Update 58
Idher Soniya Varun ko leke sochne lagti hai.
Soniya: Kaha gaya hoga. Kahi meri kahi hui baato ko dil se lagake kuch galat naa karle. Maine toh gusse mein usse kaha tha aakhir usne mere liye bina kisi reason ke itna bada khatra mol le liya tha. Agar kisi ko pata chal jaata toh uski life barbaad hojaati. Upar se aaj maine usse thappad bhi maara tha. Kahi iss baat ko leke woh nhiii nhiii nhiii mera Varun aisa kuch nhi karega. Woh bahot stong hai. Woh jarur meri baato ko samjhega aur usne jo galti ki hai uske liye maafi maangega.
Par agar kahi usne kuch. Nhiiii nhii Soniya Positive socho. Kuch nhi hoga. Mera Varun aisa kuch nhi karega.
Phir woh apna dhyaan jabardasti kahi aur lagane lagti hai. Par uska dhyaan baar baar Varun ki taraf hi jaaraha tha.
Idher sham se raat hogyi thi par Varun ka kuch pata nhi chala tha. Sangeeta ne toh rona suru kardiya tha. Ek toh woh ek maa thi upar se woh ek hi unke jeene ka sahara tha.
Sangeeta: Sanjana ab mujhe bahot ghabrahat horahi hai. Abhi tak Varun ka kuch pata nhi chala. Pata nhi kaha hoga mera bachha.
Sanjana: Didi aap please roiyee mat. Main abhi Vikram ko call karti ho.
Tabhi Vikram ghar ke andar aata hai.
Vikram: Kyaa baat hai kisko phone karne ki baat horahi hai.
Sanjana: Achha hua Vikram aap aagaye. Dekhiye naa Varun ka kuch pata nhi chal raha hai. Uska phone bhi band aaraha hai.
Vikram: Aree dosto ke saath ghum raha hoga.
Radha: No dad. Maine sabhi se puch kiya hai woh kisi ke saath nhi hai. Aur woh toh humhe chorke yaha kisi ko jaanta tak nhi hai. Recess ke baad woh college se chala gaya aur abhi tak ghar nhi aaya.
Sangeeta: Bhaiyaa. Mujhe bahot ghabrahat horahi hai. Mere Varun ne aisa kabhi pehle nhi kiya. Woh badmaash hai shararat karta hai par kahi bhi jaata hai toh mujhe bata ke jaata hai aur apna phone humesha onn rakhta hai.
Vikram: Sangeeta tum tension matlo. Main dekhta hu.
Phir Vikram Inspector ko call lagata hai aur usse Varun ko dhundne ke liye bolta hai.
Radha bhi tension main aagayi thi ab aur isi tension mein usne Yash ko call laga diya.
Radha: Yashh Yash kaha ho Yashh.
Yash: Main toh ghar pe hu Radha. Kyaa hua tum tension mein kyo ho. Kuch hua hai kyaa.
Radha: Yashh Varun ka kuch pata nhi chal raha hai. Recess ke baad se woh ghar nhi aaya aur uska phone bhi band hai upar se woh yaha se bilkul anjaan hai. Raat hogyi hai aur uska kuch pata nhi chal raha hai.
Yash: Tum tension matlo Radha. Main abhi pata lagata hu kaha hai Varun. Tum shant raho.
Phir call cut hota hai.
Yash jaldi se Ritika ko call lagata hai.
Yash: Ritika ek number bheja hai. Yeh filhal band hai jara pata lagao toh iska last location kaha tha.
Ritika: Bas 2 mins ruko. Abhi batati hu.
Phir Ritika fatafat Varun ke number ko trace karti hai toh uska last location sehar ke bahar jaane wale raste ki taraf tha.
Ritika: Yash yeh number toh aakhri baar sehar ke bahar jaane ke raste mein band hua tha.
Yash: Sehar ke bahar.
Ritika: Haaa. Woh bhi bahot derrr pehleee. Kam se kam 4-5 ghante pehle.
Yash: Abhi ek car ka number bhej raha hu. Dekho iss waqt yeh kaha hai.
Ritika dekhti hai aur bolti.
Ritika: Yeh Car toh 4-5 ghante se ek hi jagah pe ruki hui hai. Aur yeh toh koi jungle ilaka hai.
Yash: Mujhe location bhejo aur mujhe waha tak jaane mein guide karo.
Ritika: Okk.
Phir Yash jaldi se ready hota hai aur ghar se nikalne lagta hai toh Ishant puchta hai.
Ishant: Kyaa hua sahabjyaade itni raat ko kidher jaa rahe ho.
Yash: Dad ek problem hui hai aake batata hu.
Siya: Par jaa kaha rahe ho.
