• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Bepanaah Ishq (Completed)

Jaguaar

Well-Known Member
17,679
61,068
244
😂🤣
विक्की ऐसा काम कर रहा है कि विक्की के साथ सभी की जोड़ी, रब ने बना दी जोड़ी जैसी ही है।😂
अब ये तो किंग साहब निर्णय लेंगे कि विक्की के साथ किसकी गोटी सेट करनी है।

विक्की पागल है जो सोनल के पीछे पड़ा हुआ है। सोनल से भी अच्छी हरियाली आस पास ही घूम रही हैं जो उसे दिखाई नहीं दे रहा है।।😂🤣
Vicky ki goti toh ab jail naam ke jagah mein hi set hogyi hai.
 
  • Like
Reactions: mashish

Mahi Maurya

Dil Se Dil Tak
Supreme
33,140
59,038
304
छत्तीसवां भाग।

बहुत ही बेहतरीन।।

पकड़े गए आदमी ने इतना तो बता दिया कि राज को मारने के लिए ही उसको मुम्बई से बुलाया गया था। रमेश ने भी अपना जुर्म कबूल कर लिया।।

समीर ने करन को इशारे से बताया कि हो न हो राज़ या सोनल का ही कोई दुश्मन है जो उसे मारने चाहता है। लेकिन विक्की भी कम चालाक नहीं है उसने बड़ी सफाई से इस प्लान को अंजाम दिया। सीसीटीवी में भी उसकी फोटो तो आई लेकिन उसे कोई पहचान नहीं पाया।।
 

Jaguaar

Well-Known Member
17,679
61,068
244
बहुत ही बेहतरीन कहानी महोदय,

तो यहां पर जांच करने वाला अधिकारी भी करण का दोस्त समीर निकला। करन ने गोली चलाने वाले को पकड़ लिया है ये सुनकर सब राहत की सांस लेते हैं।।

विक्की तो सचमे कपूत है। उसे अपनी माँ को कोई परवाह नहीं है।। उसे बस सोनल और अपने बदले से मतलव है। सभी घबराए हुए हैं इस घटना के बाद। यश का शक सही है जिसे सुनकर स्वाति डर जाती है।।
Thank you
 
  • Like
Reactions: mashish

Jaguaar

Well-Known Member
17,679
61,068
244
छत्तीसवां भाग।

बहुत ही बेहतरीन।।

पकड़े गए आदमी ने इतना तो बता दिया कि राज को मारने के लिए ही उसको मुम्बई से बुलाया गया था। रमेश ने भी अपना जुर्म कबूल कर लिया।।

समीर ने करन को इशारे से बताया कि हो न हो राज़ या सोनल का ही कोई दुश्मन है जो उसे मारने चाहता है। लेकिन विक्की भी कम चालाक नहीं है उसने बड़ी सफाई से इस प्लान को अंजाम दिया। सीसीटीवी में भी उसकी फोटो तो आई लेकिन उसे कोई पहचान नहीं पाया।।
Thank you
 
  • Like
Reactions: mashish

Mahi Maurya

Dil Se Dil Tak
Supreme
33,140
59,038
304
Update 37
Raj: Bhaiyaa kuch pata chala.

Karan ek nazar sabko dekhta hai khash karke Smita aur Sonal ko phir Raj ko dekh kar baad mein bolega bolke chup hojaata hai. Par Yash ko Karan ka aise chup hona kuch garbar jaisa laga.

Idher Vicky bhi Karan ko dekh kar ek pal ke liye ghabra gaya tha. Jo Karan notice karta hai.

Karan: Aunty kyaa main aapse kuch puch sakta hu.

Mrs. Khanna: Haaa puchoo.

Karan: Aapko goli kaise lagi. Matlab aap waha pe kaise aayi.

Mrs. Khanna: Main dusri side khadi thi aur tumhare uncle dusri side. Toh main tumhare uncle ke paas jaa rahi thi kyoki aashirwaad jode mein dena tha. Tabhi mere pet mein goli lag jaati hai.

Karan: Kyaa aapka koi dushman hai jo aisa kar sakta tha.

Mrs. Khanna: Nhi beta. Main toh jyaadatar ghar mein hi rehti hu aur tumhare uncle ka bhi aisa koi dushman nhi hai. Kyaa uss aadmi se kuch pata nhi chala.

Karan: Nhiii woh aadmi gunga behra hai. Kisi bahot plan karke attack kiya tha. Yeh bol woh eknazar Vicky ki taraf dekhta hai jo ab thoda relax nazar aaraha tha.

Karan: Thikk hai ab aap aaram kijiye. Phir sablog bahar nikal jaate hai.

Vicky bhi bahar nikal jaata hai aur ek jagah aakar khada hojaata hai tabhi uske kandhe mein Karan haath rakhta hai. Vicky Karan ko apne paas dekh kar phir ghabrata hai.

Karan: Kaise ho Mr. Stalker.

Vicky: Ghabrake. Thikk hu Sir.

Karan: Kal kaha tha tu. Teri maa ko goli lagi thi par tu kahi nhi dikhaa.

Vicky: Main toh ghar pe tha Sir. Aur mera phone toot gaya tha isiliye mujhe pata chala bhi nhi chala tha.

Karan: Ek chance lete hue. Tu kuch din pehle wapas Mumbai mein kyaa kar raha thaa.

