• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Bepanaah Ishq (Completed)

Prem pyasa

Member
283
980
94
Update 4
Thodi der baad sab breakfast ke liye dining table pe baithe hue the.

Smita Raj ko breakfast serve karne aati hai toh Raj bolta hai.

Raj: Badi Mummy jaldi se mujhe breakfast de dijiye. Mujhe office jaldi jaana hai aaj.

Smita ke aansu nikal jaate hai. Woh wapas Ragini ke paas jaake khadi hojaati hai.

Raj ke aise behave karne se sabko bura lagta hai par woh kuch nhi bol paate.

Ragini Raj ko breakfast serve karti hai. Raj khaane lagta hai. Usko khaate dekh Smita bhi khana start karti hai.

Thodi der mein sabka breakfast hojaata hai.

Ashok: Kuch baat karni hai sabse.

Vijay: Bolo kyaa baat karni hai.

Ashok: Maa Rajasthan se Deepak ka call aaya tha abhi thodi der pehle.

Savitri: Achha kaise hai wohlog. Bahot din hogye unse mile hue. Bachhe bhi toh ab bade hogaye honge. Vijay Shruti ki sagai ka nyota bheja ki nhi unhe Karan ki shaadi mein toh woh nhi aa paaye the.

Vijay: Haa maa sabse pehle usse hi bheja hai.

Savitri: Achha hai. Bahot saal baad sab saath honge isi bahane.

Ashok: Maa woh Deepak ki majhli beti hai naa Sonal uska kal result aaya hai. Pure college mein top kiya hai usne.

Savitri: Areee waaah bahot achhi baat hai. Bachpan mein bhi bahot hoshiyaar thi.

Ashok: Haaa Maa. Aur usko apne college ki taraf India ke no. 1 interior designing college jo yehi mumbai mein hai usme aage padhne ke liye scholorship mili hai. Toh woh chahta hai koi achha sa flat ya PG ho toh bata du.

Savitri: Woh kyaa pagal hogya hai. Meri poti hai woh. Yaha uska ghar hote hue woh flat ya PG mein rahegi. Kabhi nhi. Nandini beta phone lagao jara Jaipur.

Nandini: Jii dadi.

Phir Nandini Jaipur call lagati hai toh Meera call uthati hai.

Meera: Hello.

Nandini: Hello.

Meera: Kaun.

Nandini: Meera chachi main Nandini bol rahi hu.

Meera: Aree Nandini beta tum. Kaisi hai tum. Ghar mein sab kaise hai. Maa ji kaisi hai. Tumhari saas kaisi hai. Devar nanad sab kaise hai.

Nandini: Main achhi hu. Ghar mein sab achhe hai. Mummy bhi achhi hai dadi bhi achhi hai. Devar aur nanad bhi achhe hai. Aaplog kaise hai.

Meera: Hum bhi achhe hai.

Nandini: Lijiye dadi baat karna chahti hai.

Savitri: Kaisi ho Meera.

Meera: Pranam Maa ji. Main achhi hu. Aap kaisi hai. Shruti ki sagai ki badhai ho.

Savitri: Shukriya aur main bhi achhi hu. Woh nalayak kaha hai phone de usse.

Meera: Jii Maa ji.

Phir Meera Deepak ke paas aati hai.

Meera: Mumbai se maa ji ka call hai aapse baat karna chahti hai.

Deepak: Maa ka call hai do jaldi.

Deepak: Pranam Maa. Kaisi hai aap.

Savitri: Main thikk hu. Par shayad tu sirf mujhe bolne ke liye hi Maa bolta hai. Dil se Maa nhi maanta.

Deepak: Yeh kaisi baat kar rahi hai aap Maa. Mere liye toh aap hi meri maa hai. Kya mujhse koi galti hui hai.

Savitri: Haa hui hai. Tune yeh socha bhi kaise meri poti yaha kisi flat ya PG mein rahegi. Uski dadi zinda hai abhi. Yaha mumbai mein ghar hai uska aur woh flat ya PG mein rahegi.

Deepak: Nhii Maa. Aisi baat nhi hai. Usko pure 2 saal ke liye jaana hai. Aaplogo ko pareshani hoti isiliye maine aisa kaha.

