- 28,992
- 64,487
- 173
UPDATE * 63
Mai jaise hi ghar pahucha to hall me hi baithi huyi Shree par nazar chali gayi to mere pair vahi jam gaye….mujhe samajh me nahi aa raha tha ki mai shree didi ko yaha dekh kar khushi manau ya phir apni badkishmati ka rona rou
Shree didi ki nazar bhi mere upar sabki awaz sun kar gayi to vo bhi kisi but ki tarah khadi hokar ek tak mujhe dekhne lagi…par agle hi pal hosh aane par jor se ‘adiiiii’ chillate huye apni jagah se bhagte huye mere gireban se jhul gayi
Shree ke jor se chillane se papa bhi bahar nikal aaye aur unke sath me sanjay bhaiya bhi the….un teeno ki ankho me se pani kisi jharne ki tarah bah raha tha…lekin mummy nahi dikhi mujhe abhi tak kahi bhi aur na hi unki awaz sunayi di..ye dekh mujhe unki chinta hone lagi mann me
Shree (rote huye)—chaatttaaakkk….chaatttaaakkkk…..kaha gaya tha…bata….kya hua tha tujhe….tera phone kyo band tha…..?
Shree didi ne jaise hi mujhe thappad lagaye to chitra gusse me unki oor aage badhi …ye dekh kar maine use turant hath ke ishare se rok diya
Mai—didi…ab to mai aa gaya hu na....shant ho jao ab
Sanjay—bhai iske sawalo ke jawab to tujhe dene hi honge....yaha aane ke liye isne poora ghar sar par utha liya tha bas teen char din se sirf roye ja rahi hai bas
Mai—dad mummy kaha hain….?
Dad—beta tu to janta hi hai ki jab bhi tum uski ankho se door chale jate ho to kya hota hai….
Maine turant shree didi ko alag kiya aur andar unke room ki oor bhaga lekin vo vaha par nahi thi…to dad ne bataya ki vo mere hi room me hain…main vaha se apne room me gaya jaha ka haal dekhte hi meri ankho se anshoo nikal gaye
Mummy bistar me meri ek tasveer apne sine se lagaye besudh padi thi…maine turant bhag kar unka sar apni god me rakha aur sahlane laga
Dad—urmi…dekh adi aa gaya hai…ankhe kholo
Mai—dad kya hua hai mummy ko…..?
Dad—beta tere jane ke dusre hi din....( phir dad ne mujhe sab baate batayi)
Sanjay—theek aisa hi sapna shree aur teri mousi ko bhi aaya tha….isne to yaha aane par majboor kar diya badi mushkil se address pata kar ke yaha lekar aaya hu…lekin vaha teri mousi ki halat bhi bahut nazuk hai…poori raat vo mandir me..(phir sanjay ne india ki baat batayi)
Mai dad aur sanjay bhaiya ki baate sun kar buri tarah se chounk gaya….kyon ki behoshi ki halat me mujhe bhi to kuch aisa hi ehsaas hua tha
Mai (mann me)—iska matlab vo sab mera vaham nahi tha….balki in sabki prem aur mamta ke balidan swaroop hi mai aaj yaha jinda baitha hu….lekin mousi to kisi rishi ka jikra kar rahi thi…koun hai ye rishi….? Mujhe pata lagana hoga…..? akhir kya gum hai unke andar….?
Meri ankho se bahte huye aanshu tap tap kar mummy ke chehre par girne lage…..jisse unhe hosh aane laga…kuch hi der me unhone mera naam lete huye apni ankhe kholi aur jaise hi mujhe apne paas dekha to ek jor dar cheekh ke ke sath mujhse lipat kar mujhe apni chhati se chipka liya
Urmila (rote huye)—tu aa gaya…mera beta aa gaya…kaha chala gaya tha…apni maa ko chhod kar…tu meri ankho ka noor hai mere bachche
Mai (rote huye)—mai to hamesha apke paas hi hu mummy
Hum dono maa bete ka pyar dekh kar sab ki ankhe nam ho gayi yaha tak ki chitra bhi ro padi….mai mummy ko aur mummy mujhe shant karte rahe
Jab aadhe ek ghante baad hamara milan poora hua tab jakar unka dhyan bakiyo par gaya….vaha ek nayi ladki ko dekh kar mummy meri oor sawaliya nazaro se dekhne lagi
Mai—mummy ye agni hai….sona ki cousin
Sona—ha...mummy ji..ye meri bahan hai.....(mann me)..lagta hai gala daba du to yahi mar jaye..soutan kahi ki
Urmila—aaja beti...
Agni jakar mummy ke pair chhune ke baad unke gale lag gayi....lekin in sab ko dekh kar shree didi kuch pareshan aur dukhi nazar aane lagi
Urmila—kitni pyari bachchi hai
Margret—bachchi nahi hai ...pahalwan hai..kushti ladti hai..ek baar me 8-10 hatte katte ladko ko patak deti hai ye bachchi....pata nahi kitna khana khati hogi
Urmila—aisa nahi kahte beti
Margret—ek aur bhi hai usse bhi mil lo
Urmila—koun hai aur.... ?
