Sabrina jese hi ghar pahuchti hai toh miyaad use apne paas bula leta hai.
Miyaad - aree Sabrina beta, tu toh apne abbu ko jese bhool hi gayi hai. Idhar aa. Kuch der humse bhi mukhatib ho..
Sabrina miyaad ko dekhke Khushi se uske paas aati hai. Aur uske bagal me beth jaati hai.
Miyaad - kesi hai meri pyaari laado..
Sabrina - thik hu abbu, aap hi nahi dikhte ho aajkal. Pata nahi kaha busy rehte ho. Aur rasul aur rahil bhaijaan bhi nahi aate hai aajkal yaha. Lagta hai sab hume bhool gye hai..
Miyaad pyaar se Sabrina ke gaal khichta huye- aree esa nahi hai meri pyaari gudiya..
Woh toh abhi seher se bahar jo bhaijaan hotel banwa rahe hai ussi ke chakkar me time nhi mil rha hai. Tere dono bhai bhi usi me lage huye hai. Jese hi hotel taiyaar ho jayega. Hum sab wapis pehle ki tarah sath sath rahenge.
Sabrina miyaad ki baat pe bahut khush hoti hai aur usse galle lag jaati hai
Sabrina - sach abbu, fir toh pehle jese hu. Sab masti karte the wese hi Masti karenge.
Miyaad - haa meri pyaari gudiya..
Wese abhi tu kaha Jaa rhi hai...
Sabrina - woh dost ke yaha Jaa rhi hu. College ka kuch kaam reh gya hai. Aap araam kijiye abbu. Me thodi der me aati hu.
Sabrina ghar se nikalti hai aur sidhe market pahuchti hai aur kuch samaan leti hai fir sidhe Sruthi ke ghar ke liye nikalti hai.
Idhar sanju shaam ko gym se wapis laut ta hai paseene me tar-batar. Seema hall me bethi kuch kaam kr rhi hoti hai.
Seema - aaj teri gym badi jaldi ho gyi. Kya baat hai..
Sanju - aree maa, aaj sirf slouder ka workout tha isliye jaldi kr liya. Accha me nahane Jaa rha hu. Tu mere kapde almari se nikal dena.
Seema - kyu khud nikal nahi sakta..??
Ab baccha thode hi hai tu.
Sanju - fir mat kehna kapde kharaab kr diye.
Seema - accha accha baba, tu jaa me nikal dungi.
Fir sanju nahane chala jaata hai aur Seema aone kaam pe lag jaati hai.
Idhar Sabrina Sruthi ke ghar pahuchne wali hoti hai.
Sabrina - yaar yeh Kareem bhaijaan humesha mujhe hi fasa dete hai. Inke chakkar me abbu se jhut bolna pad rha hai Aur woh gussel Sruthi ke ghar jana pad rha hai. Pata nhi mujhe dekh ke kesa react karegi. Kahi Kareem bhai ka sara gussa mere pe nikal na de. Wese bhi badakti rehti h mujhpe jab bhi Kareem bhai ka naam leti hu uske samne. Lekin jaana toh padega. Aakhir waada jo kiya hai bhaijaan se.
Kuch hi der me Sabrina sruthi ke ghar pahuchti hai aur doorbell bajati hai. Seema jo apne kamre se nikal hi Rahi hoti hai, door bell ki awaaj sunke door kholti hai.
Sabrina - namaste aunty..
Sruthi ghar pe hai..?
Seema - namaste beta, andar hi hai. Par mene tumhe pehchana nahi ..??
Sabrina - woh me uski classmate hu. Kaafi din se college nahi aayi toh socha ki mil lu.
Seema - accha, woh upper hai apne kamre me. Jaao mil lo. Mujhe jara kaam hai market me...
Yeh kehte huye Seema bahar chali jaati hai.
Sabrina - ( kya baat hai, aunty ji toh kahi se bhi us Sruthi ki maa nahi lagti hai. Kaafi maintain Kiya hai lgta hai apne aap ko. Chalo Sruthi madam se mil leti hu. Bhaijaan ki jagah me hi gaaliya sun lungi.)
