Acme
Well-Known Member
- 2,006
- 2,083
- 158
Excellent update bhai.... waiting for next update
Click anywhere to continue browsing...
Bhai ye hum readers par anyay hUPDATE-77
Taaze hare baans ke dando se udhar arthi banti rahi, idhar logo me baate hoti rahi....aangan ke kone me tulsi ka chabutara tha...uske paas me hi laash rakh di gayi thi.
Samne eent ke aadhe tukde par dibbi jal rahi thi, jiska pheeka pheeka alok budhiya ki bujhi putliyo se takra raha tha.
Idhar pangu apni pichhli yaado me khoya hua tha jabki voh sadi gali laash kabristan se nikal kar raat ke sannate me sadak par chalte huye aage badhti chali ja rahi thi.
Vo Laash chalte huye achanak ek bunglow ke samne aakar ruk gayi aur uss bunglow ko kuch der tak ghurte rahne ke baad phir............
Ab Aage...........
Vo laash kuch der tak bunglow ko dkhne ke baad jor jor se attahas karne laga....uski bhayanak hasi agar koyi sunn leta to nishchit hi uski dil ki dhadkane kuch hi pal me khauf se band ho jati.
Laash (haste huye)—hahahahaha.......mai azad ho gayaaaaa........ab phir se har jagah par tabahi aur mera samrajya hoga.......hahahahaha......bade joro ki bhookh lagi hai....ye bahut bada mahal lag raha hai, yaha hi avashya hi bahut se log honge unka khoon aur maans kha kar pahle apni bhookh mitaunga....hahahahaha.
Iss prakar haste huye vo uss bunglow me raat ke sannate me ghus gaya aur uske baad vaha par sari raat sirf logo ki dardnak cheekhe aur jor jor se darawani hasi ki awaze hi goonjti rahi.
...................................................................................................................................................................................
Chuttad aur gangu ne yaha aa kar vivah sammelan me shamil ho kar shadi kar li thi...Jab ki nangu aur pangu ki talash abhi jari thi....dono ki biwiya thodi shakki kism ki thi, iska fayda nangu aur pangu bakhubi yatha samay uthate rahte the, unki biwiyo ko chuttad aur gangu ke baare me ulta sidhi baate bata kar......jiska anzam bechare chuttad aur gangu ko bhugatna padta tha.
Gangu ki biwi deepa aur chuttad ki biwi saroj me badhiya taalmel tha....dono ghanto ek dusre ke room me baith kar apne apne patiyo ki burayiya karti rahti thi.....halanki charo dost ek hi building me rahte the.
Deepa—yaar chal na aaj kuch shopping karte hain....do din se kuch kharida nahi hai.
Saroj—haa, chal mera bhi mann ho raha hai kuch kharidne ka….inke bas ka to kuch hai nahi.
Deepa—vahi haal to mera bhi hai….inka kuch samajh nahi aata ki kya karte hain….? Maine kitni baar kaha hai ki apna naam change kar lo, mujhe badi sharam aati hai jab koyi mere pati ka naam puchta hai.
Saroj—chal tere pati ka to phir bhi kuch theek hai…..mai to sharam se kuch bata hi nahi pati….kya batau ki mere pati ka naam chuttad singh hai…..pata nahi kisne aise behuda naam rakhe hain.
Dono ais hi baate karti huyi shopping karne nikal jati hain jaha vo teen char ghante kapde ki kharid farokhta ke baad vapis loutne lagi jaha road ke kinare ek jagah par ek admi baitha pakshiyo ko bech raha tha.
Unn pakshiyo me ek sundar tota bhi tha jo admiyo ki boli bol raha tha jise sun kar vo saroj ko pasand aa gaya….usne uss tote ko kharidne ka mann bana liya aur uske paas pahuch gayi.
Saroj—bhaiya mujhe ye tota chahiye….kitne ka hai….?
Dukandar—bahan ji…aap isko mat lijiye….ye aap ke layak nahi hai.
Deepa—kyo….? Ye hamare layak kyo nahi hai….?
Dukandar—Ye tota pahle ek vaishya ke ghar me tha…..isko vaha ki gandi aadte hain.
Saroj—nahi, mujhe to yahi chahiye….kitna pyara hai.
Dukandar—Theek hai, jaisi apki marzi bahan ji.
Dono uss tote ko pinjre sahit lekar ghar vapis lout aayi….jaha itna bada ghar dekh kar vo bahut khush hua aur chahakne laga.
Tota—wah…wah…bahut bada ghar hai.
Dono uski baate sun kar khush ho gayi….deepa apne flat me chali gayi….shaam ko dono chhat me tote ko lekar baithi thi, tabhi kuch ladkiya jo school me padhti thi aur ussi building me rahti thi, chhutti hone ke baad louti to unhe dekh kar vo bolne laga.
Tota—wah….kya maal hain…nayi nayi ladkiya.
Uski baate sun kar saroj thodi tension me aa gayi ki kahi ye kuch ulta sidha bol kar koyi lafda na karwa de isliye usko lekar andar chali gayi….shaam ko charo dost vapis din bhar Rishi ko talash karne ke baad apne flat me lout aaye.
