Arjun puchha “kaisa plan”
“Mai soch rahi hu tum itne dino me koi buisness khol lo. Jisse tumhe amdani bhi milati rahe aur tum apni aage ki jindagi aram se aish me bita sako. Kabhi tumhe paise ki tangi bhi nahi padegi. Sath hi sath tum is rajmahal ke gande khel se bhi dur rahoge.” Mrinali boli.
Arjun Mrinali ki baat sunkar soch me pad gaya. Waise Mrinali sahi kah rahi thi. Kisi bhi duniya me jine keliye paise ki jarurat padti hi hai, chahe we sadharan log ho ya yodhha. Aur agar use shanti ki jindagi jini hai to hamesha paisa rahna jaruri hai. Jisse wah jarurat ki chije aur shadhna keliye jadi buti aur adhyatmik chije kharid sake.
Wah Mrinali ki baat samajh gaya. Lekin use samajh nahi aa rahi thi ki wah kaisa buisness shuru kare kyonki aisa koi chij nahi tha jisase wah shanti se paise kama sake.
Agar wah koi aisa buisness shuru kare jo abhi maujud hai to use usse bahut kathinaiyo ka samna karna padega. Lekin agar wah koi naya buisness shuru kare to use jyada kisi se takrane ki jarurat nahi padegi.
Wah isi udherbun me baitha tha ki Mrinali usase bolti hai. “Arjun, abhi keliye jyada mat socho. Abhi bas itna dhyan rakhna ki kisi se ulajhna mat. Kyonki yaha academy ke aaspas yodhhayo ki bahut jyada sankhya hai.”
“Haa mai is baat ka dhyan rakhunga. Agar koi mujhse nahi ulajhe to fir bhala mai kyon ulajhunga.” Arjun bola.
“Thik hai! Mai tumpar vishwas karti hu. Waise bhi tum bahut badal gaye ho.” Mrinali haste hue boli. “Achha ab hato! Mujhe nanga hi rakhne ka irada hai kya?”
“Agar tum rahna chaho to tum rah sakti ho. Waise bhi ab mujhse chhupane ka kya bacha hai.” Arjun Mrinali ko upar se niche dekhte hue bola. Mrinali ki skin bahut hi najuk thi. Wah gori thi. Jisse abhi bhi uske boobs par Arjun ke danto ke nisan dekhe jaa sakte the.
Mrinali Arjun ke baat ka jawab diye bina hi kapde pahnane lagi. Tabhi Arjun usase puchha, “Mrinali ek baat mujhe samajh nahi aa rahi ki tum mujhse gussa kyo nahi ho. Koi aurat bina uski marji ke chhune se gussa ho jati hai. Tum kyon nahi hui.”
Mrinali ab tak apni kapde thik kar chuki thi. Wah Arjun ko dekhkar boli, “mai gussa hoti agar mere pati jinda rahte. Unke jane ke baad maine apne aap ko shant kar liya tha. Lekin tumhare chuan ne meri us bhawna ko fir se jaga diya. Ab mai khud ko hi shant nahi rakh saki to mai tumse kyo gussa houngi. Waise bhi mujhe apni jindagi jine ka hak hai. Mai samaj ke faltu se lafde me nahi padna chahti.”
“Ohhh” Arjun halke se muskuraya.
Abhi wah kuchh kahne hi wala tha ki usko gate khat khatane ki awaj sunai di.
Surabhi bahar leaving room me hi thi usne darwaja khola tabtak Mrinali aur Arjun bhi leaving room me aa gaye.
Unhone dekha ki darwaje par ek khun se lathpath ladki khadi hai. Uske kapde fate hue hai. Uske hav bhav se lag raha hai ki wah koi bade ghar ki ladki hai. Abhi koi kuchh kahta, wah ladki boli, “Surabhi didi. Bhagwan ka shukra hai ki ap thik ho.”
Itna kahkar wah ladki behosh ho gayi. Surabhi ladki ko pahchan gayi thi wah **** ki bahan thi. Jo us samay uske sath rahti thi. Isne hi Surabhi ko mayajal wali tabij di hui thi. Jiske karan hi Surabhi abhi tak ranjit se bachi hui thi.
Surabhi ladki ko pakadte hue boli, “Lily ankhe kholo. Kya hua tumhe.”
Mrinali boli, “isko lita do ek jagah tabtak hosh aa jayegi.”
Mrinali ki baat mankar Surabhi Lily ko lita deti hai. Mrinali puchhti hai, “Surabhi yah Lily kaun hai.”
Surabhi use sab kuchh bata deti hai. Uske baad we sabhi Lily ke jagne ka wait karne lagte hai.
Kuchh der me Lily jag jati hai. Wah Surabhi ko dekhte hue bolti hai, “bhagwan ka sukra hai ki tum thik ho. Mai to samajh rahi thi ki wah kutiya tumhare pichhe bhi lagi hui hai.”
Surabhi ko Lily ki bate samajh nahi aa rahi thi. Wah use hilate hue boli, “Lily kya hua hai. Mai to bilkul thik hu aur ye kya bake jaa rahi ho.”
Surabhi ke jhikjhorne se use hosh aya. Wah rote hue kahne lagti hai, “Surabhi di, bhai ka katl ho gaya hai. Sath hi sath uske pure wansh ko maar diya gaya hai. Mai kisi tarah bach kar bhagi hu. Mujhe laga ki wah kamini aurat apke paas bhi kisi ko bheji hogi lekin bhai ne usko sayad apke baare me nahi bataya hoga.”
