• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Adultery Carnival of Pleasure (Part-B started)

Status
Not open for further replies.

सुमन

#masti_
618
1,665
124

Arjun Magdh samrajya ke rajpariwar singh vansh ka rajkumar hai. Wah bachpan se hi yodha nahi ban sakta tha. Uske atharahve janmdin par kisi ne use jahar dekar mar diya.

Lekin usi waqt usi grah par ek ladke ko uski sathiyo ne dhokhe se maar diya. Uski aatma ne arjun ka sharir apne wash me le liya. Usne kasam khai ki ab se wah apni aur apni maa ka hamesha dhyan rakhega.

Tabhi usne dekha ki arjun ke paas jadui anguthi hai. Jisme uske liye kya hai. Janne keliye padhiya Carnival of Pleasure




Table of Contents



PART A: Past (Birth of Arjun)


PART B: 60 Days in Vaishali City
Adhyay 05
Adhyay 06
Adhyay 07
Adhyay 08
Adhyay 09
Adhyay 10
Adhyay 11
Adhyay 12


PART C:
Adhyay 01
Adhyay 02
Adhyay 03
Adhyay 04
Adhyay 05
Adhyay 06
Adhyay 07
Adhyay 08
Adhyay 09
Adhyay 10
Adhyay 11
Adhyay 12
 
Last edited:

Smith_15

Well-Known Member
8,999
18,200
173
Thank you
 
  • Like
Reactions: सुमन

सुमन

#masti_
618
1,665
124
BHAG 02: 60 Days in Vaishali City

Bhag 01 me apne padha ki abhi Blue Star Academy ki entrance test hone me do mahine baki hai. Is bich Arjun academy nahi ja sakta. To aiye jante hai ki arjun in 60 dino me kya karta hai Bhag 02 me.
 

सुमन

#masti_
618
1,665
124
Adhyay 01: Library
Mrinali, Lily aur Surabhi ke jane ke baad Arjun akela kamre me baitha hua tha. Abhi uski halat bahut hi kharab hui thi. Mrinali ke sath masti karne ke baad apne aap ko shant nahi kar paya tha uska lund abhi waise hi khada tha. Usne gahri sans lekar apne aap ko shant kiya.

Ab Arjun ko kuchh samajh nahi aa raha tha kya kare. Tabhi use Alisa ki yaad ayi. Pichhle teen din se wah jadui anguthi ke andar nahi gaya tha.

Arjun apni man me jaise hi jadui anguthi ke baare me sochta hai. Wah kamre se teleport hokar jadui anguthi ke space me pahuch jata hai. Wah dekhta hai Alisa ek sofe par baithi fulo ko nihar rahi hai.

Surabhi pichhle kuchh dino se talab ke kinare wale bhag me fool ke paudhe laga diya karti thi. Jisase ab talab ke kinare achha bagicha ban gaya hui. Kuchh fal ke ped bhi Surabhi ne lagaye the. Jo ki ab falo se lada pada hai.

Arjun ne ek set sofa aur table kharid kar bagiche me rakh diya tha. Wah jakar Alisa ke samne baith gaya.

Alisa use dekhkar boli, “ab tumhe chhuti mil raha hai. Pichhle do dino se kaha the.”

“Abhi mai Surabhi ke sath tha.” Arjun jawab deta hai. Wah usse jyada nahi bolta. Aur apne soch me gum ho jata hai. Arjun abhi bhi soch raha tha ki kis chij ka vyapar kare. Uska dhyan Alisa ki baato se tuta.

“jadu i anguthi upgrade ho gaya hai. Zero leval ki library khul chuka hai. Tum chaho to apne sawal ke jawab usme dhundh sakte ho. Kuchh na kuchh to mil hi jayega.” Alisa Arjun ko batayi.

Arjun hairan ho kar puchha, “ye upgrade kaise ho gayi. Yah kaise upgrade hoti hai.”

Alisa boli, “jab tum Surabhi se sambhog kar rahe the tab yah upgrade hui. Ab pata nahi kab upgrade hogi, lekin mere andaj se jaise jaise ladkiyon ki sankhya badhti jayegi waise waise anguthi upgrade hoti jayegi. Sayad tumhare yuddh star ka bhi ispar asar parta hoga.”

“Ab jaise bhi ho samay ke sath tumko sabhi kuchh pata chalta jayega. Abhi tum jo khoj rahe ho sayad tumhe library me mil jaye. Jakar dekh lo.”

Alisa ki baat ko samajhte hue wah minar ke andar chala jata hai jaha use bichobich bani room ka darwaja khula milta hai. Wah andar chala jata hai. Andar bahut jyada jagah thi. Yah ek space storage thi. Jo apne andar bahut sare jagah chhupaye hue thi.

Wah dekhta hai ki waha bahut sare kitab rakhe hue the. Sabhi vishay ke anusar sajaye gaye the.

Wah aise hi ghumne laga. Sochne laga ki kuchh to mil jayega. Ghumte ghumte uski najar cooking skill ke self par padi. Tabhi use yaad aya ki kitni bekar khana tha aaj dopahar me. Wah abhi tak rajsi rasoiye ke dwara banaya gaya khana khata aya tha. Use bahar ke khane pasand nahi the. Usne dekha tha ki hotal ke khane ki quality bahut kharab hai. Fir achhe restorent me bahut mahange khane milte hai. Aam logo ke liye khana bahut muskil se hi kisi hotel me milta hai. Usne kitab kholkar padhna shuru kiya. Pahle kuchh panne usme khana banane ki chije pahchanane me laga di. Kaun si janwar ki kaun si chije aur kaun kaun se janwar ki mans khana banane keliye upyog kiye jaa sakte the. Kaun se anaj ko kaise pahchna jaye. Kaise fasal ugaye jate hai etc.

