• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Bepanaah Ishq (Completed)

Mahi Maurya

Dil Se Dil Tak
Supreme
33,376
59,056
304
Update 39
Agle din subah Sonal jaldi uthke taiyaar hoti hai aur niche aake naashte ki taiyaari karne lagti hai.

Smita Ragini aur Nandini jab kitchen mein aate hai toh dekhte hai Sonal naashta ready kar rahi hoti hai.

Smita: Tum yaha kyaa kar rahi ho itni subah. College nhi jaana.

Sonal: Good Morning Badi Mummy, Mummy, Bhabhi.

Teeno: Good Morning.

Sonal: Main woh nashta taiyaar kar rahi thi. Aur abhi college mein time hai Mummy.

Ragini: Tumhe abhi yeh sab karne ki koi jarurat nhi hai. Maana tumhari shaadi hogyi hai par abhi sirf apne padhai mein dhyaan do.

Sonal: Par ab yeh toh mera bhi ghar hai naa. Aur apne ghar mein kaam karne se aap mujhe nhi rokh sakti.

Smita: Didi saare pagal humare ghar mein hi hai. Hum inhe jitna bhi bol le yeh nhi sunenge. Karo jo marzi karna hai par agar result kharab hua naa toh humse bura koi nhi hogaa.

Sonal: Thank You. Aaplog bahar baithiye nashta bas ready hone hi wala hai.

Nandini: Tumne toh saara kaam karliya hai. Humare liye kuch bacha hi nhi hai.

Sonal: Aap yaha kyo aayi. Aap jaaiye jaake bahar baithiye. Mere saamne aapki kitchen mein no entry.

Nandini: Aree tum bhi sabki tarah karogi. Thik hai nhi karti koi kaam. Par help toh kar hi sakti hu naa.

Sonal: Thikk hai par durr see.

Nandini: Raj uth gaya.

Sonal: Pata nhi shayad uth gaye honge. Main dekh kar aati hu. Tab tak aap chai bana dijiye.

Nandini: Thikk hai tum jao.

Phir Sonal apne kamre mein aati hai toh dekhti hai Raj abhi bhi so raha tha.

Sonal jaake Raj ko uthati hai.

Sonal: Good Morning Raj.

Raj: Good Morning.

Sonal: Breakfast ready hai ab taiyaar hojaaiye.

Raj: Hmmm.

Phir Raj washroom chala jaata hai aur Sonal bhi niche chali jaati hai. Raj jab naha ke bahar aata hai toh dekhta hai bed mein uske kapde rakhe hue hai.

Raj woh kapde pehen ke nichhe aata hai aur breakfast karne lagta hai.

Raj: Sonal college ke liye ready ho tum.

Sonal: Jiii.

Savitri: Rajj aaj office se jaldi aajana.

Raj: Koi kaam hai Dadi.

Savitri: Haa. Aaj ghar mein ek party hai. Tumdono ki shaadi toh Jaipur mein hui thi isiliye yaha Mumbai mein aaj ek reception hai isiliye jaldi aajana.

Raj: Jii thikk hai.

Breakfast ke baad Raj upar aata hai toh waha uska rumaal mobile laptop purse sab ek jagah rakha hua hai.

Raj woh sab leke nichhe aata hai aur Sonal ko leke college ke liye nikal jaata hai.

Thodi der mein wohlog college Pahonch jaate hai. Jaha college ke bahar hi Ishita aur Payal khadi thi.

Raj: Tumdono bahar kyaa kar rahi ho.

Dono: Hum apni bhabhi ko receive karne aaye hai.

Raj: Yehsab naa karke padhai likhai kiya karo.

Dono Raj ko ghurr ke dekhti hai toh Raj waha se nikal jaata hai. Sonal Raj ko jaate hue dekhti rehti hai.

Dono: Welcome Bhabhi. Aapke college mein aapka swagat hai.

Sonal: Thank You. Aur yeh tumdono di se sidha bhabhi kisliye.

Dono: Aree ab humara rishta jo badal gaya hai. Aapke pati humare bhaiya hai toh iss hisaab se aap humari bhabhi hui naa. Aur ab se hum aapki bhabhi hi bulayenge.

Sonal: Achhi baat hai. Chalo andar chalte hai. Mujhe itne din ke notes bhi lene hai.

