• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Horror Char 4️⃣ Ratein 🌌

L U F F Y _

👑 K i n g Of ☠️ P i r a t e s
381
973
94
Update 08
Un tamam baton ko guzre dedh saal ho chuka tha, ahmad eek bar phir apni purani be khoof aur pur sakoon zindagi me wapis aa chuka tha, aamil ke btaye hue ko parhna us ka mamool ban gya tha

Chand maah pehle ghar tabdeel kar ke sehar ke eek posh elaqe me muntakil ho chuke the

Is tamam arse me ahmad ke sath aisakoi waqiya pesh na aaya, albata us road se who bahut zarurat ke waqt guzarta to us ke zehan me eek film ki tarha wo manzar ghoom jaata, us raste lo wo bahut kam istemaal karta tha "tum chahte to bachaa sakte the" ye alfaaz ahmad jab yaad karta to dehal kar reh jata

Waqt ke sath wo tamam batein us ke lie eek kissa ban gayi then, jo wo dusron ko sunata aur sunne walon ka muh herat se khule ke khule reh jate, jabke kuch log use kahani aur zehani bimari ka naam dete

***********************

Ahmad ke ghar kisi bhi waqt naye mehmaan ki aamad honi thi, usi silsle me ahmad ki saas us ke ghar me ruki hui thi

Us rooz shaam 7 baje ka waqt tha jab ahmad sasha ke pass betha hua batein kar raha thaaur us ki saas bhi kareeb mojood then, bell bajne par ahmad darwaza ki taraf barha

Samne apne purane doston ke group ko dekh kar wo heran reh gya

Us ke university ke doston ne aaj achanak halla bol dia tha aur us keg har par milne chale aaye the

Ye ahmad ke un doston ka group tha jin ke sath wo subah saham , din raat ghooma phiraa karta tha , itne saalon bad achanak apne samne inhein dekh kar ahmad ki aankh herat aur Khushi se phatti ki phatti reh gayin

"kamine, andar nahi bulaye ga kia? " zohain ne sawal kia

"haan , haan, kyun nahi" ahmad darwaze se ek taraf hote hue kaha aur eke k kar ke sab se gale milne laga

Wo tamam doston samet drawing room me betha gup shup karta raha aur chaye ka dour chala jabke khane ke lie ahmad ne ghar par na kha kar bahar khane ko kaha kyuki us ki biwi ki halat is kabil na thi

Baton hi baton me purane ghar ka zikr aur accident wali baat bhi khul gayi

Ahmad na chahate hue bhi apne doston se wo ba chuppa saka aur tamam batein unhein batani padi

Mehfil par sannata chaa gya "yaar ye sab insaan ka zehni dabao ka asar hota hai, in sab baton ka haqeeqat se koi lena dena nahi" sultan ne apne khyal ka izhar kia

"ooh yaar ye sahih keh raha hai, mera mobile phone kuch arse pehle istemal karte hue khud ba khud chalne laga tha, main ek baar screen par hath lagata aur wo lagatar khud hi jaise touch hota rehta tham kabhi koi app khul jati , kabhi ajeeb typing ho jati, main to dar jata aur mobile band kar deta tha, phir ek bande ko dikhaya aur us ne btaya ke ye touch screen ka masla hai, screen me loosing ki wajah se khud kuch hisse andar touch hote aur alag hote rehte hain, aur hamein lagta hai mobile khud chal raha hai, aisa kuch nahi hota" Zohaib ne apna tajarba btaya aur tamam dost qehqe mar kar hansne lage

Wo sab batein aur mazaq urane lage jabke ahmad ke lie wo ek haqeeqat thi jis ka wo in kar nahi kar sakta tha

"abe lekin is ke camera me bhi record hua hai sab kuch is ka kia matlab hai? " Faheem ki baat ne sb ko khamosh kar dia

"achaa chal video dikhaa humein" Zohaib ne chitkhara lete hue kaha

"nahi yaar choro ,dafa kar " is bar ahmad ne baat ko ghumane ki koshish ki jo us ke doston ke samne bilkul kam na aayi aur sab hi us ke peeche pad gye