Sabrina fir upper Wale kamre ki taraf chali jati hai. Jese hi Sabrina upper Wale kamre me pahuchti hai aur door kholti hai toh dekhti hai ki ek hatta katta naujawaan sirf towel me khada hai. Uski pith Sabrina ki taraf hoti hai. Sabrina dekh ke ekdum stabdh ho jati hai. 6"2 height ka gora chitta muscular ladka sirf towel lapete huye almaari se apne kapde nikal rha tha.
Sanju - maa, meri t-shirt kaha hai jo mene nikali thi. Tu door pe khadi rahegi ya meri help bhi karegi.
Sabrina sanju ki awaaj sunke bhi nhi sun paati hai. Woh jese kuch der ke liye kahi kho si gyi thi. Sanju dusri taraf se kuch response na aata dekh mudta hai aur Sabrina ko dekh ke chauk jaata hai aur is hadbadi me uska towel gir jaata hai. Ab Sabrina ki najar sidhe sanju ne hathiyaar pe padti hai aur woh dekh ke ghabra jaati hai aur waha se nikal leti hai. Sanju bhi apna towel uthata hai aur kapde pehnne lag jaata hai.
Sanju kapde pehnte huye -( Abe kon ladki thi yeh aur kaha se aayi thi. Muft me mere najaare le ke chali gyi )
Sabrina ghabra ke turant niche jaati hai aur jese hi door kholti hai bahar jane ke liye Seema uske samne khadi mil jaati hai.
Seema - aree kya hua beta tu itni ghabrayi kyu hai. Kya koi saanp dekh liya Kya tune...
Sabrina - ( saanp nahi aunty, ichhadaari naag dekh liya mene aapke ghar pe ) nahi nahi aunty esi baat nahi hai woh mujhe upper kamre samaj nahi aarhe the isliye me wapis niche aagyi ..
Seema - aree beta isme samajhne ki kya jarurat hai. Upper do hi toh kamre hai ek me Sruthi rehti hai dusre me sanju.
Chal me tujhe Sruthi se milwati hu.
Seema Sabrina ka haath pakadti hai aur Sruthi ke kamre ki taraf le jati hai.
Sruthi apne kitabo me ghusi Hui hoti hai. Jese hi door se kisi ke aane ki awaaj use sunai deti hai toh woh samne dekhti hai toh samne Seema aur Sabrina khadi hote hai.
Seema - Sruthi dekh teri dost aayi hai tujhse milne ke liye..
Sruthi - Sabrina kesi hai tu. Aur yaha kab aayi..
Sabrina ka dhyaan abhi bhi wahi hai..
Sruthi - aree kya hua kaha khoyi hai. Kya hua...
Sabrina Sruthi ki awaaz sunke - kuc...kuch nahi, mujhe kya hone wala hai. Me toh bas ese hi tere kheriyat mujhne aayi thi.
Seema - tum dono betho me tumhare liye kuch le ke aati hu.
Seema yeh kehke niche chali jaati hai..
Sabrina - accha Sruthi tum ab kesi ho...??
Sruthi - me toh thik hu. Tu yeh bta ki tu yaha kese. Aur Kareem kesa hai ab..??
Sabrina - woh Kareem bhaijaan ne kaha tha ki ek baar Sruthi se mil aa. Pta nahi kesi hogi. Woh jabse hosh me aaye hai bas tumhare baare me hi puch rhe hai.
Sruthi - me toh thik hi hu. Kareem ke baare me soch ke thodi pareshan thi. Bechare ko un kamino ne bahut maara tha. Woh toh kismat acchi thi ki hum Bach gye.
Sabrina - woh toh hai Sruthi, san upper Wale ki meherbani hai. Accha tu ek baar Kareem bhai se mil le na please. Unhe teri bahut fikar ho rhi hai. Baar baar mujhse puchte rehte hai.
Sruthi - thik hai mil lungi. Mujhe bhi usse Milne ka bahut Mann kar rha hai par yeh sab jo aajkal media me chal rha hai is wajah se nahi jaa rhi hu. Yeh media wale pata nhi kis baat ka kya matlab nikale.