Vicky yeh sunke bahot buri tarah ghabra jaata hai. Kyo woh kuch din pehle Mumbai uss aadmi ko laane hi gaya tha. Karan ko nhi pata tha woh Mumbai gaya tha Karan ne bas ek tukka lagaya.

Vicky: Darr aur Ghabrahat mein. Nhiii nhiii sirrr. Main toh uss din ke baad Mumbai gaya hi nhiii. Aapko koi galatfehmi hui haii.

Karan: Hmmm. Hosakta hai. Par tu itna ghabra kyo raha hai. Kyaa koi kaand kiya hai kyaa.

Vicky: Nhiii Nhii sir. Main kaha ghabra raha hu. Aur maine kuchh nhii kiyaa hai.

Karan: Hmmm. Thikkk haiii. Sambhal ke rehhh. Kal ko teri maa ke upar humla hua hai. Hosakta hai agla number tera ho.

Vicky: Jii jii sir.

Phir Karan waha se ghar aajata hai.

Raj: Bhaiyaa kyaa baat hai. Kuchh pata chala hai naa.

Karan: Hmmm. Attack tere liye tha. Jo aunty ke upar hogyaa. Kisi ne tujhe maarne ke liyee Mumbai se uss aadmi ko bulaya tha aur yaha ke kisi local ne uska saath diya hai.

Raj: Whatttt. Mujhee maarne ke liyee.

Karan: Hmmm.

Raj: Par mujhe koi kyo maarna chahega.

Karan: Pata nhi. Jisne bhi kiya hai bahot chalaki se kiya hai. Har jagah apni shakal chupaayi hai jisse usko pakda naa jaa sake aur attacker bhi jaanmuzz ke gunga behra chuna hai.

Abhi Karan itna hi bolta hai ke Raj bolta hai Yashhh.

Karan pichhe ghumm ke dekhta hai toh waha Yashh khada thaa.

Yash: Bhaiyaaa kyaaa maine jo sunaa woh sach hai. Koi Rajjj ko....

Karan: Haa Yashhh. Yeh sach hai. Attack Raj ke liye tha.

Raj: Bhaiyaa Yashhh yeh baat kisi ko nhi pata chalni chahiye. Khaash kar Mummy aur Sonal ko. Dono bahot jyaada ghabra jaayengi. Yashhh Swati ko bhi nhi batana. Warna Sonal ko pata chal jaayega.

Karan: Haa Yashhh. Rajj ne sahi kaha. Unke wajah se hi maine hospital mein nhi kaha.

Yash: Hmm Thikk hai. Par yeh kaam kaun kar sakta hai.
Karan: Pata nhiii. Par jaldi hi pata chalega.

Udher Mumbai mein Rajesh aur Ranjeet bhi pareshan the kyoki unhe abhi tak kisi bhi tarah ki koi bhi news nhi mili thi. Woh Vicky ka phone try kar rahe the par woh Switch off aaraha tha.

Rajesh: Kaam hua hogaa naa. Mujhe tension horahi hai.

Ranjeet: Tension toh mujhe bhi horahi hai kahi kuch garbar toh nhi hogyi. Aur uss Vicky ka phone bhi band aaraha hai.

Rajesh: Kahi pakda toh nhi gaya naa woh aadmi.

Ranjeet: Agar pakda bhi gaya toh humara naam nhi aayega. Aur waise bhi woh aadmi gunga behra hai aur naahi usne humari shakal dekhi hai. Number bhi private tha toh humari identification nhi hosakti. Bas woh Vicky kahi kuch garbar naa karde.

Rajesh: Mujhe bhi usi ka darr hai. Agar usne humara naam ugal diya naa toh woh Karan humhe paatal se bhi dhund nikalega.

Ranjeet: Aisa kuch nhi hogaa. Aap chinta mat kijiye.

Udher Jaipur mein sablog hall mein baithe hue the. Tab Karan bolta hai.

Karan: Mummy Papa ab humhe wapas Mumbai chalna chahiye.

Karan ki yeh baat sunke ekpal liye Swati aur Sonal ka chehra utar jaata hai saath mein Meera ka bhi par phir bhi jaana toh tha hi.

Deepak: Itni bhi kya jaldi hai Karan. Kuch din aur rukh jaate.

Karan: Humlog rukh jaate uncle. Par mujhe bhi duty join karni hai aur Raj ko bhi office jaana hai Sonal ko college bhi jaana hai.

Ashok: Haa Deepak ab humhe bhi chalna chahiye. Phir waha Mumbai mein bhi toh innlogo ka swagat karna hoga.

Deepak: Thikk hai.

Ragini: Mere khyaal se Raj Sonal Yash Swati se pehle humhe chalna chahiye taaki waha Mumbai mein saari taiyaari karke rakh sake inke grahpravesh ki.

Shruti: Haa Badi Mummy aapne sahi kaha. Mummy Papa innlogo ke saath aajayenge aur humsab jaake waha taiyaari karte hai.

Smita: Haaa yeh thik rahegaa.

Inke conversation ke dauran Swati Sonal aur Meera teeno bilkul shant baithe the. Aisa nhi tha Swati aur Sonal jaana nhi chahti thi par apni maa aur parivaar ko humesha ke liye chorke jaane ki soch unhe pareshan kar rahi thi aur Meera ko apni betiyon se humesha ke liye durr hona hoga yeh chiz usse sehan nhi horahi thi.

