Update - 36
kisne kiya ye kiski itni himmat hui dhundo use chahe to pura sahar jaam kardo
ranveer hospital me khada chilla raha tha kajal abhi operation theatre me thi doctors ek ghante se andar the kisi ko kuch bhi nahi pata tha thakur pariwar me matam ka mahol tha sanjay bhi hospital me tha kamini ghar par ladkiyo ko sambhal rahi thi
arav aaj subha hi flight se nikal gya tha usse contact nahi ho paya tha
ranveer gahre dukh or gusse me tha bhale hi woh bahar kitna bhi muh maarle par kajal uski biwi thi uske bacho ki maa thi uska pyaar thi uske liye kajal arav se zada naa sahi par kam zaruri bhi nahi thi
tabhi darwaza khulta hai or doctor bahar aata hai
ranveer- (besabri se) kya hua doctor meri kajal theek to hai naa
doctor - thakur sahab aap befikr raheye thakurain bilkul theek hai bas car ko jhatka lagne ki wajha se gardan ki haddi me chot hai
tabhi waha ek nurse aati hai or woh doctor ke kaan me kuch kahti hai
doctor - thakur sahab aapke driver ki sar pe chot lagne ki wajha se paralyse ho gyi hai
dhananjay - koi baat nhi doctor ab uske pure pariwar ki zimmedari thakur pariwar ki hai
kajal ke theek hone ki khabar sunkar sabne rahat ki saasli thi sab khush the ki kajal ko kuch nhi hua par apni pareshani or khushi me jis baat par thakur pariwar ne dhiyaan nahi diya woh tha
waha se thodi dur par khada admi
jisne doctor ki baat sunte hi kisi ko call kiya
Location hospital ke bahar ka canteen jisme abhi ek ladki baitha hua tha jisne mask lagaya hua tha
admi - bhai woh theek hai
ladka - ok
ye bolkar woh ladka hospital se bahar jane laga abhi woh darwaje tak hi pahucha tha ki uski aankhain fati ki fati rah gyi
hospital ke bahar lagbhag 1.5 hazar gadiya thi jo 3 alag alag rods se aayi thi sabme bhar bhar ke log the or sabke hi pass hatiyaar the
unhe dekh kar ayisa lag raha tha jaise ye cahhe to kisi chote mote desh par kabza karle
ye log the Sangwan Rathod or Chaudhary pariwar ke log
aaj sach me us ladke ko andaza ho raha tha ki uski ladai kitni khatarnak ho sakti hai usne apne sahayad hone wale dushmano ko halke me liya tha
(ab jaan lete hai ye sab yaha kar kya rahe hai abhi se 2 ghante pahle)
jab abhay or kajal ki cars ki takkar hui to waha kheto me kaam karne wale log jaldi se car ke pass aaye or jab unhone car me behosh pade 2no logo ko dekh to waha bhagdar mach gyi woh takuro ka ilaka tha or wahi kisi ne unki thakurain ki gadi ko takkar maardi jaldi se kajal ko hospital pahuchaya gya or thakur pariwar ke logo ko khabar ki gayi
pahle to jab thakur pariwar tak ye khabar pahuchi to sab dar gye likin jab kajal ke hospital me admit hone ki baat pata chali tab sabki jaan me jaan aayi
likin jab ranveer dhananjay or sanjay ne ye pata kiya ki accident hua kaise or jab unhe police ne bataya shayaad kisi ne jaan_bujh kar kajal ki gadi ko takkar mari hai tab to jaise ranveer pagal hi ho gya
wahi dusri taraf
tinka - bhaga bhaga jaldi bhaga agar ek baar apne adde pe pahuch gye to bappu usko chodega naa
gopal - mujhe to ye dar hai ki agar woh galti se bach gya to woh kisi ko nahi chodega
tinka - (darte hue) subh subh bol gopu
gopal - dekh pahuch gye ham chal jaldi se gadi se utar ke bhag agar dhere
chale to kahi woh pagal hamare uper gadi hi naa chada_de
ye bol kar woh dono jaldi se gadi se utre or apne godam ke andar bhagne lage likin jab darte hue gopal ne piche dekha to
sannata ek dum sannata unke piche koi nahi tha likin fir bhi unke man kaa dar khatm nhi hua or woh dono jaldi se andar gye
tinka - dadda dadda
gopal - dadaji kaha hai
shyaam Chaudhary - ( apne office se bahar aate hue) aryy halla kyu macha rakha se ek chore ne maar ke to aaye ho intzaar kro inaam mil jayega
apne dada ki baat sun kar unhe samajh hi nahi aaya ki kaise pratikriya de
ki tabhi ek assistant bhagta hua aaya or
assistant - (kaan me) .......................
