
" mujhe manzoor hai bhaiyya, apne aap ko mitana bhi pade to khud ko mita dunga "ranvijay bola
Shayad Pehli baar bhaiyya bola tha ranvijay ne dhruv ko, pata chal gaya ki Ranvijay ko rokna na mumkin hai ab
"to sabse pehle yaad rakho, teen cheez chahiye ek business ke success ke liye" dhruv bola
"matlab??" ranvijay bola
"paisa power position, isse banegi tumhari buniyad, aur buniyad aisa banao ki ise hilana to door koi choo bhi na sake" dhruv bola
"thanks bhaiyya" ranvijay bola
"trust no one, and take your decisions with your brains, not with your heart, business me emotions ka koi role nahi hota" dhruv bola
Aur ranvijay ne apne guru ka kaha suna aur apne dimag me kaid kar diya
"aur teen bande apne under lo jo tumhara brahma vishnu maheshwar bane, ek jo tumhe contacts dega, business laayega, dossra jo tumhara sab kaam khud dekhega aur teesra jo sab ka vinash karega tumhare ishare par" dhruv bola
Ranvijay dhruv ke pair me gir gaya
"pata nahi bhaiyya mai kitna aage badh paunga, lekin Haan jis din mai sabko is business world se nikalkar bahar fenk dunga us din aapko guru dakshina dunga" ranvijay bola
"go ranvijay conquer the world, lekin business kya karoge" dhruv ne poocha
Ranvijay ko pata nahi tha kya business karega
Lekin use raasta dikai de diya tha
Dhruv samajh gaya ki Ranvijay ko koi idea nahi hai lekin use ye bhi pata tha ki Ranvijay kaise bhi ho apne mukaam par pohunch hi jayega
Vijay ek acha dost tha dhruv ka lekin use bataye bina drhuv ne ranvijay ko aise raaste par lakar khada kar diya tha ki isme ranvijay ka vinash hi hoga
Aur koi raasta nahi tha, agar dhruv nahi karta koi aur kar deta
Kyunki jab kisi ke sar me junoon ho kisi se badla lene ka to wo kaise bhi apna mukaam pa leta hai
......
"ranvijay... Ranvijay" payal ki awaz ne ranvijay ko past se wapas la diya
"kya kar rahi ho yahan, aaj hamari shaadi hai na" ranvijay ne paper se bina aankh harate bola
"tumne kya kiya mamaji ke saath" payal ne poocha
"maine kya kiya??" ranvijay ne poocha
"bano mat ranvijay, dekho ranvijay galti to harshit ki hai. Police use jo saza de wo sahi hai. Fir kyun uske family walo ko beech me lana??" payal boli
Ranvijay kuch nahi bola paper padhne me busy raha
"yani tum kuch nahi karoge" payal ne poocha
"nahi" ranvijay bola
"thik hai mai khud jaungi un sab ke Paas jo pareshan kar rahe mamaji ko" payal boli aur jaane lagi
"wait, Paul do it.." ranvijay ne Paul ki aur dekha aur ishara kiya
Paul Muskuraya aur phone se call karne laga
"thanks Paul" payal boli fir ranvijay ki aur dekhkar boli
"ranvijay, zaroori nahi ki hamare Saath jo log kare Hume bhi wahi karna chahiye, bhagwan Sab dekhta hai. Us par chod dena chahiye"
Aur muskurate hue chali gayi
Is baat ka waise asar zayada nahi hua ranvijay ke oopar
Wo waise hi paper padhta raha
------------------------------------------------------------------
"sir bhaiyya kahan gaye??" jai aur roma dono hospital pohunch chuke the
"bhaiyya??? Koun bhaiyya" doctor ne poocha
"sir wo raat me jo aaya tha toofani raat me" for jai ne ranvijay ka huliya bataya
"oh wo sahab?? Ranvijay vardhan aapke bhai hai??" doctor ka ravaiyya badalne laga
"wo sahab matlab??" roma ne poocha
"are vardhan parivar se rishta rakhte hai ranvijay ji, aur agar aap unke bhai hai tab to aapka bhi rutba waisa hi hoga, waise wo discharge ho gaye hai aur shayad ab tak pohunch gaye honge apne ghar, waise aapko pata nahi?? " doctor bole
"shayad busy the isliye inform nahi kiya unhone, anyways thanks doctor" bol jai roma ke saath chala gaya hospital se
Roma ke dil me kai sawal nikal ke a rahe the
"jai tumhare baare me t umne kuch nahi bataya, kya hai ye sab??" roma ne shant lakin seriously poocha
"kya hai ka kya matlab??" jai ne poocha
"abhi abhi doctor ne jo kaha, kya rishta hai tumhara ranvijay vardhan se??" roma ne fir poocha is baar awaz oonchi thi
"roma mai batane wala tha" jai bola
"batane wale the?? Mere emotion ke saath mere tumne khela jai?? Aur mai Pagal samajhti rahi ki papa ke ilaaj ke liye tumne kitni mushkil se paise ikathha kiya hoga, mai hi Pagal thi jai mai hi Pagal thi" roma ab rone lagi
"roma mai..." jai ne apna haath roma ke kandhe par rakha to roma ne jhatak diya
"jai vardhan aapke Saare paise chuka doongi mai, aur ab se hum alag rahenge, mai aaj hi apna Rehne ka intezam karti hoon" bol roma rote hue daud kar chali gayi aur jai dekhta raha majboori me