• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy BLACK PLAIN

Kis fonts mein apko story chaheye


  • Total voters
    12
  • Poll closed .

Emre

Update time se de diya kro...bs aur Kuch nhi kehna
141
276
63
Bhai ye Kaun SA exam hai Jo khatam hi nhi ho rha hai..
 

Emre

Update time se de diya kro...bs aur Kuch nhi kehna
141
276
63
Fail ho gya lgta hai...exam se phle story start Kiya uske Baad ab afsosh kr rha is wajh se story ki update likh nhi pa rha hai...
 

F@ckYouBitch

Take the risk or lose the chance
1,281
3,506
144
Chapter 18:- Fights



Arjun ne phir apni talwar chalayi. Arjun ki talwar ka var bahut smooth tha aisa lag raha tha ki jaise arjun hawa ko hi kaat raha hai.

Arjun ke is vaar se jaise hawa mein hi ek transparent talwar jasi ek energy cover bana jaise ki ek air blade ho. Aur us air blade ko wahan majud sabi log dekh sakte the.

Apni taraf air blade ko aata dekh arjun se fight kar rahe guard ne apni defense skill ko activate kar liya.

"Transcendent shield"

Is skill ko activate karte hi us guard ki body ke upar jaise transparent shield c ban gayi.

"Crakkkk"

Yeh kiya is shield se us guard ko koi fayda nahi huya. Balki arjun ke air blade jaise hi uski shield se takreya kuch tutane ki aawaz ayi.

"Aahhhhh"

Yeah dard bhari aawaz thi us guard ki aur woh hawa mein udhta huya dur ja gira.

Waha majud kisi ne mein aisa socha nahi tha ki unko aisa drishya dekhne ko mile ga.

Arjun jeet gyaa….

Haan arjun aur us guard ke level ke veech antar tha. Aur yeh v baat hai ki arjun apne level ke user se 5% jyda energy store kar sakta hai.

Lekin arjun ke jeetne ki wajah yeh nahi thi balki thi uski technique.

Arjun jo technique use kar raha tah woh us guard ki black grade technique se bahut jayda efficient thi. Agar ek udharan doon toh. Us guard ki black grade technique sirf 70% efficient hai aur arjun ki golden grade technique uske badle 200%. Aur jahi ek reason v hai ki arjun ki body mein store Spiritual energy us guard se adhik v hai aur usse jayda shktishali v.

Is fight ke natije se wahan majud sabhi surprised the. Kisi ne yeh socha v nahi tha ki arjun ek var se jeet sakta hai.

Tabhi ek guard bola mujhe nahi lagta tha ki level 21 ja user itna strong v ho sakta hai ki woh level 27 ke user ko hara de.

Uski baat ka jawab dete huye dursa guard bola…..mujhe lagta hai agar woh guard pehle se hi apni full power se master par vaar karta toh acha rehta usne master ko kamjor samaj kar galti ki.

Uski baat par commander partap ne v apni hami bharte huye kaha ki….us guard ne full potential se vaar nahi kiya. Lekin mujhe yeh v lagta hai ki woh tabh v jeet nahi pata….kyunki usne apne defense mein apni puri power dikhayi thi lekin uski shield phir v tut gayi.

Kuch hi wakat mein woh guard v hosh mein aeya…..

Halanki arjun ka vaar uski shield ko tordta huya usko laga tha lekin uski shield ne almost sari power observe kar li tahi. Aur usko sirf kuch kharoche hi ayi thi na ki koi bdi injury huyi thi.

Woh guard baas jahi soch raha tha ki usne apne young master ko underestimate kar dia…..haan use yeh pata tha ki arjun unka lord hai aur uske paas un sab se achi technique hogi lekin woh usse kam level ke arjun se haar jayega je usne socha nahi tha.

