CHAPTER 22
Aankhon mein hazaron sapne saajakar aur apni aane wali zindagi ko khushi se bharne ke armaano ko lekar devika dulhan ki saree pehne huye phulon se sajaaye huye bed par baith kar amar ka wait kar rahi thi. pura room gulab ki mehek se mahek raha tha. Uski dil ki dhadakane badhi huyi thi vah nervous aur excited feel kar rahi thi jaise aaj pehli baar amar se mil rahi ho.
Kuchh hi der mein amar fresh ho kar kapde change kar ke aa gaya, usne neela kurta aur white lehenga pehna hua tha. Uske baal sar ke sath satte huye the aur vah kaafi fresh lag raha tha, uske chehre ki chamak jaise uske dil ka haal bata rahi thi. vah devika ke pass aaya aur uske pass aakar baith gaya. Devika ki nazrein abhi zameen par hi thi. uski dil ki dhadakane tez ho rahi thi. jaise uski life mein yah din aur yah pal ka vo pehli baar anubhav kar rahi hai.
Kuchh samay ke baad amar ne devika ko ek rangeen kagaz mein lipta hua gift diya, devika yeh dekh muskura uthi. Uske gaal laal ho chuke the aur uska chehra behad sundar lag raha tha. Jaise swarg ki koi apsara dharti par utara aayi ho.
‘open karo aur dekho kya hai tumhare liye,’ amar ne kaha.
Devika ne box open kiya andar ek sundar sa golden necklace tha. Vah usko dekh kar kaafi khush huyi aur uski aankhon mein chamak bhi aa gayi. Amar bhi uske chehre ki muskaan aur khushi dekh kar mand mand muskura raha tha. Kyuki devika ki yahi khushi usko acchi lag rahi thi jo aaj tak usko apne pehle pati vikram se nahi mil paayi thi.
‘Thanks amar, bahut hi sundar hai,’ devika amar ki anhon me ankhein daal kar boli.
Devika ki ankhon mein khushi ke ansu the, aaj tak usne kayi baar aise sapne dekhe the par kabhi bhi vah sapne pure hi nahi ho sake. Aur aaj usko yah sab sach hokar bhi sapna lag raha tha. Usko amar par betahasha pyaar aa raha tha. Vah kitna khayal rakhta hai uska. Uski pasand aur napasand ki kitni kadar karta hai.
apne gale mein vah necklace pehen kar dekhna chahti thi, usne amar ki help se necklace apne gale mein pehen liya. Uske gale mein rahi dusri jewellery usne already nikal di thi aur sirf yah necklace uski sundarata mein aur badhava kar rahi thi.
dusri taraf amar bhi devika ke liye aur uski khushi keliye sabkuchh karna chahta tha jo khushi naa milne ki wajah se devika ko aaj tak sirf aur sirf dukhi hona pada tha. Vah khud bhi itne saalo se dukhi hi to raha tha aur devika hi thi jo uski yah khali padi huyi zindagi ko khushiyon se bhar sakti thi, ya yun kahe ki dono ekdusre ke pyaar ke liye taras rahe the.
Amar ne devika ka hath uske haath mein liya aur sehlaane laga. Dono ekdusre ki ankhon mein dekh rahe the. Dono ki aankhon mein ekdusre ke ye saccha pyaar nazar aa raha tha. Dono ki dhadakane bhi badhi huyi thi jaise pehli baar hi vah aise akele mil rahe ho. Par mauka bhi aisa tha. Aaj se pehle shadi ke bina mile the, par dono ne ekdusre ko apna liya tha. Vah do jism ek jaan ho gaye the.
Amar devika ke thoda pass gaya aur uske neeche jhuke huye chehre ko upar uthaya aur I love you kaha. devika jhat se uske seene se lag gayi. Dono ekdusre ki dhadkan mehsus kar sakte the. Iss din ka intezar ya yun kahe ki iss raat ka intezaar dono ko jaise saalo se tha. Apna saccha pyaar jab apni baaho mein hota hai to vah jagah duniya ki sabse surakshit jagah lagti hai.
Aaj tak devika ne sirf apne aapko akela aur asahay hi mehsus kiya tha. Kitne zulmo aur mental trauma ke sath vikram ke sath uski married life nikli thi. aur amar ke aane ke baad to jaise uski life mein macha hua toofan jaise shant ho gaya tha aur jaise sukoon dene wali lehro mein tabdeel ho gaya tha. Vah amar ke sath surakshit feel kar rahi thi aur vah kabhi bhi uska sath nahi chhodna chahti thi kyuki amar ki wajah se hi aaj vah zinda thi warna usne kab ka sucide kar liya hota.
Dusri taraf amar bhi apni life mein pareshani se hi guzra tha. Uski pehli biwi usase jyaada paison ko pyaar karti thi aur amar ko baar baar rishwat lene ke liye uksaya karti thi. amar unn police walo mein se nahi tha ki kuchh paison ke liye vah apna zameer bech de, bahut samay tak uski biwi ko yah samjaane mein lag gaye ki vah rishwat nahi lega, aur iss beech unke beech ka tanaav utna zyada hota ki amar ko kabhi maansik aur sharirik pyaar hi uski patni se prapt nahi hua tha. Uss din jab usne devika ko pehli baar dekha tha aur uski kahani sunane ke baad hi usko pyaar karne laga tha, aur shayad upar wale ki bhi yahi ichha thi ki dono adhure log ekdusre se milkar poore ho jaaye.
Par aaj dono apne past ko bhul chuke the aur apni present life ka anand uthana chahte the. Dono apne pati aur patni dharma ko nibhane ke liye taiyar the.
Dono abhi bhi ekdusre ke sath lipte huye the. Vah dono apne jism ki garmi ko mahsus kar sakte the. Dono ke badan tapane lage the. Jaise wah ek hona chahte the apni duri mita kar pass aana chahte the. Apni saalo purani pyaas aur tadap ko mitana chahte the. Jaha koi parda nahi sharam nahi thi. kyuki aaj dono premi ke roop mein nahi pati patne ki roop mein ekdusre ke sath the.
Amar aur devika dono apni iss nayi inning ke liye ready the, aaj suhaagraat ki shuruaat ke liye vah dono utsuk the.