Savitri: Lagta hai itne saal se tujhe maar nhi padhi hai isiliye teri budhi bhrast hochuki hai. Sonal Savitri Kapoor ki poti hai. Aur meri poti 2 saal kya jitne din chahe yaha rahegi. Agar tune kuch bhi kaha toh mujhse bura koi nhi hoga.

Deepak: Jii Maa.

Savitri: Toh yeh tai raha Sonal yaha pe hi rahegi. Aur khabardaar aage se aisa kabhi socha toh. Mere liye tu waisa hi hai jaise Vijay aur Ashok hai samjha.

Deepak: Jii Maa.

Savitri: Ab yeh bata yaha kab aaraha hai.

Deepak: 1 hafte baad Shruti ki sagai hai tabhi aarahe hai.

Savitri: Thikk hai. Chal ab rakhti hu aur sagai mein aana jarur Karan ki shaadi mein tu nhi aaya tha.

Deepak: Jii Maaa.

Phir call cut hojaata hai.

Meera: Kyaa kaha Maa ji ne.

Deepak: Keh rahi thi Sonal unke saath rahegi naaki flat ya PG mein.

Meera: Yeh achha kiya Maa ji ne. Mera bhi mann nhi maan raha tha Sonal ka flat ya PG mein rehne ke liye.

Deepak: Hmmm. Sonal ko bulao usse baat karni hai.

Meera Sonal ko bula laati hai.

Meera: Tum kya sach mein waha padhna chahti ho.
Sonal: Ji Mummy.

Meera: Bags pack karlo. Tum 2 saal ke liye mumbai jaa rahi ho.

Sonal sunke bahot khush hoti hai. Woh apni maa ke gale lag jaati hai. Thank You Mummy. Thank You so much.

Deepak: Tum mumbai mein Flat ya PG mein nhi rahogi.
Swati: Toh Sonal kaha rahegi Papa.

Deepak: Sonal Kapoor House mein rahegi. Abhi Maa ka call aaya tha unhone kaha hai Sonal unke saath rahegi.
Sonal: Par papa unhe pareshani hosakti hai.

Deepak: Yeh tumhari dadi ka hukum hai. Aur unki baat manni hi padegi. Isiliye hum jab Shruti ki sagai ke kiye jayenge tab tum apna samaan bhi sang le lena.

Sonal: Jii Papa.

Savitri: Lo baat hogayi hai. Ab Sonal yahi pe rahegi.
Smita: Yeh bahot achha kiya aapne Maa ji.

Raj: Papa main office jaa raha hu. Aap aur bade papa aarahe hai naa aajki meeting ke liye.

Vijay: Haa Raj. Hum thodi der mein pahonchte hai.

Phir Raj waha se nikal jaata hai.

Savitri: Choti Bahu kya tere aur Raj ke beech abhi bhi kuch thik nhi hua.

Smita: Aankho mein aansu liye. Nhi Maa ji. Raj toh mujhse baat tak nhi karta. Agar main baat karu toh sidhe muh jawaab bhi nhi deta. Usne kaha tha mujhse ekdin aisa aayega jab mujhe apni galti ka pachtava hoga par uss waqt iska koi matlab nhi hoga. Dekhiye naa ab wahi horaha hai.

Savitri: Uss waqt Raj ko sabse jyaada dukh issliye nhi hua tha tune usse maara tha balki issliye hua tha ke uski maa ne uspe yakeen nhi kiya. Aur woh jhakham bahot gehra hai aur waqt ke saath bharega. Sabar kar sab thik hogaa.

Smita: Itne mahino se sabar hi toh kar rahi hu. Naajane kab mera Raj mujhe Mummy kehke bulayega.

Nandini: Aap mat roiye choti Mummy. Raj jaldi hi aapko maaf karega.

Swati: Haaa Mummy. Humsab mein se aapko sabse jyaada pyaar Raj hi karta hai. Woh aapse jyaada din naraz nhi reh sakta.

Aarav: Didi ne thik kaha mummy. Dekhiyega jald hi bhai aapse wapas pehle ke jaise behave karenge.

Smita kuch nhi bolti bas apni ki hui galti ko yaad karne lagti hai.