Sab ka dhayan apni taraf khichte huye commander partaap bole…..toh aajj hame yeh seekh milti hai ki hame kabhi v apne se kam level ke vyakti ko kamjor nahi samajna chaheye. Nahi toh hum mare jayeinge apne dushman ke hatho.

Commander partap ki baat par hami bharte huye arjun bola….toh aaj ke liye bass itna hi lekin kal mein do guards ke saath fight karunga.

Arjun ke adesh par commander partap aur sabhi guard wahan se chale gaye aur arjun khud apne kamre mein jakar sidah Spatial kingdom mein chala gya apni technique ko aur nikharne.

Arjun apni is pehli jeet se kafi khush tha. Isi liye woh aur mehnat karne wala tha ki kal ke matches v jeet sake.

****************

Din guzra aur arjun tayar tha apni agli fight ke liye.

Is var uska jo opponent tha 5 fr 5 inch ka 29 varshiya guard usne beard v rakhi huyi thi. Aur level 27.

Arjun aur us guard ke ilava wahan commander partap ke sath do aur guard majud the.

Fight shuru hone wali thi arjun aur uska aaj ka opponent ek dusre ke aamne saamne the.

Kal wale guard se alag is guard ke hath mein ek war hammer tha….. Aur arjun ke hath mein talwar.

Commander partap ne fight shuru karne ka signal diya.

Is vaar arjun ne pehle hi apni Spatial sword technique activate kar li kyunki arjun ko pata tha ki uska yeh opponent kal wale guard ke jaise galti nahi kare ga.

Uske opponent ne v apni ability activate kar li. Jise uski physical strength aur defense dono hi increase ho sakate hai. Yeh koi uski technique nahi thi balki yeh uski warrior garde physique ki ability thi.

Jaisa ki apne pehle kuch update mein read kiya hoga ki physique ko 5 category mein classified kiya gya hai:- common, warrior, king, saint and devine. Aur jiski jaise Physique hogi us user ke pass uske according hi ability v hogi.

Swiishhhhh

Arjun ke opponent ne apni taraf ati energy sword ko deflect karna ki kohsish ki lekin uske liye energy sword ki speed bahut fast thi. Aur arjun ki technique ke karan veh pehle se dheema v ho chuka tha.

Arjun ke opponent ne apni defense technique activate kar li. Jiske chalte uski body kayi guna jayda hard ho gayi.

Hong!

Pure courtyard mein dhamake ki awaaz fail gayi. Yeh awaaz thi energy sword ke opponent ke shoulder se takrane ki.

Parantu is vaar arjun ka opponent uske ek vaar se hara nahi tha.

Aisa nahi tha ki uske opponent ko kuch huya nahi tha. Lekin uske opponent ne uska vaar deflect kar dia tha aur uski defense technique ki wajah se arjun ke vaar ko absorbe kar liya tha.

Lekin arjun ke opponent ko shoulder mein discomfort mehsus ho raha tha. Aur woh thaka sa v lag raha tha kyunki uski kafi energy defense shield banane mein lag gayi thi.

Arjun ke opponent ko jahi time sahi laga arjun par attack karne ka. Usne apni attacking technique ko activate kiya aur arjun ko bilkul v samay nahi diya counter attack karne ka.

Hammer of heaven

Apni taraf apne opponent ke attack ko ata dekh arjun ne jitna jaldi ho sake apni defense technique ko activate kar liya. Is technique ko activate karne mein v arjun ki lagpagh adhi energy use ho gayi.

Indestructible Body

Arjun abh tayar tha apne opponent ke attack ko jhelne ki liye. Lekin arjun aisi position mein tha ki uske opponent ka sidah vaar uspar hona hi tha. Isiliye arjun ne khud ko counter attack ke liye v prepare kar liya tha.

Arjun chahta tha ki jaise hi uske opponent ka vaar uspar ho woh agle hi second apna vaar karke apne opponent ko hara de.

Puffff!

