Update 54
Idher Karan ne harjagah uss aadmi ki khoj suru kardi thi. Uske khabri bhi jagah jagah uss aadmi ko khojne mein lage hue the.
Karan ko woh gaadi mil gayi thi jisse Sonal ka accident hua thaa.
Karan: Kiski gaadi thi woh. Aur kaha se mili.
Inspector: Sir woh gaadi chori thi ki jiski report bhi likhawayi gayi thi. Aur gaadi humhe jungle ke paas se mili thi. Kisine waha pe hi chorr diya thaa.
Karan: Hmmm. Matlab jisne bhi yeh kiya hai usne puri taiyaari ke saath yeh sab kiya tha. Koi fingerprint mila. Yaa aisa kuch jisse yeh pata chale ki kisne kiya hai yeh sab.
Inspector: Nhii sir. Koi fingerprint nhi mila. Jisne bhi kiya hai usne sjayad golves pehne hue the.
Karan: Hmm. Gaadi ka GPS track kiya kaha kaha gayi thi gaadi.
Inspector: Haa sir check kiya hai. Gaadi kisi bhi aisi jagah nhi gayi hai jisse shak ho. Yeh rahi unn jagah ki list. Yeh bol ek paper Karan ko pakda deta hai.
Karan: Hmmm. Thikkk hai. Uss aadmi ka kuch pata chala.
Inspector: Khojj chal rahi hai sir. Usko jarur pata chal gaya hai ke hum usko khoj rahe hai isiliye shayad woh underground hogaya hai.
Karan: Usko dhundho. Ekbaar agar woh mil gaya toh hum uss insaan ko bhi pakad lenge jiske kehne pe yeh kar raha tha.
Inspector: Sir kyaa aapke bhai ki biwi ka koi dushman tha kyaa.
Karan: Nhiiii. Woh toh yaha kisi ko jaanti bhi nhi thi. Ek stalker tha jisko kuch waqt pehle hi jail hochuki hai. Abhi Karan yeh bolta hai tabhi usko kuch yaad aata hai.
Tumhe yaad hai kuch waqt pehle hum 2 baap beto ki talash kar rahe the jo kahi chupp gaye the.
Inspector: Haa woh Rajesh aur Ranjeet. Lekin woh toh abhi bhi faraar hai.
Karan: Haaaa. Main ek chance le raha hu. Kahi yeh bhi innhone hi toh nhi kiyaaa.
Inspector: Hosakta hai Sir. Par inko dhundenge kaha. Yeh toh tab se hi chupe hue hai.
Karan: Ek kaam karo. Inn sabhi location ke aas paas civil dress mein ghumo aur dekho koi aisi jagah hai kyaa jaha yehlog chupp sakte hai aur haa uss jungle ke aas paas bhi dekho.
Inspector: Thikk hai sir.
Karan: Aur haa jail mein ek aurat hogi jisko maine lagbhag 1 saal pehle arrest kiya tha jhoothe rape case mein jara dekho toh uski saza kab tak hai woh inn baap beto ke saath hi aayi thi.
Inspector: Thikk hai sir main dekh kar bolta hu.
Yeh bol woh inspector waha se chala jaata hai.
Aise hi 2 din guzar jaate hai. Inn 2 dino mein Sonal ki halat mein bahot sudhar aaya tha par woh abhi bhi wheel chair ka hi istemaal kar rahi thi. Par inn 2 dino mein Sonal ke jaagte hue Raj kabhi bhi uske saamne nhi aaya tha woh humesha iske sone ke baad hi aata aur kuch der baate karke chala jaata. Par isse Sonal ko thoda aur guilty feel hota hai kyoki woh usse maafi nhi maang paayi thi.
Idher Karan ke ek khabri ne usko call karke bola ke usne uss aadmi ko dekha hai woh roj raat ko ek bar mein aata hai.
Karan: Tujhe pura yakeen hai ke tune uss aadmi ko hi dekha hai.
Khabri: Haa sahab. Pura 100 takka apun uss aadmi ko hi dekhela hai. Woh 2 raat se 10:30 baje ek bar mein aarela hai.
Karan: Akela aata hai yaa kisi ke saath aata hai.
Khabri: Akela hi aata hai Sahab.
Karan: Thikk hai. Mujhe address bhej aur raat ko udher hi rehna.
Khabri: Jii Sahab.
Raat ko Karan 3 Hawaldaar ko civil dress mein leke uss khabri ke bataye address pe chala jata hai.
Karan: Haa bol kidhar hai woh.
Khabri: Abhi tak aaya nhi hai sahab. Aane wala hi hoga.
Karan: Thikk hai. Tumsab(Hawaldar) yehi alag alag table mein baith jao aur ek jan bahar raho. Aur tu(Khabri) mere saath idher baith.
Phir sab log apne apne jagah mein baith jaate hai.
Thodi der mein ek aadmi andar aata hai jisne apna chehra toh mask se chupaya hua tha par andar aate hi mask hata deta hai.
Khabri: Sahab woh dekho woh aagaya.
Karan: Thikk hai. Tu nikal. Tera paisa tere ko mil jayega.
Khabri: Jii Sahab.
Phir woh khabri waha se nikal jaata hai aur Karan waha baithe 2 Hawaldaar ko ishara karta hai.
Karan ka ishara paate hi dono Hawaldaar uss aadmi ke paas jaake baith jaate hai.
Aadmi: Kyaa hai bee. Kisse puch ke baitha idher. Chal nikal.
Par dono hawaldaar uski baat ko ansuna kardete hai. Jisse uss aadmi ko gussa aajata hai.