Sabrina - accha me chalti hu. Abhi Ghar pe abbu bhi aaye hai toh time se Jana padega..
Yeh kehte huye Sabrina Sruthi ko bye karti hai aur kamre se nikal jaati hai. Sruthi jese kamre se bahar nikalti hai samne sanju mil jaata hai. Sanju ko dekh ke use thodi der wala wakiya yaad aata hai aur woh hadbadi me jaane lgti hai toh uska mobile wahi gir jata hai.
Sanju mobile uthate huye - aree madam aapka mobile yahi reh gya...
Saanju ki awaaj sunke Sabrina mudti hai aur wapis aati hai phone lene ke liye.
Sanju - ahha ese nahi, pehle sorry boliye..
Sabrina - sorry kis baat ke liye...??
Sanju - accha yeh batana padega aapko. Jo aapne mujhe birthday suit me dekha uske liye. Madamji ese Bina knock kiye kisi ne kamre me nahi jaate samajhi.
Sabirna - mujhe thode hi pta tha ki woh aapka kamra hai. Me toh galti se aagyi thi aur ab aap hi birthday suit me ghumoge toh isme meri galti thode hi hai.
Sanju - accha ji, toh isme bhi meri galti hai. Aap ladkiyo ka bhi na..
Sabrina - humara kya...??
Sanju - kuch nahi madam ji. Lijiye apna phone.
Sanju Sabrina ko phone de deta hai aur Sabrina bhi phone le leti hai aur smile karte huye chali jaati hai. Sanju mujhe muskurata hua Sruthi ke kamre me chala jaata hai.
Sanju jaata hai aur sidhe Sruthi ke bed me let jaata hai. Sruthi sanju ke dekh ke books side me rakhti hai.
Sruthi - aree bhaiya thik se betho. Kitaabe fat jayegi.
Sanju kitaabe dusri taraf krte huye - aree tu kitaabe chor na. Yeh bta yeh kon aayi thi abhi...
Sruthi aankh dikhate huye - meri college friend hai. Kyu, kyu puch rhe ho.
Sanju - aree puch nahi sakta kya..??
Wese kaafi Sundar hai. Meri setting Kara de isse please..
Sruthi kidte huye - ruko abhi karwati hu.
Yeh kehte huye Sruthi takiya uthati hai aur sanju ko maarne lgti hai. Sanju bhi dusra takiya uthata hai aur masti me maarne lgta hai. Dono me masti bhari pillow fight chalti hai.
Sruthi - abhi mummy ko batati hu. Fir dekhna woh karwayengi tumhari setting..
Sanju haste huye - mummy se darta hu kya me. Bol dena...
Sruthi - accha ruko abhi..
Mummyyy....
Sanju - aye pagal...
Chup kar. Faltu me pitwayegi kya maa se. Me toh mazzak kr rha tha
Sruthi - ohho abhi toh dialogue maar rhe the. Ab kya hua. Nikal gyi heropanti..
Fir sanju aur Sruthi hasne lgte hai aur thodi der me seema bhi chai aur nashta le ke aajaati hai.
Seema - aree woh ladki kaha gyi...??
Sruthi masti me sanju ko cherte huye - aree maa, woh bhaiya ne use kaha ki mujhse shadi karegi toh Darke bhaag gyi..
Sanju - accha mene kaha. Ruk batata hu..
Yeh kehte huye sanju sruthi ko maarne lgta hai masti me .
Seema bhi mazze lete huye - accha wese ladki toh mujhe bhi pasand hai. Tu kahe toh tere papa se karu.
is baat pe Sruthi hasne lgti hai aur sanju kud jaata hai.
Sanju - kya maa tu bhi..,
Seema haste huye - accha accha bas bhi Karu. Jab dekho masti bas. Accha chalo chai le lo.
Dursi taraf taiyub apni party office me betha hota hai. Aaj party ki bahut badi meeting hai aur aane wale chunaao me jise kya mantri pad milta hai is vishay me charcha hone wali hai. Taiyub bahut samay se tourism ministry ke liye haath paao maar rha hai par har baar mauka haath se nikal jaata hai.