Yash: Tum Radha se baat karo phir Ritika se. Pata chal jayega. Main nikalta hu. Yeh bol Yash waha se nikal jaata hai.
Aur pichhe sab usee awaaz dete reh gaye.
Mehak: Siya kyaa baat hai.
Siya: Pata nhi mom. Rukiye Radha se puchti hu.
Siya Radha ko call lagati hai.
Siya: Radha kyaa hua hai.
Radha Siya ko puri baat batati hai. Phir Siya Ritika ko call karti hai.
Siya: Ritika Siya here. Yash kaha gaya hai.
Ritika: Siya Yash ne mujhe kisi ka phone number aur ek car ka number trace karne ko bola maine bola toh wahi gaya hai.
Siya: Thikk hai.
Phir Siya call cut karti hai.
Mehak: Ab bataogi bhi kya hua hai.
Phir Siya Mehak aur Ishant ko sab bata deti hai.
Yash apni bike se full speed mein uss location ki taraf jaata hai jaha Varun ki car thi.
Idher Vikram ne jis inspector ko bola usne wireless mein har jagah yeh news faila di aur Vikram se Varun ki photo lekar dhundne lage.
Yash 1 ghante ke andar uss jagah pahonch jaata hai aur dekhta hai Varun ki car ek pedh se takrayi hui hai. Car ka accident bahot buri tarah hua hai.
Yash jhatt se Car ke paas pahonchta hai toh dekhta hai Varun waha nhi hai. Steering wheel mein khoon laga hua hai. Seat mein bhi khoon laga hua hai. Saamne ka kaanch bhi toota hua hai.
Yash agal bagal Varun ko dhundta hai par Varun usko kahi nhi milta. Woh dekhta hai waha thodi durr mein ek CCTV hai par uski halat bhi achhi nhi thi.
Yash: Ritika yaha pe ek CCTV hai. Hack karo aur dekho Car ka accident kaise hua aur Varun kaha gaya.
Ritika apne kaam mein lag jaati hai. Woh CCTV hack karke Varun ke waha pahonchne ke time se check karne lagti hai.
Ritika: Yash Varun ki car bahot speed se chal rahi thi. Par achanak uska balance bigad gaya aur car jaake sidha uss pedh se takra gayi. Road sunsan hai isiliye woh waha pe bahot derr behosh padha raha. Thodi der pehle ek car waha se gujri toh usne yeh dekhliya toh woh Varun ko apne saath le gaye. Shayad hospital gaye ho.
Yash: Jis Car ne madad ki uski location dekho kisi hospital ke paas ki hai kyaa.
Ritika: Haa woh car ki location abhi bhi SK Hospital mein hi hai. Jarur Varun wahi hogaa.
Yash jhatt se apni bike ko full speed mein waha bhagata hai. Thodi der mein woh SK Hospital pahonch jaata hai.
Yash bhagte hue reception mein aata hai aur puchta hai.
Yash: Excuse me. Kyaa aaj yaha pe koi car accident ka case aaya hai.
Receptionist: Sir aaj yaha pe 3 car accident ka case aaya hai. Aise mein hum kaise bol sakte hai aap kinke baare meik puch rahe hai.
Yash: Ritika Varun ko kitni der pehle yaha laaya gaya hai.
Ritika: 1 ghante pehle.
Yash: Dekhiye 1 ghante pehle koi ladka meri age ka Car accident mein yaha aaya hai kyaa. I mean kisi ne 1 ghante pehle usko yaha laaya hai.
Receptionist: Yes Sir. Abhi 1 ghante ke aas paas ek car accident case aaya toh hai. Police case hai phir bhi doctor ne treatment start kardiya hai. Aap second floor mein operation theatre ke paas chale jaaiye. Jo patient ko leke aaye hai woh bhi wahi hai.
Yash fatafat second floor mein OT ke paas aata hai toh waha ek aadmi baitha hua tha jiske kapdo pe khoon bhi laga hua tha.
Yash: Excuse me. Kyaa aap hi woh hai jisne ek ladke ko sehar ke bahad jaane wale raaste mein accident hui car se yaha laaye hai.
Aadmi: Haaa. Main hi hu woh. Par aap kaun hai. Aur aapko kaise pata.
Yash apne mobile mein Varun ki pic dikhate hue puchta hai kya woh ladka yehi tha.
Aadmi: Haaa woh yehi ladka tha. Uski halat bahot buri thi. Khoon bhi bahot beh chuka tha. Shayad accident bahot der pehle hua tha. Par aap kaun hai. Aur aapko kaise pata chala woh yaha hai.