Arjun ki body par Hammer of heaven ke attack ka ek dull sa sound aeya. Lekin uske saath hi arjun ki sword chalne na v sound uske opponent ko sunayi diya.

Arjun ka opponent shock 🤯 mein tha. Woh apni herani se bahar v nahi nikal paeya tha ki. Arjun ki energy sword usko akar lagi aur woh 6 foot hawaa mein udhta huya dur ja gira. Aur girne ke saath hi behosh ho gya.

Arjun match jeet gya….. Lekin uski woh kafi thak v gya tha kyunki itni jaldi ik energy shield banane aur sath mein Spatial sword technique use karne se usne bhut sari energy use kar li thi.




Waahh jabardast ¦.young master jeet gaye….commander Partap khush hote huye bole.

Tabhi ek sanik bola jo wahan kharda is fight ka anand utha raha tha…. Oh toh koi v level 27 ka user master ke defense ko nahi todh sakta hai.

Toh uske paas kharda dusra sanik bola toh hum silver grade technique master se itni aasani se nahi jeet sakte hai.

*************


Phir agle teen din arjun level 27 ke users se fight karta raha. Lekin use ek surprise v mila. Kyunki uska ek opponent warrior grade physique wala nikla. Jis wajah se uski speed jayda thi.

Apni isi ability ki wajah se woh arjun ko harane mein kaamjaab raha.

Agle do din arjun ne char Level 28 ke users se takar li. Jisme usko do draw aur do har mili.

Lekin isse arjun ne khud ka manobal nahi tutne diya. Use pata chal chuka tha ki alag alag physique aur level mein takat ka kitna antar hai.


Lagtar 6 din fights karne ke vaad arjun ne socha ki abh woh ek din ke rest lega aur agle hafte phir routine ke mutabik sabse vaari vaari fight lega.

***************

Arjun apne Spatial Kingdom mein lake ke sahmne dhiyan mudra mein betha huya tha. Aur uske hi 100 meter ki duri par grandpa ramesh, anchal aur raghu apni training mein lage huye the.

Butler Ramesh apni healing technique ki practice kar rahe the toh wahi Anchal aur Raghu v dhiyan mudra mein bethe apni apni techniques se training kar rahe the.

Sabse achi baat yeh thi ki dono bache level 4 par pahunch chuke the aur bahut hi achi gati se khud ko improve kar rahe the.

Toh Arjun v abh level 22 par tha.

Itne din fights aur alag alag tarah ke fighters ki alag alag tarah ke fighting style aur technique se v Arjun ko kafi fayda huya tha. Uski v knowledge mein bardohtri huyi thi. Aur Arjun ki strength v pehle se kafi adik ho gayi thi.

Arjun ko umeed thi ki uski fight karke parapat ki huyi knowledge aur uski kadhi mehnat ki wajah se agge ki fight mein usko kafi madad mile gi.

Arjun ko abh pura confidence tha ki woh level 27 ke users ko hara sakta hai aur jin do opponent ke sath uska match draw huya hai woh unka v hara sakta hai.

Lekin level 28 ke woh do opponents jinhone Arjun ko hara diya tha. Unke prati Arjun ko abhi v doubt tha ki woh unka hara payega ja unke sath woh draw kar sake ga.

Is update mein itna hi. Milte hai agle update mein.



 
Last edited:

F@ckYouBitch

Take the risk or lose the chance
1,281
3,506
144

Chapter 19: One Year



Do hafte beet gaye, aur ab Arjun level 23 par tha. Us samay tak, usne level 27 aur 28 ke sabhi 10 guards ke saath do aur baar ladai ki thi. Pehle jab woh level 23 tak nahi pahuncha tha, to usne un sabhi ko haraya tha jo level 27 par the, do jo level 28 par thee ke saath barabari ki aur antim ke saath haar gaya tha.