Thodi der baad Ashok aur Vijay bhi waha se nikal jaate hai. Karan bhi apni duty pe chala jaata hai.

Aarav apne dosto se milne chale jaate hai.

Idher Vicky subah subah Sonal ke ghar aa pahonchta hai.
Vicky: Good Morning Aunty.

Meera: Aree Vicky. Good Morning aao aao. Aaj subah subah yaha ka raasta kaise bhul gaye.

Vicky: Bas aunty yaha se guzar raha tha toh socha aaplogo se milte chalun.

Meera: Achha kiyaa aao baitho. Waise kal tumhara bhi result tha naa. Kaise hua.

Vicky: Maine Sonal ko bataya tha usne nhi bataya.
Meera: Naa maine pucha aur naa usne bataya.

Vicky: Kal se jo bhi mil raha hai yehi puch raha hai aur koi sawaal hi nhi hai kisi ke paas.

Meera: Haste hue. Aree kal hi toh result nikla hai aur tum graduate hue ho. Abhi toh sab yehi puchenge.

Vicky: Bas gharwale ghar se nikalne se chuk gaye. Warna taiyaari puri karli thi unhone. Jab ghar gaya toh papa mera samaan darwaze pe leke hi khade the.

Meera yeh sunte hi jor jor se hasne lagti hai.

Meera: Yaani pass hogayee. Chalo achha hai. Ab aage kyaa.

Vicky: Bas college se jo job offer hua hai usme join karna hai. Waise Sonal kaha hai.

Meera: Achhi baat hai. Sonal apne room mein hai tum baitho main bulati hu.

Vicky: Jii.

Phir Meera Sonal ke room mein aati hai jaha Sonal apna favourite kaam kar rahi thi matlab apni diary likh rahi thi. Jo Sonal ki bachpan ki aadat hai.

Meera: Sonal Vicky aaya hai. Niche baitha hai.

Sonal: Abb yeh kyo aaya hai yaha. College mein bhi pichhe padha rehta tha ab college ke baad bhi pichhe padha hai.

Meera: Aisa nhi bolte. Dost hai naa woh tumhara. Jao niche jao.

Sonal: Samar kaha hai.

Meera: Apne room mein hai.

Sonal: Okkk.

Phir Sonal waha se uske room mein jaati hai.

Sonal: Mera pyaara bhai mujhe kal ki tarah bacha le.

Samar: Kya hua di.

Sonal: Woh Vicky niche baitha hua hai.

Samar: Ooo. Toh isme main kya karu. Aapka aashiq aapse milne aaya hai. Jaiye uske saath time spend kijiye.

Sonal: Gusse se. Aashiq my foot. Iske saath rishte mein rehne se achha hai main suicide attempt karu.

Samar jor jor se hasne lagta hai.

Samar: Chill di. Chaliye chalke dekhte hai aapke aashiq ko. Yeh bol hasne lagta hai.

Sonal usko kandhe pe maarti hai.

Phir dono niche aate hai jaha Vicky baitha hua tha.

Vicky jab Sonal ko dekhta hai toh usko ghurne hi lagta hai. Jo Sonal notice karleti hai aur usko gussa chadne lagta hai.

Samar: Good Morning Vicky bhaiya. Aaj subah subah idhar kaise. Uncle aunty ne bina khana diye ghar se nikal diya kya.

Samar ki yeh baat sunn Vicky chidd jaata hai toh Sonal ko hasi aajati hai.

Vicky: Ji nhi itne bhi bure din nhi aaye hai. Main toh bas Sonal se milne aagaya.

Samar: Kyo di kya koi celebrity hai jo usse milne aagaye.

Vicky: Aree pure college mein top kiya hai. Is waqt kisi celebrity se kam thodi na hai. Aao Sonal baitho naa khadi kyo ho.

Samar: Sorry bhaiya. But humhe abhi ek friend ke ghar jaana hai toh baithne ka time nhi hai. Aap aaye toh bas milne aagye.

Vicky: Yeh kya Sonal main milne aaya aur tum kahi jaa rahi ho.

Sonal: Humhe pata nhi tha naa ke tum aarahe ho. Isiliye yeh plan banaya. Agar pata rehta toh aisa nhi karte.