Kuch der me ahmad apne in doston samet laptop lie betha tha, videon purani thi is lie recording dhondhna mushkil tha, cctv me mushkil se ek mahine ki video ka record rehta tha

Kadhig ne is moke par apne IT ke tajurbe ki wajah se kisi na kisi tarah wo recording dhundh nikali jo ahmad ne ek clip me mehfooz kar rakhi thi

Kamre ke darmiyan me ahmad soofe par laptop apne goad me lie betha tha jabke tamam dost us ke ird gird aur kuch soofe ke peeche khade hoye laptop me jhuke hue the

Wo sab video dekhne me masroof ho gaye aur mahool me ek baar phir se sannata chaa gya tha

Ahmad video ke shuru se hi ek anjaane khoof ki nazar hone laga tham us ke doston me kuch heran aur khofzada to kuch mazaq kar rahe the, aur aane wale manzar ke bare me pesh goi (bhavishyavanee) karte hue ahmad ka mazaq urraa rahe the

Video me ab raat ka waqt shuru ho chuka tha aur sab ghoor se recording dekhne me masroof the

Achanak hi laptop ka plug switch board se nikal kar gir gya

"ye kia hua?" jawad ne laptop ki screen madham hone aur plug girne ki awaz par kaha aur sab ne eek sath ghor kia ke laptop ka plug neeche gira hua hai

Mehaz ittefaaq samajh kar use wapas lagya aur kuch deer me wo tmaam dost ek baar phir video dekhne me masroof the

Ahmad ke zehan me plug nikalne se ek khatka hua tha lekin video ka ye hissa usne bhi pehle kabhi nahi dekha tha jiski wajah se us ki dilchaspi use dekhne me thi

Ahmad ne video me mehsoos kia ke us raat jo waqiyat peesh aaye the us me kayi cheezein jo us ne mehsoos tak na ki then wo recording me shamil thi

Raat ke us peher jab ahmad ki chadar peer se sirki thi , us se chand lamhon pehle zameen par mojood shayan ka ek peer kuch deer ke lie hawa me utha tha jo yaqeenan ajeeb tha, is ke baad vide me tv screen khud roshan hoti nazar aayim kuch lamhon baad fanoos me harkat hoti nazar aayi

Sab video ghor se dekhne me masroof the aur wo waqt aa gya tha jab ahmad soofe se neeche gira tha, ye manzar dekh kar sab ke rongte khare ho gye

Use peer se pakad kar khinchta hua dekh kar sab doston ke hosh urne lage the

Is se pehle ke wo aage tak kuch dekh paate kamre me mojood pankha neeche aa giraa

Pankhe ka yun achanak jhatke le kar chalte chalte rukna aur achanak neeche girna sab ne apni aankhon se dekha ,ahmad aur dayen bayen mojood do dost jo soofe par tangein phaila kar ke bethe the foran apne peer kheench kar mushkil se khud ko bachaa sake

Bachne ki is koshis me laptop neeche gir kar band ho gya tha aur sath hi us ka taar jo switch board me laga hua tha phir se bahar aa gira

"kia hua ahmad ye kis cheez ki awaaz thi" ahmad ki saas dusre kamre se bahar nikli

"kuch nhi ammi , sab theek hai aap pareshaan na hon" ahmad ne aawaz maar kar unhein tasalli dete hue kaha

Abhi mushkil se panch second hi guzre honge ke kamre ki light band hui aur foran wapas on bhi

Tamam dost eek dusre ki shakal dekh rahe the aur unhein apne upper khatra mandlata nazar aane laga tha, lekin koi us waqt apne zehno me umadte khyaalon ko alaaf dene ki himmat nahi kar paa raha tha

"yaar ye pankha to bilkul sahih tha ye kaise gir gya achanak" ek dost ne khamoshi ko door karte hue herat se kaha

"chal yaar aisa karte hain , khaana khane chalte hai kahein" fawad ne is moke par ahmad keg har se jaane me hi khair samajhte hue mashwra pesh kia

"haan yaar bhook bhi lagi hai aur Bhabhi ki haalat aisi nahi ke un se kuch khane ki farmaish ki jaye, baahar chal kar khana khaate hain" ek aur dost ne fawad ki haan me haan milai aur sab foran hi is par razi ho gaye

