aka3829
Prime
- 3,369
- 12,318
- 159
Bahut hi bhavuk update diya he bhai. To chitra ka jana swabhik he. Rajnandini ka pyaar dekh kar dil garden 2 ho gya.
Waiting 4 next update
Waiting 4 next update
NICE UPDATEUPDATE- 119
Iske pashchat gurudev vishwamitra antardhyan ho gaye…maine aane wali amavashya ke din usko iss kasht daayak yoni se mukti dilane ka soch liya.
Raat me aaj bhi rajnandini ne apni jagah agni ko bhej diya…agni mera sanidhya pa kar kusumlata ki bhanti mahak uthi thi..agle din jab main bathroom se naha kar jaise hi bahar nikla vaise hi achanak koi mere seene se lipat kar rone lagi.
Ab Aage…….
Kisi ke aise achanak lipatne se main bhi chounk gaya…lekin phir sisakne ki awaz sunte hi maine dekha to ye shree didi thi…main unke dil ki haalat achchi tarah se jaan chuka tha.
Adii—didi, kya baat hai…aap ro kyo rahi ho…..?
Shree (sisakte huye)—main kya karu adii….? Mujhse ye doori sahan nahi ho rahi hai….tu sab ko unke hisse ka pyar de raha hai…lekin mera kya…? Jab bhi main tere paas aati hu to koi na koi tujhse chipki rahti hain, ye sab dekhne ke baad mere dil me kitna asahniya dard hota hai, ye main hi janti hu.
Adii—kyo, isme dard hone jaisa to kuch bhi nahi hai…kya aap ko apni maa, rajnandini se taklif hai…?
Shree (sisakte huye)—nahi…unse kyo taklif hogi mujhe…? Mujhe kisi se bhi tklif nahi hai…
Adii—to phir... ?
Shree (sisakte huye)—taklif mujhe tumse hai...tumhare paas sab ke liye time hai.....bas mere liye bhar nahi hai... akhir main kab tumhari biwi banungi…? Tum mere baare me maa se baat kyo nahi karte.... ?
Adii—dekho didi, jitna saral aap samajh rahi ho, ye utna easy nahi hai....kitne dukho aur intazar ke baad to rajnandini mujhe mili hai...main turant hi use ye sab bata kar usko phir se dukh ke gart me nahi dhakel sakta... dusra yaha samaj iss rishte ko kabhi swikar nahi karega.
Shree—to phir kab bataoge unhe.... ? aur kya mujhe bhi tere pyar ke liye pyasi hi rahna padega…?
Adii—abhi to main philhal chitra ki mukti ke liye uske gaon ja raha hu…vaha se loutne ke baad pari lok jana hai.. jo bhi hoga vahi hoga….hum sab pari lok me hi rahenge.
Shree—sach kah raha hai na..
Adii—hmmm
Shree—theek hai, main tak intazar kar lungi lekin mujhe bhi roj tera pyar chahiye bhale hi thoda hi sahi….aur main bhi tere sath chalungi jaha bhi tu jayega.
Adii—theek hai…
Uske baad kuch der tak hamare beech baate hoti rahi…phir dono ke vaha aa jane se hum dono ki baato me viraam lag gaya….dono mere paas aa kar baith gayi.
Urmila—kya baate ho rahi hain dono me…?
Adii—kuch nahi maa, didi thoda udas thi isliye main unhe samjha raha tha.
Megha—lekin beta, samaaj iss rishte ko kabhi nahi apnayega…
Adii—janta hu,…isliye maine faisla kiya hai ki ab hum sab pari lok me hi rahenge...
Phir maine dono ko chitra ke vishay me sab kuch bata diya...jise sun kar vo dono hairan ho gayi..sath me chitra ko le kar unke mann me thoda darr bhi lagne laga tha ye jaan kar ki vo ek chudail hai jo sirf khoon peeti hai.