Agle hafte tak, vah pehle se hi level 23 par pahunch chuke tha, aur do guard jo level 29 pe thee woh agle level par pahunch gaye the, phir v unhein zyada madad nahin mili. Arjun bas ek ladai nahi jeet paya, aur ek barabari par khatam ho gaya.

Us match mein, uska muqabla usse tha jo pehle se Arjun ko do baar hara chuka tha. Jab unhone pehli baar ladai ki thi, to vah 30 saal aur level 29 ka tha. Vah ek takatwar aur kad mein lamba admi tha.

Lekin jo Arjun ko impress kiya tha, vah yeh tha ki is guard ka ek king grade ka sharir tha! Yeh hairatangez tha kyunki aam taur par, aap kisi ke talent se adhik rating wale sharir ke saath janam nahi lete.

Aur kyunki Vikram ( ji haan us guard ka naam vikram hai) ne apni poori zindagi black plain mein bitayi thi, isliye yeh namumkin tha ki vah apna sharir bahari sadhanon se behtar banata.

Aur is spiritual world mein ek vyakti ki pratibha(talents) ko badhana sambhav nahi hai, lekin use bottleneck tak badha sakte hain jab tak user issey prapt karne ke liye khaas sadhanon ka upayog kare. Aur Sharir ke liye ek vyakti sirf ek baar apni rating ko apni zindagi mein badha sakta hai, lekin uske liye bhi khaas sadhanon ki avashyakta hoti hai.

Phir bhi, ek seema hoti hai. For example, Sharir(physique) ke liye, sirf 1 darja(degree) tak classification badha sakte hain. Sirf Arjun jaise ek vikrit Sharir ka malik hi apni physique ko aage badhne ki shamta rakhta hai!

Isliye, yeh namumkin tha ki vikram ek warrior darje(grade) ke Sharir(physique) ke saath janma aur phir king grade physique wala ban gaya. Is shetra(region) mein iske liye koi sadhan nahi the!

Lekin ek unique ability hona namumkin nahi tha. aur aisi ability Vikram Arjun ke khilaf ladai mein use kar raha tha.
Uske paas ek innate ability thi, mental chaos, jo samne wale vyakti ko confused sthiti mein dal deti thi.

Aur kyunki Arjun ka level bahut kam tha, usne is kshamata ke prati bahut adhik takleef uthani pdhii thi.. Lekin level 23 tak pahunchne ke baad, Arjun apni poori shakti ka upayog karke haarne se bach gya.

...

"Shikha, Commander Partap ko bulao. Usse kaho ki guard Vikram ko bhi saath laaye." Arjun ne Shikha se baat karte hue kaha jab wah uske karyalay(office) mein gayi.
"Ok."

Kuch ghanton baad, Arjun ke karyalay ka darwaza khula, aur do aadmi us jagah mein pravesh kiya. Yeh partap aur vikram the.
"Young Master Arjun, kya hum aapki kiya madad kar sakte hain?" partap ne ek utsuk chehre ke saath puchha.

Arjun:- "Vastav mein, maine nirnay liya hai ki kuch hafton mein guard vikram ko unke pichle kuch saptaahon mein dikhaye gaye performane ke liye inaam diya jaye."

"Haalaanki usne teen ladaiyan nahi jeeti jo maine kaha tha ki jo jeete ga use mein Silver grade ki takneek doonga, lekin woh hara v nahi hai.

Arjun ne phir vikram ki taraf dekha aur kaha. "Isliye maine faisla kiya hai ki main aapko ek Silver grade ki takneek se sammanit karoon."

Usne phir apne spatial ring se ek chandi ka scroll uthaya aur use vikram ki aur phenk diya.

Vikram poori tarah se chakit tha jab usne yeh suna aur dekha. Usne kabhi bhi aise kuch sapne mein bhi nahi socha tha.Ek Black-grade takneek bhi uske liye zyada thi!

Is beech, Commander Partap ka munh khula reh gaya tha. Uske man mein khushi aur jalan ke mile jule bhaav bhi the kyunki Arjun ne unhein abhi tak sirf Black-grade takneek hi seekhne ko di thi!