Ishant: Main tickets book karta hu. Aarav aao mere saath. Aur aap sab apni packing start karlijiye.

Phir Ishant aur Aarav tickets book karne chale jaate hai aur baaki sab apni packings mein lag jaate hai.

Dopahar tak saari taiyaari hojaati hai.

Ishant: Mummy aap sab ki tickets kal ki kal subah ki hai aur humari aaj sham ki.

Smita: Thik hai tumlog dhyaan se jaana.

Phir sablog ready hone lagte hai aur time se Airport ke liye nikal jaate hai.

Idher ghar mein Swati aur Sonal ne bhi apni packing karli thi par thodi udaas thi.

Raat ko wohlog Meera ke paas jaate hai jaha woh bhi udaas baithi thi.

Dono: Mummy.

Meera: Tumdono aao baitho. Kuch kaam thaa.

Dono: Hum kal jaarahe hai mummy. Humhe aaplogo ki bahot yaad aayegi.

Meera: Yaad toh mujhe bhi bahot aayegi tumdono ki. Par yeh toh humlogo ki kismat hai. Tumdono ke chale jaane se yeh ghar pura suna hojaayega.

Dono bas apni maa ke gale lag jaati hai.

Meera: Kal se tumdono ka naya jeevan start hogaa. Waise toh mujhe tumdono ko kuch bhi batane ki jarurat kabhi padhi hi nhi. Tumdono khud hi saari chize samaj gayi. Par phir bhi bolti hu waha apna aur apne parivaar ka khayal rakhna.

Swati tumhara toh sab thik hai par Sonal tumhe apne shaadishuda jeevan mein pyaar laana hoga. Raj ne tumhe patni ka adhikaar diya par jis rishte mein pyaar naa ho woh rishta jyaada din nhi chalta. Tumhe bahot mehnat karni hogi.

Sonal: Main jaanti hu Mummy. Aur aap bhi apna papa aur Samar ka dhyaan rakhiyegaa. Hum ghar se durr jaarahe hai aaplogo ki zindagi se nhi.

Meera: Tumdono toh meri jaan ho apna khayal rakhnaa.
Phir dono apne kamre mein aake so jaate hai.

Agle din subah naashte ke baad Sonal aur Swati ki bidai horahi thi. Dono apne maa baap aur bhai ke gale lag ke bahot royi. Deepak aur Samar ne apne aap ko sambhala hua tha par Meera bhi roye jaarahi thi.

Meera: Smita meri bachhiyon ka khayal rakhnaa. Agar koi galti hojaaye toh inhe maaf kardenaa. Bahot hi jyaada pyaar se pala hai maine inhe.

Smita: Tum bilkul chinta mat karo. Yeh dono abse meri betiyan hai. Inhe kisi bhi tarah ki takleef nhi hone dungi.
Phir Yehlog gaadi mein baithke Airport ki taraf nikal jaate hai. Gaadi mein Sonal bolti hai.

Sonal: Rajjjj.

Raj: Haa bolo.

Sonal: Kyaa hum ekbaar hospital chalke uncle aunty se milsakte hai.

Raj: Hum wahi jaarahe hai Sonal.

Sonal yehsunke khush hoti hai.

Thodi der mein yehlog Hospital aajate hai. Waha pe Mr. Khanna aue Vicky the.

Mr. Khanna: Aree aaplog itni subah subah.

Sonal: Hum wapas Mumbai jaarahe the Uncle. Toh jaane se pehle aapse aur aunty se milne aagaye.

Mr. Khanna: Bahot achha kiya beta. Aao andar aao.

Idher Sonal jabse aayi thi Vicky usko ghure jaaraha tha jo Raj ne dekhliya. Isiliye woh sidha Vicky ki taraf jaata hai.

Raj Vicky ke paas jaake usse haath milata hai aur dheere se bolta hai apni harqato se baaz aaja. Pehle toh sirf hone wale pati ka jhoot bola tha toh itna maara tha aur ab toh legally uska pati hu main ab kitna maarunga yeh soch bhi nhi sakta.

Vicky kuch nhi bolta bas gusse se Raj ko ghurta rehta hai aur mann mein bolta hai. Bahot jald apni har beizaati aur haar ka badla lunga aur uss Sonal ko tujhse alag karke hi dum lunga. Woh meri nhi hui toh kisi aur ki bhi nhi hone dungaa.

Phir wohlog Mrs. Khanna se milke Airport chale jaate hai aur waha se Mumbai ke liye nikal jaate hai.

Sonal: Raj aap uss Vicky se kyaa baat kar rahe thee.

Raj: Uski nazar ko thikane laga raha tha.

Sonal: Thank You.

Raj: Tum ab meri patni ho Sonal. Tumhari har tarah se raksha karna mera farz hai toh isme Thank You kaisaa.
Sonal yeh sunke bahot khush hoti ke aur sochti hai usne sahi insaan se pyaar kiya.

Dopahar tak yehlog Mumbai pahonch jaate hai. Airport pe Karan aur Ishant khade the inhe receive karne ke liyee.

Swati aur Sonal Karan aur Ishant ko dekhti hai toh unke pairr chune ke liye niche jhukti hai woh dono rokh dete hai.

Dono: Iski koi jarurat nhi hai. Humhe innsab ka koi shock nhi hai.

Ishant: Yash Swati tumdono mere saath chalna.

Phir sab gaadi mein baithke nikal padhte hai ghar ki taraf.
Ghar mein Ragini Sonal ka grahpravesh karwati hai.