Vicky: Thikk hai. Thodi der baith jao.

Sonal: Sorry Vicky. But humhe ready bhi hona hai aur uska ghar bhi durr hai toh humhe thodi der mein nikalna hai.

Vicky: Apna thaga hua chehra leke. Ooo. Thik hai koi baat nhi. Chalo main drop kardunga.

Samar: No thanks. Hum apni car se chale jayenge. Aapko takleef lene ki jarurat nhi.

Vicky aage kuch bolta tabhi Samar wapas bolta hai.
Samar: Chaliye di.

Sonal: Chalo. Sorry Vicky.

Phir yehlog Vicky ka reply sunee bina hi chale jaate hai.

Vicky bhi apna thaga sa chehra leke waha se chala jaata hai.

Sonal aur Samar usko chupke jaate hue dekhte hai.

Sonal: Thank You Samar. Thank You so much. Agar aaj tu naa hota toh yeh mujhe bahot pareshan karta.

Samar: Anytime di. But di iska kuch permanent ilaaz karna hoga. Kahi aisa naa ho yeh kisi din apne parents ko leke yaha aajaye.

Sonal: Sahi kaha. Waise bhi iska koi bharosa nhi. Dekha nhi kaisee ghurr raha tha. Loafer kahi ka.

Samar: Haa dekha tha. Woh toh jaise jaana hi nhi chahta tha.

Sonal: Hmmm. Chorr sochenge kuch. 2 saal ke liye toh iski shakal nhi dekhni padegi.

Samar: Haa sahi kaha. Waise mere paas ek idea hai jisse saari zindagi phir isse nhi dekhna hoga.

Sonal: Kya kya bolna.

Samar: Aap 2 saal ke liye mumbai mein rahengi.
Sonal: Haaa.

Samar: Toh inn 2 saalo mein waha pe hi mere liye koi jijaji khoj lo. Phir humesha ke liye iski shakal se durr.

Sonal: Samar ko maarte hue. Tuuuu kabhi nhi sudhrega. Humesha masti.

Samar: Isme galat kya kaha di. Waise mere paas ek option bhi hai. Raj bhaiya.

Sonal: Kyaaaa Rajjjj.

Samar: Haa Raj bhaiya. Aapki jodi unke saath mast lagegi.

Sonal: Tu naa pagal hogya hai kuch bhi bolta hai. Chal chalke meri packing mein madad kar. Warna kuch bhul jaungi.

Samar: Sochna haa di mere option ke baare mein.

Sonal: Tu chalega ke maar khayega.

Samar: Chal raha hu chal raha hu. Bhalai ka jamana hi nhi hai.


Phir yeh dono jaake packing karne lagte hai.
Kahani halki fulki chhed-chhad ke sath aage badhti Rahi hai. Dono family ke beech saamnjasya achha tha. Dadi ke jhidki bhare dialogue bahut achhe the. Khair kahani ka asli rang to Sonal ke Mumbai jaane ke Baad hi dikhega.
 

CG

Sab Chutiyapa hai Bhaya
1,993
3,550
159
College inka thode hai jo wahaan ke staff aur student inka sath de denge udhar to risk aur bhi jyada hai dekh lo bhai kya karna hai story mein aage
 

Lucky..

“ɪ ᴋɴᴏᴡ ᴡʜᴏ ɪ ᴀᴍ, ᴀɴᴅ ɪ ᴀᴍ ᴅᴀᴍɴ ᴘʀᴏᴜᴅ ᴏꜰ ɪᴛ.”
6,666
25,377
204
Update 50
Sabke jaane ke baad Raj Sonal ke room ke andar jaata hai aur uske paas rakhe table mein baith jaata hai.

Raj: Sonal ke haath ko apne haath mein leke uske masoom se chehre ko dekhte hue. Yeh sab kyaa hogyaa Sonal. Kaha hum aaj se apni nayi zindagi ki suruaat karne wale the.

Main tumhe batane wala tha main tumse kitna pyaar karta hu tumhe tumhara Raj milne wala tha jisse tum beintehaan mohabbat karti thi. Par ab dekho kyaa hogya. Tum apne Raj ko hi bhul gayi ho. Tumhe toh ab shayad yeh bhi yaad nhi rahega ke tum mujhse kitna pyaar karti ho. Saari galti meri hai. Mujhe tumhe akele jaane hi nhi dena chahiye tha.