Phir Sonal apna college complete karke ghar wapas aajati hai. Jab woh ghar aati hai toh waha pe Deepak Meera aur Samar baithe hue the. Sonal Meera ko dekh kar bhaag ke uske gale lag jaati hai.

Sonal: Mummy. Kaisi ho aap.

Meera: Main achhi hu. Tu kaisi hai.

Sonal: Main bahot achhi hu Mummy.

Meera apne bachhi ko khush dekh kar bahot khush thi. Bhale hi woh usi ghar mein thi jaha woh pichle kuch mahino se reh rahi thi par ab uska rishta badal gaya tha.

Thodi der baad Swati bhi aajati hai woh bhi apne maa baap aur bhai se milke bahot khush thi.

Sham ki party ke liye Sonal aur Swati ko achhe se ready kiya jaata hai. Raj aur Yash bhi office se aagaye thee.

Raj jab apne kamre mein jaata hai toh dekhta hai Sonal waha baithi hai.

Sonal: Aap aagaye. Aap baithiye main aapke liye chai leke aati hu.

Raj: Nhi rehne do. Waise achhi dikh rahi ho.

Sonal: Sharmake. Thank You. Aap jaldi se fresh hojaaiye.
Raj: Hmmm.

Phir Raj jaldi se fresh hoke bahar aata hai toh waha uske kapde rakhe hue the. Woh unhe pehen leta hai.

Tabhi Sonal Raj ke liye ek tray mein thoda nashta le aati hai.

Raj: Iski jarurat nhi thi Sonal.

Sonal: Mujhe pata hai aapne aaj lunch thik se nhi kiya hai. Itne din baad aap office gaye the toh aap kaam mein hu busy thee. Isiliye thoda sa khaa lijiye dinner mein abhi bahot time lagega.

Raj Sonal ko bas ektak dekhte rehta hai. Aur mann mein sochta hai. Kitne achhe se samajti hai Sonal mujhe. Mere bina kahe hi isko pata chal gaya ke maine aaj lunch thik se nhi kiya hai.

Sonal: Kyaa huaa. Kyaa soch rahe hai aap.

Raj: Kuch nhi. Phir Raj wahi baithke khaane lagta hai.
Thodi der baad dono nichee aate hai toh dekhte hai guest ka aana start hogya hai.

Party mein Kapoor Group of Companies ka partners competitors jo log shaadi mein nhi aa paaye the wohlog iss party mein aaye the. Saath hi relatives bhi thee Karan ke kuch collegues bhi aaye the.

Raj sabse Sonal ko introduce karwata hai. Kuch log Sonal ko pehle se jaante the toh kuch naye the. Party mein Mr. Shetty bhi aaye hue thee.

Mr. Shetty: Wishing you a very happy married life Mr. And Mrs. Kapoor.

Dono: Thank You.

Mr. Shetty: Toh ussdin maine hotel mein future ko hi guess karliya tha Mr. Kapoor.

Raj bas halka sa smile kardeta hai.

Mr. Shetty: I must say Mr. Kapoor aap dono ki jodi bahot achhi lag rahi hai. Uss din hotel mein bhi aapdono eksaath bahot achhe lag rahe the.

Dono: Thank You Mr. Shetty.

Phir aise hi sab party enjoy kar rahe the. Puri party mein Raj ne Sonal ko ek pal ke liye bhi akela nhi chora tha. Woh apni zimmedaari achhe se nibha raha tha. Sonal Raj ka yeh behaviour dekh kar bahot khush thi.

Deepak aur Meera bhi apni dono betiyon ko khush dekh kar khush the.

Idher Party mein hi Samar aur Ishita ka nain mataka chal raha thaa. Dono ekdusre ko durr se hi dekh rahe the aur isharo mein baate kar rahe the.

Ishita Payal ke saath ek jagah khadi thi toh Samar Aarav ke saath. Aarav Payal ko ishare se apne paas bulata hai toh Payal mana kardeti hai. Par Aarav jidd karta hai toh woh aajati hai.

Samar isi mauke ka faiyda uthake Ishita ke paas chala jaata hai.

Samar: Hiii.

Ishita: Hiii.

Samar: Aaj achhi dikh rahi ho.

Ishita: Kyo baaki din kya buri dikhti hu.

Samar: Ab woh mujhe kaise pata hoga. Maine jab bhi dekha hai kisi party mein hi dekha hai ya phir social media mein.