Ragini: Sonal jaise tum pehle rehti thi bilkul waise hi rehna koi special formality ki jarurat nhi hai.

Sonal: Ji Chachi ji.

Ragini: Kyaaa kahaa.

Sonal: Sorry Badi Mummy.

Ragini: Good. Ab woh purane rishte bhul jaao.

Sonal: Jiii.

Ragini: Tumhe kuch nhi karna bas mera ek chiz mein madad karni hogi bolo karogi.

Sonal: Aap order kijiye badi mummy.

Ragini: Bas dekhna yeh pagal(Nandini) ab koi kaam naa karee aur sirf aaram karee aur agar yeh jethani hone ka hukum chalaye toh mujhe bolnaa.

Sonal: Aap bilkul chinta naa karee. Aajse bhabhi ka saara kaam main karungi aur inko sirf aaram karwaungi.

Nandini: Dheere se. Meri ek aur dushman aagayi.

Ragini: Kuch kaha Nandini.

Nandini: Nhi Mummy. Maine toh bas itna hi kaha ke kitni pyaari hai meri devrani aate hi meri help karne lag gayi.

Ragini: Hmm. Jao ab jaake Aaram karo. Journey se thakk gayi hogi tum.

Phir Sonal waha se apne room mein aati hai toh dekhti hai waha uska koi bhi samaan nhi hai.

Sonal: Aree mera samaan kaha gayaa.

Smita: Kuch khoj rahi ho Sonal.

Sonal: Jii Mummy woh mera samaan.

Smita: Woh toh tumhare kamre mein hai.

Sonal: Par yaha toh kuch nhi hai.

Smita: Maine tumhare kamre mein kaha hai Sonal. Aur yeh tumhara kamra nhi hai. Tumhara kamra bagal wala hai. Tumhara saara samaan bagal wale kamre mein shift karwa diya hai.

Sonal: Thank Youu.

Phir Sonal waha se Raj ke kamre ke bahar aati hai aur knock karti hai.

Raj: Come in.

Sonal andar aati hai toh dekhti hai Raj office ke liye ready horaha hai.

Raj: Oo Sonal. Aao. Aur tumhe knock karne ki jarurat nhi hai.

Sonal: Jiii. Aap kahi jaa rahe hai.

Raj: Haaa. Office jaa raha hu. Bahot din hogye.

Sonal: Aap thodi der wait kijiye main abhi lunch taiyaar karti hu.

Raj: Aree uski jarurat nhi hai. Lunch ready hai maine Hari Kaka ko boldiya tha. Tum abhi aaram karo.

Sonal: Kam se kam serve toh kardu.

Raj: Jarurat nhi hai Sonal. Aur haa tumhare liye wardrobe ka ek side free kardiya hai tum waha apne kapde rakhlena aur right side ke table mein apne college ka samaan. Toh main chalta hu. Yeh bol Raj waha se nikal jaata hai.

Sonal bhi pichhe pichhe nikal jaati hai.

Smita: Raj kaha jaa raha hai.

Raj: Office jaa raha hu Mummy.

Smita: Aaj kahi nhi jaayega. Chup chaap kamre mein jaa.

Raj: Par Mummy.

Smita: Maine kaha naa. Aaj kahi nhi jaayega.

Raj apna sada sa muh banake wapas upar aajata hai aur change karne lagta hai.

Sonal bhi room mein aake Raj ke kapde nikal deti hai.
Raj: Aree main karlunga Sonal.

Sonal: Koi baat nhi Raj. Yeh toh mera farz hai.


Phir Raj washroom jaake fresh hota hai.
बहुत ही बेहतरीन कहानी महोदय।।
 

Jaguaar

Well-Known Member
17,679
61,068
244
बहुत ही बेहतरीन कहानी महोदय।।
Thank you
 
  • Like
Reactions: mashish

Mahi Maurya

Dil Se Dil Tak
Supreme
33,140
59,038
304
Update 38
Idher Karan Sameer ko call karke Vicky ke call records ke baare mein puchta hai.

Karan: Kuch pata chala.

Sameer: Iske call records mein Mumbai ka koi khash contact nhi hai sirf 2-3 jan hi hai. Par saare number private hai aur unse baat bhi 1 mahine ke andar hui hai.

Karan: Yeh banda kuch garbar lag raha hai. Ek kaam kar iske upar nazar rakh aur iske phone bhi tap karwa. Mujhe lagta hai iska koi toh lena dena hai.

Sameer: Hmmm. Thikk hai. Nhi toh isko utha ke 2-4 lagate hai apne aap sach bol dega.

Karan: Nhi yaar koi proof nhi hai. Direct haath kaise denge.

Sameer: Thikk hai main nazar rakhta hu ispe. Aur tu dekh kaun hai tere bhai ka dushman Mumbai mein.

Karan: Hmm thikk hai.

Phir call cut hojaata hai.

Call cut hotei Nandini bolti hai.

Nandini: Bechara mera bachha. Iske papa ko toh jaise koi fikr hi nhi hai.

Karan: Mera nhi humara bachha. Aur iske papa ko iski bahot fikr hai.

Nandini: Achha mujhe toh nhi lagtaa. Agar aisa hota toh shaadi ke din humhe dikha dikha ke dance nhi karte.

Karan: Tum abhi bhi uss baat ko leke baithi ho. Ab bhul bhi jao.