s.c - kyaaaa
(Fir chillate hue) bhiku o bhiku jaldi bhar aa
bhiku - (bahar aate hue) ke hua bappu
s.c - jaldi apne logo ne ikkatha kar banduk goli gadi sabnele or jaldi se city hospital chal
bhiku - (canfuse) ke hua bappu koi badi khabar
s.c - jaldi kar kisi ne kajal thakur pe hamla kiya se or thakuro ne ye galti se bhi bilkul naa lagna chaheye ki is kand se chaudharyo ka koi lena dena hai
or ye khayaal sirf shyam Chaudhary ke man me hi nahi balki baki ke dono pariwaro ke man_me bhi chal raha tha
kajal thakur koi choti moti hasti nahi thi hone wale raja ki maa thi or sab yahi cahte the ki thakur pariwar ko ye lage ki woh unke sabse acche dost hai or unka is sabse koi lena dena hi nahi hai yahi soch kar sab lagbhag apni puri tagat ke sath aaye the
yaha tak ki jab raja ko apni samdan ke uper hamle ki khabar mili to woh bhi apni personal army ke sath mamle ko dekhne aaye the
(Time same abhi se 2 ghante pahle )
Location Jungle
ek car me aag lagi hui thi or uske aage ek ladka baitha hua tha uske cahre se uske emotions ka andaza lagana mushkil tha tabhi woh ladka apni jebse mobile nikalta hai or kisi ko call karta hai
ladka - hello *******##########
abhi tak aap log samajh hi gye honge woh ladka kon hai ji haa woh koi or nahi abhay hi hai
darasal gusse me abhay ne apni maa ki car ko takkar to maar_di thi par ab use samajh nahi aa raha tha ki use kya feel ho raha hai
kyuki use gusse or nafrat ke alawa koi or emotion samajh nahi aata tha to woh gumsum sa jungle me hi baith gya fir uske man_me khayaal aaya ki kahi uski maa mar to nahi gyi ye sochte hi
abhay - ( pareshani se ) nhi itni asani se woh nahi mar sakti
fir woh kisi ko call lagata hai or hospital jake thakuro par nazar rakhne ke liye kahta hai likin woh khud bhi zada der waha ruk nahi pata or bechain hokar khud bhi hospital
pahuch jata hai likin woh thakuro ke pass nahi jata
balki woh hospital ke cantin me hi baith jata hai use dar tha ki agar unse kisi thakur ko dekha to woh fir apna cantrol kho dega or use bhi maar dega
likin jab uske jasus ne ye khabar di ki kajal theek hai tab jake use chain aaya or woh bahar jane laga likin jab usne bahar itna sab dekha to heran ho gya
kyuki usne nahi socha tha ki baki 3no pariwaro ki itni tagat hogi
Location flat
petar - bhai apun log ne aaj kya rada kiya hai maza aa gya
abhay - apun log ne
petar - kya bhai apun to bas aapka test lerela tha nahi to ye jhegur log apun ke aage pani kam chai the
waise bhai aap kya lagta hai fight karte waqt ek dum hero mafik
abhay - ( cold tone ) petar me is kahani ka hero nahi me hu VILLAIN
fir abhay kisi ko call karta hai
abhay - hello Suleman mujhe kuch chaheye
suleman - hukum kro mere aaka
abhay - mujhe *****************************************
or bas abhay ki baat sunkar to petar or sulemaan pure thande pad gye suleman ka shareer bhavishya ki soch kar darse kaapne laga
30 min baad jab petar apne sadme se bahar aaya tab
petar - bhai par apunko ye samajh nahi aaya ye chachundar log apun log par hamla kaiko kiye
aajke liye itna hi to abhay ne ayisa kya kaha suleman se or akhir abhay ki kis baat se naraz hai ye pariwar or abhay kaise muqabla krega itne tagatwar pariwaro se
Bahot badhiya shaandar update
Tow Kajal ko ziada chot nahi aayi balki kuch bhi nahi aayi bas bechara driver coma m chala gaya
Sare dushman apna ullu seedha kerne k liye poori foj leker pahoch gaye Thakur ke samne
Baherhal ab dekhte Abhay kia karega aage
Badhiya shaandar update