Ishita: Social media mein matlab tum mujhe stalk karte ho uss Vicky ki tarah.

Samar: Aree kiska naam le liya. Aur main kaha stalk karta hu. Bas kabhi kabhi nazar padh jaati hai.

Ishita: Haa tabhi mere har post pe likes and comments aate hai.

Samar: Yaani tumne notice kiya.

Ishita: Ab tumhari wajah se itne notifications aate hai toh hogya notice. Waise tumhare uss kuch din pehle ke post mein woh ladki kaun thi tumhare saath.

Samar: Woh meri college friend hai.

Ishita: Friend ya girlfriend.

Samar: Aree nhi bas friend hai. Aur tum itne purana post ke baare mein achanak puch rahi ho yaani tum bhi mujhe stalk karti ho.

Ishita: Oo Hello.

Samar: Hello.

Ishita: Haklaate hue. Main koi stalk nhi karti woh mere timeline mein aaya tha isiliye pucha. Aur tum kuch bhi karo mujhe kyaa.

Samar: Hmm sahi kaha. Main kuch bhi karu tumhe kyaa. Waise ek help karogi meri.

Ishita: Kyaa.

Samar: Woh waha woh ladki dikh rahi hai green dress mein.

Ishita: Samar ko ghurtee hue. Haa toh.

Samar: Tum jaanti ho usse.

Ishita: Jyaada achhe se nhi.

Samar: Thodi meri usse jaan pehchan karwa dogi.

Ishita: Gusse se ghurte hue. Tumne mujhe kyaa samjha hai. Aur tum usse durr rehna samjhee.

Samar: Aree gussa kyo horahi ho. Main toh bas dosti karna chah raha tha. Yaha akela bore horaha hu.

Ishita: Gusse se. Main kaha gussa hu. Aur main kyo gussa houngi. Tumhe jo karna hai karo. Mujhe kya. Aur akele kyo ho Aarav bhaiya hai Karan bhaiya hai Yash bhaiya hai unke saath raho apni dono didi ke saath raho.

Samar: Achha achha thikk hai tum bilkul bhi gussa nhi ho. Dekho Aarav toh dikh nhi raha hai. Karan Bhaiya aur mere age mein bahot difference hai. Yash Jijaji toh Swati di ke saath apne office ke logo ke saath hai. Sonal di bhi Raj Jijaji ke saath hai.

Ishita: Toh mere saath raho. Aur koi jarurat nhi hai kisi green wali yaa blue wali ke paas jaane ki.

Samar: Mujhe kahi se jalne ki bhuu aarahi hai.

Ishita: Jale meri juti. Aur tum chup chaap khade raho agar mere paas se hile bhi toh haddiyan tod dungi. Karate black belt hu main.

Samar: Lagta nhi hai.

Ishita: Namuna dekhna hai.

Samar: Nhi nhi rehne do. Samaj gaya.

Ishita toh Samar ko gusse se ghure jaarahi thi aur Samar dheere dheere hase jaaraha tha.

Dekhte dekhte party khatam hojaati hai saare guest bhi chale jaate hai. Ab bas ghar ke log hi reh gaye the.

Ishant: Papa ab hum bhi chalte hai.

Ashok: Dhyaan se jaana.

Nandini: Shruti saari taiyaari hogyi hai naa.

Shruti: Jii bhabhi. Aur yaha saari taiyaariyan hogyi.

Nandini: Haa yaha bhi hogya hai. Aarav Payal hogya hai naa.

Dono: Haaa. Hogya hai.

Raj: Kaisi taiyaariyan.

Nandini: Thodi der mein pata chal jayega.

Shruti: Achha Mummy Papa ab chalte hai.

Phir Swati apne Mummy Papa Sonal aur Samar se milke apne ghar chali jaati hai.

Nandini: Sonal tum mere saath chalo kuch kaam hai.

Sonal: Ji bhabhi chaliye.

Phir Nandini Sonal ko leke Raj ke room mein aati hai.

Sonal jab room ko dekhti hai toh shock hojaati hai. Kyoki room ko achhe se sazaya diya tha. Bed ko bhi achhe se saza diya gaya tha. Hartaraf ek alag hi khushboo thi.

Sonal: Bhabhi yehsab kyaa hai. Aur yehsab kab kiyaa.

Nandini: Tumlog toh party mein the maine Karan ne Aarav aur Payal ne milke kiya hai.

Sonal: Par kisliyee.

