BEGUNAAH
Update - 03
Dusre din avinash taiyaar ho kar apne kamre se baahar nikla aur darwaze par lock laga kar seedhiyo se niche aa gaya. Abhi wo gate ke paas hi pahucha tha ki pichhe se uske makaan maalik mahesh ki awaaz uske kaano me padi aur use ruk jana pada. Halaaki is wakt use kisi ke dwara awaaz de kar rok dena bilkul bhi pasand nahi aaya tha magar naya naya tha yaha is liye wo nahi chaahta tha ki uske kisi galat bartaav se fauran hi use yaha se kamra khaali kar ke jana pade. Kyo ki itna jaldi use kahi par bhi kamra milne wala nahi tha.
"Maaf karna avinash beta." Peechhe se aate huye mahesh ne khed bhare bhaav se kaha____"Tum kahi ja rahe the to mujhe is tarah tumhe rokna nahi chahiye tha magar roka is liye ki main chaahta hu ki subah ki chaay to kam se kam mere sath pite jaao. Dekho beta tumhe jo achha lage wo karo magar yaha ho to kahi na kahi insaan ko apni insaaniyat ka bhi khayaal rakhna chahiye. Khane pine ke maamle ko to tumne kal hi bata diya tha ki tumhe baahar ka hi pasand hai magar ek wakt ki chaay agar tum apne is chacha ke sath pi loge to mujhe bhi achha lagega."
"Ji shukriya." Avinash ne beman se kaha aur uske pichhe andar ki taraf aa gaya. Andar jo chhota sa hall tha wahi par rakhi chairs me se ek par mahesh ne avinash ko baithne ka ishara kiya aur khud bhi ek dusri chair par baith gaya.
Kuch hi der me mahesh ki dusri biwi gayatri andar kitchen se aayi aur usne un dono ko chaay di. Chaay ki do teen chuskiyo tak sabke bich khamoshi hi rahi. Avinash to khud kuch bolne wala nahi tha jabki mahesh uske chehre ki taraf dekhne ke baad kuch kahne ka man banaya.
"Waise avinash beta." Mahesh ne badi shaalinta aur pyar se kaha_____"Agar tum chaaho to dono wakt ka khana yahi kha sakte ho. Dekho kya hai ki ek to baahar ka khana sehat ke liye thik nahi hota aur dusre baahar ke khane me ghar jaisa swaad aur aanand bhi nahi milta. To tum jo paisa baahar ke khane par dete ho wo hame diye jana. Ye samajh lo ki ye bhi ek dhaba hi hai. Dekho main aisa is liye kah raha hu ki main tumhe apne bete ki tarah samajhta hu. Bhale hi tum abhi naye naye yaha aaye ho aur ham tumhare bare me zyada kuch nahi jante magar jaan pahchaan ka kya hai wo to hoti hi rahegi magar jo zarurat ki cheeze hain aur sehat ke liye achhi hain uske bare me baat karna galat to nahi hai na.?"
"Aap bewajah takalluf kar rahe hain chacha ji." Avinash ne khaali cup ek taraf rakhne ke baad kaha____"Maine aapko pahle hi bata diya hai ki mujhe baahar ka hi khana pasand hai, fir chaahe wo jaisa bhi ho. Khair main samajh sakta hu ki aap ye sab mere achhe ke liye aur meri achhi sehat ke liye hi kah rahe hain magar jis cheez ke liye mera zameer hi ijazat nahi deta wo main kaise kar sakta hu.? Aapne mere liye itna kuch socha uske liye aapka bahut bahut shukriya magar plz kisi bhi baat ke liye aap mujhe majbur mat kijiye. Main aapke yaha ek kirayedaar hu to aap mujhse usi hisaab se talluk rakhiye. Kisi prakaar ka rishta bana kar moh badhane ki koi zarurat nahi hai. Aapko meri ye baate zara bhi pasand nahi aayengi ye main jaanta hu magar ye bhi jaan lijiye ki main aisa hi hu. Main kisi ke dil ko thes nahi pahuchana chaahta. Main bas ye chaahta hu ki koi mujh par daya na dikhaye aur na hi mujhse koi matlab rakhe....achha chalta hu ab."
Avinash kya kya kah gaya tha is bare me mahesh aur uski biwi gayatri ko bhi samajh nahi aaya tha. Wo dono to bas aankhe aur muh faade hairat se uski taraf dekhte rah gaye the. Hosh tab aaya jab avinash waha se chala gaya tha.
