• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy CHAMATKAR (Completed)

Opinion Of the Story...

  • Good

    Votes: 229 96.6%
  • Bad

    Votes: 8 3.4%

  • Total voters
    237
  • Poll closed .

luv4sale696969

Active Member
1,303
1,672
158
Still waiting...
 
  • Like
Reactions: anandsngh12

anandsngh12

Well-Known Member
28,992
64,486
173
UPDATE * 60

Mai—kyo apnana hoga…ek to tum sab ne mere sath cheating ki aur ab jabardasti apni is pahalwan ladki ko mere gale me phansi ka fanda bana rahe ho

Ladki (agni)—to theek hai..mera antim sanskar hi kar dijiye ab…mai isi waqt apne pran tyagne ko taiyar hu

Mai (mann me)—maine kitni baar socha ki beta kisi ka kalyan mat kar…ye jamana ulta hai...mere sath hi aksar aisa kyo hota hai...kisi ka kalyan karne ke badle me dhan daulat milti hai aur mujhe har baar ek ladki....maa to mujhe ghar me hi ghusne nahi degi..aur sona aur margret se kya kahunga... ?..mai yaha se chup chap adrishya hoke khisak leta hu..yahi theek rahega

Ab aage………..

Mai ye soch kar turant hi vaha se adrishya hokar apni jagah par aa gaya…..jaha margret jaag chuki thi aur khatra se mere baare me puch tachh karne me lagi huyi thi….mujhe dekhte hi bhag kar mere paas aa gayi

Margret—kaha gaye the……? Agar yaha mujhe kuch ho jata to…..?

Mai—mera dimag kharab mat kar…..pahle se vaise hi bahut kharab hai....chup chap so ja...

Margret—mai tumhari biwi hu ...mujhe janne ka poora haq hai

Mai—biwi bani nahi ho abhi samjhi....aur tumhe kya hona hai.....jo hoga vo mera hoga

Margret—to maine kab kaha ki kisi dusre ka hoga...ye to common sense ki baat hai...ki jab biwi tumhari banugi to bachcha bhi to tumhara hi hoga na....buddhu kahi ka

Mai (shock)—bachchaaaaaa..... ?...(mann me) arey baap re ye to abhi se bachche ka sochne lagi….lagta hai ye sab mil ke mujhe nipta dengi

Margret—ab jaldi se batao..kaha gaye the..... ?

Mai—agni ke paas.....tumhe bhi jana hai

Margret—na....na...mujhe aag se bahut darr lagta hai

Mai—ab mera bheja mat kha.....mujhe thodi der so lene de

Mai chup chap ankhe band kar ke let gaya.....raat bhar ka thaka hua tha jisse jaldi hi need ki agosh me chala gaya... shaam ko sona ke uthane se meri need tooti...

Tab tak sabhi bachche bhi uth chuke the.....sona aur margret unhe khana khila rahi thi.....ye dekh kar mann ko kuch santosh hua ki chalo kahi to in dono ne koi sarahniya kaam kiya warna baki samay to mere liye hi ek na ek nayi musibat khadi karti rahti hain

Chitra—mujhe bhi bhookh lagi hai.....tumhi bata do kis ko khau...... ?

Mai—whattt.... ? kisko khau matlab....pagal ho gayi ho....sochna bhi mat aisa vaisa

Chitra—tabhi to tumse puch rahi hu.....jaise tum in dono ke hone wale pati ho vaise mere bhi ho....ye dono har kaam tumse puch ke karti hain isliye maine bhi pucha nahi to ab in dono ko hi kha leti tumhare aane tak

Mai—tumhara dimag to kharab nahi ho gaya...jo baar baar pati pati ki rat lagaye baithi ho.....pati na hua bazar me thok me bikne wali cheez ho gayi.....jisko dekho vahi pati pati ki mala jap raha hai

Sona—kya hua....yaha akele me kis par chilla rahe ho..... ?

Mai—apne aap par....kyo nahi chilla sakta khud par bhi.... ?

Sona—tum kyo taklif le rahe ho...mujhe kah dete to ye kaam mai kar deti

Mai—chal bhag tu bhi yaha se

Budhiya—beta aage kab chalna hai..... ?

Mai—raste me koi khatra to nahi hai..... ?

Budhiya—pahle to nahi tha....

Mai—theek hai…agar sab bachcho ne kha pi liya ho to hum abhi aage chalna shuru karenge

Sona—ok..sab ready hain

Mai—theek hai….chalo

Hum is baar bilkul fresh ho gaye the jisse jaldi hi rawana ho liye apne gantavya sthan ki oor….khatra ne sabhi ke liye ek gadi ka intazam kar diya tha jisse kisi ko paidal bhi nahi chalna pada….raste me chalte huye jab hum bahut door nikal aaye to mujhe vaha kuch gaon dikhayi diye to maine khatra ko vaha rukne ko kaha

Hum jaise hi gaon me pahuche to sabhi gaon wale hamari gadi ko dekh kar bhagte huye paas me aa gaye…shayad un logo ne apni life me aisi gadi pahli baar dekhi thi kyon ki unke dekhne se to yahi pratit ho raha tha

Mai—kya aap log mujhe batayenge ki ye utha patak gaon yaha se kitni dur hai……?

Ek admi—babu....yahi hai utha patak gaon....kaho kiske ghar jana hai.... ?

Mai—hame kisi ke ghar nahi jana hai bhai....aur kya aap mujhe batayenge ki is gon me daal aur nikaal gaon ke log bhi rahte hain kya....... ?

Daal aur nikaal gaon ka naam sunte hi jaise sab ko saamp soongh gaya....sab ke sab aise vaha se bhage jaise gadhe ke sar se seeng...

Mai—arey bhai meri baat ka jawab to dete jaoooooo

Sab (bhagte huye)—bhago jaldi se…..shaitan ne hame khoj liya…vo yaha bhi aa gaya…..sab ko maar dega….bhago jaldi se

Mai unhe chilla chilla kar awaz lagata raha lekin koi meri baat tak sunne ko taiyar nahi tha…..vo sab itna jyada darr jayenge un gaon ka naam sunte hi mujhe bilkul bhi andesha nahi tha

Mai chalte huye gaon ke beech me aa gaya….gaon me lagbhag 1000 ke aas paas ghar dikh rahe the…maine jakar har ek ke ghar ke darwaje ki kundi khat khatane laga

Magar kisi ki chu tak karne ki awaz nahi aa rahi thi…..poora gaon hi pal bhar me sun san dikhayi dene laga….sab apne apne gharo me chhup ke baith gaye the

Margret—kya hua ye sab bhag kyo gaye…..?

Mai—lagta hai tumhe dekh liya hoga….

Margret—kya kaha.... ?

Mai—kuch nahi

Sona—ab kya karenge hum.... ?

Mai abhi kuch bolne hi ja raha tha ki tabhi mujhe apni taraf do char log aate huye dikhe...jo age me kafi vriddh the...meri taraf aakar vo kuch duri par hi ruk gaye

Ek buddha—ab kyo hamare bachcho ke piche pade ho.... ? sab ko to tum logo ne maar kha liya…do char bache hain kam se kam unhe to jinda rahne do…chaho to mujhe khakar apni bhookh mita lo

Mai—dekhiye baba…lagta hai apko koi galat fahmi huyi hai….mujhe to yahi samajh nahi aaya ki sab yaha se bhag kyo gaye….?

Buddha—kyon ki tum shaitan ho ya phir uska hi koi numainda…jo hamare nanhe bachcho ki jaan ke dushman ban gaye ho

Mai—mai aap logo ka dushman nahi balki dost hu

Buddha—chup raho....apni gandi juban se khud ko hamara dost mat kaho.....hamare hi bachcho ka khoon chus kar apne aap ko hamara dost kahte ho

Budhiya (beech me jor se)—lakkhaaaaaaa......apni juban ko lagam do...tum jante bhi ho ki tum kise aur kya kah rahe ho..... ?

Buddha (chounk kar)—dhaniyaaaaa....tum aur inke sath..... ? lagta hai tumhe bhi in logo ne apne jadu se vash me kar liya hai

Budhiya—mujhe kisi ne vash me nahi kiya hai......tum jise bhala bura kah rahe ho ussi devta ne apni jaan ki parwah kiye bina tumhare bachcho ko us shaitan ke changul se chhudane ke liye mout se bhi lad gaya lekin phir bhi bachcho par aanch tak nahi aane di...aur tum log usse hi apshabd kah kar uske is balidan ka apman kar rahe ho

Sab (shocked)—kyaaaa hamare bachche .... ?…kaha hain hamare bachche….?

Maine sona ki oor dekha to vo mera ishara samajh kar un bachcho ko gadi nikaal kar bahar le aayi…ek bachcha unme se us buddhe ka pota tha jo dekhte hi bhag kar uske gale se lag gaya

Un charo ki ankho se anshu nikal aaye aur sab bhagte huye poore gaon me dhindhora peet aaye is baat ka… phir kya tha agle hi pal vaha kohram mach gaya

Un bachcho ke parijan..khas kar unki maaon ki halat dekh kar mujhe bhi mummy ki yaad aa gayi….vo sab ek dam pagal si hokar girte padte bhagti huyi aakar apne apne bachcho ko kaleje se lagakar jor jor se rone lagi…vo chhote chhote bachche bhi itni bheed me doud kar apni apni maa ko pahchan kar unke gale se lipat gaye

Bada hi hriday vidarak darun drishya umad aaya tha vaha par….koi patthar dil insan bhi agar us samay un maa beto ka milan is prakar dekh leta to nishchit hi uska hriday bhi avashya hi pighal jata….kisi ne sach hi kaha hai

Mohabbat ko kisi juban ki jarurat nahi hoti,
Ye to ek ehsaas hai jo khud ba khud mahsus ho jayega
Yakin na ho to mele ki bheed me khada kar do kisi chhote se masum bachche ko
Hazaro ki bheed me bhi vo apni maa ko pahchan jayega


Bahut der tak unka rona dhona chalta raha….hum sab ke hriday ye drishya dekh kar bhavuk ho gaye the… maine un maa beto ke milan ke beech me kuch bhi bolna theek nahi samjha

Jab unka rona dhona kuch kam hua to sab ka dhyan hamari oor gaya….sab mere pairo me lotne lage aur dhanyavad karne lage

Mai—aap log mere pair chhodiye

Ek—nahi aap hamare bachcho ki zindagi me farishta ban kar aaye ho…hum sab poori zindagi apki gulami kare to bhi ye karz nahi utar sakte

Dusra—aapne hame nayi zindgi di hai

Mai—maine jo bhi kiya vo mera farz tha.....ab aap log mujhe ijajat de

Tisra—nahi hum apko aise nahi jane denge....aap ko aaj yaha rukna hi hoga

Ek aurat—ek maa ki vinti man kar ruk jaiye….mai apke hath jodti hu

Mai—theek hai…mai aaj rukne ko taiyar hu...lekin mujhe kal subah jana hoga

Aurat—jaisi apki ichchha …kintu aaj apko rukna hi hoga

Main unki baat nahi taal saka....un logo ne hamare baithne ke liye apne gharo se khatiya le aaye….sharbat aur nasta me phal vagairah aur kuch pakwan jo bhi tha lekar aa gaye

Nasta aur pakwan behad swadishta tha….margret aur sona sab ko poori story un aurato ke beech baith kar suna rahi thi…maine abhi kuch hi pakwan khaye honge ki kisi ne mujhe kisi ne pani pakdaya…mujhe uski awaz kuch jani pahchani lagi to maine uski taraf nazare utha kedekha

Use dekhte hi mere gale ke andar ja raha pakwan beech me hi phans gaya….joro se hichki aane lagi aur main hichki lete huye phir se apni kismat ko kosne laga
 

anandsngh12

Well-Known Member
28,992
64,486
173
Awesome update bro

Aik aur AA gayi

Keep going

Will wait for next update
Thanks for Reading & Supporting
Shukriya for Liking the update
Stay tuned with us

Today's update is on Page......416
 
Top