Nandini: Aree shaadi hue 2 din hogye hai. Tumdono ki Suhagraat toh abhi bhi baaki hai naa. Toh yeh usi liye hai. Aur ab koi sawaal jawaab nahi. Aao yaha bed mein achhe se baith jao.

Sonal: Par Bhabhi....

Nandini: Ekdum chup. Baitho yaha chup chaap.

Nandini ki daant se Sonal chup chaap bed mein baith jaati hai.

Nandini: Bahot achhe. Abb thodi der wait karo main Raj ko bhejti hu. Yeh bol Nandini waha se nikal jaati hai. Idher Sonal ke mann mein ek ghabrahat chal rahi thi.

Nandini nichhe aati hai aur Raj se kehti hai.

Nandini: Raj jao ab apne kamre mein.

Raj: Baat kyaa hai bhabhi. Pehle aap Sonal ko le gayi aur aap kaisi taiyaari ki baat kar rahi thi.

Nandini: Apne kamre mein jao sab samaj jaaoge.
Raj: Good Night.

Nandini: Good Nighttt.

Phir Raj apne kamre mein aata hai aur kamre ko dekh kar woh bhi shock hojaata hai.

Raj: Yehsab kyaa hai Sonal.

Sonal: I am sorry Raj. Par mujhe nhi pata tha iske baare mein. Yehsab bhabhi ka kiya dhara hai.

Raj: I Am Sorry Sonal par main abhi iske liye taiyaar nhi hu.

Sonal: Main samaj sakti hu Raj. Maine aapko pehle bhi bola hai aapko jitna time chahiye aap le sakte hai. Aap fresh hojaaiye.

Raj: Thank You Sonal. Tum sach mein bahot achhi ho.
Sonal bas ek smile kardeti hai. Phir Raj fresh hone chala jaata hai. Sonal Raj ke kapde nikal rakh deti hai Raj ke aane ke baad phir khud bhi fresh hone chali jaati hai.

Sonal jab fresh hoke aati hai toh dekhtu hai Raj khidki ke paas khada hai.

Sonal: Kyaa baat hai Raj neend nhi aarahi hai. .

Raj: Kyaa tum iss shaadi se khush ho Sonal.

Sonal: Shock hoke. Yeh aap kaisi baate kar rahe hai Raj. Main bahot khush hu iss shaadi se.

Raj: Sonal kisi bhi rishte ke liye sabse jyaada jaruri hai pyaar jo shayad main tumhe naa de paau. Phir bhi tum iss rishte mein ho kisliye.

Sonal: Muskurate hue. Aapne khud hi kaha ke shayad aap pyaar naa de paaye. Hosakta hai future mein aap pyaar de sake. Aur kisi bhi rishte mein pyaar ke saath bharosa bhi hota hai Raj. Aur mujhe aapke upar pura bharosa hai ke ekdin aap bhi pure dil se iss rishte ko apna lenge.

Raj: Aur agar nhi apna paaya toh.

Sonal yeh sunne ke baad ek pal toh ro de aisi hogyi par phir muskura ke boli. Toh kyaa hua. Hum best friend hai right. Toh saari zindagi best friend banke guzarenge. Iss chiz ki guarantee toh aap de sakte hai rightt.

Raj bas Sonal ko dekhe jaa raha tha aur soch raha tha ke kitne aasani se Sonal ne itni badi baat kehdi. Sirf dosti ke liye Sonal ne apni puri zindagi kurbaan kardi.

Sonal: Boliye Raj.

Raj: Main yeh promise karta hu Sonal. Future mein pata nhi iss rishte ka kya hoga par aaj se balki abhi se tum meri sabse achhi sabse pyaari dost banke rahogi. Tumhe kisi bhi tarah ki takleef nhi hone dunga kabhi bhi. Aur thikk 1 hafte baad hum ghumne jaayenge. Bolo kaha jaana hai Maldives ya Mauritius.

Sonal: Jaha aap lejayenge yeh Sonal waha jaayegi.

Raj: Aree aise kaise. Tum bolo kaha jaana chahogi.

Sonal: Aap kaha jaana chahte hai Raj.

Raj: Meri aisi koi ichha nhi hai. Jaha tum chahogi hum waha jaayenge.

Sonal: Mauritius chale.

Raj: Okk toh hum thik 1 hafte baad Mauritius jaayenge. Packing start kardo.