Takneek jo Arjun ne vikram ko di thi, uska naam Day Dream tha. Yeh nishchit samay tak target ko hallucinate kar deta hai aur agar ise din mein prayog kiya gaya to jaye toh dooguna prabhav hota tha.

"Bahut bahut dhanyavad, young masterArjun. Main aaj se aur bhi zyada mehnat karunga, taaki aapko nirash na karoon." Vikram ne bharpoor vishwas ke saath kaha.

Uske baad, guard vikram apni sevaon mein laut gaya jabki arjun aur partap dry city ke prashasan se sambandhit mamlo par charcha karte rahe.

...

Samay tezi se guzar gaya, aur doosre fasal ke katne ka samay aa gaya!

Aadha mahina jaldi se beet gaya aur ab Arjun level 27 par tha!

Spatial kingdom mein, Anchal aur Raghu, is avdhi ke dauraan bhi apni shakti badha chuke the aur ab level 8 par the.
Butler Ramesh ji ke anusar, ye dono ek mahine mein Transition stage tak pahunch jaenge!

Lekin butler Ramesh ji ki koi progress nahi hui. General Spiritual stage par kisi ke liye v progress karne mein nichle staron ke mukable jyada samay lagta hai.

Ek andaza lagane ke liye, kisi vyakti ke liye jo ki uchch talent aur uchch dhyan ki kshetra mein hai, 0 se 10 ke level tak 2 ya 3 mahine lag sakte hain. Aur ek vyakti ke liye jo ki General Spiritual stage mein hai, level 40 se 41 tak jane mein 5 mahine lag sakte hain!

Ye aasan nahi tha!

Aur jyada urja ikatthi karne ke alawa, unhe har technique mein ek saman domain mein hi hona chahiye. Varna, aage badhne mein bahut nuksan ho sakta hai.

Aur jaise ki unchi staron mein hun ek se adhik sankhya ki techniques ki training karte hai….. Jahi wajah hai ki aage progress karne ka samay v bahut badh jata hai!

Aaj, Arjun aur butler Ramesh Spatial Kingdom chhodkar Black Plain ke bhavishya ke mudde hal karne ke liye nikal pade kyunki unke paas jald hi bahut saare crystals aane wale the.

Is samay, Arjun aur Ramesh office mein baat kar rahe the jab darwaza jaldi se khula, aur Secretary shikha andar aayi.

"Young master, manager Somveer aapko milne aaye hain," Shikha ne Arjun ke office mein pravesh karte hue kaha.

"Hehe, main soch raha hoon ki yeh aadmi bhaavantar(bargain) karna aaya hai. Pichli baar humne use accha munafa diya tha," Ramesh ne ek cup se chai pite pite kaha.

"Hmmm, use andar bhej do, Shikha."

Kuch hi seconds ke baad, Central Market ke manager Arjun ke office ke darwaze se andar aaya.
Vastav mein, pichli fasal mein, Arjun ki fasal itne achhe se bik gayi thi ki Arjun ko 10% ki fee charge lagane ki wajah se vah vyakta chinta mein tha ki Arjun ab use adhik vyapaar nahi karega.

Isiliye use jab giyaat huya ki vartaman fasal lagbhag katne wali ho chuki hai toh veh Arjun ke pass pehle hi chala aaya.

"Aapse mil kar achha laga, Mr. Somveer," Arjun ne apne chehre par ek muskurahat ke saath kaha.