Kuch hi der me meeting suru jo jaati hai. Sab apne apne chunaao chetra aur mantri pad ke vishay me baat kr rhe the.
Party president (jafarudin rehmaani) - sab shant ho jaiye. Dekhiye sabke chunaao chetra nischit ho gye hai aur agar is baar bhi humari party Jeet ti hai toh aane waale mantri mandal me badlaav honge. Toh mera sabhi se anurodh hai ki is chunaao pe apni seats pakki kare aur party ko safal banaye..
Jafarudin rehmaani is party ke party president hai aur kaafi manjhe huye neta hai. Jabse inhone party ki cammand sambhali hai. Tabse party choti moti chetriye party na rehkar rastriye party banke ubhari hai.
Beherhaal Party meeting kaafi lambi chalti hai. Sabhi neta apni baate rkhte hai. Taiyub bhi apni baate rkhta hai. Meeting khatam hone ke baad party president taiyub ko apne paas bulata hai.
J rehmaani - dekho taiyub is baar tumhara joor tumhare chetra par bahut accha hai aur jo tumne Brijwa wale case me kaam kiya hai usse party ko kaafi fayda hua hai.
Taiyub - yeh toh mera farz hai president sahab par me yeh kehna chahta hu ki agar is baar bhi humari party Jeet ti hai toh mujhe tourism ministry chahiye hogi. Iske liye mene aapse Kai baar baat kr chuka hu
Rehmaani taiyub ki Peet thapthapate huye - areee taiyub tum chinta kyu karte ho. Party ko jeetne ho is baar. Tum party ka khyaal rkho party tumhara khyaal rakhegi. Wese is baar ka rate card kafi high ja sakta hai. Toh intjaam krke rkhna. Baaki me sambhal lunga.
Taiyub - uski chinta nahi hai president ji, woh sab ho jayega. Lekin yeh ministry mujhe hi milni chahiye.
Rehmaani - woh ho jayega. Meri jabaan hai. Ek kaam karo tum aaj hi Goa ke liye nikalo. Waha D'Souza sahab tumhe sab samjha denge. Baaki me sambhal lunga.
Rehmaani taiyub ko kuch files deta hai aur fir chala jaata hai. Taiyub apne driver ko gaadi nikalne ke liye kehta hai fir kuch der me taiyub ghar pahuch jaata hai.
heena - kya baat hai ji, aaj itni jaldi aap kese aagye...??
Taiyub - woh mujhe Goa jaana hai abhi party ke kaam se. Tum mera bag pack krdo. Mujhe abhi nikalna padega.
Heena - ji abhi pack kar deti hu.
Heena kuch hi der me taiyub ka bags pack kr deti hai. Aur taiyub Goa ke liye nikal padta hai.
Agle din Sabrina taiyub ko dekhne hospital jaati hai.
Sabrina - lijiye bhaijaan, yeh badi ammi ne aapke liye bijwaya hai.
Kareem - aree yeh sab chor aur yeh bta jo kaam tujhe bola tha woh kiya ya nahi, gayi thi Sruthi ke yaha...?
Kareem ke itna bolne par sruthi ko sanju wala scene yaad aajata hai aur woh thodi der ke liye stabdh ho jaati hai.
Kareem - aree Sabrina ki bacchi. Kya hua bolna, gayi thi ya nhi..??
Kareem ki awaaz sunke Sabrina hosh me aati hai aur jawaab deti hai - ha, haa gayi toh thi. Aree bhaijaan, sruthi toh mast hai. Dekh ke esa lagta hi nahi ki uske saath kuch din pehle esa kuch hua bhi tha..
Kareem - woh toh hogi hi na. Sruthi hai bhi toh bahut himmat wali. Itne gundo me akeli fasi hone ke baad bhi usne himmat nahi haari thi. Aur ek baar bhi un kutte se nahi darri..
Sabrina - kya baat hai bhaijaan, Sruthi bhabhi ki taarif ka bahana chahiye tumhe bas. Wese woh bhi tumhare baare me kaafi puch rhi thi. Lagta hai uske dil me bhi ab tumhare liye kuch kuch hone lga hai.