Yash: Woh ladka mera bhai hai. Subah college se bina kisi ko bataye kahi chala gaya tha. Uska phone bhi band tha. Hum pareshan hogaye the. Phir humne police ki madad se uski last location search karwayi toh woh uss jungle mein tha. Main jab waha aaya toh uski car ka accident dekha. Par woh waha nhi tha. Par waha ke CCTV mein aapki car ka number aagaya tha toh usko trace karke main yaha aaya. Thank You so much mere bhai ki madad karne ke liyee.
Aadmi: Aree isme thank you kaisa. Yeh toh har insaan ka farz hota hai musibat mein fhase logo ki madad karna. Bhagwan aapke bhai ko jaldi thik kardega. Ab jab aap aagaye hai toh mujhe chalna chahiye.
Yash: Sure. Btw aapka naam aur number mil jaata toh.
Aadmi: Yeah Sure. Mera naam Sameer hai. Aur yeh mera number. Agar meri jarurat padhe toh aap bezhizak mujhe call kar sakte hai.
Yash: Once again thank you so much.
Phir woh aadmi waha se nikal jaata hai. Yash wahi baith jaata hai. Usko samaj nhi aaraha tha woh kyaa karee.
Tabhi usko Ishant ka call aata hai.
Ishant: Yash kaha ho tum. Time dekha hai. Aur Varun ka kuch pata chala.
Yash: Dad main hospital mein hu. Varun ka bahot buri tarah se accident hogya hai. Uska operation horaha hai.
Ishant: Whatttttt. Kaun se hospital mein ho tum. Mujhe batao. Main abhi aata hu.
Yash: SK Hospital.
Ishant: Main abhi aata hu.
Siya: Dad kya hua hai Yash ko. Woh hospital mein kyo hai. Woh thik toh hai naa. Boliye naa dad.
Ishant: Siya beta shant hojao. Yash ko kuch nhi hua hai. Varun ka bahot buri tarah se accident hogya hai. Humhe abhi SK hospital jaana hoga.
Mehak aur Siya: Kyaaaaaa.
Ishant: Haaa. Jaldi chalo. Siya Radha ke ghar bol do.
Mehak: Main abhi Shalini ko bolti hu. Woh bhi waha pahonch jayegi.
Siya: Radhaa jaldi se sabko leke SK Hospital aao. Varun ka accident hogya hai. Woh wahi pe hai.
Radha yeh sunte hi rona suru kardeti hai aur bolti hai. Kyaaaaaaa. Woh woh thik toh hai naa.
Siya: Abhi kuch nhi pata jaldi pahoncho.
Sangeeta: Radha kiska phone tha. Tum ro kyo rahi ho. Mera Varun thikk toh hai naa. Bolo Radhaa.
Radha: Rote hue. Bua ji woh Varun woh bua ji. Iske aage woh naa bol paayi.
Sangeeta: Rote huee. Kyaa hua hai mere Varun ko. Woh thik toh hai naa. Bolo Radha. Woh thikk toh hai naa.
Radha: Uska bahot bura accident hua hai woh hospital mein hai.
Sangeeta yeh sunte hi jorr jorr se rone lagti hai.
Sangeeta: Mujhe lag hi raha tha mera Varun khatre mein hai mera mann bahot ghabra raha tha. Aur dekho meri ghabrahat sach hui. Yeh bol woh aur jor jor se rone lagti hai.
Vikram: Princess kaun se hospital mein hai.
Radha: Kisi SK Hospital mein.
Sangeeta: Bhaiyaa mujhe abhi mere Varun ke paas jaana hai. Jaldi chalo bhaiya. Pata nhi kaisa hoga woh.
Phir sab log hospital bhagte hai.
Idher Avi ne Arushi ko call karke sab bataya toh Megha ne Aarav ko call kiya.
Megha: Aarav Aarav Varun ka accident hogya hai woh hospital mein hai jaldi se SK hospital aao.
Aarav: Kyaaaaaaa. Main main abhi aata hu.
Shruti: Kya hua kaha jaa raha hai itni raat ko.
Aarav: Varun ka accident hogya hai woh hospital mein mujhe abhi jaana hoga.
Soniya wahi baithi thi aur jab woh sunti hai ke Varun ka accident hogya hai toh uski aisi halat hojaati hai jaise usme jaan hi nhi bachi hai. Uski aankho se aansu behne lagte hai.
Soniya: Woh woh thikk toh haii naa.
Aarav: Kuch nhi pata. Main nikal raha hu.
Soniya: Main bhi aaungi.
Aarav kuch nhi bolta. Phir dono waha se hospital ke liye nikal jaate hai. Pure raaste Soniya bas bhagwan se Varun ke liye dua maang rahi aur reh reh ke uske aankho ke saamne aaj Varun ke saath kiya hua behaviour aaraha tha aur uski aankho se aansu beh rahe the.
Thodi der mein yehlog Hospital aajate hai.