- 1,281
- 3,506
- 144
Chapter 20: Coyotes
Dry City mein savera hua, aur ek 3 carriages ka group Black plain ke Pashchim ki taraf badh rahe tha. Bahut subah ka wakt tha, aur suraj abhi bhi nikal hi raha tha aur ek shandar drishya dekha ja sakta tha.
Samuh dheere-dheere os kshetra ke ore se guzra jahan fasle lagayi gayi thi.
Doosri carriage mein, Arjun yatra karte samay subah ka anand le rahe the. Use vah ehsaas sachmuch pasand tha, jo vah ab apne carriage ke bahar mehsoos kar raha tha. Tapmaan bahut hi suhavna tha, saamne ek khoobsurat drishya tha, aur sirf carriage ko dhakelne wale praniyon(beast) ka shor sunai de rahe the.
Dheere-dheere samay beet gaya jab commander Partap Arjun ke paas aaye aur kaha. "Young master, Maritime City tak pahuchne mein lagbhag 2 din lagege. Kyunki wahin tak aur koi shahar nahi hai, isliye hamen raat ko camping karni padegi."
"Hmm, mujhe pata hai. Maritime City ke baare mein batao." Arjun ne utsukta se kaha.
Uske baad, partap ne sab kuch jo usko pata tha kahna shuru kiya. "Maritime City Black Plain ke andar hi sithit hai, jahan Brown Kingdom aur Stone Island ke beech mein deals karne wale merchants jahan se guzarte hai."
"Yah isliye hai kyunki Black Plain kingdom ki saari coastline ko cover kar leti hai, isliye Maritime City ko hajar saalon pehle vahan sthapit kiya gaya tha, taki vahan se aane jaane waale vyapariyon ko achhi suvidha mil sake.
"Lekin yeh shahar Black Plain ke andar hone ke bavjood v yah seedha rajdhani, City of the Setting Sun dvara prabandhit kiya jata tha."
Thodi der baad partap baat karte hue aage bole. " jahi karan hai ki jeh shahar hamare Dry City se kai guna takatwar hai. Isiliye kam se kam ek spiritual king hamesha shahar ki raksha ke liye maujood hota hai!"
"Hmm, lekin kya ek spiritual king jaise level ke vyakti ka itne kamzor kshetra mein hona uske liye bura nahi hoga?" Arjun ne utsukta se puchha.
"Hoga, lekin rajya ne is jagah ko bahut mahatva diya hai. Isliye rajdhani ne us shahar mein spiritual density ko sudharne ke lie arrays par bade paise lagaaye hain."
"Aur jo rakshak Maritime City mein rahate hain, unhe samay-samay par badal diya jata hai. Isliye yah unke liye itna bura nahi hota hai."
Thodi der baat karne ke vaad Arjun ne samajh liya ki vah jagah kaisi hai jahan se woh guzar rahe hai.
Haalanki, yah jagah nishchit roop se Arjun ke yojnaon ko bigad sakti thi. Agar Brown Kingdom ko Black Plain ke vyavsay ke baare mein pata lagta hai, toh kyi nobel parivar uske vyavasay mein bhagidari lene ki koshish karenge.
Lekin Arjun kisi aur ko apni mehnat ka phal uthane ka moka nahi dena chahta tha. Isliye uske samne do raaste the: ek apna bandargah shahar sthapit karna, aur doosra Maritime City ko le lena.
Haalanki, dusra vikalp rajya ke andar use ek rebel bana deta jiske ke arth sawroop... Usse poore rajya se ladna padta.
Uske paas aane wale varshon tak aisa karne ki koi takat nahi thi! Kewal Maritime City ka rakshak hi Arjun ke sare saniko ko mita sakta tha!
'Hmm, hamein Maritime City se kafi door apna khud ka bandargah banana hoga.' Arjun is baat par kafi der tak sochta rah. Isse kam se kam Black Plain ko kingdom ki nazar mein aane mein thoda samay lagega.
...