Aadmi: Abee nikalte ho yaa du kharcha paani.
Karan: Kharcha Paani toh tujhe main dunga woh bhi sasuraal mein.
Aadmi: Abee ab tu kaun hai be. Mera Saala hai kyaa jo Sasuraal leke jaayega.
Karan: Tera baap hu main. Yeh bol ek thappad maarta hai uss aadmi ko jisse uska saara nasha utar jaata hai. Aur waha baithe aadmi tamasha dekhne lagte hai.
Aadmi: Tu jaanta hai tune kispe haath uthaya hai. Tujhe yehi zinda gaar dunga. Tu jaanta nhi hai apun ko. Yeh bol woh aadmi Karan ko maarne ke liye haath uthata hai toh Karan uska haath pakad ke ek aur jorr dar thappad maarta hai.
Karan: Le chalo saale ko. Bahot garmi hai saale mein. Jail mein achhe se saari garmi ko thanda karunga.
Phir dono hawaldaar uss aadmi ko leke nikal padhte hai. Karan bhi usko jail mein daalke ghar aajata hai aur sidha apne kamre mein jaata hai jaha Nandini Karan ki taraf peeth karke kuch kaam kar rahi thi aur Kartik so raha tha.
Karan sidha jaake Nandini ko pichhe se apni baahon mein leta hai.
Karan: Kyaa kar rahi ho sweetheart. Abhi tak soyi nhi.
Nandini: Aapke ladle ka kapde thik se rakh rahi thi. Aur aaj itna pyaar aaraha hai kyaa baat hai.
Karan: Pyaar toh humesha hi aata hai par tum karne ki kaha deti ho aur agar kabhi chance mil gaya toh yeh shaitaan(Kartik) karne nhi deta.
Nandini: Karan ki taraf palat kar. Achhaa ji. Toh chalo aaj pyaar karte hai. Aaj toh yeh bhi so raha hai.
Abhi Nandini yeh bolti hai ke tabhi usko ek gandh aati hai.
Nandini: Gusse se aur hairani se. Aapne sharab pi hai.
Karan: Shock hoke. Aree marwaogi kya. Dheere bolo. Agar kisi ne sunn liya naa toh iss ghar se daana paani cut hojayega.
Nandini: Matlab sach mein pi hai. Choro mujhee aur niklo room se bahar aur aaj ke baad mujhse yaa mere bete se baat tak nhi karna.
Karan: Aree meri jaan maine aisa kuch nhi kiya hai. Raj ka pichha karne wale ko pakadne ke chakar mein yeh gandh aarahi hai.
Nandini: Matlabbb.
Karan: Matlab uss aadmi ko pakadne ke liye mujhe ek bar mein jaana padha tha toh isiliye tumhe yeh gandh aarahi hai.
Nandini: Matlab woh aadmi pakda gaya.
Karan: Haaa. Ab kal subah usse baatcheet karunga. Filhal toh main apni biwi ki duty mein hu.
Nandini: Pehle jaaiye jaake change kariye. Mera dum ghutt raha hai.
Karan: Haa baba jaata hu. Yeh bol Karan jaldi se jaata hai aur fresh hoke bahar aata hai aur wapas se Nandini ko apni baahon mein le leta hai.
Nandini: Kyaa baat hai aaj toh bahot romantic horahe hai aap.
Karan: Ab jab baahon mein itni khubsoorat biwi ho toh banda apne aap romantic hojaata hai.
Nandini: Achhhaaa jii.
Karan: Haan ji. Yeh bol Karan Nandini ko jaise hi kiss karne jaata hai tabhi Kartik rona suru kardeta hai.
Nandini yeh dekh Karan se alag hoti hai aur jaake Kartik ko sambhalne lagti hai. Karan waha thaga sa khada reh jaata hai.
Nandini: Hogyaa aaj ka pyaar. Ab so jaaiye. Yeh bol hasne lagti hai.
Karan: Saale se baap ki khushi dekhi nhi jaati. Kitna achha bhala mood aur chance dono tha par isko sehan nhi huaa.
Nandini: Heyyy mind your language. Khabardaar mere pyaare se bete ko kuch bola toh.
Karan: Aur tumhara yeh pyaara sa beta jo tumhare pyaare se pati pe julm kar raha hai uska kyaa.
Nandini yeh sunn hasne lagti hai. Phir thodi der aise hi pyaar bhari baate karne ke baad dono so jaate hai.
करन की मेहनत रंग लाया इतना खोजबीन करने के बाद आखिर रेकी करने वाला पकड़ा ही गया वाह भाई क्या दिमाग की गोटी गुमाया हैं सक कि सुई सीधा रंजीत और राजेश पर टिका दिया हैं। अभी तो करन को और भी पापड़ बेलने हैं मुजरिम जो इतना चतुर हैं दो चतुर कौवा आपस में लड़ मारे अपना यहां किया कोई नहीं।
राज ख़ुद को सोनल की नजरों में गिरने से बचाने के लिए उसके सामने नहीं आ रहा है और सोनल गिल्टी फिल कर ख़ुद को ही कोस रही हैं। कोस ने देता हु उसे यहां भी अपना काम नहीं
Kartik rona suru kardeta hai.
मैन मुद्दा ये हैं करन चाला था बीबी से गुपचुप गुटरगू करने लेकिन बेटे ने सारा मज़ किरकिरा कर दिया विचारे के अरमान धारा धारा का धारा रहा गया। ज्वाला भड़कते ही टांडा पानी पड़ गया। सुतली बम फटने से पहले ही फुच हों गया।
अप्रतिम