Adii—darne ki koi baat nahi hai maa, chitra dil ki buri nahi hai....vah ek achchi aatma hai....bas jo dard aur taklif usne jheli hai aur dekhi hai, uske kaaran uska vyavhar aisa ho gaya hai.
Megha—tu sahi kahta hai...jo bhi hua uss bechari ke sath bahut galat hua hai....hum bhi chalengi tere sath...
Adii—lekin maa, vaha bahut khatra ho sakta hai...aur main aap ko kisi khatre me nahi daal sakta...
Urmila—main kuch nahi sunungi ab ki baar teri koi bhi baat....har baar apni manmani karta rahta hai...ye mera order hai..hum dono bhi tere sath hi jayengi..samjha..
Adii—theek hai mummy...agar aap ki yahi ichcha hai to yahi sahi...
Megha—kab jana hai.. ?
Adii—kal..
Shree—lekin mukti to amavasya ko hogi to phir itni jaldi kyo ja rahe ho.... ?
Adii—didi, vaha mujhe pahle se moujud sabhi aatmao ki mukti ka prabandh karna hoga warna vo chitra ko mukt nahi hone dengi aur ye kaam behad mushkil hai….vo buri aatmaye mujhe aisa karne se rokengi jarur, isliye pahle unhe thikane lagana hoga.
Baki ka din maine apne dosto ke sath bitaya....sab kuch janne ke baad vo sab bhi mere sath hi chalne ko kahne lage to maine unhe bhi haan kah diya.
Aaj raat me bhi rajnandini ne apni jagah agni ko hi mere paas bheja...maine agni ke prem ka niradar nahi kiya...vo sari raat meri baaho me lipti rahi aur mujhe apne youvan sukh ka anand deti rahi.
Agle din hum sabhi jane ke liye ready the...franklin, daniel, agni, mummy, maa, shree , deepa, saroj aadi sabhi dharti se bahar ek aloukik jagah par jane ke liye ati utsahit the....margret aur khatra to pahle bhi yaha aa chuke hain to unme utni vyakulta nahi thi..jabki to vahi rajnandini aur chitra ke chehre par chinta ke bhav the.... rajnandini ki chinta ka karan tha ki ye sab hoga kaise jab ki chitra, mujhse door hone ke darr se chintit thi.
Main sabhi ko le kar ek sunsan jagah par aa gaya aur neel mani ki madad se vaha ek dwar ban gaya...hum sab usme andar aa gaye...bhitar lal roshni ka ghera phaila hua tha...hamare andar aate hi darwaja band ho gaya...iss mani ke chamatkar ko dekh kar sabhi hairan the.
Kuch hi der me hum sab nikaal gaon me pahuch gaye....uss darwaje se bahar nikalte hi vah surang adrishya ho gayi vaha se...sabse pahle main uss budhi maa ki talash karne laga jo mujhe pichli bar yaha mili thi...lekin vo mujhe kahi nazar nahi aayi....maine apni shakti se sabhi ko ek ek locket pahanne ko de diya jo ki suraksha kawch ka kaam karega unke liye kisi bhi buri shakti ke hamla karne par...
Nangu—rishi..yaha hum rahenge kaha... ? sabhi kuch to yaha ujda hua hai…
Adii—abhi sab intazam karta hu....khatra
Khatra—ji malik
Adii—yaha mandir ke paas me ek aalishan mahal banao sab ke rahne layak..turant
Khatra—jo hukum mere aaka...
Urmila (hairan)—beta, vo akela bhala mahal kaise bana sakta hai….? Vo bhi aaj hi…
Megha—haan, aur yaha to koi majdoor bhi nahi milega…
Adii—khatra kuch bhi kar sakta hai maa…uske liye ye sab bahut choti si baat hai…kyon ki vo ek taqatwar jinn hai..
Sab (shocked)—kyaaaaaaa….khatraaa…..ekkk…jinn…haiiii….?