"Kaisa ajeeb insaan hai ye.?" Mahesh ne apni biwi ki taraf dekhte huye hairaani se kaha____"Kya maine kuch galat kah diya tha use.?"
"Aapne kuch bhi galat nahi kaha." Gayatri ne zara teekhe lahje se kaha____"Magar shayad use hamare prem byohaar ki koi zarurat nahi hai. Dekha nahi kya aapne...kaise besharmo ki tarah anaap shanaap bolta ja raha tha. Bhalaayi ka to zamana hi nahi raha. Kaise kaise log hain duniya me.?"
Mahesh me apni biwi ki baato ka koi jawaab nahi diya balki wo to abhi bhi khamoshi se apne kaano me goonjti avinaash ki baato ko mahsus kar raha tha.
Udhar avinash ghar se nikalne ke baad sadak par paidal hi chalne laga tha. Kafi door chalne ke baad jab wo main sadak par aaya to use ek auto mil gaya. Aurto me baith kar wo us jagah pahucha jaha par wo pahle kaam karta tha.
Factory ka maalik koi pachaas ke upar ki umar ka tha. Factory me auto parts ko saste daamo me khareed kar laya jata tha aur jo parts sahi hote unhe repair karke aur badhiya se chamka kar waapas local market me bech diya jata tha. Avinash yaha par mechanic tha. Paanch maheene pahle wo yaha par kaam karne aaya tha. Kuch hi dino me wo apne kaam se sabko prabhaavit kiya tha. Uske kaam karne ki speed aur baariki kafi achhi thi. Khair teen maheene tak to thik thaak raha magar do maheene pahle use police dwara jail me band kar diya gaya tha. Jiska vivran upar bataya ja chuka hai.
Avinash jab factory ke andar pahucha to apne sheth ko is taraf hi aate dekh wo apni jagah par ruk gaya. Factory ke baaki workers avinash ko dekh kar hairaan bhi the aur khush bhi. Haalaki kisi bhi workers se wo zyada baat nahi karta tha magar haan aisa bhi nahi tha ki unse uske kharaab taallukaat the.
Sheth ki nazar jaise hi avinash par padi to wo bhi apni jagah par ruk gaya. Mota thulthul sa aadmi tha wo. Kaale kalute maathe par teen dhaariyo wala safed chandan laga rakha tha usne. Mote jism par safed libaas aur gale me lambi si mala. Sir par ek bhi baal nahi. Jaise ujde chaman ka wo ek udaahran ho.
"Are tum idhar kab aaya saayi.?" Sheth uski taraf dekh kar bola___"Pata chala ki tumko police pakad kar le gayi thi. Are tumne kaun sa lafda kiya tha saayi ki tumere ko police pakad ke le gayi thi.?"
"Kya aapko lagta hai sheth.?" Avinash ne thoda narm lahje me kaha____"Ki maine koi lafda kiya hoga. Wo kya hai na sheth jiske aage pichhe koi nahi hota na use ye duniya wale aise hi thokaro par rakhti hai."
"Aree baba tum fir se na apna dukhda rone lag jana." Sheth bol pada____"Tum achhi tarah janta saayi ki ham jab bhi kisi ka dukhda sunta to mere ko rona aa jata. Bhool ja baba...aur ja kaam pe lag ja."
Sheth ki baat sun kar avinash ke chehre par raahat ke bhaav ubhre aur wo apni jagah par ja kar kaam karne laga. Sheth ne uski taraf ek nazar dekha aur bahar ki taraf chala gaya. Sheth ke jane ke baad workers dheele pad gaye aur kuch to avinash se uske jail jane ke bare me puchne lage jiska jawaab usne yahi diya ki use bewajah fasaya gaya tha.
<>•<>•<>
Inspector dushyant ne apne muh lage hawaldaar ki taraf dekha to uska chehra latka hua paya. Ye dekh kar wo chaunka aur fir usse puch baitha____"Kya hua pyare.?"
"Sahab ji." Bhanu ne thaki si awaaz me kaha___"Har jagah use dhundha magar wo jane kaha gadhe ke seeng ki tarah gayab ho gaya hai."
"Koi baat nahi pyare." Dushyant ne kaha____"Thoda rest kar lo uske baad fir se talaash karna use."
"Ek baat kahu sahab ji.?" Bhanu ne khaas bhaav se kaha____"Bura to nahi manege na.?"