Mujhe maaf kardena Sonal. Main tumhara khayal thik se nhi rakh saka. Par aajke baad tumhare upar koi bhi aanch nhi aane dunga Sonal. Aur jisne bhi tumhare saath yeh kiya hai uski zindagi nark se battar kardunga. Yeh bol Sonal ke sir ko chum leta hai. Aur wahi baith ke uske sir ko sehlaane lagta hai.

Bahar khade Deepak aur Meera yeh dekh rahe the aur unke aankho mein bhi aansu the.

Idher sablog ghar aajaate hai. Sabki aankho mein aansu the.

Shruti: Ishant kaisi hai Sonal. Woh thik toh hai naa. Usse kuch hua toh nhi hai naa.

Savitri: Haaa beta batao naa kaisi hai Sonal. Vijay Ashok tumdono batao. Kaisi hai woh.

Ashok: Maaa woh Sonal ki yaadast chali gayi hai. Usse pichle 8-9 mahine ka kuch bhi yaad nhi hai.

Shruti aur Savitri bhi yeh sunke shock hojaate hai. Unke aankho se bhi aansu girne lagte hai.

Phir Ishant dono ko hospital mein hui puri baat batata hai aur Raj ne jo bhi plan hai woh bhi batata hai.

Savitri: Karan.

Karan: Ji Dadi.

Savitri: Tu kyaa karega kaise karega mujhe nhi pata par uss masoom ki yeh halat karne walo ko tu chorega nhi. Unko kadi se kadi saza dilwayega.

Karan: Aap chinta mat kijiye dadi. Jisne bhi yeh kiya hai usko main nhi chorunga. Woh jaha bhi chupa hoga usse dhund nikalunga.

Ragini: Bahot raat hogyi hai chalo ab sab apne kamre mein jaao. Nandini.

Nandini: Ji Mummy.

Ragini: Kal subah jaldi se Deepak Meera Samar aur Raj ke liye thoda nashta taiyaar kardena.

Nandini: Ji Mummy aap chinta naa kare hojayega.

Shruti: Haa badi mummy main aur bhabhi milke sab karlenge.

Aarav: Didi woh Raj bhaiya ne kaha tha Sonal Bhabhi ka pehle wala kamra wapas se unke rehne layak kardene ke liye.

Shruti: Filhal toh Sonal nichhe wala kamre mein rahegi jab tak uske pairr thikk nhi hojaate. Uske baad woh upar jaayegi.

Swati: Humhe Raj aur Sonal ki shaadi ki saari chize hatani hogi. Sonal ke dimaag mein pressure padhe woh harchiz humhe hatani hogi. Kal hi Sonal wapas ghar aayegi. Uske pehle humhe sab karna hoga.

Ishita: Bhabhi aap chinta naa karee. Humlog milke sab karlenge. Sonal Bhabhi ko bilkul bhi pata nhi chalega.

Payal: Haaa. Hum abhi se hi kaam pe lag jaate hai.

Nandini: Hmmm. Ek kaam karo. Tumdono Raj ke kamre mein jao aur waha se Sonal ka saara samaan yaha nichhe ke kamre mein shift kardo. Tabtak humlog ghar se baaki ki chize hata dete hai.

Smita: Aur ek baat tumlog ab Sonal ko bhabhi nhi wapas se didi bologe. Aur galti se bhi uske saamne koi aisi waisi baat mat kardena.

Sab: Jiiii.

Phir sablog apne apne kaam mein lag jaate hai aur thodi der mein sablog apna kaam khatam karke apne room mein chale jaate hai.

Yash jab room mein aata hai toh dekhta hai Swati window ke paas khadi hai aur ro rahi hai.

Yash: Swati mat ro. Dekhna Sonal jaldi thikk hojayegi. Usse sabkuch jaldi hi yaad aajayega.

Swati: Aapko pata hai Yash. Bachpan mein khelte waqt main humesha iss baat ka dhyaan rakhti thi ke kahi khelte khelte Sonal aur Samar ko koi chott naa aajaye. Aur aaj meri Sonal ke saath kyaa hogyaa.