Samay beet gaya, aur raat ab gir ayi thi.Das sainiko ne pehle se hi ek chhota sa shivir taiyar kar liya tha.
Minos apne shivir mein apne spiritual crystals ke saath abhyaas kar raha tha, kyunki yah achha nahi hoga agar vah kahin beech raaste mein gayab ho jaye. Isse Arjun ka matlab tha ki woh apne spatial kingdom mein jakar cultivate nahi kar sakta tha. Arjun cultivate kar hi raha tha ki use ek sainik ki aawaaz achanak sunayi di.
"Ahhh!"
Sab us sanik ko dekhne ke liye jaldi se bhage.
Jab unhone dekha ki ek sainik ke haath mein ek talwar hai, aur vah apne saamne 30 coyotes ke ek samuh ke saamne kharda hai!
Har ek spiritual beast ki laal aankhen thi, jabki unke muh se laar ki ek dhaara gir rahi thi. Lagta hai ki is coyotes ke samuh ne lambe samay se bhojan nahi kiya hai….
Sabhi coyotes apni 4th stage ki cultivation mein the, jisme se adhikansh neechle staron par the aur kuch shikhar ke kareeb the.
Adhyatmik duniya(spiritual world) ke praniyon( beast) mein bhi manushyon ki tarah hi vikas ke star hote hain. Antar yah tha ki ve teknik nahi seekh sakte the. Unke paas bahut adhik sharirik shakti hoti thi. Lekin unme se kuch ajeeb shaktiyaan bhi ho sakti thi...
Isliye, manushyon ke vikas ke saman darje ke jaanvaron se vikas mein prani aam taur par majboot hote hain. Isliye sainik ne jab bade samuday ko dekha toh usne apni sathi saniko ko chila kar awaz laga di kyunki veh jaanvaron ko dekh kar dar gya tha!
"Kya tum theek ho, Neelesh?" Ek sainik ne puchha jo pehle scene par pahuncha tha.
"Hmmm, main bas thoda dar gaya tha." Usne kaha jabki vah abhi bhi jaanvaron ki taraf ghoor raha tha.
Kuch hi der baad Arjun scene par pahunch gaya. Jaanvaron ke samuh ko dekh kar usne muskurakar kaha. "Sab, shaant ho jao. Yah samuh bada ho sakta hai, lekin..."
'Hehe, yah mera naye taknik ko test karne ke liye bilkul perfect hoga.' Arjun ne socha.
Is taknik ko Arjun ne level 30 par pahunchne par chuna tha. Ise Devouring Art kehte hai, yeh ek gold level ki 8 phases wali taknik hai.
Jab yeh taknik sakriya hoti hai toh agar dushman ka bal upyogakarta ke bal se 100% tak bada nahi hai, to is taknik ke dvara ek nishchit kshetra ke bhitar dushman ki urja lagataar absorb hoti rahe gi. Yeh taknik upyogakarta ke hamla karne ke liye kuch absorb ki gayi urja ka bhi upyog karegi.
Yah taknik upyogakarta se 50 meter tak ke kshetra mein simit hoti hai aur lower phase mein 20% tak ka conversion factor deti hai. Aur taknik ke final phase mein, conversion factor 100% hoga aur upyogakarta 50 kilometer tak isko uoyog kar sake ga!
Iska arth yah hai ki shuruaati charan mein agar 100% spiritual energy ko absorb kiya jaye gaya, to uska 20% us upyogakarta ki shakti ka ho jayega, jab tak user taknik ko sakriya rakhta hai.
Is divine takniik ka ekmatra disadvantage yah hai ki Arjun is spiritual energy ko apna level badhane ke liye absorb nahi kar sakta hai!
Arjun ne phir Devouring Art ko sakriya kiya aur sainikon ko kaha. "Mujhe follow karo, chalo sabko maar dalo. Yah ek achha abhyaas hoga."