Usme bahut hi vistar se sabhi kuchh bataya gaya tha. Arjun wahi baith kar padhne laga. Usne dekha ki harek janwar ke mans ko haddiyo se kaise alag karna hai. Ye sab bhi bataya gaya tha.

Wah kitab jyada moti nahi thi. Lekin fir bhi usko ek din me khatam nahi kiya jaa sakta tha. Isiliye usne us kitab ko wahi rack par rakh diya.

Yaha ki rule thi ki library ki koi bhi kitab ko bahar nahi le jaa sakte hai. Use andar hi baith kar padhna padega.

Fir wah recipi ki kitab utha kar laya. Usme pahle bahut se simple recipi the. Lekin uske baad dhire dhire adhik kathin aur adhik chij ko mix karke banane wali recipi thi. Wah kitab bahut moti thi. Usne kuchh der tak usko padha aur fir rakh diya.

Uske baad usme ek cooking skill ki kitab thi. Jisme kisi bhi chij ko dhoya kata anaj kaise rakhna hai. Khane me kitni matra me urja achhi rahti hai. Kaise bahar ki adhyatmik urja ka upyog khane me karte hai. Aur bhi bahut kuchh vistar me bataye gaye the.

Usne dekha ki kitab me simple se simple khana bhi bahut achhe se batayi gayi hai. Hotal ki khana ekdam se jaise taise bana diya gaya tha. Wahi rajsi rasoiye bhi kitab me bataye jaisa khana nahi bana sakte the. Kitab me masale banane ke kai sare tarike diye gaye the.

Usne tay kar liya ki wah ab hotel hi kholega. Ab use plan banana padega. Wah ab ye sab kal karne ka soch kar library se bahar aa gaya. Wah anguthi se bahar nikalne se pahle ek baar Alisa se mil lena chahta tha.

Arjun jab bagiche me pahucha to dekha ki Alisa waha baithi khel rahi hai. Wah jakar uske paas baith gaya. Use ek baar dekh Alisa fir se apni duniya me magn ho gayi.


image-2023-10-28-213125044


Arjun aas paas dekhte hue usse bola, “kaisi ho tum Alisa.”

“Thik hu” Alisa titaliyo se khelte hue boli. Surabhi ne kuchh titaliya pakadkar bhi usme rakh di thi.

“Waise hamlogo ke aane se pahle tum kya karti thi.” Arjun aise hi puchh liya. Wah janana chahta tha ki itne dino se wah kya karti thi.

“Mai abhi tak soyi hui thi. Jab tumne apni khun se anguthi ko pahchana tabhi mai jagi. Usse pahle ek baar bhi nahi uthi thi.” Alisa boli.

“Achha tumne us jadui bair ki ped ke bare me kya bataya tha.” Arjun us ped par lage hue fal ko dekh kar kuchh sochte hue puchha. Wah janana chahata tha ki use bechkar kitne rupaye mil sakte hai. Agar yah fal adhik damo me bikta hai to ek do ko bechkar paiso ka intjam kiya ja sakta hai.

Alisa uski ankho me chamak dekhkar jaan gayi thi Arjun ne usse yah baat kyon puchhi thi. Wah jawab dete hue bolti hai, “yah jadui fal, yodhhayo keliye bahut hi faydemand hai. Un logo ke liye bhi fayde mand jinko jakhm bharne ke baad kuchh antrik jakhm abhi bhi thik nahi hai. Yah jakhm jaldi bhar deta hai aur purabi ghav par bhi asardar hai. Isse yodhhayo ka talent bhi badh jata hai kyonki is fal ko khane ke baad se koi bhi vyakti ke sharir me jitne bhi poision jama ho gaye hote hai use bahar nikal deta hai.” wah kuchh der ruk kar boli, “mai salah dungi ki tum iske fal ko tab tak na becho jabtak tumhe apne ap ki raksha karne ki shakti na ho.”

Alisa ki baat ko wah samajh gaya. Markash me usi ki chalti hai jo takatwar ho. Yaha jangal jaise kanoon hota hai. Agar aap kamjor ho aur apke paas kimati chij ho to bahut sare log apki katl karke hathiyane ke bare me sochenge. Matlab pair utna hi pasarna chahiye jitni chadar ho.

~gulp~

Arjun yah sab sochkar thuk nigalne lagta hai. Wah na jane kaisi musibat apne gale lagane aya tha.

Alisa fir se boli, “mai tumhe ek baat batana bhul hi gayi thi. Tum is anguthi ke space me unhi ko laa sakte ho jinse tum sex kar chuke ho. Yani tum apni bibi ko hi isme laa sakte ho.”

Alisa ki baat sunkar Arjun koi jawab nahi diya. Wah samajh gaya tha ki yah anguthi kewal uske apne pariwar keliye hi maujud hai. Wah anguthi se bahar nikal aaya.

Hotal me hi jakar usne khana khaya. Ekbar fir use laga ki apni ek hotel kohl hi leni chahiye. Kam se kam khana khane keli to thik khana milega.

Kal ke baare me kuchh plan kar wah sone keliye chala gaya.

Word count:1346
——THE END——
 

सुमन

#masti_
618
1,665
124
#7000+ Views :applause:
Thanks Friends :thanks:

:happy: :happy: :happy: :happy::happy::happy::happy::happy::happy:
 
Status
Not open for further replies.
Top