Adii—hmmmm
Khatra ne kuch hi kshan me mandir ke bagal me ke bhavya mahal ka nirman kar diya…..jiske andar sabhi aadhunik suvidhaye uplabdh thi….iss chamatkar ko dekh kar sabhi daanto tale hairani se ungaliya dabane lage…main sab ko andar le aaya..sabne apne apne liye ek ek room chun liya.
Pangu—chalo rahne ka intazam to ho gaya…..ab aage kya karna hai…?
Adii—ab tum charo, franklin, daniel mil ke poore gaon ki jamin khodna shuru karo…yaha jamin ke andar dabe huye sabhi nar kankal ko bahar nikal kar unka antim sanskar karna hoga…..jab tak sabhi ke nar kankalo ka antim sanskar nahi hoga tab tak chitra ko mukt karna mushkil hai…
Gangu—theek hai..hum abhi lag jate hain iss kaam me…
Daniel—khatra bhi to hamari madad karega…vaise to vo akele hi ye kaam bahut jaldi kar sakta hai phir hame kyo taklif de rahe ho yaar….?
Adii—kyon ki khatra bhi to akhir ek aatma hi hai…mukti dilane ka kaam uska nahi hai…ye hame hi karna hoga..
Chuttad—theek hai..jaisa tum kaho…
Adii—lekin dhyan rahe ki isme khatra bahut hai….vo aatmaye apne kankal ke nikat bhi aane nahi dengi…ho sakta hai ki vo tum par hamla bhi kar de…isliye savdhani se kaam karna hoga…
Franklin—ye tumhara locket hai na…phir kis ka darr hai….?
Adii—locket to hai hi…phir bhi koi aatma agar jyada shaktishali huyi to vah iss kawach ko tod bhi sakti hai…aur kawach tootne ke baad kya kya ghatna ho sakti hai, ye to main bhi nahi janta….yaha tak ki kisi ki jaan bhi ja sakti hai isme….
Daniel—arey aisa mat bol yaar…dekh teri to bahut sari biwiya hain..lekin meri to abhi shadi bhi nahi huyi hai.. main aise kuwara nahi marna chahta…
Adii—maine to pahle hi kaha tha ki yaha khatra hai..tum log hi nahi maane mere mana karne ke baad bhi..
Chuttad—chalo yaar…jo hoga dekha jayega…
Adii—sabse pahle daal gaon se start karo…nikal gaon uske baad dekhte hain…
Pangu—theek hai…badhiya naam hai..daal-nikaal…hihihihi
Khatra ne khudayi ka sara saman de diya jis ko le kar sab daal gaon me aa gaye..aur gaon ki seema se jamin ki khudayi aarambh kar di...poora din ka samay aise hi nikal gaya khodte huye kintu kuch nahi mila kisi ko.
Magar jaise hi shaam huyi vaise hi achanak ek jordar cheekh ne sab ko hila kar rakh diya……
Bahot hi BEHTAREEN update,UPDATE- 120
Khatra ne khudayi ka sara saman de diya jis ko le kar sab daal gaon me aa gaye..aur gaon ki seema se jamin ki khudayi aarambh kar di...poora din ka samay aise hi nikal gaya khodte huye kintu kuch nahi mila kisi ko.
Magar jaise hi shaam huyi vaise hi achanak ek jordar cheekh ne sab ko hila kar rakh diya……
Ab aage…..
Awaz franklin ki thi…hum sab uski taraf bhaage…jaha par vo khudayi kar raha tha…jab hum vaha pahuche to franklin hame kahi dikhayi nahi diya.
Adii—kaha gaya ye…?
Nangu—kahi room to nahi bhag gaya…darr kar…?
Daniel—franklin darr ke karn pith dikhane walo me se nahi hai…jarur kuch aur baat hai…
Adii—shayad tum theek kahte ho…chalo dhoondo usko yaha har taraf…
Sabhi franklin ki khoj karne me lag gaye…khatra room me bhi dekh kar aa gaya kintu vah vaha gaya hi nahi tha… main abhi soch vichar me dooba hua hi tha ki tabhi ek cheekh phir se sunayi di…awaz franklin ki hi thi kintu ab awaz sun kar aisa mahsoos hua jaise ki vo yaha se kafi door ja kar madad ke liye chilla raha ho.
Main ankhe band kar ke dhyan me baith gaya….kuch hi der me mujhe franklin dikhayi dene laga jisko ki ek pret ne pakad rakha tha aur usko ghasit kar liye ja raha tha kahi…maine dimag me uss jagah ka avlokan kiya aur dhyan se uth kar apni ankhe khol di.
Adii—khatra, tum inn sab ko turant surakshit mahal le jao...main abhi aata hu...
Koi mujhse kuch sawal karta ki usse pahle hi main vaha se adrishya ho gaya aur sidhe uss sthan par pahucha jaha uss pret ne franklin ko pakad rakha tha.
Adii—chhod do use...
Franklin (mujhe dekh)—adiiiiiiii.....
Pret (bhari awaz)—hihihihihi…..maregaaaaa….abbbb..tuuuu…bhiiii….maregaaaaaa
Vo franklon ka ek hath pakad kar khichte huye meri taraf badhne laga….ye dekh kar maine turant ankhe band kar ke apni divya talwar ka smaran kiya aur agle hi pal vo talwar mere hatho me prakat ho gayi.
Mere hayh me uss talwar ko dekhte hi uss pret ke meri taraf badhte kadam achanak hi ruk gaye aur vo piche hatne laga….jaise jaise main uski oar badhne laga vo piche hota jata…kintu usne franklin ka hath ab tak chhoda nahi tha.. ye dekh kar maine uski taraf daudna chaha to vah ghabra kar franklin ko chhod vaha se gayab ho gaya..franklin ko le kar main bhi mahal lout aaya jaha sab vyakulta se meri hi pratiksha kar rahe the…Mujhe aur franklin ko sakushal dekh sabne chain ki saans li.
Daniel—kaha chala gaya tha…aur cheekha kyo….?
Franklin (dara hua)—vo main jab vaha par jamin ki khudayi kar raha tha to kisi ne achanak mera pair pakad kar uss gaddhe me khich liya…maine idhar dekha to koi nahi dikha….lekin mera pair koi lagatar uss gaddhe ke andar khich raha tha..maine apna pair chhudane ki bahut koshish ki lekin nahi chhuda paya..isliye darr se cheekhne laga… uske baad kya hua mujhe kuch yaad nahi hai….jab hosh aaya to khud ko ek sunsan jagah par paya…ek bahut hi badsurat pret mujhe ghasit kar na jane kaha liye ja raha tha…uski surat dekhte hi meri cheekh nikalne lagi…aur phir adii vaha pahuch gaya aur mujhe uske changul se chhuda ke le aaya.
Adii—kal se khudayi ka kaam kewal din me hi hoga….shaam hone se pahle hi khudayi band kar denge….main kisi ki zindagi ko khatre me nahi dalna chahta…
Rajnandini—haan, ye theek rahega
Uske baad khana kha kar sabhi apne apne kamro me sone chale gaye….main room me rajnandini ke aani ka intazar kar raha tha..aur vo aayi bhi lekin apne sath chitra ko liye huye.
Rajnandini—rishi..main chahti hu ki chitra ko bhi uske hisse ka poora pyar mile…aaj se le kar amavasya tak chitra ko uska patni hone ka adhikar do…main nahi chahti ki vo apni adhuri ichchaye liye yaha se jaye.
Adii—aur tumhare hisse ka pyar….uska kya…..?
Rajnandini—kewal do jismo ka milan hi to pyar nahi hai…prem to rooh me basa hua vo adbhut ehsaas hai jo hamesha do dilo ko aapas me sanjoye rahta hai…chitra bhi meri choti bahan hai, main uska adhikar chheen kar kaise khush rah sakti hu….mera kya…? Jaha maine itne samay intazar kiya hai to kuch samay aur sahi..
Rajnandini ki iss baat ne mujhe niruttar kar diya tha…mere paas koi jawab nahi tha uski iss baat ka…chitra to rajnandini ki baat sun kar bhavna me bhav vibhor ho gayi…aaj usko pahli baar ek sachche pyar ka ehsaas hua tha vo jhuk kar rajnandini ke pair chhune lagi to rajnandini ne pakad kar chitra ko apne gale se laga liya.
Rajnandini—ye kya kar rahi hai pagli….?
Chitra (bhav vibhor)—aap aur apka pyar dono hi pooja ke yogya hain didi...mujhe chhu lene dijiye apke inn charno ko, shayad isse meri galtiyo ka kuch prayaschit ho jaye.... ?
Rajnandini—tune koi paap nahi kiya hai...jo bhi kiya apne pyar ko hasil karne ke liye kiya...kintu kewal hasil kar lena ya kuch pana hi pyar nahi hota....kuch pa kar sab kuch khone ka naam bhi pyar hai....pyar me kuch pane ki ichcha nahi honi chahiye balki sirf dene ki bhavna hone ka naam hi sachcha prem hai....aur sabse badi baat ki pyar me ek dusre par atoot vishwash ka hona jaruri hai....jaha do premiyo me ek dusre ke prati vishwash na ho, vo sachcha pyar nahi ho sakta, vo to pyar ke naam par kewal chhalawa hai...yadi tum rishi se prem karti ho to uss par atoot vishwash karna bhi sikho....jaisa agni ne kiya.
Chitra—aap mahan ho didi....aap ke jaisa pyar to koi virla hi kar sakta hai...har kisi ke bas ki ye baat nahi...
Hamari baato ko koi aur bhi tha jo bade dhyan se darwaje ke bahar khade ho kar sun rahi thi...ye shree thi jo mujhse milne aa rahi thi lekin jab andar kisi ke baate karne ki awaz uske kano me padi to vo dhyan se sunne lagi..apni maa rajnandini ki baate sun kar usko apni bhool ka smaran hone lag gaya.
Shree (mann me)—meri maa sach me kitni mahan hain aur unka pyar usse bhi mahan hai...itne saalo tak intazar karne ke baad bhi vo sirf dusro ki khushi ke baare me hi sochti hain....main kitni swarthi ho gayi thi jo aaj tak sirf apne baare me hi sochti rahi....adii par sirf apna hi haq samajhti rahi...aaj maa ki baato ne mujhe sachche pyar ke sahi mayne samjha diye....adii main bhi intazar karungi uss din ka jab tum mujhe sachche mann se apni patni swikar karoge....main bhi apni maa ki tarah hi banungi...ab main adii ko apne hisse ke pyar ke liye pareshan nahi karungi....mujhe aap ki beti hone par apne aap par garv hai maa.
Ye soch kar vo vapis apne room me chali gayi...rajnandini ne chitra ko samjhaya aur usko mujhe soump kar shree ke paas sone chali gayi.
Rajnandini ke jate hi maine chitra ko apni agosh me samet liya aur sari raat usko pyar deta raha....agle din hum sab phir se uss gaon me pahuch gaye...vaha pahuchte hi maine dhyan laga kar ye dekhne ka prayas kiya ki uss gaon me kaha kaha par logo ke mrit kankal jamin me dabe huye hain....
Dhyan me sab jagah dekhne ke baad main har uss sthan par marking kar di jaha kankal hone ki sambhavnaye thi.. mark ki huyi jagah par sabne khudayi shuru kar di….poora din yahi kaam chalta raha…..shaam hone se pahle hi maine khudayi ka kaam rukwa diya.