Saroj—suno aaj na maine bahut badhiya cheez kharidi hai.
Chuttad—koun si nayi baat hai…roj hi to kuch na kuch kharidti rahti ho.
Saroj—to kya karu tumhara to kuch pata rahta nahi ki poora din kaha rahte ho….?
Chuttad—achcha…achcha…kya kharid liya aisa aaj….?
Saroj (khush hokar)—abhi layi…….ye dekho..badhiya tota hai na, ye bolta bhi hai.
Tota—kyo re…. Chuttad, tu yaha iske paas bhi aane laga.
Saroj (chounk kar)—kyaaaaa...... ?
Chuttad—nahi...nahi....ye jhooth bolta hai,…..bahar phenk do iss tote ko.
Saroj—ab main samjhi, tum kaha gayab rahte ho…..? abhi batati hu tumhe.
Idhar Tabhka Koyilee gaon ke halaat pahle se bhi badtar ho chuke the….azgar ka aatank logo ke sar chadh kar bol raha tha…roj koyi na koyi bhookh pyas se tadap kar mar raha tha.
Pahle to log kabhi kabhar ghar ke bahar kuch samay ke liye nikal bhi aate the kintu ab to vo bhi dushwar ho chuka tha…..jo bhi ghar se bahar nikalta vo uss nar pishach ka shikar ban jata.
Rajnandini apne kamre me baithi ek tasveer ko apalak nihare ja rahi thi…tabhi uski maa shakuntala uske paas aa gayi jo apni beti ki aisi halat se bahut dukhi thi.
Shakuntala—Beti, akhir kab tak tu usko yaad karti rahegi….? Jane wale kabhi lout ke nahi aate…ye baat kab samjhegi tu….?
Rajnandini (nam ankhe)—aap to aisa mat kaho maa….mera dil kahta hai ki mera Rishi ek na ek din avashya ayega.. aap sab jhooth kahte ho, dekhna vo jarur ayega…..agar mera prem sachcha hai to usse mere liye, apni Rajnandini ke liye aana hi hoga maa.
Shakuntala (dukhi hokar)—mujh se tera ye dukh nahi dekha jata beti…akhir maa hu teri….chal hum kahi aur chalte hain yaha se kisi tarah nikal kar….yaha sirf mout hai, sirf mout.
Rajnandini—nahi maa, main iss jagah ko chhod kar kahi nahi ja sakti….agar mera Rishi mujhe dhudte huye yaha aa gaya aur mujhe nahi paya yaha to usko bahut dukh hoga….main yaha se kahi nahi jaungi.
Shakuntala—betu tu kab tak uska intazar karegi….?
Rajnandini (ankho se pani bahate huye)—apni akhiri saans tak main Rishi ke vapis loutne ka intazar karungi maa… lekin yaha se kahi nahi jaungi.
‘’Badalna nahi aata humein mausam ki tarah,Vahi agle din charo dost morning walk karne ke liye jate hain…ye unka daily ka routine tha…actually unka main uddeshya Rishi ko talash karna tha jiske liye charo ne vaishyalay tak ki khak chhan maari thi.
Har ek rut (season) mein tera intezaar karte hain..
Na tum samjh sakoge jise qayaamat tak,
asam tumhari tumhe itna pyaar karte hain’’..
Nangu—arey yaar chuttad doudte huye thak gaye hain….ja na kahi se kuch chaay ( tea ) le aa….tab maza ayega.
Pangu—haa yaar.
Gangu—jaldi kar yaar.
Chuttad—saalo tum log ke paas hath pair nahi hain kya jo hamesha mujhe hi bali ka bakra banate rahte ho.
Nangu—lagta hai aaj bhabhi ke paas kuch der baithna padega bahut din se unse theek se baat nahi ki hai….
Gangu—sahi kaha yaar tune….achcha chuttad tu rahne de hum bhabhi ke hath ki chaay pi lenge.
Chuttad—haan, jisse tum dono uske kaan mere khilaf bhar sako….isse achcha to yahi hai ki tum yahi chaay pi lo. Saalo kamino hamesha mujhe blackmail karte rahte ho.
Chuttad teeno ko mann hi mann gaali dete huye paas ki hi dukan par chaay lene chala gaya…..chaay lekar jaise hi vo palta tabhi uski nazar kisi par padi jise dekh kar chuttad ke hosh ud gaye….uska muh kisi avishvashniya ashcharya se khula ka khula rah gaya.
Chuttad (shocked)-Ye kaise sambhav ho sakta hai....? ye kaisa chamatkar hai.....?
Click anywhere to continue browsing...
Click anywhere to continue browsing...
Click anywhere to continue browsing...
Click anywhere to continue browsing...
Chamatkar ki to story hi hai bhaiawesome fabulous update
ab bhai Kon sa chamatkar ho gaya
murda jinda hogaya ye Kam hi
Click anywhere to continue browsing...