Sonal: Ab so jaaiye Raj. Bahot raat hogyi hai phir kal aapko office aur mujhe college bhi jaana hai.

Raj: Good Nighttt Sonal.

Sonal: Good Nightt Rajj.


Phir dono so jaate hai.
बहुत ही बेहतरीन कहानी महोदय।।
 

Mahi Maurya

Dil Se Dil Tak
Supreme
33,376
59,056
304
चालीसवाँ भाग

बहुत ही जबरदस्त।

तो समीर की चालाकी से विक्की पुलिस की गिरफ्त में आ ही गया।। विक्की के दूसरे फ़ोन ने उसका सारा राज़ खोल दिया। समीर के दो थप्पड़ ने उसके मुंह खोला दिए और उसने साफ सच्चाई कबूल कर ली। मिस्टर और मिसेज खन्ना तो सदमे में चले गए।। जिस माँ बाप ने अपने बच्चों को लाड प्यार से पाला हो। और जब बच्चे बड़े हो जाए और उन्हें ये पता चले कि उसका बच्चा किसी का खून करने की कोशिश की है तो उस माँ बाप पर क्या बीतती है जो अपने बच्चे को एक नेक और अच्छा इंसान बनाना चाहते हैं ये कोई नहीं जानता। विक्की के माँ बाप पर तो जैसे दुःखों का पहाड़ ही टूट पड़ा है।।
 

Mahi Maurya

Dil Se Dil Tak
Supreme
33,376
59,056
304
Update 41
Subah Sonal ki neend phone ki ring se toot ti hai. Woh neend mein hi phone receive karti hai.

Sonal: Hello.

Nandini: Pahonch gaye tumlog.

Sonal: Neend mein hi. Haa bhabhi hum toh subah 5 baje hi pahonch gaye the.

Nandini: Oookkk. Abhi kaha ho.

Sonal: Sapno ki duniya mein.

Nandini: Kyaaa abhi tak so rahe ho. Waha ke time ke hisaab se toh 10 baje rahe honge. Utho kitna so ge. Waha sone ke liye gaye ho.

Sonal: Bas bhabhi uth rahi hu.

Nandini: Hmm thikk hai. Achhe se ghumna aur khub enjoy karnaa.

Sonal: Jii bhabhi.

Phir call cut hojaata hai. Sonal angdaai lete hue uthti hai aur bagal mein dekhti hai toh waha Raj nhi thaa.

Sonal: Yeh Raj kaha chale gaye. Rajjj. Rajjj.

Sonal uthke washroom ke taraf aati hai toh waha door bahar se lock tha. Raj toh washroom mein bhi nhi hai. Kaha gaye hongee.

Sonal phir bed ke paas aati hai apna phone lene ke liye toh waha usse ek sticky note milta hai jo Raj ne rakha tha jisme likha tha...

Good Morning. I hope neend achhe se aayi hogi. Main neech lobby mein hu. Tension mat lena. Jaldi se taiyaar hoke neeche aajana. I am waiting.

Sonal yeh padhke jaldi se bag se kapde nikalke washroom ki taraf bhaagti hai aur thodi der mein achhe se ready hoke niche lobby mein chali jaati hai.

Nichhe Lobby mein jab Sonal aati hai toh dekhti hai Raj manager se baate kar raha thaa.

Sonal: Raj.

Raj jab Sonal ki taraf dekhta hai toh usko ek tak dekhta hi rehta hai. Jeans top leather jacket gale mein scarf aankho mein googles Sonal ki khubsoorati ko aur badha raha tha. Raj ne Sonal ko pehli baar western dress mein dekha thaa.

Sonal: Rajjj.

Sonal ke bulane se Raj hosh mein aata hai.

Raj: Haaa haa Good Morning.

Sonal: Good Morning.

Raj: Yeh western dress tumpe bahot achha lag raha hai.

Sonal: Sharmake. Thank You Raj. Aap bhi achhe lag rahe hai.

Raj: Thank You.

Sonal: Aapne mujhe yaha kyo bulaya.

Raj: Ab yaha hum ghumne aaye hai. Toh achhe se ghumenge na. Saara din room mein thodi rahenge. Hum ghumne jaa rahe hai isiliye bulaya.

Sonal yeh sunke bahot khush hojaati hai. Jo uske chehre se saaf pata chal raha tha.