Yash: Woh thikk hojayegi Swati. Mujhe Raj ki bahot chinta horahi hai. Bahot mushkilo ke baat Raj ne khud ko sambhala tha. Phir se kisi se pyaar kiya tha. Aur dekho aaj kyaa hogyaa. Bhagwaan ka laakh laakh shukar hai Sonal thikk hai warna pata nhi Raj ka kya hotaa.

Swati: Yash jaisa Raj ne bataya ne ek gaadi tezi se Sonal ki taraf aarahi thi. Aur jaha pe Sonal ka accident hua tha uss jagah pe speed mein gaadi chalana toh not allowed hai kyoki waha School aur College hai.

Yash: Yehi baat toh mujhe bhi pareshan kar rahi hai. Aur mujhe baar baar aisa lag raha hai yeh sab kisi ne jaan muzz ke kiya hai.

Swati: Mujhe bhi aisa hi lag raha hai. Par Sonal se kisi ki kyaa dushmani. Woh toh yaha kisi ko jaanti bhi nhi hai. Phir koi kyo Sonal ko maarna chahega.

Yash: Isi baat ka toh pata lagana hai. Aur jisne bhi yeh kiya hai woh bachega nhi. Kyoki main Raj ko jaanta hu. Woh uss insaan ko paatal se bhi dhund nikalega.

Swati: Mujhe Sonal ki bahot chinta horahi hai. Agar Sonal ko inn 8-9 mahino ke baare mein pata chal gaya aur isse agar uske dimaag mein pressure padha toh.

Yash: Humhe iss baat ka khaash dhyaan rakhna hoga. Chalo ab so jaao phir kal Hospital bhi jaana hai already bahot late hochuka hai. Phir dono so jaate hai.

Agle din hospital mein jab Sonal ko hosh aata hai toh woh dekhti hai koi uska haath sakhti se pakad ke so raha tha jo Sonal ko bilkul bhi achha nhi laga ke koi anjaan usko touch kiya hua hai.

Sonal: Yehh kaun hai. Aur iski himmat kaise hui mujhe touch karne ki. Mujhe touch karne ki permission sirf usse hai jisse main pyaar karungi. Ayeee kaun ho tumm. Choro mujhee. Tumharii himmat kaise huii mujhee chunne ki. Mummmyyy papaaaa Didiiiii Samarrrr kaha hai aaploggg. Dekhiyeee yehh kaunn yaha ghuss gaya haiii.

Sonal ke aise chillane se Raj ki neend toot jaati hai. Aur woh Sonal ko hosh mein dekh bahot khush hojaata hai aur ek pal ke Iiye toh woh bhul gaya tha ke ab yeh woh Sonal nhi hai jo usse pyaar karti thi.

Raj: Tumhe hosh aagaya hai Sonal. Tum thikk honaa. Jyaada dard toh nhii horaha hai naa. Yeh bol woh Sonal ke sirr ko thoda sehlaanw lagta hai.

Raj ke iss harqat se Sonal ko bahot gussa aata hai aur woh Raj ko maarne ke liye haath hilane ki koshish karti hai toh usko thoda dard hota hai isse woh chillake bolti hai.

Sonal: Badtameez insaan tumhari himmat kaise hui mujhe chunee ki. Mummmyyy Papaaaaa Didiiii Samarrrrrrr jaldi se aaiyeeee. Kahaaa haiii aap sabbbb.

Sonal ke aise chillane se Deepak Meera aur Samar andar aajate hai par Raj waha khada shockk hojaata hai aur tab usse yaad hai ke Sonal ki kyaa condition hai.

Meera: Sonallllll merii bachhiii tujhee hoshh aagayaaa. Kaisi hai meri bachhiii. Tu thikk toh haii naa.

Sonal: Mainn thikk hu mummy. Parrr yehh badtameez insaan kaun hai jo yaha khada hai. Aapko pata hai aapki gairr hazri mein yeh mujheee touchh kiyee jaa raha thaa. Yehh bol Sonal Raj ko gusse se ghurr ke dekhti hai.