Sabrina ki baat sunke Kareem ka chehra laal ho jaata hai. Dono baat kr hi rhe hote hai ki kuch hi der me Sruthi waha pahuch jaati hai.
Sruthi - kya baat hai dono bhai behen kaafi has rahe ho. Mujhe lga tha ki yeh janaab ko dard se ro rhe honge par yaha toh kuch aur hi chal rha hai.
Sabrina - aree 100 saal jiyogi Sruthi abhi hum tumhari hi baat kr rhe the.
Sruthi - woh toh mujhe pta hi hai. In mahashay ki haddiya tuti padi hai. Hath per me pluster lga hua hai fir bhi baaz nahi aarhe hai.
Kareem sruthi ko dekh ke Khushi ke maare uthne ki koshish krta hai par uth nahi pata. Sabrina use bethati hai.
Sruthi - aree araam se, haddiya judi nahi hai tumhari abhi jo uthne ki koshish kr rhe ho.
Kareem - Sruthi tum yaha I mean kesi ho tum..
Sruthi - me toh thik hi hu tumhari dua se. Tum batao kab katne wala hai yeh pluster tumhara..
Kareem - jald hi kat jayega. Shayad 2 -4 din me.
Sabrina dono ko acche se baat krta hua dekhti hai aur mann hi mann khush hoti hai aur sochti hai ki indono ko akele thoda waqt dena chahiye. Isliye dawaiyo ka bahana banake bahar chali jaati hai.
Sabrina - aap dono baate kro. Me Kareem bhai ki dawaiya le ke aati hu.
Sabrina ke jaane ke baad Sruthi Kareem ke bagal me beth jaati hai. Aur use dekhne lgti hai.
Sruthi - kyu janaab, ab pyaar ka bhoot utar gya ya abhi bhi baaki hai.
Kareem haste huye - yeh toh jaan ke saath hi jayega. Tum batao, tum toh thik ho na. Aaj bade pyaar se baat kr rhi ho warna muh me humesha goliya bhi bhari hot i hai mere liye.
Sruthi - ab kya goliya chalao. Wese bhi itne tute fute toh pade ho. Yeh tumhare liye kuch fruits laai thi. Khaa lena..
Kareem - aree Sruthi sun na..
Woh me keh rha tha ki us din wali baat toh yaad hai na .
Sruthi - konsi baat...??
Kareem - woh dosti wali...
Sruthi - bas dosti, thik hai na...
Kareem - teri dosti hi mil jaye mujhe. Woh hi bahut hai...
Sruthi - pehle toh majnu bana firta tha ab uska kya...
Kareem - me toh Tera majnu humesha hi rahunga. Bas tere haa bolne ki der hai. Tab tak friend zone me bhi khush hi rahunga.
Sruthi - thik hai, friend cum majnu..
Apna khyaal rakhiyo aur jaldi recover ho jana. College me wait krunga tera...
Sruthi hasti hui kehti hai aur chali jaati hai. Kareem bhi bahut khush hota hai. Yeh pehli baar tha ki Sruthi ne usse ese baat ki thi warna woh humesha hi Sruthi ke liye college ka Gunda hi tha.
Dusri taraf taiyub ke jaane ke baad ghar pe bahut Shanti thi. Miyaad bhi subah subah nikal gya tha naye construction ki site dekhne ke liye. Heena ghar pe akeli tv dekh rhi thi.
Heena - ( yeh tv me bhi aajkal kuch khaas nahi aata. Kareem ke abbu bhi akele chale gye Goa. Mujhe toh kabhi saath le ke jaate hi nahi hai. )
Heena tv dekhte dekhte kuch soch Rahi hoti hai ki tabhi koi piche se aake uski aankhe band kr deta hai aur gaalo me chummi leta hai. Heena thodi ghabra jaati hai par fir kehti hai.
Heena - aree chor mujhe. Ghar khula hai. Taiyub sahab gaye nahi ki tu muh utha ke wapis aagya...
Dusri taraf se - aree meri jaan issi mauka ka toh mujhe intjaar rehta hai ki kab bhaijaan jaaye aur mujhe meri pyaari bhabhi Jaan ki sewa karne ko mile ..