"Kaho kya kahna chaahte ho.?" Dushyant ne bina uski taraf dekhe hi kaha.
"Kahi aisa to nahi." Bhanu ne maano rahasyamayi andaaz se kaha_____"Ham bewajah hi ye sochne lage hain ki usne sach me kuch nahi kiya tha aur use bewajah hi saza mili.? Jabki usne wo sab sach me hi kiya raha ho aur kaboola is liye nahi ki use bhi pata tha ki uske us apraadh ke liye maut ki saza to use milegi nahi. Is liye police ka dimaag shuru se hi ghumane ka irada banaye huye raha wo aur ab ki situation ke anusaar wo apne us irade me kamyaab bhi hua lag raha hai."
"Chalo maan liya pyare." Inspector ne ek cigarette jalane ke baad kaha_____"Magar ye bataao ki use ye sab karne ki bhala kya zarurat thi.? Kahne ka matlab ye ki use apne apraadh ko na kabool kar ke last me hamara dimaag ghumane ki kya zarurat thi.? Hamse bhala uski aisi kya dushmani ho sakti hai jiske liye wo ye sab karta.? Uske dushman to mrs babita aur uski bahu huyi na jinhone use uske anusaar use hamare supurd karke kanunan saza dilwaayi.?"
Hawaldaar bhanu singh ko turant kuch samajh na aaya ki wo apne chahete officer ko kya jawaab de.? Dimaag to uska maano kaam hi nahi kar raha tha. Shuru me jab usne is bare me apne aala officer se shak zaahir kiya tha tab use kahi na kahi lag raha tha ki daal me kuch kala hai magar ab khud uska dimaag kund ho chuka tha.
"Dekho pyare." Inspector uske chehre ke bhaavo ko read karte huye kaha_____"Case to ab band hai magar iske baavjud jo pench hame samajh me aaye usne sirf hame uljhaya hai. Ham sirf is liye isme interest le rahe hain kyo ki mujrim ne apna jurm kabool nahi kiya. Agar is baat ko bhool jaye to fir isme kuch nahi rah jata. Bas yahi kaha jayega ki kirayedaar ne wo sab kiya aur makaan maalkin ne use range hatho pakad liya. Uske baad use police ke hawale kar diya. Ye ek normal aur swabhaavik prakriya hai."
"To fir bhool jaiye sahab ji." Hawaldaar bhaanu ne tapaak se kaha____"Haan sahab ji bhool jaiye us pench ko. Hamara kaam tha mujrim ko pakad kar use saza dilana aur wo ham kar chuke hain. Ab kyo is jhamele ko le kar baithe hain ham.?"
"Tum to pareshan ho gaye lagte ho pyare." Inspector ne haste huye kaha_____"Ye sahi hai ki mujrim ko pakad kar use kanunan saza de di gayi aur saza ke baad wo bari bhi ho gaya magar ye sawaal to bana hi rahega na ki mujrim ne apna jurm kyo kabool nahi kiya.? Kya aisa hota hai ki koi jurm kare aur fir police dwara pakda jane par wo apna jurm na kabool kare.? Dusri baat kayi cases me kisi insaan ko adaalat me tab bhi saza ho jati hai jabki usne koi apraadh nahi kiya hota...kyo ki us insaan ke paas apni begunaahi ka koi saboot nahi hota. Jabki ye maamla aisa nahi tha aur na hi iska mujrim aisa tha. Yaha sawaal hai ki agar mujrim ne apna jurm kabool nahi kiya to uske upar ilzaam aaya kaise.? Dusri baat agar mrs babita aur uski bahu apni jagah sach hain to wo kaun tha jo waisi waardaat ko anjaam de kar waha se gayab ho gaya tha.?"
Pahle se hi chakar ghinni bana hua hawaldaar ka dimaag maano inspector in baato se aur bhi chakra gaya. Usne dayneeya bhaav se dushyant ki taraf dekha jaise kah raha ho ki bas karo prabhu ab kya paagal kar doge mujhe.?
"Uski talaash jaari rakho pyare." Inspector ne gahri saans lete huye kaha_____"Koi case to hai nahi is liye isi maamle me hi apna sir khapate hain."
"Thik hai sahab ji." Hawaldaar ne kaha aur salute thok kar waha se champat ho gaya.
<>•<>•<>
Do mahine baad.!