"aur pankhe ka kia karein" ahmad ne pucha

"khan kha kar dekhte hain, wapas aa kar use mil kar laga len ge" Zohaib ne chalne ke lie apni jagha se khare hote hue kaha

"waise bhi ahmad keg har bahut jald khush khabri aane wali hai to is ki taraf se advance treat hi le lete hain" ek dost ne kaha, aur tamam dost chalne ke lie khare ho gye

Ahmad dheemi si muskurahat ke saath raazi ho gya

Haqeeqat me tamam doston ke dilon me ek khatka ho gya tha aur wo ahmad keg har se jald se jald nikalna chahte the

Kuch deer me wo log apartment ki serhiyoun se neeche utar rahe the, aur usi doran serhiyoun ki light off ho gyi, sab ne foran apne apne mobile phone nikal kar light on ki aur jald se jald neeche utarne lage

"yaar yahan light jaati to nahi , pata nahi kyun …….shayad light khraab ho gyi hai" ahmad ne mahool ki sanjeedgi aur pur israriyat par qaboo pane ki koshsih ki

"haan puri serhiyoun ki light ek sath khraab huyi hain, gharon ki to jal rahi hai" fawad ne jaldi jaldi serhiyan utarte tanz kia aur is ka matlab samajhte hue sab jaldi se utarne lage

Ahmad ko apne peeche kisi ki mojodgi ka ehsaas ho raha tha aur khoof se us ka dil zoor zoor se dharak raha tha

Wo sab teezi se neeche pohnche them kuch deer bad wo jagha ka faisla kar ke do alga lg gariyoun me khane ke lie chal pade

Shehar se hat kar high way ki taraf wo ek mashoor restaurant ki taraf chal diye, aaj hafte ki raat thi is lie aaj unhone ne door aur deer raat tak bethne ka plan bn aliya tha

"yaar aaaj program cancel karte hain, phir kisi din khaa len ge, ghar chalte hain wapas " gadi high way par apne puri raftaar se ja rhi thi ke achanak fawad ne wapas lene ki baat kahi

"haain? Abe bhai kia ho gya tujhe? Abhi to tu khud plan bnaa raha tha ab wapas chalne ki baat kar raha hai " ammar ne fawad ko jharte hue kaha

"abee nahi yaar , bas pata nahi kyun mera dil nah maan raha" fawad ne bechargi se kaha

"dil me to mere bhi bahot kuch aa raha hai, lekin koi nahi yaar, kuch nahi hota, khudaa malik hai" Zohaib ne tasalli dete hue mahol ki sanjeedgi ko kam kia

"yaar bas pata nahi kyun ajeeb khoof mehsoos kar raha hun" fawad ne dil ki baat keh dali

"aree yar tu wo pankhe aur light band hone se dar gya hai, aur koi baat nah tenshion mat le wo voltage ki wajah se bhi ho jata hai" ammar jo ab tak chup betha tha wazahat dete hue bola

"ooh bhai….voltage ki wajah se light off hona samajh me aata hai, pankhaa kaise gir gyaa………" zohab ne is be tuki wazahat par mazaq urate hue kaha

Is gadi me mojood sab hi log eek jaisa soch rahe the lekin, khud ko aur dosroon ko barabar tasalli dete ja rahe the

Kabhi kabhar insaan kuch cheezon ki haqeeqat jante bujhte hue bhi use nazar andaz karta hai, ya us ka zikar karne se katrata hai, un dono gadioyoun me ahmad samet us ke tamam doston ka yahi haal tha

"chalo yaar choro tum log ye sab, gaane sunte hain" ammar ne ye keh kar music player ki awaz teez kar di

Ahmad jo is tamam baat chet me khamosh tha, haqeeqat me dil hi dil me kych parh raha tha, gaano ki awaz teez hone par usi me magan ho gya

Kuch deeer bad dono gariyan restaurant ke samne mojood thi, aur wo apne lie ek achii jagha select karke Wahan beth chuke the

Ye high way par mojood ek bada restaurant tha jahan bethe loog khana khane me baton me masroof nazar aa rahe the