Meera dekhti hai Sonal Raj ke baare mein hi bol rahi hai jisse usko thoda tension hojaata hai.

Sonal: Raj ko gusse se ghurte hue. Mummy abhi ke abhi iss insan ko bahar nikaliyee. Isko dekhte hi mera sir dard kar raha hai.

Sonal ka aise bolne se Raj ki aankho mein thode aansu aajate hai. Aur usko woh pal yaad aane lagta hai jab Sonal kabhi bhi usse nazre uthake baat tak nhi ki thi.

Meera: Sonall yeh kyaa bol rahi ho tumm. Yeh tumhara......

Abhi Meera aur kuch bolti tabhi Deepal beech mein bol padhta hai.

Deepak: Sonal beta aise kisi ke baare mein nhi bolte. Yeh Raj hai. Mere dost ka beta. Tumhe hosh mein dekh kar yeh khush hogya isiliye isne tumhe touch karliya hoga.

Sonal: I am sorry papa. Par mujhe iska touch karna pasand nhi aaya. Aap please isse abhi bahar bhej dijiye.

Raj: I Am Sorry Sonal. Main samaj sakta hu tumhe bura laga hai. Mujhe tumhe aise touch nhi karna chahiye thaa. Main bahar chala jaata hu. Yeh bol Raj room se bahar aajata hai.

Raj ko aise jaate dekh Deepak Meera aur Samar teeno ko bahot bura laga par woh majburr the.

Sonal: Didi kaha hai papa. Aur main yaha kaisee. Mujhee kyaa huaa tha. Mujhee kuch bhi yaad nhi aaraha hai.

Deepak: Swati aati hi hogi beta. Aur tum apne dimaag mein jyaada pressure mat do. Hum tumhe sab batayenge. Tum yaha aaram karo main doctor ko bula ke laata hu. Yeh bol Deepak waha se nikal jaata hai aur Raj ke paas aata hai.

Deepak: Raj. Beta Sonal ke behaviour ki taraf se main maafi maangta hu. Tum please uski baato ko mind mat karna.

Raj: Yeh aap kyaa kar rahe hai. Sonal patni hai meri. Aur mujhe pata hai uski kyaa condition hai abhi. Uske liye main ek anjaan hu jisne bina uski permission se usse touch kiya tha isiliye usse gussa aagaya.

Deepak: Beta humne toh yeh socha hi nhi tha ke tum Sonal ke saamne kyaa banke aaoge.

Raj: Main uske saamne aapke dost ka beta hi rahunga. Aap chinta mat kijiye.

Deepak: Hmm. Chalo hum doctor ko bol dete hai ke usko hosh aagya hai.

Raj: Hmm. Aur main ghar mein bol deta hu. Jisse wohlog yaha aajayenge.

Deepak: Haa Sonal Swati ko khoj rahi hai.

Phir dono doctor ke paas chal dete hai aur raaste mein hi Raj ne ghar pe boldiya tha.

Thodi der mein doctor Sonal ke paas aata hai jo apni maa aur bhai se baate kar rahi thi.

Doctor: Hii Sonal. How are you?

Sonal: I Am Fine doctor. Par mujhe kuch yaad nhi hai ke main yaha pe kaisi aayi mujhe kyaa hua tha.

Doctor: Sab yaad aajayega. Tum apne dimaag mein jyaada jorr mat dena. Jitne hosake apne dimaag mein kam se kam pressure dena.

Sonal: Jii.

Doctor: Sir mein dard horaha hai kyaa.

Sonal: Jii thoda thoda horaha hai.

Doctor: Tumhare sir mein ek chott lag gayi thi jiske wajah se stitches aaye hai usi liye thoda dard horaha hai.

Sonal: Kaise lagi chott. Mujhe toh aisa kuch yaad nhi hai.

Doctor: Woh tumhe yehi lagi thi kal. Tum behosh thi isiliye tumhe yaad nhi hai. Baaki baate tumhare mummy papa bata denge. Aur haa apne pairon ko jyaada hilaana mat.

Sonal: Jii Doctor.

Phir Doctor waha se chala jaata hai.

Sonal: Mummy Papa kyaa huaa tha mujhee.