Inspector dushyant varma kisi kaam se kahi baahar gaya hua tha. Waapsi me usne socha ki apne ek dost se bhi milta chalu. Uska dost Yaswant agnihotri isi ilake ke ek thane me police me SI tha.
In do mahino me inspector dushyant avinash ko jaise bhool hi gaya tha. Pichhle ek mahine tak wo uske bare me sochta raha tha aur hawaldaar bhanu singh se uski talaash bhi karwata raha tha magar hairaani ki baat thi ki avinash ko wah khoj nahi paya tha. Apne muh bole hawaldaar ke hi zor dene par wah is baat ko bhi dimaag se jhatak chuka tha ki avinash ne apna jurm kyo nahi kabool kiya tha.? Ek tarah se ye uske liye mystery jaisi baat ho gai thi magar bhanu ke baar baar zor dene par usne bhi soch liya tha ki bekaar me kyo wo is baat par apna sir khapa raha hai. Avinash ke na milne par usne yahi socha ki mrs babita ke nikale jane par shayad usne ye state hi chhod diya hoga.
Inspector dushyant ne apne dost ke thane ke saamne apni police gipsy ko roka aur fir paidal chalta hua thane ke andar chala gaya. Usne phone par hi dost se baat ki thi aur yaswant ne kaha tha ki wo thane me hi milega. Thane ke andar kuch shipaahi nazar aaye jinhone uske jism me three star lagi wardi ko dekh kar salute kiya. Dushyant ke puchne par unme se ek ne andar right side ishara kiya.
Dushyant abhi us taraf badha hi tha ki dusri side se kisi ke chillane ki awaaz aai. Awaaz sun kar use samajhte der na lagi ki yaswant kisi mujrim ki dhunaai kar raha hai andar. Khair wo kuch pal ruk kar yaswant ki desk ke paas rakhi ek chair par baith gaya aur yaswant ke aane ka wait karne laga.
Kuch der me jab yaswant aaya to dushyant ne dekha ki uski wardi paseene se bheegi huyi thi aur saamne se wardi ke teen button khule huye the aur sath hi wo aise haaf raha tha jaise meelo bhaag kar aaya ho. Dushyant use is haal me dekh kar muskuraya.
"College me jitni maar tune khaayi thi pyare." Dushyant ne uski taraf dekhte huye muskura kar kaha_____"Us sabka hisaab mujrimo se le raha hai....waah bahut khoob."
"Wo sab chhod." Yaswant apni wardi ko durust karte huye chair par baithe hi bola_____"Ye bata kya lega thanda ya garam.?"
"Main to kuch bhi le luga pyare." Dushyant ne muskurate huye kaha_____"Magar tu zarur apne liye thanda mangwa le. Kyo ki abhi tujhe usi ki zarurat hai. By the way aisa kaun sa mujrim tha andar jisne teri aisi haalat kar di.?"
"Mat poochh yaar." Yaswant ne bura sa muh banate huye kaha_____"Sale ko kal se kapdo ki tarah koot koot kar dho raha hu magar haramkhor ek hi raag alaapta ja raha hai ki usne kuch nahi kiya."
"Aree pakde jane par har mujrim yahi kahta hai." Dushyant ne kaha_____"Waise kiya kya hai usne.?"
"Are yaar jiske ghar me kiraye se rahta tha." Yaswant ne kaha_____"Usi ke ghar me chori ki aur apne makaan maalik ki beti ki ijjat lootne ki bhi koshish ki. Wo to shukar tha ki beti ne cheekhna chillana shuru kar diya warna isne to kaand hi kar dena tha."
Yaswant ki ye baate sun kar dushyant ekdam se chaunka. Mano mastishk me badi tezi se jhanaka hua aur ek naam maano visfot ke sath goonja....Avinash.
"Chal dikha mujhe." Dushyant apni chair se ek jhatke me uthte huye bola_____"Main dekhna chaahta hu use."
"Aree kya hua.?" Dushyant ke haav bhaav dekh kar yaswant hadbadate huye chair se utha, bola____"Tu ekdam se use dekhne ki baat kyo kar raha hai.? Kya tu jaanta hai use.?"
"Bakwas mat kar yaswant." Dushyant ne us taraf badhte huye kaha jidhar se us wakt use chillane ki awaaz sunaayi di thi, bola____"Pahle dekhne de mujhe."