Khaane ka order de kar wo log baton me masroof ho gye aur ird gird ke mahol se be khabar apni university life aur us ke baad ki zindgi ke baare me share kar rahe the

Albata ahmad is doran khamosh betha raha tha

"bhai tu kyun itna chup chaap betha hai" ek dosh ne ahmad se pucha

"kuch nahi yaar bas aise hi…." Ahmad ne taka sa jawab di

"abhi tujhe taang se pakad kar kheechte hain :D tujhe pata chal jaye ga kyun khamosh betha hai ye " ek dusre dost ne mazaq me baat bnayi aur sab us ki baat par hansne lage

Khaane se farigh ho kar chaye ka dour chala aur baton baton me teen ghanta guzar gye

Ahmad apni jagh a se uthaa

"kia hua kahan ja raha hai" ek dost ne puchaa

"aa rha hun washroom se " keh kar ahmad washroom ki traf chal dia

wo hath dhoo rha tha ke wash basin ke sath lage bade sheeshe me use dusre washroom ka darwaza khulta nazar aaya

ahmad ki nazar na chahte hue bhi us par padi lekin phir hat na saki


Continued………………
 

L U F F Y _

👑 K i n g Of ☠️ P i r a t e s
381
973
94
Update 09
Last update



Ye ek common washroom ka area tha jahan main gate se dakhil ho kar dayen taraf char bathroom aur bayen taraf char wash basin aur inke upper puri dewar par aayena laga tha

Washroom ke darwaze se nikalne wala koi aur nahi wahi chotti bachii thi, jis ka ahmad ki gadi se accident hua tha

Wo bathroom ke darwaze par hi khadi aayene me ahmad ke akas ki taraf nigahein tikaye huye thi

Washroom me is waqt koi aur mojood nahi tha

Ahmad ko apni sansain ukharti hui mehsoos hone lagi thi

Bachii ke hath aise latke hue the jaise kandhe ki haddi toot kar alag ho gayi ho

Bachii ki ankhein bahar ko ubal rahi then, jinhein dekh kar ahmad ki redh ki haddi me sansanahat doud gayi

Khoof se us ka dil band hone ko tha

Wo ek masoom bachii jis ki umar char se paanch saal ki ho gi, us ke chehre par khatarnak had tak tareeki aur sanjeedgi thi, ahmad ko musalsal dekhe ja rahi thim ahmad us se pehle koi faisla karta ya bhagta , dusra darwaza khulaa

Is me se nikalne wali koi aur nahi wahi aurat thi jo bachii ke sath accident ke waqt mojood thi

Ahmad ne us ko dekhte hi darwaze ki taraf doud lgai aur unhi ki taraf dekhte hue washroom ka darwaza kholna chaha, jo ab tak lock tha

Ahmad ke peer larkhra rahe the, ahmad ne dusri hi koshish me itni zor se wo handle ghumaya tha ek lock tut ke us ke hath me aa gya tha

Bachii ab us aurat ke pass aa kar us ki kameez thaame khari thi aur wo don ahmad ko ek tak dekh rahi then

Ahmad ko un donon ki nazrein apne andar pighalati hui dakhil hoti mehsoos ho rahi thi

"mujhee maaf kardo ……please khuda ke lie mujhe chor do….. maine jaan bujh ke nahi maara tha tumhein…" ahmad darwaze ki taraf peeth kar ke peeche hone ki koshish kar raha tha lekin wo darwaze se lag chuka tha , wo dono bina kuch kahe use hi dekhe ja rahi thin aur dono ke chehron par mojood wehshat bulandiyoun ko choo rahi the

Dekhne me wo aam insaan jaisi lag rahi then , lekin un ki haqeeqat ahmad ke samne pehle hi khul chuki thi jis ki wajah se wo un ke chehron par werani ko bakhubi dekh sakta tha

Dono ke chehre bilkul safed maloo, hote the aur un par kisi kisam ke koi aasaar nahi the

Ahmad girgiraa kar un se mafiyaan mangta aur kabhi darwaza kholne ki koshish karta hua ab zameen par beth gya tha

Paseene se sharaboor aur kapkapte jisam ke sath tutti bikharti aawaz sirf aur sirf "mujhe maaf kardo, please mujhe chor do " aa rahi thi

Ahmad chillana chahta tha lekin uski zaban uska saath nahi de rahi thi wo zameen par darwaze se kamar lagaye betha chilla raha tha aur un se hath jor jor kar mafiyan maang raha tha, jabke samne mojood do wajood mehaz ek nazar se dekh rahe the

"ahmad uth yaar, kia hua tujhe"

"is ko hospital le chalo"

"is par pani ke cheente maro"

"ahmad uth yar, uth bhai, please kia hua tujhe"

Ahmad ko halka halka hosh aaya jab use ye aawazein apne kaanon me parti sunayi dein, us ne halki si aankhein kholi aur apne gird apne tamam doston samet aur kayi dusre logon ko payaa

"chalo jaldi se ise le kar aao gadi me" door se fawad ki aawwaz aayi thi jo gadi parkin me kareeb le aaya tha

"hoosh aa gya hai ise shayad" kuch logon ne kaha jo ahmad ko sunaiyi di

Wo apni ankhein nahi khool pa raha tha, sar me shaded dard aur bhari pan mehsoos ho raha tha

Use sahara de kart hora sar upper kar ke litaya hua tha

Wo log ise le jane ke lie uthana chaahh rahe the jab ahmad ne unhein mana kia

Us ka chehra pani se bheega hua tha

Sahara le kar usne uthna chaha lekin use lete rehne ka kaha gya

"kahan hun main " ahmad ne nashe ki si halat me pucha

"bhai tu hamare sath ahi, khana khane aaye hue hain hum" ahmad ke dost ne btaya

Ahmad ko hosh me aata dekh kar us ke doston ki pareshani kuch kam ho chuki thi lekin us ke sath kia hua aur wo kyun bathroom me behoosh pada hua tha wo koi nahi janta tha

"ahmad kia hua yaar tu theek to hai na? chal tujhe hospital le kar ja rahe hain……" ahmad ke doston ne use hosh me aata dekh kar pucha

"nahi main theek hun.." wo keh kar uthne laga

Ahmad ke doston ne use sahara de kar uthaya aur wo beth kar idhr udhr dekhne laga jaise use kisi anjaan jagha laya gya ho, aas paas doston aur logon ko dekh kar use guzra hua manzar yaad aa gya

"kia hua tha ahmad, tu bathroom me darwaze ke sath behosh pada hua tha aur andar se lock bhi toota hua tha" ek dost ne use behtar hota dekh kar logon ko jane ka kaha aur phir ahmad se sargoshi me sawal kia

"ghar chalo" ahmad ne uski baat ko nazar andaz karte hue kaha

"haan ja rahe hain ghar, to theek to hai na? hospital jana hai ? " jawad ne pucha

"theek hun main …. Chalo ghar" ahmad ne bethi hui awaaz me kaha

Abhi wo jane ke lie gadioyun ki taraf barhne hi lage the ke ahmad ke mobile par ghar se call aane laga

Dusri taraf ahmad ki saas thi

"beta jaldi se ghar aao, sashaa ko emergency me hospital le kar jana pade ga"

Ahmad ye sun kar pareshan ho gya

"main aata hun, bas aadhe ghanta me, ammi sab kheriyat hai na…" ahmad ne apna tamam dard aur dar nazar andaaz karte hue ek dam kaha, apne dost ko driving seat par dekh kar us ne hatne ka kaha

"kadhif hat main chalaunga" aur bazoo se pakad kar bahar ki taraf kheencha

Ahmad ke is achanak bartao se wo heran pareshan gadi se utra tha dusre doston ne jab ye dekha to use driving se mana kia, lekin wo bazid tha , wo khud jald se jald drive karke ghar pohnchna chahta tha

Tmam dost dono gadiyoun me swar ho chuke the aur ahmad intehai teez raftari se gadi reverse karta hua chand lamhon bad main road par mojood tha, gadi ki raftaar intehai teez aur us ki nazar road par jami hui thi , albata raat ke do baj rahe the ji ski wajah se road par zyada traffic na thi , lekiin badi gadiyan aur containers road par zyada nazar aa rahe the