Meera: Tumhe sab batayenge beta. Par pehle ghar jaayenge uske baad. Tab tak tum aaram karo.

Sonal: Thikk hain.

Tabhi room ke gate kholke Swati andar aati hai jisne apna look change karke shaadi ke pehle wala karliya tha.

Swati: Sonallllll.

Sonal: Didiii.

Swati bhaag ke aati hai aur Sonal ke dheere se gale lag jaati hai.

Swati: Kaisi hai tu. Thikk hai naa. Tujhe pata hai main kitni darr gayi thi. Agar tujhe kuch hojaata toh mera kyaa hotaa.

Sonal: Mainn thikk hu di. Aur aaplogo ke rehte mujhee kuchh nhii hogaa dii.

Meera: Swati Sonal ko chorr do usse takleef horahi hogi.

Swati: Haaa. Sorry Sonal tujhe lagi toh nhii naa.

Sonal: Nhi di main thikk hu.

Phir Sonal ki nazar darwaaze pe padhti hai toh usse bahot saare anjaan log dikhte hai usk hi dekh rahe the.

Sonal: Mummy Papa yehlog kaun hai. Pehle kabhi nhi dekhaa.

Deepak: Tum inhe bhul gayi Sonal. Tum inhe bachpan se jaanti ho. Pehle humare saath Jaipur mein rehte the phir yehlog Mumbai aagaye.

Sonal: Kyaa yeh Dadi Vijay Chacha Ashok Chacha Ragini Chachi Smita Chachi Karan Bhaiya Shruti Didi Aarav aur Rajjj hai.

Deepak: Haa yeh wahi hai. Tumhe yaad hai yehlog.

Sonal: Inhe kaise bhul sakti hu Papa. Bachpan mein Karan Bhaiya Shruti Didi Aarav Raj ke saath kitna kheli hu. Par ab kisi ko pehchan nhi paarahi hu.

Smita: Sonal ke paas aake. Dheere dheere sab yaad aajayega beta. Pehle batao tum kaisi ho.

Sonal ko Smita ke touch mein apnapan sa aihsaas hota hai. Usko aisa lagta hai jaise unn haatho ne usse kai baar touch kiya hai.

Smita: Kyaa huaa betaa.

Sonal: Kuch nhii. Bas aisa laga jaise aapke haath ka touch pehle bhi bahot baar hua hai mujhe.

Smita ke saath jab sab yeh sunte hai toh unke aankho mein ek pal ke liye aansu aajate hai par woh unhe rokk lete hai.

Smita: Ek maa ke haath ka touch bachhe kabhi nhi bhulte. Aur main toh tumhari maa jaisi hi hu.

Sonal bas halka sa smile kardeti hai. Phir sab ek ek karke Sonal ka haal chaal puchte hai.

Sonal jaanti toh sab ko thi par aise achanak se uske saamne aane se usko thoda awkward lag raha tha.

Smita: Meera Raj kaha hai dikhayi nhi de raha hai. Raat ko yehi thaa naa.

Meera: Sonal ki taraf dekhte hue. Woh actually Raj bahar hai.

Smita: Oo thikk hai.

Nandini: Chachiji aaplog thoda nashta karlijiye. Kal se aaplogo ne kuch nhi khaya hai.

Sonal: Kyaaaa. Aaplogo ne kal se kuch nhi khaya. Par kyooo.

Sablog Sonal ke iss sawaal pe pareshan hojaate hai. Unhe samaj nhi aata woh kyaa jawaab de. Tabhi Swati bolti hai.

Swati: Woh actually kal raat se yehloh yehi hospital mein hai. Tujhe hosh toh kal hi aaya tha par kamzoori ki wajah se tu wapas behosh hogyi thi.

Sonal: Main kyaa bahot dino se hospital mein hu kyaa.

Swati: Baad mein sab batayenge na. Tu filhal aaramm kar. Hum bahar hai.


Yeh bol sab bahar aajate hai.
Awesome update
 

Jaguaar

Well-Known Member
17,679
61,069
244
Lovely update bhai....

Ab Deepak ne bhi Sonal ko Mumbai mein rehne ke permission dedi hai....
Thank you
 
  • Like
Reactions: Naik and mashish
Top