Arjun ki taknik ke sakriya hote hi 50 meter ke kshetra mein ek gola ban gaya. Yah ek kaala chakr ke roop mein tha jisme kaala smoke nikal raha tha. Sabhi sainikon ko aisa lag raha tha jaise ve smoke seedha narak se nikal raha hai.
Zumm!
Takneek ke sakriya hone par ek shor shuru ho gaya. Is charan mein, Arjun khud ko nahi rok sakta tha ki vah kis se adhyatmik shakti absorb kare ga, isliye agar koi v sainik prabhavit kshetra ke andar hoga, to unhe bhi nuksan hoga!
"Sab log, is kshetra mein mat aana. Apni takneek ka upyog long-range mein hamla karne ke liye karo," Arjun ne apne saniko ko kaha jabki vah apni baki ki do takneeko ko sakriya karne ke liye taiyar ho raha tha.
Iske baad, har sainik ne apne hamlo ko jaanvaron ki disha mein chhodna shuru kar diya.
Boom! Boom!
Explosions ki awaz aana shuru ho gayi, aur Arjun, jo pahle hi apni Spatial Sword aur Indestructible Body ko ek saath sakriya kar chuka tha, ab das jaanvaron ke gatiyon ko bandh raha tha.
In das coyotes ke aasa paas ki space freez ho gayi thi, aur agle hi pal mein, Arjun ne kai talwaron ke hamle kar diye. Pratyek hamla asia lag raha tha jaise ek nritya hai aur jo koi v ise dekhe ga uski aankhon ke liye je drishya khoobsurat hoga.
Swooish!
Swooish!
Hawa ke kataav ki dhvani sunayi di, aur ek ek second ke baad, das sharir zameen par bina sir ke gir gaye. Fir khoon unhi coyotes ke gale se behne laga, jo Arjun dvara maare gaye the, zameen par bade paimane par khoon behna shuru ho gya tha.
Yah dekhne mein ek adbhut drishya tha! Na keval sainik balki beast bhi Arjun ke hammlo ko dekh kar achambit the ki kaise ek nojawan lardka itni aasaani se ek sath das beast ko mar diya.
Ek sabse shaktishali beast ne Arjun par ek jabardast hamla kiya!
Grrr!!
Halaanki, aisa hamla Arjun ko prabhavit nahi kiya kyunki agle 8 second ke liye uski Indestructible Body sakriya thi.
Vuuup!
Arjun ne phirse apni talwar ka waar kiya aur talwar ke waar se veh beast door jakar gir gaya. Yah nahi maloom tha ki vah jinda hai ya mar chuka hai, lekin is hamle ke vaad vah nishchit roop se abh dowara hamla karne ke kabil toh bilkul v nahi hai.
Samay dheere-dheere beet gaya, beast ki sankhya kam ho gayi. Arjun ke sainiko is beech baki beast ko maar rahe the.
Kuch beast bhagne ki koshish kar rahe the, lekin Arjun unki lagatar urja kheech raha tha aur sainikon ke lagataar hamlo ko bachaane ki koshish karne ki vajah se beast bahut jaldi thak rahe the.
Jald hi sabhi beast mare gaye!
Arjun:= "Hmm, bahut achha, dosto. Tum log lashon ko ikattha kar sakte ho aur jab hum Maritime City pahunchenge tab unhe bech sakte ho." "haalanki inka moolya adhik nahi hai, phir v tum logo apne beech crystals ko bant lena,"
Aur Arjun waha se chala gya.
Ise sunte hi, har sainik khush ho gaya. Vasise v yeh crystals Arjun ke liye bahut mahatvapurn nahi the, lekin Arjun ke saniko ke liye the kyunki beast ki body ki bech kar jitne crystals ikathe honge vah unki mahine ki salary se 200% adhik honge.
...
Raat jaldi se guzar gayi, aur samuh ne surya ke pratham kirnon ke saath is temporary shivir ko chhodne ke liye taiyar ho gaye. Aaj raat ke ant mein veh Maritime City mein pahunch jayenge!
Milte hain agle update mein Thank you!
Last edited: