Sanju
Well-Known Member
- 4,363
- 7,900
- 158
Nice update bhai sabko Pyar dekhane ke liye sayad munish aisa kiya hai




Nice updateUPDATE * 66
‘’Kaise ho dost....maze me ho na....sambhog ashtra ka sadupyog kar rahe ho na barabar’’ kisi ne kaha to main ye sun kar gusse me mann hi mann galiya deta hua uski oor palat gaya
Adi (mann me)—aaja ab teri hi kami rah gayi thi
Ab aage……..
Munish—aur bhai kaise ho…..hame to kabhi yaad hi nahi karte mitra….?
Adi—nahi bhai….har samay apko hi yaad karta hu main….(mann me) bc..lagta hai abhi ke abhi teri gand maar lu… meri achchhi khasi jindagi ko narak bana ke rakh diya….upar se kahta hai mujhe yaad kyo nahi karte
Munish—hahaha…..mujhe gali dene se kya hoga mitra……?
Adi (mann me)—lagta hai gandu ne sab sun liya.....ab to sala mann me baat karna bhi gunah ho gaya
Adi—arey nahi bhai.....bas kuch pareshani me uljha hua tha
Munish—arey to hum kis marz ki dawa hain mitra…..batao abhi tumhari uljhan ko suljha dete hain
Adi—meri sabse badi uljhan to ye shaktiya hi hain bhai upar se ye biwiya pake aam ke jaise har dusre din meri jindagi me tapak rahi hain…ab main koi devta to hu nahi…hum insano se ek to sambhalti nahi hain ye saat saat ko soch kar hi mujhe fever aa jata hai
Munish—hahahaha…..vo isliye dost kyon ki tum sadharan insan nahi ho….apne aap ko pahchano pahle..jab tak khud ko nahi pahchanoge to dusro ko kaise samajh sakoge tum…..vo to tumhe sirf musibat hi nazar ayengi
Adi—mujhe sadharan manav hi rahne do…..nahi banna mujhe koi asadharan manav
Munish—‘’to tumhi batao phir sonalika ka kya dosh hai jisne purva janam me tumhari patni thi uske baad kisi bhi janam me usne vivah tak nahi kiya sirf tumhari hi raah dekhti rahi vo….kya uske prem ka koi mol nahi tumhari nazar me….?
Margret jo tumhe bachpan se pyar karti aa rahi hai….bhale hi vo darpok hai lekin tumhare bagair vo ek pal bhi rah nahi pati….tumhari judayi me khana pina tak chhod deti hai vo….kya uske prem ka koi mol nahi tumhari nazar me…..?
Agni to ek dev kanya hai….agni dev ki putri hai vo….usne tumhe hi apna sab kuch mana hai….tumhare siwa kisi paraye mard ki oor vo dekhegi bhi nahi…aur ab to vo tumhari patni bhi hai….kya uske prati tumhara koi kartavya nahi hai…..?
Chitra beshak vo chudail hai lekin phir bhi tumhari achchhayi ne uske andar prem ka deep jala diya..ek asha jaga di ki tum hi uske masiha ho…tum par vishwash kar ke usne apna raaz tumhe bata diya…ab kya uske liye tumhara koi dayitva nahi hai…..?
Shree ke bare me mai abhi kuch nahi kahunga….bas itna hi ki uska prem bahut anmol hai…bahut khushnasib ho dost jo tumhe itne pyar karne wali mil rahi hain
Jis din tum khud ko pahchan loge us din koi bhi tumhe bekar ya bojh nahi lagegi….balki ye sab tumhare samne natmastak hokar rahegi….magar uske liye tumhe dusro ke prem ki kadra karna bhi aana chahiye’’
Adi—to maine kab un par hath uthaya hai…? Har baar vo mujhe jalil karti rahti hain, ye kaisa pyar hai.... ? yaha tak ki meri maa bhi unke kahne par mere upar bharosa nahi karti ab
Munish—‘’unhone tumhe kab jalil kiya..... ? ek baat kahu dost…ek bete ko uski maa se adhik koi nahi samajh sakta.. tumne maa ki mamta par shak kiya hai....jise tum avishwas karna kahte ho.... ho sakta hai ki jo pyar ki kadra tum nahi kar pa rahe the vo tumhari maa ko karni pad rahi hai
Un logo ne sirf apna haq pane ka prayas kiya hai....vo sabhi tumhe bahut chahti hain aur isiliye shayad tum par apna haq bhi samajhti hain...aur pyar aur jung me sab jayaz hai’’
Adi—tab bhi aisi taisi to meri hi ho rahi hai na
Munish—to ek kaam karo sab marz ki ek ram baan dawa....ye lo ek goli kha lena abhi
Adi—kya hai ye….?
Munish—chinta mat karo…koi jahar nahi hai….isse sab theek ho jayega….iska asar 48 ghante tak rahega
Adi—isse sab theek ho jayega na
Munish—ha…ha…sab theek ho jayega….achcha ab mai chalta hu
Munish ke jate hi maine uski di huyi goli ko dekhne laga….samajh me nahi aa raha tha ki isko khau ki nahi…phir socha ki kha hi leta hu shayad kuch tension hi kam ho jaye
Goli khane ke baad main apne room me aa gaya…jaha shree so rahi thi…unka masum chehra dekh kar mai apni sabhi tension bhul gaya aur unse lipat ke so gaya
Subah meri need khuli to dekha ki sona aur agni ankhe phade mujhe dekh rahi thi….meri to kuch samajh me hi nahi aaya ki ab in dono ko kya hua hai
Adi—kya hua…aise kyo ghur rahi ho….mai koi bhoot nahi hu…samjhi dono
Sona—adiiiiiii…..ye aise kyo hai….?
