- 1,308
- 3,526
- 144
Chapter 39:- Business on Stone Island
In dono beauties mein se ek ko Arjun pehle se jaanta tha, jo uski commercial ally thi Stone Island pe, Megha Sinha. Lekin doosri ek aisi beauty thi jo Arjun ko jiska nahi pata tha. Uska unrivaled appearance tha aur aisi breathtaking body thi ki koi bhi dekh toh dekhta reh jaaye.
Usi waqt, Megha ne Arjun ko receive kiya aur apne chehre pe ek smile ke saath kaha, "Aapko phir se dekh kar acha laga, Mr. Arjun. Main aapko introduce karna chahti hoon inse. Yeh hai meri business partner aur dost, Elena Neel."
Elena phir usse mili aur boli, "Oh! Toh tum ho woh young Arjun jiske baare mein Megha itna bolti rehti hai!"
Arjun ne politely reply kiya, "Mnn, aapse milke acha laga."
Jald hi, Elena ne apne friend ki commercial ally ki strength check karne ki koshish ki. Pehli nazar mein, woh utna weak nahi laga jitna Megha ne usse kaha tha.
'Ehh? Level 33. Yeh toh kisi bhi umar ke insaan ke liye weak nahi hai. Megha mazak kar rahi thi kya?' Elena ne socha, surprise hokar.
'Ruko zara... Kya isne sirf ek saal pehle cultivating shuru ki thi? Yeh kis tarah ka monster hai?' Usne socha, kyunki wo arjun ki cultivation ki speed se aur zyada shock ho rahi thi.
Usi waqt, usne Megha se dheere se pucha, "Kya tumhe iski information ache se nikali hai? Iski current strength dekho. Yeh toh bilkul bhi waisa nahi lagta jaisa tumne mujhe bataya tha."
"Bilkul pakki information hai. Parkash ne khud research ki thi." Megha ne apni dost se dheere se kaha.
Thodi der baad, usne Arjun ki strength mein jo farak dekha, aur use mehsoos kiya. 'Unbelievable, level 33, yeh kaise kiya isne?'
Isi beech, Arjun aur Anjali room mein settle ho chuke the jabki soldiers bahar wait kar rahe the. Megha phir surprised face ke saath boli, "Mr. Arjun, aapki cultivation ki speed incredible hai. Maine kabhi kisi ko itna fast cultivate karte nahi dekha!"
Arjun ne phir aise baat karna shuru kiya jaise use koi farak nahi padta,. "Mnn, main aapko Anjali se milwana chahta hoon. Halanki woh meri ally nahi hai, lekin kuch reasons ki wajah se woh mujhe kuch samay ke liye accompany karegi..."
Arjun ne teen ladkiyon ke sath kuch polite words exchange karne ke baad apni baat continue ki. "Megha madam ko shayad pata hoga ki aaj mere aane ka reason kya hai. Main agle 3 mahine mein Stone Island pe apni crops trade karna shuru karna chahta hoon."
"Oh! Yeh toh mere sochne se v zyada jaldi hai. Lekin hum kitni quantity ki baat kar rahe hain? Black Plain pe plantation shuru hone ke baad se ab tak zyada harvesting nahi honi chahiye." Megha ne Arjun ki taraf seriously dekhte hue kaha.
"Mnn, yeh sach hai. Abhi ke liye, hum sirf 100 hectares pe plantation kar paa rahe hain. Numbers ki baat karein, toh is waqt hum sirf 200 tons supply kar sakte hain, jo grains, cereals aur spiritual fruits mein divided hain, sab high spiritual concentration ke saath."
"Kya? High spiritual concentration wali crops, tum mazak kar rahe ho?" Elena sofa se uth khardi huyi aur usne unbelievable expression ke saath pucha.
Yeh reasonable v tha, kyunki high spiritual concentration wali crops sirf un territories mein plant hoti thi jahan high spiritual density hoti thi. Aur Black Plain waisa nahi tha. Asal mein, Central Continent ke north mein koi bhi jagah aisi spiritual density wali nahi thi.
Megha bhi Arjun se suni baat se shocked thi. Yeh unbelievable hota. Lekin agar yeh sach hai toh, toh woh Stone Island pe un kuch logon mein se hogi jo aisi 'item' provide kar sakti hai. Aur Arjun ne jo quantity batayi thi, woh bhi chhoti nahi thi!
Kyuki high spiritual concentration wali crops Central Continent ke doosre regions se import hoti thi, isliye market mein uski kimat kam nahi thi.
Anjali, jo ek armchair mein calmly baithi thi aur situation ko dekh rahi thi, woh bhi impressed thi. Halanki usne Black Plain mein bohot saari crops ko plant hote dekha tha, lekin usne in plants ki spiritual quality ko check karne main curiosity nahi dikhayi thi. Isliye, woh bhi Arjun ke is statement se surprise thi.
Megha ne phir Arjun se chamakti aankhon ke saath pucha, "Mr. Arjun, kya yeh sach hai? Main aap par shak nahi karna chahti, lekin aapne jo kaha woh hamare region ke liye bahut unbelievable hai."
"Mnn, main samajhta hoon. Lekin aap befikar rahiye, maine jo kaha hai woh mazak nahi hai. Lekin mere paas aapke liye ek request hai. Main nahi chahta ki mere items ka price un crops ke medium concentration ki price se zyada ho, jo doosre regions se import hoti hain."