Nandini: Nhi bhulungi. Tum bahot gande ho. Tumhe toh yeh bhi pata ke humare bachhe ko abhi kyaa chahiye.

Karan: Bed mein let te hue aur Nandini ke pet ko sehlaate hue. Achha toh kyaa chahiye humare bachhe ko.

Nandini: Humare bachhe ko abhi ekdum thandi thandi ice cream chahiye.

Karan: Achha ab samaj aaya. Bachhe ke naam pe bachhe ki Mummy ko ice cream khaani hai.

Nandini: Aree main khaungi tabhi toh humara bachha khayega naa. Isiliye main khau ya yeh khaaye ek hi baat hai. Aur mujhe abhi ice cream chahiye.

Karan: Aree abhi kaha se laau. Sham ko le aaunga.

Nandini: Mujhe abhi chahiye chahiye matlab chahiye.
Karan: Bahot jiddi hogyi ho tum.

Nandini: Ice cream laate ho yaa nhi.

Karan: Jaata hu baba laata hu. Pati ki koi kadar nhi hai.

Nandini: Butter Scotch aur Chocolate dono laana aur thoda jaldi.

Karan: Haaaa haa thikk hai.

Phir Karan waha se market chala jaata hai Ice cream laane. Thodi der mein woh Ice cream le aata hai.

Karan: Yeh lo khaao aur mujhe shanti do.

Nandini: Aree aise kaise khaungi. Thoda achhe se ek bowl mein laake do.

Karan: Ab woh bhi main hi karu.

Nandini: Humare bachhe ke liye itna sa nhi kar sakte. Tum pyaar nhi karte naa humse.

Karan: Aree yeh pyaar beech mein kaha se aaya.

Nandini: Agar pyaar hota toh achhe se Ice Cream khilate. Phir apne pet ko sehlaate hue. Koi baat nhi baby papa aapse pyaar nhi karte toh kyaa hua Mummy aapse bahot pyaar karti hai.

Karan: Hadd hai Nandini. Itna emotional blackmail. Laata hu achhe se bowl mein daalke. Ghar mein rehna hi gunaah hai. Yeh bolte hue woh waha se nikal jaata hai.

Karan ke jaate hi Nandini jorr jorr se hasne lagti hai.

Idher Karan Kitchen mein aata hai toh bahar hall mein Smita aur Ragini baithe hue thee.

Ragini: Kyaa hua Karan kaha jaa raha hai aur tere haath mein kyaa hai.

Karan: Mera ghar mein rehna gunaah hai. Biwi ke seva hi kiye jaa raha hu bachhe ke naam pe.

Smita: Matlab.

Karan: Madam ko Ice Cream khaani thi toh bachhe ke naam pe mujhe market bheja ice cream laane ke liye. Aur ab bachhe ke naam pe mujhe bolti hai achhe se bowl mein daalke ice cream khilau. Main apne bachhe se pyaar hi nhi karta isiliye ice cream nhi khila raha hu.

Ragini aur Smita yeh sunke jor jor se hasne lagti hai.

Karan: Aapdono bhi has rahi ho.

Smita: Hase nhi toh kyaa karee. Woh tujhe pareshan kar rahi hai aur tu pareshan horaha hai. Aur iss samay baat baat pe mood swing hota hai.

Karan: Par iss tarah ka blackmail.

Ragini: Aree woh pagal hai thodi. Jaa jaldi se Ice Cream fridge mein rakh de warna pighal jaayegi aur uske liye le jaa.

Karan apna muh banate hue kitchen mein aata hai aur thodi si ice cream ek bowl mein daalke baaki fridge mein rakhke apne kamre mein aata hai.

Karan: Yeh lo aur thoos lo.

Nandini: Ab humara mann nhi hai khaane ka aap khaalo.

Karan: Kyaaaaa. Ab kyaaa hogyaa. Ice cream khaana hai bolke mujhe itna pareshan kiya aur ab nhi khaana.

Nandini: Ab humara mann nhi hai toh kyaa karee. Ab waise bhi humhe neend aarahi hai.

Karan bas waha apna thaga sa chehra liye baitha hua tha. Woh aage kyaa bole kyaa kare uske samaj nhi aaraha tha.

Nandini ko Karan ka chehra dekh kar bahot hasi aarahi thi.

Nandini: Laaiye meri Ice cream. Aur apna chehra thikk kijiyee.

Karan: Par tumhe toh neend aarahi thi naa.

Nandini: Bas aapka chehra dekh kar taras aagaya. Aapne jo jaipur mein mujhe pareshan kiya tha yeh uski saza thi.

Karan: Tum naa puri tarah se pagal ho. Bhagwan kaisi pagal biwi mili hai mujhe.

Nandini: Aap khud hi aaye the park mein.

Karan: Tab nhi pata tha naa itni badi pagal ho tum.

Nandini: Bolo toh apni mummy ke ghar chali jau.

Karan: Ghar ke bahar pairr rakha na toh chorunga nhi. Sidha jail mein daal dungaa. Mujhe ab iss Pagal ki aadat padh chuki hai. Lo khaoo.

Nandini: Apne haatho se khilao.

Phir Karan apne haatho se Nandini ko ice cream khilata hai.

Aise hi hasi mazaak karte hue yehlog ice cream khatam karke so jaate hai.

Sham ko Ishant Shruti Yash Swati Ishita ke saath Kapoor house aate hai.