Adi—kya..kyo hai….?
Sona—vooooo….niche ….
Mai bhi soch me pad gaya ki kya hai niche jise dekh kar inki ankhe bahar ko nikli aa rahi hain....maine jaise hi maine niche ki oor dekha to mera bhi muh khula ka khula rah gaya shock se
Adi (mann me)—bhsdk....munish...dikha di apni aukat tune.....ye koun si goli khila gaya mujhe....sala harami
Agni—vo kyaaaa haii... ?
Adi—kuch nahi...bhago tum log yaha se....
Shree (room me aate huye)—adi utho ab….subah ho gayi hai….aur maine tum dono ko isko uthane bheja tha yaha khade rahne ko nahi
Shree ke room me aate hi maine jaldi se apne upar chadar daal kar ulta let gaya….kya karta majboori hi aisi aa gayi thi
Adi (mann me)—ye sala itna bada aur mota kaise ho gaya jo pant phad ke bahar nikal aaya aur baith hi nahi raha hai….ab kya karu…ye sab us goli ke karan hi hai…..sale ne phansa diya mujhe
Shree—chalo utho jaldi….nasta karne chalo
Adi—aap chalo mai aata hu fresh hokar
Shree—agar 5 minute me niche nahi aaye to mai pani upar se daal dungi
Adi—paniii....paniii...ha ye theek rahega....aap pani daal do jaldi se mere upar
Shree—teri tabiyat to theek hai na..... ?
Adi—ha….ha…sab theek hai….aap chalo mai bhi aata hu
Shree—jaldi aana
Adi—ab tum dono ko alag se bolna padega kya….? Agni tum jao gandi cheeze nahi dekhte
Sona—adii...par itna bada kaise....kal tak to nahi tha itna....
Adi—chal bhag yaha se besharam
Dono ke jate hi maine chadar lapet kar jaldi se bed se uth kar door lock kiya aur bath room me ghus gaya… shower chalu karke uske niche khada ho gaya
Lekin koi fayda nahi ho raha tha…ulta pani padne se vo aur bhi bada hone laga phool kar…ye dekh meri to sitti pitti gum ho gayi
Adi (mann me)—ab kya karu…iska asar to 48 ghante tak rahega…tab tak to meri izzat ka janaza nikal jayega.. chalo dusra pant pahan leta hu
Bathroom se bahar nikal kar maine dusra pant pahanne laga lekin vo bhi badi mushkil se pahan paya…adjust nahi ho raha tha utni jagah me aur thodi hi der me pant phad ke phir se bahar aa gaya
Ye dekh maine apna sar pakad ke baith gaya aur munish ko galiya dene laga….tabhi maa ne gate knock karna chalu kar diya…aanan fanan me koi rasta na dikhayi deta dekh main vaha se adrishya ho gaya
Jab room ka darwaja nahi khula to maa thak haar kar vaha se chali gayi…thodi der baad shree aayi magar tab bhi lock nahi khula
Jab kafi time ke baad bhi lock nahi khula to dad ne mechanic ko bula kar lock khulwaya…lekin room ke andar unhe kahi adi nahi mila to sab pareshan ho gaye
Subah se dophar ho gayi….sab phone laga laga ke pareshan ho gaye magar not reachable bata raha tha…to dad ne F.I.R. kara di police me….mummy ne sab friends ke yaha bhi call kar ke puch liya
Jaldi hi hamari friend mandli bhi vaha pahuch gayi….sabne apne apne tarike se khoj been chalu kar di
Shree—mousi kaha gaya hoga ye….subah se bahki bahki baate kar raha tha
Urmila—kya batau beti…bina bataye to kabhi jata nahi tha kabhi bhi vo…par gaya kaha se hoga…room to band hi tha na
Sona (mann me)—lagta hai kuch locha hai…mujhe baat karni hogi adi se
Sona (mann me)—adi tum kaha ho...yaha sab pareshan hain...jaldi se vapis aa jao
Adi (mann me sona ke)—mai to khud hi pareshan hu...abhi nahi aa sakta...kal tak sambhal lo sabko
Sona—kyo….?
Phir maine sona ko poori baat bata di ki kya hua hai aur kyo….sun kar pahle to vo bahut hasi phir mere gussa karne par shant huyi
Sona—iska ek tarika hai….
Adi—kya jaldi batao…?
Sona—tum na mere sath kar lo….
Adi—kyaaa…? Chal bhag yaha se
Udhar jab shaam tak koi pata nahi chala to shree dad ko lekar police station pahuch gayi....jaha inspector dad ko dekhte hi khada ho gaya…piche piche sabhi dost bhi aa gaye
Shree—adi ka kuch pata chala….?
Ins—ha….hamari talash jari hai….hamne is kaam me khoji kutto ko bhi laga diya hai….hame highway par adi sahab ke moje mile hain… hamne adi sahab ke moje un khoji kutto ko bhi sungha diye hain….
Dad—to kuch pata chala…..?
Ins—bas un kutto ko hosh aa jaye to hum apna kaam chalu kar denge
Sab—kyaaaa….?
Ins—ji jab se hamne adi sahab ke moje un khoji kutto ko sunghaye hain tabhi se vo behosh pade hain ….hum bas unke hosh me aane ka hi intazar kar rahe hain
Mai adrishya halat me hi college chala gaya…socha aaj adrishya avashtha me college ka haal chal dekha jaye to mai sidha class me chala gaya
Class me pahuchte hi kisi ko vaha dekh kar mere chehre par khurafati mushkan aa gayi aur main uske paas bagal me jakar baith gaya