Raj: Par uske pehle hum chalenge breakfast karne. Chalo chalte hai.

Phir Raj Sonal ke saath waha ke ek achhe se restaurant mein jaata hai jaha usne Mumbai se hi specially Sonal ki pasand ka indian food ke liye book kiya tha.

Dono uss hotel ke top floor mein naake ek achhe se cabin mein baith jaate hai jaha se Mauritius ka bahot hi sundar view mil raha tha.

Sonal: Its so beautiful Raj.

Raj: Pasand aaya.

Sonal: Bahotttt. Thank Youuu.

Raj: Aree abhi toh bahot kuch baaki hai. Aao baitho yaha pe.

Dono jaake ek table mein baith jaate hai.

Raj: Waiter please bring our order.

Raj ki baat ko sun waha khada waiter chala jaata hai.

Sonal: Raj humne toh koi order diya hi nhi. Phir woh kaha chala gaya.

Raj: Thodi der ruko pata chal jaayega.

Sonal Raj ki baat maanke waha baithke waha ka nazara dekhne lagti hai aur pictures click karne lagti hai.

Thodi der baad mein woh waiter unka order leke aajata hai. Khaana dekh kar Sonal hairaan hojaati hai.

Sonal: Rajjj yaha pe yeh sab.

Raj: Maine 2 din pehle hi mumbai se yeh sab arrange karwa diya tha. Pasand aaya.

Sonal: Thank You so much Rajjj. Mujhe yeh bahot pasand aaya.

Raj: Tum meri dost ho Sonal. Sabse achhi dost. Ab main kya mere dost ke liye itna nhi karsakta.

Raj ke muh se dost sunke Sonal thodi udaas hojaati hai par phir woh wapas hasne lagti hai yeh sochke ki ekdin dost se aage jarur badhenge.

Raj: Chalo start karo. Specially yehsab tumhare liye hi hai.
Sonal: Pehle aap start kijiye phir main karungi.

Phir dono khaana khaane lagte hai. Khaana dono ko hi achhe laga tha. Thodi der baad khaana khatam karke Guide ke saath Mauritius ke famous jagah pe ghumne ke liye nikal jaate hai.

Sonal Raj ke saath bahot enjoy kar rahi thi. Jaha Raj yehsab ek dost ke naate kar raha tha wahi Sonal Raj ka pyaar samaj ke enjoy kar rahi thi. Par usko Raj ke dil ka haal pata tha.

Pura din ghumne ke baad dono bahar dinner karke wapas hotel aajate hai.

Sonal: Aaj ke din ke liye Thank You so much Raj.

Raj: Tumhe andaza bhi hai tumne subah se kitni baar Thank You bola hai.

Sonal: Jitni baar bhi bolo kam hai.

Raj: Yeh choro tumhe achha laga na.

Sonal: Bahotttt.

Raj: Bas yehi chiz tum ghar mein boldena. Waha harkoi mujhe yeh bolraha tha Sonal ka khayal rakhna usko achhe se enjoy karana khush rakhna. Ek baat batao ghar walo pe aisa kaunsa jaadu kardiya hai tumne jo harwaqt tumhare baare mein hi baate karte hai.

Sonal Raj ki baate sunke hasne lagti hai.

Raj bhi Sonal ko aise haste dekh khush thaa. Chalo ab so jaao bahot raat hogayi hai.

Sonal: Jiii.

Phir dono fresh hoke so jaate hai.

Aise hi inke honeymoon ke 10 din haste khelte hue guzar jaate hai aur dono wapas mumbai aajate hai. Raj ne Sonal ki har khwaish har khushi ka dhyaan rakha tha. Usko pure Mauritius ka tour karwaya tha. Bahot saari shopping karwayi thi aur koi na koi surprise bhi deta rehta tha.

Sonal ne bhi Raj ke saath bahot enjoy kiya. Raj ka uske prati itna care dekhkar uske dil mein Raj ke liye pyaar aur badh gaya tha. Aur ab toh Sonal Raj ke bina jaise ek pal bhi nhi reh sakti thi.

Udher Yash aur Swati unndono mein toh Raj aur Sonal jaisa kuch nhi tha. Dono apne honeymoon ka pura faiyda utha rahe the. Mumbai mein jo dono ekdusre ke saath akele time spend nhi kar sakte the woh dono ne Maldives mein samundar ke beecho beech interest ke saath wasool kiya tha.