Sonal Swati ko dekh kar uske gale lag jaati hai.
Sonal: Aaplog. Aaiye baithiye.

Ishant aur Karan Raj aur Yash ko shaadi ka gift dete hai.
Raj aur Yash gift kholke dekhta hai toh usme Maldives aur Mauritius ka honeymoon package ke pass the.

Shruti aur Nandini: Yeh tumlogo ka honeymoon package hai. Nayi nayi shaadi hui hai jaao thoda ghum ke aao enjoy karo.

Sonal Honeymoon ka sunke toh ekpal ke liye sharma jaati hai par phir Raj ki taraf dekhti hai jo uski taraf hi dekh raha thaa.

Sonal: Didi abhi hum kahi nhi jaayenge jab tak aapdono ki delivery nhi hojaati.

Swati: Sonal ne sahi kaha. Jab tak aapdono ki delivery nhi hojaati hum kahi nhi jaayenge.

Dono: Aree abhi isme time hai tab tak toh tumlog aajaogee.

Ishita: Aur choti bhabhi jab tak aap nhi aati ghum ke tab tak main khayal rakhungi badi bhabhi ka.

Smita: Issbaar toh inndono ki baat se hum bhi sehmat hai. Nayi nayi shaadi hui hai jaao thoda ghum ke aao.

Raj: Par Mummy abhi itne din office ki chutti hogyi hai aur abhi phir se itne din ki chutti.

Yash: Mann mein. Saala khud bhi nhi jaayega aur mujhe bhi nhi jaane degaa. Har waqt bas kaam aur kaam.

Sonal: Haa Mummy. Mera bhi itne din ka college off hojayegaa.

Smita: Yeh package kab tak ke liye valid hai.

Ishant: 10 din mein kabhi bhi jaa sakte hai 7 din ke liye.

Smita: Tab toh achhi baat hai. 10 din mein apna college aur office ka kaam sambhalo aur phir niklo. Aur mujhe koi baat nhi sunni.

Smita ke order pe jaha Raj aur Sonal chupp hojaate hai wahi Yash khush hojaata hai.

Yash: Mann mein. Smita Aunty ki jai ho. Chalo ab Swati ke saath akele time spend karenge.

Ragini: Tumlog decide karlo kab jaana hai.

Charo: Jiii.

Phir sab baithke baate karne lagte hai. Sonal kitchen mein raat ke khaane ki taiyaari kar rahi hoti hai toh Swati uske paas chali jaati hai.

Swati: Sonal khush hai naa tu.

Sonal: Haa di. Mujhe toh lag hi nhi raha hai main ab apne sasuraal mein hu aisa lag raha hai jaise yeh mera maayka hi hai. Aap achhi ho naa.

Swati: Main bhi achhi hu. Tu honeymoon ke liye excited hai naa.

Sonal: Sharmaa ke. Haa di.

Swati: Raj ka behaviour kaisa hai.

Sonal: Jaisa pehle tha ab bhi waisa hi hai koi change nhi hua hai.

Swati: Dheere dheere hojayega Sonal. Abhi toh 1 din hi hua hai.

Sonal: Haa di.

Phir dono behen baate karte hue dinner banane lagte hai.

Raat ko Ishant Shruti Yash Swati Ishita dinner karke apne ghar chale jaate hai.

Nandini: Toh Raj kab jaane ka socha hai tumlogo ne.

Raj: Bhabhi abhi 10 din ka time hai naa. Chale jaayenge.
Nandini: Tumse toh bolna hi bekaar hai tumhara toh harwaqt bas kaam hi kaam. Sonal tum batao.

Sonal: Jaisa Raj chahenge waisa hi karenge bhabhi.
Nandini: Tum bhi iske rang mein rang gayi.

Sonal: Mann mein. Main toh Raj ki hi hu unki ichha toh mere liye order hai.

Karan: Thikk hai naa Nandini chale jaayenge kuch din baad. Waise bhi abhi abhi shaadi hui hai phir itne saare functions the thoda rest karlene do.

Nandini: Yeh bhi thikk hai.

Phir sab apne apne kamre mein chale jaate hai.

Raj room mein aake bed se pillow leke sofa mein sone ke liye chala jaata hai.

Sonal: Raj yeh kyaa kar rahe hai aap.

Raj: Sone jaa raha hu.

Sonal: Par aap yaha toh bed mein so sakte hai naa.

Raj: Nhi Sonal. Abhi tak mujhe woh haq nhi hai. Jis din mujhe woh haq milega main bed mein so jaunga.

Sonal: Parrrr.

Raj: Sonal jis chiz ko karne ki izazat mera dil nhi deta main woh chiz nhi karta isiliye tum aaram se so jaao. Good Nighttt. Yeh bol Raj Sofe pe aaram se sojaata hai.

Sonal bhi bina kuch bole bed mein aajati hai aur sone lagti hai.

Raj: Sonalll.

Sonal: Ji Rajjj.

Raj: Tumhe bura toh nhi laga naa ke maine kuch din baad ghumne jaane ka bola.

Sonal: Bilkul bhi nhi Raj. Aapse badh kar mere liye kuch bhi nhi hai. Aap jab chahenge hum tab chalenge.

Raj: Hum agle hafte jarur chalenge.

Sonal: No problem Raj.

Raj: Good Night.

Sonal: Good Night.