"Mere apne reasons hain iske liye, lekin main chahta hoon ki mere items aam logo ko bhi milein, sirf sabse ameer families ko nahi."
"Okay, kyunki Black Plain utna door nahi hai jitna doosre regions, jahan se Stone Island ye resources normally import karta hai, isliye aapke items ka price waise hi lower hoga."
"Lekin aap mujhe yeh bata sakte hain ki aap yeh demand kyun kar rahe hain? Aap zyada kama sakte the agar yeh high cost pe bika." Megha ne curiosity se pucha.
Arjun phir expressionless face ke saath reply kiya, "Asal mein, meri region ko severe labor ki kami ka samna karna pad raha hai. Yeh is waqt ki sabse urgent problem hai. Agar jaldi population increase nahi hui, toh maximum 6 mahine ke andar, hamari production increase nahi ho payegi. Toh, yehi ek tarika hai kuch less talented logon ko mere region mein attract karne ka."
Megha ne apni aankhein band ki aur socha, 'Asal mein, itni low spiritual density ke saath, Black Plain ki population bahut time se hardly badhi hai...'
Elena ne phir kuch yaad kiya aur smile karte hue boli, "Shayad mujhe ek quick way pata hai jo aapki territory ki population increase karne mein madad kar sakta hai."
"Black Plain region ke ilawa Brown Kingdom mein, Kingdom of the Waves aur Cromwell Kingdom ke do chhote territories hain, jo specifically Black Plain ke border pe hain."
"Yeh dono territories bhi spiritual energy mein bohot weak hain Black Plain ke kareeb hone ki wajah se, toh unki populations bhi kamzor hain."
"Iske saath, aap unhe apni territory mein attract karne ki koshish kar sakte hain, wahan se kuch logon ko hire karke. Thode time baad, woh naturally migrate karenge, kyunki unki territories itni opportunities nahi dete jitni current Black Plain."
Usne ek second ke liye saans liya aur phir bolti rahi, "Main recommend karti hoon ki aap Kingdom of the Waves wale territory se shuru karein. Wahan strong criminal activity hai, toh wahan ke log zaroor us jagah ko chhodna chahenge. Aapko sirf in criminal groups ko eliminate karna padega, aur bohot log dusre regions mein emigrate karna shuru kar denge. Agar aap unhe attract karne ka tareeka jaante hain, toh woh Black Plain aa sakte hain."
'Oh! Toh ye jagah kareeb mein hain? Kyunki Dry City hardly dusre regions se interact karti hai, mujhe ye information nahi mili thi.' Arjun ne socha.
Yeh uske liye bahut accha tha. Agar Elena ne jo kaha tha woh sach hai, toh woh in logon ko Black Plain mein bina apne region ki powers dikhaye unki attention draw karke attract kar sakta hai.
Haalanki yeh jagah Black Plain se thodi si behtar thi lekin phir v kingdoms ke sabse badi families ko un jagahon ki parvah nahi thi, jaise Brown Kingdom mein hota hi hai.
Black Plain ki situation itni buri thi ki Brown Kingdom mein kayi badi families aur royal family saalon tak wahan ki koi khabar nahi leti thi!
Asal mein, Arjun ko pata nahi tha, lekin last time King Brown ne Black Plain ke baare mein kuch jaanna chaha tha toh, woh 7 saal pehle ki baat thi jab yeh territory Arjun ko mili thi, Avesh Singh ki maut ke baad!
Megha ne phir Arjun ko ek aur offer diya. "Mujhe pata hai ki yeh information aapke liye tempting hai, lekin aapko in outlaws groups ka saamna karna padega isse achieve karne ke liye. Lekin, main north of the Central Continent ke dusre regions se logon ko Dry City attract karne mein madad kar sakti hoon."
"Okay, in bandits ka saamna karna meri army ke liye acchi military exercise ho sakti hai. Aur aapka suggestion bhi mujhe interesting lagta hai. Mujhe yakeen hai ki yeh dono territories meri labor demand ko lambe time tak suppress kar payenge." Arjun ne apne chehre pe smile ke saath reply kiya.
Phir usne kuch yaad kiya aur bola. "Okay, hum Maritime City ke port ka use nahi kar sakte mere cultures ko transport karne ke liye."
Megha ne confused hokar poocha, "Kyun nahi? Aur hum aapke items ko kahan se transport karenge?"
Arjun ne smile kiya aur bola, "Main Black Plain coast pe kahi aur ek port banane wala hoon. Kyon? Kyon Ki main nahi chahta ki Brown Kingdom ke great forces meri territory ke development ke baare mein jaan paayein."
Yeh sunke, Elena ne frowned kiya aur Arjun ke actions ke consequences ke baare mein socha. Usne phir serious voice mein poocha, "Kya aap rebel banne ke baare mein soch rahe hain?"
Jab usne yeh kaha, Megha aur Anjali dono dar gayi. Unhe yakeen nahi ho raha tha ki Arjun ke itne ambitions hain. 'Kya woh apna khud ka kingdom banana chahta hai?' Dono ne apne aap se socha.
Milte hai abh agle update mein……..
Thank you