Aise hi dekhte dekhte 6 mahine guzar jaate hai. Inn 6 mahino mein Raj ko toh Sonal ki aadat padh chuki thi. Usko har ek chiz ke liye Sonal ki jarurat padhti thi. Yaha tak ke uske office ke files kaha hai iske liye bhi usko Sonal ki jarurat padhti thi. Aur kahi na kahi Raj ke dil mein Sonal ke liye ek khaash jagah ban gayi thi.

Sonal toh ab jaise Raj ke pyaar mein puri tarah se pagal hochuki thi. Ab uski halat aisi thi ke Raj ko bina dekhe usko ek pal bhi chain nhi aata tha. Subah se lekar raat tak woh bas Raj ke liye hi kaam karti rehti.

Raj bhi Sonal ka achhe se khayal rakhta tha usko aaye din dinner pe ya shopping pe ya ghumane le jaata tha. Raj ne jaisa wada kiya tha ke woh Sonal ko kisi chiz ki kami nhi hone dega woh uss waade ko achhe se nibha raha tha.
Idher Nandini aur Shruti ne bhi bete aur beti ko janam diya tha. Dono hadd se jyaada khush the. Aakhir maa banne ki khushi kisko nhi hoti. Shruti ne Nandini ke bete ka naam aur Ishita ne Shruti ki beti ka naam rakha tha Kartik aur Shrishti.

Sonal dono ke liye bahot khush thi par uske mann mein ek dukh tha ke kya kabhi usko yeh sukh milega. Kyaa woh kabhi maa bann paayegi.

Idher Vicky ko 10 saal ko saza hui Sonal aur baaki sabko bhi pata chal chuka tha ke humle Raj ke upar hua tha jiske chalte sab darr gaye the jisme Sonal toh sabse jyaada darr gayi thi. Par Raj aur Karan ne milke sabko shant karwa diya tha.

Rajesh aur Ranjeet dono underground the abhi bhi aur wahi se naya plan bana rahe the aur issbaar unka target Raj nhi Sonal thi. Woh Raj ke jeevan uske sabse jyaada close insaan ko usse durr kardena chahte the aur unke nazar mein patni se jyaada close aur kaun hosakta tha isiliye unka next target ab Sonal thi.

Aarav aur Payal ke baare mein sabhi gharwalo ko bata diya gaya tha pehle toh sabhi ne dono ki bahot khinchai ki phir Payal ki padhai ke baad engagement fix kardi gayi. Ishita aur Samar dono ab relation mein the par iski khabar kisi ko nhi thi.

Ekdin Raj jab office se aata hai toh uska mood bahot off tha aur Sonal ko yeh dekh kar bilkul achha nhi lag raha tha.

Sonal: Kyaa baat hai Raj. Aaj aap udaas dikh rahe hai. Office mein kuch hua kyaa.

Raj: Bujhe mann se. Nhi Sonal aisi koi baat nhi hai. Bas thoda thakk gaya hu. Isiliye aisa lag raha hai. Yeh bol Raj fresh hone washroom chala jaata hai. .

Par Sonal ko Raj ki baat pe yakeen nhi hota. Isiliye woh Yash ko call lagati hai.

Sonal: Jijaji aaj office mein kuch hua hai kyaa Raj ka mood off lag raha hai.

Yash: Woh Sonal actually kal Megha ka birthday hai. Isiliye Raj ka mood off hai.

Sonal ab samaj gayi thi ke Raj kisliye dukhi hai.
Yash: Dekho Sonal bura mat manna par Raj ko aur thoda waqt do.

Sonal: Mujhe pata hai Jijaji. Aur maine Raj ko kaha hai unko jitna waqt chahiye woh le sakte hai. Aur kal aapke dost thoda late office aayenge.

Yash: Hmm. Thikk hai.

Phir call cut hojaata hai. Tab tak Raj bhi bahar aajata hai.
Sonal: Chaliye dinner karlijiye.

Raj: Mujhe bhuk nhi hai Sonal.

Sonal: Aree aise kaisee bhukk nhi hai. Aapko pata hai naa agar aap nhi khayenge toh Mummy bhi nhi khayengi. Aur agar aapdono nhi khayenge toh main bhi nhi khaungi. Aur mujhe bahot bhuk lagi hai Raj. Pleasee thoda sa khaa lijiye.