Phir dono so jaate hai.
बहुत ही बेहतरीन।।
 

dhparikh

Well-Known Member
10,503
12,114
228
Update 43
2 ghante baad Sonal aur Swati pune pahonch jaate hai jaha Rashi unhe lene ke liye aayi hui thi.

Rashi: Welcome to Pune didi.

Dono: Thank You aur Congrats Rashi.

Rashi: Thank You didi. Aane mein koi takleef toh nhi hui naa. Aur dono jijaji nhi aaye.

Dono: Aree undono ko bahot jaruri kaam hai isiliye Sagai ke pehle din aayenge. Tu yeh bata yeh achanak sagai ka faisla kaise liya.

Rashi: Mummy Papa ne pasand kiya. Rishta achha laga isiliye maine bhi haa kardiya.

Dono: Achhi baat hai.

Aise hi baate karte hue yehdono ghar aajate hai jaha pe pehle se hi Deepak Meera aur Samar the aur kuch rishtedaar bhi the.

Sonal aur Swati jaake apne maa baap aur bhai ke gale lag jaati hai.

Meera: Kaisi hai meri bachhiyan. Khush toh ho naa.

Dono: Hum achhe hai Mummy aur bahot khush hai. Aaplog kaise ho.

Meera: Tumdono ko dekhliya naa toh ab hum bhi khush hogaye. Aao baitho.

Phir dono baithke sagai ki taiyaari ko leke baate karne lagte hai par uske pehle Mumbai call karke baat karli thi.

Raat ko jab Raj ghar aata hai toh usse mahaul thoda ajeeb dikhta hai. Kyoki baaki ke dino mein jab woh ghar aata tha toh Sonal humesha uske saamne rehti thi aur aaj woh nhi thi isiliye Raj ko mahaul ajeeb laga.

Woh sidha apne kamre mein aata hai toh waha bhi usse same feeling aati hai. Phir woh change karke washroom mein jaake fresh hota hai aur jab bahar aata hai toh bed mein usko uske kapde nhi dikhte aur office ke kapde bhi wahi pade hue dikhte hai.

Raj: Sonal ne meri aadat bigaad di hai. Jab woh thi toh mujhe yehsab kabhi dekhne ki jarurat hi nhi padhti thi. Phir woh khud hi apne kapde nikalta hai aur office ke kapde side karta hai.

Dinner ke baad woh sone aata hai toh usko Sonal ka call aata hai.

Sonal: Aap ghar aagaye.

Raj: Haa aagaya.

Sonal: Dinner kiyaa.

Raj: Haa karliyaa. Tumne kiya.

Sonal: Haa karliyaa.

Raj: Sagai ki taiyaariyan hogyi.

Sonal: Bas chal rahi hai. Aapka din kaisa raha aaj.

Raj: Thikk hi thaa.

Sonal: Achha ab so jaaiye. Kal office bhi jaana hai.

Raj: Hmm Good Night.

Sonal: Good Night.

Phir call cut karke Raj so jaata hai.

Agle din Raj late so ke uthta hai. Kyoki jab se shaadi hui thi tabse Sonal hi roj Raj ko jagati thi.

Raj: Aree aaj itna late hogya Sonal ne mujhe jagaya nhi. Yeh bol woh Sonal ko bulane lagta hai. Sonall sonallll . Aree Sonal toh yaha hai hi nhi. Sonal ki aadat padh gayi hai mujhe.

Phir woh jaldi se uthta hai aur jaldi se ready hoke breakfast karke office chala jaata hai.

Par office jane ke pehle tak Raj ki halat kharab hojaati hai. Usko uska koi bhi samaan nhi mil raha tha. Uski Watch uska purse uski files kapde yaha tak ke usko uska towel bhi nhi mil raha tha. An usko Sonal ki importance samaj aarahi thi. Aur isi chakar mein usne Sonal ko 1 ghante ke andar 10-15 baar call karliya tha puchne ke liye ke uska samaan kaha kaha hai. Aur har baar Sonal patiently Raj ka call receive karti aur jawaab deti.

Sonal ke gharwale aur relatives usko dekh kar hase jaa rahe the par Sonal ko isse koi fark nhi padh raha tha. Uske liye toh itna hi bahot tha ke woh Raj se baat kar paarahi hai.

Agle din Raj sirf usse baat karne ke liye call karta hai jisse Sonal bahot khush hojaati hai.

Usidin raat ko jab Raj office se ghar aata hai toh Nandini usse puchti hai.

Nandini: Raj.

Raj: Jii Bhabhi.

Nandini: Tum kab jaa rahe ho pune.

Raj: Jii Kal dopahar ko pahonch jaunga.

Nandini: Sonal ko bata diya.

Raj: Jii nhi. Socha hai usko surprise dunga. Aap bhi mat bataiyega.

Nandini: Achhi baat hai. Kuch aur bhi baat karni thi.

Raj: Haa Bhabhi boliye naa.

Nandini: Tum iss shaadi se khush toh ho naa. Maana tumne choti mummy ki marzi aur gharwalo ki khushi ke liye shaadi karli hai. Par Sonal bahot ladki hai Raj. Maine dekha hai kis tarah woh pagal yaha sirf tumhare liye jeeti hai. Uski subah tumse hoti hai to raat tumpe khatam hoti hai.