Ahmad dusri gadi me moojod tha jo aate waqt ke mukable me badi aur raftaar me teez thi , gadi me moojod baqi dost dare sehme bethe the aur baar bar use ehtiyat se chalane aur driving seat chorne ka keh rahe the

Ahmad sasha ki halat ka soch kar apne is plan par afsoos kar raha tha aur jald bazi me badi gadiyoun ko overtake karta aage nikalta ja raha tha

Achanak gadi ko ek zor dar break laga aur gadi bahot teezi se disbalance hoti hui road se utar kar kachee medan me utar gyi aur ek pathar se takra kar ruk gyi

Ahmad ne teez raftari me back view mirror me peeche dekhne ke lie dekha tha jab use is ke sath latke lakdi se sajaya hua show piece ki jagha ek chotti bachii ka hath hilta nazar aaya tha

Gadi ki speed break se toot gyi thi lekin is ke bawajood, itni raftar thi ke gadi sambhal na saki aur road se neeche utri thi

Wo ek darmiyane size ka pathar tha jo us kache medan me mojood gadi ke rukne ki wajah bana

Gadi me moojood tamam logon ka mehfoz rehna ek moijza /Karishma tha aur agli seat par mojood ahmad aur fawad air bag ki wajah se bach gye the

Ahmad ke dost achanak break lagne par heran the aur ahmad se iski wajah puch rahe the,ahmad unhein kuch btane se qasir tha jabke hadsee ki wajah se kuch log wahan un ki madad ko aan pohnche the

Jaise taise fadi ko wahan se nikal kar start karne ki koshish ki lekin gadi start na hui

Gadi ka agla hissa kafi had tak nusaan ka shikar ho chuka tha

Ahmad ki pareshani ko samajhte hue koi bhi use kuch kehne se garez kar raha tha

Jald hi ek dost ko dusri gadi ka khyal aaya aur us ne ahmad ko unke sath jane mashwra dia, ahmad chonek is waqt jaldi aur pareshani me tha is hadse ka koi khaass asar lie bagher foran dusre doston ko phone karne laga, wo chonke in se kaafi peeche the aur bad kismati se fadi me teez aawaz me chal rahe gaano ki wajah se ahmad ki call koi sun na saka

Ahmad ko achanak shayan ka khyal aaya aur use phone mila kar foran ghr pohnchne aur sasha ko hospital le jane ka kaha

Shayan raat ke is waqt ahmd ki call se garbara kar utha lekin uski pareshani sun kar agle hi lamhe jaane ke lie uth khara hua

Ahmad aur us ke dost dusri gadi me mojood doston ko call karne ki musalsal koshish kar rahe the aur is doran gadi ko start karne ki bhi koshish kar rahe the. Bahot koshish ke baad kafi deer baad un ki call receive hui aur pata chala ke wo log is jagha ko cross karke aage nikal chuke hain, ahmad ne unhein wapas aane ko kaha

Bahot deer intezar karne ke baad dusri gadi wapas aayi ,chonke wo high way par they aur koi U-turn mojood na tha I, inhein ek lamba rasta guzar kar wapas aana pada

Ahmad ki pareshani urooj par thi aur is ki pareshani dekhte hue us ke sathi gadi ki pareshani ko bhool kar ahmad ko hosla de rahe the

Ahmad ne gadi ke aate hi unhein sari tafseel btayi aur jald se jald wahaan se hospital chalne ka kaha jo is waqt ek lamba safar fasle par tha, ahmad ne gadi me bethte hi shayan se rbt kia aur wo ahmad keg har pohnch chuka tha aur apni Bhabhi ko le kra hospital jane ki tyari kar raha tha

Ahmad dil hi dil me acha ho jane ki duaayein kar raha tha aur abhi wo hospital se chand mint ke fasle par hi tha ke is ke pass call aayi aur dusri traf se use apni beti ke paida hone ki khushkhabri di gyi, ahmad ye sun kar heran bhi tha aur khush bhi, aur haqeeqat me ye uske lie ek heran kar dene wali baat thi,lekin sath hi is waqt wo apni biwi ke pass na hone ka afsoos kar raha tha,is lie ke doctor ke mutabiq paidaish do din ke bad ki thi, dusri traf se use room no btaya gya aur call end ho gyi