Dushyant ki baat par yaswant kuch bol na saka. Ye alag baat thi ki wo bolna bahut kuch chaahta tha. Khair thodi hi der me dushyant aur yaswant us lockup ke paas pahuch gaye jiske andar ek shakhs lockup ke beecho bich rassiyo me jhool raha tha. Uske kandho par ek mota sa danda tha aur usi dande me uske dono hath agal bagal se bandhe huye the aur rassi ka ek chhor upar chhat par lage kunde se badha hua tha.
Us shakhs ki haalat hi bata rahi thi ki yaswant ne uski kafi achhe se khaatirdaari ki thi. Uska chehra badi dayneeya haalat me tha. Mukh se nikalta khoon aur laar neeche farsh par gir raha tha. Sir niche ki taraf jhuka hua tha jisse dushyant ko uska chehra thik se dikhaayi nahi diya.
Dushyant ne yaswant se lockup ka tala kholne ke liye kaha. Yaswant ne paas hi khade hawaldaar ko ishara kiya to us hawaldaar ne jaldi se lockup ka tala khola. Tala khulte hi dushyant gate khol kar andar ki taraf daakhil ho gaya. Uske piche yaswant bhi andar aa gaya. Dushyant ne us shakhs ke chaaro taraf ek chakkar lagaya aur fir saamne aa kar usne apne ek hath se us shakhs ki thuddhi pakad kar uska chehra upar uthaya. Jaise hi us shakhs ka chehra dushyant ki nazro ke saamne aaya dushyant ki aankhe chaudi ho gayi.
Wo shakhs avinash hi tha aur is wakt uski haalat aisi nahi thi ki wo khud bhi nazar utha kar apne itne kareeb khade dushyant ko dekh sake. Dushyant use kuch der tak dekhta raha. Uske kaano me yaswant ke us wakt ke kahe waakya goonj rahe the. Eka ek uske dimaag me khayaal aaya ki ye kya chakkar hai.?
"Ab tu mujhe kuch batayega." Dushyant ko chup dekh yaswant se ruka na gaya_____"Ya aise hi but bana khada rahega.?"
"Baahar baat karte hain" Dushyant ne ajeeb bhaav se kaha aur avinash ko ek nazar dekhne ke baad lockup se baahar aa gaya.
"Yaar ab bata bhi de." Yaswant ne chair par baithte hi cigarette sulga rahe dushyant ki taraf dekhte huye kaha______"Ki ye sab kya hai.? Itna to ab main bhi samajh gaya hu ki tu us namuraad ko janta hai magar kaise.? Ye jaanna hai mujhe."
Inspector dushyant ne cigarette ke do teen gahre gahre kash liye aur fir dher sara dhuwa upar hawa me udane ke baad yaswant ki taraf dekha. Udhar yaswant ke chehre par aise bhaav ubhar aaye the jaise ab agar dushyant ne use kuch nahi bataya to wo apne sir ke baal noch lega.
"Tune sahi kaha." Dushyant ne uske chehre ke bhasvo ko read karte huye kaha_____"Main us namuraad ko jaanta hu magar...!"
"Magar..??" Yaswant ke mukh se anayaas hi nikal gaya.
"Magar kaise jaanta hu use." Dushyant ne fir se cigarette ka ek kash liya aur uske baad uska dhua hawa me udate huye kaha_____"Agar ye sunega to shayad tujhe badi hairaani hogi."
"Meri hairaani ki chhod bhai." Yaswant ne bechaini se kaha_____"Tu mujhe sab kuch saaf saaf bata. Dimaag ka dahi na kar ab."
Yaswant ki baat sun kar dushyant use do mahine pahle ka wo case batane laga jisme yahi shakhs mrs babita ke yaha kiraye se rahta tha aur ek raat isne unke ghar me chori ki aur unki bahu ki ijjat lootne ki koshish ki thi. Dushyant ne use bataya ki kaise is shakhs ko mrs babita ne uske hawale kiya aur fir kaise usne thane me uski kutaayi karke usse uske jurm karne ke bare me pucha magar wo last tak yahi kahta raha ki usne waisa kuch nahi kiya tha.
"Waakayi." Saari baat sunne ke baad yaswant ke mukh se beshaakhta nikal gaya, bola_____"Yakeen nahi hota. Badi dilchaps baat hai bhai. Magar sawaal hai ki agar isne kuch nahi kiya to kisne kiya aur sabse important baat ye ki iske makaan maaliko ne ise kyo fasaya.?"