Raj Sonal ko dekhta hai jisne bahit hi masoom sa face banake bola tha. Jisse Raj bhi inkaar nhi kar paaya. Phir dono nichhe aake dinner karlete hai.

Sone ke waqt Sonal dekhti hai Raj bed mein leta hua hai aur apni aankho ko haath se dhaka hua hai.

Sonal: Rajjj.

Raj: Aankho se haath hatate hue dheeme awaaz mein. Hmm.

Sonal: Wo mujhey kal subah mandir jana hai toh aap le chalenge kya. Please mana mat karna actually maine mannat mangi hai ki kal aapke sath mandir me puja karke gareebo me kapde daan karungi.

Raj: Dheeme awaaz mein. Thikk hai.

Sonal: Good Night. .

Raj: Good Night.


Phir dono so jaate hai.
बहुत ही बेहतरीन कहानी।।

सभी के जीवन मे खुशिया आ चुकी हैं श्रुति और नंदिनी ने नन्हे मुन्ने को जन्म दिया है दोनों का नाम भी अच्छा रखा गया है। लेकिन सोनल को किस बात का दुःख है। उसने अपने लिए ये ज़िन्दगी खुद चुनी है। सबकुछ जानते बुझते हुए भी इस रास्ते पर अपनी मर्जी से आई है तो उसे दुःखी होना ही नहीं चाहिए इस बात को लेकर कि राज उसे प्यार करेगा कभी या नहीं।।

अपने पुराने प्यार को जो दिल की गहराइयों में बस हुआ है, जिससे आपका रिश्ता जिस्मानी नहीं रूहानी रहा हो, भुला देना इतना आसान नहीं है। उसे भूलने के लिए कभी कभी सारि ज़िन्दगी कम पड़ जाती है। राज़ को सोनल की आदत भले ही लग गई हो लेकिन उसके दिल मे आज भी मेघा है। सोनल के साथ भविष्य में क्या होता है ये तो समय बताएगा।।
 

Anshu Sharma

Shubham Yadav
2,564
1,370
144
  • Like
Reactions: Luffy and Jaguaar

Jaguaar

Well-Known Member
17,679
61,068
244
चालीसवाँ भाग

बहुत ही जबरदस्त।

तो समीर की चालाकी से विक्की पुलिस की गिरफ्त में आ ही गया।। विक्की के दूसरे फ़ोन ने उसका सारा राज़ खोल दिया। समीर के दो थप्पड़ ने उसके मुंह खोला दिए और उसने साफ सच्चाई कबूल कर ली। मिस्टर और मिसेज खन्ना तो सदमे में चले गए।। जिस माँ बाप ने अपने बच्चों को लाड प्यार से पाला हो। और जब बच्चे बड़े हो जाए और उन्हें ये पता चले कि उसका बच्चा किसी का खून करने की कोशिश की है तो उस माँ बाप पर क्या बीतती है जो अपने बच्चे को एक नेक और अच्छा इंसान बनाना चाहते हैं ये कोई नहीं जानता। विक्की के माँ बाप पर तो जैसे दुःखों का पहाड़ ही टूट पड़ा है।।
Thank you
 
  • Like
Reactions: mashish

Jaguaar

Well-Known Member
17,679
61,068
244
बहुत ही बेहतरीन कहानी।।

सभी के जीवन मे खुशिया आ चुकी हैं श्रुति और नंदिनी ने नन्हे मुन्ने को जन्म दिया है दोनों का नाम भी अच्छा रखा गया है। लेकिन सोनल को किस बात का दुःख है। उसने अपने लिए ये ज़िन्दगी खुद चुनी है। सबकुछ जानते बुझते हुए भी इस रास्ते पर अपनी मर्जी से आई है तो उसे दुःखी होना ही नहीं चाहिए इस बात को लेकर कि राज उसे प्यार करेगा कभी या नहीं।।

अपने पुराने प्यार को जो दिल की गहराइयों में बस हुआ है, जिससे आपका रिश्ता जिस्मानी नहीं रूहानी रहा हो, भुला देना इतना आसान नहीं है। उसे भूलने के लिए कभी कभी सारि ज़िन्दगी कम पड़ जाती है। राज़ को सोनल की आदत भले ही लग गई हो लेकिन उसके दिल मे आज भी मेघा है। सोनल के साथ भविष्य में क्या होता है ये तो समय बताएगा।।
Thank you
 
  • Like
Reactions: mashish
Top