Lily aage bolti hai, “Surabhi di, bhai ne bahut shari shadi ki. Lekin bahar bas apse hi ek rista banaya tha. Bahi ke janm par unke bete ke bare me kuchh bhavishwani ki gayi thi. Lekin yah baat kisi ko pata nahi thi. Kewal pita ji ko pata thi. Pata nahi kaise unki pahli patni ko yah baat pata chal gayi. Jaise hi use yah baat pata chali. Usne apne admiyo ke sath milkar mere sare pariwar ki hatya karwa di. Mai us waqt bahar thi. Jab mai apne ghar pahuchi to waha khun ki nadiya bah rahi thi.”
Itna kahkar wah rone lagi. Surabhi uske paas baith gayi aur uske sar ko apne kandhe par rakh di. Kuchh der me Lily shant ho gayi. Suraabhi boli, “ab tum thik ho to aage bata sakti ho.”
Surabhi ke kahne par Lily batati hai, “jab bhai mere sath ghar pahuche the tab se unhone apne kaamo par dhyan dena suru kar diya tha. Aap unki akhiri biwi hogi. Uske baad unhone kahi bhi apni wife ke alawa kisi ko nahi chhua. Jab unko bhavishwani ke bare me pata chala to unhone yah baat apni pahli patni ko bata di.
“Uske baad se unki pahli wife unki sabhi patniyo se ghul mil kar rahne lagi. Bakiyo ko nahi pata tha ki wah unke khilaf sajis rach rahi hai. Kal ghar par function tha. Us kutiya ne apne pariwar ke sath milkar hamla kar diya. Sare log mare gaye. Siwaye uske bete ko chhodkar jo function me nahi tha. Mai bhi kisi kaam se bahar gayi thi. Jab aayi to mujhpar bhi hamla kar diya gaya. Mai kisi tarah bachkar bhagi. Maine apko tabij diya tha usme ek teleport karke yaha aa gayi. Uske baad apko to pata hi hai.”
Surabhi usse boli, “thik hai. Ab to sab kuchh khatm ho hi gaya hai. To rone se kuchh fayda nahi hoga. Isiliye ab tum shant ho jao. Jao jakar naha kar kapde badal lo.”
Lily baat mankar naha dhokar taiyar ho jati hai. Wah ek mahadrone rank ki yodhha thi. Jisse uske ghav ab tak bhar gaye the. Ab wah shant ho gayi lekin uske chehre ko dekhkar pata lag sakta tha ki wah bahut hi udas aur thaki hui hai.
Mrinali bolti hai, “surabhi tumko mere sath chalna chahiye. Aur Lily, aap bhi aa jao. Tum dono abhi khatre me ho.”
Mrinali ki baat sunkar dono raji ho gaye. Mrinali arjun se bolti hai, “chalo tum apne plan par amal karo. Mai tumhe nahi le ja sakti academy. Tum normal tarike se hi aana. Do mahine baad academy ki entrance test hai. Yaad rakhna.”
“Thik hai.” arjun usko hami bharte hue bola. Wah itne samay me apna buisness start karna chahta tha.
Surabhi aur Lily, Mrinali ke sath chali gayi. Mrinali un dono ko lekar academy ke principal office me le gayi. Waha par Mrinali ne Surabhi ke bare me itna bataya ki meri saheli ki natini hai aur iska talent test karna hai. Principal maan gaya. Wah ek pathhar le aaya jo rangbirangi color ki thi. Color ke hisab se element ki akarshan ko test kiya jata hai, wahi uske intensity se pata chalta hai ki kis grade ki talent hai. Markash grah par talent ko panch grade me banta gaya hai - low, medium, high, earth, heaven.
Jaise hi surabhi uspar apna hath rakhti hai, pathar se ek tej safed roshni ki kiran nikalti hai. Wah kiran itni tej thi ki teeno ki ankhe kuchh der keliye band ho gayi thi.
Principal, Mrinali aur Lily munh fade Surbhi ko dekh rahe the. Unlogo ko dekhne se aisa lag raha tha ki unhone koi bhoot dekh liya hai.
Surabhi in sab ke baare me nahi janti thi wah darte hue puchhi, “aaplog mujhe aise kyon dekh rahe hai. Dekhiye mujhe dar lag raha hai.”
Uski baad sunkar teeno hosh me aaye.
“Light element, Heaven grade. Ha ha ha. Goog good!!!” principal khusi me uchhal pada. Wahi teeno use aise kudate ajib najro se dekh rahe the.
Unko aisa dekhte dekh principal apne aap ko sambhala. Wah mrinali ko dekhte hue bola, “mai isko Teacher Monika ke paas bhej deta hu. Thik hai na.”
Mrinali kuchh sochi aur boli, “thik hai!”
Uske baad principal Lily ke baare me bola ki use sapath leni padegi ki wah academi ko kisi bhi tarah ki nuskan nahi pahuchayegi to yah rah sakti hai.
Lily ne principal ke kahe anusar sapath li. Markash grah par yodhha agar apna sapath todte hai to unhe daiviya tufan ka samna karna parta hai jisse aaj tak koi nahi bach paya hai.
Uske baad principal teacher Monika ko bulaya. Wah ek light element ki yodhha thi. Jo light element ke yodhhao ke padhati hai.
Wah Surabhi ke talent ko jankar bahut hi khush hui. Wah apne sath use lekar chali gayi.
Uske baad Lily ko principal ne bola ki wah chahe to academy ke bachche ka class le sakti hai. Lily man gayi. Uske baad use principal ne ek chabhi diya. Chabhi lily ke quarter ka tha.
Word Count:1627
——THE END—— |