Margret—chudail..hai...vo dikhti nahi hai...uuuuiimummyy....adii samjha na isko har baar mujhe hi kyo patakti hai..meri to kamar aise hi toot jayegi
Urmila—yaha to koi bhi nahi hai
Mai—is pagal ki baato me dhyan mat do mummy...aap aram karo abhi
Urmila—ab tu aa gaya hai to mai bilkul theek hu
Shree—mousi ab adi aa gaya hai to mai aur bhaiya india lout jayenge....mummy ki tabiyat bhi theek nahi hai
Urmila—megha ko phone kar ke bata de ki adi aa gaya hai...to vo bi theek ho jayegi
Shree—mera ab yaha kya kaam mousi
Shree didi vaha se chup chap chali gayi…mai bas unhe jate huye dekhta raha….na jane kyo mai unse nazare milane se katra raha tha…unke paas aate hi ek ajib si khumari chhane lagti hai mere andar
Urmila—ja beta shree ko mana le….bahut pyari beti hai shree
Mai—ji mummy
Mai apne room se nikal kar shree didi ko khojne laga…har jagah dekhne ke baad bhi jab vo nahi mili to mai chhat par chaala gaya jaha mujhe pani ki tanki ke pichhe se kisi ke sisakne ki awaz sunayi di…mai samajh gaya vo yahi chhip kar ro rahi hain magar kyo….?
Mai—maine sara ghar chhan mara aur aap yaha ganga jamuna baha rahi ho chhup kar
Shree—tujhe isse kya...mai kuch bhi karu..chahe jiyu ya maru.. ? kya farak padta hai.... ?
Mai—aap ro kyo rahi ho... ?
Shree—kuch nahi...hame airport chhod dena thodi der me
Mai—mujhe chhod kar chali jaogi aap….?
Shree—tere paas bahut hain... ? meri jarurat hi nahi hai….?
Mai—ye kisne kaha ki mujhe apki jarurat nahi hai….?
Shree—mousi ne mujhe sab bata diya hai...ki kaisi dost hain ye teri
Mai—ohhh..to ye baat hai...lekin jaisa aap samajh rahi hain vaisa kuch bhi nahi hai
Shree—mai sab samajh gayi hu
Mai—aap kuch nahi samjhi aur na hi mummy kuch janti hain
Shree—mujhe bahlane ki koshish bekar hai…mujhe to tabhi samajh jana chahiye tha jab maine dono ko tere sath hotel me nangi pungi sote dekha tha
Mai—vo to purani baat ho gayi
Shree—mujhe kuch nahi sunna….do kam thi jo ek aur le aaya……ja jakar dukan khol le biwiyo ki
Mai—pls didi…kam se kam aap to mujhe galat mat samjho
Shree—mai teri lagti hi kya hu.... ?
Mai—agar aapse mera koi rishta nahi hota to mai kyo sirf ek sapne ke piche vaha tak bhagta chala aata... aap meri sab kuch ho
Shree—sab jhuth......sab kuch ka matlab janta hai...mujhse jhuth bol ke tujhe kya milta hai….? Tera dil to roshan ho gaya na.....
Mai—"Ek Phool Ka Dard Usaki Jhuki Daali Samajhate Hai,
Baag Ki Baat Baag Ka Maali Hi Samajhate Hai,
Ye Kis Tarah Ki Raat Banayi He Duniya wale Ne,
Diye Ka Dil Jalata hai Aur Log Roshani Samajhte Hai"
Shree didi chup chap mere sine se lag gayi aur kafi der tak sisakti rahi....unke sine se lagte hi mujhe aisa lagne laga jaise sare jahan ki khushiyan mere daman me simat aayi ho
Ek ajib tarah ka sukun mil raha tha mujhe...mai us sukh ke anand sagar me dubta gaya....dubta gaya....aur meri ankhe swatah hi band hoti chali gayi
Aise shwarnim anand ki anubhuti mere dil ko kafi samay pashchat mil rahi thi…mera dil mujhse bagawat karne par utaru hone laga tha
Jane kitni der tak hum dono aise hi amarbel ki lata ki tarah ek dusre se lipte rahe....hame hosh tab aaya jab tomy ( paltu doggy) mere pairo me apni jibh phirane laga
Maine use apni god me utha kar hall me aa gaya....sab vahi mummy ke paas baithe huye the....mere pahuchte hi sabhi khamosh ho gaye
Dad—mai to thoda ghum kar aata hu…jab se tu gaya hai mera to jina haram ho gaya
Urmila—mai khana banati hu
Shree—mousi aap baitho…mai banati hu
Sona—didi..mai bhi aapki help karti hu
Shree—vaise adi tera phone kyo nahi lag raha tha.... ?
Margret—hum earth me the hi nahi aur dusra adi ko to us tantrik ne pakad liya tha
Shree/mummy—kyaaaaaa…..?
Mai—arey kuch nahi mummy….ye mazak kar rahi hai…..margret tumhari mummy ka phone aaya tha vo tumhe bula rahi hain…ab tum jao ghar
Shree—tu chup kar….ha tu bata..kya bata rahi thi…
Mai—vo jhuth bol rahi thi....hai na margret
Margret—jhuth......ha..haan...vo sab jhuth tha....mai ab chalti hu
Mummy aur didi margret ko awaz deti rahi aur vo nau do gyarah ho gayi.....didi mujhe ghurte huye kitchen me jane lagi
Shree—khana bana lu phir tujhe batati hu main...room lock mat karna..nahi to theek nahi hoga samajh gaya
Didi mujhe warning dekar khana banane chali gayi sona ke sath aur main mummy ke paas baith kar sanjay bhaiya se idhar udhar ki baate karne laga...agni bhi sona ke paas chali gayi
Shree—tum kaha ki rahne wali ho.... ?
Agni—utha patak gaon ki…
Shree—kyaaaa…?
Agni—ji vo hamare gaon ka naam hai
Shree (haste huye)—bada ajib naam hai…..theek hai tum sona ke sath so jana
Agni—magar aaj to meri suhagraat hai..inke sath
Shree (hasi gayab)—kyaaa kahaaaa……?
Sona—vo…kuch nahi…didi…mazak hai
Shree (gusse me)—maine tujhse nahi puchha…ha tum batao agni…sach batana…agar tumne kisi ko pyar kiya hai to tumhe uski kasam