Raj: Main jaanta hu bhabhi ke Sonal bahot achhi ladki hai. Aur shaadi ke itne mahine baad bhi usne bina kuch maang kiye sirf mera saath nibhaya hai. Jabki maine toh usse abhi tak uska pura haq tak nhi diya hai par woh bina iss baat ki parwaah kiye mere saath hai. Aur main yeh bhi maanta hu ke mere liye Sonal se achhi ladki nhi milsakti thi. Woh sach mein bahot achhi hai.

Nandini: Toh tum usko uska pura haq kyo nhi de dete Raj. Maine dekha hai inn 2 dino mein tumhari aankhe sirf aur sirf Sonal ko khojti hai. Tum rehte toh humsab ke saath ho par tumhara dil aur dimaag Sonal ke saath chala gaya hai. Aur kahi na kahi tum bhi shayad usse pyaar karne lage ho.

Nandini ke iss baat pe Raj puri tarah se shock hojaata hai. Khaash kar woh last mein tum bhi se.

Raj: Shock hoke. Kyaa kaha aapne abhi. Phir se kehnaa.

Nandini ne josh josh mein bol toh diya ke Sonal bhi Raj se pyaar karti hai par ab usse apni galti pe pachtava horaha tha.

Raj: Maine kuch pucha hai bhabhi aapse.

Nandini: Ghabrake. Maine maine kyaa kaha.

Raj: Aapne abhi abhi kaha ke ke shayad kahi na kahi main bhi Sonal se pyaar karne laga hu. Iss main bhi se aapka kyaa matlab tha bhabhi.

Nandini ab puri tarah ghabra jaati hai. Woh kyaa bole usko samaj nhi aaraha tha.

Raj: Bataiye bhabhi. Iss main bhi se aapka kya matlab tha. Kyaa Sonal mujhse pyaar karti hai. Bataiye bhabhi.

Raj ke itne baar ek hi baat puchne se Nandini bhi ab sach boldeti hai.

Nandini: Haa woh tumse pyaar karti hai. Aur bahot pyaar karti hai. Usne jis din tumhe dekha tha usi din se woh tumse pyaar karti hai. Par usne shaadi tumse isliye nhi ki ke woh tumse pyaar karti hai balki usne sirf tumhara dard baatne ke liye hi yeh shaadi ki hai.

Nandini ke baat pe Raj hadd se jyaada shock hojaata hai. Aur ab woh andar hi andar guilty feel kar raha tha.

Raj: Yeh sab aapne abhi jo kaha woh sach hai.

Nandini: Yeh utna hi sach hai jitna tum Megha se pyaar karte ho.

Raj shock hoke wahi bed mein baith jaata hai. Usko samaj nhi aaraha tha ke woh kyaa bole kyaa kare.

Nandini: Raj kyaa soch rahe ho.

Raj: Kyaa main sach mein Sonal ke pyaar layak hu. Woh mujhse itna pyaar karti hai aur main yeh aaj tak samaj hi nhi paaya. Usne toh mujhe apne pyaar ka karzdaar bana diya hai bhabhi. Yeh jaante hue bhi ke uska pyaar puri tarah se ek tarfa hai phir bhi usne mujhse pyaar kiya aur sirf mere dukh dard akelapan kam karne ke liye usne apni puri zindagi mere naam kardi. Kyaa main kabhi uske yeh karz utaar paunga bhabhi.

Nandini: Tum aisa kyo soch rahe ho Raj. Sach kahu toh jaise Sonal tumhare liye perfect hai waise hi tum bhi Sonal ke liye perfect ho. Aur pyaar mein yeh karz nhi hota hai Raj. Agar pyaar mein karz hota hai toh shayad Megha bhi tumhare pyaar ki karzdaar hai. Aur hosakta hai iss karz ke chalte abhi tak usse shanti nhi mili hogi.

Aur agar tumhe lagta hai ke tum Sonal ke pyaar ke karzdaar ho toh tum uska yeh karz chuka do shayad isse Megha ke upar jo karz hai woh bhi khatam hojaaye. Aur tumne kaha Sonal ka pyaar ektarfa hai. Par inn kuch mahino mein mujhe aisa nhi laga. Tum bhi kahi na kahi Sonal se pyaar karne lage ho par iss baat ko maan nhi paa rahe ho.

2 din se Sonal tumhare paas nhi hai toh tumhari aankhe sirf Sonal ko khoj rahi hai yeh pyaar nhi toh aur kyaa hai Raj. Tum office jaane ke pehle ek baar pichhe ghum ke dekhte ho ke kahi se Sonal aajaye aur tumdono saath saath niklo yeh pyaar nhi toh aur kya hai Raj. Uske saath tum khush rehte ho uske rehte hue tumhe Megha ki yaad tak nhi aati. Tum humare purane wale Raj ban gaye ho.

Raj bas baitha Nandini ki baato ko sunn raha tha aur soch raha tha ke jo bhi Nandini ne bola hai woh sab sach hi toh hai. Sonal ke bina Raj ka mann bhi jaise ashant hogya hai. Uski aankhe har waqt Sonal ko hi khojti hai.

Nandini: Main aur kuch nhi kahungi Raj. Bas itna kahungi Sonal ko yeh mat batana ke maine tumhe uske pyaar ke baare mein bata diya hai. Aur hosake toh uss bechari ko uska pyaar de do. Usne bahot kiya hai tumhare liye. Itna toh koi nhi karta kisi ke liye.


Yeh bol Nandini waha se chali jaati hai.
Nice update...
 
  • Like
Reactions: Jaguaar and Luffy
Top