"Aapko bhi dekh kar achha laga, Master Arjun. Aaj main yahaan aaya hoon agli fasal ke liye Central Market ke vetan ki punar sthapana ke liye. "

"Pichli baar maine ek adhik daam lagaya kyonki mujhe utpadan ka pata nahi tha aur vah chhoti matra mein tha. Lekin is baar, main master ko sabse achha daam dena chahta hoon. "

Arjun ne phir ek expressionless face ke saath pucha. "Oh? Aur hum kis ke bare mein baat kar rahe hain? "

Somveer:- Maine socha hai ki 3% free achi rahegi, jo Central Market ke liye pahle mahinon mein thoda kam hoga, lekin samay ke saath hamein ek achha labh hoga.

Arjun:-"Hmm, main ise svikar kar sakta hoon, lekin hum is baare mein bhavishya mein punha vichar kar sakte hain. Kya aap mere sath 5 sal ki patnership ke liye sahamat hain?

"Ye bhi chalega," Somveer ne aaram se uttar diya. Iski usko pehle se hi sambhavna thi, isliye usmein koi samasya nahi thi. Mukhya bat to yah thi ki vah Arjun ki fasal ko bechta raha!

...

Ek saal jaldi se guzar gaya. Us samay ke dauraan, Dry City sthir roop se badhi aur ab usmein 40,000 se adhik nagarik the. Iska karan yah tha ki kuch Black Plain ke nivasi is shahar mein shift ho gaye the, jo ki pichle mahinon mein kafi viksit ho raha tha.
Pichle samay mein kai badlav hue the. Udaharan ke liye, ab 100 hectres mein vibhinn fasalyen ugaayi gaye thii, shahar mein 10,000 se adhik logon ko rozgaar mil raha tha!

Black Plain ki Sena ki sankhya bhi teji se badh rahi thi aur ab 600 sadasyon ke upar thi.

Jaise ki shahar mein, sabse bada badlav tha char arrays mein upyog hone wale spiritual stones. Ab, Arjun har mahine sabhi arrays ko spiritual stones supply kar raha tha. Isse shahar ke madhya bhagon mein spiritual density aur bhi badh gayi thi, jisne nagarikon ko aur bhi khush kar diya tha!

Spiritual density adhik hone ke karan naagriko ki cultivation ki speed v badh gayi thii.

Arjun ab level 33 par tha, jabki Ramesh ka level 47 tha., Anchal aur Raghu v abhi spiritual beginner stage mein the!
Arjun ne pehli Physique parivartan ka bhi anubhav kiya, jismein usne Common-grade se Warrior-grade tak jaane ka anubhav kiya. Iska parinamswaroop, Arjun ki Physique ki spiritual energy ikathi karne ki kshamata 5% se 10% tak badh gayi.

Is avadhi mein, sena ke sainikon ki shakti mein bhi achha vikas huya, aur unme se bahut se log unki seema par, arthat, level 39 tak pahunch gaye the.

Iska parinamswaroop, spiritual pills ki jarurat mehsus hone lagi thi!

Aur itne wakt mein Megha v vapis nahi ayi thi isi karan se Arjun ne phir yah nirnay liya ki vah khud Stone Island ki or vyapaar karne niklega aur stone region mein vyapaar v kar lega.

Apne rajya ke sabse mahatvapurn logon ke saath ek badi baithak ke baad, yah nirnay liya gaya ki Arjun ki gairmajoodgi mein butler Ramesh shahar ki dekhbhaal ke liye ruke gein. Aur commander partap aur dus aur sainik master Arjun ke saath is yatra mein shamil honge.

Yah yatra mein kuch hafton se kuch mahinon tak ka v samay lag sakta tha, aur kyonki unhe kai anjaan kshetron se guzarna tha, islie unhe sanik bal ki v avashyakta thi. Haalaanki, shaktishali nahi hone ke bawajood vBlack Plain mein abhi bhi kuch kshetra hain jahan low level spiritual beast maujood hain.

Iske alawa, anya samasyaen bhi ho sakti thin, islie samuh ko sabse achhe tareeke se banaya gaya tha. Arjun ke alawa, sabhi level 39 par the!


Ia update mein itna hi baki agle update mein……. Thank you!
 
Last edited:
Top