"Yahi to sochne wali baat hai pyare." Dushyant ne cigarette ko apne pair ke niche bedardi se kuchalte huye kaha_____"Mrs babita aur unki bahu ka saaf kahna tha ki unke ghar me chori aur unki bahu ki ijjat lootne ki koshish karne wala yahi tha. Mrs babita aur unki bahu ka kahna hai ki wo bhala ise kyo fasayengi, wo bhi us soorat me jab ki unke pariwar ki ijjat hi daav par lagi huyi ho.?"
"Baat to tark sangat hai yaar." Yaswant ne kuch sochte huye kaha_____"Chalo maan liya ki mrs babita aur unki bahu apni jagah sahi hain aur idhar ye shakhs bhi sahi hai to fir jisne bhi ye kiya hai wo koi aisa insaan hona chahiye jo sirf aur sirf is shakhs ka dushman ho aur uski shakl o surat isse milti julti ho. Kahne ka matlab ye ki jurm wo karta hai aur fas ye jata hai."
Yaswant ki is baat se dushyant ke mano mastishk me jaise jhanaka hua aur dimaag ki batti badi tezi se roshan huyi. Ek jhatke me saari baat uske dimaag me clear ho gayi. Uske chehre par ubhar aayi chamak is baat ka saboot bhi thi.
"Bahut khoob pyare." Dushyant ne maano chatkara sa lete huye kaha_____"Ye baat saali apne dimaag me kyo nahi aayi thi iske pahle.? Bilkul sahi kaha tune. Ye to sala double role ka chakkar lagta hai."
"Thik samjhe." Yaswant ne tapaak se kaha____"Dono taraf ke maamle se to yahi baat nazar aati hai. Iska matlab ye bhi hua ki hamne bekaar me hi bechaare ko itna dhoya jabki wo to begunaah hai."
"Magar pyare." Dushyant ne kuch sochte huye kaha_____"Agar double role ka lafda hai to ye baat to use bhi pata hogi na.? Mere kahne ka matlab hai ki ho sakta hai uska koi ham shakal judwa bhai ho aur ye baat to wo jaanta hi hoga."
"To kya tumne usse puchha nahi.?" Yaswant ne puchha.
"Kaise puchhte pyare.?" Dushyant ne table ko ek hath se thokte huye kaha_____"Iske pahle ye baat apne dimaag me aayi hi kaha thi.? Dusri baat agar aisa hi hai to use bhi to batana chahiye tha na ki uska koi ham shakal judwa bhai hai aur usi ki vajah se wo is haal me pahucha hai."
"Uske bare me pata to lagaya hoga na tumne." Yaswant ne kaha.
"Haan pyare pura pata lagwaya tha." Dushyant ne kaha_____"Usne yahi bataya tha ki uska is duniya me koi nahi hai aur jab hamne apne tarike se maalumaat ki to koi faayda nahi hua."
"Fir to hamara ye khayaal bhi galat ho sakta hai jo uske ham shakal ke roop me hamne socha tha." Yaswant ne kaha______"Matlab ki uska koi ham shakal judwa bhai nahi hoga balki koi aur hi hoga jo uski shakal le kar use do do baar fasaya. Aaj kal kisi ka facemask banwa lena koi badi baat nahi hai...bas shart ye hai ki paisa hona chahiye."
"Kya baat hai pyare." Dushyant ne muskurate huye kaha_____"Aaj kal to kafi tez dimaag chalne laga hai tumhara. Lagta hai moong ki daal me bheemseni kaajal mila kar khane lage ho."
"Bheemseni kaajal ko chhodo." Yaswant ne sapaat bhaav se kaha_____"Aur ye batao ki kya decide kiya uske bare me.?"
"Ham ye soch rahe hain pyare." Dushyant ne apne andaaz me kaha_____"Ki ek baar chal kar us ghar ka muaayna kiya jaye jaha par ye sab hua hai."
"Waise to main muaayna kar chuka hu." Yaswant ne kaha_____"Magar tumhari tasalli ke liye main chal duga tumhare sath."
"To fir kursi par jame kyo baithe ho pyare." Dushyant ne chair se uthte huye kaha_____"Chalo hame bhi us bala ke darshan karwaao jiske sath is namuraad ne kaand karne ki koshish ki thi."
Dushyant ki baat par yaswant muskurate huye utha aur table se apni cap ko utha kar baahar ki taraf chal diya. Kuch hi der me dono police gipsy me baith kar nikal pade. Dushyant apni gipsy ko thane me hi khadi rahne diya tha.
Nice update