Khudayi karne me jitne bhi ashti avshesh nikle unko maine ek jagah par bada sa gaddha karwa ke usme rakhwata gaya…..poore mahine bhar yahi kram chalta raha….din me khudayi hoti aur shaam hone se pahle band ho jati… har raat rajnandini mere room me chitra ko pahucha deti aur main usko uske hisse ka prem deta rahta…iss dauran dono gaon ki khudayi me bhari sankhya me nar kankal mile jinko ek jagah ekattha karwata raha…kuch apriy ghatnaye bhi beech beech me ghatit hoti rahi…itne nar kankal dekh kar sabhi ashcharya chakit the.. har din kuch na kuch hairat angej ghatnaye hoti rahi jinhe dekh kar sabhi hairan the…aur ye vishwash bhi karne lage the ki iss vastavik duniya ke alawa bhi ek paraloukik duniya hai…
Akhir vo din bhi nazdeek aa gaya jab chitra ki mukti honi thi iss chudail yoni se….aaj chitra ke chehre par ek mayushi chhayi huyi thi….uske chehre ki rounak jaise kahi gayab ho gayi thi….chitra ne iss mahine me kisi ko pareshan nahi kiya…uske swabhav me aayi ye tabdili kafi hairan karne wali thi…hum sabhi uske andar iss samay chal rahe dard ko samajh sakte the ki uski manodasha kya hogi….?
Chuttad--itne kankalo ka kya karenge…? Itne logo ki mukti kaise sambhav hogi rishi….?
Adii—sab nar kankal ek jagah ekattha karne ke piche mera uddeshya sirf yahi hai ki jisse sabhi ki ek sath mukti ho sake..
Nangu—amavasya to kal hi hai…
Adii—haan,…kintu kal hi sab ko mukt karunga aur chitra ko bhi….
Megha—koi khatra to nahi hoga na….?
Adii—asli khatra to kal hi hai…koi bhi ruh moh maya ke iss bandhan ko chhod kar mukt hona nahi chahegi.. ye bhi sambhav hai ki vo kal hum me se kisi ko bhi apne mrit sharir ke aas paas bhi na pahuchne de….ho sakta hai ki sab ek sath hamare upar hamla kar de..unme se kayi ruh to behad khatarnak aur taqatwar bhi hogi..jinse nipatna mushkil ho sakta hai…yaha tak ki vo kisi ki jaan bhi le sakte hain..
Urmila—tab to ye badi chinta ki baat hai beta…
Adii—haan mummy….kal sab log ye mahal chhod kar bagal me bane bhagwan shiv ke mandir ke andar chale jana.. aur chahe kuch bhi ho jaye vaha se bahar mat nikalna….ye bhi sambhav hai ki kayi taqatwar ruh sab ko mandir se bahar nikalne ke liye koi bhi chhal kar sakti hain….lekin tum log bahar mat aana, chahe kuch bhi ho jaye…
Rajnandini—main tumhe akele nahi jane dungi….pahle hi ek bar tumhe kho chuki hu..ab nahi khona chahti..
Urmila—haan beti tum sahi kahti ho…main adii ko akele nahi jane dungi itne khatro ke beech…main bhi sath chalungi…
Adii—mummy..ye koi picnic nahi hai…jaha koi maza aane ki soch rahi hain aap…..balki ye zindagi aur mout ka sawal hai…aap logo me se koi bhi mandir se bahar nahi niklega kal…ye mera antim faisla hai…
Nangu—lekin abhi hame chira ka mrit sharir mila hi kaha hai... ? bina mrit sharir mile uski mukti kaise hogi... ?
Adii—chitra ka mrit sharir sirf amavas ki raat ko hi mil sakta hai…ye bhi sambhav hai ki uske mrit sharir ke aas paas kayi taqatwar ruho ne suraksha kawach ka ghera bana liya ho….agar aisa hua to vo hame chitra ke mrit sharir ke aas paas bhi nahi jane dengi….isliye kal khudayi ka kaam main akele hi karunga..
Chuttad—hum tujhe akele nahi jane denge…jiyenge to sath marenge to sath…kahe deta hu..haan..
Gangu—pahli bar tune sahi mouke par sahi baat kahi hai chuttad…main teri baat ka samarthan karta hu…
Sab (ek sath me)—hum bhi sath jayenge…..