Ahmad Khushi aur herani ki mili juli halat me dorta hua hospital me btaye hue kamre ki taraf bhaga m wahan mojood apni biwi aur sath me bachii ko dekh kar wo Khushi se dil hi dil me dewana ho raha tha

Achanak se phone ki bell bji

Apni beti ko hath me lie usne Khushi se phone kaan se lgya

"hello, aap ahmad ahsan baat kar rahe hain" dusri taraf se aawaz aayi

"ji ahmad baat kar raha hun"

Call kisi anjaan number se aayi thi

"main city hospital se bol rha hun , abhi hamare pass ek accident case aaya hai, aur aurat ke mobile se aapka number mila hai" dusri traf se aawaz aayi

"sorry kia keh rahe hain? Main samjha nahi? "Ahmad ne phone kaan par dabate hue kaha

"sir main city hospital se baat kar raha hun hamare pass abhi abhi ek accident ka case aaya hai , is me se ek aurat ke sath kuch hospital ki files then jis me aapka number tha, aurat ka naam sasha hai aur wo pregnant then " ye baatein ahmad ke lie kisi pahad ke tootne se kam na thein

"lekin ………" ahmad itna keh saka

"sir we are sorry ke ham inhein nahi bachaa sake" ahmad ke kaano me ye aawaz aayi thi aur use phone kaano se sirakta hua mehsoos hua aur apne gale par kisi hath ki grift

Us ne gardan jhukaa kar neeche dekha

"tum chahte to bachaa sakte the"ahmad ko hathon me wazan barhta hua mehsoos hua, ek gehri muskurahat lie wo bachii us ke hath me mojood thi jis ye awwaz us ke lie ajnabi na thi, us ne nigah bed par dali aur wahan leti aurat us ki traf dekh kar wehshat se muskuraa rahi thi

Ahmad ko apni ankhon ke samne andhera sa mehsos hua aur gale par grift mazboot hoti chali gyi

========================

"yaar kafi deer ho gyi ahmad ko call kar, wo hamein khushkhabri nahi sunayega kya? " ek dost ne kaha

Jawad ne call mila kar phone kaan se lgya…kafi der tak bell jati rahi lekin koi jawaab nahi aya

Kuch der intezar karne ke baad ek bar phir call milayi lekin ahmad call receive nahi kar raha tha

"excuse me, is room em ahmadn hon ge , inhein please bahar bheeej sakti hain" Zohaib ne kareeb se guzarti nurse se request ki

"sir yahan patient ke sath ek se zyada log allowed nahi hain, please aap log bahar wait karein" nurse ne inkar karte hue unki baat ko nazar andaz karte hue jawaab dia

"hum bas jaa rahe hainaap sirf unhein do mint bahar bula dein" us ke doston ne samne private room ki taraf ishara karte hue kaha

"sir ye room khali hai, yahaan koi patient nahi hai" nurse kehti hui apne kaam se aage barh gayi

Wo log herangi se ek dusre ki shakal dekhte reh gaye

"pagal hai yarr ye…..main bulata hun" jawad kehta hua darwaze ki taraf barh gya

Darwaze par knock kar ke wo ek taraf khara ho gya

Andar se koi jawab na aaya

Ek baar phir knock kar ke us ne knob ko ghumaya aur aadhe khule darwaze se andar jhanka

Bed par aur us ke ird gird koi nazar nahi aa raha tha , us ne dusre doston ko bulaya aur dono hi sath andar dakhil hue

Darwaze se andar ek taraf nazar parne par inki cheekh nikal gayi

Baqi dost bhi awaz sun kar bhaagte hue kamre me dakhil hue andar ka manzar dekh kar sab ke peeroon ke neeche se zameen nikal gayi thi

Zameen par ulta pada hua shaks, us ke peer mude hue aur taangein tuut hui lag rahi then

Maathe se khoon beh raha tha aur chehra ek taraf ghuma hua tha , jaise wo kisi bahut bure hadse ka shikar hua ho, us ke doston ke muh se sirf us ka naam nikla ,…….ahmad……..


The End
 

L U F F Y _

👑 K i n g Of ☠️ P i r a t e s
381
973
94
Koi batayga Story ke aage Completed kaise likhte hai ❓
 
Last edited:

Damon_Salvatore

I am vengeance
Staff member
Moderator
31,258
14,932
259
Hello everyone.

We are Happy to present to you The annual story contest of XForum


"The Ultimate Story Contest" (USC).


"Chance to win cash prize up to Rs 8000"
Jaisa ki aap sabko maloom hai abhi pichhle hafte hi humne USC ki announcement ki hai or abhi kuch time pehle Rules and Queries thread bhi open kiya hai or Chit Chat thread toh pehle se hi Hindi section mein khula hai.

Well iske baare mein thoda aapko bata dun ye ek short story contest hai jisme aap kisi bhi prefix ki short story post kar sakte ho, jo minimum 700 words and maximum 7000 words ke bich honi chahiye (Story ke words count karne ke liye is tool ka use kare — Characters Tool) . Isliye main aapko invitation deta hun ki aap is contest mein apne khayaalon ko shabdon kaa roop dekar isme apni stories daalein jisko poora XForum dekhega, Ye ek bahot accha kadam hoga aapke or aapki stories ke liye kyunki USC ki stories ko poore XForum ke readers read karte hain.. Aap XForum ke sarvashreshth lekhakon mein se ek hain. aur aapki kahani bhi bahut acchi chal rahi hai. Isliye hum aapse USC ke liye ek chhoti kahani likhne ka anurodh karte hain. hum jaante hain ki aapke paas samay ki kami hai lekin iske bawajood hum ye bhi jaante hain ki aapke liye kuch bhi asambhav nahi hai.

Aur jo readers likhna nahi chahte woh bhi is contest mein participate kar sakte hain "Best Readers Award" ke liye. Aapko bas karna ye hoga ki contest mein posted stories ko read karke unke upar apne views dene honge.

Winning Writer's ko well deserved Cash Awards milenge, uske alawa aapko apna thread apne section mein sticky karne ka mouka bhi milega taaki aapka thread top par rahe uss dauraan. Isliye aapsab ke liye ye ek behtareen mouka hai XForum ke sabhi readers ke upar apni chhaap chhodne ka or apni reach badhaane kaa.. Ye aap sabhi ke liye ek bahut hi sunehra avsar hai apni kalpanao ko shabdon ka raasta dikha ke yahan pesh karne ka. Isliye aage badhe aur apni kalpanao ko shabdon mein likhkar duniya ko dikha de.

Entry thread 15th February ko open ho chuka matlab aap apni story daalna shuru kar sakte hain or woh thread 5th March 2024 tak open rahega is dauraan aap apni story post kar sakte hain. Isliye aap abhi se apni Kahaani likhna shuru kardein toh aapke liye better rahega.

Aur haan! Kahani ko sirf ek hi post mein post kiya jaana chahiye. Kyunki ye ek short story contest hai jiska matlab hai ki hum kewal chhoti kahaniyon ki ummeed kar rahe hain. Isliye apni kahani ko kayi post / bhaagon mein post karne ki anumati nahi hai. Agar koi bhi issue ho toh aap kisi bhi staff member ko Message kar sakte hain.



Story se related koi doubt hai to iske liye is thread ka use kare — Chit Chat Thread

Kisi bhi story par apna review post karne ke liye is thread ka use kare — Review Thread

Rules check karne ke liye is thread ko dekho — Rules & Queries Thread

Apni story post karne ke liye is thread ka use kare — Entry Thread

Prizes
Position Benifits
Winner 4000 Rupees + Award + 5000 Likes + 30 days sticky Thread (Stories)
1st Runner-Up 1500 Rupees + Award + 3500 Likes + 15 day Sticky thread (Stories)
2nd Runner-UP 1000 Rupees + 2000 Likes + 7 Days Sticky Thread (Stories)
3rd Runner-UP 750 Rupees + 1000 Likes
Best Supporting Reader 750 Rupees + Award + 1000 Likes
Members reporting CnP Stories with Valid Proof 200 Likes for each report



Regards :- XForum Staff
 
Top