Adii—koi nahi jayega..samjahe aap sab…sab ko meri kasam hai agar mere sath chalne ki jidd ki to…
Shree—lekin adii…
Adii—koi lekin vekin nahii…..
Megha—rajnandini beti, meri chitra beti aise yaha se vida nahi hogi…vo hamare bete ki patni hai…main chahti hu ki vo poori nayi naveli dulhan ki tarah yaha se jaye….jao usko dulhan ke lal jode ke sath poora shringar kar do… aaj abhi issi waqt bhagwan shiv ke samne dono ki vidhivat shadi hogi…kal jab vo sasural se vida ho ke jayegi to main samjhungi ki vo kuch samay ke liye apne mayke gayi hai….aaj se main uski maa hu aur urmila didi uski saas.
Urmila—meri chitra ki khwahish thi na ki vo sabke samne mere bete ki patni bane to uski ye ichcha jarur poori honi chahiye aaj…jao beti taiyar kar do…
Rajnandini—ji maa ji..
Chitra dono maa ki baate sun kar atyant bhavuk ho gayi aur bhag kar unke gale se lipat kar rone lagi...sabne use samjhaya...chitra ne apne sath sath sabhi ko bhavuk kar diya tha...aaj kisi ke dil me uske liye koi mail nahi tha.. usne iss ek mahine me sab ka dil jeet liya tha.
Phir rajnandini aur shree mil kar chitra ko apne room me le gayi aur uska dulhan ka shringar karne lagi...usko sajane ke baad hum usko le kar mandir me chale gaye jaha bhagwan shiv ke samne dono ki vidhi vidhan se shadi huyi....maine uske gale me apne naam ka mangal sutra aur maang me sindur bhar diya...aaj chitra ki antim ichcha bhi poori ho chuki thi....iske baad rajnandini aur agni ne chitra ko mere kamre me le aayi..jaha bistar phoolo se saja hua tha....
Maine chitra ko apni baaho me samet liya...aaj vo bala ki khubsurat lag rahi thi...aaj pahli bar uske chehre par sharam aur laaz ki lali dekhne ko mili mujhe...jo uski sundarta me chaar chaand laga rahi thi
Adii—chitra..aaj to hamari asli suhagrat hai....jo tum chahti thi,vo tumhe aaj mil hi gaya...phir itni udasi kaise hai tumhare chehre par... ? kya tum meri biwi ban kar khush nahi ho... ?
Chitra—aaj to meri zindagi ka sabse badi khushi ka din hai....main bahut khush hu... main ek chudail hu jiska kaam hi logo ka khoon pina hai...ye jante huye bhi aapne sab ke samne mujhe apni biwi banne ka gaurav diya..apki biwi banne aur rajnandini jaisi mahan aurat ki choti bahan hone ka jo saubhagya mujhe mila hai, uski khushi ka shabdo me bayan karna mere liye bahut mushkil hai...lekin aapse door jane ka darr mujhe bahut sata raha hai....ye sab khushiya kal ek kshan me hi mujhse chhin jayengi....main ab apke bina kaise rahungi... ?
maine dekha ki chitra ki ankhe chhalak aayi thi...aaj pahli baar main bhi uske liye bhavuk ho gaya tha...maine usko samjhate huye apni baho me kas liya aur apne hoth uske hotho par rakh kar uske adhro ka raspan karne laga... dhire dhire usne bhi mujhe sahyog dena shuru kar diya..aur kuch hi der me hum dono ek dusre me samate chale gaye...
subah hote hi akhir vo din bhi aa hi gaya..amavasya ka din...ye koi nahi janta tha ki aaj ki amavas ki ye kali raat kya nayi ibarat likhegi... ? koi nahi janta tha ki iss raat ke baad ki subah hogi bhi ya nahi.... ? kis kis ki zindagi bachegi aur koun koun panch tatvo me vileen ho jayega, ye bhi nahi pata tha kisi ko... ? iska rahasya to sirf samay hi dega.
Thanks for Reading & Supporting.Fantastic updates